tum bin ham mar jayenge

by reven on May 03, 2005, 05:19:12 AM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 5834 times)
fakharenaveed
Guest
«Reply #15 on: May 14, 2005, 06:37:13 AM »
shukria waheed bhai.........................







tum bin hum mrte yeh kia humari bhool thi
hum tere liye mrein tu sochti aisa  tu fool thi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
toot jayenge by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
Ek Din Aap Yoon Humko Mil Jayenge by Sonu in Songs & Lyrics
Tumhari kasham !! JAANU hum ro jayenge by poem143s in Shayri for Dard -e- Judai
bichad kar hum marr jayenge... by Be_loved in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Jab hum chale jayenge by Rajesh Harish in Shayri for Khumar -e- Ishq
isha_verma7
Guest
«Reply #16 on: May 14, 2005, 06:43:26 AM »
U all r just wonderful and reven this last one is just GREAT.......NICE
Logged
reven
Guest
«Reply #17 on: May 14, 2005, 11:10:27 AM »
Usual Smile  :lol:  :cry: DAAMAN MEIN SAANSEY NAHI JIYADAH
HASRATEIN JINEY KI HAI BAHOT JIYADAH
JIYA AB TAK JINDGI K BINA
AB CHAHTA HUN JINA JI BHAR KEY
TUM CHALEY AAO

BAHOT BARSO SEY MAI NAHI SOYA
NIND AAYI NAHI HAI BARSOO SEY
TO AB KYA AAYEGI ....HAN MAUT AAYI TO SO JAUNGA
MAUT AATI NAHI
TUM CHALEY AAO

BAHOT BARSO SEY MAI NAHI ROYA
PALKON PAR BOJH AUR ANKHO MEIN JALAN HAI BAHOT JIYADAH
RONA CHAHTA HUN JI BHAR KEY
RO LOONGA .....BAS EK TUM
HAN TUM CHALEY AAO

KUCHH SAFAR BE-IRADA, KUCHH BOJH ITNA JIYADAH
HAN ......THAK GAYA HUN MAI .......BAHOT JIYADAH
CHAHTA HUN SUKOON
PAA JAUNGA
TUM CHALEY AAO

HASARAT THEE BAS EK KHUSHI
JO NA MAANGI KISI SEY
JO NA HI MILI
APNI HAR KHUSHI MAI PAA JAUNGA
TUM ......HAN ....TUM ..CHALEY AAO  

AINO MEIN AKSH HO JAISEY MILEY RISHTEY AISEY
BAHOT JIYA MAINEY TANHA JINDGI
GUJAARI HON SEHRA MEIN jindgi JAISEY
APNI TAMAM TALKH YAADEY BHOOL JAUNGA
BAS ...TUM CHALEY AAO

WAQT KUCHH AUR KAREEB LAGTA HAI
SANSO MEIN KUCHH AJIB LAGTA HAI
MAUT MEIN HI SUKOON LAGTA HAI
AISEY PAR KAISEY MAI MAR PAUNGA
TUM CHALEY AAO ...........................TUM CHALEY AAO NA ............... Usual Smile  :lol:  sad5  :cry:  sad5  :cry:
Logged
reven
Guest
«Reply #18 on: May 14, 2005, 11:16:35 AM »
bahot khub bhai aap sab ney hamey itna saraha .....aap aaye kya kahun ......shukriya kehna kuchh atpata sa lag raha hai yaar ..........itna hi kehta hun............................wellcome yaaro
Logged
reven
Guest
«Reply #19 on: May 19, 2005, 07:27:32 AM »
ek fasana yaad raha aur sara zamana bhool gaye
terey kissey yaad rahey aur apna tarana bhool gaye

kitni baatey rakhtey yaad kisko kisko kartey yaad
terey charchey suntey suntey baki sab kuchh bhool gaye

kitna lahoo gawaya hamney kitney sitam uthaya hamney
khud ko kitna rakhtey yaad so khud ko hi ham bhool gaye

kisko apna samjhey kaun kiska gham apnaye kaun
teri khushiya yaad kiya aur apney gham ham bhool gaye

apni mitti apna rab apni duniya apna sab
apna koi kab hota hai -apna paraya bhool gaye

tu jaaney ya mai jaanu ...tu maaney ya mai manu
kis ki khatir aaye kaun ....ana jana bhool gaye

ab to sab saiddai terey ...ab to sab harajaai terey
sab key sath hua tu jabsey , ham sath nibhana bhool gaye

ab mehfil sab naam hai terey ...dil mein sabkey terey dere
jab ghar dekhey lakho terey ...tujhey dil mein basana bhool gaye

n jamin ..............na asman ................n koi insan .................bas ek zinda lash ..........................wo bhi ....................jahhan
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #20 on: May 19, 2005, 08:42:17 AM »
bahoot khoob doston .......

'
mere sath juganuu hai hamsafar magar is sharar ki bisaat kya

ye chiraag koi chirag hai na jala hua na bujha hua

'
Logged
reven
Guest
«Reply #21 on: May 20, 2005, 05:32:34 AM »
ek fasana yaad raha aur sara zamana bhool gaye
terey kissey yaad rahey aur apna tarana bhool gaye

kitni baatey rakhtey yaad kisko kisko kartey yaad
terey charchey suntey suntey baki sab kuchh bhool gaye

kitna lahoo gawaya hamney kitney sitam uthaya hamney
khud ko kitna rakhtey yaad so ham khud ko bhool gaye

kisko apna samjhey kaun kiska gham apnaye kaun
teri khushiya yaad kiya aur apney gham ham bhool gaye

apni mitti apna rab apni duniya apna sab
apna koi kab hota hai -apna paraya bhool gaye

tu jaaney ya mai jaanu ...tu maaney ya mai manu
kis ki khatir aaye kaun ....ana jana bhool gaye

ab to sab saiddai terey ...ab to sab harajaai terey
sab key sath hua tu jabsey , ham sath nibhana bhool gaye

ab mehfil sab naam hai terey ...dil mein sabkey terey dere
jab ghar dekhey lakho terey ...tujhey dil mein basana bhool gaye

n jamin ..............na asman ................n koi insan .................bas ek zinda lash ..........................wo bhi ....................jahhan
Logged
reven
Guest
«Reply #22 on: May 21, 2005, 12:24:37 PM »
merey lafjo ki tasweerey........... karkey nilaam ghar banaye koi
apni na wajib khushio ki sabab...... meri sirat ki boliya lagaye koi

khoo kharach ashiki ka matam hai
har kahi dil mera dikhaye koi

josh itna hai usey jiney ka
ho key madhosh meri jindgi mitaye koi

jab sey mai yaad usey rakhney laga
karkey tasweero  k tukrey mujhey bhoolaye koi

girney ki shart pey duniya ko jiya jata nahi
yaad hai usko har baat magar bas yahi baat bhool jaaye koi

kam hai duniya k ya k uskey sitam
kyu yu khamoshi sey hans hans sitam uthaye koi

ashk detey nahi dikhai  to kya rota nahi
barsey barso baras sey ankhey aur rulaye koi

karta hai shauk sey iljam wo bhi has has k
wo agar sach hai sami..!!! ye najrey kyu churaye koi

ishk ................muhhabbat .............pyar ..............sab bekar ..............jahhan
Logged
reven
Guest
«Reply #23 on: May 29, 2005, 03:21:36 PM »
yeh aur baat hai k tum hi bhoola do usko
wo nahi tumko bhoolaney wala

marzi e tu pe hai munhasar ab yaad rakhna ya bhool jana usey
khud k sadkey to nahi ab wo tujhko aur yaad aaney wala

badh k aa merey KHOODA aur utha sar tu mera
jhuka liya hai jo ab sar nahi mai khood ye uthaney wala

ab shikayat nahi ukso koi janib e tu a SAMI
aur ab tujhko nahi koi rulaney wala

ab tu mashroof hai k hai tanha sab hai ab marzi e tu
ab nahi koi tujhko sataney wala

ruthney waley sun ab n koi khood ko aur zaya karey
ruthney waley tujhey ab nahin koi mananey wala

ab bhi deta hai "kyu" sadaye behisr sey koi
janta hai jab ab nahi laut key "koi" aaney wala

kab sey dekha hua tha khwaab mit gaya kab ka
zulm itna hai nahin koi mitaney wala

dard o gham ashk ka khajana hai hasil musalsal ab bhi  
par merey ashk o gham ab nahi koi sajaney wala


ujar gayi jami...............simat gaya asaman............tham gaya samandar .............ab kaha koi ................................jahhan
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #24 on: April 12, 2013, 04:13:17 AM »
Atee sunder
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 02:22:51 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.154 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer