Viraam ek lag jaayega...!!

by Talat on June 20, 2008, 02:21:05 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5
Print
Author  (Read 3991 times)
Talat
Guest
«Reply #30 on: June 28, 2008, 11:42:45 AM »
Bohot bohot shukriya Pooja, Sayyid, Bekarar and Mahiya..My pleasure you liked the creations !!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kidhar jaayega by majid in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
kahin koi Viraam nahi hai by Pooja in Shayri-E-Dard
Mehfil ka maahaul badal jaayega... .. . /annu/ by annu_genis in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
...Mil Jaayega Humshakal Sanam ka... .. . /annu/ by annu_genis in Shayri for Khumar -e- Ishq
maykada rah jaayega.............. by Syed Mohd Mahzar in Miscellaneous Shayri
Talat
Guest
«Reply #31 on: June 28, 2008, 11:43:19 AM »
Bohot Khoob Sayyid Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #32 on: June 28, 2008, 11:44:56 AM »
Bada hi bedil sa mausam hai,
Badi bechain si sargam hai..
Yahan geeton ki mehfil mein,
Udaa harr chehre ka rang hai..

Sab Patthar ki diwaarein hai,
Fakat tanhaaiya pukaarein hai..
Koi sangi hai naa saathi hai,
Jinhe rooh ab tak bulaati hai..

Muhabbat rooth gayi ho jaise,
Dostaane toot gaye ho jaise..
Berang hoke fizaa hui gumsum,
Kitne badal gaye ab Hum Tum..

Magar kahin ek aas zinda hai,
Tu mere hi need ka parinda hai..
Tu mujhe bhool paayega kaise,
Bata akele udd jaayega kaise..

Sajaaya apne haathon se jisko,
Bachaaya sab khatron se jisko..
Yeh ghar saanson ki wajah apni,
Khushi maano ya phir saja apni..


Bohot h khoob Mahiya  Applause Applause Sach kaha hai.....yahi sach hai !
Logged
Talat
Guest
«Reply #33 on: June 28, 2008, 11:54:39 AM »

Kuch yahi soch kar qadam uth na paaye,
Jaate jaate har ek baar laut, hum aaye

Bohot khokli si deewarain hui hain,
Girti hui chhat koi kahan tak bachaaye,

Begaanon main ab hum pukaaren kise,
Har ek shaam yaadon ke diye jalaaye

Ye jhooti kahani mohabbat-wafa ki,
Khud ko suna ke khud ko behlaayen

Saza hai yahi, khushi se ya gham se,
Iss saza se kyunkar khud ko bachayen !!


Logged
syednaami
Guest
«Reply #34 on: June 28, 2008, 02:25:10 PM »
Bada hi bedil sa mausam hai,
Badi bechain si sargam hai..
Yahan geeton ki mehfil mein,
Udaa harr chehre ka rang hai..

Sab Patthar ki diwaarein hai,
Fakat tanhaaiya pukaarein hai..
Koi sangi hai naa saathi hai,
Jinhe rooh ab tak bulaati hai..

Muhabbat rooth gayi ho jaise,
Dostaane toot gaye ho jaise..
Berang hoke fizaa hui gumsum,
Kitne badal gaye ab Hum Tum..

Magar kahin ek aas zinda hai,
Tu mere hi need ka parinda hai..
Tu mujhe bhool paayega kaise,
Bata akele udd jaayega kaise..

Sajaaya apne haathon se jisko,
Bachaaya sab khatron se jisko..
Yeh ghar saanson ki wajah apni,
Khushi maano ya phir saja apni..


Aap ka mamnoon hun jo haosla badhaaya...
Mahiya,,, Aap ne to mahfil ko aur bhi muattar kar diya... wah...
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #35 on: June 28, 2008, 03:12:46 PM »
Quote
Nahin lagta hai kuch achcha
Kuch ankhon ko nahin jachta
Banawat hai maahol main
Nahin lagta hai kuch sachcha

Celmira bahut accha likhi hai aur sahi bi.  Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #36 on: June 28, 2008, 03:16:48 PM »
Bohot bohot shukriya Sonia !
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #37 on: June 29, 2008, 03:34:01 AM »

Excellent Replies Sayyid Randeri ji...  Applause


Mahiya muhtarama mein aap ka mashkoor hun.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #38 on: June 29, 2008, 03:44:16 AM »

Sab Patthar ki diwaarein hai,
Fakat tanhaaiya pukaarein hai..
Koi sangi hai naa saathi hai,
Jinhe rooh ab tak bulaati hai..

Magar kahin ek aas zinda hai,
Tu mere hi need ka parinda hai..
Tu mujhe bhool paayega kaise,
Bata akele udd jaayega kaise..

Sajaaya apne haathon se jisko,
Bachaaya sab khatron se jisko..
Yeh ghar saanson ki wajah apni,
Khushi maano ya phir saja apni..


Waaaaaaahhhh. Bohot khoooooooob.
Tamam nazm hi umda he magar ye 3 to bohot hi umda he.
Isi tarah likhte rahiye.
  Applause  Applause  Applause
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #39 on: June 29, 2008, 04:08:04 AM »
Kuch yahi soch kar qadam uth na paaye,
Jaate jaate har ek baar laut, hum aaye

Bohot khokli si deewarain hui hain,
Girti hui chhat koi kahan tak bachaaye,

Begaanon main ab hum pukaaren kise,
Har ek shaam yaadon ke diye jalaaye

Ye jhooti kahani mohabbat-wafa ki,
Khud ko suna ke khud ko behlaayen

Saza hai yahi, khushi se ya gham se,
Iss saza se kyunkar khud ko bachayen !!




kya kehne.  Applause  Applause  Applause
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #40 on: June 29, 2008, 10:10:53 AM »
Bahut Bahut Shukriya.. Celmira, Syed ji and Sayyid ji
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #41 on: June 29, 2008, 10:53:40 AM »
Kuch yahi soch kar qadam uth na paaye,
Jaate jaate har ek baar laut, hum aaye

Bohot khokli si deewarain hui hain,
Girti hui chhat koi kahan tak bachaaye,

Begaanon main ab hum pukaaren kise,
Har ek shaam yaadon ke diye jalaaye

Ye jhooti kahani mohabbat-wafa ki,
Khud ko suna ke khud ko behlaayen

Saza hai yahi, khushi se ya gham se,
Iss saza se kyunkar khud ko bachayen !!

Nice Reply Celmira..  Applause


Chhat yeh kabhi gir naa paayegi,
Is chaman ki buniyaad pakki hai..
Wo Begaane jo lag rahe hai aaj,
Unhi mein kahin preet sachhi hai..

Har shaksh muntazir tumhara hai,
Kyon bhala inhe yun nakaara hai..
Tanhaai ko apna marz banaao naa,
Fakat ek baar aawaaz lagaao naa..

Yeh diye jo tumne ab tak jalaaye hai,
Angaar hatheliyon par uthaaye hai..
Inhe ab yahin chaukhat pe dhar do,
Roshan ho diwaali sa mahaul kar do..

Chalo Yun ab gumsum se baitho naa,
Muskura ke ab kuch toh keh do naa..
Naa maano in khushion ko saza apni,
Aur  Giggle
Chuppaao naa..
Phoolon si muskaan ko bewajah apni..   NaNaNa
icon_flower


Logged
Talat
Guest
«Reply #42 on: June 30, 2008, 09:51:26 AM »
kya kehne.  Applause  Applause  Applause

Shukriya Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #43 on: June 30, 2008, 09:56:40 AM »
Nice Reply Celmira..  Applause


Chhat yeh kabhi gir naa paayegi,
Is chaman ki buniyaad pakki hai..
Wo Begaane jo lag rahe hai aaj,
Unhi mein kahin preet sachhi hai..

Har shaksh muntazir tumhara hai,
Kyon bhala inhe yun nakaara hai..
Tanhaai ko apna marz banaao naa,
Fakat ek baar aawaaz lagaao naa..

Yeh diye jo tumne ab tak jalaaye hai,
Angaar hatheliyon par uthaaye hai..
Inhe ab yahin chaukhat pe dhar do,
Roshan ho diwaali sa mahaul kar do..

Chalo Yun ab gumsum se baitho naa,
Muskura ke ab kuch toh keh do naa..
Naa maano in khushion ko saza apni,
Aur  Giggle
Chuppaao naa..
Phoolon si muskaan ko bewajah apni..   NaNaNa
icon_flower




Thanks Mahiya Usual Smile Bohot hi achcha aur sukoon dene waala reply hai....

Begaanon main hain apne bhi
Unki khatir hi ruk paaye hain

Muntazir hain jo unke liye hi
Udaasi bhool, muskuraye hain

Chalo milkar hum roshan karen
Andhere jo chale aaye hain

Muddat baad humko achcha laga,
Aap jo saath humare aaye hain  NaNaNa

 icon_flower

Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #44 on: June 30, 2008, 11:47:20 PM »
Nice Reply Celmira..  Applause


Chhat yeh kabhi gir naa paayegi,
Is chaman ki buniyaad pakki hai..
Wo Begaane jo lag rahe hai aaj,
Unhi mein kahin preet sachhi hai..

Har shaksh muntazir tumhara hai,
Kyon bhala inhe yun nakaara hai..
Tanhaai ko apna marz banaao naa,
Fakat ek baar aawaaz lagaao naa..

Yeh diye jo tumne ab tak jalaaye hai,
Angaar hatheliyon par uthaaye hai..
Inhe ab yahin chaukhat pe dhar do,
Roshan ho diwaali sa mahaul kar do..

Chalo Yun ab gumsum se baitho naa,
Muskura ke ab kuch toh keh do naa..
Naa maano in khushion ko saza apni,
Aur  Giggle
Chuppaao naa..
Phoolon si muskaan ko bewajah apni..   NaNaNa
icon_flower




Khoob kaha mahiya ji.
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 07:12:16 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.179 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer