Yadoon ke samunder mai

by Pooja on July 29, 2004, 11:01:05 PM
Pages: 1 ... 24 25 26 27 [28] 29 30
Print
Author  (Read 24998 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #405 on: January 11, 2008, 03:22:10 PM »
YAADON KI DUNIYA SE GUZAR RAHA THA MAIN
HAR KHUSHI AUR GHAM SE BEHAL RAHA THA MAIN
USNE BHI USS WAQT DI MUJHE PHIR AWAAZ,
JAB SAB KUCH BHOOL KE ZINDAGI KE NAYE RANGO
SE PHIR SAWAR RAHA THA MAIN...

Logged
Pooja
Guest
«Reply #406 on: January 11, 2008, 03:25:30 PM »
wah kaya baat hai... bahoot khoob khwaish ji!!

Zindagi mai ab koi rang aa nahi sakta
ek wo shaks is dil se ja nahi sakta
yaahdon ke samunder mai kho chuki hai Pooja is kadar
zindagi ka koi safar usse wapis la nahi sakta!!
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #407 on: January 11, 2008, 03:34:26 PM »
Pooja, JHL, Khwaish

Mashallha !

Yaadon ke samundar mein sab doobe hain ! Bahut khoob !
Logged
Pooja
Guest
«Reply #408 on: January 11, 2008, 03:38:33 PM »
shukaria Veer ji!!!

dard ki gahrai naapi nahi jaati
zindagi wapis paltai nahi jaati
raah hai tanha aor zindagi bhi tanha
yaandon se kashti paar lagai nahi jaati...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #409 on: January 11, 2008, 03:43:44 PM »
BAHUT KHOOB POOJAJI...THANX PAAJI

WAQT KI BERAHAM AANDHI NE UDHA DIYA WAJOOD MOHAABAT KA
AANSU BAHATE HUE AAJ APNA HAAL BATA RAHE HAI HUM
JIS KI CHAAHAT MEIN DEEWANA HUA "KHWAISH"
KYA USSE BHI ITNA YAAD AA RAHE HAI HUM???
Logged
Pooja
Guest
«Reply #410 on: January 11, 2008, 03:48:04 PM »
wah kay abaat hai khwaish ji....

yaad ayye bhi to usse kaise kah du
khud hi khud se to sab mitaya hai
sitam uss per kiya, yahi dekha usne
khud ko bhi to umar kar ke liye rulaya hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #411 on: January 24, 2008, 06:56:48 PM »
barsaat ki boondon mai
yaadon ki wo lehar aai hai
beeti thi kaise apni pehli barsaat
wo khumar sath laai hai

hai khumar ajj bhi tera
magar zindagi mai tanhaai hai
doobi hu apne hi smunder main
ajj phir teri bahoot yaad aii hai
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #412 on: January 24, 2008, 07:08:25 PM »
shikayat to door ki baat hai
yahan fariyaad tak suuni nahi jati

jab main khamosh sa rehta hoon tanhai mein
to yaadein aap  ki hai aa jaati

aapki yaadon se bhi man behlaya na jaye
bas isi umeed pe thakta hoon main
un raahon ko,ke kahi se to aap aa jaaye

yaadon ka mela lagata hoon apne khwaabo mein
iss umeed se sota hoon ke kabhi to
woh mujhe aakar jagaye

"khwaish" ki yeh umeed dil mein na reh jaaye
aajao jahan bhi ho
aisa na ho ke hum intezaar mein mar jaaye
Logged
Pooja
Guest
«Reply #413 on: January 24, 2008, 07:30:33 PM »
tadap kar dil rah jaata hai
kis kadar pass se tu guzar jaata hai
kaise rok leta hai tu khud ko
yahi meri samjh mai nahi atta hai

nafrat hai ya hai tera gussa
her haal mai pathar dil tu hua jaata hai
kasoor hai mera jab maan hi liya maine
to kyun tu itna ajnabi hua jaata hai
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #414 on: January 24, 2008, 07:37:15 PM »
ek baar jab dil toothta hai
to phir usse jod paana mushkil ho jaata hai

dil ek aaine jaisa hai,ek baar tadak aaye
to zindagi bar nishaan reh jaata hai

ab apni khamiyon ko yaad kar kya milega
jo waqt ek baar guzar gaya,woh vaapas kaha aata hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #415 on: January 24, 2008, 07:44:17 PM »
Guzra waqat wapis laaya nahi jaata
yaadon ko bhi magar miataya nahi jaata

pyar ho jaata hai jis se ek baar
darar anne per bhi usko bhulaya nahi jaata
Logged
Pooja
Guest
«Reply #416 on: March 18, 2008, 04:39:11 PM »
Mere dard ko koi kinara chahiye
Ro lene ko ek sahara chahiye
Bhatak raha hai anaath lahro ki tarah
Takra kar ghir jaane ko bahana chahiye

Til til ghoot ghoot kar bhi atta nahi baher
Ashqo ko jo le ayye, wo najara chahiye
Akele kahin mout bhi nahi atti
Mout laane ka koi tamsha chahiye

Tujh se bichard kar yahi socha kiye din-raat
Akhir ek insaan ko kaisa jamana chahiye
Meri dunia to thi bas ek tujh se
Na jaane tujhe dunia ka kon sa khazana chahiye

Mere dard ko koi kinara chahiye
Ro lene ko ek sahara chahiye………….
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #417 on: March 18, 2008, 04:52:15 PM »
Dard ko lehroN se mat tolo
rishte nafratoN se mat tolo
Rona muqader nahiN hai dost
Isey bahanoN see mat tolo



Harash
Logged
Pooja
Guest
«Reply #418 on: March 18, 2008, 05:48:00 PM »
bahoot sahi kaha Harsh ji!!

Dard ka hai samundar
Ahsaas Lehar se najar atte hai
Jab bhi zajbaato mai doobe
Ashaq hi ashaq beh jaate hai
Muqdar se mila hai,
Muqdar se kaya gila hai
Baith apni tanhaai main
Yaadon mai jiye jaate hai!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #419 on: March 18, 2008, 06:56:54 PM »
Very Nice Pooja, Khwaish & Harash..
Logged
Pages: 1 ... 24 25 26 27 [28] 29 30
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 15, 2024, 07:23:32 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer