**~** Yeh Bepanaah Mohabbat **~**

by _Vicky_ on September 25, 2010, 05:12:28 PM
Pages: 1 2 [3] 4
Print
Author  (Read 4267 times)
deepika_divya
Guest
«Reply #30 on: October 03, 2010, 07:41:11 AM »
Ek koshish iss nadan ki taraf se..

Barbaad mera jahan karke woh yaar chala,
Dekho yaaron mujhe tabah karke woh yaar chala..

Jo kal tak meri duniya ko roshan karta tha,
Mere sapnon tak ko be-rang kar woh yaar chala,
Dekho yaaron mujhe tabah karke woh yaar chala..

Izhar-e-mohobat mujse aur baahon main kisi aur kay rehta tha,
Aisi bhi wafa nibha kar woh yaar chala,
Dekho yaaron mujhe tabah karke woh yaar chala..

Apna sab kuch jis kay naam kar diya ‘Khamosh’,
Rulane wali yaadon ka tofa de kay woh yaar chala,
Dekho yaaron mujhe tabah karke woh yaar chala..

Kabhi mera dil bhi ehsaason se bhara tha; aj pathar sa hai,
‘Rahim’ ko ‘Khamosh’ bana kar woh yaar chala,
Dekho yaaron mujhe tabah karke woh yaar chala..


~..Rahim..~..A Silent Heart..~

Awesome.. Fantastic... Bahoot Bahoot khoob Rahim bro.. Iss peshkas mea bahoot gehra tanz nazar aaya... bahoot Khoob!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Bepanaah Muhabbat..................(Sanjay Karndhar) by karndhar in Shayri for Khumar -e- Ishq
BEPANAAH PYAR HAIN TUMSE by ANKIT RAO in Other Languages
BEPANAAH PYAR .........MKV by mkv in Miscellaneous Shayri
Bepanaah………Sahal by sahal in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
@-----bepanaah#### sheba by Sheba in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
dead heart
Guest
«Reply #31 on: October 03, 2010, 09:10:27 AM »
Shukriya Divya di..! Teh dil se shukriya..!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #32 on: October 03, 2010, 02:55:16 PM »
Ek koshish iss nadan ki taraf se..

Barbaad mera jahan karke woh yaar chala,
Dekho yaaron mujhe tabah karke woh yaar chala..

Jo kal tak meri duniya ko roshan karta tha,
Mere sapnon tak ko be-rang kar woh yaar chala,
Dekho yaaron mujhe tabah karke woh yaar chala..

Izhar-e-mohobat mujse aur baahon main kisi aur kay rehta tha,
Aisi bhi wafa nibha kar woh yaar chala,
Dekho yaaron mujhe tabah karke woh yaar chala..

Apna sab kuch jis kay naam kar diya ‘Khamosh’,
Rulane wali yaadon ka tofa de kay woh yaar chala,
Dekho yaaron mujhe tabah karke woh yaar chala..

Kabhi mera dil bhi ehsaason se bhara tha; aj pathar sa hai,
‘Rahim’ ko ‘Khamosh’ bana kar woh yaar chala,
Dekho yaaron mujhe tabah karke woh yaar chala..


~..Rahim..~..A Silent Heart..~

Wah Kya Baat hai Rahim Bhai.. Dil Ke Taar Ched Diye aapke Likhe Alfaazon ne.. Gehraai liye Hue Aapke Likhe Yeh Ehasaas Bahut Khoooob Rahe.. Har lafz Dard Bayan kar raha hai Bhai.. Bahut Khoooooooob.. Applause Applause



**~** Mann **~**
Logged
dead heart
Guest
«Reply #33 on: October 03, 2010, 03:14:11 PM »
Shukriya Vikas bhaijan..!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #34 on: October 03, 2010, 05:21:07 PM »
MashaAllah Kya khoob Likha hai... Bahoot Bahoot Bahoot Khoob Vicky.. Sach Mea Dil Mea utar gai yea Baat....

Bahoot Bahoot Umda.. !!! Yuhin Likhte rehna.. Par dard Mein nahi.. !!!!

Behad Shukriya Divya Ji.. Aapki Taareef Humesha Dil Khush kar deti hai..  notworthy notworthy

Dard Kabhi Dil Se Aankhon Me Utar aata hai Divya.. Aur Bassss...........





**~** Mann **~**
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 36 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #35 on: October 03, 2010, 07:43:03 PM »
Iss behan ko rulaa diya bhai...

Sach hai ye, beetta huwa waqt marham nai banta,
Pyaar mudr jaye tho dard hota hai, paas ho tho zakham nahi banta.

Koi chohdr jata hai sanam ko, koi tikk k ishq barsaata hai,
Jeena insaan ko, bas pyaar hee sihkaata hai.

Dunya k dastooron me lipatt k, koi khauf zada palkaen jhuk jati hain
Jo dunyaawee khayal k liye beech raha haath chuhdraale, wo sanam nahi banta...


Very well written bhaijaan. Khush rahiye
Logged
dead heart
Guest
«Reply #36 on: October 03, 2010, 08:09:36 PM »
Iss behan ko rulaa diya bhai...

Sach hai ye, beetta huwa waqt marham nai banta,
Pyaar mudr jaye tho dard hota hai, paas ho tho zakham nahi banta.

Koi chohdr jata hai sanam ko, koi tikk k ishq barsaata hai,
Jeena insaan ko, bas pyaar hee sihkaata hai.

Dunya k dastooron me lipatt k, koi khauf zada palkaen jhuk jati hain
Jo dunyaawee khayal k liye beech raha haath chuhdraale, wo sanam nahi banta...


Very well written bhaijaan. Khush rahiye

Wah kya baat hai jee..Bahaut khubsoorat likha hai apne..Maza agaya parr kar.. Applause Applause
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #37 on: October 06, 2010, 02:49:08 PM »
Bahut hi umda mann ji bahut khoob ji waqai apke alfaz sidha dil pe asar kar gaye aur ek yad bhi taaza kar gaye..sach mein jis shakhs se kabhi bepanah mhbt ki ho apna har ehsas banta ho use achanak kisi aur ki zindgi ka savera ban dekhe bahut taklif hoti hai per dil kahan kisi ki sunta hai..apke alfaz bahut ache lage.. Applause Applause Applause Applause Usual Smile

Behad Shukriya Geet Ji.. Aapne Mere Jazzbaaton ko samjha aur Mehasoos Kiya uske Liye Main Tahe dil se Aapka Shukra Guzaar hoon..  notworthy notworthy notworthy




**~** Mann **~**
Logged
diya786
Guest
«Reply #38 on: October 10, 2010, 11:11:21 AM »
main kya kahoon aapse.......bohat khoob likha hai aapne....
dil se aapke liye dua nikal rahi hai aur aapki tareef mein lafz kahin kho se rahe'in hain...
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #39 on: October 14, 2010, 03:23:02 PM »
Vicky bhaa'ii:

namaste!

bahot kam koShiShe.n aisii hotee hai jo paRhne waalo.n ki aaNKho.n ko nam kar jaatee hai.. aapki koShiSh ne in aaNkho.n ko nam kar diyaa.. dil jeet liyaa aapke har lafz ne!

aage bhee yuuNhi liKhate rahe.n... dil se daad!

KhuSh rahe.n... apnaa Khayaal raKhe.n

duaao.n ke saath ijaazat

aapka

~Dhaval


Behad Shukriya Dhaval bhai.. aapki Taareef Humesha sukoon Pahunchane wali hoti hai.. aapne meri in alfaazon ko waqt Diya uske liye Tahe dil se ek baar Phir Shukriya..  notworthy notworthy



**~** Mann **~**
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #40 on: November 03, 2010, 05:43:53 PM »
nice oneeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeee

mannnnn jiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii

misssssssss u allllllllllllllllllll

Rahi Ji Tahe Dil Se Aapka Behad Shukriya..  notworthy notworthy



**~** Mann **~**
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #41 on: November 06, 2010, 05:52:42 PM »
Namste Vemp Usual Smile

Achchha kalaam likha hai aapne, Anaam ji ne jo kaha hai thoda us par gaur kare.n.

Duao.n ke sath
Medha Usual Smile

Tahe Dil Se Shukriya Bhootni Ji.. Hahaha..  notworthy notworthy



**~** Mann **~**
Logged
haan
Guest
«Reply #42 on: November 06, 2010, 05:56:38 PM »
BAHUT KHOOB MANN JI KAYA BAAT HAI ....ANDAAZ NIRALA HAI AAPKA ..
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #43 on: November 28, 2010, 07:36:25 AM »
Ek Roz Dekha Tha Unhe.. Kisi Aur Ke Naam Ka Sindoor Maang Me Bhare Hue... Jo Kabhi Humse Ishq Kiya karte the.. Qasame Khate the humaara Ho Jane Ki.. Aur Aaj Kisi Gair Ke Ban Baithe Hain.. To Kya hua.. Ishq to Hum Aaj Bhi Unse Bepanah Karte Hain.. Marte Hain aaj Bhi Unpe.. Basss Yehi Ehasaas Lafzon me utaarne ki Koshish ki Hai.. Ummid Hai aapko Pasand aayegi..!!



Aaj Dekha To, Yeh Mehsoos Hua Is Dil Ko Yaaron,
Mohabbat Aaj Bhi Hum Us-se Bepanaah Karte Hain...

Kabhi Jeete Hain Uska Naam Lekar Lamha-Lamha,
To Kabhi Yaadon Me Uski, Zaar-Zaar Marte Hain...

Aaj Dekha Kisi Gair Sang, To Yakeen Hua Is Dil Ko,
Ki Ab Wo Mohabbat Ban, Kisi Aur Par Baraste Hain...

Kahane Ko To Mera Hai, Par Hum Saaya Kisi Aur Ka,
Isi Khayal Ko Dil Me Le Usse Nafrat Bhi Karte Hain,

Par Yeh Mohabbat Bhi Badi Ajeeb Cheez Hai Yaaron,
Ki Milne Ko Usi Se Phir Bhi, Baar-Baar Taraste Hain...

Kal Khwaab Me Mile, To Bas Lipat Ro Pade Mujhse,
Larazte Labon Se Kaha, Hum Tum Pe Hi Marte Hain...

Phir Kaise Bhool Jaata Main, Us Ek Raat Ki Baat Ko,
Jo Khwaab Me Hi Sahi, Mere Hone Ko Machalte Hain....

Koi Ja Ke Kaha Do Mere Yaar Ko, Paigaam Is Dil Ka,
Mohabbat Aaj Bhi Hum Us-se Bepanaah Karte Hain...!!!!!




Aaj Dekha To, Yeh Mehsoos Hua Is Dil Ko Yaaron,
Mohabbat Aaj Bhi Hum Us-se Bepanaah Karte Hain...!!!!!!!
love9 love9

**~** Mann **~**

Hota hai Mann Ji aisa bhi hota hai
Bahut khoobsurat peshkash hai
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #44 on: January 23, 2011, 07:51:56 AM »

Aaj Dekha To, Yeh Mehsoos Hua Is Dil Ko Yaaron,
Mohabbat Aaj Bhi Hum Us-se Bepanaah Karte Hain...

Kabhi Jeete Hain Uska Naam Lekar Lamha-Lamha,
To Kabhi Yaadon Me Uski, Zaar-Zaar Marte Hain...

Aaj Dekha Kisi Gair Sang, To Yakeen Hua Is Dil Ko,
Ki Ab Wo Mohabbat Ban, Kisi Aur Par Baraste Hain...

Kahane Ko To Mera Hai, Par Hum Saaya Kisi Aur Ka,
Isi Khayal Ko Dil Me Le Usse Nafrat Bhi Karte Hain,

Par Yeh Mohabbat Bhi Badi Ajeeb Cheez Hai Yaaron,
Ki Milne Ko Usi Se Phir Bhi, Baar-Baar Taraste Hain...

Kal Khwaab Me Mile, To Bas Lipat Ro Pade Mujhse,
Larazte Labon Se Kaha, Hum Tum Pe Hi Marte Hain...

Phir Kaise Bhool Jaata Main, Us Ek Raat Ki Baat Ko,
Jo Khwaab Me Hi Sahi, Mere Hone Ko Machalte Hain....

Koi Ja Ke Kaha Do Mere Yaar Ko, Paigaam Is Dil Ka,
Mohabbat Aaj Bhi Hum Us-se Bepanaah Karte Hain...!!!!!




Aaj Dekha To, Yeh Mehsoos Hua Is Dil Ko Yaaron,
Mohabbat Aaj Bhi Hum Us-se Bepanaah Karte Hain...!!!!!!!
love9 love9




**~** Mann **~**

Very Impressive ... Very Touching ... Mann Ji !

Good Expression ... Very Nice Creation ...

Tahe dil se hazaaroN daad ... !  Applause Applause Applause Applause

yunhi likhte rahen .. aate rahen aage bhi ... khush rahen ... !

duaaon ke saath ... !
Logged
Pages: 1 2 [3] 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 28, 2024, 08:58:52 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer