**~** Yeh Kaisa Muqaam **~**

by _Vicky_ on January 31, 2010, 04:56:39 AM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 1882 times)
diya786
Guest
«Reply #15 on: February 02, 2010, 10:13:32 AM »
Jab Hum Kisi se Shiddat Se Mohabbat Karte Hain.. Aur Barso Baad Wo Nazar Aa Jayen.. Par Ab Wo Aapke Na Rahe Ho.. Aise waqt Ek Aashiq Ke Dil Ka Haal Kya hota hai.. Wahi Mehsoos Kar Likhne Ki Koshish Ki Hai..  Ummed Hai Pasand aayega..!!


Ya-Khuda Ishq Me Yeh Kaisa Muqaam Aaya Hai,
Aaj Muddaton Ke Baad Unka Deedaar Paaya Hai...

Wahi Adh-khule Lab, Chehre Pe Bikhri Zulfen,
Aankhon Me Kajal, Sharm Ke Sath Samaaya Hai....

Par Yeh Dekh Kar Dil Toot Ke Bikhar Gaya Mera,
Ki Unki Aankhon Me Aaj, Koi Gair Samaaya Hai...

Namumkin Hai Sanam, Mohabbat Ko Bhulaana Teri,
Dekh Aaj Bhi Mere Labon Pe Tera Hi Naam Aaya Hai...

Ya-Khuda Ishq Me Yeh Kaisa Muqaam Aaya Hai,
Aaj Muddaton Ke Baad Unka Deedaar Paaya Hai...!!!





**~** Mann **~**

Bahut bahut khoob Vicky icon_salut
kamaal likha hai aapne
aisa lagta hai ki har lafz apni hi koi kahaani liye hai...

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kaisa ghabrana by majid in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 ... 5 6 »
Kaisa hai yeh dil ??? by Brijinder in Shayri for Dard -e- Judai
Kaisa nasha kaisa ye khumar hai by poem143s in Shayri for Dard -e- Judai
{.....To Kaisa Ho} by angel4u in Shayri-E-Dard
Mohabbat aur dosti ka muqaam.. by feroze in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
_Vicky_
Guest
«Reply #16 on: February 06, 2010, 01:28:43 PM »
kya baat hai    mann ji.....

YA KHUDA YE KAISA MUQAAM AAJ AAYA HAI
BAHUT DINO BAAD MERA YAAR NAZAR AAYA HAI

DIL AAJ BHI TARAS THA HAI JAAKAR THAMU UNKA HAATH
PAR USKE HAATH ME KISI AUR KA HAATH PAAYA HAI....

YA KHUDA YE KAISA MUQAAM ......

Bahut Bahut shukriya Cara Bhai.. aapne Bhi behad kHubsoorat lines Likhi hain.. Usual Smile Usual Smile



**~** Mann **~**
Logged
malli
Guest
«Reply #17 on: February 08, 2010, 02:55:21 AM »
Vicky bhaiya... bahut accha likha hai aapne.  Clapping Smiley
Logged
malli
Guest
«Reply #18 on: February 08, 2010, 02:56:09 AM »
Jiya and Cara ji bahut khoob  Thumbs UP
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #19 on: February 11, 2010, 04:53:23 PM »
Bahoot Bahoot Khoob Vicky.. Dil Ke Ehsaaso Ko Bakoobi Alfaazo se Bayaan Kiya hai.. Bahoot Bahoot Umda !



Bahut Bahut Shukriya Divya Ji....!! Usual Smile Usual Smile



**~** Mann **~**
Logged
Talat
Guest
«Reply #20 on: February 26, 2010, 01:26:03 PM »
Jab Hum Kisi se Shiddat Se Mohabbat Karte Hain.. Aur Barso Baad Wo Nazar Aa Jayen.. Par Ab Wo Aapke Na Rahe Ho.. Aise waqt Ek Aashiq Ke Dil Ka Haal Kya hota hai.. Wahi Mehsoos Kar Likhne Ki Koshish Ki Hai..  Ummed Hai Pasand aayega..!!


Ya-Khuda Ishq Me Yeh Kaisa Muqaam Aaya Hai,
Aaj Muddaton Ke Baad Unka Deedaar Paaya Hai...

Wahi Adh-khule Lab, Chehre Pe Bikhri Zulfen,
Aankhon Me Kajal, Sharm Ke Sath Samaaya Hai....

Par Yeh Dekh Kar Dil Toot Ke Bikhar Gaya Mera,
Ki Unki Aankhon Me Aaj, Koi Gair Samaaya Hai...

Namumkin Hai Sanam, Mohabbat Ko Bhulaana Teri,
Dekh Aaj Bhi Mere Labon Pe Tera Hi Naam Aaya Hai...

Ya-Khuda Ishq Me Yeh Kaisa Muqaam Aaya Hai,
Aaj Muddaton Ke Baad Unka Deedaar Paaya Hai...!!!





**~** Mann **~**

Bohot khoobsurat...Bohot Khoob Vicky
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #21 on: February 28, 2010, 11:50:12 AM »
Wah bahut hi khoob Mann ji.very touching.excellent creation.keep it up. Hats off to you! Thumbs UP Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Behad Shukriya Ki aapko Meri Yeh koshish Pasand aaye..  notworthy notworthy



**~** Mann **~**
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #22 on: March 02, 2010, 06:39:59 AM »
namaste! Vicky bhaa'ii:

bazm meiN apki taazaah koShiSh deKhi! tou hum se rahaa nah gayaa! barsoN baad ki mulaaqaat ke ehsaas aaNKheN nam kar dete hai.n!

muddatoN baad ke huye deedaar ko bahott Khoob bayaa.n kiyaa hai aapne ees sher meiN.. !jissse hum muHabbat karte hoN..wo ShaKs hume Theek waisaa hi lagtaa hai jaisaa biChhaDne se pehle usski tasveer hamaare dil meiN bas gayii hoN!
ees Sher par kyaa kahuuN..! bas itnaa hi kahuuNgaa ki kismat Pyaar se milwaati bhee haii aur kabhee ziNdagee bhar kaa Ghum hume toHfe meiN bhee de jaatee hai!
iShq cheez hi aisii hai ki usska junooN kabhee miTtaa nahiiN bhaa'ii!bahot khoob!

Vicky bhaa'ii

koShiSh bahot hi Shaandaar rahiiN.. ehsaasoN ko gehrA'ii se bayaa.n kartaa bahot baRii baat hay... Khoob liKhaa aapne... daad hi daad!

KhuSh raheN... apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~ Dhaval


Dhaval Bhai Aapne Itni Gehraai se Mere Likhe Jazzbaaton Ko Padha.. Aur Daad Di Uske Liye Aapka Tahe Dil se Shukriya.. Aapki Is Taarreef se Bahut Hausla Mila hai..  notworthy notworthy



**~** Mann **~**



Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #23 on: March 02, 2010, 05:55:14 PM »
its to heart touching vicky ji.. icon_thumleft
Aashiq ki feelings ko aachhi tarah se bataya he aapne....

 Clapping Smiley   Applause    Applause

Bahut Bahut Shukriya Devangi Ji... Usual Smile Usual Smile



**~** Mann **~**
Logged
dead heart
Guest
«Reply #24 on: March 02, 2010, 06:01:12 PM »
Maafi chahunga Vikas bhaijan ke bahaut lateeeeeeeeeeeeeeeeeeeee reply kar raha hoon...

Bahaut khubsoorat likha hai apne...Teesra shaer toh bas bahaut hi acha tha... Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #25 on: March 22, 2010, 04:18:40 PM »
Bahut khoob ... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #26 on: March 30, 2010, 03:12:59 PM »
Bahut pyaari ghazal likhi hai aapne Mann ji. Bahut khoobsurti se likhi gayi hai ye. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #27 on: July 18, 2010, 04:51:37 AM »
Jaruri nahin ki apni Mohabbat ko paa hi len Sabhi,
Kisi ko Nah Paane par bhi Mohabbat Kam nahin hoti,
Har ek Lamha aaj bhi Dil se Yaad karte hain Tumhe,
Koi aisa Lamha nahin jab ye Aankhen Nam nahin hoti.......

........................................... Jiya ...


bohot hi achha likha hai bhai... mind blowing creation.... Usual Smile

Shukriya Sis.. Aur Tumne Bhi Bahut Khoooooob Likha Hai... Applause Applause



**~** Mann **~**
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #28 on: July 22, 2010, 06:01:44 PM »
Jab Hum Kisi se Shiddat Se Mohabbat Karte Hain.. Aur Barso Baad Wo Nazar Aa Jayen.. Par Ab Wo Aapke Na Rahe Ho.. Aise waqt Ek Aashiq Ke Dil Ka Haal Kya hota hai.. Wahi Mehsoos Kar Likhne Ki Koshish Ki Hai..  Ummed Hai Pasand aayega..!!


Ya-Khuda Ishq Me Yeh Kaisa Muqaam Aaya Hai,
Aaj Muddaton Ke Baad Unka Deedaar Paaya Hai...

Wahi Adh-khule Lab, Chehre Pe Bikhri Zulfen,
Aankhon Me Kajal, Sharm Ke Sath Samaaya Hai....

Par Yeh Dekh Kar Dil Toot Ke Bikhar Gaya Mera,
Ki Unki Aankhon Me Aaj, Koi Gair Samaaya Hai...

Namumkin Hai Sanam, Mohabbat Ko Bhulaana Teri,
Dekh Aaj Bhi Mere Labon Pe Tera Hi Naam Aaya Hai...

Ya-Khuda Ishq Me Yeh Kaisa Muqaam Aaya Hai,
Aaj Muddaton Ke Baad Unka Deedaar Paaya Hai...!!!





**~** Mann **~**

mann ji bht hi pyari peshkash hai aapki..par sirf ladkek dil ki baat kahi hai...ladki kya sochegi wo kehna chahungi.....

aaj muddaton k baad unka deedar paya hai
jo har pal meri aankhon me hi samaya hai

dekh rahe hain wo mujhe chor nazar se
jisne kabhi mujhpe unki hone ka haq jataya hai

khamosh hain lub unke kehte nahin kuch mere samne
aankhon me unki lekin ab bhi mera pyar hi samaya hai

larajte honth aaj bhi karna chahte hain unse pyaar ka izhaar
lekin kya kahen sath me mere kisi gair ka saaya hai

main aaj bhi hun unki aur sirf unki rahungi har janam
jisne mere naam k sath kisi aur ka naam sajaya hai

hogi unki koi majburi k apna na paye wo mujhe
lekin meri ruuh ne sirf unhi ko  apna humsafar paya hai...!!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #29 on: March 21, 2011, 08:41:15 AM »
Anamika Ji Dil Cheer Ke Rakh diya aapke Likhe Alfaazon ne.. Ek Ladki Ko Soch Ko Bakhoobi Pesh Kiya Hai aapne.. aap Ki Khaasiyat hai ki aap Jo Feel karti hain wo Lafzon Me Bikher deti hain..

Yehi Hunar Aapki Poems Me jaan Deta hai.. Bahut Bahut Khoooob.. Applause Applause



**~** Mann **~**
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 04, 2024, 10:04:20 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer