Zakham khane ki Adat

by Pooja on February 25, 2008, 03:22:16 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5
Print
Author  (Read 4234 times)
syednaami
Guest
«Reply #45 on: May 02, 2008, 04:35:47 PM »
Pooja ji aapka bhi jawaab nahiN......

Waah sayed saheb bahoot khoob.....Daad kabool kareiN dost..

harash


Buhat buhat shykriya janab hosla afzai ka, tah-e-dil se mashkoor.
Thanks
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
maih khane mein madira nahi hai by saahill in Ghazals
Zakhm aisa jise khane ko machal jaoge... by theyash in Ghazals
Chot khane ke bad--- Kumaar by kumaar in Quotable Phrase and Quotes
Pooja
Guest
«Reply #46 on: May 02, 2008, 04:48:37 PM »
bahoot bahoor shukaria Harash ji!!!

Sami ji bahoot he acha likha hai apne... apki kavita ko najar mai rakhte hue ek koshish:

Sapno ke mehal mai, sapne main he tum rahte ho
Haqiqat ki dunia main, kyun nahi yah sab kahte ho

Ghao lete ho apni he socho se her pal tum
Humari her nasihat ko, namak chidkna kahte ho

Humari her hansane ki koshish lage tumko ab jashan c
Khud ka dil dukha kar, humko bhi rulate rahte ho

Shikayat yah hai ki dard chupate ho humse
Aor Ilzaam yah ki hume he phir bewafa kahte ho

Her raah teri ayegi, meri he raahon main
Yah jaan kar bhi kyun raah badlte rahte ho

Sapno ke mehal mai, sapne main he tum rahte ho
Haqiqat ki dunia main, kyun nahi yah sab kahte ho
Logged
syednaami
Guest
«Reply #47 on: May 02, 2008, 06:05:12 PM »
Wah, wah excellent work.
Karam nawaazi ka shukriya, itna jaldi likhun aaj to nahin, inshaAllah jald.
Aap ne dil ko khush kar diya.
S Naami
Logged
Pooja
Guest
«Reply #48 on: May 02, 2008, 06:11:18 PM »
zahe naseeb notworthy apko jo yah asha'ar pasand aii!! tah-e-dil se mashkoor hu  tongue3.
 jawab ka intzaar rahega...

Uff urdu ke shabd copy kar ke likhein hai, phir bhi aise lag rahahai jaise poori urdu ki classs laga li ho.. DOH   
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #49 on: May 02, 2008, 06:52:50 PM »
wah!wah!Bahut khoob naami saab..bahut ache pooja..


Yaad Na Karoge To Bhula Bhi Na Paaoge,
Humse Juda Hokar Do Kadam Chal Bhi Na Paooge....

 Saath Guzra Hua Har Ek Pal
Nazro Ke Saamne Aakar Tehar Sa Jaayega!!!
Meri Yaadon Ko Dil Se Kabhi Mita Bhi Na Paaoge...

Tanhai Mein Bhi Meri Maujoodgi Mehsoos Hogi Tujhe,
Mujhe Khud Se Juda Kabhi Kar Bhi Na Paaoge...

majboori aur halaat insaan ko jhinjodkar rakh deti hai
insaan Bebas hai "khwaish" Waqt se kabhi lad bhi na paaoge.....

Zakhm Khaakar Bi Ab muskurane ki aadat si ho gayi hai hume,
ab aankh se nikla hua aansu aur
chehre ki muskaan ek se lagti hai mujhe
in mein koi fark kar bhi na paaoge

Yaad na karoge to bhula bhi na paaoge
humse juda hokar do kadam chal bhi na paaoge.....
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #50 on: May 02, 2008, 07:17:26 PM »
Wah s.naami khwaish & pooja ji behtareen likha he aap sab ne, is aajiz, nacheez, nakaarah ki daad qubool farmaen.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #51 on: May 02, 2008, 08:30:10 PM »
bahoot khoob khwaish ji!!!!

Bahoot bahoot shukaria Sayyid ji!!

Kadam chale na chale tere sung
Yaadon main humari khud ko paoge
Najaro main na raho koi baat nahi
Dil ki dhadkan hamesha dhadkaoge!!!!
Logged
syednaami
Guest
«Reply #52 on: May 02, 2008, 09:33:47 PM »
zahe naseeb notworthy apko jo yah asha'ar pasand aii!! tah-e-dil se mashkoor hu  tongue3.
 jawab ka intzaar rahega...

Uff urdu ke shabd copy kar ke likhein hai, phir bhi aise lag rahahai jaise poori urdu ki classs laga li ho.. DOH   

Wah s.naami khwaish & pooja ji behtareen likha he aap sab ne, is aajiz, nacheez, nakaarah ki daad qubool farmaen.

Aap ne jis deedaadili se dad-o-tahseen bakhsi, aur hamari daad-khuwaahi ko zaib-o-zeenat se saraha.
Mamnoon wa mashkoor.
Khaaksaar Ahqar
Syed Naami
Logged
Pooja
Guest
«Reply #53 on: May 05, 2008, 02:05:02 PM »
dad-o-tahseen
khuwaahi
zaib-o-zeenat
Mamnoon wa mashkoor.
Khaaksaar Ahqar

Ab to lagta hai ki app jaanbujh kar aise shabd likhte hai jo humari samjh mai na ayye!!  BangHead BangHead
Logged
syednaami
Guest
«Reply #54 on: May 05, 2008, 03:35:51 PM »
dad-o-tahseen - Praise and appreciation
khuwaahi - Khwahish karne wala, wisher
zaib-o-zeenat - decor and beautification
Mamnoon wa mashkoor. Thankful, Grateful
Khaaksaar Ahqar - Humble person, Naacheez


Aisa nahin socho. Bas yun samjho kuchh sikhne ko mil jaata hai.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #55 on: May 05, 2008, 03:42:53 PM »
bahoot bahoot shukaria Sami ji!! magar baat agar pahli baar mai samjh aa jaaye to jayada acha lagta hai!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #56 on: May 05, 2008, 03:50:04 PM »
Zakham khane ki adat ne hi rulaya hai
Warna kon zamane mai kisi ko dard de paaya hai

Mere hi pyar ne mujhko itna sataya hai
Warna kon dunia main kisi ko apna bana paaya hai

Dard le le kar bhi dard ki intihaan nahi hoti
Pooja kis pathar dil se tune yah dil lagaya hai

Zakham khane ki adat ne hi rulaya hai
Warna kon zamane mai kisi ko dard de paaya hai…….
Logged
syednaami
Guest
«Reply #57 on: May 05, 2008, 03:53:22 PM »
Zabardast, jo baat pehli baar samajh men ai woh insaan jald bhool jaata hai.

Achha likha hai.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #58 on: May 05, 2008, 04:07:16 PM »
Shukaria Syednaami  ji!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #59 on: May 05, 2008, 07:36:21 PM »
Zakham khane ki adat ne hi rulaya hai
Warna kon zamane mai kisi ko dard de paaya hai

Mere hi pyar ne mujhko itna sataya hai
Warna kon dunia main kisi ko apna bana paaya hai

Dard le le kar bhi dard ki intihaan nahi hoti
Pooja kis pathar dil se tune yah dil lagaya hai

Zakham khane ki adat ne hi rulaya hai
Warna kon zamane mai kisi ko dard de paaya hai…….


Bahut Bahut khoob pooja.. Applause Applause
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 01, 2024, 09:58:59 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.167 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer