~*~*~*~Mere Dil ke Kareeb~*~*~*~

by pankshivam on November 29, 2008, 05:42:32 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 32
Print
Author  (Read 27963 times)
pankshivam
Guest
«Reply #30 on: December 01, 2008, 09:59:54 PM »
~Zindagi~
Movie: The Train
<a href="http://www.youtube.com/v/2HVyINf1qoM&rel=1" target="_blank">http://www.youtube.com/v/2HVyINf1qoM&rel=1</a>
[Zindagi Ne Zindagi Bhar Gam Diye
Jitne Bhi Mausam Diye Sab Nam Diye] - 3

[Jab Tadapta Hai Kabhi Apna Koi
Khoon Ke Aansoo Rula De Bebasi] - 2

[Jee Ke Phir Karna Kya Mujhko Aisi Zindagi] - 2

Jisne Zakhmon Ko Nahi Marham Diye
[Zindagi Ne Zindagi Bhar Gam Diye
Jitne Bhi Mausam Diye Sab Nam Diye]

Zindagi Ne Zindagi Bhar Gam Diye

[Apne Hi Pesh Aaye Humse Ajnabee
Waqt Ki Saajish Koi Samjha Nahi] - 2

Yeh Maana Kuch Khatayein Humse Ho Gayi

Raah Mein Patthar Meri Har Dam Diye
Zindagi Ne Zindagi Bhar Gam Diye
Jitne Bhi Mausam Diye Sab Nam Diye

Zindagi Ne Zindagi Bhar Gam Diye

[Ek Mukambal Kashmakash Hai Zindagi
Usne Humse Ki Kabhi Naa Dosti] - 2

Jab Mili Mujhko Aasoo Ke Woh Tohphe De Gayi

[Has Sake Hum Aise Mauke Kam Diye] - 2

Zindagi Ne Zindagi Bhar Gam Diye
Jitne Bhi Mausam Diye Sab Nam Diye

Zindagi Ne Zindagi Bhar Gam Diye

~NM~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~Mere Dil Ke Kareeb~ by pankshivam in Shairi - E - Zindagi
~*~Mere Dil Ke Kareeb~*~ by pankshivam in SMS , mobile & JOKES « 1 2 3  All »
Mere dil ke kareeb... by daljeet_faqeer in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mere Kareeb Aur Kareeb Aayiye "Khwahish" by khwahish in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Mera Chand Mere Kareeb Aaya Hae- R.K.Rastogi by Ram Krishan Rastogi in Shayari -e- Husn
pankshivam
Guest
«Reply #31 on: December 01, 2008, 10:10:48 PM »
Tujhme Rab Dikhta hai
Movie :
Rab Ne Bana Di Jodi
Music Director :
Salim Suleman
Singer(s) :
Roop Kumar Rathod AND Shreya Ghosal
Lyricists :
Jaideep Sani
<a href="http://www.youtube.com/v/V2vzfeRmFjQ&rel=1" target="_blank">http://www.youtube.com/v/V2vzfeRmFjQ&rel=1</a>

Tu hi to jannat meri
Tu hi mera junnon
Tu hi to mannat meri
Tu hi rooh ka sukun
Tu hi ankhiyon ki thandak
Tu hi dil ki hai dastak

Aur kuch na janu mein
Bas itna hi jaanu

Tujhe mein rab dikhta hai
Yaara mein kya karu
Tujhe mein rab dikhta hai
Yaara mein kya karu

Sajde sae jhukta hai
Yaara mein kya karu

Tujhe mein rab dikhta hai
Yaara mein kya karu


Kaise hai yeh doori
Kaise majboori
Mene nazaron se tujhe choo liya
Kabhi teri khusboo
Kabhi Teri baatein
Bin maange yeh jahan pa liya

Tu hi dil ki ha rounak
Tu hi janmon ki daulat
Aur kuch na janu

Bas itna hi janu

Tujhe mein rab dikhta hai
Yaara mein kya karu
Tujhe mein rab dikhta hai
Yaara mein kya karu

Sajde sae jhukta hai
Yaara mein kya karu

Tujhe mein rab dikhta hai
Yaara mein kya karu

Rab Ne bana di jodi


Cham cham aaye
Mujhse tarshaye
Tera shaya ched ki chumta
O o
Tu jo muskaye
Tu jo sharmaye
Jaise mera hai khuda jhomta
Tu hi meri barkart
Tu hi meri ibaadat

Aur kuch na Janu
Bas itna hi janu

Tujhe mein rab dikhta hai
LyricsMAsti.com
Yaara mein kya karu
Tujhe mein rab dikhta hai
Yaara mein kya karu

Sajde sae jhukta hai
Yaara mein kya karu

Tujhe mein rab dikhta hai
Yaara mein kya karu

Rab Ne bana di jodi

PART 2
Na kuch poocha Na kuch manga
Tune dil se diya jo liya
Na kuch bola na tola
Muskura ke diya jo diya
Tu hi dhoop tu hi chau

Tu hi apna paraya
Aur kuch na jana
Bas itna hi janu

Tujh mein rab dikhta hai
Yaara mein kya karun

Tujh mein rab dikhta hai
Yaara mein kya karun

Sajde Sar jhukta hai
Yaara mein kya karun

Tujh mein rab dikhta hai
Yaara mein kya karun

Rab Ne bana di jodii

~NM~
Logged
Pooja
Guest
«Reply #32 on: December 01, 2008, 10:26:18 PM »
NICE SHARING pank ji... sochti hu ki yaha apke he songs rahe.. magar phir ruka nahi jaata...

ek aor mera fav. song main apki collection main post kar rahi hu.. ek ek shabd kamal ka likha hai Ravindra Jain ji ne aor Kishor ji ne kaya khoob gaya hai !!

ghungaru kee tarah, bajataa hee rahaa hoo main
kabhee is pag mein, kabhee us pag mein
bandhataa hee rahaa hoo main

kabhee toot gayaa, kabhee todaa gayaa
sau baar mooze fir jodaa gayaa
yoo hee loot loot ke, aaur mit mit ke
banataa hee rahaa hoo main

mai karataa rahaa, aauro kee kahee
meree baat mere, dil hee mein rahee
kabhee mandir me, kabhee mahafil mein
sajataa hee rahaa hoo main

apanon mein rahe, yaa gairo me
ghanoogaru kee jagah hain pairo me
fir kaisaa gilaa ,jag se jo milaa
sahataa hee rahaa hoo mai
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #33 on: December 01, 2008, 10:32:48 PM »
Nafrat Ki Duniya Ko Chhodke
Pyar Ki Duniya Mein Khush Rehna Mere Yaar
Is Jhoot Ki Nagri Se Tod Ke Naata Ja Mere Pyaar
Amar Rahe Tera Pyaar
Khush Rehna Mere Yaar

Jab Jaanwar Koi Insaan Ko Mare
Kehte Hain Duniya Mein Wehshi Use Sare
Ek Jaanwar Ki Jaan Aaj Insaano Ne Li Hai
Chup Kyon Hai Sansaar
Khush Rehna Mere Yaar

Bas Aakhiri Sun Le Yeh Mel Hai Apna
Bas Khatm Ab Saathi Yeh Khel Hai Apna
Ab Yaad Mein Teri Beet Jaayenge Ro Ro Ke
Jeevan Ke Din Chaar
Khush Rehna Mere Yaar
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #34 on: December 01, 2008, 10:35:05 PM »
Shukriya Pooja ji
Ye mera bhi favorite song hai
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #35 on: December 01, 2008, 10:35:59 PM »
Nice Sharing Rajesh ji
Again one of my favorite song
Thanx
Logged
Pooja
Guest
«Reply #36 on: December 01, 2008, 10:40:55 PM »
madhuban khushaboo detaa hai, saagar saawan detaa hai
jeenaa usakaa jeenaa hai, jo aauron ko jeewan detaa hai

sooraj naa ban paaye to ban ke dipak jalataa chal
fool mile yaa angaare, sach kee raahon pe chalataa chal
pyaar dilon ko detaa hai, ashkon ko daaman detaa hai
jeenaa usakaa jeenaa hai, jo aauron ko jeewan detaa hai

chalatee hain laharaa ke pawan  ke saans sabhee kee chalatee rahe
logon ne tyaag diye jeewan  ke pareet dilon mein palatee rahe
dil wo dil hain jo aauron ko apanee dhadakan detaa hai
jeenaa usakaa jeenaa hai, jo aauron ko jeewan detaa hai
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #37 on: December 01, 2008, 10:44:26 PM »
Kali kali akhiyan hain, akhiyon mein sapna hai
Sapnon mein sajana hai, sajna ye apna hai
Saath nibhaye sajna, to phir kya kehna -2
Jhooma jhooma jhumka hai, khan khan kangna hai
Kali kali angna hai, angna ko rangna hai
Saath nibhaye sajna, to phir kya kehna -2
Raah mein teri palken bichha doon,
Dil se laga ke tujhe dil mein basa loon
Mujkho to apna keh de o sajna,
Tere liye apne mein jaan bhi luta doon
Buri buri nazron se abhi mujhe bachna hai,
Bas yehi kehna hai, tere sang rehna hai
Saath nibhaye sajna, to phir kya kehna -2
Kali kali akhiyan hain, akhiyon mein sapna hai
Saath nibhaye sajna, to phir kya kehna
Tune kiye hain jab se isshare, khush hau ye mausam,
Khush hain nazaare
Pyar ke badle pyar main mangoon,
Sach tujhe karne hain sapne ye saare
Nahi nahi ab nahi dil ko machalna hai,
Thandi thandi pyar ki chiyaan mein chalna hai
Saath nibhaye sajna, to phir kya kehna -2
Kali kali akhiyan hain, akhiyon mein sapna hai
Jhooma jhooma jhumka hai, khan khan kangna hai
Saath nibhaye sajna, to phir kya kehna -2


Logged
pankshivam
Guest
«Reply #38 on: December 01, 2008, 10:46:43 PM »
Viraniya
Lyrics- Javed Akhatar
Movie- Namste Landon
<a href="http://www.youtube.com/v/NTiQXFJyWN8&rel=1" target="_blank">http://www.youtube.com/v/NTiQXFJyWN8&rel=1</a>
Mohabat meri jo pyaasi hui
to gehri meri udasoi hui
zindagi -2 mein hai tumbin
yeh Viraniyaa 3

Zindagi -2 mein hai tumbin
yeh Viraniyaa 3

Sune sune sare raste hai
Suni manzil hai jaana
Suni suni si meri aankhen hai
Suna yeh dil hai jaaana

JanaaaAaaAanaaaAAaaa 3

Mujhe gehre hai sirf tanhaiyaan
Mere dil mein hai
Sirf khaamoshiyan

Zindagi -2 mein hai tumbin
yeh Viraniyaa 3


Saans jab loo tooo
Sene mein jaise
Saans chubhti hai janaa
Dil abb tak ummed ki ek faaans Chubhti hai janaa

JanaaaAaaAanaaaAAaaa 3

Khwaaab sare mere tutne hi ko hai
Dil yeh bhi haaath se chutne hi ko hai

Zindagi -2 mein hai tumbin
yeh Viraniyaa

~NM~
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #39 on: December 01, 2008, 10:49:59 PM »
Na Jaane Kyon Humaare Dil Ko Tune Dil Nahin Samjha,
Na Jaane Kyon..
Yeh Sheesha Thod Daala, Ho..
Yeh Sheesha Thod Daala, Pyar Ke Qabil Nahin Samjha,
Na Jaane Kyon..

Tadap Di Bhi Tho Aisi Di Ke Mushqil Hogaya Jeena,
Chalaayi Teer Voh Seene Pe, Chalni Hogaya Seena,
Aur Us Par Yeh Sitam Hai,
Aur Us Par Yeh Sitam Hai, Ke Humen Ghayal Nahin Samjha..
Na Jaane Kyon..

Mohobbat Ka Yeh Jaadu, Ik Din Sar Chad Ke Bolega,
Har Ik Andhi, Har Ik Toofan Ko, Kabu Mein Lelega,
Mohobbat Ne Koyi Bhi,
Mohobbat Ne Koyi Bhi, Kaam Ko, Mushqil Nahin Samjha..
Na Jaane Kyon..

Humaara Pyar Dekho Aur Humara Hausala Dekho
Mohobbat Ka Junoon Humko Kahan Tak Le Chala Dekho
Tumhi Ne Jaan Le Li,
Tumhi Ne Jaan Le Li, Aur Humen Qatil Nahin Samjha
Na Jaane Kyon..

Na Jaane Kyon Humaare Dil Ko Tune Dil Nahin Samjha,
Na Jaane Kyon..
Yeh Sheesha Thod Daala, Ho..
Yeh Sheesha Thod Daala, Pyar Ke Qabil Nahin Samjha,
Na Jaane Kyon..
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #40 on: December 01, 2008, 10:54:00 PM »
Chaha Hai
Movie: Mann
<a href="http://www.youtube.com/v/0ffXBnHnEbI&rel=1" target="_blank">http://www.youtube.com/v/0ffXBnHnEbI&rel=1</a>
Chaha Hai Tujhko
Chahunga Hardam
Mar Ke Bhi Dil Se
Ye Pyaar Na Hoga Kam
Teri Yaad Jo Aati Hai
Mere Aansoon Behte Hain
Apna To Milan Hoga
Pal Pal Yeh Kehte Hain
Kya Yeh Zindgani Hai
Bas Teri Kahani Hai
Bas Teri Kahani Hai
Ye Jo Zindgani Hai
Chaha Hai Tujhko
Chahunga Hardam
Mar Ke Bhi Dil Se
Ye Pyaar Na Hoga Kam...
Teri Woh Baatein
Woh Chaahat Ki Rasmein
Jhoothey The Vaade
Kya Jhoothi Thi Kasmein
Jaan-E-Tamanna
Kya Ye Sach Hai
Bas Itna Keh De
Toot Jayee Na Lamha, Aitbaar Ka
De Koi Silaa, Mere Intezaar Ka
Anuradha:
Chaha Hai Tujhko
Chahungi Hardam
Mar Ke Bhi Dil Se
Ye Pyaar Na Hoga Kam...
Teri Hoon Teri
Jo Chahe Kasam Le Le
Mujhko Humrahi
Tu Apne Gham De De
Saari Umar Hai Mujhko
Dard Judaai Ka Sehnaa
Rastey Mein Koi Hai
Manzilein Meri
Mere Saath Jayengi
Mukshkilein Meri
Udit:
Chaha Hai Tujhko
Chahunga Hardam
Mar Ke Bhi Dil Se
Ye Pyaar Na Hoga Kam
Anuradha:
Tu Saamne Hai Mairey
Phir Kyoon Ye Doori Hai
Tujhe Kaise Bataoon Main
Hai, Kya Majboori Hai
Yeh Bhi Koi Jeena Hai
Sirf Aansoon Peena Hai
Sirf Aansoon Peena Hai
Yeh Bhi Koi Jeena Hai...

~NM~
Logged
Pooja
Guest
«Reply #41 on: December 01, 2008, 10:54:40 PM »
wah kaya baat hai.. bahoot khoob pank ji

Nice sharing Rajesh ji
Logged
Pooja
Guest
«Reply #42 on: December 01, 2008, 10:58:28 PM »
Another one My Fav.

yaaraa silee silee, birahaa ke raat kaa jalanaa
ye bhee koee jeenaa hai, ye bhee koee maranaa

tootee huyee chudeeyon se, jodoo ye kalaaee mai
pichhalee galee mein jaane, kyaa chhod aayee mai
beetee huyee galiyon se, fir se gujaranaa

pairon mein naa saayaa koee, sar pe naa saaee re
mere saath jaaye naa, meree parachhaee re
baahar ujaalaa hai, andar wiraanaa
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #43 on: December 01, 2008, 11:02:41 PM »
Nice Sharing Pooja ji!!!

Khushiya aur Gam
Movie: Mann
<a href="http://www.youtube.com/v/fPBJh5wGteY&rel=1" target="_blank">http://www.youtube.com/v/fPBJh5wGteY&rel=1</a>
Khushiyan Aur Gham Saihti Hai
Phir Bhi Ye Chupp Rehti Hai
Abh Tak Kisi Ne Na Jaana
Zindagi Kya Kehti Hai
Khushiyan Aur Gham Saihti Hai
Phir Bhi Ye Chupp Rehti Hai
Abh Tak Kisi Ne Na Jaana
Zindagi Kya Kehti Hai
Apni Kabhi, To Kabhi Ajnabi
Aansoon Kabhi, To Kabhi Hai Hansee
Dariya Kabhi, To Kabhi Tishnagi
Lagti Hai Ye To
Khushiyan Aur Gham Saihti Hai
Phir Bhi Ye Chupp Rehti Hai
Abh Tak Kisi Ne Na Jaana
Zindagi Kya Kehti Hai...
Khamoshiyoon Ki Dheemi Sadaa Hai
Ye Zindagi To, Rab Ki Dua Hai
Chu Ke Kisi Ne Isko, Dekha Kabhi Na
Aihsaas Ki Hai Khushboo, Meheki Hawa Hai
Udit:
Khushiyan Aur Gham Saihti Hai
Phir Bhi Ye Chupp Rehti Hai
Abh Tak Kisi Ne Na Jaana
Zindagi Kya Kehti Hai...
Anuradha:
Ahaa Aa Aa Aa
Umm Hmm Umm Umm...
Udit:
Mann Se Kaho Tum, Mann Ki Suno Tum
Mann Meet Koi, Mann Ka Chuno Tum
Kuch Bhi Kahegi Duniya
Duniya Ki Chodo
Palkon Mein Sajke Jhil Mil
Sapnay Bunoo Tum
Anuradha:
Khushiyan Aur Gham Saihti Hai
Phir Bhi Ye Chupp Rehti Hai
Abh Tak Kisi Ne Na Jaana
Zindagi Kya Kehti Hai
Udit:
Apni Kabhi, To Kabhi Ajnabi
Anuradha:
Aansoon Kabhi, To Kabhi Hai Hansee
Udit:
Dariya Kabhi, To Kabhi Tishnagi
Anuradha:
Lagti Hai Ye To
Udit/Anuradha:
Khushiyan Aur Gham Saihti Hai
Phir Bhi Ye Chupp Rehti Hai
Abh Tak Kisi Ne Na Jaana
Zindagi Kya
Anuradha: Kehti Hai...

~NM~
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #44 on: December 01, 2008, 11:06:53 PM »
Jab Samne Tum Aa Jate Ho
Lyrics- Nida Fazli

<a href="http://www.youtube.com/v/8uothtywH-o&rel=1" target="_blank">http://www.youtube.com/v/8uothtywH-o&rel=1</a>
Aaina dekh ke bole yeh sanwarne wale
Ab to be-maut marenge mere marne wale

Dekhke tumko hosh mein aana bhool gaye
Yaad rahe tum aur zamaana bhool gaye

Jab saamne tum

Jab saamne tum, aa jaate ho
Kya jaaniye kya ho jaata hai
Kuchh mil jaata hai, kuchh kho jaata hai
Kya jaaniye kya ho jaata hai

Chaaha tha yeh kahenge
Socha tha socha tha woh kahenge
Aaye woh saamne to, kuchh bhi na keh sake
Bas dekha kiye unhein ham

Dekh kar tujhko yakeen hota hai 2
Koi itna bhi haseen hota hai
Dekh paate hain kahan ham tumko dil kahin hosh kahin hota hai

Jab saamne tum

Ho jab saamne tum, aa jaate ho
Kya jaaniye kya ho jaata hai
Kuchh mil jaata hai, kuchh kho jaata hai
Kya jaaniye kya ho jaata hai

ha haa haa haa, ho

Aa kar chale na jaana, aise nahin sataana
De kar hansi labon ko, aankhon ko mar rulaana
Dena na beqaraari dil ka karaar ban ke
Yaadon mein kho na jaana tum intezaar ban ke, intezar ban ke

Bhool kar tumko na jee payenge -2
Saath tum hogi jahan jayenge
Ham koi waqt nahin hain hamdam
Jab bulaaoge chale aayenge

Jab saamne tum

Haa haa jab saamne tum, aa jaate ho
Kya jaaniye kya ho jaata hai
Kuchh mil jaata hai, kuchh kho jaata hai
Kya jaaniye kya ho jaata hai


~NM~
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 32
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 03, 2024, 12:31:03 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer