~~~~**Wat song R U listenin to Right Now!!!!**~~~~~

by Aarzuu on June 09, 2005, 08:09:42 AM
Pages: 1 ... 96 97 98 99 [100] 101 102 103 104 ... 112
Print
Author  (Read 47440 times)
Roja
Guest
«Reply #1485 on: January 14, 2009, 11:05:02 AM »
tum se milake, aisaa lagaa tum se milake
aramaa.N hue puure dilake
ai merii jaane vafaa, terii merii merii terii
ek jaan hai
saath tere rahe.nge sadaa, tum se naa ho.nge judaa
tum se milake, aisaa lagaa tum se milake,
aramaa.N hue puure dilake

mere sanam, terii kasam, chho.De.nge ab naa ye saath
ye zindagii, guzaregii ab, hamadam tumhaare hii saath
apanaa ye vaadaa rahaa, tum se naa ho.nge judaa
tum se milake ...

maine kiyaa, hai raat din, bas teraa hii intazaar
tere binaa aataa nahii.n, ek pal mujhe ab qaraar
hamadam meraa mil gayaa, ham tum naa ho.nge judaa - 2

tum se milake, aisaa lagaa tum se milake
aramaa.N hue puure dilake
ai merii jaane vafaa, terii merii merii terii,
ek jaan hai
saath tere rahe.nge sadaa, tum se naa ho.nge judaa
tum se milake, aisaa lagaa tum se milake
aramaa.N hue puure dilake

Logged
Jhuki Palkein
Guest
«Reply #1486 on: January 14, 2009, 02:05:38 PM »
Koyi To Hai Jo, Nizam-E-Hasti,
Chala Raha Hai, Wohi khuda Hai..

Koyi To Hai Jo, Nizam-E-Hasti,
Chala Raha Hai, Wohi Khuda Hai..

Dikhayi Bhi Na De Jo Nazar Bhi,
Jo Aa Raha Hai, Wohi Khuda Hai..
Wohi Khudaa Hai..



Logged
pankshivam
Guest
«Reply #1487 on: January 14, 2009, 02:48:39 PM »

Tum ko bhi hai khabar
Mujhko bhi hai pata
Ho raha hai judaa
Dono ka raasta
Dur jaake bhi mujhse tum meri yaadon main rehna
Kabhi alvida na kehna
Kabhi alvida na kehna

Tum ko bhi hai khabar
Mujhko bhi hai pata
Ho raha hai judaa
Dono ka raasta
Dur jaake bhi mujhse tum meri yaadon main rehna
Kabhi alvida na kehna
Kabhi alvida na kehna

Jitni thi khushiyaa
Sab kho chuki hai
Bas ek gham hai ki jaata nahi
Samjha ke dekha behla ke dekha
Dil hai ki chain isko aata nahi
Aarzoo hai ki hai angarai
Aag hai kab aankhon se behna
Kabhi alvida na kehna
Kabhi alvida na kehna

Rut aa rahi hai Rut jaa rahi hai
Dard ka mausam badla nahi
Rang yeh halka itna hai gehra
Sadiyon main hoga halka nahi
Halka nahi
Kaun jaane kya hona hai
Hum ko hai ab kya kya sehna

Kabhi alvida na kehna
Kabhi alvida na kehna

Tum ko bhi hai khabar
Mujhko bhi hai pata
Ho raha hai judaa
Dono ka raasta
Dur jaake bhi mujhse tum meri yaadon main rehna
Kabhi alvida na kehna
kabhi alvida na kehna

~NM~
Logged
Sammual
Guest
«Reply #1488 on: January 24, 2009, 12:47:53 PM »
Movie:Ghajini
Song:Behka Main Behka


Behka Main Behka
Woh Behki Hawa Si Aayee
Ek Hi Nazar Mein Sab
Manzil Wanzil Payee

Hatke Alag Si Thi
Bilkul Juda Si
Na Hi Adaayen
Na Koi Angrayee

Behka…
Behka Main Behka…
Mehka Mehka Ye
Mann Hai Mehka

Behka Main Behka
Woh Behki Hawa Si Aayee
Ek Hi Nazar Main Sab
Manzil Wanzil Payee

Dhadkan Dhak Dhak Huyee
Dil Tha Tha Tha Tha Tha
Tha Thayee
Chaal Dagmag Mag
Dag Mag Huyee
Jhoomoo Main Jhamak
Jhamajham

Rasta Takoon Takoon
Takoon Takoon Takon
Takoon Main
Palpal Jagoon Jagoon
Jagoonjagoonjagoo !
Jagoon Main 
Baar Baar Badal Karwat
Usko Sochoon Main

Behka Behka
Main Behka Behka
Mehka Mehka
Yeh Mann Hai Mehka

Guzare Jahan Se Woh
Rounak Udaaye
Chhalke Nadi Si Woh
Mujhko Bhigoti Jaaye
Woh Gun Gunaaye
Nageene Lutaaye
Khatta Sa Bachpan
Meethi Shararat
Thoda Resham Hai
Thodi Nazakat
Kabhi Sharmaye Kabhi
Lahraye Usme Saahil Hai
Aur Jaane Kitni Gahrayee

Behka Main Behka
Woh Behki Hawa Si Aayee
Ek Hi Nazar Mein Sab
Manzil Wanzil Payee

Hatke Alag Si Thee
Bilkul Juda Si
Na Hi Adaayen
Na Koi Angrayee

Behka Behka
Main Behka Behka
Mehka Mehka
Yeh Mann Hai Mehka

Uski Boli
Jaise Phoolon Ki Toli
Uska Chalna Rituen Badalna

Jhoot Bhi Uske
Sachche Lagey
Achchhe Lagey
Sach Se Bhi Bade Lagey

Rahon Mein Mski
Haath Baandhe Palke Bichhaye
Huey Sar Ko Jhukaye
Huey Khusboowon Se Chhaye Huey
Taktaki Lagaye
Huey Saath Saath Jaane Kitne Aaarey Mausam
Khade Rahen

Behka Main Behka
Woh Behki Hawa Si Aayee
Ek Hi Nazar Mein Sab
Manzil Wanzil Payee 

Hatke Alag Si Thee
Woh Bilkul Juda Si
Na Hi Adaayen
Na Koi Angrayee

Behka Main
Haan Behka Behka Main
Behka Main
Haan Behka Behka Behka Main

Behka Main
Haan Behka Behka Main
Behka Main
Haan Behka Behka Behka Main

Behka Main
Haan Behka Behka Main
Behka Main Haan
Bbehka Behka Behka Main.
Logged
Roja
Guest
«Reply #1489 on: January 24, 2009, 02:12:15 PM »
RAAZ Movie

Singer: ABHIJEET

Pyaar se pyaar hum ab to karne lage
Aap ke pyaar mein jeene marne lage
Is kadar aap se humko mohabbat hui
Aap ki dhadkanon mein utarne lage
Pyaar se pyaar hum ab to karne lage
Ab nahin ho raha dil pe kaabu sanam
Aap ki chaahaton mein hai jaadu sanam
Ab hosh na kuch bhi raha
Khwaabon mein kho gaye
Zulfon tale hum chain se
Baahon mein so gaye
Aap ko dekhke aahe bharne lage
Is kadar aap se humko mohabbat hui
Aap ki dhadkanon mein utarne lage
Pyaar se pyaar hum ab to karne lage
(Ek duje ko aise tadpa gaye
Dekhte dekhte hi kareeb aa gaye
Chhede zara mehboob ko
Aawaargi kahe
Chaahe sada bas aap ko
Deewaangi kahe
Aaj to had se aage guzarne lage
Is kadar aap se humko mohabbat hui
Aap ki dhadkanon mein utarne lage
Pyaar se pyaar hum ab to karne lage
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #1490 on: January 24, 2009, 08:06:36 PM »


Pyar Maanga Hai Tumhi Se Na Inqaar Karo
Paas Baitho Zara Aaj To Iqraar Karo

Kitni Haseen Hai Raat Dulhan Bani Hai Raat
Machle Hue Jazbaat Baat Zara Hone Do
Mujhe Pyaar Karo
Pyar Manga Hai Tumhi Se Na Inqaar Karo...

Pehle Bhi Tumhe Dekha Pehle Bhi Tumhe Chaaha
Itna Haseen Paaya Saath Haseen Hone Do
Mujhe Pyaar Karo
Pyar Manga Hai Tumhi Se Na Inqaar Karo...

Kitna Madhur Safar Hai Tu Mera Humsafar Hai
Beete Hue Woh Din Zara Yaad Karo
Mujhe Pyaar Karo
Pyar Manga Hai Tumhi Se Na Inqaar Karo...



Logged
Roja
Guest
«Reply #1491 on: February 01, 2009, 08:49:57 AM »
Haay taubaa mujhe tuu ne badanaam kar diyaa
merii nazar ne ye dil tere naam kar diyaa
haay taubaa ...

tumase piyaa hamako kahanii thii kitanii baate.n
sochaa thaa kar le.nge jab ho.ngii mulaaqaate.n
milane par ham tumase lekin kuchh bhii kah na paaye
binaa kahe haa.N
binaa kahe aa.Nkho.n ne ye kaam kar diyaa
haay taubaa ...

dekho mile kaise ham do raahii anjaane
baato.n hii baato.n me.n ban baiThe miit puraane
kaun huu.N mai.n aur kaun hai tuu qisamat ne lekin dekho
merii kahaanii, haa.N
merii kahaanii kaa ye a.njaam kar diyaa
haay taubaa ...
Logged
Sammual
Guest
«Reply #1492 on: February 05, 2009, 01:41:15 PM »
Movie:Razz
Song:Maahi
Singer:Toshi Sabri



Hooooohhhoooo…. hoooohhhooo….
Tujhe Milke Laga Hai Yye, Tujhe Dhundh Raha Tha Main
Tujhe Milke Laga Hai Ye, Tujhe Dhundh Raha Tha Main
Tujhme Hai Kuch Aisi Subah Sa
Jiski Khaatir Main Tha Jaga Sa
Aa Tu Mere Khwab Sajaa Ja Re
Mahi Aaja Re, Mahi Aaja Re

Tujhme Hai Kuch Aisi Subah Sa
Jiski Khaatir Main Tha Jaga Sa
Aa Tu Mere Khwab Sajaa Ja Re

Dil Roye Ya Ilahi, Tu Aaja Mere Mahi
Dil Roye Ya Ilahi, Tu Aaja Mere Mahi
Dil Roye Ya Ilahi, Tu Aaja Mere Mahi
Mere Mahi, Mere Mahi Tu Aaja Mere Mahi

Tujhe Milke Laga Hai Ye Tujhe Dhundh Raha Tha Main
Tujhe Milke Laga Hai Ye Tujhe Dhundh Raha Tha Main
Tujhme Hai Kuch Aisi Subah Sa
Jiski Khaatir Main Tha Jaga Sa
Aa Tu Mere Khwab Sajaa Ja Re

Dil Roye Ya Ilahi, Tu Aaja Mere Mahi
Dil Roye Ya Ilahi, Tu Aaja Mere Mahi
Mere Mahi, Mere Mahi Tu Aaja Mere Mahi
Dil Roye Ya Ilahi, Tu Aaja Mere Mahi

Ohhhooooohhhhooo..hooooo…..
Mahi Mahi… Mahi, Mahi Mahi… Mahi
Dhadkano Main Mahi, Saanso Main Hai Mahi
Tu Hi Hai Mere Dil Ki Tamanna
Teri Hi Yaadein Har Lamha
De Mujhe De Apna Aanchal
Dhoop Main Jalta Main Harpal

Tujhme Hai Kuch Aisi Ghataa Sa
Jiske Liye Hu Main Pyaasa Sa
Aa Tu Meri Pyaas Bujha Ja Re

Dil Roye Ya Ilahi, Tu Aaja Mere Mahi
Dil Roye Ya Ilahi, Tu Aaja Mere Mahi
Mere Mahi, Mere Mahi
Tu Aaja Mere Mahi Dil Roye Ya Ilahi
Tu Aaja Mere Mahi

Mahi Mahi… Mahi, Mahi Mahi… Mahi
Bas Mera Tu Mahi Saanso Main Hai Maahi
Hain Mujhe Hai Tera Armaan
Hain Tujhe Hai Mera Zanna
Har Ghadi Teri Dil Main Aahat
Tu Mile Mil Jaaye Raahat

Judd Ke Bhi Tu Mujhse Juda Sa
Milke Bhi Tu Kyun Hai Khafaa Sa
Aaja Meri Baaho Main Aaja Re

Ohhoo..
Judd Ke Bhi Tu Mujhse Juda Sa
Milke Bhi Tu Kyu Hai Khafaa Sa
Aaja Meri Baaho Main Aaja Re

Dil Roye Ya Ilahi, Tu Aaja Mere Mahi
Dil Roye Ya Ilahi, Tu Aaja Mere Mahi
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #1493 on: February 05, 2009, 07:17:04 PM »


Tum Agar Saath Dene Ka Vada Karo
Maein Yunhi Mast Nagme Lutata Rahoon
Tum Mujhe Dekh Kar Muskurati Raho
Maein Tumhe Dekh Kar Geet Gaata Rahoon

Kitne Jalwe Fizaaon Maein Bikhare Magar
Maine Ab Tak Kisi Ko Pukara Nahin
Tumko Dekha To Nazrein Yeh Kehne Lagin
Humko Chehre Se Hatna Gavara Nahin
Tum Agar Meri Nazron Ke Aage Raho,
Maein Har Ek Shaiy Se Nazrein Churata Rahoon
Tum Agar Saath Dene Ka Vada Karo......

Maine Khwabon Mein Barson Tarasha Jise
Tum Vahi Sang-E-Marmar Ki Tasveer Ho
Tum Na Samjho Tumhara Muqadar Hoon Maein
Maein Samajhta Hoon Tum Meri Taqdeer Ho
Tum Agar Mujhko Apna Samajhne Lago
Mein Bahaaron Ki Mehfil Sajata Rahoon,
Tum Agar Saath Dene Ka Vada Karo......





Abb kisi koh samaj aaraha hai kya yeh gana, ohhhh JANA  Winking  Giggle

Logged
Sammual
Guest
«Reply #1494 on: February 06, 2009, 03:25:14 PM »
Movie:Dil Kabaddi
Song: Ehsaan Itna Sa Kar De
Singer:Sachin Gupta,Jaspreet Singh


Essaan Itna Sa Kar De
Mujhe Phir Tanha Sa Kar De
Tere Bina Jee Na Sakunga
Mil Ke Yeh Tujhe Se
Keh Na Sakunga

Essaan Itna Sa Kar De
Mujhe Phir Tanha Sa Kar De
Tere Bina Jeena Sakunga
Mil Ke Yeh Tujhe Se
Kehna Sakunga

Tera Mera Yeh Nata Kyon Tuta
Tera Mera Yeh Pyaar Kyon Rootha
Adhi Baatein Adhuri Raatein
Reh Gai Tere Bina

Tera Mera Yeh Nata Kyon Tuta
Tera Mera Yeh Pyaar Kyon Rootha
Adhi Baatein Adhuri Raatein
Reh Gai Tere Bina

Tanhahiyan Seh Na Sakunga
Tere Bina Jee Na Sakunga

Essaan Itna Sa Kar De
Mujhe Phir Tanha Sa Kar De
Tere Bina Jeena Sakunga
Mil Ke Yeh Tujhe Se
Kehna Sakunga

Tu Nahi Raha Teri Yaad Reh Gai
Palko Pe Teri Aas Reh Gai
Koi To Hoga Bahana Bata
Tujhko Bula Dene Ka


Tu Nahi Raha Teri Yaad Reh Gai
Palko Pe Teri Aas Reh Gai
Koi To Hoga Bahana Bata
Tujhko Bula Dene Ka


Tanhahiyan Seh Na Sakunga
Tere Bina Jee Na Sakunga

Essaan Itna Sa Kar De
Mujhe Phir Tanha Sa Kar De
Tere Bina Jee Na Sakunga
Mil Ke Yeh Tujhese
Kehna Sakunga .
Logged
Roja
Guest
«Reply #1495 on: February 06, 2009, 03:32:37 PM »
Movie: Arpan
Singer: Lata Mangeshkar


Parades jaa ke paradesiyaa bhuul na jaanaa piyaa -2
tan-man kisii ne tujhe arpaN kiyaa
parades jaa ke ...

ik terii Kushii ke kaaraN ( laakh sahe dukh hamane o saajan ) -2
ha.Ns ke judaa_ii kaa zahar piyaa
parades jaa ke ...

dil me.n teraa pyaar basaayaa dil ko jaise rog lagaayaa
saarii umar kaa dard liyaa
parades jaa ke ...

kab jaa_oge kab aa_oge kab aa_oge kab jaa_oge
itane din hai kaun jiyaa
parades jaa ke ...

Logged
Roja
Guest
«Reply #1496 on: February 16, 2009, 02:21:57 PM »
Ek Phool Do Mali

Tujhe sooraj kahoon ya chanda Tujhe deep kahoon ya taara 
Mera naam karega roshan Jag mein mera raaj dulaara - 2 
Main kab se taras raha tha Mere aangan mein koi khele 
Nanhi si hansi ke badle Meri saari duniya le le 
Tere sang jhool raha hai Meri baahon mein jag saara 
Mera naam karega roshan Jag mein mera raaj dulaara 
Tujhe sooraj kahoon ya chanda Tujhe deep kahoon ya taara 
Mera naam karega roshan Jag mein mera raaj dulaara 

Aaj ungli thaamke teri Tujhe main chalna sikhlaaoon 
Kal haath pakadna mera Jab main booddha ho jaaoon 
Tu mila to maine paaya Jeena ka naya sahaara 
Mera naam karega roshan Jag mein mera raaj dulaara 
Tujhe sooraj kahoon ya chanda Tujhe deep kahoon ya taara 
Mera naam karega roshan Jag mein mera raaj dulaara 

Mere baad bhi is duniya mein Zinda mera naam rahega 
Jo bhi tujhko dekhega Tujhe mera laal kahega 
Tere roop mein mil jaayega Mujhko jeevan dobaara 
Mera naam karega roshan Jag mein mera raaj dulaara 
Tujhe sooraj kahoon ya chanda Tujhe deep kahoon ya taara 
Mera naam karega roshan Jag mein mera raaj dulaara



Logged
Roja
Guest
«Reply #1497 on: February 23, 2009, 02:56:19 AM »

Movie : Jaanbaaz

mujhe pyaar do ho ho pyaar do
ek to kam zi.ndagaanii usase bhii kam hai javaanii -2
jab tak josh me.n javaanii -2
jab tak khuun me.n ravaanii
mujhe hosh me.n aane na do
pyaar do -7
do pyaar do pyaar do -4

nuur-e-Kudaa bhii barase vahaa.n pe pyaar me.n milate hai.n do dil jahaa.n pe -2
zi.ndagii se tumhe.n jo bhii lamhaa mile -2
use pyaar par vaar do vaar do
pyaar do -2
do pyaar do
ek to kam zi.ndagaanii ...

hai husn-o-ishq ke dam se zamaanaa yahii haqiiqat hai baakii fasaanaa -2
dilavaale jahaa.n hai jannat vahaa.n -2
jahaa.n pyaar hii pyaar ho
pyaar do pyaar lo pyaar lo
ek to kam zi.ndagaanii ...



Logged
Roja
Guest
«Reply #1498 on: February 23, 2009, 02:57:41 AM »
Movie: Pyaar Kaa Mandir

Log jahaa.n par rahate hai.n us jagah ko vo ghar kahate hai.n
ham is ghar me.n rahate hai.n ise pyaar kaa ma.ndir kahate hai.n
ham is ghar me.n ...

hu_ii aaj ke din ek baat ba.Dii apane ghar kii buniyaad pa.Dii
vishvaash pe aur mohabbat pe har ek hu_ii diivaar kha.Dii
har aa.ndhii har tuufaa.n se majabuut hai ye ghar kahate hai.n
log jahaa.n par ...

is ghar kii kiimat kyaa hogii duniyaa ko kuchh andaazaa hai
ye daravaazaa is ghar kaa nahii.n jannat kaa ye daravaazaa hai
is farsh ko dharatii kahate hai.n is chhat ko ambar kahate hai.n
log jahaa.n par ...

khushiyo.n ke diip jalaa_e.nge sapano.n ke phuul khilaa_e.nge
miTane naa de.nge is ghar ko is ghar par ham miT jaa_e.nge
ai maa.N tere bachche terii sauga.ndh uThaa kar kahate hai.n
log jahaa.n par ...
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #1499 on: February 23, 2009, 07:00:51 PM »

sung by Pankaj Udhas



PATHAR SULAG RAHEY THEY, KOI NAKSHE PA NA THA
HUM JISS TARAF CHALEY THEY, UDHAR RAASTA NA THA
PATHAR SULAG RAHEY THEY


PARCHAYIOH KEY SHEHAR KI, TANHAYIAA NA POOCH
APNA SHARIKEY GUM KOI APNEY SIWA NA THA
HUM JISS TARAF CHALEY THEY, UDHAR RAASTA NA THA
PATHAR SULAG RAHEY THEY


PATTOH KEY TOOTNEY KI TADA GHOOT KEY REH GAYI
JUNGLE MEH DOOR DOOR , HAWA KA PATA NA THA
HUM JISS TARAF CHALEY THEY, UDHAR RAASTA NA THA
PATHAR SULAG RAHEY THEY


RASHID KISEY SUNATEY GALI MEH TERI GHAZAL
USKI MAKAAN KA KOI, DARICHA KHULA NA THA
HUM JISS TARAF CHALEY THEY, UDHAR RAASTA NA THA
PATHAR SULAG RAHEY THEY














Logged
Pages: 1 ... 96 97 98 99 [100] 101 102 103 104 ... 112
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 20, 2024, 02:06:17 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[May 18, 2024, 12:47:34 PM]

[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.165 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer