Padha-likha hun, khasa kamata bhi hun,
In shadiyon ke dour me, dulha mujhe banao,
Haisiyat hai tumahri, to tasalli se parakho
Lo bikane ko taiyar hun, boli meri lagao,
Doge kya motor-gadi, cash kitna doge,
Ye hi chand baaten sirf itna hi batalao
Uske khoobiyon ke chache mujhe na sunao,
Lo bikne ko taiyaar hun boli meri lagao,
Papa se mere poocho, ki daam mera kya hai,
Zewar ke bare me meri maa ko hi batao,
Meri bahno se bhi poocho unhe kya pasand hai,
Lo bikane ko taiyaar hun boli meri lagao,
Apni bahno ko diya hai to hum bhi tumse lenge,
Ye to reet hai zahan ki, ise tum bhi jaan jao,
Akhir baap ho beti ke, khud hi samajh jao
Lo bikne ko taiyar hun, boli meri lagao,
21vi sadi ho, chahe waqt ho purana,
Chahe tum apni beti ko kitna bhi padhao,
Bazaar me aaye ho to souda zara pataao,
Lo bikne ko taiyaar hun boli meri lagao,
Apni kamai se bhi jiska pet na bhara ho,
Usi ko chun ke dulha, beti se kya kahoge,
Jode tha tinka tinka, sab uske hawle doge,
In wahshiyon ko apni bagiya ka phool doge
In bhasmsooron ke haathon fir swaha karoge,
Fir kisi akhbaar kee katarn ko liye zeb me,
Insaaf ke liye mare mare firoge,
Haan mai wohi bhediya hun,
jo hardum bhookha hi rahta hai
Soch samajh lo, dekh parakh ke Apni ray banao
Lo bikne ko taiyaar hun boli meri lagao..
Wow... That's Really Superb Piece of Work Sanjeev...

Very Excellent Satiring Poetry... A Must Read For All Poetry Lovers..
