Ramazan Mubarak !!

by Talat on September 13, 2007, 07:00:51 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 4292 times)
Sahiba Zehra
Guest
«Reply #15 on: September 21, 2007, 05:32:18 PM »
ek sawall
koi ise Ramzaan keh raha hai aur koi Ramadaan

mujhe koi batayega ki farq kya hai dono mein aur Ramadaan ko kaise bolte hain hain ?
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ID MUBARAK.... by dolly in Chit - Chat & General Discussion « 1 2 3  All »
mubarak by hina in Shayri-E-Dard
Eid Mubarak! by Pooja in SMS , mobile & JOKES
Eid Mubarak... by Shikha12 in The Wishes and Celebrations « 1 2  All »
Rajbir
Guest
«Reply #16 on: September 21, 2007, 09:34:51 PM »
Dear Sahiba

I tried to do a google search and found this article which tries to clear the confusion. Hope it helps. :D

http://www.languagehat.com/archives/000936.php
Logged
no_good_stranger
Guest
«Reply #17 on: September 22, 2007, 01:12:20 PM »
a little late but Ramadaan Mubarak from all the people in South Africa,may all muslims realise the object of this month and derive full benefit from it
Logged
Talat
Guest
«Reply #18 on: August 31, 2008, 08:22:22 PM »
Ramzan Mubarak to all Yoindians. May Allah accepts the "Ibaadat" and bless the world with peace and harmony.


Logged
Pooja
Guest
«Reply #19 on: September 02, 2008, 06:26:56 PM »
sabhi ko Ramadan bahoot bahoot mubarak ho!!!

Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #20 on: September 03, 2008, 02:23:41 AM »
sabhi ko ramzaan mubarak ho............sanjeev
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #21 on: September 03, 2008, 05:23:01 AM »
Sahiba Jehra
K Sawaal Ka Jawaab Shayad Kisi Ko Maloom Na Tha ya Fir KIsi K Jehan Mei Na aya Hoga..To Aaj Sanjeeb Bhai ki Mubaraq badi pe Ye Thread Dekhne ko Mila.....To Jawaab Hazir-e-Khidamat Hai..

qur'aan-e-Paak Mein Ramzaan Shareef Ka Charcha is ayat-e-Mubaraqaa Mei aaya Hai
kyonki pura Muqamaal Qur'aan Hi Ramzaan K Paak Dino Me Nazil Hua Hai

" Shah-ro Ramd'aan al lazee Uonzela Fiheel Quraa'n......" [ Kanz-ul-Imaan ]
[ Ramdaan Wo Mahina Hai JIsme Qur'aan Utaraa ya Nazil kiya Gayaa......]

Lugat-e-Arabi Mei Ram z aan Ko " Ram d aan " kehte hai Kyonki arabic alaphbets Me is Lafz Me " DAL " ka istemal hua hai to sabhi arabic Mumaaliq waale inhe 'DAL' jo qur'aan-e-paak k alfaz k mutabeek sahih hai

Aur Kuch Mumaaliq jahaan Urdu zayad Istemal HOti Hai Woh Log Farsi aur Urdu alphabets ka Istemal Karte Hai kuch lafz k bolne ki asani k liye To wo "DAL" ko "ZAL" padhte hai...ya arabic DAL KO URdu va Farsi Mei "ZAAD" bhi Kehte Hai..

To aub Arabic k maane se "RAM D AAN " sahih Hai ki Makhareez se padha jaata hai
Aur Urdu/farsi k Maane Se "RAM Z AAn " sahih va durust Hai

Matlub ki Dono sahih Talffooz hai

aub sahiba jehra k sawaal k jawaab adaa ho gaya

allahu aa'almu Fil wajaaht-e-kalam az Muhammed Ashraf Raza
     


Logged
Talat
Guest
«Reply #22 on: September 03, 2008, 06:58:57 AM »


Lugat-e-Arabi Mei Ram z aan Ko " Ram d aan " kehte hai Kyonki arabic alaphbets Me is Lafz Me " DAL " ka istemal hua hai to sabhi arabic Mumaaliq waale inhe 'DAL' jo qur'aan-e-paak k alfaz k mutabeek sahih hai

Aur Kuch Mumaaliq jahaan Urdu zayad Istemal HOti Hai Woh Log Farsi aur Urdu alphabets ka Istemal Karte Hai kuch lafz k bolne ki asani k liye To wo "DAL" ko "ZAL" padhte hai...ya arabic DAL KO URdu va Farsi Mei "ZAAD" bhi Kehte Hai..



Jahan tak maine padha hai, Quran main Ramazaan aise likha jata hai:





Ab arabic main ye lafz "Daad" kehlata hai aur urdu/farsi main "Zvaad" :


Lekin "DAL" jaise aapne likha wo to ye lafz hai jiska "Ramazaan" ya "Ramadaan" main istemaal hi nahin hua hai !!:


(Aur jo alphabets ki images maine post ki hain, wo "Arabic" ke hi alphabets hain).

Logged
Muhammed
Guest
«Reply #23 on: September 03, 2008, 07:53:15 AM »
Jee Talat...........Durust Farmaya aapne Ki "DAAD" ya "Zvaad" Hi HOta Hai...

"DAAL" Ka Istemal Nahi Hota Hai Ye baat la Raib Sahih Hai aapki..Galti Kubool Hai.astag-firoolllahe
--------------------------------------------------------------------------------
aub Baat Rahi aapki Image Me RAMDAAN hi likha hua hai nahi ki RAMZAAN......

Image k DAAD ko Dekho.....Fir Padho RA M DAA N......hi hoga na' ki Ramzan

DAAD K Badle ZVAAD ka Istemaal Sirf Aur sirf urdu va farsi me hi hota hai..

Jo Arabic Qi'raat padhega To Kahega Ki.." Shah'ro Ram DAA Nal Laz'ee "

aur Ise Urdu farsi me Ram ZAA n hi bolega koi..

aur Wo JO JVAAD hai........use istemaal me laaya jaayega

Talat.......

qiraat-e-saabit aur digar kirato Me " Valad Du'aaleen aamin " Kaha Gaya Hai
aur " Valad Zv'aalin aamin " bhi padhte hai T Dono shahih lekin Makhareez k ietebar se sirf "DVAAD" hi sahih hai

Talat...Jise " Soorah VAD DOOHA " [parah : 30 Qanz-oo-lImaan ] nahi k Soorah VAD

ZOOHA.........Fir Jaise " IED-Ud-Dooha " nahi ki IED UD ZOOHA........

To Talat wise hi........RAMDAAN sirf Daad ya Dvaad k saath hi arabic mei
                        RAMZAAN sirf zvaad ya zaad k saath hi farsi aur urdu mei...

Qur'aan-e-paak Me RAMDAAN hi Hai.. jo aapne image k jariye batayaa hai

aapne Islaah kardi DAAL Ki To Shukriya aapka
aur waise mera maa'na RAMDAAN ka Ilm-e-Neh'v va degar Lugvi kitabo me yahi sahih jo dar asl mein kehna chahta tha
va'ma taufiqu illah billahe
 
Logged
Talat
Guest
«Reply #24 on: September 03, 2008, 07:59:21 AM »
Durust kaha aapne Raza..aambol chaal yaani ki urdu main Ramazaan...magar Quran main Arabic hai isliye Ramadaan

Aapne itna waqt de kar tafseel se samjhaya......Shayad aur logon ke bhi samajh aaya hoga
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #25 on: September 03, 2008, 09:05:40 AM »
Jee Talat
aapne bhi to apna Waqt waqf kiya hai itna

Aur aapka va Mera Yeh Farz tha Ki Kuch O-loo-mee baaton ko Tafseel se samzaaya jaaye taqi Is ka Sahih Ma'na Awaam Taq Pahunche..waise Ramzaan Ka Mubaraq Mahina chal Raha Hai To Khuda..apke aur meri Is chhoti si Kavish ko Zariy-e-Nazaat Banaaye..aamin be'jahe sayyid-il-Murshaleen val Hamdu Lil Laahe Rabb-il-aa'lmin.

 
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #26 on: September 03, 2008, 09:35:47 AM »
aap dono ne bahoot achche se samjhaya...dhanywad....
nichod ye hua ki ramzaan aur ramdaan dono shabd sahi hai....
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #27 on: September 03, 2008, 11:17:36 AM »
A time of Prayer..
A time of Devotion..
A Time of Remembrance...
Wish You All A Blessed Ramazaan.. 



Logged
sanya310
Guest
«Reply #28 on: September 03, 2008, 01:39:41 PM »
ramadan mubarak to everyone Usual Smile
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #29 on: September 03, 2008, 03:12:41 PM »
 Ramazaan..mubarak doston...
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 04:53:23 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.139 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer