::::kismat ya dua::::::::

by ehsaas chahat ka on November 19, 2009, 09:22:28 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1906 times)
ehsaas chahat ka
Guest
aap Kismat par yaqeen rakhte hain ;;;

ya

aap samajte hain ke kya  dua kismat ko bhi badal sakti hai....
[/b]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kismat me hi na thi by paro_ka_deva_devdas in Shayri-E-Dard
kismat by dev_omu in Shayri-E-Dard
Kismat by Sonu in Shayri-E-Dard
KISMAT !!!!!!!!! by Ninaah in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
Khud Ko Khush-kismat Kahun Ya Bat-kismat? by Devdas_online in Shayri-E-Dard
Talat
Guest
«Reply #1 on: November 19, 2009, 12:48:59 PM »
Mera maanna hai ki Insaan ki kismat uske haathon main hai.....Insaan apni mehnat se kismat likhta hai.......Haan lekin kuch cheezon par insaan ka bas nahin chalta, shayad use hi taqdeer kehte hain.....magar kehte to ye bhi hain ki Dua se taqdeerain bhi badal jaaya karti hain !

Mujhe dua pe poora bharosa hai....sachche dil se maangi dua zaroor qubool hoti hai, chaahe wo us shakal main na ho, jis shakal main hum use chahte hain lekin humare haq main jo behtar hota hai, wo usi surat main qubool hoti hain.....! Hadees main bhi aaya hai ki Dua Momin ka hathyaar hai !!
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #2 on: November 20, 2009, 11:28:21 AM »
Khuda Ne humari Taqdeer likhi hai usse hi hum kismat mante hai aur ye bolte hai ki jo kismat hoga wo hi hoga per kismat ko hum khud likh skte hai change kar skte hai kyuki yuhi hath pe hath dharne se koi kismat nahi badal skti hai ek kahawat hai ki kisi ne padit ji ko apna hath dikhaya to padit ji ne bola ki teri kismat to bahut acchi tu kroro sampati ka malik banega ab agar wo padit ki bat manke chale aur ghar per jakar beith jaye aur yehi soche ki padit ji ne kaha hai ki teri kismat acchi hai to ab apne aap hi dhan ghar aa jayega per aisa nahi hota hai padit ji ki bat ko apne dil mein rkhkar agar khoob mehnat kare aur apni kismat mein jo likha hua hai usse paye wo hi sahi kismat hoti hai to ye to such hai ki khuda ne sirf kismat likhi hai usse change karna humare hath mein hai

Kabhi Kabhi Kismat nahi dua ki bhi jarrurat padti hai kabhi aisa hadsa ho jata hai ki bina duaa ke wo sab kuch hasil karna aasan nahi hota hai dil se mangi hui her dua uparwale ke sajde mein jarrur kabool hoti hai dil saf hona chahiye
isliye hum kismat aur dua dono per hi belive karte hai
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #3 on: November 20, 2009, 12:00:15 PM »
Dar asl qismat do tarah ki hoti hai jisko likhne wala wahi hai jo hum sab ka malik hai yaani RABBUL-ALAMEEN. Hamri qismat hamre paida hone se bahut pahle likh di jaati hai. Ek qismat MUALLAK aur dusri GHAIR-MUALLAK hoti hai. MUALLAK qismat dua, sadqa, ibaadat se badal sakti hai jabke doosri wali qismat kisi bhi tarah nahin badal sakti jaise Maut. Thanks.
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #4 on: November 21, 2009, 03:33:38 AM »
Good question Ehsaas ji,Celmira ji,Rishi ji,Riyaz ji,main aap sabhi ke baato se sahemat hoon,bahut achi tarah se aap sabhi ne explain kiya aur sahi bhi hai. Thumbs UP Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #5 on: November 21, 2009, 08:30:33 AM »
Good question Ehsaas ji,Celmira ji,Rishi ji,Riyaz ji,main aap sabhi ke baato se sahemat hoon,bahut achi tarah se aap sabhi ne explain kiya aur sahi bhi hai. Thumbs UP Applause Applause Applause Applause Applause

Thnx Madhu JI
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 01:39:49 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.127 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer