MERA ANUMAAN...........

by Dineshkumarjonty on January 09, 2014, 11:14:05 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 788 times)
Dineshkumarjonty
Guest
Jiska koi nahi uska KHUDA hota hai......


Log kahte hai jiska koi nahi uska KHUDA hota hai to ise u bhi kah sakte hai jiska KHUDA uska koi nahi hota hai.......

Ab ye batao vo insaan lucky huaa ya unlucky huaa. usse puchhna vo unlucky batayega tum yahi kahoge ar vo insaan unlucky hi hoga par uska KHUDA to vo insaan lucky hona chahiye.....

Chalo chhodo KIRSHAN BHAGWAAN ne kaha tha koi kisi ka na to baap hai na maa ar bahan ye sab yaha ke rishte naate hai hume keval apna karm karna chahiye to koi bhi ye samajta hai ki vo risto main hai ya kisi ka kuchh lagta hai vo apne aap ko lucky samajne ki galti kar raha hai lakin jab vo in rishto ko KIRSHAN BAGWAAN ke anusaar na mankar karm karta hai to vo insaan lucky huaa lakin aisa nahi hai insaan keval agyan ke karn aisa sochta hai ki vo lucky ya unlucky hai.....

Jab use satay ka pata chalta hai arthat us PARMPITA ka jo perfect hai to use pata chalta hai perfect kya hai. perfect cheez kabhi bhi lucky ya unlucky nahi ho sakti hai maan lo vo lucky hai to unluck se kuchh relation hoga sidhi si baat hai satay hai lucky ya unlucky nahi......

Ab main batata hoo main ye kyu bata raha hoo.is duniya main kuchh bhi lucky nahi hai mera matlab keval nagative hai ar hum agyani hai ar gyan milne ke baad bhi hum keval samj sakte hai ki positive kya hai hum indriyo ke vash main hai ar indriyo ko vash main karne ke bavjood bhi hume jina isi duniya ke anoosaar hai....

to ek jagah hai jo nagative ar positive hai jise hum nark kahte hai mai aage batata hoo vaha kya hota hai ab rahi positive ki baat ab keval ek jagah hai vo hai swarg rahi baat svarg main kya hai uska andaaja hi lagaya ja sakta hai vo jagah itni lucky hai itni positive hai ki hum jaise tuchh parani keval andaaja hi laga skte hai.....




Nark kya hai ar vaha kya ho sakta hai.......

jo tum samjte ho ki vaha garm tel ki kdhayi main dala jata hai kuchh is tarh ki sjaye di jati hai mere anusaar vaha aisa kuchh nahi hai kyoki agar vaha humare ko kuchh sjaye di jati hai to koi andha bimar ya kuchh kamiyo ke saath kyu paida hota hai jabki vo vaha saja boogat chuka hai aisa nahi hai jo hum karte hai vo hume yahi bhoogtna padta hai isi janm main ya agle janm main......

Nark main mere anusaar ek ladka ar ek ladki kaid hote hai vaha kuchh bhi nahi hota ladka leta hota hai ladki baithi hoti hai ladki ka sir jhooka hota hai ar vo behad khubsoorat hoti hai unhe ek dusre ke paas jane ki izazat nahi hoti ar vo chahkar bhi paas nahi aa sakte.......

jab ladke ki saja poori hoti hai to vo aazad ho jata hai ar vo ladki ke paas jane ko sakta hai ar jaise hi ladki ki saja poori hoti hai vo sir utha leti hai ab dono ek dusre ke paas aa sakte hai.......

Iska kya matlab hai unhe aisi saja kyu mili hoti hai ise is baat se samja ja skta hai ki unhe baad main paas aane ki izazat mil jati hai......

Aap log samjte hai vaha kadhayi main dala jata hai ye kaam to is duniya main bhi hote hai fir mere kahne ka matlab hai tum jo galat kaam karte ho uski saja yahi par janm lekar milti hai ya milegi....

Ab swarg kaise mile iska jwab tum nark main jo hota hai usse laga lo yani pyar main dhoka jaanbujh kar mat do ar galat kaam koshish kro janne ke baad mat karo.....Bagwaan haumre sath nainsaafi nahi karta hai yaha par bhi nagtive hone ke baad bhi hum zindgi ke maze le sakte hai......

rahi nark ki baat ek baar usse puchhna jisne mohobbat ka apmaan saha hai ar jisne kiya agar vo mane to kiya hai to kiya hai...
ek baar usse puchhna jisne kisi ko peeda di hai ek baar usse puchhna jisne peeda sahi hai sahi uttar khud mil jayege ar Aap andaaza laga paoge ke aro ke saath ar aapke saath kya hona chahiye......


Swarg kaisa ho skta hai.......


1.Swarg kaisa bhi ho vaha se dharti par kya ho raha hai nahi pata chalta hoga kyoki yaha paap dukh dard bhi hai jo ki vaha jahan main kah skte hai nahi hone chahiye.....

2.vaha jitni bhi indriya hai nahi hogi kyoki indriyo par kaabu paa bhi le to bhi indriya janti hai ya vo kya karne ke liye bani hai isliye indriya nahi ho skti hai.....

3.vaha yaha ki yaade nahi hogi bus itna yaad hoga ki hum kabhi yaha the isse Swarg ka arth saarthak hota hai... baki yade rula sakti hai.....

4.Swarg main tumahara saathi jaroor hogo tanhai ke bus ki nahi ki vaha sata sake ye sahi bhi nahi hai.....

5.vaha tumhe Bagwaan bhejega vo tumhe na to yaad rahega na dikhega ye Bagwaan ki marji hogi kyoki vo tumhe Swarg main jhookna nahi chahta vo bhut achha hai.....

6.vaha dimak jaisi cheez nahi hogi kyoki dimak ka kaam hai sochna ar sochne ka matlab kuchh chahiye jabki vaha kisi cheez ki zaroorat nahi hogi.....

7.vaha humara maas ka sharir na hoga sehat banna ar bigdna matlab nahi banta....

8.vaha aatma ka roop badal chuka hoga aatma yaha ke liye hai isliye humme hai.....

9.vaha punch tatav nahi honge jisse ye duniya bani hai Swarg bhi aisa ho matlab nahi banta.....

10.paap punye dharm karm nahi honge lakin tumhara saathi hone ke karn Pyar jaroor hoga tanhayi ka phale bata diya hai maine.....


YE SAB MERE ANUMAAN HAI MAIN DAVA NAHI KARNA CHAHTA HOO TUM APNE ANUMAAN LAGA SAKTE HO......


K D

 angel11
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mera sajan mera sakha bhi Krishn,meri behen mera bhrata bhi Krishn by khumaar in Shayari-e-Parastish
Mera Fasl-e-Gul se Hisab hai, Mera Karz Tay Hai Bahaar Par..... by vipul kumar in Ghazals
Mera Yaar..Mera Pyaar............Kash by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Mera Pyar Jaisa Saaya Mera by Bhupinder Kaur in Other Languages
MERA SANAM MERA KHUDA....SOUDAGAR by soudagar in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #1 on: January 09, 2014, 11:26:31 PM »
Gud Work.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 05:19:56 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer