kash!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

by Naya_Daur on November 01, 2006, 10:32:46 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1099 times)
Naya_Daur
Guest
dil ka katra katra ajj baha doon
har sulagta armaan mitta doon
hosh na rahe mujhe ajj koi
aapni har saans jaala doon

likhna mera dard mein
na samjh paayega woh phir bhi
kis kalam,kis sehai se
ajj usse main apna kalaam bata doon

jaanta hai woh mujhe
jee nahi sakta uske bin
phir bhi shayad woh bhool jaye
par kaise main ussko bhula doon....

kash! usne kabhi dekha hota
gale laga kar phir woh bhi rota
seh leta main yeh doori bhi
par abb khud ko kaise samjha lu....



for replies:- http://www.yoindia.com/forums/ajj-phir-udhas-hu--vt21078.html
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ay kash by muneeb in Shayri-E-Dard
Kash by Meena in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 »
kash by tushar_4u_im in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 ... 8 9 »
KASH**** by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
KASH!!!!!! by Munahil Ali in Shayri for Dard -e- Judai
Shikha12
Guest
«Reply #1 on: November 13, 2006, 10:51:21 AM »
Bahut Khoob Jeet Ji... Bahut achha kalaam hai...
Koshish karti hoon isse apne shabdon mey bayaan karne ki....


Quote
dil ka katra katra ajj baha doon
har sulagta armaan mitta doon
hosh na rahe mujhe ajj koi
aapni har saans jaala doon


Here Poet wants to kill all his feelings and desires from his heart. He wants to forget every thing about him including his heartbeats...

Quote
likhna mera dard mein
na samjh paayega woh phir bhi
kis kalam,kis sehai se
ajj usse main apna kalaam bata doon


In these lines, he says that his lover is not able to understand what pain he is going through and also he dont know how could he express his feelings to his beloved.

Quote
jaanta hai woh mujhe
jee nahi sakta uske bin
phir bhi shayad woh bhool jaye
par kaise main ussko bhula doon....


Poet’s Beloved knows that she is the only reason of living for the Poet… Still she could forget him.. But Poet is finding it difficult to forget his beloved…

Quote
kash! usne kabhi dekha hota
gale laga kar phir woh bhi rota
seh leta main yeh doori bhi
par abb khud ko kaise samjha lu....


Here poet wish only if his beloved could have been closed to him and could understand poet’s love then she should know his feelings and sufferings… Poet could then try to live without her but now it has been difficult for the poet to make him understand to live being separated by the girl whom he love so much…


Hope... I have done Justice to your work Jeet... Puzzled !
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #2 on: November 17, 2006, 05:48:15 AM »
Shikha ji ..... aapne ek ek word ko sahi lehaj se explain kiya hai...  aapka review pard ke mujhe lagg raha hai .. shayad main jo kehna chah raha woh abhi bhi adhura hai.... kissi aor poem mein  poora karne ki koshish karunga.. jo likha gaya hai.. uss ko sahi tarah se aap ne byaan kiya hai Thanks For reviewing .... !!!!!
Logged
Tosha
Guest
«Reply #3 on: December 18, 2006, 01:58:23 PM »
Quote
dil ka katra katra ajj baha doon
har sulagta armaan mitta doon
hosh na rahe mujhe ajj koi
aapni har saans jaala doon

shayer junoon main hai aur daard ka ishar ker raha hai ...  is haad tak ki wo khud ko bhi mita sakta hai

Quote

likhna mera dard mein
na samjh paayega woh phir bhi
kis kalam,kis sehai se
ajj usse main apna kalaam bata doon

shayer aapne is daard ka ishar kerte hue kahe rahe hai ke jisne usse yeh daard diya hai wo uske daard ko nahi samajh payega per phir bhi wo usse ahesas dilana chata hai.

Quote

jaanta hai woh mujhe
jee nahi sakta uske bin
phir bhi shayad woh bhool jaye
par kaise main ussko bhula doon....

shayar aage kaheta hai ke wo shaks usse bhali bhati jaanta hai aur wo jaanta hai ke wo uske bina nahi jee sakega lakin us shaksh ko pharak nahi padta.

Quote
kash! usne kabhi dekha hota
gale laga kar phir woh bhi rota
seh leta main yeh doori bhi
par abb khud ko kaise samjha lu....

shayer yaha pe kaheta hai ke agay wo shaks shayar ko mil jaye to usse ahesas hoga shayar ke daard ka aur tab shayar door hoke bhi aapne dil ko samjhaleta ke kam se kam us saksh ko shayar ke daard ka ahesas to hai.
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #4 on: December 19, 2006, 12:46:01 PM »
kafi shayarana ho gaya Tosha ji ... :wink: ... ek dum sahi tarah se aapni mere likhe ko samjha aor likha.. thanks !!!
Logged
Tosha
Guest
«Reply #5 on: December 19, 2006, 01:07:12 PM »
well ... chit chat mana hai ... fir bhi!!

i had to read it two times ... i liked it ... and the fact it has less words empressed me ... i tend to get bored wth long and huge poems tongue3

Comments : Well expressed in minimum words.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 04, 2024, 03:08:09 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.139 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8500 Real Poets and poetry admirer