Nishan aawara kay sakhtyati mafaheem

by Dr Maqsood Hasni on October 07, 2009, 04:47:50 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2298 times)
Dr Maqsood Hasni
Guest
AAWARA

Yah nishan la’yaniat aur bai’maenivat say monsalik hai. Es ka (mamba) hasal hamaisha sifar raha hai. Es ka aaghz (Starting point) madoom rehta hai. Mukhtalif korroon main mukhtalif hawaloon say es nishan ki survival barqarar rehti hai. Bikhraoo aur entashar es ki fitrat ka hissa rehtay hain. En anasar kay zair-e-assar mafaheem motayun hotay rehtay hain. Maslan: 

Bai’huda, perrishan, kharaab-o-khasta, obash, baad challan, shouda
Bai’ghairat
Bai’thikana, tapriwans, jipsi
Bai’maqsad ghomanay phernay wala
Jo eak maqam par aqamat ekhtayar na karay. Bar bar karaia ka makan badalnay wala, eak jagah par na teknay wala, la’yaeni saeer sapatay ka shoqeen
Kanwara, shadi shuda lekin ortoon say taalaqat ostawar karta rehta ho, therki, jiss ka kerdar ashsha na ho, larkioon kay peshay phernay wala, ortoon ka shoqeen, aashaq, aashaq tabaa
Jiss ka koe khasam saein na ho
Baykar,nakamma, jiss ko koe kaam kaj karnay ki aadat na ho
Bay’roozgar
Gashti, fahshah, Paishawar’oorat, oortoon say dhanda karwanay wali/wala, khawand kay elava mardoon say ta’alaq rekhnay wali
Bai’tarteeb, bikhra howa
La’parwah,
Jo apni seat par na milta ho
Baad’maash, ghonda, mowali, juram paisha, choor ochka
Mehwar say door/baher ho janay wala, jis ka koe mobda na ho, control say baher, jo dastaras main na raha ho
Raat ko bilawaja daiar say ghar aanay wala
Jis ki zarorat rehti ho likin dastyab na hota ho
Jo konbay ki hefazatt or kafalat na karta ho, jo kamae kha pi ja’ay
Jowari, sharabi, zana’kar
Hamdardiaan badalnay wala, ostawar na rehta ho, na maloom kab mukar ja’ay
Lota, parteaan tabdeal karta rehta ho, jahaan ziyada churi ki offer ho , odhar phir janay wala
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: October 07, 2009, 11:34:12 PM »
Bahut bahut achi sharing kiya aapne Maqsood ji.excellent icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
Dr Maqsood Hasni
Guest
«Reply #2 on: October 08, 2009, 08:46:07 AM »
shukarreya janab,
yah sab Eshvar ki diya kirpa aur aap ahbab ka asheer'baad hai.
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #3 on: October 10, 2009, 05:38:07 PM »
Nice
Logged
Dr Maqsood Hasni
Guest
«Reply #4 on: October 11, 2009, 03:49:51 AM »
shukarreya janab
yah sab Eshvar ki kirpa hai.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 02:09:43 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.146 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer