AAFAT - A tale of horror (Horror story)

by ASIF on May 20, 2023, 10:50:46 AM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 838 times)
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
21 hours and 1 minutes.
Posts: 164
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #15 on: May 20, 2023, 11:48:58 AM »
Chapter 12 (final chapter)

"Azib ladka hai yeh itna din ho gaya lekin koi phone nahi khabar nahi aakhri baar phone karke keh raha tha ki jald hi humse milane aayega"

"Arre guddu ki maa tum khamokah itna pareshan hoti ho wo ab bada ho chuka hai zimmedar ho chuka hai naukri karne naye sheher gaya hai ab thoda waqt toh oose aane mein lagega na"

"Theek hai par kam se kam phone to kar sakta hai main gaur kar rahi hoo pichle saal se kabhi mahina mahina nahi phone karta aur ekdum se kayi waqt baad phone karta hai toh fhir jaldbazi se phone kaant bhi deta hai uska dost Aziz ko bhi call Kiya toh sunne mein aaya ki uska qatl ho gaya aur wo bhi gaye raat kisi highway mein laash gaadi mein mili thi isi babat toh maine guddu se us raat puchna chaha toh usne jaldbazi mein phone kaant diya fhir ekdum se wo kya nam bataya tha marghoob usne phone karke pucha ki kya guddu yaha aa raha tha?" mujhe to bahut Darr lag raha hai ki kahin guddu humse kuch chupa to nahi raha"

"Tum khamokah darr rahi ho sab khairiyat se hai agar kuch galat hota to guddu ne pehle humse kaha hota"

Abhi wo dono baat hi kar rahe they ki tabhi darwaje ki ghanti baji, dono darwaje ki taraf sawali nigaho se dekh fhir ekdusre ko dekhne lage, guddu ke baba ne jaakar darwaja khola toh dang reh gaye, guddu muskurata shoumi ke sath khada tha aur shoumi ke pehanave se yahi lag raha tha ki wo uski biwi ban chuki thi, maa bhi hairat se pass aakar dono ko dekhne lagi,

Guddu ko dekhke aisa lag nahi Raha tha ki us raat uske saath kuch ghata tha wo ektak muskurate huye apne maa baba ko ghurr raha tha uske baba aur maa dono ekdusre ka munh dekhte huye apne bete aur uski biwi shoumi ki taraf dekhne lage,

"Maa tum kehti thi na ki shoumi tumhara Meri gairmauzdgi mein bahut khyal rakhti thi hamesha aap dono se milane aati thi, aaj main oose hamesha ke liye is ghar ka hissa banake le aaya Aaj se ye meri wife hai hum dono ne shaadi kar li"

"P..ar kaise?"

Shoumi ki aankho ko dekhte dekhte uske baba aur maa dono ektak oon nazaro ko ghurrne lage jo rang badal raha tha guddu bas muskura raha tha, kuch dair khaamoshi yu hi rahi wo dono aisa lagta tha jaise shoumi ke kaabu mein aa chuke they,

"Humhe andar nahi aane dengi aap?"

"Kyu nahi beti? Ab to ye tumhara bhi ghar hai"

Guddu ki maa bhi muskurakar oose andar le aayi, shoumi unke pair chune lagi toh unhone oose aisa karne nahi diya aur apne gale se laga liya, shoumi ne gale lagkar ek baar apni unhi kaali Syah aankho se guddu ki taraf dekha guddu bhi muskuraye apni neeli chamakti aankho se bas oose muskuraye dekhe jaa raha tha,

Shoumi guddu ki maa se alag hokar un dono ki hi taraf dekhne lagi, guddu ke baba bhi chupchap khade they,

"Aaj se ye ghar mera hai aur aap log mera parivar ab main aur guddu aap logo ko chodhkar ab kahi nahi jayenge kahi bhi nahi"

Kehte kehte shoumi ki Syah kaali aankhe dobara insani aankho mein tabdil ho gayi, guddu ne paas aakar ooske kandhe pe haath rakha aur oose apne kamre ki taraf upar le jaane laga,

"Aao chale shoumi"

Guddu shoumi ko liye sidiyo se upar le jaane laga, uske maa baap bas muskuraye waise hi waha khade reh gaye, aisa laga jaise wo apne hosho hawas mein they hi nahi,

                               ----------

Us Aamil ka shagird us waqt masjid mein namaz padhne gaya tha, namaz puri karne ke baad wo masjid mein hi tamam yateem aur moujjin ke sath baitha khaana khaa raha tha, khadim oose bata raha tha ki pichle kayi roz sheher mein kis tarah rahasmayi mautein huyi thi jiska sidha rukh kisi kaale jaadu se tha, ye sunkar shagird ne un ladko ke baarein mein bataya jo unke aamil ke paas masla leke aaye they, jinke bachne ki koi gunzaish nahi thi un mauto mein se ek unhi ladko ke ek dost ke sath ghati thi, fhir uske baaki dost bhi maarein gaye aur yahi nahi isi masle ke kaaran police ne unhein thaane talab kiya tha, sab sunne janne ke baad khaane se farig hokar shagird masjid se bahar us chote galiyare se hota hua aamil ke kamre tak pahucha,

"Chacha jaan darwaja kholiye chacha jaan"

Lekin darwaja kisi ne nahi khola, aisa to kabhi nahi hua tha ki ki unhone kamre ka darwaja kabhi lagaya ho, "oh chacha jaan sab khairiyat to hai?"......shagird dheere dheere darwaja zor zor se peetne laga lekin tab bhi unhone darwaja nahi khola ab shagird ko kuch azib sa khauff hone laga, wo bhaagta hua khadim aur kuch logo ke sath wapis lauta, darwaja badastur peeta jaane laga par kisi ne darwaja nahi khola, darwaja aakhir mein todna shudu kiya gaya kyunki waha mauzud tamaam logo ko unki khairiyat ki fikar hone lagi,

Darwaja tod diya gaya aur jab darwaja khula to waha tamaam amal ka saaman bikhara pada tha aur jo haulnaak manzar sabne dekha toh ek pal ke liye kisi ne aage badhne ki himmat nahi ki, ek rassi unke gale mein aise fassi thi jo khoon se sana tha pankhe se unki laash latki padi thi zubaan bahar tha aur dono aankhen jaise katoriyo mein nikali huyi thi, kya wo waqayi khudkhushi tha?

Sabki ek sath nazar waha baithi ek kaali billi pe uthi aur wo tapakte laash se girte us khoon ko farsh par se chaantte huye ekdum se unki taraf apni chamkili aankho se ghurrne lagi, kisi ne oose waha se bhagaane ki koshish ki to wo jaise ghurrai aur fhir ahiste ahiste kadamo se chalte chalte laash ke theek bagal waali khuli khidki par chadhkar waha se bahar chali gayi, mahoul sannate aur dehshat mein chaa gaya,

                                 --------

 Raat 12 baj chuka tha bijliya kadak rahi thi Mausam ka mizaaz aaj un tamaam raato ki tarah tha, ghar mein har taraf neem andhera tha har koi apne kamre mein soya pada tha siwaay us kamre ke jaha shoumi aur guddu apne bistar par mauzud ek dusre se lipate huye they,

Shoumi guddu ke badan se alag hokar apni saree apne badan par lapaitte huye bistar par baithi, guddu apni ukhadhti saanson ko kaabu mein karta gehri neend mein tha shoumi uske nange badan par haath phairti huyi jab bistar se uthi to uski nigah aayene ki taraf uthi, reh rehke bijli se kamra Roshan ho raha tha, shoumi us aayene ko ek tak ghurrne lagi, us aayene mein bijli ki chamak mein saaf dikha wohi ghane baal wohi syah kaali aankhen wohi safed chehra wohi lambe nakhun aur wohi khaufnak hontho par muskurahat, shoumi tahaka lagaye hasste huye khule aangan ki taraf badhne lagi aur niche farsh par uske ulte pao pe laga Alta piche apne nishaan chodhte jaa raha tha, usne teherkar apni nigaho se piche bistar pe soye apne shouhar ki taraf dekha aur muskuraya fhir aangan ki taraf gungunaate huye wo ulte pao se jaane lagi,

THE END....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
.....Real Horror Story..... by sweet_raabii in SMS , mobile & JOKES
Tehkhaana (Horror story) by asif biswas in General Stories
Raj mahal (horror story) by asif biswas in General Stories
pretjaal (horror story) by raj1111 in General Stories
दर्दनाक चीख - Horror Story (2017) by asif biswas in General Stories « 1 2 3  All »
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 28, 2024, 05:57:05 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer