AAFAT - A tale of horror (Horror story)

by ASIF on May 20, 2023, 10:50:46 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 830 times)
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
21 hours and 1 minutes.
Posts: 164
Member Since: Feb 2021


View Profile
Dosto kaise hai aap? Main aapka chahita writer Asif ek baar fhir aapse rubaru ho raha hoo apni ek aur nahi dilschap horror daastan ke sath yun toh is saal ki ye meri dusri kahani hai aur umeed karta hoo aap sabko pasand aaye aur aap apna keemati sujhav zarur de is baar maine kuch hatke likhka hai aur ek aise subject par ye darawani daastan likhi hai jo kalpanik hai lekin asliyat se aapko kahi na kahi rubaru karayegi, kahani shuru karne se pehle main kuch arz karna chahta hoo ki kahani mein likhe kuch cheezein aapko vichlit kar sakte hai isliye Vivek se kaam lijiyega aur kahani aapko agar galat lagta hai to bejhijak mujhe comment karke bataiyega, tona totka kaala jaadu in sab pe main to yakeen nahi karta lekin hidayat deta hoo ki kabhi bhi aap in sab chakkaro mein na pade ye meri zyadti tajurba hai aap sabse baaki aap sab khairiyat se rahe yahi dua hai maine pichle saal 2022 mein "haavi" likhi thi aur socha tha ki is saal uska sequel kisi naye title ke naam ke sath likhu lekin baad main maine ye faisla chodh diya ki mujhe us kahani ka agla bhaag likhna chahiye kuch personal wajah they jo main byan nahi kar sakta fhir maine aafat naam "firaaq" ke dauran jo is saal ki pehli likhi meri crime thriller kahani hai us waqt maine soch liya tha ki main isi saal horror dastan ke taur par likhunga "aafat" ka do plot maine socha tha pehla mujhe pasand nahi aaya toh maine dusra plot yahi socha jo ki pehli dafa main likhna chahta tha yun to jinn, bhoot palit, werelions aur bhediye shaitan vampires par main bahut likh chuka hoo par is baar kuch hatke likha hai umeed hai aapko pasand aaye anyway toh shuru karne jaa hoo meri nayi horror daastan "Aafat - a tale of horror"

Disclaimer - This story is a fictional story, any characters,places,events written as a fiction thought and does not promoting and encouraging any superstitious thought and practices,some erotica scenes are written according to the storyline not for intentionally,and humble request to readers avoid the story if u feel story disturbing,This story not written to promote any kind of community hatred or targeting any religious group, this story not written to hurt the feelings,sentiments of any religious stuff, person or devotions etc..Some real places have been mentioned and been written according to the study and true facts only to make a fictional storyline intentionally,this story is original work of writer Asif biswas and as a writer i strictly not giving any permission to cnp this story to any other forum board, just pls share it

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
.....Real Horror Story..... by sweet_raabii in SMS , mobile & JOKES
Tehkhaana (Horror story) by asif biswas in General Stories
Raj mahal (horror story) by asif biswas in General Stories
pretjaal (horror story) by raj1111 in General Stories
दर्दनाक चीख - Horror Story (2017) by asif biswas in General Stories « 1 2 3  All »
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
21 hours and 1 minutes.
Posts: 164
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #1 on: May 20, 2023, 11:27:35 AM »
Chapter 1

Wo do manzila imarat thi jiski khidki se bahar aati roshni saaf zaahir kar rahi thi ki us kamre mein rehne wala insan abtak itni raat gaye soya nahi tha.....roshni apne kamre mein idhar se udhar tehel rahi thi wo bechain thi gale aur maathe pe pasina tha jabki us waqt Mausam sard tha...wo ek gore rangat ki saaf suthri nain naksh waali mushkil se 26 saal ki umar ki naujawan ladki thi,

Uske dil ki dhadkan oose us waqt apne kaano tak sunaai de rahi thi uski bechaini kisi anchahe dehshat ki thi jispe wishwas karna kisi ke bas ki baat nahi thi...usne chaha ki wo apne dosto ko phone karke bataa hi de ki kareeb 2 din se uske saath kuch azibogarib ghat raha tha lekin kaun yakeen karta? Kyunki aisa tajurba toh sirf ooske sath hi ghat raha tha kahin in sab ki wajah wo to nahi! Uska naam zabaan pe laana oose aur bhi dehshat mein daal raha tha fhir usne apne Mann ko samjhaaya kaise aakhir kaise ho sakta hai wo toh ab is!

Itne mein achanak kadakti bijli ki gargarahat ne oose daraa diya wo sihmi huyi ekdum se khulti khidki aur oosse bheetar bahar se aati tej ho ho karti hawao ke jhonke ko mehsus karne lagi khidki hawa ke thapedo se khul rahi thi band ho rahi thi usne khauff bhari nigaho se bahar ke neemandhere ki taraf ekbaarki jhanka aur fhir ahiste ahiste kareeb aayi fhir ekzordar jaise bijli ki gargarahat huyi aur jaise sard hawa uske kaano mein gunzte huye uske pure tanbadan se guzar si gai,

Usne aasman ki taraf bahar jhanka aasman badalo se ghira tha aur aandhi chal rahi thi jiski dhool se uski aankhe michmicha gayi fhir usne aankhen ponchte huye abhi sar uthaya hi tha ki oose andhere sadak par kai awara kutte apne hi imarat ke bahar fatak ke kareeb khade dekha wo ek saath haww haww karte huye roye jaa rahe they...theek tabhi bijli kadki aur usi waqt roshni bahut zyada Darr gayi usne jaldi se haath bahar kiya aur khidki ko mazbuti se bheetar ki taraf kheecha aur fhir lagaya kundi chadhate huye jaise uski saans mein saas aayi aise hi bechaini aur ye manhus raat har taraf se oose khauff dila raha tha,

Roshni abhi mudkar bistar ki taraf jaa hi rahi thi ki tabhi light chali gayi ekpal ko uska rom rom sihar utha beech beech mein aati bahar se kadakti bijli ki roshni andar sheesho se dakhil hoti toh oose apni parchai diwar mein kaafi darwani si lagti...kaash wo bhi hafte pehle apne parivar ke sath unke rishtedar ke yaha ghumne chalo jati lekin apni premi ki mohabbat mein geraftar usne akele rehne ka faisla kiya tha kise pata tha us hafte bhar mein kya kuch uske zindagi mein ghata tha wo abhi khud pe kabu kiye aage badhi thi ki usne diwar pe apni parchai ke sath ek aur parchaai dekhi wo kisi aur ka saaya tha iska matlab tha koi waha tha,

Roshni thithak gayi maano oose kaanto to khoon nahi usne kaanpte huye bari bari nigahe nikale piche ki or palatna shuru kiya aur wo palatti gayi piche mudte hi jaise uska chehra safed pad gaya aankhe katoriyo se bahar ubalne jaisi ho gayi aur ek haulnaak cheekh uske gale se pure imarat mein jaise gunz uthi,

Saamne ek daayan jaisi aurat jiske baal bikhre huye andhere ke bawjud sheeshe mein uski jalti khoon ugalti wo chubti nazarein roshni pe hi thithaki huyi thi....uska kamra kayi foot upar tha khidki ke bahar koi chajja wagaira bhi nahi tha toh kya wo waqayi utni lambi waha khadi thi ya fhir wo hawa mein tair rahi thi....cheekhte huye wo ulte pao bhaagi darwaja dhakelte huye wo sidiyo se niche fisalte bachte huye baar baar upar sar uthaaye niche utari pure Ghar ke mein andhere ki wajah se kuch dikh nahi Raha tha achanak uska pair kisi cheez se takraya aur woh sidha zameen pe munh ke bal gir padi, ek karaahat uske gale se nikli aur wo dum saade zameen pe dard se padi rahi,

Bijli ki roshni beech beech mein pure hall mein pad rahi thi usne subakte uthte huye ek baar kanpti nazaro se sidiyo ki taraf dekha achanak oose apne kamre ka darwaja ahishte ahiste aur khulta nazar aaya darr se uski aankhe fhat padne ko huyi wo langdaayi taang ki chot thaamein kitchen ke taraf lapki aur waha diwaar se satkar khadi ho gayi usne dheere dheere hall ki taraf upari sidiyo ke paas dekha toh nazara aur bhi dehshat bhara tha,

Wohi saaya us aurat ka sidiyo ki taraf kamre se bahar nikalte huye aa raha tha aur aisa lag raha tha jaise wo chal nahi Rahi thi uski dono taangein hawa mein jaise tair rahi thi wo saaya dheere dheere niche ki taraf aa raha tha roshni ka pura badan tharr tharr kaanp raha tha ye oose koi bura khwab lag raha tha usne kitchen ke paas padi chaaku ko utha liya aur fhir koi chupne ki jagah talashne lagi waha se bhag paana asan nahi tha phone upar hi reh gaya tha wo na apne maa baap ko call kar sakti thi aur na kisi aur ko!

Wo waise hi dubki khadi rahi kayi waqt guzar gaya lekin us saaye ne kitchen ki taraf ka jaise Rukh nahi kiya, kya wo bhi ghaat lagaye bahar hi mauzud thi usne apni ankho se saaf saaf uska huliya dekha tha wohi jism wohi chehra wohi kapre lekin wo nahi ho sakti thi wo to kabka!

Fhir bijli kadki aur is baat roshni bhi kaanp uthi zehan todte huye wo aage badhi jab koi harqat usne hoti na dekhi...usne bahar jhaanka hall neemandhere mein duba tha achanak uski nazar table ke upar padi torch par huyi jo usse kuch hath dur thi...wo jhat se torch pe haath maarte huye kabu mein kiye usko jala uthi...usne sarsari nigaah se hall ke charo taraf roshni faiki koi nahi tha lekin jo uski aankho ne dekha wo kya tha? Achanak uske piche koi darwaja charr charati awaz ke saath khulne laga...

Usne palatkar torch kitchen ki taraf maari kitchen ka nichla ek daraaz ka darwaja adhkhula pada tha aur wo khaali tha lekin daraaz khula kaise? Wo apne kadam kitchen ki taraf badhaa hi rahi thi ki tapp tapp karti koi geeli cheez uske maathe se lagke farsh pe giri...usne apne maathe ko chua toh torch ki roshni mein oose dekhne lagi wo khoon tha!

Roshni ki gardan apne aap upar ki taraf uthne lagi uski aankho se dehshat se aansu aane lage they...kisi ghurrati dohri awaz oose apne kaano mein behad kareeb se sunaai dene lagi uska kaanpta haath torch wala jab upar utha toh usne saaf dekha us kharoch se bhare chehre ko us saaye ko jiske Nukile naakhun ke panje diwaar ko thaame chipke huye they wo ektak roshni ki taraf ghurr rahi thi roshni chilla uthi aur torch uski haatho se fisalkar zameen pe gir pada aur usi waqt kaan ke parde ko fhaad dene waali cheekh ke saath wo saaya roshni pe jhapat pada

                       -------------

Police ki flying squad ki team jo qatal ke daste se taluq rakhti thi us waqt us do manzila imarat ke saamne aa khadi huyi waha pehle se hi qatal ke jhaanch karta doctors photographers waha apne kaam mein jute huye they....imarat ke andar waha ke kisi logo ko andar dakhil hone nahi diya gaya tha....inspector marghoob apni cigarette ka kassh lete huye mauka e vardat pe pahucha jaha laash padi huyi thi wo safed chadar se dhaki thi lekin chadar khoon se lathpath thi....raat dhai Baja tha jab sote se oose headquarter ke phone call ne jagaya tha aur qatal ki babat inform Kiya gaya tha waha uska sub-inspector chupchaap aaspaas ki taraf muana kar raha tha laash hall ke aen beecho beech padi huyi thi ek taraf sidiyo ke paas ek pital ka bara sa phooldan ludka pada tha,

Marghoob ne ek baar pure Ghar ko nazaro se hi charo taraf phairte huye ghura aur fhir laash ke paas jhukte huye chadar hataya ek pal ko wo dekhne ki taav na la saka chehra buri tarah kharocho se cheela hua tha aur jism ka bhi kuch wohi haal tha aisa lagta tha qatal kisi khooni janwar ne kiya ho,

Marghoob ne laash dhakte huye doctor ki taraf sawali nigaho se dekha doctor apne khoon se sane gloves ko utarte huye baayi jeb se rumaal nikaalkar jaise apne chehre pe aaye pasine ko ponch raha tha is baat ko usne note kiya,

"Laash ko buri tarike se zakhmi kiya gaya hai chehre pe jaise kisi nukhile dhaar naakhuno se cheera gaya hai wohi haal gale aur chaatiyo pe bhi kiya gaya hai aur kalaai pe kaatne ka nishaan hai jise dekhkar aisa lagta hai ki khooni ne khoon peene ki koshish ki hai oosi wajah se maut bhi huyi aisa violent case maine kabhi handle nahi kiya it must be committed by an animal"

"Ya fhir koi sociopath psychopathic dimaagi mareez kyunki aam insan to qatl aisa nahi kar sakta khoon peene waali baat kya wo koi narbhakshi hai?"

"Agar aisa hai toh fikar ki baat hai ye haalat kisi aur ke saath ho sakta hai bhala koi aadamkhor yun sheher mein khula ghum raha ho toh!"

"Sir ye dekhiye"

hawaldar sub inspector aur inspector marghoob ko upar se awaz lagaa raha tha...dono sidiyo se upar pahuche jaha ek kamra tha jo yakeenan maktula ka tha waha chaukhat par pahuchte hi sab saqte mein aa gaye pure farsh par sindoor aur khoon bikhra hua tha aur koi gol nishaan sa charo taraf bana hua tha uske dusri taraf suiya nimbu mein dhasi huyi thi aur us nimbu se khoon behke jaise sukh chuka tha marghoob ne ek nimbu rumaal ke sahare uthaake oose dekha

"Humne upari manzil ki Chanbin shuru hi ki thi ki is kamre mein humhe ye sab dekhne ko mila"

"Ye sab toh tona totka aur kaala jaadu jaisa hai kya ye ladki raat gaye akele mein ye sab kar rahi thi"

"Is nimbu se khoon kaise aa sakta hai? Aur agar ladki ki jaan kisi aadamkhor ne Li toh uske kamre mein ye sab kahan se aaya? Kya ye kaam qatil ka hai?"...marghoob ab bhi us suyi chubi nimbu ka muana karte huye kehta hai

Doctor bhi us nimbu ko bade hairat se dekhta hai ek pal ke liye oose bhi aankho pe yakeen nahi hota ki nimbu se ras ki jagah khoon nikla tha doctor ke kapkapate haath mein nimbu ko dekh marghoob samajh jaata hai ki doctor bhi kaale jaadu aur totke jaisi cheez se khauff khaata hai wo un tamaam cheezo ko ikhatta karke evidence ke taur pe samaitne kehta hai...

Apne sub inspector aur doctor ke saath niche utarte huye marghoob sawal karta hai ki qatl ka malumat kaise chala?

"Raat bhaari aandhi chal rahi thi uske bawjud dedh baje ke lagbhag ek haulnaak cheekh sunaai di jo pure ilaake mein faili wo shayad victim ki cheekh thi kuch log awaz ki khoj mein yaha is makaan ke saamne pahuche toh unhe fhatak andar se band Mila"

"Jab gate band tha khidkiya lagi padi thi toh qaatil andar kaise aa paaya?"

"Ho sakta hai wo pehle se hi ghaat lagaye baitha ho"

"Chalo Maan bhi liya toh yaha se bhaaga kaise? Jab yaha khidkiya darwaje aur fatak andar se badastur band tha toh bahar nikal paana kaise mumkin tha yaha koi aafrupi darwaja to nahi aur chatt ka darwaja bhi band hai kya us aadamkhor qatil ko aasman nigal gayi ya zameen"

Sub inspector se jawab dete na bana lekin jo baat usne kahi oose sunkar inspector marghoob bhi chaunk utha

"Hum bhi hairan hai sir ki aakhir qatil gaya kahan? Khair fhatak ko thela gaya lekin wo andar se band tha kaafi awaz bhi di gayi lekin koi bahar nahi nikla tabhi PCR mein kisi ne phone lagaya humhe ikhtila kiya gaya hum yaha pahuche toh police karmiyo ne hi fhaandkar lohe ka fatak khola jo andar se band tha aur fhir ghar ka main darwaja todne ke baad hall ke farsh pe ye laash mili aur aaspaas Jama khoon par ek kaali billi sar jhukaaye oose chaant rahi thi"

"Wo billi kahan hai? Kya wo maktula ki paltu janwar hai toh fhir usne apni hi Malkin ko shikar kaise banaya mehez ek billi itna kuch to nahi kar sakti"

"Hum khud ghabra Gaye they oose laash se hataaya to wo kisi kamre ki taraf bhaagi fhir hum laash aur baaki ghar ke ird gird ki Chanbin karne lage lekin humhe kahi aisa kuch nahi mila aur jabtak aap aaye upari kamre ka kuch aisa manzar dekhne ko mila kya ye koi tantrik ka kaam lagta hai?"

"Agar kisi insaan ka kaam hai toh wo kahan gayab ho sakta hai aur kaise? Aur wo kaali billi bhi gayab kuch samajh nahi aa raha khair ab toh raat hi guzar gayi laash ko fauran lab bhejo aur iske parivar waalo ko inform Karo aur ladki ka rishta kis kis gairo se tha aur kaisa tha mujhe sab Janna hai"

"Sure sir humhe pata chala hai ye iklauti beti hai aur iske maa baap chutti manaane kisi rishtedar ke yaha Gaye huye hai unki gair haziri mein ye ladki aksar ghar pe mohalle waalo ko akeli hi paayi jaati thi baaki kareebi gair mein kaun dost hai aur kaun saheli ye pata hum laga lenge"

"Gud"

Kehte huye inspector marghoob abhi makaan se bahar kadam rakhne hi wala tha ki achanak kahi se hawa ka jhoka us safed chadar se hata to uski nigaah fhir us zakhmi  ladki roshni ke chehre pe padi kisi hawaldar ne aage badhke uske chehre ko dobara dhak diya tufaan tham chuka tha savera hone wala tha....marghoob us suyi chubi khooni nimbu wo gol nishaan farsh pe bikhre wo khoon aur sindur, roshni ke zakhmi laash ko sochte sochte kab apne ghar lauta oose malum hi nahi chala...
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
21 hours and 1 minutes.
Posts: 164
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #2 on: May 20, 2023, 11:28:52 AM »
Chapter 2

Inspector marghoob apni table pe baitha kisi dusre case ke silsile mein uljha tha ki uska phone baj utha usne file ek taraf rakhki aur phone uthaya....."sir maktula ka phone baramad ho gaya wo bistar ke chaukhat ke paas pada tha usmein humhe uske maa baap aur kareeb logo ka contact details Mila hai aur gallery mein zyadatar ek ladke ki tasveer mili hai shayad wo uska boyfriend hai"

"Ladke ki babat pata to kiya hoga"

"Maa baap aaj shaam tak sheher pahuch jaayenge aur rahi baat us ladke ki toh wo ladka is waqt kisi mental institute mein hai"

Aise hi marghoob un tamaam waqyo se sawalat mein tha aur ab us ladke ki babat jaankar oose saqt hairani huyi ki aakhir is case mein ho kya raha tha?

"Wo pagalkhaane mein hain? Kis wajah se aur kabse?"

"Sir ye toh doctor hi bata sakte hai isliye maine aapko us hospital ka address bheja hai aap jaake us ladke se raabta kar sakte hai waise bhi doctor ne saqt aitraz jataya tha lekin jab qatl ka case juda bataya to wo patient ko humse milaane ko tayyar ho gaya kehta hai wo ladki roshni hi us ladke se milane aaya karti thi wo uske kareeb thi"

"Theek hai main khud us ladke se milna chahta hun acha us ladke ka naam kya hai?"

"Guddu Ahmed"

"Gud main phone rakhta hoo aake baat karta hun"

Kehte huye inspector marghoob ne mobile desk table pe rakh diya wo samajh nahi paa Raha tha ki aakhir is rahamsayi hatya ke piche kya wajah thi? Sub inspector ne hospital ke pate ke saath us ladke ki tasveer bhi marghoob ko bheji thi jise shinakat ke liye pehchanne mein oose aasani hoti,

Inspector marghoob aadhe ghante mein hi us mental institution ke saamne khada tha jo kaafi acre mein faila ek naami mansik rogiyo ka aspatal tha...waha pahuchte hi usne receptionist ko apna parichay diya aur case ke sisile mein mareez guddu Ahmed se milane ki icha jatayi....kuch hi der mein wo us doctor ke rubaru baitha tha jo guddu ka ilaaj kar raha tha,

"Taqreeban kuch din pehle hi mr.ahmed ko yaha admit Kiya gaya tha darasal wo depression ke is qadr shikar they ki wo mental unstable ho gaye they haalaki saare reports normal hai humari observation mein wo rakhe gaye hai aur badi had 2-1 din mein he will be absolutely fine"

"Kis baat ka dehshat tha jo oose khaaye jaa raha tha kya wajah thi?"

"Bahut hi azib baat kisi ladki ka naam baar baar leta hai aur kehta hai ki wo oose maar degi wo oose daraa rahi hai wo kisi ko nahi bakshegi"

"Kaun ladki? Roshni? agar aisa hai to main oosi ki wajah se yaha hoo uska qatal ho gaya hai"....inspector marghoob ne jab case ki babat sabkuch byaan kiya toh doctor jaise aasman se gira

"Oh my god yahi ladki to thi jo mr.ahmed ko yaha admit karne aayi thi aur aksar aati rehti thi lekin mr.ahmed Inka zikar nahi karte they wo to koi aur naam! Anyway to aap is  qatl se mr.ahmed ko jodna chahte hai lekin aisa kaise ho sakta hai?"

"Main samajta hoo aap kya kehna chah rahe hai? Ki qatl ki raat to aapka patient yaha admit tha aur sabse badi baat wo apni gf ko maarega hi kyu? Lekin Shaq ke daayre mein wo barabar hai kyunki jo rahashmayi hatya huyi hai usmein uska bhi kirdaar barabar hai kya oose malum chala hai? Ki roshni ab is dunia mein nahi"

"Behtar hoga aap khud ye baat oose bataiye baaki uske haalat mein ab kayi hadtak sudhaar aa chuka hai ab wo pehle ki tarah badbadata nahi hai na ghabrahat se mental unstable hota hai lekin is khabar ko sunne ke baad uspe kya bitegi? I have no clue"

"But it's my duty doctor i have to take his confession wo maktula se sabse kareeb tha aur uske qatl pe roshni ab wohi daal sakta hai baraaye meherbaani aap mujhe uske ward room tak le chaliye"

                        ------------

Wardroom teesre manzil pe tha jaha nurse darwaje pe inspector marghoob ko chodh waha se ruksat ho gayi...marghoob andar pahucha jaha guddu apne bed pe laita hua tha mareez ke kapro mein tha aur shaant laita hua tha usne ek jhalak marghoob ke vardi ki taraf dekha aur fhir hadbadake sidha uth baitha

"Police yaha pe?"

"Abhi tabiyat kaisi hai tumhari?"

"Main theek hoo inspector sahab par baat kya hai?"

Marghoob ne uska muana kiya wo kad kathi se hatta katta 30 saal ka naujawan tha uske chehre pe pareshani ke bhaav they lekin wo kahi se gunahgar nahi lag raha tha..marghoob uske kareeb baitha aur haule se usne tamaam waqya byaan karna shuru kiya jaise jaise usne roshni ke qatl ke babat batana shuru kiya toh jaise guddu fhat pada wo pagalo ki tarah rone laga ekpal ko laga jaise wo kahi fhir mansik santulan na kho baithe isliye marghoob thode der ke liye khamosh raha

Jab kuch waqt guzara aur usne rona band kar khud pe kabu kiya toh marghoob ne oose hausla diya aur oose roshni ke qatl ki tamaam waqyo aur kamre mein us azibogarib rahashmayi tona totka ki babat bataya jise sunte hi guddu saqte mein aa gaya aisa laga jaise oose kaato to khoon nahi..marghoob hairan huye Bina reh na paaya uske chehre ko dekh, wo kayi dair tak kisi gehre soch mein duba raha fhir marghoob ne usse sawal karna shuru kiya,

"Mujhe roshni ki maut ka saqt afsos hai lekin jis bedardi se uska qatal hua aur jo tone totke ka saaman humhe uske kamre se baramad hua wo kayi sawaal paida kar raha hai? Pehle mujhe ye batao ki tumhari mansik bimari ki wajah kya thi? Jiske wajah se tumhe yaha admit hona pada"

"Bahut bhaari wajah thi inspector sahab jo kuch roshni ke sath guzara wo mere sath bhi guzara hai

Marghoob ki bhavve uthi,

"Bas afsos ki main abtak zinda hoo aur us begunaah ki jaan chali gayi maut ki asli wajah koi aadamkhor nahi hai inspector sahab ek shaitani aurat hai wo daayan jiska naam bhi zubaan pe laane se main darrta hu"

"Kya? tum jante ho ki roshni ka qatl kisne kiya? Kya aisa kuch hone wala tha? Kaun daraa raha tha tum logo ko kaun aurat? Kya ye kahi wohi aurat nahi jiske naam ka zikar doctor ne Kiya tha tumhari mental state mein pahuchne ki babat "

"Haan inspector sahab aur ye hona hi tha bas afsos main roshni ki jaan nahi bacha paaya ab uski maut se main puri tarah himmat haar chuka bas us aurat ke hatho marrne se behtar hai ki main khudkhushi kar lu"

"Police ko pehle kyu nahi bataya us aurat ke baarein mein? Abtak wo geraftar ho chuki hoti to shayad roshni zinda hoti"

"Jo khud kayi waqt pehle marr chuka wo kisi insaan ki jaan kaise le sakta hai? Aap murde ko geraftar nahi kar sakte Sahab jis aurat ka wajud aap dhundh rahe hai wo kayi waqt pehle marr chuki hai par uska wajud nahi"

Ab marghoob ko lagne laga ki jaise wo waqayi koi pagal tha jo beheki beheki baat kar raha tha marghoob ne saqti se sawal fhir pucha

"Kya bakwas kar rahe ho? Tumhare kehne ka matlab roshni ko jaan se maarne waali koi aurat pehle hi marr chuki hai kaise possible hai? Mara hua insan kisi ki jaan kaise le sakta hai?"

"Main pehle bhi fariyad leke aapke mehekme gaya tha sahab lekin waha se mujhe pagal qaraar deke bhaga diya gaya maine kaha na ki main aapko sabit nahi kar sakta"

"Sabit karna padega guddu tumhein ye qatal ka case hai agar tum mujhe khulke nahi kuch bataoge to main kuch nahi samajh paunga"

"Agar meri baat pe aapka yakeen nahi hota to aap mujhko hi kisi sazish ka hissedar mante nimbu se khoon nikalna kya aapne kabhi dekha tha? Bikhre huye suyi aur sindur wo kaala jaadu karne ka jo nishaan aapne farsh pe bana dekha wo koi aadamkhor bana sakta hai? roshni ke jo qatal ke haalat aapne bataye woh kisi insaan ka kaam aapko lagta hai?"

"Sawal maine tumse kiya hai?"

"Toh mera iklauta jawab yahi hai ki roshni ki jaan us daayan ne li hai us pishachini ne jo maut ke bawjud bhatak rahi hai aur apni kaali ilm aur shaitani taqat se apne napak mansubo ko badastur anjaam de rahi hai"

"Kab huyi thi uski maut? Aur kya uski maut ke piche bhi tumhara koi kirdar tha?"

"Is sawaal ka jawab main tabhi de paunga jab aap tassali se meri puri kahani sunenge"

"Byaan karo"

Guddu fhir kuch pal ke liye khamosh ho gaya marghoob uske kehne ke intejar mein oose hi ghurr raha tha....guddu ne paas pada paani se bhara glass uthaya aur oose aadha peekar rakhte huye marghoob ki taraf gambhir nazaro se dekhne laga...

                        -------------

"Aajse kareeb 1 saal pehle ki baat hai us waqt roshni se meri mulaqat nahi huyi thi main college going student tha padhai mein main jaisa bhi rahu lekin aamtaur mein ladkiyo ke beech main hamesha charche mein rehta tha college ki zyadatar ladki mujhpar marrti thi ye baat mere dosto ko bhi malum thi aur main bhi dosti karne se parhez nahi karta tha mujhe apni personality pe gumaan tha aaj ye ladki to kal koi aur main zindagi ka lutf uthata tha maa baap ne mujhpar kabhi itna dhyan nahi Diya tha shayad yahi wajah thi ki mujhmein mohabbat cheez jaisi koi feeling nahi thi,

Mere liye har ladki sirf zarurat dikhti thi lekin main unpe kabhi zyadti nahi karta tha na zabardasti koi mere kareeb aayi toh marzi se warna main khud hi usse dur rehne lagta tha meri is aadat ki wajah se har ladke mujhse jalte bhi they jo ladki wo pataane ki koshish karte wo agle hi baar mere pehlu mein hoti thi...subah college aur shaam gym ye mera roz ka schedule tha waha bhi kayi ladkiya mujhse fit thi lekin kabhi aisi naubat nahi aayi ki main kisi jhamele fasa hoo samajh hi sakte hai aap main bahut ahetiyat baratta tha aur agar koi shaadi wagaira ki zidd thaan bhi le jo amuman hardly kabhi hua tha toh main oose sidhi taur se samjhaake usse dur ho jata tha

Isi dauran gym mein ek shaam wo aayi Bala ki khubsurat resham se sunhere baal bari bari neeli aankhe jo ki lenses ki wajah se they par bahut khubsurat lag rahe they uspar....wo kasrat karke aadhe ghante pehle hi jab chali gayi toh mann jaise utar gaya kareeb 1 hafte Tak ye silsila chala aur aakhir ek shaam wo mere paas aayi us waqt main baitha kasrat kar raha tha ki usne mujhe toka

"Hi umm kya aap meri help karenge wo mujhe squat karna hai par weights bahut loaded hai barbell par aap utaarne mein meri help karenge?"

Usne shehed gholti awaz mein jo kaha main muskurake haami bharte huye uske piche ho chala wohi se baatcheet shuru huyi usne apne baalon ko rubber band se baand rakha tha usne jo pehna hua tha wo pasine se tar tha lekin uski badan se aati madhak perfume ki khushbu mujhe aur pagal kar rahi thi

"Koi baat nahi main aapki help karta hu waise aap yaha nayi join huyi hai?"

"Ji"....wo mujhe plates nikaalte dekhne lagi maine jab plates utaar ke rakh diye to jaane laga to usne fhir mujhe toka

"Aap thodi madad kar denge maine koi trainer nahi liya hai toh!"

"Yaa sure chaliye main aapko sahara deta hu yaa this way".....usne gardan jhukaaye apne kandhe pe wajandar barbell ko uthaa liya main bhi aahiste aahiste uske saath niche aur upar uthne aur jhukne laga

Kuch ghadi baad maine uske kandhe se barbell waapis rack pe rakha..toh usne palatkar Mera shukriya kiya...maine oose apne saath kasrat karne ke liye offer kiya to wo tayyar ho gayi yakeen jaaniye uski muskurahat mein bhi ek kheechav tha....

Agle din hum fhir mile us waqt gym mein koi nahi tha hum batcheet karte huye ekdusre ko janne Lage aur saath mein kasrat karne lage main uski exercise mein madad karta toh wo bhi karti....farig hone ke baad hum wohi bench pe baithke baat karne lage,

"Mera naam sumanta shoumi hai main bhi college mein final year mein hoo waise how about u?"

"Nothing just the same thing main bhi final year mein hun aur aage socha nahi father ka business hai wohi dekhunga waise my name is guddu"

Uske komal haatho ka sparsh jab mere haatho mein aaya toh jaise mujhe azib sa ahesas hua is tarah hamari mulaqat har shaam hoti rahi ab mera college mein dil kam aur gym mein zyada lagta tha ab silsila gym se bahar ka rukh karne laga main oose apne ghar le aane laga aur wo mujhe apne ghar wo Kolkata se aayi thi uski maa sarkari Naukri karti thi baap ka inteqal ho chuka tha main dheere dheere uske kareeb aane laga aur oose bhi koi aitraaz nahi tha, oose ek akele ladke ke sath ghumne fhirne mein ekaant mein waqt bitaane mein koi problem nahi thi toh mujhe jaise mann ki muraad mil gayi sach kahu to main jinsi hawas ka khyal chodh chuka tha,

Lekin had to kabhi na kabhi laanghni hi thi us shaam gym ki chutti thi toh wo mere ghar mujhse milane aayi thi oose malum tha ki main akela rehta tha main darwaje pe oose khada dekh hairan ho Gaya usne laal rang ki zard ki saree pehni thi

"Tum yaha?"

"Kyu main yaha nahi aa sakti?"

"Arre nahi nahi tum aaj achanak yaha aao andar aao"

"Tumse milane ka Mann hua toh reh na paayi kya kar rahe they?"

"Kuch nahi bas chai bana raha tha piyogi"

"Mujhe laga drink kar rahe they".....maine inkar mein purzor sar hilaaya to wo kehte huye hass padi

Tabhi mujhe khyal aaya ki main khaali badan uske saamne khada tha aur wo kabse mere chaude seene aur baazuyo ko ghur rahi thi...irada bhaanpkar main uske kareeb aaya to usne aitraz nahi kiya maine dono baazuyo par uske haath rakha aur aankho mein jhaaka uski aankho mein mujhe apne liye hawas saaf nazar aa rahi thi maine oose apni mazbut baazuyo mein uthaaya aur baahon mein liye bistar ki taraf le jaane laga...usne mere gardan ko apne hatheliyo se lapait liya aur bina savr kiye mujhe chumne lagi....mera khud par jaise aur kaabu nahi raha aur maine bhi oose bistar par rakhte hi apne aagosh mein bhar liya.....

                              --------
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
21 hours and 1 minutes.
Posts: 164
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #3 on: May 20, 2023, 11:30:44 AM »
Chapter 3

Wo ek silsila ban chuka tha ekdusre ke kareeb aane ka aisa kabhi nahi hua ki usne mujhe na kaha ho aur na mujhe pehel karni padi ho, wo aksar mere hi ghar aaya karti thi aur ek dafa main uske ghar gaya tha waha pahuchte hi jaise wo mere gale se lipat gayi kayi ghanto tak hum ekdusre ki aagosh mein lipate rahe,

Shaam kab huyi pata hi nahi chala main uthkar jaane laga kya pata uski maa kahi ghar pahuch jaati aur humhe ikhatte dekh leti, lekin shoumi ne kasskar mujhe thaam liya...humare upar sirf ek chadar thi uske badan ki garmi mujhe usse dur nahi hone de rahi thi usne mujhe gaal par aur gale pe chumte huye apna sar mere seene pe rakh diya wo mere kasrati badan ko sehla bhi rahi thi mere haath bhi uske badan ko sehla rahe they, achanak mujhe ahesas hua ki uski aankhen nam thi

"Kya baat hai shoumi ro kyu Rahi ho?"

"Mujhe lagta hai ki main tumse kisi din dur na ho jau"

"Hahaha arre sweetheart main toh tumhara hi hu lekin filhal mujhe jaane do tumhari maa aa gayi toh"

"Darro nahi wo aaj dair se aayengi mujhe phone pe subah bataya tha unhone ? Anyway isliye chaho kuch aur waqt!"

Main uske sar ko apne seene se hataate huye uthne laga "nahi shoumi main bahut thaka hua hoo aur kal college jaana hai"

"Mat jao na".......wo mujhse aur kasskar lipat gayi

"Acha jante ho mujhe tummein kya acha lagta hai tumhara ye gatheela badan tumhare ye honth aur tumhari ye nazarein jisko dekhkar hi main tumse attract huyi thi"

Wo meri aankho mein jhaankte huye keh rahi thi aur main bas muskuraye aksar ladkiya kuch itni zazbat ho jati thi jo bhi mere kareeb aayi thi lekin uske kehne mein obsession tha diwangi thi, maine pyar se uske chehre ko sehlaaya aur usse ijajat lete huye aakhir uske ghar se ruksat hua,

Puri raat main uske baarein mein sochta raha na jaane kyu ab mujhe kuch theek nahi lag raha tha mujh jaisa ladka jo ek daal ka panchi kabhi raha nahi uska yun ek hi ladki ke sath saari zindagi ke liye Jud jaana nagawar sa lag raha tha maine socha ki usse baat karu lekin fhir mujhe uske dil todne waali wo baat lagti aur mujhpar uski jawani ki jaise taasir lag chuki thi,

Main uske Bina reh nahi paaya aur apni jismani zarurat ke liye uske paas pahuch gaya oose toh jaise pehle hi malum tha ki main uske Bina reh nahi sakta tha hamare beech fhir taluqat chalte rahe lekin jab bhi main farig hokar uske pehlu se uthta toh mera mann usse dur ho jane ko karta main soch bhi leta ki ye aakhri baar lekin wo aakhri baar kabhi aakhri nahi hota tha,

Us din main uske pehlu se alag hokar bistar se uth khada hua jaane ke liye kapre pehenne laga to usne apni saree theek karte huye mujhe muskurake dekha oose mera chehra utara hua laga to oosne sawal kiya

"Kya baat hai jaan? Kuch pareshan se lag rahe ho?"

Main kuch der chup raha fhir uski taraf dekhte huye khade khade hi kehne laga

"Dekho shoumi jo kuch hamare beech ho raha hai wo sahi nahi main ab aur ye sab karna nahi chahta main soch raha tha ki hum!"

"Break up kar le rishta tod le kyunki tumhara mujhse jee bhar gaya apne aadat ke tehet ek hi jism ko baar baar raundte ukta ho chuke ho aur mujhse panaah chahte ho isn't it?"

Usne jo kuch kaha aisa laga jaise oose pehle hi samajh aa gaya tha main hairan huye Bina reh nahi paaya mere ghabraye chhere ko padhte huye wo jaise azib tarah se muskurane lagi halaki us waqt oose gusse mein tilmila jana chahiye tha mujhpar fhat padna chahiye tha lekin aisa kuch bhi nahi hua mujje jawab dete na bana hontho pe zabaan phairte huye maine inkar mein sar hilaaya

"A .aisa k..kuch nahii hai tu..tum galat samajh rahi ho shoumi main bhala aisa kyu karunga tumhari zindagi ke saath!"

"Main tumhare baare mein bahut kuch janti hoo guddu ladkiyo ko kharab karne ki tumhari hobby aam hai"

"Kisne kaha tumse Aisa?"....mere zehan mein college ke dosto ka aks ubhara lekin koi oose janta nahi tha toh fhir oose malum kaisa chala?

"Kisi ne nahi aur tum darro mat main tumhe kuch nahi kahungi lekin guddu tum meri zindagi ke pehle mard ho jisne mera dil mujhse Cheena hai isliye tum chaho na chaho main tumse dur nahi ho sakti aur kabhi na ho paungi aur na humhe koi ekdusre se dur kar sakta hai"

Wo mere kareeb aayi mere peshani se leke gaal par apni ungli se sehlate huye kehne lagi main kasmasa gaya to kasskar wo mere seene se lipat gayi main na chahte huye bhi usko khud se alag na kar paaya lekin meri mansha yahi thi ki main usse dur ho jau,

                      -------------

Main kisi ke aage ye bat nahi keh sakta tha warna Mera mazak ban jaata jo meri aadat thi usmein ekdin mera fassna to tayy tha ab mujhe ye bhi darr sataane laga ki kahi shoumi is rishte ko aage badhane keh de kahi ye baat mere gharwalo ko na malum chal jaaye Mera ek college ka jigri dost tha Aziz college ke baad hum ekaant mein baithe toh maine usse shoumi ke baare mein sabkuch bataya

"Arre yaar tu bhi khamokhah darr raha hai oose Han kehne ki zarurat nahi"

"Lekin yaar wo haath dhoke mere piche padi huyi hai tu hi bata main kya karu?"

"Dekh Bhai pehli baat to uska number block kar aur jaha tu akela rehta hai waha se ghar khaali kar de maa baap ko kehna makan malik se locha aur bhi dikkatein aur jaha tum dono ki pehli mulaqat huyi us gym ko nakki karne ka gudbye bol Dene ka fhir dekhta hu saali tere piche kaise padti hai?"

"Par agar wo college pahuch gayi toh"

"Dekh Bhai jaise jaise duri banayega samajh jayegi abhi nadan hai diwangi jhaadh rahi hai jab Aashiqui ka bhoot utarega na apne aap sambhal jaayegi aisi ladkiyo ka dil todna zaruri hota hai ki tu oose ignore kar raha hai toh bas samajh jayegi warna tu janta hai aage kya hoga blackmail"

Aziz ne mujhe daraate huye kaha..."bolegi pregnant hoo fhir tujhse shaadi ki zidd karegi agar ye bhi na hua toh fhir paiso se blackmail jaise jonk ki tarah zindagi bhar khoon chusti rahegi"

"Nahi nahi aisi to nahi hai wo"

"Tu saale itni ladkiyo ke sath tafreeh Kiya tujhe tajurba bhi nahi ki har ladki ek jaisi nahi hoti aisi bholi bhali masum ladki hi gale ka fanda banti hai meri maan dur ho jaa isi mein bhalaai hai"

Bhola toh Aziz tha jise shoumi ka andaza nahi tha inspector sahab mujhe ye makul raaye dene ke baad kahi na kahi mujhe hausla aa gaya aur maine oosi pe amal bhi kiya kamra Khali karke kahi aur shift ho gaya saare contacts tod liye ek baar bhi gym ka rukh na kiya us ilake se hi dur ho gaya socha kuch waqt sheher se bahar apne maa baap se milane chala jata to theek rehta...

Lekin main galat tha itna aasan kahan tha? usse nijaat paana main har din mehsus karne laga ki mujhe ghabrahat aur bechaini hone lagi aisa lagta jaise koi mera kaleja kheechta reh rehke shoumi ka chehra nazaro mein ghumne lagta dil usse milane ke liye beqarar hone lagta main nahi janta tha ki ye kaise mumkin tha? Kya kahi mujhe usse mohabbat to nahi hone lagi thi aisa tajurba mujhe kisi bhi ladki ke sath nahi lagta tha bechaini se har raat main karwat badalta par mujhe neend nahi aati thi aur hairat to tab hone laga jab koi na koi bahane se shoumi ka chehra mere nazaro ke saamne afrupi tarike se dikhne laga kabhi phone screen pe toh kabhi internet chalate waqt kisi site ki ads pe, toh kabhi Facebook par jabki main tamaam social media platform se oose block kar chuka tha maine internet chalana kam kar diya samajh nahi aa raha tha kya ho raha tha?

Parivar ke sath baithta to ittefaq se maa kuch aisa keh deti jo baat kabhi shoumi ne mujhse kahi thi ek din t.v pe koi film chal rahi thi jo ki romantic thi achanak usmein heroine ne hubahu wohi baat kahi jo shoumi ne mujhse kahi thi "tum chaho na chaho main tumse dur nahi ho sakti aur kabhi na ho paungi aur na humhe koi ekdusre se dur kar sakta hai" main ye sunkar dang reh gaya kya mere sath koi mindgame khel raha tha? Ya ye sab mere dimaag ka fitoor tha ya koi misunderstanding thi jis ittefaq ko main kuch zyada le raha tha,

Lekin kaise bhi karke mujhe shoumi ko ignore karna tha maine phone se uski tamaam apne sath rakhki tasveere delete kar di thi aur hairat tab hua jab ek baar folder kholne pe wo tamaam ki tamaam tasveer salamat thi maine fhir unhe delete karna chaha toh error show karne laga aisa lag raha tha jaise taqdeer mujhe usse dur nahi hone de rahi thi na chahte huye bhi main usse dur nahi ho paa Raha tha

Is beech shoumi ka mujhe dobara koi call kisi bhi ajnabi number se nahi aaya aisa laga jaise maamle ko wo samajh chuki hogi Mera number na mil paane pe ho sakta tha wo mujhe dhundhne purane makaan aayi bhi ho aur main waha na mila hu kahi na kahi oose lagne laga hoga ki maine oose dhokha diya hai ab uske rubaru hone se mujhe Darr lagne laga agar wo mere saamne aa jaye to kya hoga? Kaise qeher banke tutegi mujhpar? Ye sab sochke jism sihar raha tha,

Kuch din guzre bhi lekin haalat har raat gaye waise hi ho jaate they dil koi kheechta tha mann bechain hone lagta tha zindagi kaatne ko daudti thi kuch acha nahi lagta tha lagta tha kitna akela hu? Shoumi ka tassavur apne aap dilo dimaag pe haavi hone lagta na chahte huye bhi main oose yaad karta un tamaam wahiyat palo ko bhi jab hum dono humbistar hote they, ab mujhe sukoon nahi lag raha tha

Aur ek raat....main bistar se utha apna Seena pakde aisa lag raha tha jaise koi mere kaleje ko kheech raha tha baar baar shoumi ka chehra aankho ke saamne ghum raha tha kya mujhe guilt thi ya fhir waqayi mujhe mohabbat hone lagi thi? Nahi ye bas ek kashish thi maine mann ko samjhaaya lekin mera mann na maana ki main oose pyar karta tha aisa lag raha tha achanak laga jaise shoumi mujhe awaz de rahi thi...maine daayi taraf dekha hawao se parde ud rahe they khidki khuli reh gayi thi bijliya chamak rahi thi aasman garaz raha tha aise hi mujhe neend raat gaye kayi dino se nahi aa rahi thi aur aaj bechaini bahut zyada lag rahi thi,

Main khidki ke paas aaya toh hawao ke thapede mujhe apne chehre pe lagte mehsus huye maine khidki lagani chahi toh dekhta hu koi saaya hamare ghar ke saamne waale maidan mein khada tha gaur se dekhte hi jaise main kaanp utha barish hone lagi bijliyo ki ek Tej roshni mein maine dekha ki wo saaya shoumi ka tha palak jhapakte hi wo saaya gayab kya koi wehem tha? Shoumi itni raat gaye mere ghar kaise pahuch sakti thi oose toh malum bhi nahi tha mere maa baap Kahan rehte they? Main khidki mazbuti se lagaye niche pahucha ghar ka darwaja kholkar torch saamne ke maidan pe maara do kadam bahar nikalne jhaaka bhi par neemandhere mein sunsaniyat ke siwah waha kuch nahi tha koi bhi nahi tha,

Us raat main so nahi saka wo mera wehem nahi tha maine inhi aankho se shoumi ko khud ko ghurrte bahar khada paaya tha fhir wo kahan gayab ho gai? Mere mann ki ghabrahat kai zyada badh gayi thi...par main kisi ko apne haalaat bata nahi sakta tha, us raat ke baat mujhe kuch nahi dikha lekin meri taqleef badhti jaane lagi itni badh gayi ki main waqt se pehle hi wapis sheher jald se jald jaane laga maa baap ne roka bhi lekin main kisi bandish mein tha maine unki baato ki parwah kiye bina bas itna kaha ki mujhe wapis jaana zaruri hai mujhme huye badlaav se wo log thode pareshan huye par kuch samjh nahi paaye, kaash main unhe bata paata ki main ek bhaari musibat mein apni hi karni se fass chuka hoo,

Main sheher lauta par kuch din college nahi gaya kamre mein pure din band rehne laga dosto ne call karke mujhse sawal kiya ki main Kahan tha? Kyun college nahi aa raha tha par maine unhe kuch nahi bataya na kisi ko ghar aane kaha na jane mujhe kya ho raha tha? Kyu main ab sabse dur hota jaa raha tha? Achanak us raat Mausam fhir bigada barish ho rahi thi main bijliyo ki kadkadahat sun raha tha aankhe munde andhere mein bistar pe pada tha ki tabhi wo awaz mere kaano mein gunzi "guddu mere paas aao guddu mere paas aao main intejar mein hoo tumhari shoumi tumhare bina adhuri hai aa jao"

Main hadbadake uth baitha mera kaleja aisa dhadak raha tha jo apne kaano tak mujhe sunai de rahi thi maine saaf kisi ko bolte suna phisphis karke jaise koi hawao mein keh raha tha kamre mein koi nahi tha ye sab kya ho raha hai?...maine chadar ek taraf faikha bistar se utha apne badan pe shirt daala jeans pehna aur bina kisi taraf dekhe main ghar waise hi sataaye bechaini se raat gaye ghar se bahar nikla daudta bhaagta main Sadako pe na jaane kitni dair se bhatak raha tha main apne hosho hawas mein nahi tha achanak maine ek taxi roki jo nashe mein dhutt tha usne pehle inkar kiya lekin maine oose zyada paise offer kiya toh wo maan gaya na jaane mujhmein kya junoon sawaar tha...kuch hi dair mein main shoumi ke ghar ke saamne khada tha,

Maine ye tak na socha ki uski maa ghar pe hogi ghar neemandhere mein duba tha maine shoumi ke khidki ki taraf dekha aur kisi tarah diwar se lage pipe pe chadhne laga kisi tarah main jab upar pahucha toh kamre ki khidki ko maine apne aap khulta paaya main dang reh gaya kyunki saamne shoumi khidki khole khadi thi uske chehre se yun lag raha tha jaise oose meri itni raat gaye waha aamad ki khabar pehli hi lag chuki thi...uska chehra vichlit na hua ki main itne waqt baad yu raat gaye choro ki tarah uske khidki se ghar mein dakhil ho raha hu, na jane kyu par mera dil gawahi de raha tha ki kahi na kahi oosne hi mujhe apni taraf kheechte huye bulaya tha par ek hi sawal akhir kaise?

Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
21 hours and 1 minutes.
Posts: 164
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #4 on: May 20, 2023, 11:31:44 AM »
Chapter 4

Badal jab zor se kadka toh uski tez awaz ne mujhe aisa jagaya jaise main apne hosho hawas mein nahi tha na jane kabse us imarat ke upari manzil ke pipe ke sahare  Chadha main yun uchi diwar pe thithaka khada tha pura badan barish se bheeg chuka tha aur meri ektak nigah khuli khidki pe khadi shoumi ke upar thi jiski zulfein tej hawao se uske chehre pe padh rahi thi....aur wo bhi mujhe ek nigah ghur rahi thi mujhe samajh nahi aaya main itni raat gaye uske paas kaise pahucha? Maine bina waqt gawaaye ek haath khidki ke palle pe rakhkha aur pipe se sidha khidki se bheetar kamre mein ghus baitha is beech usne na koi harqat ki na mujhe aane se roka na mujhe ye kaha ki main itne waqt baad usse yu chori chupe raat gaye milane aise kyu aaya tha? Jab main kamre mein utara toh apne pairo pe khada hua wo bas mujhe yu hi khamoshi se ghurr rahi thi ho ho karti hawao ka shor us bojhil sannate mein azib sa mahoul paida kar raha tha, samajhne mein aaya ki roshni nahi thi ek taraf mombatti jal rahi thi jo hawa se bujhne ke kagaar pe thi,

Shoumi ne mere piche khidki ka palla band kar diya to hawa aur shor dono kamre mein aana band ho gaya mombatti ki lau badastur jalne lagi wo fhir mujse rubaru huyi

"Aisa kya jadu kiya tha tumne mujhpar? Ki main na chahte huye bhi tumse milane beqarar ho gaya aisa laga ki kayi hafto se koi cheez mujhe tumhari taraf bula raha tha mera kaleja kheechta tha mujhe reh rehke koi awaz deta tha tumhara, aakhir ye wajah kya hai?"....maine apne seene pe haath phaira jo ab shaant ho chuka tha

Usne kareeb aakar mere honth pe ungli rakhi fhir mere gardan aur gale ko apne haatho mein thaama...."bas itna jaan jao tum chahkar bhi mujhse dur nahi ho sakte"

"Par!"

Usne mujhe aur kuch kehne nahi diya aur apne honth mere hontho se kasskar jod liye  kayi waqt tak hum usi haalat mein rahe aur uske baad main na chahte huye bhi uske aagosh mein sama gaya...us puri raat na main soya na woh aisa laga itne dino ki duriya wo ek hi kasar mein khatam kar dena chahti thi,

Jab main subah utha toh main hadbada gaya kyunki main uske ghar mein ab bhi tha ek pal ke liye kal rat ka waqya yaad aa gaya ki kis tarah main chori chupe kisi azgaib taqat ke bandish mein wapis shoumi ke paas aaya tha mujhe shoumi se jawab Janna tha itne mein mujhe ahesas hua apni nagn halat aur uski maa ke mauzudgi ka ghar par toh main sihame huye abhi bistar se uthta ki shoumi kamre mein aayi uske hath mein chai thi usne mujhe chai diya aur waisi hi baithe rehne bola

"T..tumhari maa kal unke mauzudgi main main yaha? Agar unhe malum chala"

"Wo jaa chuki hai shaam ko lautengi"....maine Rahat mehsus karte huye chai ki ek chuski ki

Wo mere kareeb baith gayi..."tum Janna chahte they na jo sawal kal adhura reh gaya ki kaise tum mujhse milane yun chale aaye? Toh uska jawab main tumhe nahi de sakti"

"Kyu nahi de sakti? Aisi haalat meri kabhi nahi huyi ab toh tumse kuch chupa nahi tum sab janti ho shoumi ye kaleja kheechna wo us raat mujhko tumhara saaya dikhna baar baar bechaini, kaano mein tumhari aati awaz"

Shoumi nazarein idhar udhar fhairane lagi aisa laga jaise wo waqayi kuch gehra Raaz chupa Rahi thi..."mujhe batao shoumi aakhir wajah kya hai? Kya hua tha mujhe? Kya kiya tha tumne?"

"Main tumhare sawaal ka koi jawab nahi de sakti guddu isliye behtar hoga ki tum mujhse aur kuch na pucho bas yad rakhna ki maine tumhari saari khataaye jaankar bhuje maaf kar di warna agar main chahti toh mujhe rulane waale ko kabhi na bakashti "

Wo masum shoumi nahi koi aur hi keh rahi thi jiska chehra saqt ho chuka tha aankho mein gussa dehek raha tha main bina sihme reh nahi paya khamoshi se oose bas dekhta raha aur wo mujhe fhir uske chehre ka rang badla aur wo masumiyat se muskurane lagi lekin wo masumiyat ab mujhe banawati nazar aane lagi,

                                -----------

Ab main jaise uske hath ka khilona ban chuka tha na jaane kyu wo jab kehti jahan kehti main fauran uske paas pahuch jaata aur agar na jaata toh bechaini mehsus karta uske khilaf koi agar kuch keh de sun nahi pata tha jis wajah se Aziz se kayi dafa meri behas ho chuki thi wo bhi hairan tha main badalta ja raha tha, mere gharwale mujhe wapis chale aane ka zor dene lage toh main jaise unpe baras pada maine unse baat tak karna kam kar diya tha, na jane mujhe kya hota ja raha tha? Main shoumi ke kareeb galat iraade se aaya tha aur ab wo mujhse apna matlab hasil karti thi wo mujhpar kabiz hone lagi, par sacchai se parda to kisi din uthna hi tha shoumi ka us cheez pe bas nahi chala,

Us din dopahari ko darwaje ki ghanti baji main uthkar darwaja khola toh Aziz saamne khada tha uske chehre pe hamesha ki tarah khushmizazi nahi thi aaj wo badla badla lag raha tha wo andar aaya aur mujhe ghurrne laga,

"Tu fhir se shoumi se Jud gaya hai na?"

"N..nahi toh"....maine nazarein fhairte huye mana kiya

"Dekh guddu mujhse chupa nahi sakta tu sachai main tujhe bachpan se janta hu Tera bartaav sabkuch kayi mahino se badalta mehsus kar raha hoo tune gharwalo se baat karna chodh diya ghar jana chodh diya unhone mujhe bataya, tu to kal tak shoumi se dur rehna chahta tha to fhir uske sath kyu patch up kar liya?"

"Dekh Aziz meri tabiyat kharab hai main tujhse behas nahi kar sakta tu chala ja yaha se"

"Main aise nahi jaane wala ladkiyo se lutf uthane wala kapro ki tarah unhe badalte rehne wali fitrat aaj tujhe shoumi mein apni duniya khatam hoti dikh rahi hai? Jabki kaltak tu khud usse dur ho jana chahta tha"

Main pehlu badalne laga uske nazaro se nazar nahi mila paya main...usne ekdum se mere bazu par ek Mota tabiz baandh diya to main hadbadake uski taraf dekhne laga main tabiz utarne hi laga ki aisa laga tha jaise Mera pura badan kaanp utha ho main hadbadake Aziz ki taraf dekhne laga meri har harqat dekhte hi jaise oose saaf samajh aa gaya ki akhir majhra kya tha? Usne mera baazu pakda aur mujhe apne sath le jane laga

"Chal mere sath"

"Par kahan? Aur ye mujhe tune kya pehna diya?"

"Mauli sahab amaali ka tabeez ab wohi tujhe is musibat se nijaat denge tu nahi janta guddu tune kis aafat ko apne gale laga liya?"

Main hakka bakka oose ghurrta reh gaya wo mujhe kheechta hua apne saath na jane kahan le jaane laga? aisa laga mera khud pe jaise bas nahi tha...

                         -----------

Koi cheez thi jo mujhe Aziz ke saath na jaane ko agaah kar rahi thi lekin main uske sath kheechta chala gaya....kuch hi der mein hum ek khule pahadi ke paas dargah ke piche ek masjid mein ja dakhil huye aziz ne masjid ke khadim ko salaam kiya aur mauli sahab se milane ki izazat maangi uske baad wo humhe bheetar se hi ek tang gali se guzarta ek kamre ke paas lekar darwaja khatkhataye waha se chala gaya humhe andar se kisi ne bhari gale se awaz deke bulaaya hum andar pahuche Aziz aur maine unhe salaam kiya aur wohi baith gaye,

Wo mujhe kafi dair tak ghurrte rahe main unke nazaro se nazar nahi mila pa raha tha wo adhedh umar ke saqt mizaaz waale namazi lag rahe they...fhir Aziz ne kehna shuru kiya kamre mein koi agarbatti jal rahi thi jiski mehak mujhe bardasht nahi ho rahi thi, na chahte huye bhi main baitha hua sawalat mein tha

"Mauli sahab aap sahi they apane jaise kaha tha maine ise ye tabiz pehna diya ab kahiye aage kya karna hai?"

"Aziz pehle mujhe ye bata ye sab tu kya keh raha hai aur kya inhe karne keh raha hai? Main normal hoo mujhe kuch nahi hua"....maine samjhate huye amaali aur Aziz ki taraf dekhte huye kaha

"Tu janta bhi hai ki tu yaha akela nahi aaya? apne sath piche koi kaali taqat bhi tere sath aayi hai jiske bandish mein tu hai"

"K..kya bol rahe hai aap? Main samjha nahi"

"Tu akela nahi hai masjid mein pao rakhne se pehle hi us saaye ne kinaara kar liya tujhse wo tere aas paas ghum sakta hai par tujhpe haavi nahi ho sakta"

"Kya bakwas kar rahe hai? Aur aap kehna kya chahte hai?"

"Tera kaleja koi kheechta hai, tujhpe madhoshi taari rehti hai, tera kisi aurat ke sath jinsi taluqat hai jo tujhe apne mutthi mein kiye huyi hai wo koi aam shaksiyat nahi ek kaali ilm sikhi daayan se bhi kharab aurat hai"

"K..kya?"

"Mera ishara us ladki shoumi ki babat hai yahi naam hai na ab tu kahega main kaise janta hu oose ya fhir Tera dost ne bataya?"

Maine Aziz ki taraf dekha wo bhi hadbadake mauli sahab to kabhi mujhe dekhta jaise usne ye naam kabhi unke aage zikar kiya hi nahi tha, main lajawab huye Bina na reh paya,

"Maine apne maukil ko bhejke sabkuch Jaan liya hai wo aurat tujhe apne bas mein kiye huyi hai is kaali Ilm ko Sikhne ke liye kayi mushkilo ka aur khaufnak cheezo ka saamna karna padta hai aur jo un tamaam amal pe khara utarta hai wohi kaala jadugar banta hai usne kayi waqt se is ilm ko haasil ke liye mehnat ki isliye Aaj wo bahut khatarnak ban chuki hai"

"Dekhiye aap mujhe daraa rahe hai"

"Darrna tujhe oosse chahiye tu janta bhi hai apni napakiyat ka hissa tujhe wo bana chuki hai jabki wo abhi bhi mere aur tere beech ki yaha sab baaton ko jaan bhi chuki hai"

Aziz ek pal ke liye ghabra gaya...."tune oosse duriya banayi thi kitne din Tak tu tika reh paaya ab bata Zara".....meri nigaah unke baat ko sochte huye un tamaam raato ko yad karne lagi jab main bechain hoke uthta tha kaise us raat main tufan mein uske ghar khidki se ghusa tha aur hairani ki jagah wo jaise yun peshai ki wo waqif thi

"Ye uska irada tha tujhe bulaane ka tujhpe pehli nazar mein hi wo tujhe apna dil de baithi lekin aise log sirf apni napak hasrat ke hukam ke taabe hote hai usne tujhpar kada tona totka kar rakha hai uska sirf ek hi tod hai ki kabhi ye tabeez tu na utaarna chahe wo laakh tujhe kahe waise bhi ye tabeez zyada din tujhe bacha nahi payega"

Ek pal ko jaise main unki baato mein aa gaya us waqt shoumi mujhpe haavi nahi thi....meri umeed bhari nigaho ko dekhte hi unhone Jo bataya main oose sunta raha

"Tune usse dobara kattayi Milne ki koshish nahi karni hai tune usse 40 kadam dur rehna hai kabhi bhi kisi ladki ko apne zindagi mein shamil mat karna aur agar niqah karta bhi hai toh is sheher toh kya saat samundra paar dur chale jaana uska jaadu kat jayega bas isse zyada main aur kuch nahi kar sakta"

"Agar usne guddu ke maa baba ya mujhe nuksan pahuchaya toh!"...Aziz bole Bina na reh paya

"Ye tabeez tu pehnna aur inke gharwalo ko bhi de Dena aur apne aur iske Ghar ko baandh lena wo kuch nahi kar payegi dhyan rahe usse dur ho jaana hai"

"Hamari college ab khatam hone ke kagaar pe hai guddu meri maan tu apne ghar waapis laut jaa waha se mama ke yaha chala ja suna hai wo Arab desh mein rehte hai"

"Main buzdil nahi hoo jo main bhagunga agar ye sach hai toh shoumi ko apne zindagi se hamesha hamesha ke liye nikaal faikunga"

                          -----------

Jaise hi maine wo tabeez pehna tha mere dil mein shoumi haavi kam hone lagi ab aisa lag raha tha ki waqayi wo theek nahi hai aur mujhe usse dur rehna chahiye tha main jab ghar pahucha to waha ek kaagaz pada dekha janne mein dairi na lagi ki wo shoumi ne likhke chodha tha aakhir wo mere naye Ghar tak pahuch chuki thi? Kya ye waqayi koi azgaibi baat thi? Maine uska number unblock nahi kiya tha isliye paigam ka wo koi aur zariya talashi thi,

Kya waqayi shoumi ko malum chal chuka tha sabkuch kya wo fhir mujhpar koi naya kala jaadu karne wali thi? Wo ek witch thi kuch samajh nahi aa raha tha main na chahte huye bhi amaali ke aagah karne ke bawjud chaanbeen ke lehze se uske ghar pahucha jabki mujhe uske bataye ek cafe pahuchna tha maine paaya ki ek umardaraz saari pehni aurat fatak theke imarat mein dakhil ho rahi thi maine unhe roka to wo mujhe azib nigaho se yun ghurrne lagi jaise pehchanne ki koshish kar rahi ho main kaun hoo? Ek pal ko main bhi ghabra gaya par khud ko sambhala

"Aunty umm aap shoumi ki maa hai?"

"H..Haan tum kaun ho?"

"Ji main shoumi ka dost hoo main aapse koi sawal karna chahta hun"

"Dekho main tumhe shayad janti hoo shoumi ne mujhe tumhare baare mein bataya tha kya Janna chahte ho?"

"Shoumi akele kyu rehti hai? Koi uska zyada dost nahi main bas ye janna chahta hoo ki kya shoumi koi wajah se aisi hai ya fhir"

"Dekho tum uske dost ho to ye baat tumhe usse behtar karni chahiye agar uska koi dost nahi hota toh wo tumse bhi dosti nahi karti Haan meri beti ki saheliya bilkul na ke barabar hai koi oose pasand nahi karta kyunki shaant aur sadharan ladki hai main bas itna hi keh sakti hoo"

"Koi baat nahi aunty"

Main jaane hi laga ki usne mujhe toka main mudkar uski taraf dekhne laga wo bahut zyada gambhir dikhai de rahi thi usne haule se meri taraf do kadam badhaaya aur kuch sochte huye mere baarein mein zyadti swaal pucha

"Tum shoumi se kab mile they? Kya yaha akele rehte ho ya maa baap bhi sath mein hai?"

"Darasal wo mujhe ek gym mein mili thi jaha hum saath kasrat karne jaate they khair main akela rehta hoo aur ma baba dusre sheher mein saal mein kayi dafa jaate rehta hoo main unka iklauta beta hoo abhi padhai bas Puri hone wali hai uske baad dekhta hu kya kiya jaaye"

Is beech main muskuraya lekin meri muskurahat pal bhar gayab ho gayi kyunki shoumi ki ma ektak gambhir mujhe dekh rahi thi aisa lag raha tha wo mujhse kuch kehna chahti thi lekin sawal nahi kar pa rahi thi usne hontho pe zubaan phairi fhir akhir mein jo kaha wo mujhe Shaq ke dayre mein dhakel diya

"Hmm shoumi ne mujhe itna to bataya tha Anyway tumse ek baat kahu bura mat manna shoumi ke sath har koi jaldi adjust nahi kar sakta wo aam ladkiyo jaisi nahi hai oose tum samajh nahi paoge"

"Matlab?"

"Dekho main tumhari maa jaisi hoo isliye itna kuch keh rahi hoo shoumi se na kehna par meri maano toh oosse dur raho"

Itna kehne ke baad usne bina piche mude lambe kadam bharte huye apne imarat mein dakhila liya main samajh nahi paya ki aakhir unhone aisa kyu kaha? Kya unhe mere aur apni beti ke taluqat pasand nahi they? par us baat mein koi Raaz chupa tha main shoumi se milane ke bajaay waapis apne ghar chala aaya Aaj mujhe koi bechaini ya ghabarat nahi lagi lekin shoumi ki ma ke aakhri wo lavz mein main jawab talashne laga kya wo apni beti ka koi Raaz mujhse chupa Rahi thi? Ya fhir iradtan usne aisa kaha taaki main uski beti se dur rahu ya fhir isharo isharo mein usne mujhe kisi aafat se aagah kiya tha?..

Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
21 hours and 1 minutes.
Posts: 164
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #5 on: May 20, 2023, 11:32:48 AM »
Chapter 5

Main do din tak shoumi se milane uske paas nahi gaya na uski maa ke gair haziri mein uske ghar, na mujhe uski taraf se koi paigam aaya na wo mujhse milane ko aayi, aisa lagta tha jaise mauli sahab ki di huyi tabeez oose mujhse dur rakhne ki dhaal ban gayi thi lekin kya waqayi wo kaala jadu karti hai aur agar aisa tha bhi toh mauli sahab ne mujhe ye bhi bataya tha ki oose sabkuch malum chal jata hai kya wo gusse mein fhir mujhpar koi tona totka karegi? Us raat ki baat mujhe yaad aayi jab usne kaha tha "yad rakhna ki maine tumhari saari khataaye jaankar bhuje maaf kar di warna agar main chahti toh mujhe rulane waale ko kabhi na bakashti"

Dil hi Dil mein main un baaton ko yad karte hi sihar jaata tha, lekin mauli sahab ne mujhe saqt hidayat di thi ki main usse kayi gaz dur rahu maine unke kahe mutabik apne Ghar ko charo taraf se unke diye surah se baandh diya....agle din college ke baad dopahari mein main canteen ke paas baitha soch mein duba tha ki achanak aziz waha pahucha uske chehre pe koi darr nahi dikha to main nischint hua ki oose shoumi ne koi nuksan nahi pahuchaya, maine oose shoumi ki maa se mulaqat ki saari baatein kahi ye tak bataya ki Maine apna ghar baandh liya hai, wo khush hua

"Yaar maine bhi apna ghar baandh liya acha kiya tune jo usse faasle banaye wo achi aurat nahi hai aisi aurato se toh dur hi rehna chahiye acha uski maa ne aisa kyu kaha? Chal ye bhi ek bahane se acha hua ki wo tujhe aur apni beti ke taluqat ko pasand nahi kar rahi"

"Nahi Aziz mera dil nahi maanta aisa lagta hai wo mujhe apni beti se dur rehne ki hidayat kisi aur wajah se de rahi thi shayad unhe Mera bhala dikhta ho ya apni beti ka raaz unhe malum ho lekin mera ab bhi dil gawara nahi karta ki wo kaala jadu karti hai ya wo koi witch hai"

"Dekh ye tu nahi tujpe haavi hone ki koshish karta uska kaala saaya hai wo tere dil ko maayil kar rahi hai taaki tu uske paas dobara chala jaaye"

Main bhi sehmat hua Aziz mere liye bahut fikarmand tha kaash usne mere zyadti maamle mein itna dakhal na diya hota toh shayad wo aaj!

Din pe din bitne lage haalat pehle jaise normal guzar rahe they aisa lagta tha jaise shoumi khud sambhal chuki thi usne mujhse dobara kattayi Milne ki koshish nahi ki ye azib masla dekh main mauli sahab se mile Bina na reh saka main is baar akele unke yaha pahucha wo gambhir hoke sabkuch sunte rahe, fhir unhone kehna shuru kiya

"Ye khamoshi kisi aane wale gazab ka agaaz kar rahi hai wo yun chup nahi baithegi aakhir ye uski amaal ka sawaal hai agar wo tujhe bas mein nahi kar paayi toh uski khud par jaise laanat hogi"

"Lekin mauli sahab usne mujhse khud koi taluq rakhna chodh diya hai us shaam uski maa se milane ke baad se hi usne meri taraf ka rukh jaise band kar diya"

"Galat fehmi hai teri wo tera itni aasani se  picha nahi chodhegi lekin tu meri bataye pe amal karte rehna dur rehna usse aur ab ho paaye toh is sheher se bhi chala Jaa"

"Lekin mujhe darr lagta hai kahi wo mujhe kuch!"

"Jab tak tere baazu par ye tabiz hai wo tujhe kuch nahi kar sakti lekin wo tujhe mukammal darayegi taaki tu uske paas chala Jaa par tu jaana nahi khud ko itna mashgool kar le kisi karobar mein ki tujh tak wo pahuch hi na bana sake"

"Pichli baar dur hua to usne mujhe waqayi bahut daraya tha mujhpar aisa kuch kar diya tha ki main uske paas jaaye Bina reh nahi paaya"

"Usse nijaat ka rasta bas Mera bataya amal hi hai baaki uski taqat se ladna aasan nahi jaan tak jaa sakti hai wo tujhpe puri tarah kaabiz hona chahti hai chala ja aur apna khyal karna"

Main waha aur na tehra sawalat aur darr ke saaye mein main waha se ruksat hua shaam ho chuki thi main bus pakde apni ghar ki taraf jaa raha tha ki itne mein tyre phata aur bus ek taraf jaa ruki main bahut zyada baaki passengers ke sath ghabra gaya tha....ab mujhe ghar jaane ka koi aur rasta ikhtiyar karna tha raaste par chalte huye mujhe mehsus ho raha tha ki koi mera picha kar raha hai,

Main mudkar piche dekhne laga waha koi nahi khada tha main abhi thoda teji se chalne hi laga ki itne mein khyal aaya ki main shoumi ke ghar ke paas hi tha na jaane kyu mujhe azib si ghabarat hone lagi wohi khidki wohi pipe ka rasta jisse main chadhkar uske kamre mein pahucha tha main na jaane kyu waha se dur chale jaane ke bajaay uske ghar ke aad mein jaate galiyare ki taraf badha taaki saamne se jaane par agar wo imarat mein ho toh mujhe kahi se dekh na le,

Main janna chahta tha kya wo waqayi kaala jaadu karti thi andhera hone laga tha, us waqt uski maa ki mauzudgi ghar mein ho sakti thi jisne mujhe saaf apni beti se taluqat rakhne mana kiya tha...jaise hi main pichwade ki taraf aaya Ghar se uske todfod aur chillahat ki awaz sunai di main sakdum diwar ki aut mein khada sunne ki koshish karne laga awaz dabi dabi si aa rahi thi do log aapas mein jhagad rahe they maine himmat karke us khidki ke sheeshe se aad hokar dekha jisse bheetar hall aur upar jaati sidi ki taraf ka nazara dikhta tha maine dekha shoumi ek safed laal para saree pehni huyi hai uske baal khule hai aur wo bahut gusse mein hai dusri taraf uski maa sihame khadi apni khauff ko dabaaye nakami oose chup karaa rahi hai, vartalap unki bhasha mein chal raha tha jo meri samajh jitna aaya usse saaf tha ki wajah main tha aur shoumi Jaan chuki thi

"Tumhari wajah se ooska Shaq yakeen mein tabdil ho gaya kyu kaha tumne? Ki mujhse dur raho bata diya na tumne oose ,ki main kya hoo aur kya karti hoo?".....shoumi aise aankh nikaalke keh rahi thi jaise uspe kuch sawaar ho wo maa ki taraf kadam badha rahi thi uski maa ekdum kaanpte huye piche hat rahi thi,

"N..nahi nahi maine kuch nahi kaha oose, tu tune toh is ghar ko barbaad kar diya Teri wajah se tere baba chal base"

"Aik bhi baat tum nahi kahogi warna jaan se maar dungi bhul jaungi ki tera aur mera koi rishta bhi hai"

"Aajtak tune yahi to kiya pehle apne baap ko khaa liya aur ab mujhe bhi khaana chahti hai main kya janti nahi ki tu kya karti hai? Teri wajah se do baar mujhe ghar badalna pada kitni musibatein uthane pade pata hai aas paas log kya baatein banaate hai"

"Mujhe kuch nahi sunna jisne bhi baatein banaaye wo kutte ki maut mare ye meri Puja hai mera dharam hai"

"Toh chali Jaa is ghar se"

"Tujhe na dur kar du khud se"

Maine saaf shoumi ke daant ko kitkitaate dekha uski maa jaise darrne Lagi wo beti ko apne se dur rehne kehne lagi lekin shoumi ne palak jhapakte hi ek ulte haath ka jo thappad apni maa pe uthaya usse uski maa ghass khaake cheekhti ek kursi pe jaa lagke zameen pe gir gayi, main kaanp utha

"Aaj ke baad tu kisi ko kuch nahi keh sakegi kyunki ab tu mere kaabu mein rahegi maa nahi hoti toh tujhe bhi maut ke ghaat utaar dene mein waqt nahi lagta"

Ye sab dekhne ke baad main waha tehera nahi na jane kyu mera dil dhaadh dhaadh karke bajne lage...kaano tak mujhe apni dhadkan sunaai dene lagi main waha se bhaag nikla.....us raat main so nahi saka shoumi ka wo bhayankar sach mere zehan Mein kaundh raha tha uski maa waqif thi ki uski beti kya karti thi? Shoumi ka aisa bhayankar rup ab toh maine faisla kar liya shoumi se hamesha ke liye dur chale jaane ka,

Main aksar ghar mein andhera hone se pehle aa jata college ke baad bhi kahi aur chala jata taaki agar shoumi mujhse milane bhi aaye to main ghar par na milu maine phone tak uthana chodh diya internet chalana na ke barabar kar diya taki bhule bhangte uska koi message mujhe na mile,

Jald hi exams huye aur main usse farig hoke Ghar chala gaya lekin waha bhi mere saath pehle jaisi koi anhonee nahi ghati ab mujhe lagne laga shayad shoumi ne waqayi mujhe chodh diya tha maine Rahat mehsus ki, mauli sahab ki baat main lagbhag bhul gaya Aziz se bhi ab wo sab baatein main nahi karta tha, jald hi graduate hone ke baad main wapis sheher aaya toh maine ek firm mein naukri talash li taaki main tamaam uske khyalaato se dur reh pata, waha Aziz bhi aakar mere sath naukri karne laga zindagi khushnuma guzar rahi thi, isi beech meri zindagi mein aayi roshni usse meri dosti huyi lekin maine koi pehel nahi ki haalaki main ab pehle jaisa nahi raha tha mujhe apne gunaho ki saza mil chuki thi isliye main har ladki se dayra banake rehta tha, Aziz bhi ek ladki se mohabbat kar baitha jiska naam shabnam tha, office ke baad wo ooske sath idhar udhar ghumne fhirne chala jata tha isliye main akela ho jata  toh tanha hi ghar ka rasta tayy karta,
                               
                                --------
Ek shaam roshni mujhse safar ke dauran mili hum baatcheet karte huye metro mein dakhil huye train thodi khaali thi isliye hum apne sit par baith gaye main aksar kam bolta tha usse lekin usne idhar udhar ki baat  kehte huye mujhe toka wo mujhse kuch sawal karna chahti thi,

"Kaho roshni kya baat hai?"

"Dekho guddu hum kayi waqt se sath mein kaam kar rahe hai aur hum ache dost bhi hai lekin main ek baat notice karti hoo ki tum janbhujkar tanha rehte ho kabhi lunch ke waqt toh kabhi chutti ke baad tum kisi se baat nahi karte aur fauran apne ghar chale jaate ho maine tumhare dost Aziz se bhi pucha par wo baat ko taal deta hai kehta hai tum sharmile ho lekin maine gaur kiya hai ki tum hum sab se hass khelke baat karte ho lekin ek dayra banakar rakhte ho Aziz tumhara purana dost hai lekin wo to aisa nahi ulte meri saheli shabnam se kuch hi waqt mein usne dosti kar li aur wo abhi couple hai"

"Dekho roshni agar tum ye kehna chahti ho ki main janbhujke tumse main dur rehta hu to aisi bat nahi hai meri aadat hi aisi hai"

"Par shabnam ne mujhe bataya tha ki tum pehle aise nahi they yakeenan Aziz ne oose bataya hoga ki tum college ke waqt kafi khushmizaz aur dosti karne wale shaksiyat they"

"Dekho Aziz mera dost hai isliye kuch bhi kisi ko mazak mein keh deta hoga mere baarein mein par ye sach hai ki main jaisa aaj hoo kal bhi tha"

Roshni kuch keh nahi payi aur main oose kaise samjhaata ki mauli sahab ki baat main abtak nahi bhula tha ki mujhe har ladki se dur rehna hai taaki meri upar rahi aafat unke piche na pad jaaye haalaki ab haalat pehle jaise nahi they na mujhe shoumi ka malumat tha ki wo ab kis haal mein hai? Usse mile kayi waqt ho chuka tha aur usne bhi maano mujhe dhundhne ki koshish nahi ki thi,

"Dekho roshni main tumhara dil nahi dukhana chahta tha par kuch baatein aisi hai ki main chahkar bhi tumhe nahi batana chahta"

"Toh tum maante ho koi baat hai? Tum kya mujhe apna dost nahi maante"

"Manta hoo aur isliye main nahi chahta ki meri wajah se kisi ki hassti khelti zindagi pe koi aafat aaye?"

"Aafat kaisi aafat?"

"Ye baat tumhe Aziz hi behtar samjha sakta hai mujh mein himmat nahi lekin vaada karna ki sabkuch janne ke baad tum kabhi bhi kisi ke aage ye baat nahi kahogi aur mujhse bhi dayra banaake rahogi"

Itna kehke main chup ho gaya jo kuch aakhri mein maine kaha tha oose sunkar shayad uska dil tut gaya ho lekin wo dil tut Jana behtar tha uski zindagi bikhar jaane se, uska station aa gaya aur wo uthkar jaane lagi lekin mudte waqt usne fhir muskuraya aur mujhe bye kehte huye chali gayi bas faraq itna tha ki uski aankho mein aansu ghul chuke they, main samajh gaya tha uske dil mein mere liye feelings thi aur sach pucho toh mere dil mein bhi uske liye feeling hone lagi thi par maine oose kabhi kaha nahi tha,


                         --------------

Aziz ne mujhe chutti ke din maari zidd mein apne aur Shabnam ke sath ghumne le aaya main na chahte huye bhi unke sath ho liya lekin pure waqt mera ukta raha tha Aziz chahta tha ki main sabkuch bhulkar dobara naye sirhe se zindagi ka lutf uthau par main ab pehle jaisa nahi raha tha,

Hum restaurant ke ek table pe baithe huye they ki itne mein waha roshni pahuchi main oose dekhke hairan hua....Aziz muskurake oose mere bagal waali seat pe baithne ko bola Maine bhi muskurake oose hello kaha tabhi ekaek mahoul mein tabdili aayi aur Aziz ne mera dhyan kheecha shabnam bhi jaise sab cheezo se waqif thi,

"Guddu yaha hum charo hi hai isliye tu ye mat samjhna ki koi bahar ka Banda hai jaise mujhe malum hai waise shabnam ko malum hai aur ab roshni bhi hamare Raaz se waqif hai roshni ne mujhse tere ateet ke baarein mein bahut sawal kiya tha lekin main ise taalta raha main janta hoo mauli sahab ne kya kaha tha? Lekin maine iske dil mein tere liye fikar aur pyaar dekha maine roshni ko sabkuch bata diya hai isliye behtar hai ki tujhe kuch chupane ki zarurat nahi"

Maine roshni ki taraf dekha roshni ne sehmati se muskuraya main Aziz ki taraf tawajjoh diya...."main yahi chahta hun ki hum beeti baat bhul jaye aur kehna nahi hoga ki ab wo aafat humse bahut dur piche reh chuki hai"

"Tu bhul raha hai Aziz ki mauli sahab ne kya kaha tha?"

"Main janta hoo ki wo tera picha itni aasani se nahi chodh sakti thi lekin ye bata ki wo abtak Teri pahuch se dur kyu hai? Dekh ho sakta hai jitna humhe laga utna kuch ho nahi"

"Haan Aziz sahi keh raha hai ho sakta hai wo koi psychopath ho aur aise andhwishwas par aankh mundke yakeen nahi karna chahiye"

"Main samjhta hoo shabnam ki tumhe Aisa lagta hai lekin Aziz se pucho ki maine kya kuch nahi jhela hai agar wo sab jhoot tha andhwishwas tha toh main usse dur kyu nahi ho paaya? Oose sabkuch kaise malum tha?"

Shabnam se jawab dete na bana is baar roshni ne mujhe toka

"Mujhe parwaah nahi ki aage kya hoga guddu? Lekin main tumse alag nahi ho sakti main tumhe is haal mein nahi dekh sakti"

"Roshni lekin!"

"Main kuch kehna nahi chahti agar tumhari zidd hai to meri bhi zidd hai ki main tumhara saath nahi chodhna chahti cause i"

Aakhri shabd kehte uska chehra laal ho gaya sharam se usne nazare nichi kar li Aziz aur Shabnam bhi jhenpte huye ekdusre ko dekh muskurane lage aur main uski baat sunkar hairan huye Bina nahi reh paya usne izhar karne mein waqt nahi lagaya tha,

'accha ye sab chodho aur chalo film dekhne chalte hai and u guys don't be late jaldi aa jaana"...shabnam ne humhe ekdusre ke nigah mein uljha chodh Aziz ko kohni maari

"Haan Maine bhi tickets le liye they hum charo ke"....Aziz muskurakar uthne laga aur Shabnam bhi uski baanh pakde wo dono waha se jaane lage

Unke jaate hi roshni ne mera table pe rakha haath apne haatho mein liya...main kuch keh nahi paaya...."chale".....roshni ne meri nazaro mein dekhte muskurakar kaha

"Chalo"

Us din ke baad se roshni aur main ekdusre se pyar karne lage hum sabkuch bhulaakar ekdusre se pyar kar baithe ye baat Aziz aur Shabnam se chupi na rahi, ab hum sab ikhatte ghumne fhirne lage aisa lagta tha jaise khoyi huyi khushiya wapis laut aayi thi ab main bhi dheere dheere shoumi ko beeta kal samjhkar bhulaane laga zindagi bas yun hi guzar rahi thi us beech maine apne us baanh mein bandhe tabeez ko kabhi utaara nahi jab bhi oose dekhta tha toh bhula kal bure sapne ki tarah saamne aa jata tha, lekin main oose roshni ke sath waqt bitaake bhul jata tha,

Ek din roshni aur main kahi park mein ghum rahe they toh baaton hi baaton mein maine usse niqaah ka sawal kiya ye sunkar ki main usse shaadi karna chahta hu wo mere gale se lag gayi main bhi chahta tha ki ab hum aur zyada intejar na kare aur ek pak rishte mein bandh jaaye taaki koi bhi buri nigaah ya aafat humhe juda na kar sake,

"Main aaj hi maa baba se baat karungi lekin kya itne jaldi ye faisla?"

"Dekho roshni aaj nahi to kal humhe ye kadam uthaana hi hai Kya tum nahi chahti ki main aur tum ek ho"

"Haan guddu main bhi yahi chahti hoo u have no idea the amount of happiness u given me today"

Hum ekdusre ke gale lagke zazbat ki rau mein beh gaye lekin main nahi janta tha ki waqayi tufaan abhi aaya kahan tha?

To be continued....


Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
21 hours and 1 minutes.
Posts: 164
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #6 on: May 20, 2023, 11:33:44 AM »
Chapter 6

Aziz aur Shabnam bhi hamari is faisle se bahut khush huye haalaki Aziz ne socha nahi tha ki main kabhi niqaah ki baat karunga, roshni ne chaha tha ki main uske maa baba se baat karu lekin usse pehle mujhe apne gharwalo se baat karna tha, isi silsile mein main roshni ko liye apne gharwalo ke paas pahucha toh main saqte mein pad gaya kyunki waha kahani to kuch aur thi,

"Hahaha beta waqayi ab humhe samajh mein aa raha hai ki tu itna humse dur dur kyu rehta tha?"......abba ne kaha

"Kya kehna chahtey hai aap?"

"Arre ab chupa bhi mat Teri saari pol khul chuki hai jitna din tu humse baat nahi kiya utna din Teri dost humse baat karti rahi usne hi toh bataya ki asli baat kya hai? Hamare darr se tu kuch keh nahi paa Raha lekin Tera irada kya hai?"

"Irada? Maa main kuch samjh nahi paa Raha aap log kya keh rahe hai?"

"Hahaha ab Sharma bhi mat itna naadan banne ki zarurat nahi humhe malum chal chuka hai ki tu shaadi karna chahta hai lekin kehne se qatrata hai"

"Aur toh aur aajkal sahabzade naukri karne lage hai tabhi humse ek rupya nahi maangte bade jo ho gaye hai"

"K..kya? aap logo ko ye sab kisne kaha?".....mere zehan mein roshni ka aks ubhara mujhe laga shayad usne hi mere parivarwaalon se baat ki hogi

"Arre jo teri zindagi mein hai teri dost shoumi yahi naam bataya tha na guddu ke abba usne".....maa ne baba se pucha

"Haan haan bahut pyari ladki hai kayi dafa yaha aayi thi humse mili, Teri bahut parwah karti hai kehti hai ki tum kaam ke wajah se usse bhi nahi mulaqat karte ho aur isliye ab tumne faisla kiya hai ki shaadi karne ka ladki ne dharam mazhab ko leke kuch nahi chupaya, hum ko koi aitraaz nahi  hai beta humne oose parakh liya kitni dafa wo hamare liye khaana banake leke aayi bahut acha khana janti hai kehti hai uske ghar mein sirf uski maa hai jo is rishte ke bhi khilaf nahi faisla tum dono ka hai aur tum dono khush to humhe kya? Wo chahe jo bhi dharam maane hamare mazhab ki bahut izzat karti hai isliye humne koi aitraz nahi tu oosse baat kar le aur fhir soch le kabki sagaai?"

Main jaise itna sunkar bhaukla gaya aur unke aur kuch kehne se pehle hi bhaagte huye upar apne kamre mein aaya mujhe yakeen nahi ho pa raha tha ki jis aafat ko maine ye samjhke bhula diya ki usne mera picha chodh diya tha wo aafat ab bhi mere piche haath dhoke padi thi, shoumi ne kya chaal chali? Usne itna waqt mujhse na mulaqat ki lekin mere maa baba ko itne waqt mein usne apne bas mein kar liya aur main samajh bhi na paaya haalaki maine apna ghar baandh diya tha toh fhir wo yaha aa kaise saki? Aur sabse badhkar oose yaha ka malumat chala kaise?

Main bahut zyada Darr Gaya gusse mein aakar main niche utara aur maa baba se ghabraye pucha to wo meri shakal yu dekhne lage maano jaise mujhe koi daura pad gaya ho,

"K.kya kh..ane ko deti thi?"

"Arre tu itna bhaukla kyu raha hai? Kya baat hai tabiyat to theek hai na teri?"...maa ne mere maathe par se pasina ponchte hua pucha

"Pehle jawab do"

"Kabhi koi meetha pakwaan jaise barfi, mithai ya halwa to fhir kabhi koi sabzi lekin khaana bahut laziz banati hai apne haatho se"

"Kitni baar yaha aai?"

"Kayi dafa kayi mahino se hum to usse bas tere aane ki sawal puchte hai aur dekho usne kaha aur tu isi hafte chala aaya"

Mera sar chakrane laga main kaise unhe samjha paata? Ki wo kitni badi aafat ko apne ghar aane de rahe they? Kaash main unhe uske diye cheezo ko khaane se rok pata? Lekin wo log shoumi ko leke hi tarif kiye ja rahe they aisa lag raha tha jaise wo unke mann mein bas chuki ho mujhse ek baat bhi uske baarein mein galat sunna nahi chahte they....mujhe darr tha ki kahi shoumi unhe bhi kisi kisam ka taqleef na pahucha de lekin usne ye jhoot kaha ki wo mujhse judi huyi hai aur roz mujhse milti hai agar wo yaha ghar baandhne ke bawjud pahuch sakti thi to fhir mujtak pahuchna uske liye kaun sa muskil ka sabab tha?

                            -----------

"Toh iska matlab shoumi tere maa baba tak pahuch gayi aur unhe ye sabit kar diya ki tu usse shaadi karne wala hai tune ma baba ko samjhaaya"

"Haan lekin mujhe lagta hai unpe jadu ka asar ho chuka shoumi jab chahe unhe nuksan pahucha sakti hai mujhe unki fikar ho rahi hai"

"Kuch nahi hoga unhe guddu sabr se kaam lo khuda ne chaha to sab theek hoga".....roshni ne mere kandhe pe hath rakhte huye kaha

Main Aziz roshni aur Shabnam ek restaurant mein baithe they aur maine sheher waapis aakar sabkuch unhe bata diya tha, sabkuch sunne ke baad sabse zyada pareshan mujhe roshni dikhi jisne mere sath kai sapne sanjoye they ki hum bas niqah karne wale they lekin buri nazar humare zindagiyo par lag chuki thi,

"Mera bas chale toh main oose Jaan se maar du"

"Relax Aziz filhal humne ye sochna chahiye ki hum kar kya sakte hai?"....shabnam boli

"Maine soch liya hai ki tujhe kya karna hai?"

Maine Aziz ki taraf dekha roshni aur Shabnam bhi uski taraf dekhne lagi...."hum sab sheher se bahar chalte hai aur waha jakar guddu tu roshni se niqah kar lena"

"Kisi ko bina bataye? Are you absolutely out of ur mind bro? Shaadi koi hassi khel hai aur main nahi chahta ki roshni shoumi ki nazaro mein aaye jo mere parivarwalo tak pahuch sakti hai oose roshni tak pahuchne mein waqt lagega aur waise bhi roshni ke maa baap ko nawaqif kar main usse niqah nahi kar sakta wo oose ghar se nikaal denge"

Roshni bhi sochne lagi lekin tabhi usne mujhe shaant karte huye kaha "Aziz sach keh rahe hai ek baar niqaah ho jayega toh kya wo kuch kar sakti hai?"

"Bahut kuch kya malum? Wo aape se bahar ho jaye aur kuch bhaari nuqsan hamara kar baithe nahi roshni main tumhe kurban nahi karna chahta agar hamara saath nahi ho paata to koi baat nahi lekin main tumhari zindagi khatre mein nahi daal sakta"

"Meri baat samjh guddu ek yahi rasta hai yaad nahi mauli sahab ne kya kaha tha? Ki tu niqaah karke kahi dur chala jaaye maine aaj hi firm ke hr manager se baat ki hamari branch banglore mein bhi hai tu niqaah ke baad bina kisi ko kuch bataye roshni ko leke chala Jaa baaki dekhi jayegi main tere parivar waalo ko manaa lunga kuch hi din toh gussa karenge"

"Nahi bro bahut khatra hai wo tut Jayenge aur roshni ke maa baba ka bhi to soch kya bitegi unpar ki unki ikaluti beti ek gair ke saath yu bhag gai main itna bada kadam nahi utha sakta"

Mujhe bahut samjhaya gaya lekin main razamand na hua mera zameer mujhe gawahi nahi de raha tha kisi anchahe musibat se mujhe Darr lag raha tha kya malum shoumi kahi mere parivarwalo ko ya hum mein se kisi ke parivar walo ya unhe nuqsan na pahucha de jiska afsos humhe zindagi bhar karte rehna pade roshni ne thaan liya tha ki wo apne gharwalo se baat karke rahegi isliye us shaam wo mujhe apne ghar le aayi main uske Parivar se mila lekin unhe apne mushkil ke baarein mein kuch bhi nahi bataya kaafi baat cheet aur manane ke baad unhone yahi faisla liya ki niqah itne jaldi aasan nahi isliye hum pehle sagaai kar le main bhi sehmat raha par roshni ko gawara nahi tha sabr karna wo mujhe shoumi ke saaye se nijat dilwana chahti thi,

                               ----------

Us raat aandhi chal rahi thi bijliya chamak rahi thi aur badal garaz rahe they Aziz ke ghar tak drop karne ke baad shabnam apne pg ke kamre mein pahuchi to tabtak waqt kuch 10 ke paar tha wo befikar thi ki Ghar ke pichwade se uska rasta tha isliye makan malik ki nigah uspar muskil se padti thi, shabnam ke parivar waale chote town mein rehte they toh yaha padhai ke liye unhone apni beti ko bheja tha padhai puri ho jaane ke baad shabnam ka dil yahi lag gaya to waha usne ek firm mein naukri pakadh li usi dauran roshni se wo mili thi jo uski humumar thi aur dekhte hi dekhte uski gehri dost ban chuki thi, uske kuch maah baad Aziz uske zindagi mein aa gaya ab toh shabnam bhi yahi chahti thi ki wo apne gharwalo se Aziz ke babat niqah ki baat kare par usmein himmat nahi thi berehaal wo ye zimma Aziz pe hi chodhi huyi thi jisne waqt liya tha ki pehle wo kisi kaabil ban jaaye toh fhir wo khud usse niqaah karega chahe koi raazi ho ya na,

Shabnam kamre ki safaai aur khaane se faarig hoke khidki se bahar bigadte Mausam ko dekhne lagi, wo fhir bathroom ki taraf badhi waha usne shower on kiya aur fhir nahane ki tayyari shuru ki, kuch hi pal mein wo shower ke niche thi aur thande paani se siharti gungunaate wo naha rahi thi ki achanak dhadh se kamre ke darwaje pe dastak padi,

Shabnam ko wo awaz sunai di to usne shower band kiya aur ekpal Ko socha pichwade ka darwaja toh usne band kar diya tha to fhir kaun tha darwaje pe? Kahi uski widhwa buzurg makan Malkin to nahi kahi oose uski dair raat aane ki khabar to nahi lag gayi par wo to dawai kha ke waqt se pehle so jati hai,

Shabnam oose koste huye bathrobe uthati hai oose pehenke bahar nikalti hai wo darwaje pe fhir ek dastak sunti hai..."kaun?"....jawab mein koi awaz nahi deta

Shabnam darwaje ko kholti hai toh bahar sidiyo pe oose koi nahi dikhta niche darwaje tak andhera hota hai bas uske siwah waha koi nahi tha to fhir dastak kisne di?

Udhar apne kamre mein baithi mombatti ki lau ke beech shoumi ki ghurrti aankhen us kaali gudiya pe thi usne muskurakar us gudiya ko ghuraa fhir usne saamne sindoor lage khopdi aur uske ird gird sindoor ke ghire mein haddiyo ko chua fhir us murti ki taraf dekha jo shamshan ghat ki kaali thi, bahar ki bijliyo ki chamak mein wo bari bari tehri aankhe aur nikli zubaan kisi ke bhi raungte khadi kar deti, shoumi ne apne kajal lagi gulabi aankho se unhe dekha aur fhir us gudiya ko kuch padhte huye uspe fhuka,

Hawa tej ho chuki thi shabnam jab darwaja lagaye andar aayi to oose shower chalne ki awaz lagi oose hairani huyi ki shower to usne jati baar band kiya tha to fhir ye khula kaise? Wo fhir bathrobe kholke shower ke niche aake nagn nahane lagi ki tabhi oose azib sa mehsus hua uska pura badan khoon se tarbatar tha usne kaanpte shower ke nal ki taraf dekha jisse paani nahi khoon nikal raha tha wo chilla uthi aur bhaagte kadmo se kamre ki taraf jaane lagi to uska pao fisla wo farsh pe gir padi, wo karha uthi uske pure badan pe chot aaya tha honth daayi taraf se Kantke khoon aane laga tha, rote tadapte shabnam ne uthkar paaya ki shower ka khoon eka ek paani mein tabdil ho gaya uska pura badan khoon se nahi Pani se bheega hua tha oose hairani hone lagi ki abhi to khoon se uska pura badan geela tha nal se khoon beh raha tha, lekin farsh pe ek khoon ki bund nahi thi pura bathroom paani se geela tha, ye kaisa azib waqya tha? Mann hi mann uljhi shabnam sihame kamre mein raingte hatho ke bal pahuchi uski taang mein chot aayi thi wo waise hi kuch dair zameen pe baithi rahi ki achanak oose ahesas hua ki koi saya uske piche khada hai shabnam bhauklaye piche mudkar dekhne lagi waha koi nahi tha,

Kamra andhere mein duba tha aur shayad light chali gayi thi bas badal garaz rahe they bijliya chamak rahi thi, shabnam karhaate apne bistar par baithkar rone lagi usne phone talashna chaha ki tabhi kisi ne zordar thappad uske chehre pe maara wo cheekh uthi oose apne kaan sun hote mehsus huye usne ghabraye charo taraf dekha waha koi nahi tha achanak tabhi dusre gaal par kisi bhaari cheez ka vaar oose fhir laga wo chillaye bistar pe gir padi uske hontho ke koro se khoon behane laga wo waha ab akele teherna nahi chahti thi usne jaise taise uthkar bhaagna chaha lekin tang ne uska sath nahi diya aur fhir wo zameen pe hi baith gayi usne puri himmat se ghasitte huye darwaje tak aane ki koshish ki thi,

Ki tabhi uske peeth par kisi ne jaise chabuk maara ho uski chamdi cheel si gai shabnam dard se bilbila uthi lekin wo azgaib maar hoti rahi wo cheekhti rahi chillati rahi madad ki guhar lagaati rahi uske pure nange jism pe chabuk ki tarah vaar hota raha aur wo tadapti rahi kuch hi dair mein uska pura badan pe chamdi cheelti zakhmo ke nishan they aur Shabnam behosh nange haalat mein padi thi, uske chehre pe kharoch ke nishan they aur uski pao mein ek suyi chubi huyi thi, fhir khaamoshi fizao par chaati gayi aur raat dhalne lagi,

                             -----------

Agli subah us buri khabar ki babat Aziz ne mujhe phone karke bataya main aspatal pahucha jaha shabnam ke maa baba mauzud they unke haziri mein usse mil paana mere liye Aziz ke liye mushkil tha...roshni hi usse mil paayi thi waha police pahuchi thi aur Shabnam se byaan le rahi thi, meri kuch samajh nahi aa raha tha ki aakhir ye kya hoke ghata tha? Aziz lekin faisla nahi kar pa raha tha ki waqayi kisi chor ne shabnam ke sath aisi harqat ki thi ya fir ye shoumi ki koi shararat thi? Mera dil ek pal ke liye dehel gaya,

Dopaharbad roshni humse mili wo bahut ghabrayi aur bechain thi wo hamare saamne baithi to main uski taraf sawalato se dekhne laga usne shabnam ki tasveer mujhe dikhaai jise dekhke main sihar utha pure badan pe pattiya thi aur chehra neela pad chuka tha honth Kant gaye they aur kayi jagah kharocho ke nishan they jaise kisi ne ungliyon se uske chehre ko kharocha tha

"Isse bhi behad dehla dene wali cheez ye thi ki uske pairo tale ek suyi chubi huyi thi"

Aziz sisake Bina reh nahi paaya na jane uspar kya guzar rahi thi?

"Aakhir ye sab kisne kiya kuch pata chala?"

"Kehti hai ki pehle darwaja pe koi dastak diya waha koi nahi tha fhir wo nahane aayi to khoon shower se uske upar behane laga fhir wo fisali aur jaise taise kamre pahuchi to kisi ne uspe hamla karna shuru kar diya jaise koi oose chabuk maar raha ho oose toh reh reh ke daure pad rahe hai police ne yahi nateeja nikaala hai ki usne khud ko hi harm pahuchaya hai uske akele ghutte rehne aur kaamkaj ke pressure se hi uske dimaagi haalat pe asar pada hai unhone kamre ki chanbin ki waha kisi ki mauzdgi ka nishan nahi tha wo to Malkin ko uski cheekhe sunai dene lagi to wo neend se jaagte pahuchi aur fhir unhone darwaja andar se band paaya police ke madad se hi darwaja khula khairiyat hai ki wo Salamat hai"

"Main usse Milana chahta hoo"...Aziz uthkar jaane laga

"Agar tum usse milane gaye toh police ke Shaq mein aa jaoge aur bewajah police tumse sawal karegi"

"Aziz pls control urself"

"Ye sab kisne kiya hoga? Kisne shabnam ko is qadr torture kiya hai police to manegi na ki uska torture hua hai wo yun nangi paayi gayi thi main us aurat ko jaan se maar dunga main nahi chodhunga oose!"

"Humhe usse dur rehna chahiye na ki uske kareeb khair shabnam ki jabtak haalat nahi sudhar jati uske gharwale uske paas rahenge uske theek hote hi wo oose apne sath le jayenge"

Aziz mayus ho gaya toh maine oose samjhaya aakhir itni bari tragedy shabnam ke sath ghati thi toh uska akele rehna munasib nahi tha aur uska acha Bura uske gharwale soch sakte they, main ye sochne laga ki ab hum kya kar sakte they? Lekin abhi kuch honi ko hona baaki tha,

Shabam jab aspatal se discharge huyi toh uska bartav badal gaya tha jab Aziz ne usse milane ki koshish ki toh usne saaf usse milane se inkar kar diya aur kaha ki wo oose bhul jaaye kal tak shadi ke sapne Aziz ke sath dekhne wali shabnam ab usse break up chahti thi na jaane us rat ke baad oose kya hua tha? Roshni ne bhi usse milane ki koshish ki toh usne roshni ko bhi bura bhala kehke apne ghar se bhaga diya, roshni mere paas aayi aur usne rokar mujhe sabkuch bataya

Main nahi janta tha ki aakhir shabnam aisa kyu kar rahi thi? Uske parivaar waale oose apne sath hometown le gaye, kuch din hi guzara tha ki malum chala ki usne khud ki jaan lene ki koshish Kari hai, main roshni ke saath oose dekhne waha pahucha tha toh malum chala ki tabtak shabnam mental asylum mein admit kar di gayi thi uske Parivar se malum chala ki ghar aane ke bawjud oose reh rehke daure chadhte they uska sabse bartav chichida sa ho chuka tha pichli raat toh usne apni jaan tak lene ki koshish ki jab jangla se usne chalang laga di jaan to Bach gayi lekin wo pagalo ki tarah bartav karne lagi uski dimaagi haalat kharab ho chuki thi jis wajah se doctor ne oose fauran pagalkhane bhejne ka faisla kiya tha,

Uske Parivar ne humse kayi dafa pucha ki aakhir kya hua tha uske sath? Lekin hamare paas kya jawab tha? Main unhe kya samjha pata ki uski halat ka zimmedar main khud tha, sheher wapis aakar main kafi gumsum rehne laga idhar Aziz ko jab sabkuch malum chala to uska Mann Tut chuka tha usne zyadatar waqt hamare sath bitana band kar diya tha usne office bhi aana kam kar diya tha jis wajah se oose naukri se kisi bhi waqt nikaala jaa sakta tha,

Mujhe Aziz ki bhi ye haalat dekhi nahi jaa rahi thi us shaam main ek restaurant mein roshni ke intejar mein baitha tha kayi waqt baad bhi roshni nahi pahuchi toh main uthkar jaane hi laga ki tabhi kisi ne mere kandhe pe hath rakha Maine jab mudkar piche dekha toh shoumi khadi thi usne tight jeans aur western top ke upar jacket pehna tha aur wo kayi had se bhi zyada khubsurat lag rahi thi itne din baad uske chehre pe mujhe dekhke khilkhilati muskurahat thi aur usse dekhke mujhe ek azib sa dhakka sa laga tha, main saqte mein kuch bol nahi paya, maine socha nahi tha ki ki itne waqt baad wo fhir mere rubaru hogi lekin shayad main galat tha itne waqt baad oose apne saamne khada dekh main sakdum khamoshi se bas khada oose ghur raha tha aur wo muskuraye jaa rahi thi aisa laga nahi ki uske chehre pe koi narazgi ho mera yun usse dur ho jaane ke wajah se, wo bas ektak mujhe dekhti rahi aur main oose!

To be continued...


Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
21 hours and 1 minutes.
Posts: 164
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #7 on: May 20, 2023, 11:35:11 AM »
Chapter 7

Main oose bas ghurrta Raha aur wo bhi mujhe muskuraye khamoshi se, fhir usne chuppi todi aur baithne ka izhar kiya, main hadbadaya mujhmein himmat nahi thi ki main koi bahana karke waha se chala jau isliye maine haami bharke oose baithne ka ishaara kiya aur yun uske saamne baitha jaise main uske kiye abtak sab cheezo se nawaqif tha,

"Kaise ho? Aakhir mujhse break up kar hi liya na tumne?"

"Aisi baat nahi hai m..main tumhare ghar us shaam gaya tha tumh..ari maa ne mujhe tumse taluq rakhne mana kiya tha"

Oose yun laga jaise main saaf jhoot bol Raha tha kyunki wo pehle hi sabkuch Jaan chuki thi isliye toh us din usne apni maa par haath uthaya tha maine apne baaye bazu pe bandhe tabiz ko asteen ke bahar se chune laga to jaise wo khilkhilake hass padi main samajh nahi paya kya wajah thi? Kya oose tabeez ka bhi malumat tha jise main uske aur apne darmiyan dhaal samajh raha tha?

"K..kya hua?"....maine sawal kiya

"Aisa lagta hai jaise tumhe mujhse Darr lag raha hai"

"N..nahi toh bhala kyu?"

Kuch der tak hamare beech baat nahi huyi...toh usne hi kaha "agar koi aisi baat thi toh keh sakte they? Ki maa ne tumhe kuch kaha tha"

"Nahi main tumhare aur unke beech jhagda nahi chahta tha"

"Unki himmat nahi ki wo mujhse jhagda kare".....shoumi ki ghurrti nigah ko dekh main pehlu badalne laga us shaam uski maa ke sath jo usne Kiya wo mere nazaro mein ghum Gaya tha

"Acha aajkal kya kar rahe ho?"

"Jaise tumhe nahi pata tum toh mere gharwalo ke paas tak pahuch gayi unhe ye bataya ki hum shaadi Karne waale hai  tumhe unka pata kisne bataya tha?"

"Kyu? Main untak pahuch nahi sakti?"

"N..nahi aisi baat nahi lekin tumne jhoot kyu kaha?"

Ek pal ko laga jaise wo fhat padegi aur chilla chilla ke mujhse kahegi ki kya hum ekdusre ke saath nahi they? Kya tumne jaanbhujkar mujhse duri banake ye samjha maine tumhara picha chodh diya?...main hadbada sa gaya hontho pe bechaini se zubaan phairne laga,

"Kya tum mujhse shaadi nahi karna chahte they? Us raat kaise tum hi yu pipe ke sahare khidki se mere ghar daakhil huye mujhse izhaar Kiya ki main tumhare bina!"

"Main apne hosho hawas mein nahi tha tum behtar janti ho tumne aajtak mujhe uska jawab nahi diya tha"

Shoumi chup rahi wo bas mujhe ghurrti rahi, "yaha kaise aana hua?"....maine baat ka rukh dusri taraf kheecha

"Bas yu hi ittefaq se Kone par baithi thi ki tum mil gaye isliye tumse milane yaha aayi"

Maine fiki muskurahat dete huye kaha "darasal main ab naukri karne laga hoo ek firm mein jo ki mere ghar se bahut dur hai wohi zyada waqt guzarta hai isliye main chahkar bhi waqt nahi nikaal paata"

"Isliye break up kar liya?".....shoumi ne ekdum se jab kaha toh main siham gaya wo gambhir thi

"N..nahi toh maine socha ki main tumhe waqt nahi de paunga aur main bahut zyada career ko leke tension mein tha maine chaha pehle main apne aage ke baare mein Sochu"

"Tum toh mujhse ek din bhi milane nahi aaye na mujhe contact Kiya aur na koi message keh to sakte they"

"Mujhe laga farig hunga toh ek din tumse milane aaunga"

Shoumi chup rahi toh main uthne laga "Mujhe ab chalna chahiye ek project pe kaam kar raha hoo colleague se bhi Milana hai"

"Itne jaldi"

"Kaam ka sawal hai anyway main fhir tumse milunga"

"Tum mujhe ignore kar rahe ho?"

Maine gambhir hoke oose dekha aur fhir na chahte huye bhi muskuraya "aisa kabhi ho sakta hai shoumi tum apna khyal rakhna hum jald hi milenge see you soon"

Main ek pal bhi waha teherna na chahta tha main tez kadmo se waha se jaane laga toh shoumi ne jo aakhir baar sawal kiya usne mujhe rukne pe mazbur kar diya "akele ho ya koi aur bhi hai ab zindagi mein?"

Maine mudkar oose dekha aur mazbuti se sar hilaya lekin uski nigaho mein mujhe yakeen kahi nahi dikh raha tha usne muskuraya...main gale se thook ghontte sihamte restaurant se bahar nikla aur bagal se guzarte rickshaw ko hath dikhaaye baith gaya maine piche mudkar bhi na dekha ki wo waqayi mere piche thi ya nahi...acha hi hua ki roshni waha nahi pahuchi thi warna wo uske nazaro mein aa jati, shabnam ke sath jo hua uske baad se ab mujhe roshni aur Aziz dono ki fikar ho rahi thi,

                                -----------

Bijliya kadak rahi thi aisa lagta tha tufaan aane wala tha roshni apne kamre mein baithi kursi pe anmane bhaav se phone pe apni aur meri tasveere dekh rahi thi kitne khushaal pal guzare aur fhir kahan se achanak buri nazar unke rishte pe lag gayi kaise shabnam ke sath kya kuch ghata? Kitne khush thi woh? Aziz ke sath shadi karne ka usne bhi khwab dekha tha? Apni saheli ke aise haulnaak anjam ka sochte hi uska kaleja kaanp utha kya waqayi in sab ke piche wo kaali jadugarni thi jo uske pyar ke zindagi mein kabhi uska ateet thi, kya waqayi wo itni khatarnak hai? Kya wo kahi oose bhi? "Nahi nahi ye kya fizul baat hai wo toh uski pahuch se kahi dur hai usne toh kabhi uska chehra tak nahi dekha lekin wo toh guddu ke maa baba tak pahuch chuki thi toh fhir us tak kyu nahi pahuch sakti thi? Bachpan mein usne kayi dafa aisi waqyo ko suna tha lekin kabhi daayan kaala jadu tona totka aisi cheezo pe usne yakeen nahi kiya tha, oose ekdum se khyal aaya ki shaam ko oose guddu se milane jaana tha maa ke sath haath bataane mein wo kaise bhul gayi thi? Usne phone karke guddu se maanfi maagne ke lehze se message chodha par wo online nahi tha, na jane kabse wo restaurant mein intejar karte karte wo kab chala gaya hoga aur wo thi ki bekhabar badkhyalo mein mashgool thi,

Itna kuch hokar hata tha sabke dimaag par bhari mansik dabaav pada tha aur aise mein  bhul usse bhi huyi thi Aaj itvaar tha to unke paas tanhaai mein kuch waqt guzarne ka mauka tha roshni udaas mann se uthkar kamre se jaane lagi thi ki achanak oose apne pair bhari mehsus huye,

Itne bhaari ki wo oose kai wajandar lagne lage uska pair sun ho chuka tha wo bhauklaye ghabraye apne dono pao ko tatolne lagi aisa lag raha tha jaise oose falaria ho gaya tha uske pao apne aap fhulne lage aur karishmai dhang se itne bade ho gaye ki wo ek kadam bhi uthaane mein nakam reh gayi,

Roshni pareshan hone lagi aur wohi zameen par girkar apne pao ko dabane lagi oose koi bhi dard nahi mehsus ho raha tha ooska dil reh rehke ghabraye ja raha tha achanak oose khaasi uthne lagi wo uth bhi nahi pa rahi thi aur khaasi badhti jaa rahi thi aur dekhte hi dekhte usne itni zor se khaasa ki khoon ke saath thook mein suyi zameen pe girne lagi wo ekdum hataash ghabrayi chilla uthi,

Uske ammi abba kamre mein bhaagte huye aaye aur apni beti ka wo haalat dekh sannate mein aa gaye maano unhe apni nazaro pe yakeen nahi ho raha ho, roshni khoon ugalte huye rone lagi uski ammi ne kasskar ooske Peeth ko thapthapaya farsh pe khoon mein pada suyi dekh wo dono ghabra Gaye..dusre hi taraf uska pao badhta ja raha tha uske abba ne uske pao ko chua to wo unhe koi bimari lagi, roshni buri tarah darre roye jaa rahi thi,

                                 ----------

Agle din kisi bure khwab sa jaaga main mayusi se office chalne ki tayyari karne laga, maine roshni ko phone milaaya uska kal raat ka message aaya hua tha maine padhke yahi socha ki acha hua wo aayi nahi thi warna khaamokhah shoumi oose dekh leti, shoumi ka kal yun Milana mujhe ittefaq nahi laga main sochte sochte nashta kiye office pahucha jab lunch period hua toh roshni ke cabin mein oose dhundhne pahucha lekin wo aaj aayi nahi thi lekin usne koi tabiyat kharab ka zikar to nahi kiya ho sakta tha ki jo kuch hamare sath ghata usse wo waqayi pareshan ho gayi thi, shaam ko sidha office se main uske ghar pahucha aur uske naukar se mila, to usne jo roshni ki babat kal raat ghati thi wo sabkuch byaan kiya,

Main bhaagte teji se sidiya chadhke ghabraaye roshni ke kamre mein aaya waha uske abba ammi ek taraf khade they aur roshni bistar par beshud laiti thi uske pao pe pattiya chadhi thi ek taraf doctor baitha tha mujhe waha dekhkar uske abba kareeb aaye

"Ye kaka niche kya bata rahe they? Ye roshni ko kya hua uncle?"

Uske abba ne sabkuch bataya ki kal raat kya hua tha? Oose hospital le jaya na ja saka kyunki pao is qadr fhul gaya tha ki wo chalne ke layak bhi nahi thi..aur sabse bhayank waqya toh ye tha ki oosne khaaste waqt khoon ugala tha jismein suyi thi meri haalat to aise jaise kaato to khoon nahi toh kya uska bhi anjaam shabnam ki tarah ya usse bhi badtar hone wala tha, main royi nigaho se roshni ke paas aake baitha

"Dekhiye dawaai ke asar se abhi ye behosh hai aur ise behtar hai ki zyada se zyada aaram karne dijiye maine pao ka examine kiya hai kal scan aur reports ho jayegi but pao ko cheerne ke bawjud usmein koi mawad nahi nikla aur hairat ki baat koi khoon nahi ye kis tarah ka infection hai i must consult with senior doctors kal ise hospital le jaya jayega and about coughing of blood and needles this is absolute bizarre case i have never seen such thing in my entire life"

"Kya meri beti ko koi lailaaj bimari hai?"

"Keh nahi sakte kal hi is baat ki pushti ki jayegi Abhi filhal ye normal hai aur ise bedrest ki zarurat hai"

Uske abba doctor ke sath bahar chale gaye par main jaan chuka tha ki ye koi mehez hadsa nahi tha roshni ke sath jo kuch bhi ho raha tha koi tona totka tha, roshni ki maa mere kareeb aayi fhir unhone Jo kuch kaha wo mujhe aur saqte mein daalne laga

"Kal pure din ye bilkul theek thi guddu aakhir ye sab kya ho raha hai? Mujhe kuch theek nahi lag raha aisa lagta hai jaise kisi ne meri roshni ke upar kaala jaadu kar diya hai kya maine dekha nahi? Main iske abba ko kaise samjhau ab koi amaali hi meri beti ki jaan bacha sakta hai pehle iski dost shabnam jo pagal ho gayi uske baad bhi bahut azibogarib ghatna ghati thi aur ab, sach batao guddu kya baat hai? Kya tum kuch jaante ho?"

"Nahi aunty lekin main yakeen dilata hun roshni ko kuch nahi hoga kuch bhi nahi"

Main itna kehke roshni pe ek nigaah daale waha se zazbat ki rau mein ruksat ho gaya piche uski ammi mujhe tokti rahi lekin main waha tehra nahi, mere andar shoumi ke liye nafrat badhti ja rahi thi usne kayi hadd paar kar di thi aur ab mujhe oose har haal mein thaamna tha,

                               ---------

Main pure iraade ke saath uske ghar ke saamne khada tha wohi barsaati raat thi badal garaz rahe they main bheegta hua sidiya chadhkar uske chaukhat pe khada hua fhir darwaje pe zor zor se dastak di, uski maa jaise sote se jaagte huye aayi living hall mein ujala hua aur fhir darwaja kholte hi unki nigah mujhpe thi maine unke chehre pe dekha aisa laga jaise wo kisi bhaari sadme mein jee rahi thi, ek pal ko mujhe dekhke wo chaunk uthi fhir badastur mujhe ghurrti rahi,

"Shoumi kahan hai?".....maine sard lehze se kaha

"T..tum yaha itni raat gaye kya chahte ho?"

"Mujhe shoumi se milana hai abhi aur isi waqt"...maine unki parwah na karte huye andar unhe saamne se pare hatate sidiyo ki taraf jaane laga

Wo hadbadayi mere piche aane lagi..toh maine unhe wohi rukne ka ishara kiya meri gussail nazaro ko dekhke jaise wo ek baar ke liye siham uthi, main dandanate huye sidiya chadhkar upar jaane laga mujhe darr nahi tha aage kya hone wala tha? Uski maa kahi police ko na phone kar de aise kayi sawalat ko main nazarandaz kar upar pahucha maine niche jhaanka uski maa aise dehshat se dekh rahi thi maano sidiyo ka rukh karna bhi unhe gawara nahi tha main unki nazaro ko padhte huye galiyare ki taraf badha aur kamre ke darwaja adkhula tha maine oose dhakela andar koi light nahi jal rahi thi balki dhu dhu karti bistar ke saamne aag jal rahi thi charo taraf haddiya sindoor aur beech mein kankaal jispe ek mombatti jal rahi thi aur theek saamne maa kaali ki wo durlabh murti jise koi bhi dekh leta uska dil siham uthta,.

Shoumi theek saamne kaale saree mein maathe pe lamba tilak lagaye baithi ankhe munde mantro ka jaap kar rahi thi bijli ki tej roshni mein jalti aag ke kareeb maine ek kaali gudiya dekhi jiske dono pao pe raakh aur suyi lagi thi aisa bhayavah manzar ko dekh main puri tarah kaanp utha main nahi janta tha shoumi ko meri aamad ki khabar lag chuki thi ki nahi, us waqt mere sar par khoon savaar tha roshni ka haalat mujhse dekha nahi gaya tha,

Main andar pahucha mere kadamo ko sun wo gussail nigaho se aankh kholi uske kajal lagi bari bari gulabi ankhe mujhe ghurrne lagi aisa laga jaise wo koi masum shoumi nahi koi tantrikni ho, mujhe dekhte hi uske chehre ka rang badla aur wo ahiste ahiste uthkar khadi huyi,

"Tumi akhane?"

"Haan main waah shoumi waah maine socha nahi tha ki tum itna gir jaogi us shaam main tumhare ghar aaya tha maine dekha tumne apni maa ke sath kaisa bartav kiya? Ab mujhe sabkuch samaj aa chuka ki kyu mera kaleja koi kheechta tha kyu koi mere kaan mein tumhara naam leta tha? Kaise main pagalo ki tarah tumhare pass aa gaya tha wo to is tabeez ne mujhe abtak Rokke rakha lekin tum nahi ruki tumne shabnam ki zindagi barbad kar di aur ab meri dost ko bhi nuqsan pahucha rahi ho hai koi jawab tumhare paas?"

"Haan haan ye sab maine kiya? Sirf tumhe paane ke liye aur tumne kya Kiya? Mujhe khilone ki tarah istemal kya laga tumhe ki tum mujhse dur reh paoge arre tumhare wo amaali bhi mera kuch nahi bigaad paaye aur ye baazu mein bandha tabeez bhi ab tum khud utaarkar faikoge aur tab khud inhi ghutno par mere paas raingte huye aaoge mujhse apni jaan bakshaish ki bheek maangne"

"Main tumhe kya samjhta tha aur tum kya nikli? You are a bloody witch lekin ab nahi main tumhe ab kisi aur ki zindagi barbaad nahi karne dunga mujhse problem thi na toh mujhe jaan se maar deti unhein kyu?"

Shoumi tilmila uthi aur usne fhir dahadhte huye kaha "kyunki tumhare dost mujhe tumse dur kar rahe they wo ladki jiska tum us shaam restaurant mein intejar kar rahe they aur mujhse jhoot bole ki tum yun hi waha aaye they, uske sath tum shaadi karne waale they par ab nahi tumhare ek dost ko maine uski mohabbat se mehrum kar diya aur ab roshni ki baari hai ab uska marrna tayy hai fhir wo tumse mehrum hogi dekhna chahte ho"

Shoumi ne wo kaali gudiya uthaai aur fhir ek suyi usne daant peesti nafrat bhari nigaho se muskuraya aur dheere dheere us suyi ko us gudiya ke gale mein le jaane lagi, isse pehle ki wo uske gale mein wo suyi ja dhasti main uspar jhapat pada shoumi ekdum se mere geraft mein aa gayi, main uske haatho ki suyi ko kisi tarah gudiya tak chune nahi de raha tha....wo dohri awaz mein chilla rahi thi mere haath par katne lagi taaki wo mere changul se chutt jaati,

Hathapayi mein main gudiya uske haath se aakhir cheenne mein kamyab raha aur bahar ki taraf bhaaga kisi anarth ki soch mein shoumi mere piche daudi...."guddu ruk jao warna theek nahi hoga guddu"

Main galiyare se sidiyo tak pahucha ki usne mujhpe piche se hamla kiya lekin main raste se hat gaya toh wo sidiyo ki taraf niche girne ki kagar pe pahuch gayi maine oose piche se thamna chaha lekin uske kalai ki chudi mere haatho mein fisalte huye aa gayi   girte uska sar dayi taraf ki diwar se ja laga aur fhir wo ghass khaake sidiyo se niche girti rahi aakhri sidi ke farsh pe jakar uska jism tehra wohi suyi gardan mein jaa dhasi jo uske haatho mein thi..kuch hi pal mein mahoul sannate mein aa gaya uski aankhe khuli tehri reh gayi thi aur sar par gehri chot ka nishan aur gardan par dhasi wohi tikhi lambi suyi jiske koro se khoon nikal raha tha,

Main hataash uski maa ki taraf dekhne laga aur wo apni beti ke mare huye shareer ki taraf main jaise taise sidiya utarkar unke paas aaya aur haath jodkar rone laga wo waise hi patthar bani sadme mein khadi rahi, unki aankhe nam thi main shoumi ke kareeb baitha bijli ke roshni uske chehre pe padti toh uski tehri khuli nigah dikhti, maine kaanpte huye uska nabz chua wo marr chuki thi,

                             ------------
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
21 hours and 1 minutes.
Posts: 164
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #8 on: May 20, 2023, 11:36:08 AM »
Kayi dair tak inspector marghoob apalak guddu ko ghurrta Raha sab sunne ke baad jaise wo samajh nahi paa Raha tha ki usmein kitni sacchai thi? Zindagi mein kabhi bhi usne andhwishwas jaisi cheez pe yakeen nahi kiya tha par roshni ke haulnaak anjaam mein oose andar tak hila diya tha aur jo kuch uske kamre se baramad hua uska ishara kisi azgaib waqya par tha, guddu khamosh hokar subakne laga

"Fhir uski maa ne tumhare sath kya kiya? Kya unhone tumhe apni beti ka qatil maana?"

"Sabkuch unke aankho dekhi tha kayi waqt baad wo hosh mein aayi lekin unki aankho mein sirf aansu they apni beti ko khone ka koi gam nahi ye bahut azib waqya tha lekin main kasoorvar tha maine police ko call kar diya police aayi mera itni raat gaye aane ka byaan aur unka byaan liya jaane laga lekin hairat is baat ki thi ki unhone mere khilaf koi gawahi nahi di mujhe gunahgar nahi tehraya balki apni beti ke pagalpan ko uski maut ka kaaran bataya unke byan ke mutabik unhone hi mujhe phone karke bulaaya tha aur main waha pahucha tha, upar kamre mein jo kuch haddiya kankal baramad hua wo sabkuch unhone ek hi lavz mein kaha ki unki beti pichle kayi waqt se kaala jadu sikhkar jadu tona karti thi, is beech beti se unki kaha kayi baar kaha suni huyi par is bar oose pagalpan ke daure padne lage aur wo unko nuqsan pahuchane ke liye unke piche bhaagi raaste mein uska pao fisla aur wo sidiyo se niche gir padi uske hath ki sui uski gardan mein ja dhasi aur palbhar mein usne dum tod diya

Ye wajah sunkar police ne pehle toh nahi maana mera alag se byaan liya gaya kaafi dabaav daala gaya par jo kuch shoumi ki ma ne kaha tha maine bhi wohi jumla dohra diya lekin yakeen maniye maine oose nahi maara wo khud ek hadse ke tehet apni jaan gawah baithi thi humhe thaane le jaya gaya aur shoumi ki body ko postmertum ke liye astpatal bheja gaya Aziz aur roshni mujhse milane police headquarter aaye they jinse meri babat police ne kayi sawal kiye par unhone shoumi ke baarein mein bas itna bataya ki wo mehez meri dost thi, kaafi chaanbin aur lack of evidence par mujhe aur shoumi ki maa ko riha kar diya gaya lekin taftish unki kayi waqt tak jaari rahi baad mein laash shoumi ki maa ko saunp di gayi thi main uski maa se milane shoksabha mein pahucha tha aur maine unse sawal karna chaha tha ki unhone mujhe kyu bachaya tha? Jab main na kiye gunah ko bhi apne aap ko zimmedar tehrane ko raazi tha toh unhone kaha ki meri koi galti nahi thi wo ek nirdosh ko saza bhugatte nahi dekh sakti thi aur wo janti thi ki jo kuch hua anjane mein hua jiski zimmedar khud shoumi thi usne kai hasste khelte parivar ko barbaad kiya tha sirf apni khushi ke liye apne badle ke liye, uske baba ke bhi maut ke piche kahi na kahi wohi zimmedar thi, main unke paas fhir na tehra aur waha se chala gaya....shoumi ke jism ko antim sanskar ke liye le jaya jaane laga main waha aur tehra nahi ek nazar us laash ke dhake kafan ko maine dekha aur waha se ruksat ho gaya"

Inspector marghoob tabtalak cigarette sulgaaye khidki se bahar khuli waadiyon ko dekhne laga fhir usne paini nigaah se laite soch mein dube guddu ki baat khatam hote hi uski taraf dekha,

"Main chahkar bhi bhoot palit kaala jaadu jaisi andhwishwas cheezo pe yakeen nahi kar paata kyunki Mera farz is baat ke liye mujhe ijajat nahi deta lekin main is case ke baareeqi se bareeqi teh tak jana chahta hu roshni marr chuki hai aur tumhare kehne ke mutabik shoumi bhi ab is dunia mein nahi hai toh fhir qatl kisne kiya?"

"Main janta tha aap nahi maanenge toh fhir Aap yaha aaye kyu? Agar mujhe usi raat police ne arrest karke faasi ki saza sunaa di hoti to shayad aaj roshni bhi zinda hoti agar maine shoumi ke sath samjhauta kar liya hota to na Aziz ki dost shabnam ke sath kuch hota na Aziz ke sath na roshni ke saath aur naa aaj main is haalat mein yaha pahuchta"

Marghoob ne beech mein gussail guddu ko toka..."Aziz? Tumhara dost wo bhi marr chuka hai?"

"Haan aur usi ki maut ke baad wo aafat mere piche abtak padi huyi hai aap oose nahi rok sakte oose koi nahi rok sakta"

"Lekin Aziz ki maut kaise huyi? Agar us aamil ne oose bhi tabeez di thi toh oose shoumi ne kaise maar diya? Aur sabse badi baat shoumi waapis lauti kaise wo to marr!"

"Agar aap mujhpe yakeen karte hai to pls meri kahani pe yakeen kijiye aur meri baat suniye"

"Theek hai batao ki aakhir ye aafat tum logo ke zindagiyo mein dobara kaise lauti?"

To be continued....
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
21 hours and 1 minutes.
Posts: 164
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #9 on: May 20, 2023, 11:37:19 AM »
Chapter 8

Us ghatna ke baad jaise sabkuch badal chuka tha, main kahi na kahi khud ko shoumi ke maut ka zimmedar samjhta tha haalaki jo kuch bhi hua tha ek hadsa tha, lekin mujhe shoumi ki maut ka eka ek sadma lag gaya tha kitno bhi ho wo mere kabhi kareeb thi, jo kuch bhi usne Kiya tha nafrat ke hadas ke zor mein kiya tha, roshni ka pair apne aap theek ho gaya aur fhir oose dobara kuch nahi hua Aziz bhi shabnam ke sadme se ubhar chuka tha aur kayi waqt baad hum teeno ek saath office ke canteen mein baithe they,

"Jo kuch bhi hua usmein tumhara nahi shoumi ka dosh tha par yakeen nahi hota ki uski maa ne tumhare pe koi ilzam nahi lagaya"

"Unhe apni beti se kaafi taqleef thi roshni, koi maa apni beti ko khona bhala chahegi lekin unhone toh apni beti ko oosi din kho diya jis din usne kaala jaadu karna shuru kar diya wo uske kaam ke saqt khilaf thi"

"Lekin aakhir oosne ye sab sikha kaise?"

"Jo bhi uske saath beeti acha hua us jaisi aurat ka anjaam toh isse bhi badtar hona chahiye jo dusro ki khushiya cheene uske chalte aaj meri shabnam pagalkhaane mein padi hai"

Aziz apne zazbat pe kaabu na pa saka aur subakne laga main aur roshni oose samjhaane lage...."dekho Aziz jo hona tha ho gaya ab aage ka khyal karo allah ne chaha to shabnam bhi theek ho jayegi hum itne bare musibat se bahar nikal gaye wohi bahut hai warna hum sab tabaho barbaad ho jaate"

Roshni ne bhi meri baato se sehmati mein sar hilaaya...Aziz uthkar chala gaya uska mood waqayi bahut kharab tha roshni ne mere haath pe haath rakha

"Guddu mujhe khauff tha jo tumne byaan kiya agar wo suyi us gudiya ke gale mein chuba deti toh kya main aaj"

"Aisa mat kaho roshni mera dil us manzar ko soch kaanp Jata hai yakeen nahi hota ki shoumi ki ye asliyat janne ko milegi wo toh uparwale ka rehem tha ki kuch hua nahi warna hum ek dusre ko kho dete"

"Allah ka shukr hai ki unhone humhe ek aafat se nijaat di"

Maine bhi fiki muskurahat dete sehmati mein sar hilaaya lekin kahi na kahi mujhe dukh tha, roshni ne fhir niqaah ki babat pucha to maine bas itna hi sochte huye kaha ki filhal toh humhe us baarein mein nahi sochna chahiye abhi ek hadsa hoke hata hai kuch waqt guzar jaane do uske baad hi hum dekhenge, roshni chahti to nahi thi par wo mujhe waqt dena chahti thi oose meri haalat ka malumat tha isliye usne sabr kar liya,

Kuch din guzare aur haalaat dobara normal ho gaya is beech main shoumi ke wajud ko kayi had bhula chuka tha lekin tanhaai mein baithte hi wo mere zehan mein aane lagti toh Mera pura badan kaanp uthta tha, Aziz ka naukri mein mann nahi laga aur usne naukri chodh di, wo ab tanhai mein zyada waqt guzarne laga shabnam ko kho dene ka sadma oose lag chuka tha, idhar mere aur roshni ke beech pehle jaisa rishta na panap paya na jane kyu humare milane ke bawjud main usse mohabbat nahi kar pata tha, is baat ko kayi dafa roshni ne zabaani iqraar bhi kiya lekin main oose samjha nahi paata tha kya byan karta? Ki mujhe dukh kis qadr tha? Maine socha waqt ke sath main bhi ubhar jaunga aur usse jald se jald niqah kar lunga kyunki ab koi darr nahi tha, lekin main galat tha,

                               ------------

Badal garaz rahe they aur aandhiya chal rahi thi shaam se Mausam bigada hua tha, main thaka haara apne ghar lauta aur ghar ke kaam se nipatkar bistar par lait gaya, neend ne aakhir mujhko ghair liya aur uski aagosh mein main dubta chala gaya,

Ho ho karti hawao ka shorr jaise kamre mein dakhil hua meri band aankhen michmichane lagi mera pura badan sihar uthne laga achanak maine dhundhlaat se aankh kholi daaye taraf ki khidki khul gayi thi bahar paid yun hawa se jhum rahe they ki mujhe wo kafi darawana dikhta mehsus hua tufaan sard hawaye faila Raha tha jo kamre ke bheetar aa rahi thi us hawa mein ek shor gunz rahi thi, maine uthna chaha lekin neend mujhpar aisi taari thi main uth na saka maine aankhe band kar li,

Bijliya kadak uthti toh pura Kamra tej roshni se bhar jata, main fhir neend mein dubta gaya aur is baar maine dekha wohi sab ghatna ghatte huye shoumi ki gussail nigaah  mujhe agaah karna fhir us sui ko gudiya ke gale tak uska le jaana Mera usse hathapayi uski dahadhti awaz aur fhir ek haulnaak cheekh aur fhir uska sidiyo se niche gir Jana uski tehri wo aankhe, uske gale mein dhasi wo suyi, uski maa ke wo khauff se pathrai wo aankhen, mera pura badan kaanp utha shoumi jaise hass rahi thi hasste jaa rahi thi wo mere kareeb aa rahi thi aur kareeb main buri tarah tadapne laga uski aankhe dheere dheere puri kaali ho gayi,

Uske kamre mein pade wo kankaal wo sindur wo suyi wo insaani khopdi....khoon pe behti wo suiya, uske beech shoumi mujhe ghurrte huye tahaka lagati hass rahi thi uski aankhe dekhne ka mujhmein jaise himmat nahi tha fhir achanak mujhe apne badan pe kisi ke raigne ka ahesas hua badal jaise usi waqt zor se phata ho,

Wo sapna nahi tha Haqeeqat tha kisi ne mere chehre ko apni zeeb se chaata ho main sihar gaya meri aankhe khul nahi paa rahi thi aur dekhte hi dekhte kisi ne mere jismo ke tamaam hisso pe nakhun se kharochna shuru diya,

"Aaaahhhh"…main chillate huye utha pura chehra pasine pasine tha wo mehez khwab tha kamre mein koi nahi tha main uthkar bathroom aaya kaisa bura khwab tha wo? Lagta hai main sadme se abhi ubhara nahi tha reh rehke mujhe hallucinations ho rahe they shayad,

Achanak batti jalate hi maine apne nange badan par kharoch ke nishan dekhe gehre jaise kisi ne nakhun se pure badan ko nocha ho kahi kahi jagah se chamdi cheeli huyi thi jisse jalan uthti kya maine ye khud apne sath? Lekin mere ungliyon ke nakhun itne nukile nahi they toh fhir kisne?

Main waapis bistar par aakar lait gaya pehle khidki lagayi fhir aakar sone laga maine chadar odh liya ghadi ki suyi khat khat karke awaz kar rahi thi, tufaan tham chuka tha, kuch hi der mein meri aankhe bhari hone lagi,

Achanak aisa laga jaise koi dabe pao se mere sirhane ke taraf aa raha tha kuch kadam chalte hi awaz band aisa laga jaise wo khamoshi se khada meri taraf rukh kiye tha, fhir dekhta hoo shoumi ko wohi haseen pal wo hawas bhari raat wo ekdum se mere saamne nange badan aakar khadi ho gayi aur dekhte hi dekhte main uske gale lag gaya ki achanak mujhe apne peeth pe nakhun chubta mehsus hua is qadr chubta ki wo dhass raha tha maine oose apne se dur dhakela wohi kaali aankhen aur tahaka lagati uski hassi main usse dur bhaagne laga to har taraf wo khadi thi waise hi haalat mein uski tahaka lagati awaz har taraf gunz rahi thi...."nahi nahi chup ho jao chup ho jao".....main kaan mein Thaame bebasi se ghutno ke bal baithkar rone laga tabhi achanak meri neend khuli

Wo sapna tha uff aisa lag raha tha jaise Aaj raat kaatna mushkil tha, kyu ho Raha tha ye sab? Kya ye mera wehem tha? Shoumi ki dehshat is qadr mujhpe havi ho gayi thi ki mujhe wohi baar baar bure khayalo mein dikh rahi thi...achanak aisa laga jaise chadar mein mere sath koi aur bhi mauzud tha wo mujhse kasskar lipat gayi mujhe koi wehem nahi tha darwaja band khidki maine khud kuch waqt pehle band ki thi to ye kaun tha?

Main sihamte nazaro se piche palatkar Gardan mode dekhne laga toh mujhe kisi ki garam saansein mehsus huyi chadar mein kuch nahi dikh raha tha lekin jab maine gaur se us chehre ko dekha toh mera kaleja jaise munh ko aane ko ho gaya wo shoumi thi usi nagn halat mein uski kaali nigaaho se ghurti uska pura badan safed pad chuka tha aur uske muskurahat itni khaufnak thi ki main byan nahi kar sakta, uski dohri bhari awaz mujhe yakeen nahi ho raha tha wo toh marr chuki thi fhir kaise? Main ekdum se zor se chillaya aur usse dur hone ki koshish mein bistar se gir pada chadar ek taraf gir gaya aur bistar par koi bhi nahi, ek pal mein jaise uska wajud gayab ho gaya,

Bijliya chamak rahi thi aur main tharr tharr kanp raha tha achanak mujhe ahesas hua ki mere bazu mein bandha tabeez meri kalai pe latak raha tha aur wo nocha hua tha main ekdum khauff se sihar gaya main puri raat so nahi paaya kamre ka fhaira lagata raha par koi bhi nahi tha wo shoumi thi maine inhi aankho se oose dekha tha mehsus kiya tha, kisi ko keh pana aasan nahi tha Aziz waise hi sadme mein tha aur roshni kitne waqt baad normal huyi thi aise mein meri ye baatein unhein aur daraa deti isliye maine khamosh rehna behtar samjha ho sakta tha main hi galat hoo, lekin har raat mere saath wohi ghatna baar baar ghatne lagi aur is qadr ghatne lagi ki main so nahi pata tha,

Ab lagta tha jaise shoumi marrkar bhi mujhe haunt kar rahi thi usne mera picha nahi chodha tha aur ab wo mujhe har roz jaise tadpane lagi thi, mere na chahte huye bhi wo mujhpe haavi hoti thi, aur usi bhayankar roop mein mere kareeb aati thi mere jism ko nochti thi aur mujhe jinsi aur jismani taqleef deti thi, subah jab main uthta tha to pehle se zyada khud ko kamzor aur daraa mehsus karta tha mujhe ab akele rehne mein khauff lagne laga tha aisa lagta ki kahi se wo rooh mere saamne aa khadi hogi,

Ek din roshni aur main tanha ek cafe mein baithe they kafi waqt baad hum milane pahuche they warna oosne gaur kiya tha ki maine usse bhi Milana kam kar diya hai wo mujhe ghurr rahi thi jaise uske mann mein koi sawal ho

"Ye tumhare chehre ko kya hua?"

"Matlab"....main bhauklaye apna chehra chute kaha

"Tumhara jism kamzor lagne laga hai guddu jaise tumhe khoon ki kami ho rahi hai tumhare aankho ke niche kaala ghaira pad raha hai kya hua hai? Tum raat bhar sote nahi"

"H .Han mujhe neend nahi aati"

"Tum mujhse kuch chupa rahe ho? Kaho kya baat hai? Kam se kam mujhe to bata sakte ho jante ho aajkal tum mujhse milate bhi nahi kya ho gaya hai tumhe?"

"Main nahi janta roshni bas main yahi chahta hoo ki kuch theek nahi ho raha main tumhe fikar mein nahi chodhna chahta lekin baat ko samjho kuch baatein aisi hai jo main bata nahi sakta"

"Theek hai mat batao apna nahi maante na mujhe to main jaa rahi hoo tum badal gaye ho guddu aisa lagta hai ki tum usse ab bhi pyar karte ho isliye uska dukh tumhe andar hi andar"

"Roshni bina soche samjhe kuch bhi mat kaho"....main aise gusseein dhahada ki aas paas ke log mujhe dekhne lage roshni aise mujhe ghur rahi thi jaise wo main nahi koi aur tha

Roshni aansu ghule nigaho se kawadte huye waha se chali gayi main samajh nahi paa Raha tha ki ye maine kya kiya? Main andar hi andar ghutne laga ki achanak kaan mein kahi aas paas se wo gaana sunai diya wohi gaana jo aksar shoumi gungunati thi main bhauklaye charo taraf dekhne laga meri nigah restaurant ke diwaro pe lage speaker ki taraf uthi, us gaane mein na jane aisa kya tha ki mujhe shoumi baar baar tassavur mein aane lagi, main waha ek pal na tehra aur waha se ghar ki taraf nikal gaya,

                           -----------

Shaam dhal chuki thi Aziz apni gaadi pe baitha beer ki chuskiya leta hua apne ghar ki taraf tej raftar se jaa raha tha, tez music chal raha tha aur Aziz saamne raste ki taraf dekh raha tha pichle itne waqt mein jo kuch bhi uske sath ghata tha wo oose yaad kar raha tha, jo kuch bhi shabnam ke sath us raat beeta tha oose sochte hi dehshat uthne lagti thi jab wo shabnam se mila tha to shabnam ka yun oose pagalo ki tarah fhatkar dena, nazaro se dur chale jaane kehna uska daura padna, suicide karne ki koshish aur fhir pagalkhaane jaana sab uske zehan mein ghum raha tha,

Usne maatha jhatka ab shabnam to gai toh kya hua koi aur sahi? Aur wo dayan kya naam tha uska? sumanta shoumi bhi zinda nahi thi toh oose kya darr? Yahi sochta hua wo mann hi mann itminaan mehsus kar raha tha kam se kam shoumi ki maut ke sath uske shabnam ka badla pura ho chuka tha uske dil ko sukoon mil raha tha ab toh guddu se bhi mulaqat na ke barabar hota tha lekin wo ab uski tarah tanha kahan tha? Roshni uske zindagi mein thi agar wo akele ghutt bhi raha hoga toh roshni uske sahare ke liye uske kareeb hogi, ek baar Aziz ne socha ki agar usne apne dost ka sath na diya hota oose us ladki shoumi se nijaat dilaane ke liye aamil ke pass na le gaya hota to ho sakta tha aaj shabnam uske sath hoti? Mann hi mann fhir Aziz ne aise khyalaato ko jhatka shayad oose nasha ho gaya tha wo kuch zyada hi sochne laga tha, Aziz ne chaha ki aaj wo club jaaye aur waha khub piye taaki saara gam wo bhula sake aur agar ho paaya toh fhir kisi anjaan ladki ke pehlu mein aaj raat wo guzaar le,

Achanak ek Tej horn ke saath ek truck theek uske saamne aa pada toh Aziz ne daayi taraf gaadi ghumai tyre ghisste huye aziz lagbhag pakka sadak se utarkar kacche sadak pe gaadi ko le utara uski gaadi hichkole khaane lagi to jaise Aziz ne gaadi pakki sadak par chadhaate huye ekdum se break lagayi wo to acha tha seatbelt thi warna uska munh sidha steering wheel se takrata, gaadi ruk chuki thi Aziz kanpne laga agar mauke pe usne gaadi ko moda nahi hota to truck ke niche uski gaadi hoti aur wo khud bhi sochke jaise uska jaan sukh Gaya,

Andhera Cha chuka tha Aziz darwaja khol bahar nikla truck dur dur tak kahi dikhai nahi de rahi thi truck driver ko gandi gaaliya deta hua Aziz waapis gaadi mein baitha uska Sara nasha utar chuka tha ab wo ahetiyat se steering thaame gaadi sidha chala raha tha achanak oose usne dekha samne sadak par koi saaya khada haath dikha raha tha wo pas pahucha itne sunsaan highway pe ye ladki kaun hai? Usne gaadi uske pass roki ladki ne jhukkar muskurake oose dekha Aziz ko wo chehra jaana pehchana laga par uski meethi muskurahat ne oose kuch sochne na diya,

Aziz ne paaya ki usne khule gale ka tight top pehna hua tha aur ek neeli skinny jeans wo pehne huye thi jiski belt pe ek bhediye ki shakal bani huyi thi, Aziz uski jawani dekh apne hontho pe zabaan phairne laga aisi kamseen kam umar ki haseen usne pehle kabhi nahi dekhi thi uske baal ghunghrele they par sunhere rang se ghane they,

"Aap mujhe sheher chodh denge? Meri friend logo ne mujhe jaanbhujkar yaha chodh diya aur bhaag gayi"

"Oh koi baat nahi waise bhi aapko itni raat gaye yaha lift nahi milegi koi badmash piche pad gaya toh aur bhi musibat aaiye"

"So sweet of you"

Itna kehke wo Aziz ke bagal mein baith gayi gaadi apni gati se badh rahi thi, Aziz ne uski taraf dekha to usne muskuraya, Aziz ne gaur kiya ki wo apne gore gore pairo ko sandle utaare aapas mein sehla rahi thi, Aziz jhenpne laga uske dimaag mein galat khayalat aane lage,

"Waise karte kya hai aap?"

"Kuch nahi bas khaali hoo abhi abhi ek naukri chodhi hai soch raha hoo father ka business hi sambhalu waise aap kahan rehti hai?"

"Janne waalo ke dilo mein"...usne itne dilkash Ada se apni kajal nigaho se Aziz ko dekha ki wo sharmaye Bina reh nahi paaya

"Hahah mazak acha karti hai aap waise myself Aziz Ahmed"

"Hmm and i m sumanta shoumi"

Eka ek Aziz ne break zor se lagaya Aziz sihamkar hadbadaye us naam ko sun us ladki ko ghurrne laga...wo ladki kuch nahi bol rahi thi ektak Aziz ko ghurrti rahi

"Kya hua? Gaadi kyu rok di".....usne aankh nikaale shaitani muskurahat se pucha

"Kaun shoumi? Tum kahi!"

"Hahahahah hahahaha hahaha hahaha"

"T..tum hass kyu Rahi ho? Aise kaise ho sakta hai tum toh marr chuki thi na fhir zinda!"

Achanak uski chubti tahaka lagati hassi ruki to uska pura chehra safed padne laga aur wohi surkh kaali aankhen Aziz ka jaise kaleja munh ko aane laga, usne darwaje se bahar nikalkar bhaagna chaha lekin darwaja khul nahi paa Raha tha,

Ab oose apni maut saamne dikh rahi thi, shoumi ne apne lambe nakhun bhare panjo se uske chehre pe hamla kiya...Aziz ki haulnaak cheekh pure gaadi mein gunz uthi aur woh wohi seat pe gir pada uske gardan aur chehre se khoon tapak raha tha shoumi ne kareeb aakar uske gardan ko dabocha aur apne daant se uske gardan ko kaat khaaya....Aziz tadapta raha uski geraft mein chatpatata raha lekin wo uska khoon peeti rahi, gaadi ke darwaje se khoon tapakne laga sheesho par khoon hi khoon bikhara hua tha us sunsaan raat us veeran jagah mein sirf Aziz ki dard bhari dahadh gunz rahi thi jo kuch dair baad sannate mein kahin dub gai

                            ---------

Jab main mauka e vardat par pahucha toh mera pura badan kaanp utha subah ka akhbar maine padha tha uske front page par dil dehla dene wali khabar thi ki sheher ke paas highway pe ek lawaris gadi mein ek laash buri haalat mein paayi gayi thi jispe anginat kharocho ke zakhm they aur gale mein daant se kaatne ka gehra nishaan jisse aisa laga ki kisi ne maktul ka khoon Piya tha, police mauka e vardat ko ghaire huye thi laash chadhar mein lipati ambulance par rakhi jaa rahi thi, maine gaadi ki taraf dekha waha khoon hi khoon tha, main munh par rumaal rakhke waha kuch der hi khada reh paya mujhe badbu se ubkiya aane lagi thi,

Main police inspector ke pass pahucha aur oose apna tarruf karaya

"Ji main Aziz ka dost newspaper mein ye khabar chapi to main yaha chala aaya oose hua kya tha? Kisne uska qatal kiya?"

"Dekhiye hum abhi postmertum tak kuch keh nahi sakte lekin laash ki jo anjam huyi hai wo mere rooh mein kisi insaan ke bas ki nahi jismo pe aise kharoch hai jaise kisi jungli janwar ne shareer ko pura cheer fhaadh dene ki koshish ki ho aur fhir gale pe kaanta ho gale ka maas bhi gayab tha jis bhi aadamkhor janwar ne uska khoon Piya hoga usne uska maas tak gale se ukhadh diya"

Sunkar jaise main dehshat se ro pada police ne mujhe sambhala fhir sabse tajjub ki baat jo unhe lagi wo ye thi ki gaadi ke niche sindur tha aur ek nimbu suyi dhasi huyi jisse khun nikalke jam sa gaya tha main us suyi chube khoon se sane nimbu ko police ke haatho mein rakhke rumaal mein dekh safed pad gaya kya ye shoumi ki harqat thi? Pehle mujhe bura khwab dikha aur ab Aziz ki maut toh kya wo apna badla le rahi thi?

Maine phone karke roshni ko sab bataya aur oose akele rehne mana kiya mujhe nahi pata tha ki ye sab kya ho raha tha? Police to apne Chanbin mein lag gayi lekin koi maakul jawab nikaal paana unke liye utna aasan nahi tha main janta tha shoumi ab hum mein se kisi ko bakashne waali nahi thi mujhe kisi bhi tarah apne se zyada roshni ki fikar thi tabhi achanak mere zehan mein Aziz aur mujhe diya aamil ka wo tabeez ghuma...main ambulance ke paas aaya jo rawana hone wala tha na chahte huye bhi maine us chadhar ko hataya jo Aziz ki laash pe dhaki jaa chuki thi, uske daaye baazu khoon se lathpath they aur tabiz uske baazu par kahi nahi dikhai de rahi thi...main jaan chuka tha ki ab aafat hum sabko ghair chuki thi aur ab koi bhi zariya roohani ilaaj kaam nahi aane wala tha....

To be continued..
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
21 hours and 1 minutes.
Posts: 164
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #10 on: May 20, 2023, 11:38:45 AM »
Chapter 9

Aziz ki dardnaak maut ne mujhe andar tak hila diya tha maine apne sabse gehre dost ko kho diya tha, pehle shabnam fhir Aziz ab sirf main aur roshni hi salamat they par malum nahi tha ki waqayi hum yu hi salamat rahenge? Ab mujhe jo roz roz hallucinations hote they shoumi ki rooh dikhti thi un sab pe yakeen aane laga Shoumi ne marrkar bhi mera picha nahi chodha tha, maut bhi oose rok nahi paayi thi jo tabeez ko humne apne baazuyo pe bandha wo bhi oose zyada waqt tak humse dur na rakh saka, laash Aziz ke gharwalo ko ek din baad hi Mili thi police ki bhi taftish jaari thi lekin koi nateeja nahi nikal paya behrehaal ye kaam unhe kisi aadamkhor ya tantrik ki sazish lagi thi jiski suyi tak wo nahi dhundh paaye ki wo waqayi koi tantrik hi tha? Ye nateeja unhone sirf us suyi chube khun se sane nimbu ko dekhke nikaala tha, jis tarah laash ko cheer fhaada gaya tha usse saaf tha ki harqat kisi insan ke bas ki nahi thi,

Us shaam Aziz ko subah qabr dene ke baad maine roshni ko apne ghar bula liya us waqt dopahar ki tej dhoop kamre mein aa rahi thi, maine roshni ko Aziz ki maut kaise huyi sabkuch bataya jise sunkar uski bhi jaan sukh gayi,

"Agar Aziz mere maamle mein kabhi nahi padta toh shayad aaj wo zinda hota"

"Tum khud ko doshi na tehraao"

"Tumhare sath Aziz ke sath shabnam ke sath jo kuch bhi hua uski wajah main hi toh hoo agar tum log meri zindagi mein nahi aate toh aaj aisa kuch bhi nahi hota"

"Guddu himmat se kaam lo aise bebas padne se kya hoga?"

"Main bebas ho chuka hoo roshni wo waapis aa chuki hai wo mera marrte dumtak picha nahi chodhegi aur mujhe darr hai ki kahi wo tumhe fhir kuch na kar baithe"

"Kya hum us aamil ke paas jaaye?"

"Kya fayeda? Kiski jaan Bach paayi? Agar us tabeez ne pehle hi Aziz ki hifazat ki hoti toh wo aaj hamare beech hota meri baat maano roshni mujhe chodh do"

"Kya keh rahe ho?"

"Haan roshni tum logo ko nuqsan usne meri wajah se pahuchaya kyunki oose lagta hai ki mujhe usse alag karne mein kahi na kahi haath tum logo ka hai aur jab main khud tumhe apni zindagi se bahar kar dunga toh shayad wo tumhari Jaan baksh de"

"Aisa tumne soch bhi kaise liya? Ki main tumhe Yun ghut ghut ke marrne dungi"

"Kyunki mujhe tumhari khairiyat ki parwah hai main nahi chahta ki jo kuch Aziz aur Shabnam ke sath bura hua wo tumhare sath ho"

Roshni ne un dono ke waqye ko jab tassavur kiya to uski rooh kaanp uthi waqayi shoumi kisi aafat ki tarah un logo ke piche thi kya malum ki agli baari usi ki ho lekin fhir bhi wo guddu se pyar karti thi aur oose chodhna nahi chahti thi wo uski madad karna chahti thi lekin madad kare bhi to kaise? Kaun unhe us musibat se nijaat dila pata?

"Meri maano roshni humhe apna taaluq yahi khatam kar dena chahiye"

"Pagal ho gaye ho tum ye mere liye aasan nahi ki main tumhe Yun chodh du koi na koi zariya zarur hoga"

"Us zariye tak shoumi humhe kabhi pahuchne nahi degi agar aisa koi zariya waqayi mein hota"

"Kya khuda tala pe tumhe yakeen nahi? Wo koi na koi rasta zarur dikhayenge"

"Meri maut hi usse nijaat paane ka iklauta rasta hai roshni wo bhi keh nahi sakta ki uske bawjud wo tumhara picha na chodhe wo badle ki aag mein jal rahi hai uski shaitani taqat ne oose aur berehem bana diya hai tum oose agar inhi aankho se dekh logi toh darr jaogi maine dekha hai roz har raat oose apne pehlu mein"

Roshni ko sihamte bhauklaaye guddu ki haalat kisi pagal jaisi lagne lagi wo oose shaant karne lagi lekin wo bechain hi raha roshni ne oose himmat di oose samjhaya ki jo hona hoga wo oose saath seh lenge lekin ye kehna aasan tha? Jo anjaam Aziz ka hua usse bhi badtar uska ho sakta tha is baat se wo nawaqif nahi thi, roshni na chahkar guddu se dur nahi hona chahti thi lekin guddu ne oose Kasam di ki jabtak wo na kahe wo ooske paas bhi na aaye ye sunkar roshni saqte mein aa gayi,

"Ye hum dono ke bhalaai ke liye hai main samjhaunga oose ki mera tumhara koi rishta nahi roshni pls baat samjho main tumhe marrne nahi dena chahta wo tumhe ek baar nuqsan pahucha chuki hai aur is baar wo tumhari Jaan lene se bhi nahi chukegi tumhe meri kasam aaj ke baad tum mujhse kabhi nahi milogi kabhi nahi"

Roshni kuch keh na paayi guddu ne oose koi mauka nahi diya usne oosi waqt oose chale jaane ko kaha "theek hai agar tumhe isi mein Khushi milati hai toh yahi sahi lekin main tumhe kabhi nahi bhulungi kabhi nahi'...kehte kehte roshni rote huye waha se chali gayi...guddu wohi ghutno par girkar rone laga waqayi jo kuch usne Kiya uske bhalaai ke liye hi kiya tha taaki shoumi oose koi nuksan na pahchaye, kahi na kahi zimmedar to wo tha hi na usne shoumi ko aam ladkiyo ki tarah samjha hota na ooske yu itne kareeb aata aur na oosse duri banayi hoti, agar aisa usne pehle amal Kiya hota to shayad aaj ye sabkuch mumkin na hota,

                          -----------

Badal garaz rahe they raat ke sannate mein apne band kamre mein bistar par so raha main eka ek bechaini mehsus karne laga ghadi ki suyi aur tej dhadkan ki awaz mujhe apne kaano tak sunai de rahi thi, band aankhe fhir michmichaane lagi main khwab mein dekhne laga ek veeran sadak par chalti gaadi achanak truck ke chapait mein aane se bach nikli, fhir mujhe uski Surat dikhi jo gaadi se utara bechain gusse mein Aziz, fhir wo gadi mein baitha aage koi aurat hath dikha rahi thi Aziz ne gaadi roki wo ladki koi aur nahi shoumi, Aziz ne oose bithana qabul kiya achanak aziz ne gaadi roki dehshat se tahaka lagati shoumi ko dekhne laga Shoumi ka wohi safed chehra wohi surkh Syah kaali aankhe uski wo saanp jaise nukile daant, Aziz ki minnat cheekh pukaar aur ek ke baad uske sath ghatti haulnaak wo manzar charo taraf khoon aur tabhi khoon ugalti shoumi ki nazar jaise mujhpar hassti huyi Aziz ke laash ke upar,

Achanak maine apni aankhe khol di bijliya kadak rahi thi Aaj fhir khidki khul gayi thi dhadh se wo khulti aur band ho rahi thi, achanak mujhe apne taango ke beech bistar ubharta mehsus hua kamre mein neemandhera tha lekin bistar par bahar sadak ke pole ki roshni andar Aati thi, maine gardan uthaaye dekha, bistar apne aap phatne laga aisa lag raha tha jaise koi cheez upar aa rahi thi aur dekhte hi dekhte ruyi apne aap phatte bistar se bahar aane lagi main hadbadake taang aur failaaye us manzar ko dekhne laga, ek sar bahar aa raha tha wohi ghane baal wohi syah kaale aankhe aur wohi safed muskurata chehra...shoumi bistar phadhkar bahar nikal rahi thi,

Main chillane laga bhauklaaye bistar se uthne laga lekin mujhe apna haath pao nam hota mehsus hua "shoumii shoumi pls mujhe maaf kar do pls"

Wo kamar tak bistar phaade huye mere saamne khadi un syaah aankho se ghurr rahi thi Mera gala sukh chuka tha jism zinda laash ban gaya tha wo ab dheere dheere meri taraf jhukte huye panjo ke bal kareeb aane lagi aur kareeb aur dekhte hi dekhte usne mere nange chaati ko kharochna shuru kar diya...main dard se bilbila utha.

Usne mujhe bistar par zor se gira diya aur aur mere gale ko kaatne lagi main tadap utha "aahhhh shoummii plss rehemm karo shoummiii aahhhh"

Dard se main chatpatata raha lekin wo dohri awaz nikaale mere gale ko daanto se kaantti rahi jab usne sar uthaya to uske daanto par khoon tha mere gale se halka khoon beh raha tha, main tadapte sihame oose dekh raha tha uska chehra mere upar jhuka hua tha,

"Main tumhari zindagi dozakh bana dungi tumhe kabhi rihaai nahi milegi maut maangte fhiroge lekin maut nahi milegi Aziz ke baad ab roshni ki baari hai uski baari hai hahahaha hahahaha"

Wo dohri awaz mein kehte kehte pagalo ki tarah hassti rahi aur bas hassti rahi uski gunz mujhe kamre mein kisi manhusiyat ki tarah fail rahi thi bahar maine kayi kutto ko ek saath rote mehsus kiya aur uska dehshatnaak chehra dekhta raha jabtak wo parchai ki tarah gayab na hone lagi dekhte hi dekhte pura Kamra sannate mein aa gaya waha mere alawa koi nahi tha, main bhauklaya apne bistar se girte padte uthkar ayene ki taraf aaya lights jalayi aur apne gale pe uske daanton ke gehre nishan ko dekhne laga mujhe apna anjam Aziz jaisa mehsus hota laga tha lekin main jaan chuka tha wo mujhe tadpa tadpa kar yun rakhna chahti thi, mere zehan mein roshni ko leke darr baithne laga,

                                --------

Maine oose kayi dafa phone kiya lekin uska phone band aa raha tha main samajh nahi paya aakhir kya baat thi? Kya wo mujhse kafa thi ki maine oose apne zindagi se dur chale jaane kaha lekin wo to uske bhale ke liye tha, main office pahucha par wo waha bhi nahi aayi thi maine faisla kiya ki main uske ghar jaunga kyunki uske sath kuch bhi ho sakta tha?

Main jaise taise kaam niptaake half day ki leave liye uske ghar pahucha toh waha taala jhul raha tha main sakdum kya roshni sheher chodhkar apne maa baba ke sath kahi chali gayi thi? Kya ye meri wajah se usne aisa kadam uthaya? Ya fhir waqayi oose bhi shoumi ka darr tha maine darbaan se roshni aur uske parivar walo ke babat pucha

"Wo to chale gaye sahab malik aur Malkin apne rishtedar ke yaha Gaye huye hai aur choti Malkin bhi sheher se bahar kal apni kisi saheliyo ke sath chali gayi"

"Acha usne bataya wo kahan jaa rahi thi?"

"Nahi sahab"

Mera dil baithne laga kisi hone wale bure anjam se, kaash roshni tumne jaane se pehle mujhe bataya hota lekin shayad wo waqayi mujhse kafa ho chuki thi main bebas udaas waapis ghar lauta, phir wohi raat Suraj dhalte hi kamre mein andhera cha gaya maine lights tak nahi jalayi thi, us raat bhi mujhe neend nahi aa rahi thi baar baar us rooh ke darr aur roshni ke khyal se main so nahi paa Raha tha, achanak hawaye tej ho uthi maine uthkar darwaje ki taraf dekha aisa laga jaise darwaja apneaap khul raha tha shayad mujhse khula reh gaya tha darwaja adha hi khula aur tej thand hawa kamre mein aane lagi, Mera gala shook raha tha us adhkhule andhere mein main kisi ki mauzudgi ki umeed kar raha tha kya shoumi aa chuki thi? Main darr se chadar faike bistar se utha aur darwaja lagane ke liye uske kareeb badhne laga paas jaakar maine bahar jhaaka galiyare mein koi nahi tha,

Maine darwaja band kiya toh hawa aani band ho gayi main khamoshi se piche palata hi tha ki mera dil zor se larja saamne aayene mein shoumi mere piche khadi thi oosi badhaal mein aur ektak mujhe ghurrein jaa rahi thi main chillaya aur piche ki taraf palta waha koi nahi tha, main apne dhadkte dil ko kabu karne laga thook ghontte huye main chadar lapaite wapis bistar pe tha meri saansein dhaukni tarah tej chal rahi thi,

Achanak koi gungunata mujhe palang ke niche laga mujh mein himmat nahi thi ki main jhakkar dekh sakta, maine aankhe band kar li aur chadar ko kasske pakad liya achanak dhap dhap jaisi bhari awaz mujhe pure kamre mein mehsus hone lagi aur tabhi maine daayi taraf palang se raingte huye shoumi ko dekha woh usi kapro mein thi wohi safed chamdi uska chehra baalon se dhaka tha aur wo raingte raingte diwaro par chadhne lagi aur fhir khidki par se hote huye kisi chipkali ki tarah mere upar ki chatt ki taraf pahuchi uski baal niche jhul rahe they wo wohi aake teher gai,

"Sho..umi pls mujhe maa.nf kar do maine tumhe nuqsan pahuchana nahi chaha tha main zazbat mein aakar tumse baat karne Aya tha tumne hi mujhe gussa dilaaya tha main nahi chahta tha ki tum kisi ko meri wajah se taqleef pahuchao aahhh"

Main keh hi raha tha ki usne ekdum se chalang laga di aur sidha bistar par aa giri usne mere jism ko thaam liya aur meri taraf apni kaale syah nigaho ko laaye mujhe ghurrne lagi

"M..mujhe maaf kar do pls, roshni ko mat maaro agar mujhe maarke tumhe tassali milati hai toh ye muraad puri kar lo"

Shoumi ektak mujhe ghurrti rahi aur achank usne na mein sar hilaaya aur bas tahaka lagati rahi itni tej wo hassi thi ki mujhe bardasht se bahar tha achank usne apne paancho naakhun mere seene mein ghusa diye main chilla utha usne hinsak chehra se mujhe dekha aur dheere dheere mere seene ko phaadne lagi us dard ko jhel paana namumkin tha mere munh se khoon aane laga mere gale se ghutti ek karaah nikal rahi thi, aur wo bedardi se mere kaleje ko seene se bahar kheech rahi thi mera pura badan kaanp raha tha mera kaleja uske khoon sane haatho mein bahar tha jo fhul raha tha baith Raha tha, aisa haulnak nazara dekh main meri aankhe phatne lagi aur dekhte hi dekhte mera gardan bistar pe latak gaya,

Maine ek ukhadhti saans kheechi aur hosho hawas mein aaya wo ek khyal tha main bistar pe tha aur shoumi mere upar apni kaale syah nigaho se ghurrti muskura rahi thi mujhe apne anjaam ka khauff satane laga

"Marrna chahte ho mere haatho aise hi maroge kaho kya abhi main tumhara kaleja nikaal khau".....uski dohri dehshat awaz mein bhari dhamki ko sun mera jaan sukh Gaya

Main minnat karne laga ki wo mujhe baksh de...."maine tumse kaha tha guddu ki mujhse dur mat hona na hi sirf tumne dur hone ki koshish ki balki mujhe dard pahuchaya main janti hoo wo ek hadsa tha main chahti toh tumhe usi waqt maar deti lekin roshni ko marrna hoga marrna hoga"

"T .tum jo maango main dene ko raazi maine oose khud se dur kar diya hai wo kabhi nahi ayegi mere paas bas tum oose kuch!"

Uski Syah kaali aankho ko main kuch sochta mehsus kar raha tha usne fhir meri taraf dekha aur dohri awaz mein hassne lagi aisa laga jaise mere kaano se khoon nikal jayega usne apni ek ungli mere chehre pe fhirai jo mujhe chehre pe chubti mehsus huyi uske tikhe jalan se main sisak utha usne apne nakhun pe lage mere khoon ko dekha aur oose jeeb se chaatne lagi, main ye manzar dekhkar bahut zyada kaanp utha

"Itne aasani se main tumhara picha nahi chodhungi guddu tumhari wajah se meri jaan gayi hai tumne meri Puja mein khalal dala tha agar us raat maine roshni ko maar diya hota toh aaj tum mere mutthi mein hote aur jo ki tum ab ho hahahaa aao guddu mere kareeb aao"

"T..tum kaise waapis lauti tum toh!"

"yahi hai kaali taqate jispar tumhe bharosa nahi tha ab tum aamil ke paas jao ya ishwar se bheek maango main tumhe marrte dum Tak nahi chodhungi tumhe laga main marr gayi jala di gayi toh mera wajud khatam marrta sirf jism hai rooh nahi meri bechain rooh kaali taqato se marrte hi mil gayi aur ab main pehle se zyada khatarnak hoo meri rooh mere adhjale chodhe jism mein samayi toh main dobara laut aayi hahahaha"

Wo pagalo ki tarah pure kamre pe raingate huye hassti rahi main uska wo bhayank rup byaan nahi kar sakta usne fhir meri taraf dekha aur teji se mere seene pe chadhi main ghabra gaya

"Jo marrke na hua wo ab pura hoga ab tumhe saza milegi lekin usse pehle mujhe tumhara bhog chahiye tum kisi ke paas bhi jao koi mujhe tumse bacha nahi payega koi bhi nahi"

Na chahte huye bhi mujhe shoumi ke aagosh mein chale jaana pada aisa laga jaise Mera jism aur dimaag mere kaabu mein nahi tha, jab mujhe hosh aaya toh subah ho chuki thi aur main bahut zyada kamzor mehsus kar raha tha main bathroom se jab bahar aaya to main pareshan ho utha mere pao par kamre ke charo taraf aafrupi sindur hi sindur tha main bhauklaaye nazara dekh bistar pe rakha phone uthaya mujhe roshni ka khyal aaya toh Tariq pe nazar padi main do din se soya pada tha mujhe kuch yaad nahi,

Main jaise taise office pahucha waha jaate hi sab mujhe aise ghurr rahe they ki koi murda qabristan se uthkar aa gaya ho main apne cabin mein aake baitha hi tha ki mujhe boss ka bulawa mila main unke kamre mein aaya, wo jaise mujhpar baras pade fhir meri Surat dekhne lage

"What nonsense guddu? Do din se tum gayab they kayi waqt se main tumhe office mein bhauklaya kaam dhang se nahi karta dekh raha hoo mujhe lagta hai tumhare colleague Aziz aur Shabnam ke sath jo hua tum us wajah se pareshan ho gaye ho yahi haal us roshni ka hai"

"Aap nahi jante sir main kis daur se?"....main thithak gaya shoumi ki rooh mere boss ke piche thi mere boss mujhe fhatkar rahe they aur wo muskura rahi thi

Boss ne meri nazar pakadte huye piche palatkar dekha...."kya dekh rahe ho tum mere piche? I said jawab do abhi bhi tum bhauklaye huye ho tumhe hua kya hai? Dekho tumhari wajah se tarah tarah ki office mein baatein ban rahi hai tum pehle hi bahut leave le chuke i am sorry but main tumhe naukri pe aur nahi rakh sakta"

"Meri baat suniye sir"......main minnat karta raha par boss ne mujhe ansuna kar diya maine paya shoumi waha nahi thi main udaas mann se firm se jab bahar nikla toh kaafi zyada pareshan tha

Gharwale bhi phone karke mere na phone uthaane se pareshan they wo chahte they ki main ghar laut aau par mujhe yahi darr sataa raha tha ki kahi unhe bhi kuch ho na jaaye....Aziz ke murder case mein mujhe fhir sawaal jawab ke liye talab kiya gaya maine unhe sabkuch sach sach bataya lekin shoumi ki kahani pe unhe koi yakeen nahi tha wo ulte mujhe pagal qaraar dene lage ki mera byaan bhi mera bad khyal tha mujhe fhatkar lagake waha se chale jaane bola gaya,

Main gehen bebasi aur mann se rota hua ghar pahucha...fhir raat hone lagi mere dil ki bechaini badhne lagi aur fhir wohi sab dobara shuru hua, agle subah mujhe sote se jagaya gaya roshni makan malik ke sath waha pahuchi thi aur mujhe yun beshud pagal sihma dekh wo rone lagi

"Roshni tum yaha?"

"Ye kya haal bana liya tumne apna"

"Mujhe wo dheere dheere pagal kar chuki hai mujhe saza de rahi hai"

"Tum doctor ke paas chalo"

"Mujhe kahi nahi jana"

"Main tumhari haalat shabnam jaisi nahi hone dungi chalo mere saath"...na chahte huye makan malik ko Kasam diye ki wo mere maa baap ko kuch na bataye roshni mujhe liye psychatrist ke paas pahuchi waha mujhe dimaagi mareez qaraar diya gaya aur mujhe yaha aspatal le aaya gaya,

Lekin shoumi ne mera picha nahi chodha roshni mere mana karne ke bawjud mujhse milane roz aati rahi, uska yakeen tha ki wo koi na koi hal zarur nikaal lengi lekin us nadan ko main kya samjha paata? Ki shoumi se bachna mumkin nahi tha aur dekho aapne khud aakar uski maut ki khabar aaj mujhe sunaa di...
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
21 hours and 1 minutes.
Posts: 164
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #11 on: May 20, 2023, 11:40:42 AM »
Chapter 10

Inspector marghoob guddu ki tamaam kahani ko sunkar ye samajh nahi paa Raha tha ki waqayi wo sacchai thi ya uski mansik pagalpan se kaha koi jhoot, wo tayy nahi kar paa Raha tha ki qatil waqayi koi insaan tha bhi ya nahi pehle oose ye koi sazish ki bu lagi, lekin ab pukhta tha ki jo kuch guddu ne kaha tha uske tamaam sabut us baat ki taraf ishara dete they ki koi aadamkhor janwar nahi koi aisi cheez thi jo insaan toh barabar thi hi nahi, case ulajhta laga marghoob ne ek baar ki guddu pe Shaq kiya ki shayad wohi is sazish ke picha hoga, lekin wo to khud kisi victim se kam nahi tha jiske sath azibo garib waqayat ghatte ja rahe they,

Lekin farz ke tehet oose is case ko hal karna zaruri tha warna ye case bhi un gumnamo case ke naamo mein dab jata jise kabhi suljhaya nahi Jaa paya police ki nakami marghoob ko bardasht nahi thi, lekin ek baar usne socha ki agar ye Haqeeqat tha to wo ek marri huyi aurat ko kaise kaabu kar pata?
                              ---------

Us dopahar Sub inspector marghoob se mila aur usne roshni ke postmertum report oose saunpi, jise padhne ke baad Shaq ki koi gunzaish nahi thi ki roshni ka qatal kisi aam insaan ke bas ki nahi thi marghoob ne sub inspector se pichle kayi arsa pehle uske aur guddu ke dost Aziz ki maut ke bhi postmertum report maange jise shaam tak sub inspector ne oose laake diya, marghoob ne Aziz ki laash ki tasveerein aur report padha ek baar usne nazare fhair Li, laash is qadr baddtar haalat mein roshni se bhi zyada thi,

"Waaqayi Aziz ki maut hubahu roshni jaisi thi wohi kharoch jismo pe kaantne ke nishaan aur waha bhi sindur aur nimbu mein chubi suyi aur usse behta jama khoon kya wajah ho sakti hai aise azgaib haalat ke piche"

"Forensic doctor ne us nimbu ka muana kiya usmein khoon aane ki koi gunzaish nahi thi unhe bhi samajh nahi aa raha aisa kaise ho sakta hai?"

Marghoob khamosh raha wo report padhke faisla nahi kar paa Raha tha ki waqayi tehkikat aage badhai ja sakti hai ki nahi...."roshni ki laash ko unke parivar waalo ko saunp diya gaya hai aur uska boyfriend guddu aaj aspatal se discharge bhi ho chuka hai apni girlfriend ko mitti dene wo zarur jayega kya aapko lagta hai ki?"

"Nahi mujhe bhi aisa laga tha par guddu koi sazish mein shamil nahi wo ek mansik bimar tha apne hi dost aur girlfriend ko bewajah maarna wo bhi is tarah namumkin hai"

"Janaab agar gustakhi maanf na ho to ek baat arz karna chahta hun"

Marghoob ne oose apalak ghura ishara tha ki wo keh sakta hai, sub inspector ne kursi pe pehlu badla aur kaha

"Wo nimbu mein dhasi suyi uspar khoon jamna dono hi wardat par milana aur to aur  ye dono rahasmayi mautein guddu ke teeno dosto ke sath jo ghata aur fhir guddu ka yun pagal kar dene wala byaan kya ye sab kisi tona totka ka nateeja ho sakta hai?, Jaise kisi ne inpar kaala jadu kar diya ho? Dekhiye kanoon iski izazat nahi deta ki hum aisa maan le par kya hum is baat se muqar sakte hai ki tamaam sabut aisi hi baaton ki taraf saaf ishara kar raha hai"

"Main sehmat hoo tumhari baaton se aur samajh nahi paa Raha ki ab kya karu?"....marghoob kursi se utha aur tehelte huye khidki ke kareeb diwaar se sate khada hoke kehne laga usne baaton hi baaton mein ek cigarette sulgayi

"Humare senior officers tak agar ye report pesh bhi ki jaaye to wo saaf humhe hi nakabil kahenge ki hum aisi fizool baaton pe gaur kar rahe hai jiska koi sar pair nahi aur hum yahi nateeja nikaale baithe hai ki qatil asal mein koi daayan hai koi bhatakti rooh hai jisne tamaam qatal ko apne badle ke tehet anjaam diya"

Inspector marghoob jaise guddu ke byaan ko hi soch raha tha...."aapko kya lagta hai sir? Humhe aage kaise tehkikat badhani chahiye?"....sub inspector ne sawalat bhare nigaho se marghoob ki taraf dekhte huye pucha

"Us ladki shoumi Ki maa mujhe usse Milana hai uska pata mujhe guddu ne bataya tha main usse Milne jaa raha hoo aur us aamil ko bhi yaha lao jiske paas guddu ka dost Aziz oose leke gaya tha"

Tatkal sub inspector hukam ki taamil karta waha se ruksat hua, marghoob ne bhi waha zyada dair teherna gawara nahi kiya, wo guddu ke bataaye shoumi ke ghar ki taraf rawana hua,

                                --------

Marghoob us imarat ke saamne khada tha jo shoumi ka uske zindagi mein ghar tha, marghoob na jane kyu kalma padhte huye ek ek sidi chadhta chaukhat par pahucha aur usne darwaje ke pare lagi ghanti bajai kayi waqt baad darwaja khula aur saamne kisi maansik sadme mein ghiri ek adhedh umar ki aurat fike rang se utari saree pehne uske saamne khadi thi, marghoob ko malum tha wo shoumi ki maa thi beti ko kho dene se zyada wo oose guddu ki tarah mansik tanaav mein grast lagi...wo aurat sawalat nigaho se apne saamne vardi pehne marghoob ko ghurrne lagi maathe pe uske bal pade,

"Aap?"

"Ji namaskar main inspector marghoob ek qatl ke case ke sisile mein taftish karte huye mujhe aapke paas aana pada kuch Chand sawal hai jo mujhe aapse puchna hai"

Shoumi ki maa marghoob ko andar le aayi jaha aate hi oose pure Ghar mein ek veerana mehsus hua bhari dopahari mein ghar andhere mein duba tha wajah khidkiya darwaje band they siwaay us darwaje ke jaha se marghoob ne ghar mein dakhila paya tha, marghoob ne dekha ki bagal upar jaati sidiya thi jaha guddu ke mutabik wohi se upar uska kamra tha aur unhi sidiyo par shoumi girkar marri thi aur jism farsh pe aake tehra tha,

Wo shoumi ki maa ke sath ek living hall mein Aaya aur sofey pe baitha shoumi ki maa ne oose paani laake diya jise marghoob ne qabul kiya,

"Dekhiye main shoumi ki maut ke silsile mein yaha nahi aaya mujhe malum hai ki wo ek hadsa tha lekin kahi na kahi main hi janta hoo ki wo haalat kiske wajah se khade huye they? Eka ek raat ko guddu yaha aaya aur aapki Puja karti beti ke kamre mein ghus gaya waha dono mein takraar huyi aur nateeja shoumi ka uspe fhat padna wo aapa kho baithi aur guddu ko maarne ki koshish mein khud sidiyo se fisalkar niche Jaa giri"

Shoumi ki maa ka chehra fhak padh Gaya oose yakeen nahi tha ki sacchai ek policewale ko malum thi usne bechaini se pehlu badla....."dekhiye darriye nahi main shoumi ke sisile mein yaha nahi aaya balki uske dost guddu se jude kuch kareebi dosto ki maut ki taftish mein yaha Aya hoo"

"Haan ye sach hai meri beti kala jadu karti thi maine oose kayi dafa mana kiya lekin darr lagta tha ki kahi wo mujhe bhi koi nuqsan na pahuchaye uske chalte hamara ghar barbaad ho raha tha kayi dafa humhe ghar badalna pada log hamare yaha aane se darrte they tarah tarah ki baatein banate they maine apni beti ko kho diya mujhe dukh hai aur ye sadma zindagi bhar rahega lekin mujhe uske charitra se nafrat hoti thi, wo jo kuch bhi karti thi main uske saqt khilaf thi wo ladka guddu koi pehla uske zindagi mein nahi aaya tha main maa hoke ye baat apni marhum beti ke baarein mein keh rahi hoo par ye sacchai hai jisne bhi usse dosti karke oose chot pahuchai ya oose dhoka diya toh uska wo hashr hua ki main byaan nahi kar sakti, kisi ladki se oose koi hadas ya jalan huyi toh usne unhein bhi nahi baksha, maine apni beti ko kaafi samjhaaya ki ye sab mat kar par uspar jaise shaitan sawaar ho chuka tha, raat gaye wo Puja karti rehti thi mujhe uske ghar mein rehne se bhi darr lagta tha, aur tabhi guddu uske zindagi mein aaya jise wo dilo jaan se chahne lagi us raat wo gusse mein aaya tha lekin yakin jaane usne meri beti ka qatal nahi kiya"

"Aap janti bhi hai ki aapki beti marrkar bhi guddu aur uske dosto ka picha nahi chodhi Aziz aur roshni ko bemaut usne maar dala sirf isliye ki unhone guddu ko usse alag karna chaha"

"Main janti hoo inspector ki uski rooh bhatak rahi hai ye uspe shaap hai jo kuch usne zindagi mein kiya use marrkar bhi mukti nahi mil sakti wo aise bhi bechain bhatakti rahegi mujhe afsos hota hai ki maine oose janam diya main isliye aisa keh rahi hoo kyunki main sab janti hoo"

Marghoob khamoshi se uski maa ko ghurr raha tha, "aapki beti ko aap apne pati ki maut ka zimmedar manti hai aisa kyu?"

"Kyunnki uske inhi harqato ki wajah se uske pita ki maut huyi thi aajse 20 saal pehle ki baat hai tab hamara parivar khushaal tha shoumi us waqt bahut choti thi jab meri maa mujhse milane aayi maine unse apni behan rumi ke baarein mein pucha jo Assam mein byaahi gayi thi, meri maa ne saaf mujhe usse milane mana kiya tha lekin main apni behan se bahut pyar karti thi maine suna tha ki wo aur uska pati kamrup kamakhya jaa base they badi zidd main shoumi ke pita se kare apni behan ke paas pahuchi kamrup kamakhya mein ek prachin kaali mandir hai jaha kayi barso se kaala jaadu sikhte aur hote aaya hai kamrup kamakhya se jude kayi ilaako mein jaadu tona kiya jata hai, meri behan waha ek chote se ghar mein rehti thi, mera parivar ne uske parivar se tamaam naata tod liya tha jab main uske paas pahuchi to wo meri behan nahi koi tantrikni zyada lag rahi thi

Wo mujhe dekhke khush to huyi par mujhe dhakka tab laga jab usne bataya ki uske pati ko mare huye do baras ho chuka tha wo akeli reh Rahi thi maine apni behan ko madad karna chaha lekin unse inkar kar diya mera haath pakde shoumi uske paas thi jise usne khub pyar kiya par us raat jab shoumi bistar par na mili to main sote se uthe bahar aayi rumi ke kamre se jalti aag ki roshni dikh rahi thi maine adkhule darwaje se kamre mein jhanka to dang reh gayi meri behan kaala jadu kar rahi thi aur ek sar Kate murge ka khoon ek insani khopdi pe daal Rahi thi aur meri beti bhi ooske paas baithi ooske tamam harqat ko sammohit si dekh rahi thi,

Main kuch keh na saki darre sihame main andar aayi aur apni beti ko daantkar fhatkar kar apne kamre le aayi rumi lekin kuch nahi boli lekin mujhe malum chal chuka tha ki shoumi ka dimaag rumi ne apne kaabu mein kar liya tha meri beti ab wohi rehne ki zidd karne lagi maine mana kiya, rumi ne mujhe samjhaya lekin mujhe bhi apni behan se nafrat hone lagi thi main jaan chuki thi ki uska pati kaise mara tha? Wo oosi kaala jadu ka shikar hua tha main sihame darre shoumi ko ghar le jaane lagi toh rumi baadha daalne lagi mera rumi se jhagda ho gaya aur main usi waqt shoumi ko liye waha se nikal gayi, uske baad jo hua uski maine kalpana nahi ki thi dheere dheere shoumi badi hone lagi to wo apni mausi rumi se milane ki koshish mein uske yaha mere bin bataye jaane lagi maine uska apni behan se milane pe pabandi kiya toh wo mujhse aise peshane Lagi jaise main uski dushman thi, dekhte hi dekhte shoumi ne apni mausi se sikhi tamaam tone totke karna shuru kar diya aur woh khud apni mausi ke naksho kadam par chalne lagi, ek raat uske pita ne oose kamre mein jalti aag ke paas Puja karte dekha woh kala jadu seekh Rahi thi uske pita gusse mein aaye aur unhone balti bhar paani aag mein daal diya aur us tamaam sindur kankal khopdi pe thokhar maari shoumi dahadhte huye apne pita ko yun ghurrne lagi jaise kitna bada gunah unhone kar diya ho shoumi ke pita ne oose agaah kiya ki aage se agar usne aisa kuch bhi kiya toh wo oose ghar se nikaal denge, shoumi khoon ka ghunt peeke reh gayi lekin main janti thi kuch bahut galat hone wala tha

Us raat wo ghar aa rahe they ki unki gadi ka accident hua aur wo".......kehte kehte shoumi ki maa tassavur karte rone lagi fhir apne aansu ponche

"Tamaam kaanch ke tukde unke jism aur chehre pe betartib dhase huye they jism buri tarah zakhmi tha, unki wohi maut ho chuki thi meri beti ne hi mere pati ki jaan li thi inspector"

Marghoob ke paas waha janne ke liye kuch nahi bacha tha wo roti shoumi ki maa ko chodh unhe bina kuch kahe waha se jaane laga toh shoumi ki maa ne piche se toka marghoob ne palatkar shoumi ki maa ki taraf dekha

"Main bas itna hi keh sakti hu ki wo us ladke ko nahi chodhegi jo bhi uske aade aayega bemaut marr jayega inspector wo oose kattayi nahi chodhegi"

Inspector marghoob kuch keh na saka aur shoumi ki maa ko ghurrta wo waha se ruksat hua,

                     ------------

Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
21 hours and 1 minutes.
Posts: 164
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #12 on: May 20, 2023, 11:43:09 AM »
Roshni ko dafnaya jaa chuka tha tamaam log waha se ruksat hone lage they guddu bebas rota sadme mein duba bare bhaari mann se waha se ruksat hua logo mein baatein ban rahi thi ki roshni ki kaise qatl hua tha? Guddu qabr par zyada dair teher nahi paya kyunki roshni ke gharwale waha they aur unse guddu milane ki himmat nahi kar paaya kya jawab deta unhe? Ki unki beti ke haalat ka wo zimmedar tha kaash roshni pehle hi sambhal jaati to aaj wo zinda hoti ab uska bhi jeene se kya fayeda? Lekin kya waqayi shoumi oose marrne bhi degi wo toh har raat oose til til karke maar rahi thi,

Guddu waapis apne ghar itne waqt baad aspatal se lauta to wo tanha ghar bhi oose bhootaha nazar aane laga guddu ne thaan liya tha ki aaj ki raat wo yaha nahi guzaarega usne bhauklaaye apne tamaam kapro ko ek bag mein daalna shuru kiya, uske mann mein tha ki wo is sheher se kayi dur chala jayega taaki shoumi ka saaya kahi na kahi ooska piche aur na aafat banke pade,

Wo khud nahi janta tha wo kya kar raha tha? Usne maa baap ke paas jaane ka rukh na karte huye ek gumnaam manzil ki taraf nikalne ka faisla kiya, wo ghar band kiye apna saaman liye waha se ruksat ho gaya achanak oose aisa laga jaise koi uske ghar ki khidki pe khada oose dekh raha tha usne palatkar dekha ek pal ko shoumi ki parchai oose dikhi aur fhir kahi lupt ho gayi,

Guddu bechaini se pehlu badalta ek taxi mein sawaar hua aur waha se nikal gaya, wo reh rehke piche mudkar apne ghar ko dekh raha tha bina kisi ko bataye kisi anjan raste ki taraf wo jaa raha tha lekin uska dhadhakta dil gawahi de raha tha ki shoumi ki rooh saaye ki tarah uska picha karte ustak pahuch hi jayegi,

                                -----------

Aamil thaane mein inspector marghoob ke saamne rubaru tha marghoob ne oos hare libas pehne ghani dhaadhi wale buzurg ke sar se pao tak unhe ghura..."main janta hun aapne mujhe yaha kyu talab kiya?" Aur ye bhi janta hu ki wajah kya hai?"

"Acha toh fhir bataiye ki un tabeez ke diye bawjud Aziz ki maut kaise ho gayi guddu ke sar se wo aafat kyu nahi utari?"

"Kyunki Maine pehle hi un ladko ko agaah kiya tha ki wo waqt rehte usske jeete ji usse dur ho jaye kahi dur chale jaaye aur us ladke ko khaaskarke kaha tha kisi bhi aurat ko apne zindagi mein na laana lekin usne kisi par amal nahi kiya wo tabeez sirf uske jaadu ko baandh sakte they lekin oose rok nahi sakte they"

"Aapko malum hai ki guddu ke tamaam dost marr chuke"

"Aur wo aurat bhi usi ki maut ne ye sab fasaad khada kiya hai ab wo beqabu ho chuki hai uski rooh ko kabu karna aasan nahi inspector meri baat tumhe bewakuf bhari lagegi lekin sacchai se tum bhi waqif ho"

"Kanoon sirf qatil tak pahuchna chahta hai oose uske gunah ki saza dena chahta hai lekin is case ke ulte pehlu ne mujhe jhinjhodh ke rakh diya hai main chahkar bhi kuch nahi kar sakta"

"Us ladke ke kiye ne hi aaj oose yaha is anjaam pe laake khada kiya hai inspector wo rooh oose Jaan se nahi maarega par maut se baddtar zindagi jeene pe oose mazbur kar dega uski rooh bas oose tadpana chahti hai aisa wo tabtak karegi jabtak amawas ki raat nahi hogi us raat tamaam kaali taqate azaad hogi aur us raat us rooh ki taqat bhi dugni ho jayegi aur bas wohi waqt hoga jab wo usse shaadi karegi jo wo jeete jee nahi kar payi aur us darmiyaan jo koi bhi un tak pahuchega wo maar diya jayega, ab bahut der ho chuki hai wo ladka ab uske geraft mein hai ab uski maut hi oose nijaat dilaa sakti hai aur inspector wo amawas ki raat aaj hi hai"

Kehte kehte wo aamil kursi se utha aur apne shagird ke sath badbadata chala gaya mehekme ke log sab hassne lage koi oose pagal keh raha tha lekin khamoshi se inspector marghoob baitha bas guddu ke hone waale anjaam ki jaise parwah kar raha tha,

                             ----------

Usi shaam marghoob us imarat pahucha jaha guddu rehta tha waha uske kamre pe taala laga tha, achanak wo makaan Malik se mila jisne bataya ki usne dopahari mein hadbadaye guddu ko dekha jo aaya aur astpatal mein itne waqt baad rehne ke bawjud aate hi apna saaman samaite kamre pe taala lagaye waha se nikal gaya, usne rokna chaha lekin wo taxi mein baith chuka tha marghoob ko lagne laga ki wo ghar chodhkar waha se hamesha ke liye kahi aur jaa raha tha lekin wo saya wo kaise uska picha itni aasani se chodh deta? Lekin mudda ye tha ki wo gaya to gaya kidhar? Marghoob ne uske parivar waalo ka number makan malik se liya aur unhe phone karke guddu ki babat pucha gharwalo ne bataya ki unke bete se unki baat huye zamana ho gaya tha wo khud uske call ke intejar mein they, aur wo kuch keh paate marghoob ne phone cut kar diya aur yahi faisla kiya ki wo guddu ko dhundhega,

Wo jaise hi apne gaadi ke pass pahucha oose apne gaadi ke tamaam tyres puncture mile wo hadbadaya aisa kaise ho sakta tha? Jabki wo gaadi uske saamne khadi thi aur kisi ki shararat bhi nahi ho sakti thi, marghoob ko shoumi ka aks apne khyal mein ubhara aur wo aatank se apne phone par mehekme mein call karne laga

"Hello hello shit"......marghoob ne ghabraye apne phone ko dekha jo kam nahi kar raha tha,wo fhir saqte mein aa gaya uska dimaag ghumne laga aakhir ye ho kya raha tha?

Usne guddu ko talash karna chaha tha toh itne aafat aane lage kya waqayi shoumi ki nazar mein wo bhi aa gaya tha? Thook nigalta ghabraya marghoob charo taraf dekhne laga kahi koi nahi tha, uska phone band ho chuka tha jisse wo mehekme mein ikhtila nahi kar sakta tha ki guddu is waqt kahan tha? Wo oose dhundhne uske piche jaa bhi nahi sakta tha kyunki uske gaadi ke tamaam tyres apne aap afrupi dhang se phat chuke they,

Wo hadbadaye sadak paar karne laga oose kisi bhi tarah guddu tak pahuchna tha aur oose ikhtila karna tha shoumi ke irado se, tabhi achanak wo apne khayalo se nikala to Tej horn bajati ek truck ko apne saamne aata paaya wo teji se chalang la baitha lekin truck ke chapait aaye Bina na reh saka truck ki bharpur thokhar khaaye marghoob sidha daaye taraf ki sadak par aaundhe munh ke bal jaa gira uska sar ghum gaya aur wo dard se tadap utha wo jaati truck ki taraf dekhne laga jo beqabu hokar sidha kayi gaadiyon se takrate huye teher gayi bhaari bheedh ikatthi hone lagi marghoob ne bhari hoti nazaro se sabko apne ird gird paaya koi chilla raha tha kisi ka kehna tha ki truck ka break fail tha aur usmein koi driver nahi tha wo sab gunzti awaz ko sunte sunte marghoob apna hosh kho baitha wo khoon se lathpath ho chuka tha,

                            -------------

Guddu paidal chalta haafte huye us sadak par tehra kaisi manhusiyat thi? Jis taxi pe wo savaar hoke bus adde pahucha tha us taxi mein kharabi aa gayi thi jis wajah se oose aadha rasta fhir paidal Chalke pura karna pada jab wo bus adde se bus par sawaar hua toh uski jaan mein jaan aayi, lekin badkismati ki sheher se kayi mil dur bahar aate hi aadhe raaste mein hi bus kharab ho gayi fhir sabhi logo ko utarna pada jismein wo bhi tha, wo kal ka intejar nahi karna chahta tha isliye paidal hi station tak ka rasta tayy karne laga ab wo buri tarah thak chuka raat gehri hoti jaa rahi thi,

Shoumi ke ahesaas se hi uski rooh kaanp uthti thi uska dost Aziz uski mohabbat roshni ab is dunia mein nahi they, shabnam ka to kuch malumat hi nahi chala tha ki aakhir itne waqt baad pagalkhaane mein uske sath kya beeti thi? Wo naukri se bejar tha aur reh rehke har din marr raha tha, shoumi ne uska sabkuch cheen liya tha wo sochta hua sadak ke paar ek dukaan pahucha jaha usne station ki babat pucha jaha se malum chala ki wo bas kuch fasle dur thi lekin waha tak jaane ke liye raat gaye us sunsan sadak par koi gadi muhayya nahi ho sakti thi, guddu fhir chai liye apna phone switch on karne laga usmein charge kam tha, usne gharwalo ko phone karna chaha to phone nahi laga, usne umeedi nigaaho se dukandar se uska phone manga phone lekar usne gharwalo ko phone kiya jaha usne arsa call nahi Kiya tha aur ye bhi nahi pata chalne Diya tha ki itne waqt uske sath kya kuch nahi beeta tha? Aspatal ki baat sunkar uske gharwale zarur pareshan ho jate aur usse milane chale aate jo guddu chahta nahi tha na jaane kyu oose ek darr tha?

"Haan maa main theek hoo maa asal mein kaam ke sisile mein sheher se bahar aaya hun arre nahi wo phone kharab tha acha aap sab khairiyat se hona? Kya kisne? Marghoob"....sunte hi jaise guddu saqte mein aa gaya
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
21 hours and 1 minutes.
Posts: 164
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #13 on: May 20, 2023, 11:45:13 AM »
Chapter 11

"Kya naam bataya aapne? Marghoob mujhe apna dost bataya arre Haan maa woh darasal aaj hi nikla hoo na to shayad mere gair mauzdgi mein wo aaye honge acha kuch kaha apse? Kuch bhi nahi bas mere baarein mein pucha ki main waha aa raha tha? Okay theek hai maa main naye sheher se fauran aapke yaha aa jaunga itne waqt se kaam mein uljha tha"

Kehte kehte guddu ka gala bhar aaya kaise kehta? Ki pichle kitne maah uske saath kya kuch nahi guzara? Uski naukri chali gayi uski dost roshni ab is dunia mein nahi thi kya keh paata unse? Ki kitni badi aafat uske bete ke piche thi jo uski maut ke saath hi thamta, achanak dukaan ke kone mein upar rakha tv chal raha tha jispar khabar aa raha tha,

Guddu ki tamaam tawajjoh us tv screen pe gayi jismein usne khun se lathpath marghoob ko stretcher par laitaate huye ambulance mein jaate dekha, ghatna shaam ki thi jab ek beqabu truck raaste mein tamaam apne samne aati gaadiyo ko chapait mein le raha tha usi waqt sadak paar karte ek police inspector us truck ke samne aa guzare haalat sambhalne se pehle hi inspector ne bachne ki koshish ki par truck ki chapait se khud ko bacha nahi paaya aur bheeshan takkar se wo hawa mein uthta hua sidha daayi taraf ki sadak par jaa gira, unhe gambhir chotein aayi thi aur mauke pe hi ambulance pahuch gayi thi wo beqabu truck aage jaake ek paid se jaa takraya aur tham gaya, jab driver ka malumat kiya to usmein koi driver na mila, wo truck break fail thi aur uske dhundhe driver ke byaan ke mutabik kisi kharabi ke chalte truck beqabu ho gayi thi jis wajah se oose beech raaste par kudna pada aur uske baad jo hua aafrupi dhang se ghata, inspector ka naam marghoob hai jo sheher ke jaane maane ilaake ke police adhikari hai aur kisi taftish ke tehet us ilaake mein pahuche they, lekin maamla ye hai ki unki gaadi sahi salamat sadak paar dusri taraf khadi thi to wo sadak paar kar kahan jaa rahe they?, Aspatal mein unka ilaaj chal raha hai aur unhein gambhir roop se ghayal bataya jaa raha hai, ab unke hosh mein aate hi kuch malum ho sakta hai,

Guddu jaise aasman se gira ye wohi ilaaka tha jaha wo rehta tha to iska matlab hadsa hone se pehle wo oose talashne aaye they par kyu? Kya unhein uski kahani pe yakeen aa gaya tha? Kya ye haadsa bhi shoumi ka kiyadhara tha wo beqabu truck jismein koi driver nahi ittefaq nahi ho sakta ki usi waqt sadak paar karte inspector marghoob us truck ke saamne aa gaye, guddu ab buri tarah ghabraane laga usne paaya ki uska phone band ho chuka tha wo maa se baat karte karte kab phone cut kiye wo khabar dekhne laga tha oose pata hi nahi chala,

Hadbadahat mein uske haath se chai ka glass fisal ke zameen pe gir pada chai aur kaanch dono bikhar gaye, guddu sihamne laga usne khud pe kaabu paate huye dukandar se maanfi maangi aur oose uska phone dete huye tute glass aur chai ki kimat Ada kiye waha se apna saaman uthaaye sadak ki taraf chalne laga dukandar oose hairat se dekhe jaa raha tha,

Oose apna pao bhari mehsus ho raha tha, paidal Safar tayy karna oose bhaari lag raha tha aaj jaise charo taraf neemandhera kuch zyada tha Chand ekdum badalo ke saaye mein chup sa gaya tha, saare waqayat uske zehan mein ghum rahe they shabnam ka pagalkhaane jaana, Aziz ki dardnaak maut, roshni ki wo buri haalat mein paayi laash jise wo aaj subah dafnane se pehle dekh paaya tha uska kharoch se bhara chehra, aur fhir shoumi ka oose har raat daraana uski har ek baat uske zehan mein chal rahi thi, kya waqayi ab kuch hona baaki tha yaa uski bhi maut nischint thi, us raat rooh kaanpta wo waqya jo shoumi ne oose dikhaya tha uske seene ko phaadhkar jo khoon se sana uska kaleja apne haatho mein liye usne nikaala tha, apni maut ka tasavur karte hi guddu darre sehme wohi thithak gaya ab oose raat gaye us sannate bhare raste mein khauff hone laga, ab toh inspector marghoob bhi uske haatho ka shikar ho chuke they na jaane wo hosh mein aa bhi payenge ki nahi, sochta guddu do kadam aage badha tha ki oose apne piche ek auto aati dikhi,

Guddu ko umeed nazar aayi usne haath dikhaya to auto uske paas aakar ruki itni raat gaye auto ka milana hi kisi khudai madad se kam nahi tha, guddu ne jhukkar dekha wo itni garmi mein kambal lapaita koi aadmi tha jiske haath aage accelerator par they,

"Wo railway station tak jaana tha bhaiya aap chodh denge jitna bhi lagega main pay kar dunga"

Us auto driver ne kuch nahi kaha na usne guddu ki taraf dekha bas haath ke ishaare se auto mein baith jaane keh diya, guddu mann hi mann sukoon mehsus karta saaman auto ke piche rakhkar sawar hua, auto tez gati se waha se aage badh chali, aage rasta aur bhi andher bhara tha wo ek gumnam ilaake mein tha jiske dono taraf bare bare paid aur jungle they, guddu ko samajh nahi aa raha tha ki wo aage kya karega? Bas kisi tarah wo train mein sawaar ho jaaye fhir aage ka faisla wo wohi tayy karega,

Achanak apni soch se nikalta usne auto driver ko dekha jo bina kuch kahe kayi dair se auto us sunsan sadak par chalaye ja raha tha station toh abtak aa jana chahiye tha toh fhir wo oose kahan le ja raha tha?

"Oh bhaiya ye kaun se raste le jaa rahe ho aap? 11 bajne ko hai station toh kuch 1 mile hi dur tha na"

Auto waale ne koi jawab nahi diya guddu pareshan hone laga usne oose gaur se dekha lekin uski nazaro tak ko wo dekh nahi paaya kahi wo kisi dusre musibat mein toh nahi fass gaya tha

"Bhaiya auto yahi roko main aapse kuch keh raha hoo auto yahi rokiye mujhe aage nahi jaana aap sun nahi rahe oh bhaiya"

Guddu ne aage badhke ooske peeth pe thapthapaya to oose azib sa laga maano jaise usne kisi saqt cheez ko chua tha us harqat ko karte hi autowaale ne auto rok di..guddu auto se utara aur uske samne aa khada hua,

"Ye kya laga rakha hai aapne? Tabse aapko keh raha hoo station jaana hai aur aap hai ki  ek ajnabi sunsan sadak par muje liye jaa rahe hai main already bahut late ho chuka mujhe malum bhi nahi ki abhi mujhe train milegi ki nahi aur aap mujhe station na le jaakar kahan liye ghum rahe hai? Itna lamba rasta toh nahi tha arre main aapse kuch puch raha hoo jawab dijiye"

Wo auto wala khamosh tha bas saamne ki taraf wo dekh raha tha, guddu ne charo taraf nigah daudaayi wo koi ujaad jagah si thi charo taraf ghane paid they aur ek taraf rasta jaa raha tha,

"Ye kahan le aaye aap mujhe? Yaha dur dur tak koi nahi arre sun bhi rahe ho tum"

Guddu ne chidchidaate huye uske badan se lapate kambal ko uske badan se puri taqat se kheechkar jaise utaar faika to woh safed pad gaya, ab oose samajh aaya kyu? Uske peeth par haath rakhte hi oose kuch chubta sa laga tha, kyunki saamne auto ki driving seat par koi insaan tha hi nahi ek nar kankaal tha jiska pura badan safed haddi tha,

Itne der se wo jis auto mein Safar kar raha tha woh koi insaan nahi ek murde ka kankaal chala raha tha, guddu chilla utha wo dehshat se waha se bhaaga haanfte sans ukadhte raasto par daudta wo us auto se kayi dafa dur aa pahucha, usne ek jagah teherkar apni ukhadhti saanso ko kheecha aur apne dhadakte dil ko seene pe hath rakhkar sehlaane laga, usne ek baar palatkar dekha uska wo picha nahi kar raha tha, ab wo bhatak chuka tha uska saaman piche usi auto mein reh gaya tha usne charo taraf dekha saamne ek ujaad imarat thi,

Oose darr tha ki koi bhi jungli janwar na aa jaaye wo sihamta pasine pasine larkharaye us imarat ke chaukhat par pahucha darwaja khula pada tha usne phone se roshni jalayi aur andar jhaanka wo imarat shayad saalo se yu hi ujaad pada tha wo haafta andar pahucha waha dhool ki parat jami thi kayi taraf bujhe kayi dino ke cigarette pade they aisa lagta tha wo jagah nashediyo ka adda tha, usne jayeja liya lekin waha us waqt koi bhi nahi tha, ganimat thi ki uska phone uske paas tha usne waqt dekha to aadhi raat ho chuki thi, usne socha tha ki wo abtak station pahuch chuka hota par na jaane kaise wo us aafat mein aa ghira?

Wo kankaal oose kahi na kahi shoumi ka kiya koi kala jadu hi laga, kya waqayi wo ab bhi mehfuz tha? Aaj Chand ki roshni jaise thi hi nahi pura fiza andhere ki aagosh mein duba tha apne past ko yaad karta sihma guddu wohi diwar ke ek kone par ja baitha aaj raat kaise bhi guzar jaaye toh shayad din tak oose koi madad mil sakti thi, usne ek baar apni location dhundhni chahi toh uske hosh ud gaye wo sheher se bahut dur tha aur kisi anjaan jagah par tha jaha siwaay junglo ke kuch bhi nahi, bahar itni raat bhatakna bhi khatre se khali nahi tha, achanak fhir uski aankhe bhaari hone lagi wo so nahi sakta tha ek to wo ujaad imarat hi oose daraa rahi thi aur upar se shoumi ki rooh ka khyal oose kapni de raha tha, lekin aankhe bhaari hoti chali gayi jaise koi madhoshi uspar taari ho chuki thi

                              ----------

Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
21 hours and 1 minutes.
Posts: 164
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #14 on: May 20, 2023, 11:47:08 AM »
Jab guddu ki neend khuli to usne kamre mein aag jalta paaya wo us ujaad imarat mein hi tha lekin saamne ek havankund tha jismein aag ki lapatein upar tak jaa rahi thi, guddu kaanpte huye hosh mein aane laga ek khule baal wali aurat uske taraf peeth kiye kaali saree pehni mantro ka jaap kar rahi thi, achanak oose kayi aurato ki ek sath Rone ki toh tahaka lagati kisi ki hassi sunaai dene lagi guddu ekdum sambhalkar ahishte ahiste uthne laga,

Guddu waha se dabe pao darwaje ki taraf badha taaki us aurat ki nigah par uspar na pad jaye, uska pura badan kaanp raha tha maathe ka pasina zameen pe gir raha tha ki tabhi wo aurat mudi wo shoumi hi thi usne palatkar oose dekha guddu chilla utha aur theek oosi waqt wo adhkhula darwaja apne aap lag gaya,

Shoumi muskurakar khadi ho gayi uske taraf dekhne ki himmat guddu mein nahi thi wo uski kaali Syah ghurrti nigaho ko dekhne ka taav nahi laa saka aur diwaar se satkar chehra dusri taraf fhaire thithaka raha,

"Mujhe tumhara hi intejar tha ki tum kab hosh mein aaoge? Lekin dekho tum shubh mauke pe hosh mein aa gaye"

Wo dohraati awaz mein kahein jaa rahi thi uska safed chehre pe wo muskurahat aisa lagta tha jaise koi murda muskura raha ho wo bas syah kaali aankho se guddu ko dekh bas kehti jaa rahi thi,

"Aaj raat amavas ki raat hai aur ye wo waqt hai jab tum mujhse yahi shaadi karoge jo kaam adhura reh gaya tha oose khud uske anjam tak pahuchaoge"

"N..nahii nahii mai..n tu..mse shaadi nahi kar sakta nahi kar sakta main tumse shaadi tum marr chuki ho tumne sabko maar diya tumne meri zindagi haraam kar di shoumi main tumse kabhi nahi shaadi karunga main tumse aahhhh urgghh"

Kehte kehte guddu ko aisa laga jaise uske bhaari panje bhare haatho ki pakad mein uska gala tha shoumi tilmilate huye oose diwaar se upar uthaane lagi guddu ki aankhe jaise ubal padi, wo un saqt haatho ko kasske thaame apne mazbut haatho se chudhaane laga lekin nakaam,

Shoumi ne dhahadte huye oose ek taraf zameen pe faikh diya guddu dard se tadapte huye uthne laga, shoumi oose gussail nazaro se ghurr rahi thi, usne haath ek taraf badhaya to ek gudiya uske haath mein aa gayi usne hasste huye apne munh se ek suyi aafrupi nikaali aur oose pagalo ki tarah uske baazu aur kandhe mein jaa dhasaya,

"Aahhhhhhh h"...guddu dard se bilbila utha aur uske kandhe se khoon behane laga

Shoumi ne wohi suyi nikaali aur us gudiya ke baaye jaangh mein ghusaa di, guddu fhir cheekha aur tadapta hua baaye jaangh pakde baith gaya uska jaangh se khoon behane laga aisa laga jaise kisi ne koi kaanch chuba diya ho, shoumi tahaka lagati rahi aur usne fhir gusail bhari nigaho se wohi suyi nikaale us gudiya ke pao mein dhasa diya,

Guddu tadapta hua apna pao thaame chillata raha, aur shoumi hassti rahi uski dohri awaz mein hassi pure kamre mein aise gunz rahi thi, jaise kayi insan ek sath hass rahe ho, wo fhir khamosh huyi usne guddu ko zakhmi dekha fhir wo suyi us gudiya ke aankho par le jane lagi, guddu siham utha wo fariyad karne laga,

"Nahi nahii shoumi nahii aisa mat karna pls aisa mat karna mm..main tumse maanfi maangta hu mujhe baksh do rehem karo mujhpar pls shoumi i will marry you jo tum kahegi wohi hoga pls"

Shoumi muskurayi aur apni kaali Syah aankho se usne wo suyi ek taraf faikh di, aur us gudiya ko apne jagah par rakh diya guddu dard Peeta apne zakhmi badan ko sambhaale utha aur langdaate shoumi ke kareeb aaya,

Shoumi uske kareeb aayi aur oose ghurrne lagi, raat gehri hoti jaa rahi thi hawaye tej chal rahi thi aisa lagta tha jaise is amavas raat ko fhir ek baar tufaan uthne wala tha, aag ki lapatein dheemi hone lagi, shoumi usi haal mein dulhan ki tarah saji guddu ke saamne thi aur guddu jaise uski Syah kaali aankho ko ghurr raha tha,

Shoumi ke haath mein ek maala thi aur guddu ke haath mein bhi ek maala thi, "pehle apne kapre ko meri saree se baandh do aur mere sath is aag ke charo taraf fhaire lo"

Jaise shoumi keh rahi thi guddu waisa karne laga usne pehle apne jacket ko utaare oose modkar shoumi ke saree se baandh kar uska haath thaame aag ke charo taraf phaire lene laga, shoumi ooske piche chal rahi thi aur guddu uske aage zakhmi haalat mein uska haath shoumi ke haatho mein tha, dekhte hi dekhte guddu ko aisa laga jaise waha kai log ek sath mauzud they par koi dikhai nahi de raha tha guddu bas phaire leta raha aur shoumi uske piche uska haath thaamein oose ghur rahi thi, phaire pure hone ke baad shoumi ki rooh ne jaise oose roka

"teher jao aur ab mujhe maala pehnao"

Guddu na chahte huye bhi us maala ko dekhne laga jo uske hatho mein kabse tha, jiske phool murjha chuke they aur har phool ke darmiyan haddiya bandhi thi oose dekhke oose azib sa mehsus hone laga

"Darro nahi ise mujhe pehnao"...shoumi ne uske maala thaame haath ko pakde kaha

Guddu ne oose wo maala dheere dheere pehna diya, shoumi muskurakar oose dekhen ja rahi thi, fhir guddu ne uske haath mein maala dekha jaise usne oose pehnaya tha, shoumi ne bhi wo haddi aur phoolon se bandha maala guddu ke gale mein daal diya, guddu nam aankho se oose dekhne laga

"Ab aakhri rasm"....shoumi ne apne khoon se sane haatho se wo mutthibhar sindur uthayi farsh se guddu ki taraf Syah kaali aankho se dekhte huye bola

Guddu ne kaanpte wo sindur shoumi ke haath se apne haatho ke mutthi mein le liya...."ab meri maang bharo".....guddu ne kaanpte sindur bhare mutthi ko uske sar ke paas laaya....usmein himmat nahi thi ki wo aage kuch kar paata,

"Maang bharo dairi mat karo".....shoumi dahadi

Guddu patte ki tarah kaanp utha lekin uska zameer gawara nahi kar raha tha, shoumi oose kashmakash mein dekh naraz hone lagi wo ghurraye oose ghurrne lagi

"N..nahi main ye shadi nahi kar sakta nahii"

Sochte hi sochte achanak uski mutthi se sindur girne laga, shoumi ye dekh chilla uthi....guddu ne mauka ka fayeda uthakar fauran kaanpte huye waha se darwaja khole bhaaga,

"Guddu rukk jao maine kaha ruk jao"....piche shoumi ki dohrati gale se nikalti dahadh sunkar jaise reh rehke uska kaleja munh ko aa raha tha

Bahar aate hi wo andhere mein wo na jaane kis taraf bhaag Raha tha bhaagte bhaagte wo us ujaad imarat ke piche ke raste se kahi dur bhaagta aa pahucha, usi waqt oose ahesas hua ki hawaye tej ho chuki thi aur aandhi chal rahi thi, wo palatkar piche dekha to oose koi nahi dikh raha tha, wo ghutne pakde jab ek jagah aake khada hua saans kheechte huye tab oose hosh aaya ki wo kahan tha? Wo ek veeran band qabristan tha jaha wo aa gaya tha, achanak oose kisi ki aahat kisi ki dabi dohrati awaz apne piche mehsus huyi usne palatkar dekha toh chilla utha shoumi piche ke us paid par ulti latki oose ghur rahi thi,

Guddu zameen pe gir pada wo ghasitte huye puri taqat se utha aur dusri taraf bhaaga lekin tabhi uska pao kisi qabr se takraya aur wo sidha aundhe munh dusre qabr ke upar Jaa gira, dard se bibilbilata larkharaye wo fhir uthne laga oose ahesas hua ki usmein aur bhaag paane ki taqat nahi thi,

Oose ek tikha shor sunai diya aur jab wo muda toh shoumi uske seene pe aa sawar hui guddu aur shoumi dono ek khude qabr ke gaddhe mein jaa gire,

"Chodh do mujhe shoumi pls for God sake aahhhhh aahhhh"

Shoumi ne apne nakhun se uski kalai mein chubhoya aur uske behte khoon ko dekh hassne lagi, guddu ne oose puri taqat se apne upar se dur dhakela aur qabr ki mitti par chadhta wo upar nikalne laga shoumi udte huye uske peeth pe sawar huye uske pure peeth ko nakhun se kharochne lagi, uska kapra phat chuka tha aur nangi peeth khoon se tar thi, dard se bibilbilata dahade guddu oose apne upar se hatane laga lekin shoumi uska picha nahi chodh rahi thi usne uski gardan ko apni geraft mein lapait liya,

Guddu puri taqat se qabr se bahar nikla aur apne khoon se lathpath zakhmi nange badan se oose dur karne laga shoumi ne bedardi se uske seene ko apne nakhun se nochne lagi aur uske gale ko betahasha kaatne lagi lekin dard aur jalan ki parwah kiye bina guddu ne puri taqat jutaate huye shoumi ko zameen pe de pachada shoumi zameen par girte hi kisi janwar ki tarah raingte huye uski taang pakadne lagi guddu Bach nikla aur waha se bhaaga aur bhaagta raha aur theek tabhi aadhe raste mein wo ja gira, dhool bhari zameen mein uske haath mein kahi kaanch dhas gaya tha jiski tadap mein wo chatpataye aansu ghule ek baar fhir uthkar apna hath thaame waha se bhaaga,

Wo fhir us ujaad imarat ke andar pahucha aur fhir usi kamre mein mazburan aa pahucha usne darwaja band kiya aur usi kamre ke kone mein aakar gir parda jis mutthi mein sindur tha ab us sindur sane haatho se khoon nikal raha tha, guddu wohi baitha haafta us kaanch ke tukde ko puri taqat se apne hath ke gehrai se bahar kheechne laga, aakhirkar wo kamyab hua lekin ab usmein jaan baaki nahi thi wo fhir dobara wohi laut aa chuka tha achanak dhap dhap karti koi cheez oose mehsus hone lagi aur theek tabhi uske bagal ka darwaja apne aap tutne laga guddu bhauklaaye sehamte huye waise hi zakhmi haalat mein pada raha andar shoumi raingte huye uske paas pahuchi, lekin ab guddu ke andar uske bhayanak chehre ko dekhke aur khauff nahi bacha tha wo janta tha ab koi kinaara nahi koi manzil nahi baki thi, usne shoumi ki taraf dekha aur ghayal halat mein kehne laga

"Shoumi main samajh chuka hoo ki maine jo kuch bhi tumhare sath kiya uska silha yahi hai agar aaj main tumhare haatho marr bhi jau to mujhe afsos nahi"

Shoumi gussail nazaro se waise hi raingti uski taraf badh rahi thi, usne apne daaye haath ke zakhm se ugalta khoon shoumi ko dikhaya aur muskuraya,

"Main tayyar hoo aao is akhri rasm ko ab puri kar le"

Dekhte hi dekhte shoumi apne pairo ke bal uthi aur uske chehre ka rang badla wo hairat se oose ghurrne lagi, guddu ne saaf gaur kiya ki wo ro rahi thi, "tum buri nahi thi shoumi tumhari diwangi ne tumhe bura banaya tha ab main tayyar hoo jis bhi haalat mein ho mujhe manzur ho"

"Sach"

Guddu ne sehmati mein nam aankho se muskuraya "main ab tumse koi badla nahi lena chahta na hi ab mujhmein tumhare liye koi nafrat hai agar waqayi tumhe mujhse nafrat hoti toh mujhe kabka tumne maar diya hota isliye ab sabkuch bhulaakar main tumhara hone ko tayyar hoo"

Shoumi ki rooh uske kareeb aa tehri guddu ne apne khoon aur sindur se sane daaye haath ko uske maang par rakh diya, shoumi ne aankhe band kar li aur dekhte hi dekhte ek khoon ka qatra uske maathe se tapakte huye farsh pe jaa gira,

Shoumi guddu ke gale lag gayi aur ooske peeth ko sehlane lagi ,uski khwahish puri ho chuki thi ab guddu uska ho chuka tha, guddu bhi oose apne gale kasskar lagaaye uske gardan par sar rakhkar jaise nidhaal ho gaya tha,

Shoumi ne uske peeth sehlate muskuraye apni Syah kaali aankho se uske kaan ke paas apna chehra laayi,

"Apni taqdeer ko qabul karo"

Guddu ne aankhe khole abhi shoumi ke gardan se sar uthaye kuch samajh pata, oose apni gardan par kuch tikha chubta mehsus hua..guddu sisak utha aur uski aankhen band hone lagi, shoumi ne kasske uske baalon ko hatho se samaite oose kasskar apne jism se chipka liya aur khun ke aansu se rone lagi, shoumi ke dusre haath mein fasi suyi uske gardan ke maans mein dhasi huyi thi, usse khoon ka ek qatra behta hua gardan se farsh par girne laga,

Aandhi se khidki ke sheeshe apne aap tutkar bikhar gaye, aur havankund ki jalti wo aag apne aap gayab hone lagi kamra mein sannata cha gaya, aur neem andhera charo taraf fail gaya,
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 01:27:02 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.256 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer