DARK LOVE 3 - PYAAR KI AAKHRI JUNG...

by asif biswas on August 25, 2012, 12:46:56 PM
Pages: 1 [2] 3 4  All
Print
Author  (Read 28432 times)
asif biswas
Guest
«Reply #15 on: August 30, 2012, 09:50:30 AM »
sanaa apne bistar par pari so rahi thi...ooski aankhen band thi..par bahar ka manzar khadhakti bijliya aur badal ghaire huye they...suraj dubb chuki thi...aur bahar thodhi thodhi halki neeli roshni si thi..sanaa ke chehre par ek jhonkaa sa aaya...aur sanaa ek dum se uthkar baith gayi..ooske dil se maano koi khaufnak dhadhkano se guzarti huyi chali gayi

sana - my god woh kya tha mujhe itna darr kyu feel sa ho raha hai? shayad zyada zayed ke baarein mein sochne lagin hoo...

sana ki nazar hawao se takraati khidhkiyo par pari...oosne jhat se razaai se khud ko alag kiya...aur nange pao hi khidhki lagaane lagin...oosne bahar dekha..sabkuch andhere ki aagosh mein tha...aasman bhi orange sa dikh raha tha...maano badalo ne aasman ko kitna ghair liya ho..

sanaa sidiyo se niche utari..kamra puraa khaali tha...oosne do chaar baar apne dad ka naam pukaara...lekin ooska dil dhadhkna tab band huya jab oose samjh mein aaya...ooske dad apne duty mein busy honge..hamesha ki tarah

sanaa bistar par waapis lait gayi...woh zayed ke baarein mein hi soch rahi thi..oose woh har lamhaa yaad aane lagaa jo waqt oosne zayed ke sath bitaaye they...aaj sanaa ko zayed ne kitna pyara kar diyaa tha ye oosne kabhi socha bhi nahi tha...

udhar woh khaufnak jaanwar junglo mein dahaadhta huyaa sidhe raaste par aakar kharaa ho gaya tha ooski nazar saamne waale bangle par pari...ye bangla kisi aur ka nahi balki khud sanaa ka hi tha..jahan woh akele thi

woh jaanwar dheere bangle ke kareeb aane laga...ooski nazar khidhki par parri..oosne turant khud ko paid par chadhaya..aur agle hi pal ooski nazar bistar par laiti ek larki par pari...oosne oose kaafi ghurra...aur zameen par kudte huye bangle ke kareeb jaane laga..

sanaa ko kisi aahat ki mehsus huyi aur turant oosne bina palak jhapkaaye ooth baithi ...woh dheere dheere raazai se uthi..aur sidiyo ki taraf jaane lagin...ooski nazar jaise piche ki or huyi...zayed ko saamne kharaa dekhkar woh ooske gale lag gayi...

sanaa - oh zayed tumne toh mujhe akela hi chodh daala tha..
zayed - mujhe tehdil se maaf karna..maine socha tumhe ek baar dekh loo
sanaa - main tumhare liye andhere mein kitne pal guzarti jungle mein tum mujhe kahi nahi dikhte
zayed - ssshhh sanaa mujhe mehsus ho raha hai...ki yahan par kuch hai
sanaa - kya matlab zayed?

zayed piche ki or palta..aur jhat se bahar dekhne laga...lekin tabtalak woh janwar wahan se gaayab ho chukaa tha...zayed dobara sanaa ke kareeb aaya..aur oose muskurake dekhne lagaa

sana - kya huya zayed is anything wrong?
zayed - nahi mujhe aisa lagaa bahar koi humhe ghurr raha tha..suno sanaa..main tumhare iraade se khush hoo...aur tumse shaadi karne ke liye tayyar hoo..lekin main tumhari zindagi tumse nahi cheen sakta..
sanaa - sach mein zayed tumhe mujhe kitni bari khushi di hai..i am so happy...
zayed - lekin tumhare dad
sana - pyaar ke aage dad ko bhi manna hogaa...mai naur intezaar nahi kar sakti tumse judhne ke liye...sanaa zayed ke gale lag gayi...aur zayed ne bhi oose kaske gale lagaa liyaa...

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ek Aakhri Kaalaam Ek Aakhri Khitaab by Ghayal in Shayri for Dard -e- Judai
dark love - pyaar ki daastan by asif biswas in Inspirational Stories and real life Incidences.
dark love - pyaar ki daastan { 2} by asif biswas in General Stories « 1 2  All »
Dark Love Story Part-4 ( ek nayi suruwaat ) by anjali kapoor in General Stories « 1 2  All »
dark love story ( ek nayi suruwaat ) by princess anjali in General Stories « 1 2  All »
masoom shahjada
Guest
«Reply #16 on: August 31, 2012, 07:02:45 AM »
sanaa apne bistar par pari so rahi thi...ooski aankhen band thi..par bahar ka manzar khadhakti bijliya aur badal ghaire huye they...suraj dubb chuki thi...aur bahar thodhi thodhi halki neeli roshni si thi..sanaa ke chehre par ek jhonkaa sa aaya...aur sanaa ek dum se uthkar baith gayi..ooske dil se maano koi khaufnak dhadhkano se guzarti huyi chali gayi

sana - my god woh kya tha mujhe itna darr kyu feel sa ho raha hai? shayad zyada zayed ke baarein mein sochne lagin hoo...

sana ki nazar hawao se takraati khidhkiyo par pari...oosne jhat se razaai se khud ko alag kiya...aur nange pao hi khidhki lagaane lagin...oosne bahar dekha..sabkuch andhere ki aagosh mein tha...aasman bhi orange sa dikh raha tha...maano badalo ne aasman ko kitna ghair liya ho..

sanaa sidiyo se niche utari..kamra puraa khaali tha...oosne do chaar baar apne dad ka naam pukaara...lekin ooska dil dhadhkna tab band huya jab oose samjh mein aaya...ooske dad apne duty mein busy honge..hamesha ki tarah

sanaa bistar par waapis lait gayi...woh zayed ke baarein mein hi soch rahi thi..oose woh har lamhaa yaad aane lagaa jo waqt oosne zayed ke sath bitaaye they...aaj sanaa ko zayed ne kitna pyara kar diyaa tha ye oosne kabhi socha bhi nahi tha...

udhar woh khaufnak jaanwar junglo mein dahaadhta huyaa sidhe raaste par aakar kharaa ho gaya tha ooski nazar saamne waale bangle par pari...ye bangla kisi aur ka nahi balki khud sanaa ka hi tha..jahan woh akele thi

woh jaanwar dheere bangle ke kareeb aane laga...ooski nazar khidhki par parri..oosne turant khud ko paid par chadhaya..aur agle hi pal ooski nazar bistar par laiti ek larki par pari...oosne oose kaafi ghurra...aur zameen par kudte huye bangle ke kareeb jaane laga..

sanaa ko kisi aahat ki mehsus huyi aur turant oosne bina palak jhapkaaye ooth baithi ...woh dheere dheere raazai se uthi..aur sidiyo ki taraf jaane lagin...ooski nazar jaise piche ki or huyi...zayed ko saamne kharaa dekhkar woh ooske gale lag gayi...

sanaa - oh zayed tumne toh mujhe akela hi chodh daala tha..
zayed - mujhe tehdil se maaf karna..maine socha tumhe ek baar dekh loo
sanaa - main tumhare liye andhere mein kitne pal guzarti jungle mein tum mujhe kahi nahi dikhte
zayed - ssshhh sanaa mujhe mehsus ho raha hai...ki yahan par kuch hai
sanaa - kya matlab zayed?

zayed piche ki or palta..aur jhat se bahar dekhne laga...lekin tabtalak woh janwar wahan se gaayab ho chukaa tha...zayed dobara sanaa ke kareeb aaya..aur oose muskurake dekhne lagaa

sana - kya huya zayed is anything wrong?
zayed - nahi mujhe aisa lagaa bahar koi humhe ghurr raha tha..suno sanaa..main tumhare iraade se khush hoo...aur tumse shaadi karne ke liye tayyar hoo..lekin main tumhari zindagi tumse nahi cheen sakta..
sanaa - sach mein zayed tumhe mujhe kitni bari khushi di hai..i am so happy...
zayed - lekin tumhare dad
sana - pyaar ke aage dad ko bhi manna hogaa...mai naur intezaar nahi kar sakti tumse judhne ke liye...sanaa zayed ke gale lag gayi...aur zayed ne bhi oose kaske gale lagaa liyaa...


Ek  pal   ko  laagaa  kee   sanaa  ab  khatam   fir   lagaa   wo   jaanwar   zayed  hai..   Par   baad   me   sab   clear   ho   gayaa.  Bahooot   achchaaa  update  thaa.
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #17 on: August 31, 2012, 10:31:03 AM »
subah ki roshni ooty ke hassen waadiyo sar zameen par parri...toh jaise panchi aasman mein udhte dikhne lage...kal raat ka andhera aur darr ab mit chukaa tha...sanaa bhi art institute pahuch chuki thi...aaj ooske chehre par hassi thi...muskurahat thi...aur woh aaj pehle se kayi zyada haseen lag rahi thi...victor painting banaa raha tha tabhi class mein sanaa ko aate dekh...oosne apni nazar sanaa se hataa nahi paaya

sana ki nazar victor par parri aur oose dekhkar oosne ek halki smile paas ki..itnaa kaafi tha jo victor ke dil ko chu le..victor bhi sabkuch chodhkar ooske chehre ko dekhe jaa raha tha...tabhi sana ke paas aate hi

victor - hi sana looking pretty today..aaj koi special day..kabhi tumhe itna khush muskurate huye i mean kal hi toh hamari mulaqat huyi thi aur tum itna change
sanaa - kya raat ke baad savera nahi hota..kya mausam nahi badalta...haa main kal tak chup chup rehne waali se itni khush kaise rehne lagin...isliye hairaan ho

victor ne bas sar hilaaya

sanaa - mujhe jiska akelapan sataa raha tha..aaj woh mere bilkul kareeb aa chukaa hai...jise sadiyo se chahne ke liye main betaab thi..aaj ooska saath mujhe mil chuka hai
victor - you mean you are in love with who?
sanaa - chodho naa jaankar kya karoge?
victor - i know wo kaun hai?
sana - tumhe kaise pata?
victor - shayad maine oose dekha hai tumhare saath woh ek black shirt aur jeans mein hota hai...ooski aankhen bhuri si hai...chehra maano kitna chamkilaa ho..aur dikhne mein bahut haseen aur khubsurat hai..

sana bas sawaalo bhari nazro se victor ko dekh rahi thi...

sanaa - abhi abhi toh hum mile hai aur tumhe itna kuch pata chal gaya?
victor - woh ek jinnat hai kya main sahi hoo?
sanaa - haan........sanaa bas hairaani se victor ko dekh rahi thi..
victor - ye jante huye ki tum ek insaan aur woh ek insaan nahi balki ek jin...kaafi hairat angez hai...kya tum oosse pyaar karti ho?
sanaa - dil se bhi zyada...
victor - i know
sanaa - tumhe hairat nahi huyi tum mujhpe hasse nahi...tumhe itna kuch kaise pata hai victor?...kya tum mujhe bhi jaante ho?

victor - haan sanaa tumhari baarein mein sunaa hai.aur rahi hairaat ki baat..meri zindagi khud aisi hai ki sabko mujhpar hairaat hone lagti hai...khair chodho woh sab baat tumhe tumhara pyaar milne ki khushi mein congratulations...

sana - thankyou so much victor thank you so much tum aise pehle insaan ho jo meri feelings ko itni deep se samajh sake...naa hi tum mere against ho..aur naa hi tumhe mujhse koi shikwa
victor - woh sab chodho...tumhare liye ek cheez
sana - kya hai woh cheez?
victor - ye lo

victor ne sana ko ooske chehre ki bilkul hubahu panting haath mein dete huye kaha....sanaa hairaat se oos painting ko dekhne lagin..aur khushi se victor ke gale lag gayi...victor bhi ooske gale lag gaya..lekin ooske aankho mein aansu ghul chuke they...sanaa ne oose thank you kaha aur wahan se aage badhkar apni sit par chali gayi

victor bas sanaa ko apne se dur badhte huye dekh raha tha....

victor - haan kisi ne sahi kaha hai ksii ko pyaar ko sacche dil se maango toh woh pyaar milta hai zarur...lekin kuch dino ke liye...tumhare binaa sanaa main oh meenn kaise batata tumhe ki main tumse kitna pyaar karta hoo....lekin meri naseeeb mein jo dhukh hai oon kadhwi raaz ko tumhare saamne main pesh nahi kar paungaa...bas god se tumhari pyaar ki duaa karungaa...ki tumhara pyaar aise banaa rahe...i love you sanaa i love you mujhe gam nahi ki tum mere paas nahi ho...lekin zindagi ki kashti mein shayad tumhara haath thaamne wala pehle se mauzud hai  tearyeyed tearyeyed
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #18 on: September 02, 2012, 06:56:38 AM »
dopahar ki dheemi roshni ooty ke haseen thandi waadiyo ko chutte huye parri...sanaa apne institute se bahar nikali toh oosne ek bench par zayed ko baitha paaya...jo oosi ki raah dekh raha tha...aaj sanaa kaafi khush thi kyunki zayed aaj pehli baar oose lene aaya tha..kyunki hardum woh khud akeli rehti aur khud ko akela feel karti thi...zayed ooske kareeb ayaa..aur halka sa muskurahat di

sanaa - toh aaj mujhe lene kaise aaye?
zayed - kyu nahi aa sakta ? tumhe pehle bhi akela chodh chuka hoo is baar nahi
sanaa - i am always wid you
zayed - main jaanta hoo sanaa..chalo aaj khuli waadiyo ka mazaa ek baar fhir le
sanaa ne zayed ke haath ko pakra...aur oose ungli dikhaayi...zayed piche mudhkar oose hairani se dekhne lagaa

sanaa - isse pehle ki hum chalein i want you to meet someone..jisne mere akelepan mein mera saath diyaa tha...
zayed - kaun kaun ? hai woh
sanaa - woh larka dekho saamne victor..hey victor

victor ki nazar sanaa par pari..aur zayed ko dekhkar ooske chhere ki muskurahat khatam ho gayi...zayed bhi oose ghurne lagaa...sanaa ne victor ko ishaare se apne paas bulaya

victor dheere dheere kadmo se sanaa ke paas aaya.

sanaa - hey victor he is zayed mera pyaar
victor - nice to meet you zayed...victor ne apnaa haath zayed ki taraf badhata huye kaha
zayed - toh tum mujhe jaante ho
victor - hmmm sana ne tumhare baarein mein bahut kuch bataya
zayed - hmmm....zayed ne jaise victor se haath milaaya..victor ka haath maano ek dum se sunn padhne lagaa...victor ne bhi zayed ki taraf ek pal ke liye dekha aur bas oose hairaani se dekhne lagaa

zayed bhi chupchaap oose hi ghurr raha tha

sanaa - are you guys okay?
zayed - haan woh toh hai..
victor - i think mujhe ab chalna chhaiye...alright bye sanaa...
sanaa - bye victor

sanaa ne zayed ki taraf bina palak jhapkaaye dekha toh aur fhir chup rahi...zayed bas soch mein dubaa tha....ki tabhi sanaa ne ooske haath ko jhinjodha

zayed - chalo sanaa
sanaa - par zayed kuch baat hai kya ?

zayed ne muskurake kuch nahi kaha...aur fhir sanaa ka haath pakra..aur oose junglo ki taraf le jaane lagaa...sanaa bas chupchaap thi ki itney mein ooski chekeh nikal gayi

zayed ne oose apni bazuo mein thaama aur sunsaan junglo ke upar se oose udhaate huye le jaane lagaa...sanaa toh bas khushi ke maarein niche ki haseen waadiya dekhne lagin...sanaa is mahoul mein itni khush thi..ki zayed ne oose palbhar mein huye waaaqye ko bhulaa sa diyaa tha

dono jald hi ek pahad ke upar aaye aur niche baith agye ek dusre ki aankho mein jhaakne lage....
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #19 on: September 04, 2012, 11:20:45 AM »
sanaa aur zayed ek dusre ki aankho mein dekh rahe they...sanaa ke chehre se ooske baal udhkar ooske chere par aate...jise zayed pyaasi nigaaho se dekh raha tha...

zayed - ek baat kahu?
sanaa - kaho!
zayed - sanaa aaj tum kaafi khubsurat lag rahi ho
sanaa - kya sach mein?
zayed - pehle se bhi zyada

sanaa bhi muskurane lagin...zayed ooske kareeb aa chukaa tha...oosne sanaa ke hontho ke kareeb apne honth paas laaye...sanaa ab zayed ke hontho ko dekh rahi thi aur oosne apna chehra aage kar diya...sanaa ne jhat se zayed ke chehre ko apne haath mein liya...aur zayed ne palbhar mein hi sanaa ke hontho ko apne honth se sataa liyaa...dono ek dusre ko chumme lage...kaafi dair tak sanaa ke hontho ko chusne ke baad...zayed ooske chehre se dheere dheere alag huyaa, oosne sanaa ki taraf dekhaa

sanaa bhi muskurakar oose hi dekh rahi thi dono fhir ek dusre ke gale lag gaye....

sanaa - kya tum mujhse ek baat chupaa rahe ho?
zayed - kaisi baat sanaa?
sanaa - victor ko dekhkar tumhare haav bhaav bilkul they
zayed chup sa ho gaya...oosne ek pal sanaa ko dekha aur fhir gum sa ho gaya

sanaa ke maathey par shikhar ki leher daud gayi..aur oosne zayed ko dekhkar ek baar fhir pucha

sanaa - kya huya tum chup ho gaye?
zayed - sanaa victor aam insaano ki tarah mera matlab
sanaa - kya matlab?

sanaa ke sawaal badhte jaa rahe they..aur zayed bilkul khaamosh sa ho chukaa tha...

sana - c'mon tell me kya victor bhi ek jinnat hai?
zayed - nahin woh ek shaapit jaanwar hai
sanaa - kya keh rahe ho?
zayed - haan sanaa jab maine oosse hath milaaya...mujhe mehsus huyaa ki woh ek naapak jaanwar ki aatma oosmein hai...woh bachpan se aisa hai
sanaa - mera dimaag kaam hi nahi kar raha you mean woh ek shaapit jaanwar ooty mein aisa maine pehle bhi dekha hai...jisne mujhe maarne ki koshish ki thi...jab tumne mujhe pehli baar bachaya tha...

zayed - woh ek shaitani jinn tha...jiski wajah se mera raaz tumhare abbu ke saamne aa gaya tha...jis wajah se mujhe ooty chodhkar jaana padha tha

sanaa chup si ho gayi thi...zayed ne muskurake kaha

zayed - main jaanta tha isliye tumhe nahi bataa paa raha tha
sana - tumhe pehle bhi inhi musibato ke chalte kho chuki hoo...lekin tumharpal mere saath they
zayed - toh fhir tayyar ho jao...agle mahine hi hamara niqaah ho jaayega
sanaa - kya sach mein?
zayed - jaisa bhi tum chaho...
sanaa - mujhe iska besavri se intezaar tha...lekin victor?
zayed - woh tumhe nuksaan nahi pahuchaayega...hamari niqaah ke baad hum oosse bhi baat karenge...main jaanta hoo tum oose bachana chahti ho...lekin ye itna assan nahi
sanaa - i know zayed...chalo andhera ho raha hai...mujhe ghar bhi jaana hai

zayed - ooski jarurat nahi paregi...mere baazu hi kaafi hai tumhe wahan tak le jaane ke liye..zayed ne sana ko ek pal mein thaam liya...aur wahan se tez raftaar se udh gaya..woh veeran junglo ke beech mein se hawaa mein tairte huye sana ko sheher ki roshni bhari basti mein laa chukaa tha....

sana ne ek kiss zayed ko di..aur zayed palbhar mein dhuye ki tarah wahan se gayab ho gaya....sanaa apne ghar mein ghuss gayi...lekin oose koi aur bhi ghurr raha tha...jiski aankhen peeli peeli thi aur chehra bara hi khaufnaak tha..
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #20 on: September 04, 2012, 01:09:12 PM »
Shayad Victor hee ghoor rahaa hai sanaa ko. Good work. Waiting for next update
Logged
htboy111
Guest
«Reply #21 on: September 04, 2012, 01:48:54 PM »
bahut badiya kahani hai.
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #22 on: September 08, 2012, 12:48:47 PM »
SANAA AUR ZAYED EK DUSRE SE KAAFI KAREEB AA HI CHUKE THEY..SANAA ART INSTITUTE SE APNI COURSE COMPLETE KAR CHUKI THI...LEKIN WOH JAB BHI CLASS MEIN AATI...OOSE VICTOR NAHI MILTA..KABHI WOH OOSE DIKHTA TOH WOH KAAFI DUR JA CHUKA HOTA...SANAA KO AHESSAS HONE LAGA THA KI SHAYAD VICTOR KO AISA LAGA HO KI SANAA KO OOSKE RAAZ KE BAAREIN MEIN MAALUM HO GAYA HO...SANAA BHI IS MAAMLE KE TEH TAK JAANA CHAHTI THI...LEKIN OOSKE PAAS ZAYED AA JAATA AUR SANAA SABKUCH BHULKAR ZAYED KE BAAHON MEIN DUB JAATI...OOSKI BAATON MEIN GHUM JAATI...SHAYAD ZAYED BHI SANAA KO VICTOR SE DUR RAKHNA CHAHTA THA...JAB SANAA ZAYED SE MILKAR SHAAM KO GHAR AATI TOH WOH SABKUCH BHUL JAATI....AISE HI EK MAHINE GUZARNE LAGE AUR MAHINE KI AAKHRI TAARIK BHI NAZAR AANE LAGIN...

LEKIN OOS SHAAM SABKUCH SANAA KE AANKHO KE SAAMNE AA CHUKAA THA...

SANAA CAR KO TEZ RAFTAARO SE OOTY KE GHANE VEERANE OS SE BHARE JUNGLO SE GUZARTE HUYE LE JAA RAHI THI...SARI TARAF DHUND THAND KA...MAUSAM SE JUNGLE SHAAM KE DUBE SURAJ SE NEELA AAKASH...AUR CHARO TARAF ANDHERA...SIRF SANAA KE CAR KI HEADLIGHTS JAL RAHI THI...SANAA KHUD KI DHUN MEIN THI

TABHI CAR KE SAAMNE EK TEZ RAFTAAR SE WOH SHAKS AAYA...CAR KI HADHABADHAT MEIN SANAA SE STEERING KA NIYANTRA KHO DAALA...JIS WAJAH SE CAR TEZ RAFTAAR SE OOS SAAMNE KHARE SHAKS KO BAS MAARNE HI WAALI THI KI TABHI OOS SHAKS NE DONO HAATHO SE CAR KO ROK DAALA

OOSKE SAFED SHIRT PAR LAGAA KHOON JO OOSKE GALE SE BHEEGA HUYAA OOSKE HONTHO PAR SE...KHOON HI KHOON OOSKE MUNH SE KHOON KI LAAR NIKAL RAHI THI...WOH KOI AUR NAHI VICTOR THA...JISKE SAR PAR KHOON SA SAWAAR THAA AANKHEN PEELI PEELI SI JO SAFED HONE KE KAGAAR MEIN THI....SANAA ISSE PEHLE KUCH KAR PAATI...WOH CHEEKHTE HUYE CAR SE BHAAG NIKALI....SANAA TEZI SE JUNGLE KI GEHRAAIYO MEIN JAA CHUKI THI...KI TABHI VICTOR CHALAANG LAGATE HUYE OOSE PAID PAR TIKAA DETA HAI...SANAA KA DIL DHAK DHAK KARNE LAGTA HAI...ITNA BHAYANAK VICTOR KA CHEHRA DEKHKAR OOSKI DARINDAGI DEKEHTE HI SANAA KI SAANSEIN RUK JAATI HAI...

VICTOR OOSKE HAATHO KO KASKE PAKAD LETA HAI..

SANAA - VI...CTTORR ITTT'S ME TUMHARI FRIEND SANAA...

SANAA NE DARTE HUYE KAHA...PAR VICTOR KA OOSKI BAATON PAR KOI ASAR NA HUYAA AUR OOSNE APNE CHEHRE KO SANAA KE KAREEB LAAYA...AUR OOSKE GALE KO CHUMM LIYA..SANAA RUK SI GAYI...WOH JIS KHUBSURAT BHOLE VICTOR KO JAANTI THI...AAJ WOH VICTOR EK KHAUFNAK DARINDA MEIN OOSE DIKH RAHA THA...TABHI BIJALI KHADHKI...AUR VICTOR TEZ HAWAA KI TARAH DAUDHTE HUYE WAHAN SE GAAYAB HO CHUKAA THA

SANAAA BAS HAIRAANI SE VICTOR KE OOS KHAUFNAK CHEHRE KO YAHIN BAS YAAD KAR RAHI THI...SANAA WAAPIS APNI CAR MEIN BAITHI...AUR WAHAN SE CAR KO AANDHI TUFAAN KI TARAH DAUD DAALA...OOSKE HAATH ITNE KAANP RAHE THEY KI OOSE DO BAAR STEERING WHEEL FISAL GAYI OOSNE KHUD KE GALE PAR HAATH LAGAYA TOH OOSKE HONTHO  KA KHOON SANAA KE GALE PAR LAGAA HUYAA THA....SANAAA ZOR ZOR SE RONE LAGIN...WOH GHAR PAHUCHI AUR LIGHT ON KARKE SHESSHE KE SAAMNE OOSNE KHUD KE GALE KO RAGAD RAGAD KE POCHNA...OOSKE ZEHAN MEIN DAS SAWAAL THEY...JO AB OOSE SIRF VICTOR SE HI MIL SAKTE THEY...

Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #23 on: September 08, 2012, 01:02:48 PM »
Nice update. Umeed ke mutabik wo jaanwar victor hee niklaa par hairat es baat kee hai kee usne Sanaa ko maaraa kiyooN nahee. Kyaa wo jaanwar bhee sanaa se pyaar kartaa hai.
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #24 on: September 08, 2012, 01:39:55 PM »
Nice update. Umeed ke mutabik wo jaanwar victor hee niklaa par hairat es baat kee hai kee usne Sanaa ko maaraa kiyooN nahee. Kyaa wo jaanwar bhee sanaa se pyaar kartaa hai.

victor sanaa se pyaar karta hai...lekin osoki shaapit zindagi ne oose ek khunkhaar jaanwar banaa rakhaa hai...jo baad mein is story ka one of the villains hogaa...kahir thanks for reading..
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #25 on: September 08, 2012, 01:40:37 PM »
bahut badiya kahani hai.

thanks yaar...
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #26 on: September 09, 2012, 06:52:49 AM »
sanaa apne gale par paani daalke oospar lage khoon ko saaf kar rahi thi...par baar baar ooske haath kaanp jaate aur haath se kapra washbasin par gir jaata....sanaa ke aankho ke saamne bas wohi nazara chaa saa raha tha...jahan sanaa ke baazuo ko pakre darinde victor ne bas oose chunnaa hi chaha tha..

sanaa kaafi sawaal janna chahti thi...tabhi ek awaaz ne oose chaukaa dala..sanaa piche mudhi..aur oos shaks ke gale lag gayi...ye wohin shaks tha jo oose harpal dard aur akelepan mein ooska saath deta tha ooska pyaar zayed..

zayed ne sanaa ko bazuo se pakad rakhaa tha...sanaa ne ooski taraf nazrein kiye toh ooske aankh aansuyo se dube dikhe...zayed ne jhat se apne dono haatho ki ungliyaa ooske makhmal jaise chehre ke kareeb ragade...aur fhir ooske aansuo ko ek hi jhatke mein gaayab kar diyaa

sanaa - oh zayed.....sanaa zayed se lipatkar rone lagin
zayed - kya huyaa sanaa? tum darri huyi kyu ho?
sanaa - jis baat ka mujhe darr tha wohin huyaa
zayed - kaisa darr?

sanaa ne zayed ko saari ghatna ek baar fhir batayi...ki kaise junglo se guzarte waqt woh victor se mili...aur fhir victor kaise ek darinda ban gaya...aur oose chumnna chaha..zayed baaton ke beech mein hi itnaa gussa huyaa ki ooska munh laal ho gaya...aur aankhe safed hone lagin...oosne apni mutthi ko kassa..aur zor se cheekhte huye sheeshe par zordaar mukka maara...jiske lagte hi kaanch ka shessha...tukdo mein tut gaya

zayed - main oose nahi chodhungaa
sanaa - tum aisa kuch nahi karoge
zayed - par tum? theek hai ab main oos victor ko tumhare kareeb bhi nahi madraane dungaa...tum darro mat..parso hamara niqaah hai...tum bas khud par dhyaan do...baaki sabmujhpar chodh do
sanaa ne muskuraya aur fhir chupchaap zayed ko wahan se jaate huye dekhaa

sanaa ne sheeshe ki taraf dekhaa jo buri tarah tut chukaa tha...lekin hairaat ki baat ye thi ki wahan khoon ka ek katra bhi nahi baha tha...sanaa ko yakeen tha ki jinnatiyo ka gussa kisi bhi darinde se kam nahi hota...zayed chahta toh woh victor ko maut ke ghaat utaar sakta tha lekin woh victor ke baarein mein janna chahti thi...jo reh reh ke ooski dil ki dhadhkan ko tez kar raha tha..oose iss baat ki hairaat thi ki victor ne aakhir aisa kyu kiyaa?

agli subah ki suraj niklaa...sanaa art institute mein kuch larkiyo se baatein kar rahi thi tabhi ooski nazar victor par pari jo ekdum normal dikh raha tha...sanaa ooske kareeb jaa rahi thi lekin woh ek pal ke liye ruk gayi oosne victor ko ghurra...victor ka chehra jo koi baat chupaa raha tha...woh sana se aankhe nahi milaa paa raha tha

sanaa waapis kadmo se dusri taraf jaane lagin...victor bhi ooske peeche jaane lagaa

sanaa- ab kya chahtey ho
victor - meri bat toh suno
sanaa - mujhe nahi pataa tha ki tum ek shaitan ho
victor - pls sanaa meri baat ek baar sun lenaa...fhir mujhse koso dur chali jaana...warna main hi tumse dur ho jaaungaa
sanaa - aakhir mujhse chahte kya ho tum?
victor - main kal raat ke liye maanfi maangna chahta hoo
sanaa - jao tumhe maaf kiyaa
victor - nahi sanaa...tumhein sach janne ka haq hai
sanaa - kaisa sach?
victor - udhar garden ke paas chalkar baatein karte hai wahan koi bhi nahi hai?

sanaa ne thodha socha aur fhir victor ke saath garden ke kone ke taraf bench ke kareeb jaane lagin...

Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #27 on: September 10, 2012, 03:40:43 AM »
Willian chaalaak lagtaa hai. Bythe way bahoot achchaa update thaa. Waiting for next......
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #28 on: September 14, 2012, 11:08:39 AM »
PEHLE TOH SABKO AADAB ITNE DINO SE NA RESPONSE DENE KI WAJAH SAAF HAI MAIN BAHUT BUSY HOO...MASOOM SHAHZASA AAPKA TEHDIL SE SHUKRIYAA JO APNE MERI KAHANI KA EK EK SHABD PADHKAR COMMENT KIYA...AB KAHANI KO AAGE BHADHANE KI IZAZAT DE...

Sanaa victor ke saath ek bench par aakar baith gayi...dono ek dusre ki aankho mein nahi jaank rahe they naa hi ek dusre se baat kar rahe they fhir victor ne hi apni chuppi todhi jiske seene par pasine ki bunde gir rahi thi

victor - i am sorry sanaa...oos raat ke liye main maanfi chahunga
sanaa - woh maanfi ke kaabil bilkul nahi hai...lekin main tumhare rag rag se waaqif hooo
victor - aakhir tum kehna kya chahti ho?
sanaa - tum oos raat darinde ban chuke they...tumhare jism se khoon ki taaza mehak aa rahi thi...tum ek darinde ho..tumne mujhe bhi maarna chaha
victor - sanaa sanaa wait haan ye sach hai ki main ek darinda hoo isi kadwi shaap ke saath main apni zindagi guzaar raha hoo...khud ke aansuyo ko kaabu karta hoo jaanti ho kyu? kyunki mujhe sirf akela hi zinda chodha
sanaa - main kuch samajh nahi paa rahi?
victor - sanaa ye 1991 ki baat hai meri maa carsilo bhoot pret aur kaala jaadu karti thi...oonki isi aadat ne haamre ghar mein kabhi khushi aur shukh nahi rehne diyaa...mere dad meri maa se jhagdhate they...maa ne promise kiya ki woh sabkuch chodh dengi...aur waadein ke mutaabik oonhone theek waisa hi kiyaa...oos manhusiyat zindagi se toh maa nikal gayi lekin ek raat

bijliya khadhak rahi thi....sabkuch dhudnla tha...mere dad ma ko lekar pahado ke dhalaan se bachte huye car ko tezi se daudha rahe they...maa pregnant thi main paida hone waala tha woh kaali raat katne ko kat nahi rahi thi...mere dad ko dur dur tak kuch nahi mil raha tha jahan woh car ko rokkar madad maang sake..aur agar car rokte toh khaayi mein car gir sakti thi

oosi dauraan woh pahad se ghane junglo mein badh gaye jahan oonhein ek sunsaan banglaa dikhaa....dad daudhte huye bangle ki taraf gaye...toh pataa chala wahan ek nun thi

mere dad oonse guzaarish karne lage ki oonki biwi pregnant hai..aur oonhe bachaa hone wala hai

nun agree nahi huyi oonko ye darr tha ki oos kaali sunsaan bangle ki shiatani roohein mujhmein kaid ho sakti thi..lekin dad ne ek naa suni aur maa ko andar le gaye....maa cheekh rahi thi bijliya khadhak rahi thi

aur fhir paida huyaa lekin maa oonki saansein mujhe bina dekhe hi ruk gayi dad ye sadma nahi jhel paaye aur woh cheekhne chillane lage...nun ne oonhe kaha ki maine tumhe pehle manaa kiyaa tha apni biwi ko yahan mat lao lekin tumne dair kar di....

jab oon dono ne mera chehra dekhaa toh khushi muskurahat ke bajaay dukh aur khauff oonke chehre par jhalak raha tha woh mujhse nafrat karne lage oonhone ek shaitan ko paida kiyaa tha...meree dad mujhe god mein lene se bhi darr rahe they woh mujhe wahan se le aaye bangle mein band rakhaa...aur ek raat oonhone mujhe ek sunsaan kuye mein fiakh diyaa...main rota toh woh bhi garjati huyi awaaz....jaise subah huyi main normal tha naa jaane kiske haath lagaa...ooonhone mujhe insaan samajhke apne saath le liya india mein oonki car accident mein maut huyi aur main convent orphanage mein jeene lagaa...aur fhir aaj itne saalo baad woh saab yaad karta hoo toh

victor bas udaas ho gaya...sanaa oospar dayaa kar rahi thi oosne apnaa haath victor ke seene par rakhaa..victor ooske gale lagkar rone laga

victor - main akelaa hoo sanaa main chahkar bhi is shaapit zindagi se nahi nikal sakta
sanaa - tum ro mat main kuch karungi tumhare liye tumhe shaitani roohoin se aazad karaungi ismein mera saath zayed degaa woh hi hai jo tumhe bachaa sakta hai
victor - i am sorry sana meri wajah se tum kaafi dukh pahucha
sanaa ne muskurakar kaha it's ok waise tum kab badalte ho
victor -  sanaa i gotta go aaahhh....
sanaa - victor victor wha what happened?
victor - nahi aahhhhh aaahhh sanaa woh cheez mujhpar chadh raha hai mujhe jaana hai buye aaahhhhhhh
sanaa - vicctorr victttorr

sanaa cheekhti reh gayi lekin victor wahan se gaayab ho chukaa tha...sanaa ko ye bhi pata tha ki zayed ko batana theek nahi rahe shayad woh victor ko jaan se hi maar daale...lekin ek wohi hai jo kuch kar sakta hai lekin zayed khud sanaa ke saddhi ke tayyario mein lagaa huyaa tha...ab sanaa ko hi kuch karna tha...
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #29 on: September 16, 2012, 10:39:48 AM »
sanaa isi soch mein dubi thi...ki woh victor ke liye kuch kar sake...lekin ooski kuch hi dino mein shaadi hone waali thi...sanaa ko kuch samajh nahi aa raha tha

sanaa - oh god ab kya karu? dad ko explain karna hai,zayed ko jawab dena hai?,victor ko shaapit shaitani zindagi se mujhe bahar nikaalna hai naa jaane kyu musibat saath mein aakar khari ho jaati hai..i don't know mujhe kya karna chahiye pehle?

sana abhi isi kashmakash mein thi ki zayed ooske peeche kharaa hokar bas oose hi ghurr raha tha...sanaa jaise piche mudhi woh ek pal ke liye darr gayi.lekin fhir zayed ke gale lag gayi

zayed - tum theek toh honaa?
sanaa - nahi zayed
zayed - kya baat hai? kya tum hamare niqaah se pareshaan ho?
sanaa - main nahi zayed it's not about our marraige..it's about victor
zayed ke sar par shikhar ki leher daud gayi

zayed - victor? oosne fhir tumhe nuksaan pahuchana chaha
sanaa - no no zayed suno woh hamari taraf hai oosne jo kiya woh ooske liye kaafi sharminda hai..but zayed tumhe pehle meri baat sunni hongi
zayed - theek hai

sana ne zayed ko victor ke baarein mein sabkuch bataa dalaa...zayed bhi dhyaan se sanaa ki baaton ko sun raha tha...fhir woh ek dumse uthkar kharaa huyaa..sanaa chup chaap zayed ko dekh rahi thi

zayed ek dum se piche mudhaa...aur oosne sanaa ki aankho mein dekhaa

sana - kya huyaa kya socha tumne?
zayed - hmm tumhari baaton par gaur karne ke baad ye toh saaf ho gaya ki woh tumhe nuksaan nahi pahucha raha tha lekin ooski is shaapit zindagi se nijaat dilwaane mein mujhe ooski shaitani roohon ko jalaana ho gaa..iske liye victor ka roop badalna zaruri hai...
sanaa - thank you so much zayed....khair tumhe ahesaas hai ki hum ek begunaah ko maasum ko shaitano se bachaa sakte hai
zayed - ye itna aasan toh nahi hai...par main ye tumhare khaatir karungaa..lekin oosse pehle mujhe ek baat batao kya tum mujhse khush ho?
sanaa - bilkul zayed
zayed - toh fhir hamari hone waali niqaah par dhyaan do...
sanaa - mujhe bhi besavri se intezzaar rahegaa zayed oos din ka jab tum aur main...ek honge

zayed - hamara pyaar ek hogaa

3 din baad....

sanaa ke dad sokar uth chuke they...tabhi oonhone awaaz di

dad - sanaa beta uth jao..subah ho gayi hai...sanaa ke dad ki nazar wahan pare ek kaagaz par pari..jisko uthaate huye oonki aankhen bhari hone lagin

woh ek kaagaz tha jismein sanaa ne apne niqaah ki baat likh di thi

dad main jaanti ho jo bhi main karne waali hoo ooske liye aap khush nahi honge shayad mujhe ghar se bhi nikaal de apni zindagi se bhi lekin mera sachca pyaar aur koi nahi zayed hai ooske bina main khush nahi reh sakti...aur woh mujhe hamesha khush rakhegaa...oosne mujhse waada kiya hai ki hamari shaadi ke baad woh aapka ek accha daamad aur ek aam insaan bankar hi duniya emin jiyega aaj aap ka mujhe aashirwaad chahiye mere baarein mein dariyega nahi..aaj hum villa park mein shaadi karne wale hai aapka intezaar rahega...main kuch bhi aapke against nahi kar rahi hoo...ooske bina main mar jaungi..agar apko apni beti se pyar hai toh aap zarur aayenge..aur agar mujhse ab bhi nafrat hai toh oos kaagaz ko jalaa dijiyega..aur mujhe hamesha hamesha ke liye apni zindagi se mita dijiyega...main aur zayed aapka intezaar karenge..aapki beti sanaa [/colour]

sanaa ke dad ko bhaari sadma pahucha tha woh ek pal ke liye larkharaa gaye fhir thodhey sochte huye woh table par sar rakhkar lait gaye...
Logged
Pages: 1 [2] 3 4  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 05:44:48 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.25 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer