dark love - pyaar ki daastan { 2}

by asif biswas on August 14, 2011, 10:21:44 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 24200 times)
asif biswas
Guest
                     DARK LOVE 2
                LOVE NEVER ENDS

Hello friends fhir ek baar haazzir hoo ek nayi kahani ke sath jiska naam hai dark love 2 pichli baar aapne padhaa ki kaise sanaa ki zindagi mein ek aise shaks aaya jo ki insaan nahi tha fhir bhi sanaa ne oose apni mohabbat banaa liya aur dono hamesha ke liye ek ho gaye

 Wo ab bhi ek saath they

Sanaaa aur zayed ek dusre ke baahon mein laitey huye they sanaa zayed yaad hai kit um aur main kaise miley they zayed ne kaha haa yaad hai lekin maine kabhi socha nahi tha ki hum ek ho paayenge tumhare dad ko ab tak meri sacchai ka pata nahi hai aur main nahi chahta ki unhe ye sunkar

Sanaa ne zayed ko hontho par ungli rakhi aur kaha ssshhhhh bas aur kuch nahi bolo hum dono ek dusre ke liye hi bane hai main nahi chahti kit um kya ho par jo bhi mere ho tum mujhse mohabbat karte ho aur agar tum jaisa chiz agar mohabbat kar sakta hai to wo buri cheez nahi hai

Zayed ne kaha manta hoo sanaa lekin hum dono ka pyaar shayad hi is duniya mein koi manzur karega lekin mujhe darr hai ki kahin wo aa gaye to hamara pyaar yahin ruk naa jaaye sanaa ne kaha kya matlab hai tumhara zayed tum kya baat keh rahe ho?

Zayed ne kaha maine tumse ek baat chupaayi hai aur wo baat ye hai ki mere parents bhi hai

Snaaa ne kaha kya tumhare parents ?

Zayed ne kaha haa jis tarah tum insaano ki duniya mein insaano ke maa baap hotey hai waise hi hamarey baap maa bhi hotey hai lekin agar unko ye pata chal gaya ki main ek insaan se pyaar karta hoo to wo humhe judaa kar sakte hai yahan tak tumhe chot pahucha bhi sakte hai

Sanaa ne kaha nahi zayed main tumse alag nahi hona chahti tum to meri zindagi ho tumhare bagair ye sanaa adhuri hai tum chahe mujhe jo sazaa de do lekin main tumse durr nahi hona chahti maine tumme apnaa pyaar dhundh liya hai zayed ne kaha theek hai main apne maa baap baat karta hoo

Dekhta hoo ki wo kya kehte hai

Sanaa ki aankho mein aansu they aur oose palbhar bhi nahi lagaa zayed ke baahon mein gir jaane mein

Zayed ka chehra ekdum laal kisi cheez ko tassavar kar raha tha

Kuch hi duri mein do shaks is duniya mein utare aur idhar udhar dekhne lage

Ek ne kaha toh ye hai insaani duniya jahan hamara ab basera hoga lekin hum apne betey zayed ko kaise dhundhenge

Dusra shaks muskurate huye – tum ye bhul gayi amimaa ki ye jagah waaqayi insaano ki hi hai yahan hum bhi rehte hai oose dhundhne mein zyada der nahi lagegi

Sanaa aur zayed haatho mein haath dale chal rahe they tabhi zayed ne kaha lo tumhara hostel aa gaya tum jao sanaa main tumse shaam ko milta hoo

Sanaa ne kaha kya zindagi hai hamari hum saath hotey huye bhi alag hai tum alag jahan rehte ho aur main bhi

Zayed ne kaha jahan main rehta hoo wahan koi nahi rehta tum yahan surakshit ho main ek jin hoo aur hamare zindagi mein bahut tufaane aa sakti hai isliye pls jao thodha aaram karo

Sanaa ne zayed ko kiss kiya tabhi saamne se ek larki ne chillakar kaha c’mon sanaa wahan kya kar rahi ho?

Sanaa ne kaha wo main aur jaise hi sanaa piche mudi wahan dhuye hi dhuye they sanaa jaanti thi ki zayed gayab hokar jaa chukaa hai

Udhar zaayed apne hostel pahuch chukaa tha aur chatt par khaddhaa tha tabhi tez hawaaye chalne lagi aur zayed piche mudhke dekhne lagaa

Zayed ne kaha aaap log yahan kya kar rahe hai ?

Aminnaa – tumhe dekhne aaye hai beta tum hamari duniya se dur insaano ki duniya mein reh rahe ho jaante huye bhi kisi ko kaano khan shak ho gayi to kya ho sakta hai

Zayed – nahi ammi main ab us duniya mein nahi hoo aur ye duniya mujhe pasand hai aap ho sake to mujhe yahan rehne de

Mr khan – kaise rehne de tumhe yahan

Zayed ne piche palatkar dekha aap abbu salaawalekum
Zayed ke abbu – waalekum assalaam tum yahan khush ho tumhe aisa lagta hai kyunki mujhe dikh raha hai ki tumhari aankhon mein kahin ka kahin ek zazbaat tumme tumhe kisi se mohabbat ho gayi hai

Zayed ne kaha aap ye baat to jaante hai hi to fhir puchna kaisa

Zayed ke abbu – puchna kaisa tumhe lagta hai ki ye theek hai insaan se pyaar karna tum kya kar rahe ho tumhe pata hai tumhe zara sa bhi samajhte ho tum humhe musibat mein daaal rahe ho

Aur agar tumne oose pyaar kiya hai to tum ye baat acchi tarah jaante ho ki hum apne pyaar ko hamesha ke liye apnaa banaa lete hai

Zayed – nahin nahin main aisa nahi kar sakta sanaa ke papa oose kho dena nahi chahenge sanaa ek insaan hai ooske jeene ka haq hai aur wo haq main chinke ooski zindagi nahi le sakta main jaanta hoo kisi na kisi din wo meri zaroor ban jaayegi lekin tab tak ke liye main ooske saath rehna chahta hoo

Ooski raksha karna chahta hoo pls aap meri baat ko maan li jiye aapse main guzaarish karta hoo

Zayed ke abbu thodha sochne ke baad bole theek hai lekin main tumhe itna nahi kahunga ki agar ye baat hamare sardaar ko pata chali to shayad tum musibat mein aa jaaoge
Fhir tum hi unhe jawaab dena lekin oosse pehle main sanaa se milna chahunga

Zayed ne khush hokar kaha main aapse oose zaroor milwaunga

Aur fhir teeno dhuye mein udh se gaye


         Ye kahani aapko kaisi lag rahi hai kyunki aage is kahani mein kaafi modd aayenge and it’s my promise that I will send updates as possible as soon tab tak ke liye mujhe vidha dijiye

Khuda hafiz and bye
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Let me live even in the dark by vivekanandjha in Share:English Poetry about Pain
dark love - pyaar ki daastan by asif biswas in Inspirational Stories and real life Incidences.
DARK LOVE 3 - PYAAR KI AAKHRI JUNG... by asif biswas in General Stories « 1 2 3 4  All »
Dark Love Story Part-4 ( ek nayi suruwaat ) by anjali kapoor in General Stories « 1 2  All »
dark love story ( ek nayi suruwaat ) by princess anjali in General Stories « 1 2  All »
asif biswas
Guest
«Reply #1 on: August 15, 2011, 10:32:18 AM »
         Agle din sanaa jungle mein thi aur zayed ko awaaze lagaa rahi thi wo jaanti thi ki ek yahin jagah hai jahan zayed hota hai lekin zayed yahan tha nahi

Sanaa – zayed zayeddddd where are you??

Zayed where are you ?

Tabhi sanaa ko jhil se awaaz aayi

Sanaa daudhte huye jhil ke paas gayi jahan wahan oosne zayed ko nahate huye dekha

Zayed paani se nikalkar gile badan bahar aaya

Sanaa ne kaha itni thand mein tum yahan naha rahe ho

Zayed ne kaha kyu hum naha nahi sakte hum bhi insaano ki tarah wo sab karte hai jo har insaan apni roz marha ki zindagi mein karte hai anyways you wanaa join me

Sanaa ne kaha no main to insaan hoo aur agar itni thand mein aise yahan nahaaoo to main bimaar pad jaungi zayed hasne lagaa

Sanaa ne kaha – kyu has rahe ho ?

Zayed muskurate huye – isliye ki tum sab kuch jaante huye bhi mere saath ho yahin wahan hai arre hai baton baton mein ye kehna bhool gaya ki mere maa baap tumse milna chahte hai

Sanaa ek dum se hairaani se dekhne lagi

Zayed ne kaha darro nahi wo khatarnak nahi hai meri tarah hai wo sirf tumhe dekhna chahte hai aur agar unhe pasand aayi tobahut accha hoga aur waise bhi kuch logo se milaana zaroori hai

Sanaa ne kaha agar wo hamare pyaar ko except nahi kare toh

Zayed ne kaha aisa bilkul nahi hoga main hoo naa tumhare saath wo aisa kabhi nahi karenge trust me

Sanaa ne kaha umeed hai aisa hi ho

Sanaa aur zayed ek dusre ki aankho mein jhaank rahe they aur dono ke chehre ek dusre ke kareeb they tabhi
Zayed ne ekdum se saamne ki or dekha

Sanaa ne kaha kya zayed tum kya baat hai ??

Zayed ne kaha humhe yahan se nikalna chahiye ye jagah theek nahi hai is waqt

Sanaa isse pehle kuch samajh paati dhuye se udhaa le gaya zayed sanaa ko

Sanaa aur zayed university ke café mein they sanaa ne kaha baat kya hai

Tum subah se kaafi chup ho

Zayed ne kaha nahin sanaa maine tumse ek baat kaha tha ki hamara pyaar kabhi ek dusre se nahi mil sakta main tumse isi wajah se dur rehta tha

Sanaa ne kaha kya bol rahe ho ? maanti hoo hum hamesha musibat se jhunje hai tumhari khabar yahan tak ki mere dosto mein bhi fail gayi thi aur isi wajah se wo tumse darker dur rehne lage lekin maine unki parwaah kiye bagair tumhare saath rahi kya yeh tumhare liye acccha nahii hai kyat um ye baat swikaar nahi karte

Zayed ne kaha haa main tumse dur nahi reh sakta main tumhare bagair jee bhi nahi sakta lekin un logo ke hote huye main tumhe fhir ek baar khatre mein nahi daal sakta

Sanaa ne kaha to fhir wo log hai kaun ??

Wo darindey hai wo kale jin hai jo ki kisi cheez par wishwas nahi karte wo jaanwar banke ghumte hai jaise in black dogs wo tumhe follow karenge aur main ye bhi jaanta hoo wo log ek jin ki khushi bardaasht nahi karenge wo hamare kaum ke nahi hai unka sirf ek hi maksad duniya mein apna raj chalana unhe hamare kaum se sakt duri banaye rakhi hai lekin jab unhe ye baat pataa chali ki maine insaan se pyaar kiya hai wo tab se hamare piche lag gaye hai aur main jaanta hoo wo yahan akele nahi aaye hai unke saath aur koi bhi hai

Sanaa ne kaha agar hamara pyaar saccha hoga to hum in mushkilo se bhi aage badhenge aur unhe nikaal ke failk denge lekin main ye nahi samajh paa rahi ki aakhir in sab ke piche hai kaun Huh?

Zayed ne kaha main jaanta hoo wo kaun hai wo jald hi saamne aa jaayega



Udhar zayed ke parents apne haveli mein they aur shayad yakeenan oosi musibat ke bare mein soch rahe they

Aminaa – aapko kya lagta hai ki wo waapis kyu aaye honge

Zayed ke abbu – main jaanta hoo zayed ki is ghustakhi se unhe mauka mil gaya hai apna badla lene ka wo haamri purani laraai ka badla aise le rahe hai tabhi maine zayed ko manaa kiya tha ki wo insaano se dur rahe lekin uske pyaar ne zayed ke saath saath us larki sanaa ko bhi musibat mein daal diya hai ab wo chahhe to kabhi bhi us par hamla kar sakte hai wo sirf zayed ka pyaar china chahenge

Aminaa – lekin wo yahan itne dur is desh mein kyu aaye unhekisne bataya hoga

Zayed ke abbu – haa main jaanta hoo unhe yahan itne dur kisne bulaya hoga kyunki ye khatre ki ghanti saabit ho rahi hai jo aage chalkar koi bari si tufaan ko laa rahi hai aur main jaanta hoo ki zayed ki ye khabar kisne untak pahuchaaayi lekin wo bhi zaroor aayega jald hi aayega aur shayad wo kahin jeet naaa jaaye main aaj hi apne sardaar ko iktilhaa kar deta hoo is khatre ke bare mein

Aminnaaa – lekin unhe ye nahi pata hai ki zayed ek insaan se pyaar kar baitha hai

Zayed ke abbu – haa main ye baat jaanta hoo

Zayed ke abbu ek khusbhu ko mehsus kiya aur kaha insaan aa raha hai zayed ke saath ye zaroor sanaa hongi humhe oosse milne ke liye tayaar ho jaana chahiye


Zayed sanaa ko ek khubsurat si haveli ke paas le gaya aur kaha ye hai wo jagah sanaa ne kaha wow bahut khubsrurat jagah kyat um log yahin rehte ho

Zayed ne kaha haan chalo aao andar

Andar badi si do kursiyo par do shaks baithey they

Sanaa unsey thodhi ghabra gayi lekin unkey baton se wo unsey jaldi baatein karne lagi

Kuch der discussion ke baad zayed ki maa ne kaha bahut acchi ho humhe apni zayed ki pasand par naaz hai ye to tum bhi jaanti ho ki hum kaun hai

Sanaa ne kaha nahi aap jo bhi hai oosse kahin badhkar mere liye hai main zayed ke sath ghumti hoo to mujhe koi darr nahi balki lagta hai mere saath koi hai

Sanaa ki baton se zayed jald hi khush ho gaya zayed ke abbu oosse kaafi khush lag rahe they ki tabhi zayed ke abbu ne kaha ab hum yahin rahenge aur tum jab chaho humse mil sakti ho

Sanaa kaafi khush thi aur zayed ka wo anchaha darr ab mit chukka tha sanaa ne kaha ab aap mujhe vida dijiye zayed ke parents ne oose kaha jao beta

Zayed sanaa ko chodhne gaya

Zayed ko zzayed ke abbu ne kaha humhe tumhari pyaar manzur hai basharte hai wo bhi yahin chahe

Zayed ne kaha haa wo bhi mujhe chahti hai

Zayed kaafi khush tha is baat se lekin shayad unki khushiyo mein fhir kisi ki nazar lagne waali thi


Sagar kinaare ek shaks paani se bahar niklaa uski ek cheekho ke saath pura vaatravaran maano khauf se bhaar gaya wo idhar udhar dekhne lagaa aur chillaane chillane laga uski bhayanak awaaz se maano kisi ka bhi dil kaanp jaata aakhir ye shaks hai kaun aur ye is duniya mein kyu aaya hai ye koi insaan nahi to kaun hai jo is duniya mein aaya hai kahi nyahin to zayed aur sanaa ki hassi khushi zindagi ko ek shamshaan banane to nahi aaya jaane ke liye padhe dark love ki aage ki post

                    To be continued ………......
Logged
SkykiTears
Guest
«Reply #2 on: August 15, 2011, 01:28:19 PM »
woww nice asif biswa ji.. agle post ki wait kar rahi huun  happy3 happy3

-SKY-
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #3 on: August 16, 2011, 11:02:32 AM »
              Wo ek jin tha aur apni thhaako se haskar idhar udhar dekh raha uske zehan mein sirf ek cheez thi kisi ki di huye zakhm uske andar nafrat thi wo gusse mein tha

Wo koi aur nahi wo waheshi tha jiske aane kaa awhaas shayad zayed aur uske ammi abbu ko ho gaya tha

Waheshi – hahahahaha insaani duniyaa aakhir main aa hi gaya dekhne fhir se lekin jo mere saath hua uska main zindagi bhar nahi bhula zayaaaayyyeeedddd kahan hai tu jahan pe bhi hai ye jaan le tu bach nahi paayega tu nahi bach paayega main tujhe pyaar karne nahi dunga tera pyar tujhse cheen lunga

Waheshi fhir wohi tassavar mein chala gaya jahan oose kadi dand mili thi

Main to sirf larkiyo ko raja ke liye uthata tha unka hukam manta tha badle mein mujhe milti thi wo khubsurat haseen shezaadiyo waali husn-e-malika unhe sammohit kar unka khoon peene mein jo mazaa th wo kisi mein nahin tha aaaahhh aaj bhi wo yaad aata hai to kaise lagta hai

Lekin ye baat mere kaum ko pata chal gayi unhone mujhe kaum se nikaal diya ki main shaitan ban chukaa tha aur usme shaamil tha zayed bhi mera apna khaala ka larka lekin wo bhi sabkuch jaante huye oosne bhi mere khilaaf bagawat kari aur fhir sardaar ne mujhe apne giroh aur apne kaum se alag kiya maine gusse mein aakar nuksaan pahuchana chaha to unhone mujhe botal mein band kar samundar mein faikh diya jis wajah se aaj bhi main oos din ko kosta hoo jab maine oonhe maana aaaaaaaaaaaaahhhhh mere 1000 saal mujhse chine main oos botal mein band raha aur fhir tabhi kisi shaitan ke farishte ne mujhe jagaya aur wo aur koi nahi khud shaitan darinday they hahahahahaha jo ki hamare kaum ke dushman hai maine unse haath milaa liyaa aur unhe hi manne lagaa hahaa aur aaj jab main is insaani duniya mein hoo to ab mazaa dugna hogaaaa lekin oosse pehle mujeh apne dosto ko bulanaa hai

Junglo mein jaakar waheshi apni darindagi ki bhari swar mein chillane lagaa aaaaaaahhhhh aaaaaaahhhh aaaaaaaaaaaahhhhhhhhhh hahahahahahaha kahan ho mere dosto bahar aao mujhe tum sabki zaroorat hai

Waheshi ne khaufnaak ke saath bhediyo ke awwaz mein unhe bulaya aaaaaaaaaaaaoooooooooooooooo aaaaaaaaaaaaaaooooooooooooooooooooooooo aaaoooooooooooooooooooooooooooooooooooo

Saamne se kale bhediye dikhne lage waheshi ke hontho par muskurahat thi aur kaha hahahaha shaabash main jaanta tha tum log aaoge mere pyaare saathiyo ab ek nayi jung ka elaan ho gaya hai jisme khatam hone teen jin zayed uske ammi aur abbu uske baad hum is duniya par raj karne ke liye har kisi ko apna shikaar banaayenge jahahahahahahaha
 
Humari kaum mein hum kisi ko nahi maante hum nastik ai sirf shaitan hi hamara khuda hai hahahahahhaa

Waheshi ne kaha ab tum log jao main tumhe waqt mein bulaunga unke jaate hi waheshi fhir se kisi ki aahat mehsus karne lagaaa wo aur kisi ki nahi balki ek larki kit hi


Waeshi ke hontho par muskurat chaaa gayi hahahahaha itne saalo baad aakhir fhir mujhe ek aur shikaar ki zaroorat thi jo mil gayi waheshi turant piche lapka


Udhar se gungunaati huyi larki jaa rahi thi tabhi piche se oose kisi ki aahat lagi oosne piche mudhkar dekha wahan koi nahi thaw o fhirse piche mudhkar dekhne lagi

Lekin fhir oose kisi ki aahat lagi aur jaise hi wo piche mudi saamne se ek azib shaks ko dekh wo darr si gayi

Uski munh se cheekh nikal gayi aaaaaaaaahhhhhh

Waheshi ne oose kaskar pakda aur kaha ssssshhhhh darro nahi main to sirf tumse khelna chahta hoo waaah tumhari khushbu mujhe diwaana banaa rahi hai tumhari ye haseen khubsurat chehra

Aaaaahhh mujhe tumhara diwaana banaa raha hai

Waheshi ne oose thaam liyaa aur ooske sharer ko sokhne lagaa larki ki aankhn band ho gayi aur kuch der baad waheshi ne ek laash ko apne bazzuo se phaika aur wo khub hassaa maano oose kitna mazaa aaya ho waheshi ne kaha ab bas mujhe ab untak pahuchna hai uske baad sanaa ki baari hogi hahahahaha sanaaaaaa main aaaa raha hoooooooooo hahahahahahahaha


Idhar zayed ki ammi ek dum se chair se uthi auur unke munh se nikla hye allaah ye kya ho gaya

Zayed ke abbu ne kaha kya hua kya dekha tumne

Zayed ki ammi ab wo aa gaya hai waheshi dobara aa gaya hai is desh mein sirf humhe dhundhne

Zayed ke abbu jaanta hoo tum fikar mat karo wo humhe kuch nahi kar sakta ooski jaaduyi aur darindagi sirf insaano ko nuksaan pahucha sakti hai oosne itne saal botal mein band rehkar koi pachtawa nahi raha aur ab wo apni bhediye ki fauj ko bhi saath laaya hai sirf aur sirf humhe khatam karne ke liye tum intezaar karo

Zayed ki ammi tension mein thi

Udhar zayed ko abhaas ho chukaa tha ki waheshi waapis aa chukaa hai

Zayed ne sanaa se kaha sanaa khatra badh gaya hai jis baat ka darr tha wo ab aa chukaa hai kya tum ab bhi chahti ho mere saath rehna kyunki ab kuch bhi ho sakta hai

Sanaa ne kaha kya keh rahe ho main kuch samajh nahi paa rahi zayed tum hua kya

Zayed ne kaha maine tumhe jis khatre ke bare mein bataya tha wo aa raha hai shayad humari zindagi ko dobara tabaah karne

Zayed ne sanaa ko jaldi se car mein baithakar wahan se le gaya

Zayed aur sanaa car mein they zayed ne kaha suno sanaa tum raat ko kahin mat jaana aur haan ek baat aur jitna ho sake ghar mein rehna main tumhe kisi laaprvaahi mein dekhna nahi chahta and I am sure ki tum bhi us baat par amal karogi

Sanaa ne kaha haa zayed karungi lekin mujhse ek waada karo ki kabhi tum mujhse dur jaane ki baat mat karna aur naa hi mujhe apne se alag hone dena chahe tufaan kitna bhi badhha kyu naa ho ek na ek din wo thamta hai is musibat ki ghari mein agar main tumhare saath hoo to isse fakr ki baat kuch nahi ho sakti

Zayed ne kaha kaash ye sab naa hotaaa

Sanaa ki aankho mein aansu they aur wo muskurayi

Udhar police ki lambi chaudi bheed lagi thi investigate kar rahe they mr sant Jacob

Police ki taftish mein news channel waalo ne kaha ye khoon kaise hua hai humhe aapke explanation chahiye we want explanation

Mr sant gusse mein bole – silence silence pls agar aap log aise hi hamare taftish mein adangal daalenge to hum taftish puri tarike se nahi kar paayenge haa main jaanta hoo khoon bahut berrehmi se kiya hai aap sabko hidayat ki jabtak humhe khooni ko pakadne ki kaamyaabi nahi mil jaati aap sab pls thodha wait kare aur main is sheher ke baaki logo ko hidaayat dunga ki pls jitna ho sake jungle se naa guzre because now this jungle is unsafe ya kisi jungle jaanwar ka ye kaam ho sakta hai pls pls leave us


Mr sant ke sir par pasina tha aur wo bhi tension mein they

Zayed ki ammi ne kaha jis baat ka darr tha wohi hua us shaitan ne aate hi apna asar dikhana shuru kar diya hai wo maasum insaano ko maar raha hai

Zayed ke abbu ne kaha haa uski yahin to dili khwahish hai wo is waqt kamzor hai oose un larkiyo ki zarurat hai jo uski pyaas bhujaa sake aur main ye bhi jaantta hoo ki wo humse zaroor milega par sahi waqt aane par

Zayed ki aami ne kaha aap sahi hai

  Zayed sanaa ko khub hifazat kar raha tha
 Sanaa bhi is naye khauf se anjaan thi
Waheshi ka agla aantank kya hoga ye to aage pata chalega

Tab tak ke liye wait for my next post and thanks for comment mujhe aap se ummed hai ki kahani aapko accchi lagegi

               To be continued………………..



Logged
asif biswas
Guest
«Reply #4 on: August 17, 2011, 11:05:04 AM »
Hello friends kahani shuru karne se pehle main sabko ye kehna chahta hoo ki dark love 2 story ek romatic love thriller hai jisme kuch modd aise hai jahan romance thodha zyada hai
Real shayari administrator ne mujhse guzaarish ki  hai is liye main is story mein kam romantic scenes rakkhunga and I hope ki administrator ko meri kahani mein kuch buraa naa lage agar aap readers kisi ko bhi meri kahani mein koi ab tak problem lagi ho pls tell me I can sort out it .

Thank you

Asif 

Sanaa ghar mein thi aur zayed ke bare mein soch rahi thi zayed ne oose hamesha musibat se bachaya tha lekin unka pyaar koi except nahi kar sakta ye baat sanaa acche se jaanti thi

Sanaa – naa jaane ek ajib sa darr lag raha hai kyu main itna insecure feel kar rahi hoo aakhir zayed ko khone ka darr mujhe kyu lag raha hai

Sanaa ki friend bagal mein soyi huyi thi aur usne kaha kya hua sanaa why are you not sleeping?

Sanaa ne kaha sorry yaar but neend aankho se gayab hai

Sanaa ki friend ne kaha oh c’mon tumhari wajah se lamp jal raha hai and I am totally unable to sleep

So just switch off the lamps and pls try to concentrate on your sleep ok goodnight

Sanaa ne kaha haa theeek hai sorry goodnight sanaa bhi sone ki koshish karne lagi

Udhar waheshi ek khandhar mein ghus gaya aur wahan wo sochne lagaa

Aakhir main sanaa ko sunghte huye pehchaan sakta hoo lekin sanaa hongi kahan uske liye mujhe mere saathiyo ki madad leni hogi jo oose dhundh sake lekin oosse pehle mujhe apne ristedaaro se milna hoga hahahahahaa


Udhar zayed ko wo khabar sunne mein der nahi lagi

Zayed ne kaha main jaanta tha wo yahan aakar kuch na kuch zaroor karega aur wo kar raha hai usne apna pehla shikaar banaa liya main nahi chahta ki wo sanaa ke paas pahuch jaaye mujhe oose rokna hoga lekin kaise ?

Zayed ke abbu ne kaha tehro hum oose dhundh sakte hai par wo ab zyada taqatwar wo ek shaitan ban chukaa hai aur yakeenan wo isme akela nahi uski darindey ki fauj bhi ooske saath hai jo har waqt oose sandesha dete hai tum waheshi ki fikar chodh do oose hum sambhaal lenge tum sirf sanaa ka khyaal rakho oose kahin mat jaane do lekin agar ye baat hamare sardaar ko pata chal gayi to yakeenan hum sab ko iski sazaa mil sakti hai jaisa main keh raha hoo waisa hi karo

Udhar sanaa abhi soyi huyi thi ki ooski friend ne aakar kaha hey sanaa wakeup wakeup sanaa pata hai bahut badi khabar hai kisi ne ek larki ka khoon kar diya jungle mein and you know what wo koi jaanwar hai naa ki insaan

Sanaa ne kaha what ? kya keh rahi ho but kisne

Sanaa ki friend ne kaha koi jungle jaanwar kaa naam diya jaa raha hai ab main ye nahi jaanti ki wo kaun hai lekin jo bhi hai bahut khatarnak hai oosne larki ko bari berehmi se maar daala uska khoon pee liya sounds like vampire right ?

Ab to aur bhi bhayanak ho gaya vampire in uk wow kitna mast title hai naa

Sanaa gusse mein boli – shut up tum kya keh rahi ho kisi ki jaan chali gayi aur tumhe fun lag raha hai you know what tumpagal ho gayi ho

Sanaa ne socha oh no ye fhir se yaaani jo zayed mujhe keh raha tha oos khatre ke bare mein wo aa gaya but ye hai kaun?

Kahin ye zayed aur mujhe ? oh no mujhe zayed se milna hogaa

Sanaa palbhar mein bed se utarkar hostel se nikal gayi

Udhar zayed ekdum se sanaa ke saamne aa gaya aur kaha oh sanaa hua kya tum itni darri huyi kyu ho ?

Sanaa ne kaha I don’t know zayed but jab maine ye news suni to main darr gayi kisi jaanwar ne ek larki ka khoon oh my god

 Kya yeh

Zayed ne sanaa ki hontho par haath rakhaa aur sssshhhh sanaa calm down kuch nahi hoga mujhpar wishwas rakho main hoo naa tumhare saath main tumse pehle kaha tha ki hamare pyaar ki jung mein aise bahut musibaten hai tum mere saath raho yahin sabse badi fakar ki baat hai

Sanaa aur zayed ek dusre ki aankho mein jhaank rahe they sanaa ne zayed ko apni baahon mein le liya

Tabhi  bhediyo ki awwazo se sanaa ka dil dehel gayaa

Sanaa ne kaha yeh yeh awaaze kaisi kisi bhediye ki

Zayed ko samajhne mein deri naa lagi aur zayed ne kaha oh no ye yahan bhi aa gaye inhone agar tumhe sungh liya to tum khatre mein padd jaogi mera haath thaaamo aur ek hi sharan mein zayed aur sanaa wahan se palbhar mein gayab ho gaye

Aur dusre hi pal sanaa aur zayed ek pahad par aa gaye

Sanaa ne kaha thanks zayed tumne bachaa liyaa

Zayed ne kaha abhi nahin ab khatra bahut badh gaya hai zaroor ye kaam ooska hai tum jitna inse dur rahogi utna hi accha chalo main tumhe ghar pahucha doo wahan tum surakshit ho tum aaj college mat jaaana you know what I mean


Sanaa ne kaha alright sanaa aur zayed wahan se bhi palbhar mein gayab ho gaye


Udhar waheshi ke paas ek bhediyaa aaaya aur oose zyada derr naa lagi apne asli roop mein aane mein

Waheshi humne oose takreeban pakad hi liya tha par wo bach nikale

Waheshi = kya bach nikale kya keh rahe ho tum ? kya tumne oos sanaa ko bhi nahi dekh paaye

Us darindey ne kaha nahi waheshi

Waheshi ne kaha aaaahhhh meri badkismati lekin hum jald hi unhe pakdenge aur naa pakdenge unhe khatam bhi kar denge tum unke piche raho apne saathiyo ko bhej do aaj raat tak mujhe ooske bare mein pata lag jaana chahiya samjhe tum

Waheshi gusse mein tha ooski aankhen bataa rahi thi





Udhar sant Jacobs ka dimaag thankaa jaa raha tha ki aakhir is larki ke khoon ke piche kiska haath ho sakta hai

Sant Jacobs ke paas turant hi commissioner ki car ruki aur usne kaha to sheriff sant Jacobs aapko pata chala ki khooni kaun hai

Sant Jacobs ne tang aakar kaha sir wohi toh jaanne ki koshish kar raha hoo ab tak koi report nahi aayi waise bhi Manchester mein aisi vaardaatein to ghat ti hi rehti hai aapko aisa nahi lagta ki in sab ke piche koi khooni ho

Commissioner ne cigar jalate huye kaha ho sakta hai waise bhi hamare sheher mein kaafi aise cases aa chuke hai aur khooni bhi aise sanki pagal ho sakte hai but mere khyaal se ye kisi jaanwar ka kaam ho sakta hai isn’t it ?

Sant Jacobs ne sochte huye kaha alright sir main fhir se us jungle mein taftish karunga acchanak aise khoon ho jaana jaanwar ekdum se jungle mein aana it’s so freak

But jaise hi mujhe oos jaanwar ke bare mein pata chalega I will call you sir

Commsioner ne kaha I wish tumhe jald hi pata chale

Sant Jacobs ke paas ek file laake rakhi

Forensic lab doctor – hello sir aap kaafi pareshaan lag rahe hai

Sant Jacobs – haa ho bhi kyu naa aisa case haath lagaa hai sir aapse janna chahta tha ki larki ka khoon kis  tarah hua hai

Doctor ne kaha sir main bhi ek dum se chilla utha jab maine ye file padhi aap khudhi dekhiye

Sant Jacobs ne file padhkar sidhe table par rakh di aur kaha iska matlab larki ke andar ka khoon kam hota chala gaya aur wo ekdum se mar gayi pili padhkar ye koi bimaari hai

Doctor ne kaha nahi sir it’s not a disease ye main bhi prashan hoo vampires kab se Manchester par aa gaye sr main aapse ek hi baat kehna chahunga ki koi jaanwar hai jiska yeh kaam warna naa chot naa ghannv ke nishaan kuch nahi milaa ye kisi jaanwar ka kaam hi ho sakta hai

You should check it again

Sant Jacobs ne kaha alright doctor thanks for helping us

Doctor – my pleasure

Doctor jaise hi darwaaje ke paas pahucha keh padaa sir ek baat kehna tha don’t mind sir meri baat ko galat mat samjhiyega kya aap paranormal cases par yakeen karte hai

Sant Jacobs ekdum se akad gaya maano ki usne kaha sun liya ho

Aur ek dum se bol padaa no it’s not be possible

Doctor ke jaane ke baad ek leher si daud gayi sant Jacobs ke sar par aakhir wo wajah hai kya jisse sant Jacobs itna pareshaani mein paddh gaya sab kuch jaanne ke liye wait for my next post ……….

                           To be continued………………..


Logged
asif biswas
Guest
«Reply #5 on: August 18, 2011, 11:54:38 AM »

Sant Jacobs ne tezi se car ko us khandhar ki or le gaya jahan pehle se hi kuch log maujud they

Sant Jacobs yakeenan sheher se koso dur aa chukaa tha aur ye baat bata rahi thi uske thar thaarate huye haath jo kaanp rahe they aur shayad yahin baat sant Jacobs ke dil mein koi anchaha darr this ant Jacobs tezi ke sath khandhar mein daakhil hua aur idhar udhar dekhne lagaa jahan salwar kameez pehne kaafi log they

Sant Jacobs ne ek aadmi ke paas jaakar kaha mujhe al-qureshi se baat karni hai wo kahan hai

Us aadmi ne apne piche hokar ek taraf ishaara kiya jahan sant Jacobs jhat se jaane lagaa maano kitna sarv naa ho usme

Wo ek drwaje kholkar andar chalaa gaya wahan baithey they al-qureshi

Sant Jacobs ne apne shoes utaare aur unke paas jaakar baith gaya

Unki lambi daadhi aur sar par pagdi ki tarah bandhi topi is baat ka sabut thi ki wo koi mulana sahib hi they

Sant Jacobs ne kaha asslawalekum qureshi ji

Al-qureshi ne apni aankhen kholi aur kaha waalekumassalam kaho yahan ab kis sawaal ke liye aaye ho ?

Isse pehle sant Jacobs kuch bol paata

Al-qureshi ne muskurkar kaha haa jaanta hoo phir wohi sawaal ek aur rehesmaya baat jisne tumhe jhinjhod ke rakh diya aur main jaanta hoo ye baat koi choti nahi hai tum oosse dur kyu nahi rehte

Sant Jacobs ne kahaa main aappar atut wishwas karta hoo aap ne meri bahut madad ki hai bas main is case ko leke thodha pareshaan hoo kyunki isse pehle jo mere saath beeti usne mujhe mazbur kar diya aisi baton par believe karne ke liye

Meri biwi Martha jo mere liye sabse aziz thi mujhse chin gayi kyunki oose mujhse cheen liya gaya us raat wahan jo bhi hua usne meri zindagi ko khatam kar diya

Mujeh apne hi bete ko us andhere kuye mein faikna padaa kyunki ooski wajah se meri biwi ki maut ho gayi thi

Al-qureshi ne kaha jo tumne kiya wo maafi ke laayak bhi nahi hai lekin sach baat to yeh hai ki tumhari biwi ke upar ek kaala saaya mandra raha tha maine hi tumhe hidaayat di ki oos bachche ko apna naam de do lekin tumne oose thukraya kyunki wo shaitan tha par uske andar ka dil tabhi insaan tha

Aur tum soch rahe ho ki ye case bhi oosi se judaa hua hai to tum galat ho main isme tumhari koi khass madad nahi kar sakta

Sant Jacobs ne kaha aisa mat kahiye main aapse winti karta hoo jo kuch mere saath hua oose bhul jaaiye bas main is case ke bare mein ?

Al – qureshi – sunaa nahi tumne humhe kya kaha humhe iss baat se judii koi baat nahi karni tum yuhi apna waqt yahan zaaya kar rahe ho tum khud ek police waale ho aur main yahan koi jyotish ya raahi nahi baitha main sirf unhi ki madad karta hoo  jinka iraada pak saaf hai tum jaise kale dil waalo ki nahin

Sant Jacobs ne bahut vinti kahin aur rote huye kaha main jaanta hoo maine theek nahi kiya woe k shaitan tha isliye oose faikh daala chahe wo meri Martha aakhri nishaani bhi kyu naa thi lekin main kar bhi kya sakta tha martha ke maut ne mujhe jhinjhod diya aur sadme mein aakar main aisa kadam uthaya aap meri baat ko maaniye main aapse request karta hoo ki pls aap mujhe sacchai bata dijiye

Al-qureshi ne haskar kaha  chalo theek hai lekin agar iske baat tum yahan aaye to main tumse katayi nahi milunga

Sant Jacobs ne kaha theek hai

Unhone jhat se apni aankhen band ki aur thodhe der mein bataa diya ki ye koi jaanwar kaa kaam nahi us larki ka khoon kisi jaanwar ne nahi balki bure jin ne kiya hai

Tum sirf samajhte ho ki duniya mein shiatan hi hai nahi wo alag alag shakal mein hai insaan mein jino mein aur jaanwaro mein keh nahi sakte ki wo kab kismet aa jaaye

Sirf jaanwar mein hi nahi balki wo jino mein bhi hai tum oose chhu bhhi nahi sakte wo tumhe ek jhatke mein khatam kar denge behtar isi mein hai ki unke raaste mein mat aao

Sant Jacobs wahan se sochkar nikal gaya

Aakhir kaun hai wo baccha sant Jacobs ka kya kahani hai sant Jacobs ki ye sab raaz aage khulenge


Udhar zayed sanaa ke kamre mein oose sulaa raha tha zayed ko pata tha ki sanaa jis daur se guzar rahi hai oosme zayed oose kabhi bhi kho sakta hai oose bachane ka sirf ek hi raasta waheshi se dur rakhna

Zayed ke zehan mein abhi ye baat aayi hi thi ki tabhi zayed ko kisi ka ahwaas lagaa aur wo koi nahi waheshi tha jo sanaa ke hostel mein kuch hi duri par tha zayed ekdum khidhki us udhkar sidhe waheshi ke saamne aa gaya

Waheshi ki darindagi si muskhurahat saaf bata rahi thi wo kitna khatarnak hai

Saamne zayed khadha oose kudd raha tha itne mein

Waheshi ne kaha kaise ho mere bhai kya mujhe tumne bhulaa diya

Zayed ne kaha haa kyu naa bhulata tum ek zakhm se lage huye they hamari zindagi mein jo ki kitne saalo pehle khatam chukaa hai par tum dobara kya karne aaye ho ? aakhir tumhe un shaitano ne chudhaa hi diya

Waheshi ne kaha sssshhhh tameez se baat karo wo mere apne hai tum logo ne to mujhe kab ka thukhra diyaa

Tumhara abbu ammi ne mujhe bura kahaa mujhe sardaar se kehelwaakar sazaa di

Zayed ne kaha wo sazaa tumhari galti ki thi aur wo galti tumne bahut bari kit hi

Wahehsi ne kaha mujhe to aisa nahi lagta kyunki oon sazaao se badhkar jo mujhe milaa wo mere liye  ab bhi kam hai


Main ab pehle se zyada taqatwar hoo aur mujhme wo taqat hai jo naahi tumme hai

Hahahahahaha
 
Cheekho ke saath gunj rahi thi waheshi ki awaaz aur kaha tumne apni meri zindagi kharab karke mujhe jo chot pahuchayi uski sazaa tumhara kuch kho kar hi badla mera pura hoga aur wo sazaa hogi tumhare pyaar ki maut jo tumhe hai us insaan se jise tum tehdil se chahte ho

Zayed ki aankhen fhadhak gayi aur kaha oosse tum dur raho warna accha nahi hoga

Waheshi ne kaha oh itna gussa ye kaun sa accha hai ek jin ko itna gussa tabhi aata hai jab oose koi chubi huyi baat keh deta hai tumhe main sazaa naa de doo ye mere liye koi khushi ki baat nahi ho sakti 

Dekh lena hahahahahaha dekh lena hahahahahha

Aur palbhar mein gayab ho chukaa tha waheshi

Zayed ne kaha allah ka shukra hai ki ise sanaa ke yahan rehne ka mazud nahi hua lekin sanaa zyada der tak surakshit nahi hai mujhe oose in sab chizo aur bhi dur rakhna hogaa

Raat kat chuki thi aur ek nayi subah aa gayi thi

Sanaa tayyar thi aur wo university mein pahuch gayi class mein sab larke aur larki baatein kar rahe they jahan ek sit par sanaa baith gayi thi

Tabhi zayed class mein aaya aur sanaa ke bagal mein baith gaya aur kehne lagaa sanaa how you’re feeling now ?

Sanaa ne kaha accha tum theek ho

Zayed ab bhi kal raat huye waheshi ke us khaufnaak chehre aur us baton ko leke pareshaan tha

Tabhi class mein principal aaye aur kehne lagaa hello students students bhi principal ka aadesh maante huye sit par baith gaye

Principal ne kaha to jaisa ki aap log jaante hai ki aap logo ke ancient history ke teacher jo ki aapke paas nahi they so now he’s available aur wo aapko acche se guiding karrenge aaur I hope that you all students also gives him respect just like you gives all of teachers

Sab khush they naye teacher ko dekhne ke liye jab saamne wo teacher aaya jiska naam tha mr.ravi

Jo ki asal mein koi aur nahi waheshi hi tha ek bhes pehne chehre par

Zayed ki aankhen ek dum se hairaan thi uske andar aate hi

Waheshi ne zayed ko dekha aur oose muskurahat di aur fhir sanaa ko dekhne lagaa aur fhir baaki students ko bhi principal ne kaha it’s your new teacher my all students and now ab ye aapko aajse history padhaayenge

Mr ravi ne kaha hello everybody how’re you all isse smaanit baat aur mere liye kya hogi ki main aap logo ko padhunga khaas karke yahan ke kuch special students ko bhi waheshi ki aankhen zayed ko ghur rahi thi aur zayed oose badi gusse se ghur raha tha

Tabhi principal ke jaane ke baad mr ravi ne sabse unka naam pucha aur fhir sanaa ka bhi aur fhir zayed ka bhi

Zayed oose badi gusse se dekh raha tha

Waheshi ne kaha to students aaj hum ancient history mein padhenge kuch supernatural creatures waise hum raja rajwaade ke bare mein kaafi padhte hai but it’s most interestful than boring histories

I will tell you the story of a powerful djin

Ek samay ki baat hai djinns

Tabhi ek student ne kaha sar hum itne jaldi in sab pe discuss kyu kar rahe hai aapne to hamare syllabus ke bare mein bhi abhi nahi piucha

Waheshi – haskar kaha darasal jis cheez ko nazdik aur baariki se dekhe oose utna hi wo jaldi samajh mein aata hai waise hi padhai ke madhayam se agar hum ye saare sawaalo ke jawab mehez kitaabo ko padhke hi nikaalle to fhir oos padhai mein koi maza nahi jisse hum kuch sikh mile

Kyunki aisi kahaniyo mein bahut kuch chupaa hota hai jo ki oose samajhna chahiye warnaa aage prblm ho sakti hai

Am I right mr zayed khan ? and sanaa?

Sanaa ne kaha yaa sir

Zayed ko waheshi bade gaur se dekh raha tha oose pata lag chukaa tha ki usne sanaa ko pehchaan liya hai

Tabhi waheshi jaise hi sanaa ke kareeb aane lagaa zayed oose kudhne lagaa lekin itne mein hi class ki bell baj gayi aur sab apne apne sit se uthkar jaane lage
Zayed – chalo sanaa
Aur sanaa haath pakde oose saath zayed le gaya

Waheshi ne socha oh mere bhaaiii kitna dur le jaoge oose mujhse aakhir ek na ek din to oose mera hona hi hoga hahahahaha

Waheshi ki aankhen chamak rahi thi

                    To be continued……………………….




Logged
asif biswas
Guest
«Reply #6 on: August 20, 2011, 11:06:00 AM »
Shaam ko zayed sanaa ko bola maine tumhe kitni baar kahaa hai apna khyaal rakho tum nahi jaanti shaitan charo or hai

Sanaa ne kaha main tumhara mattlab samjhi nahi kya ye tumhara mujhse pyaar hai yaa fhir kuch aur aakhir tum mujhpe itna gussa kyu kar rahe ho maine kya kiya

Zayed ne kaha main sirf itna chahta hoo ki tum apna khayaal rakho maine tumhe kya kahan tha tumhe apna khyaal rakhna hai kya tum wo nahi kar rahi jaisa main tumhe keh raha hoo

Sanaa ne kaha enough zayed aakhir tumhe ho kya gaya hai tum mujhe itna daant kyu rahe ho aakhir maine aisi kya galti kar di theek hai tumhe nahi lagta naa main apna khyaal nahi rakhti jao main tumse baat nahi karti main apna khyaal rakh sakti hoo

Sanaa wahan se jaane lagi

Zayed – ruk jao sanaa sanaa tumhara akele jaana theek nahi

Zayed ne mann hi mann bola main kya karu sanaa main mazbur hoo tumhe kaise bataoo ki mr ravi koi aur nahi khud waheshi jo tumhare liye bahut baraa khatraa hai par main tumhe keh nahi sakta wo ab bhi yahan hai wo hamara picha bhi kar sakta hai lekin tab tak ke liye mujhe tumhe dur rakhna hogaa

Zayed wahan se gayab hokar sanaa sanaa ke saamne pahuch gaya sanaa ekdum se darr gayi zayed sanaa ko pakad kar kaha pls sanaa tum samajh nahi rahi sanaa ye waqt hamare liye theek nahi wo shaitan ab bhi hamare piche hai aur tum bhul rahi wo kuch bhi kar sakta hai yahan tak wo tumhe mujhse cheen bhi sakta hai

Sanaa ne kaha to kya zayed tum ab bhi jaante ho ki main tumse kitna pyaar karti hoo aur bhale hi mujhe kuch ho jaaye mujhe uski parwaah nahi par main tumse alag nahi ho sakti

Zayed ne kaha yahin to main bhi chahta hoo par kabhi apne munh se ye shabd nikaalna ki tumhe kuch ho jaaye agar tumhe kuch ho gaya to ye zayed bhi khatam ho jaayega

Sanaaa ke aankho mein aansu aa gaye jise zayed ne ponch diyaa aur dono ek dusre ke gale lag gaye

Sanaa – I love zayed I really love you

Zayed – haa sanaa I love you too

Abhi dono ka pyaar ek dusre judaa huya ki itne mein dil dehlaa dene waali wo bhediyo ki awwazz

Zayed – oh no sanaa humhe yahan se nikal jaana chahiye ye jagah safe nahi hai

Sanaa hairaani se zayed ke face ko dekh rahi thi itney mein zayed sanaa ko wahan se gayab karke le gaya

Wo bhediya tezi se wahan aaya aur oosne ekdum se chillane lagaa maano kitna gussa ho

Udhar zayed ke abbu ammi tehel rahe they apne aangan par wo dhalte huye suraj ko dekh rahe they


Zayed ke abba – jaanti ho aminaa jab raat hoti hai to hamari taqat itni baddhh kyu jaati hai kyunki andhere mein humhe apne shikaar ko maarne ke liye zyada waqt nahi lena padhta par ye zaalim kiraane humhe nuksaan to nahi pahucha sakti par hamare shaktiyo ka koi asar jaldi nahi lag sakta

Zayed ki ammi – aapne bilkul theek kaha lekin jab agar badal ke ghere ya tufaan ho to us samay din mein bhi hamari taqat badh jaati hai

Zayed ke abaa – tumne bilkul theek kaha yahin to baat ki allah taala ne humhe ye taqat di ki hum din mein bhi kisi se lad sakte hai lekin hamare hone yaa hone se koi farak nahi padh sakta kyunki is sheher mein humhe dhudhne waale bahut hi kam hai

Zayed ki ammi ki ek ajib muskurahat thi

Tabhi zayed ekdum se kamre mein aaya tabhi zayed ke abba ne kaha ruk jao zayed zayed wohi ruk gaya

Zayed – ji abbu

Abbu – humhe tumse kuch zaroori baat karni hai

Zayed – haaa boliye

Abbu – waheshi ke taqat ke bare mein tumhe kuch batana hai

Zayed – kya ??

Abbu – waheshi ke andar uski shaitani taqat hai jis tarah wo shaitan ko manta hai oosse usme kaafi shaitani taqat aa chuki hai wo ek berehem jin ban chukaa hai wo apna roop badal sakta hai kisi insaan se wo jaanwar billi mein ban sakta hai tumne sanaa ko waheshi ke bare mein bataya

Zayed ne kaha haa lekin zyada nahi main nahi chahta ki sabkuch jaante huye wo aisi koi bhul kar baithe jisse ghaat lagaaye waheshi ko wo mil jaaye

Main sanaa ki zimmedari le li hai ab wo aur uske saathiyo kaa waar mera aur naa hi sanaa ka kuch bigaad sakta hai

Zayed ke abbu ne kaha agar tum chaho tum hum sardaar se is bare mein baat kar sakte hai wohi waheshi ko rok sake

Zayed ne kaha nahi dad ye theek nahi jab tak main oosse khud na nipat loo aur main ye baat jaanta hoo ki main oose haraa sakta hoo

Zayed ke abbu – zayed ek baat aur waheshi kaafi khatarnak ho chukaa hai

Zayed ne kaha aap bhi ye baat jaante hai ki humhe bhi ooski shaitaano se zyada taqat hai

Zayed ke abbu muskuraye aur kaha mujhe bhi tumse yahi ummeed thi

Zayed ne kaha haa maine aapko to bataya nahi waheshi sanaa ko pakadne ke liye ab ek school teacher bankar aa gaya hai

Zayed ke abbu ne gaur karte huye kaha uski har chaal se main waqif hoo shayad oosne apni chaal shuru kar di hai tumse tumhara pyaar cheenne ki mujhe hi oosse baat karni hogi

Zayed – sambhal ke abbu wo kuch kar naa de

Zayed ke abba – tumhare abbu oosse darte nahi hamare kaum ka hokar wo ye sab kar raha hai isse to yahin samajh mein aata hai ki wo shitan hai ooske naye shaitani saathi aur wo hamara kuch nahi bigaad sakte lekin sanaa ki zimmedaari tumne uthaayi wo ek insaan hai ek komal insaan oose tumhe bachana zaroori hai

Zayed ne kaha wo aap mujhpe chodhiye

Waheshi apne sar paar haath rakhaaa aur kaha haa kya hua tumne oonhe dhundha

Haan wo log jungle ke paas they sanaa zayed ke paas thi lekin zayed oose hawa ki tarah gayab kar gaya

Waheshi – main jaanta tha wo kuch naa kuch zaroor karega tum chinta mat karo bas unhe dhundhte raho aur waqt milte hi jaisa maine kaha hai waisa kar dena

Mere paas ek aur chaal hai

Sanaa ko pakadne kaaa  theek hai samajh gaye tum

Samajh gaya aap bas intezaar kare

Waheshi ne apna sar haath se hataate hi khoob zor se hasaa – hahahahahahahahahaaaaa aaahhhhahahahahaaaaaa


Udhar daudhta hua wo shaks tezi se jungle mein aaya

Yakeenan wo koi aur nahi khud zayed ke abba they

Waheshi ek dum se piche mudhaa aur kaha hahahaa

Wow aap yahan kaise abbajaan

Zayed ke abba – (muskurate huye) tum bilkul nahi badle lekin tumhare andar ka shaitan shayad kuch zyada hi badh chukaa hai ye jhoote dilaase dene ki zaroorat nahi yakeenan tum ab bhi naapaak mansubaa leke aaye ho is duniya mein

Waheshi – main kaise bhul jaooo wo din jab aapne hamare sardaar ko kehke mujhe us botal mein band kar diya mere 1000 saal mujhse cheene aur main pal pal isi badle mein rahaa ki ek na ek din aapko aur aapke zayed ko khatam kar doo aapka apna hokar bhi aapne mujhe ek gair samajh kar faikh diyaa

Zayed ke abba – wo tumhari khud ki galti thi usme mera aur naa mere bete ka kasoor tha tumne hamare kaum ko badnaam karna chaha jiski sazaa tumne ab bhugti magar afsos ye sazaa hi tumhare liye kam padi aur tum isse koi sabak nahi sikh paaye

Waheshi gusse me bola – ab bas bahut kar liye aapne apni manmaani lekin ab meri baari hai sunaa aapne meri jab tak zayed ko nuksaan naa pahuchaoo mere dil ko thandhak nahi milegi aur aap aap ko to main hawa ki tarah uddhaa dungaa kyunki shaitan hamesha taqatwar raha hai koi uski barabari nahi kar sakaa

Zayed ke abbu – tum jaise shaitan aur iblees ke sath koi islye nahi reh sakaa kyunki tum log ek kachdaa ho is duniya jiski sahi jagah koso dur viraan andhere mein hai naa ki is khubsurat waadiyo mein

Waheshi – hahaha aur main ye bhi jaanta hoo ki aap sardaar ko kuch nahi batayenge hahahahaaaa

Waheshi wahan se gayab ho gaya aur zayed ke abbaa wohi khadhe uski shaitani hassiyo ki gunz sunte reh gaye


Logged
asif biswas
Guest
«Reply #7 on: August 23, 2011, 09:56:33 AM »
Zayed ke abba gusse se haveli mein waapis aaye

Zayed ki ammi ne kaha kya huaa aap itne gusse mein kyu hai kya hua

Zayed ke abba – aaj oos waheshi ne hamari laachari aur mazburi ka faayeda uthaya hai aaj oosne mujhe dhamki di ki agar maine ooske bare mein shikhayat kari to wo bhi zayed ke pyaar ka byaan kar sakta hai

Zayed se mujhe ye ummeed nahi thi ki humhe ooske wajah se itna laachar ho jaana padega

Zayed ki ammi – aap galat samajh rahe hai aisa kuch nahi hoga zayed ko hotey huye aur aapke hote huye wo waheshi kuch nahi kar sakta

Zayed ke abba – kar sakta hai amminaa kar sakta hai oose ooska agla vaar kispar karna hai yeh wo acchi tarah jaanta hai wo kuch hi dino mein fhir se apni shitani chaal chalega aur iss baar main chahta hoo ki zayed bebasi aur laachari mein naa haar jaaye

Udhar sanaa computer mein baithe kuch type kar rahi thi

Itney mein sanaa ko kisi ki awaaz sunaayi di

Sanaa bahar nikali saamne koi aur nahi mr ravi they

Sanaa sir aap yahan kaise ?


Mr ravi ne muskurakar kaha ki sanaa main Indian hoo aur tum bhi Indian hoo to apne logo mein kuch zyada interest hai tumhare saath ek aur saathi hai shayad se uska naam zayed hai am I right ?

Sanaa – ya sir but sir aap yahan koi important kaam tha

Mr ravi – maine tumhari padhai mein jo dil lagaake padhti ho I am really impressed tum aisa kyu nahi karti hamare 1 mahine baad hi ek picnic hai hum jungle ke side old museum jaayenge jahan tarah tarah ke historical statues information sab kuch dikhega so I want ki you aur zayed pls pakka hamare saath chalo baaki students bhi aayenge waise fhir ek baar accha lagaa tumse milkar sanaa

Sanaa muskurakar kaha thank you sir bye sir

Mr ravi – bye

Sanaa ko thodha azib lagaa lekin apne prati itna respect dekh sanaa khush ho gayi

Mr ravi – thank god aakhir ye sanaa maan hi gayi sach mein khubsurati ke saath saath dil bhi bahut saaf hai mujhe zayed ke pyaar par bahut fakr hai par bichara oose kya pata ki yeh khubsurat malika kuch din ke liye jee rahi hai ooske baad main ise bhi khatam kar dungaa haa haa haa haa and im sure ki is larki ko khatam karne mein badaa hi mazaa aayega ha haha ha haha

Sanaa historic monuments par kaam kar hi rahi thi ki ekdum se zayed wahan aa gaya

Sanaa oh zayed tum yahan oh my god tumne mujhe daraa hi diya
 
Zayed sanaa I am sorry main itna rude behave tumahre saath kiya you know mujhe apne upar bahut gussa tha

Sanaa zayed ke gale lagke rone lagi aur kehne lagi pata hai jab bhi tumse dur jaane ki koshish karti hoo ek ajib sa darr mann mein lagaa rehta hai main nahi jaanti ye darr kya hai but main ye jaanti hoo ki main tumhare binaa jee nahi sakti

Zayed – kuch nahi hoga tumhe sanaa main tumhare saath hoo tumhe darne ki zaroorat nahi

Zayed mann mein bola waheshi tumhe apne shaitani chaal chalne shuru kar hi diye mujhe pata chal gaya tha ki sanaa tumhare sath hai aakhir  tum oosse mil hi liye tum ne agar kuch kiya to mere se bura koi nahi hoga


Sana – haa baton baton mein batana hi bhul gayi

Zayed – kya sanaa ?

Sanaa – 1 mahine baad hamari ek picnic trip hai sab bacche jaa rahe hai aur main bhi jaa rahi hoo jungle ke old museum ki taraf wahan bahut kuch hai aaj mr ravi bhi aaye they bahut acche insaan hai unhone to mujhe kaafi respect kiya and I am sure wo humhe is baar history mein paas kar hi denge

Zayed – aakhir usne apni jagah banaa hi li tumhare dil mein tum nahi jaanti sanaa wo tumhe haasil karne ke liye kuch bhi kar sakta hai

Sanaa – kya hua kya soch rahe ho

Zayed – nahi kuch nahi tum us trip mein jaogi aur main bhi tumhare saath chalunga

Sanaa – oh thankyou so much zayed

Sanaa zayed ke gale lag gayi

Zayed ab bhi waheshi ke soch mein dubaa tha

Subah huyi school ki chehel pehel aur sanaa aur zayed class mein waheshi padhai karaa raha tha


Mr ravi – goodmorning students

Aaj hum kuch aur discusse karenge jaise bahut prêt ke bare mein hazaro saal pehle bahut prêt par har koi yakeen karta tha ye sochta tha they are exist but mahol badalne ke saath hi in sab ko bhi piche chodh diya gaya aur ye ek kahani ban gayi

Ek larka – sir waise hum insab cheezo par zyada dhyaan kyu de rahe hai

Mr ravi – kyunki ye wohi chize hai jo ek kahani bankar reh gayi hum aap aisa sochte hai par kuch log oos atit ko ab tak bhulaa paate jo unke sath hua yakeenan kisi ka kisi ke saath aisi juddi ghatnaaye hai jispar sirf usko yakeen hai par us kahani par yakeen karne waalo mein se bahuto ko nahi aise hi kahani hoti hai jo waaqayi par shayad dhul or mitti mein kho gayi hai naa jaane unhe kaun padhega kaun yaad karega?

Ok class aaj ka lecture yahin khatam aap sab ko main djins par ek project de raha hoo jisme aapko unki kahani bataani hai jo ye project dena chahte hai pls raise your hands unless jinka mann nahi wo nahi dega

Sanaa ne apne haath khadhe kar liye mr ravi sanaa ki taraf muskurahat de kar wahan se chale gaye zayed waheshi ko ghur raha tha naa jaane
Kya darr aa raha tha ooske dil mein ?


Sanaa pata hai zayed inki baton mein kitna I mean kitne acche se padhate hai maano inke saath kuch bitaa ho tum project nahi doge zayed nahi sanaa main nahi dunga waise bhi main jo pehle se hoo uspar kya likhunga main yahan sirf tumhare liye hoo tum jahan hongi wahan main hoonga pata hai is insaan ki duniya mein main rehne aaya tha ek insaan bankar lekin jab se tumhe dekha mujhe ahessas ho gaya ki allah ne tumhe mere liye banaya hai lekin main tumse tumhari zindagi nahi chin sakta kyunki main tumhe apne liye dusro se alag nahi kar sakta sorry sanaa main jaa raha hoo

Sanaa zayed ke reactions ko dekh soch mein padh gayi


Udhar sanaa ghar ki or jaa rahi thi ki tabhi kutto ki awaazo se pura mahol darr sa ho gaya aakhir sanaa bach paayegi in darindo se ?




Logged
asif biswas
Guest
«Reply #8 on: August 24, 2011, 08:41:40 AM »


Sanaa ko bhediyo ki awaaz aane lagi bahaynak awaazo se mahuol pura khauf se bharr chukaa tha


Sanaa – oh oh my god shayad zayed ne jo baat kahin thi wo theek hi nikali ye bhediye zaroor us shaitan waheshi ke bheje huye hai par main inse bachungi kaise

Sanaa wahan se bhaagne lagi sanaa tezi se wahan se bhaagne lagi

Bhediyo ki aankhen andhere mein chamakte huye uska picha kar rahi thi bhediye sanaa ke piche padd chukey they

Sanaa junglo ki or bhaagi jaa rahi bhaagi jaa rahi thi aur bhediye uske piche ekdum paas aa chukey sanaa ko piche dekhne ka koi awasar nahi lena chahti thi aur sanaa ke upar jhapat padey wo darindey

Sanaa – aaaahhhaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaahhhhhhhhh

Sanaa ki cheekho ke saath pura mahoul fhir se shaant ho gaya sanaa jhadiyo ke andar maano ojhal si ho gayi

Tabhi udhar zayed ko awaas aa chukaa tha

Zayed – oh sanaa nahin nahin aisa nahi ho sakta main tumhe kuch nahi hone dungaaa

Zayed hawa ke jhokho ki tarah haveli se daud gaya aur wo ekdum se wahan aa dhamka

Zayed ne bhediyo ko sanaa ke upar dekha

Zayed ke aankho mein ek gusse ki leher daud gayi

Zayed – aaaaaaahhhh zayed ki cheekh ke saath saare bhediye oose dekhne lage

Zayed par ekdum so wo shaitan jhapte

Zayed ne apne ek hi vaar se do bhediyo ko dur faik daala zayed ne piche ne apne haatho se saare bhediyo ko pakad liya aur unhe buri tarah patak patak ke adhmaraa kar diya

Aur thodhe hi der mein saare bhediyo ki fauj wahan se gayab ho gayi

Zayed sanaa ke paas aaya

Zayed – sanaa sanaa meri taraf sanaa pls meri taraf dekho

Saanaa ki aankhen khul nahi rahi thi wo khoon se lathpath thi

Sanaa ke nabz ko dekhkar zayed ki cheekhe nikal gayi

Sanaa ki saansein thamne lagi thi aur sanaa shayad kisi bhi waqt marne ke kagaar par thi

Zayed – sanaa tumhe kuch nahi hoga main tumhe kuch nahi hone dunga us waheshi ko uski sazaa milegi

Waaahhheeeesssssssssssssshhhhhhhhhhhiiiiiiiiiiiii iiiiii

Udhar waheshi ko sabkuch pata lagne mein deri naa lagi

Waheshi – ha ha ha ha ha ha aakhir main jaanta tha meri bhediya fauj sanaa ko nahi chodhegi ab kya karoge zayed jab sanaa hi nahi rahegi

Ha ha ha ha sanaa ki maut ka dukh tum bardaasht nahi kar paoge aur fhir tum kamzor ho jaoge aur tab main tumhe aur tumhare ammi abbu ko bhi khatam kar dunga hahahahahahahaahhahaaaahaaahahahaha


Waheshi ki hassi teher hi nahi rahi thi aaj waheshi kaafi khush tha

Waheshi zor se chillakar kehne lagaa – aaj itne saalo baad mujhe ek chain ki sukun mil rahi hai hahahahaha

Udhar zayed ko der naa lagi sanaa ko hospital pahuchane mein

Sanaa ki friends log bhi wahan maujud thi

Sanaa ki haalat kaafi gambhir thi sanaa saans nahi le paa rahi thi doctor koshish pe koshish kare jaa rahe they

Sanaa ki friends ne kaha kya hua doctor sanaa theek to ho jaayegi naa ?

Doctor – it’s very critical condition hum sanaa ko bacha nahi paayenge kyunki sanaa ki haalat kaafi naazuk hai oose sirf dua ki zaroorat hai

Zayed – nahin sanaa tum mujhe chodhkar nahi jaa sakti tumhe abhi jeena hai apne liye apne parivaar ke liye mere liye

Zayed sanaa ko dekhne lagaa

Zayed jaise hi piche mudaa saamne uske parents khadhe they

Zayed ne kaha abbu ammi aap yahan

Zayed ke abba – main jaanta tha wo waheshi apna chaal zaroor chalega sanaa ki haalat kaafi nazuk hai

Zayed ki ammi – oose bachane ke liye ye kaam sirf tumhe karna hai

Zayed – wo kaam hai kya boliye aap oose bachane ke liye mujhe kya karna hoga

Zayed ke abba – tumhe oose raat ki rani ke phool se uske khoon ko sokhna hoga aur apne shakti ke madad se bhi lekin ooske liye tumhe raat ki rani ka phool lene jaana hogaa

Zayed – main abhi leke aata hoo aap yahin rukiyega main us waheshi par wishwas nahi kar sakta uska agla aatank kya ho kisi ko ptaa nahi

Zayed tez hawa ki tarah wahan se daud kar junglo ki or bhaaga

Zayed bahut tezi se us jagah pahucha aur idhar udhar dekhne lagaa saamne wohi paudha tha jiski oose talaash thi

Zayed ko uski madhak khusbhoo mili

Zayed ne jaldi se oosme se ek phool todd liya aur wahan se tezi ke sath udhaa

Zayed hospital mein tabtalak pahuch chukaa tha

Sanaa ke friends darwaje se sanaa ki haalat ko dekh rahe they doctors ooska ilaaj kar rahe they

Sanaa ki saansein tez tez chalne lagi doctors hairat mein padh gaye

Zayed ekdum se sanaa ko dekhkar khamosh tha zayed ke abba ne oose himmat dete huye kaha ki jao sanaa ke paaas

Zayed ne ekdum se gayab sa ho gaya aur wo room ke andar chala gaya har taf khubsoo si thi dhuaa sa chaa gaya

Sab hairat mein padh gaye

Nurse – sir ye khushboo bardaasht nahi ho rahi

Doctor – jaldi se fire extinguisher lao immediately

Doctor ki baatein sunn nurse wahan se nikal gayi dhuaa bahar aa raha tha sanaa ke friends bhi hairat mein they

Itney mein zayed sanaa ke paas aaya aur phool se ooske har zakhmo par malna shuru kiya jaise jaise phool ooske zakhm ko chutaa wo zakhm sukh jaata zayed ne ooske har hisse ko phool se saaf kar diya

Sanaa ki saansein fhir se normal chalne lagi thi

Zayed sanaa ke face par haath lagaake kehta hai tum jald hi theek ho jaogi sanaa ki aankhen thodhi khulne lag jaati hai

Zayed wahan se jald hi gayab ho jaata hai

Wahan se dhuaa aur khusbhu bhi gayab ho gayi

Doctor ne kaha kamala hai abhi yahan khushbu si aa rahi thi aur ab ekdum se gaayab ho gayi maazhra kuch samajh mein nahi aaya doctor ne ekdum se sanaa ko dekha ooske zakhm gayab ho chukey they

Doctor hairat mein paddh gaya udhar nurse ko unhone kaha jaldi se injection lao

Sanaa hosh mein aane lagi sab log oose dekh rahe they

Doctor ne kaha sanaaa kaisi ho tum

Sanaa ne sirf apna sar hilaya haa mein

Fhir wo zayed ko dekhne lagi zayed ke abba ammi oose dekh rahe they

Zayed ko uski ammi ne kaha tumne accha kaam kiya zayed tumne apne pyaar ka maan rakhaa chalo hamara kaam ho gaya hum yahan se chalte hai sanaa ab theek ho jayegi

Zayed aur uske abba aur ammi ek jhatke mein gayab ho gaye

Sanaa ki ek friend ne kaha kamaal hai zayed kahan gaya abhi to yahin tha uske parents bhi ajeeb hai sanaa ko hosh aa chukka hai

Udhar waheshi gusse se tilmilaa raha tha aur bhaari cheekho ke saath oosne shisha tod daala

Waheshi – nahin nahin aisa nahi ho sakta wo kaise jee sakti hai kaise how is she alive ? aaaaaaaaaaahhh aaahhhhh aaaaaaaaaaaaaaaahhhhhhh


Waheshi ekdum se chup ho gaya aur oose sab dikhne lagaa sanaa ko bachane waala koi aur nahi zayed tha

Waheshi ne kaha zayed tune accha nahi kiya apni kabr khud khod daali tune aaaaaahhhhhh lekin lekin abhi meri agli chaal to baaki hai sanaa ko khtam karne ki

Waheshi ki aankho mein maano ek darindagi basi thi oose khatam karne ki kya waheshi apne maksad mein kamyab ho jaayega ya jeetega sanaaa ka pyaar

Udhar

Sant Jacobs kaafi soch mein dubaa tha oose ab bhi un baba ki baat dimaag mein ghum rahi thi

Sant Jacobs ekdum se apni chair se utha aur kaha nahi ye nahi ho sakta wo koi jaanwar nahi ek jin hai ye kaise ho sakta hai maine apni aankho se dekha tha apne bete ko jo ek darinda tha aur ye khoon honaa bhi koi sanyog nahi ho sakta mujhe pata lagana padega

Sant Jacobs ki aankhen us din ko yaad karne lagi

Naa jaane kya raaz tha us raat ka us din ka kise pataaa ?
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #9 on: August 25, 2011, 04:36:08 PM »
Hello friends updates dene mein thodha time lag jaata hai because mujhe kahani sochkar likhni padhti hai magar ab tak aapke comments naa aane se I am little  depressed ki kahin aapko kahani to acchi nahi lag rahi sorry for late updates but I am sure ki kahani ke mod mein aapko mazaa aa raha hoga

Sanaa ki aankhen khuli aur saamne kisi aur ko nahi balki oose kisi aur ke hone ka mehsus huya wo koi aur nahi zayed tha

Zayed sanaa ko gaur se dekh raha tha aur uske sar par haath phairne lagaa sanaa jaanti thi tum mujhe phir bacha loge main tumse behad khush hoo zayed pichli baar bhi tumne mujhe bachaya tha

Tumse pehli baar milkar mujhe aisa lagaa jaise maano sabkuch mil gaya ho kya hai tumme aisa jo mujhe hamesha tumhare paas khichta hai

I really love you zayed jaanti thi un bhayanak musibato se tum mujhe bachaloge I really love you zayed I can’t resist in this world without you

Sanaa ekdum se bed se uthkar zayed ke gale lag gayi

Zayed aaj khush tha apni sanaa ko waapis paakar zayed ne sanaa ko dheere se waapis bed par laitaya aur kaha ssssshhhh mere bare mein socho mat abhi iswaqt abhi tumhe apne bare mein sochna hai apna khyaal rakhna hai and promise me mere binaa tum kahin nahi jaogi

Sanaa zayed ko dekhkar muskurane lagi

Sanaa zayed aaj  fhir ek ho gaye khuda ne unke pyaar ko fhir milwaya lekin kehte hai naa shaitan picha nahi chodhta

Nafrat aur jalan se waheshi wo tasveer dekh raha tha jisme sanaa aur zayed ek saath they

Waheshi hass raha tha hahahahahahaha aakhir fhir bachaa hi liyaa naa abhi sanaa ko tumne lekin is galatfehmi mein mat raho ki main oossse tumse chinke hi rahunga ooske liye mujhe koi duniya ki taqat bhi alag nahi kar sakti


Sant Jacobs ke dimaag mein wohi baatein ghum rahi thi sant car chalaa raha tha

Sant ekdum se apni car rokkar bahar dekhne lagaa saamne wohi purani imaarat par sant Jacobs ki nazarein thi jise wo ghur raha tha

Wo jhat se apni car se utaraa aur us jhajhar si imaarat chala gaya farash par mitti upar faanush ganda sa tha

Pura ghar andhere se dhakaa hua aise ghar zaroor maano kitni yaado se judaa hua ho


Sant Jacobs waapis us andhere mein kho gaya jahan isi jagah oosne apna beta khoya tha naa jaane kyu aakhir kyu ?


Udhar zayed sanaa ko discharge karwaakar laa chukaa tha

Sanaa – thanks zayed but doctor ne naa jaane kaise mujeh itne jaldi chodh diya I mean he felt like that I am so alright now un wolves ne attack kiya tha mujhpar aakhir tum mujhe bataa kyu nahi dete ki aakhir waheshi chahta kya hai

Zayed – tumhe sabkuch jald hi pata chalega sanaa lekin baari baari se tumhe is waqt sirf apna khyaal rakhna hai agar tum aisa karogi to mukamal jaldi hi theek ho jaogi and for now you should rest ab mujhe chalna chhaiye tum mujhe yaad karna main aa jaunga

Aur palak jhapakte ke saath zayed gayab ho utha

Zayed tezi ke saath us jagah daudhta chala gaya jahan saamne khadhaa tha waheshi

Waheshi maano muskura sa raha tha tabhi zayed ne ekdum se waheshi ke gale ko pakda aur kaha tumne apni saari limits cross kar di hai waheshi aur ab tumhe main nahi chodhunga

Waheshi gusse mein aakar galaaa tum nahi chodh skate to main chudhwaa sakta hoo aur ek pal mein hi waheshi ne zayed ko piche dhakel diya zayed hawa mein lehraate huye sidhe zameen mein kudd padaa

Waheshi – ye to shuruaat hai abhi to tumne zakhm dekhe hai jab jab main tumhari sanaa ko hamesha hamesha ke liye khatam kar dunga tab kya hoga wo mere muthi mein hai main jab chahu oose tumse cheen sakta hoo itni taqat hai mujhme

Zayed – tum sapne dekho kyunki yeh kabhi hone nahi waala aur iss baar to hargiz nahi tumne pichli baar kuch aisa kiya tha jise tang aakar sardaar ne tumhe tumhare asli jagah pahucha diya tha par ab is baar aisa kuch nahi hogaa kyunki main bhi ab badaa ho chukaa hoo

Waheshi – tum mere ekdum chote bhaai ki tarah ho isliye tumhe apne se dur rehne bol raha hoo lekin ek baat yaad rakhna mujhe tumhe aur tumhare khaandaan ko khatam karne mein zaraa sa bhi waqt nahi lagega

Oh haa ek aur news is mahine ki taarik ko sanaa yakeenan mere bichaaye huye jaal mein fasegi kyunki mr ravi ne oose ye baat khud kahin hai aur main jaanta hoo ki wo naa to nahi karegi

Zayed ekdum se waheshi ko ghusse se dekhne lagaa

Zayed – aisa kabhi nahi hoga

Waheshi – aisa hogaa hamari aapas ki dushmani mein sanaa ko qurbaan honaa hogaa aur rahi baat tumhari tumhari sanaa ki qabr us raat hi hogi jab main oose tumse cheen lunga

Zayed – oh to kyu naa is laraai ko yahin khatam kar de

Waheshi – itni bhi jaldi kya hai aag ko bhadhkaane ke liye ye gussa apne andar rakho kyunki oos din shayad tumhari ye taqat bhi kuch naa kar paaye

Zayed – mera pyaar sachcha hai aur pyaar se badhkar duniya mein koi taqat badi nahi hai tum sirf apni khair manaao kyunki jis din wo waqt aaya oos din tumhare aur mere beech ki laraai hamesha ke liye khatam ho jayegi

Waheshi – main intezar kar raha hoo us waqt kaa


Waheshi ki aankhen laal si ho gayi thi aur zayed ki bhi dono ek dusre ko ghurr rahe they kya do jino ke bich ki ye laraai inti ghatak hogi kya sanaa aakhir waheshi ka shikaar ho hi jaayegi kya sant Jacobs ka wo kissa khul paayega jise wo chupaa raha hai ooska ateet aisi hi romanchak modd lekar aayega aane waale palo mein
Tab tak intezaar kijiye ………………………….. wave






Logged
asif biswas
Guest
«Reply #10 on: August 29, 2011, 05:14:11 PM »
Lagbhag wo ghari aa hi gayi thi jiska waheshi ko besavri se intezaar sa tha

Sanaa ko kya pata tha ki uske saath kuch aisa hogaa jise wo kabhi naa bhulaa paayegi waheshi ko dikh raha tha ki sanaa abhi bhi hostel mein laiti huyi thi

Waheshi wahan palbhar mein jaa pahucha aur sidhe sanaa ko god mein uthaa liya waheshi wahan se ek jhatke mein gayab ho gaya aur udhar

Zayed – nahin sanaa nahi waheshi

Zayed ke abba – tumhe chinta karne ki zaroorat nahi is waqt tumhe sanaa ke paas jaana chahiye hum oose musibat mein nahi chodh sakte wo  waheshi kuch bhi kar sakta hai lekin wo oose leke is haalat mein jaayega kahan

Zayed – main jaanta hoo wo oose kahan leke gaya hoga

Zayed bhi tezi ke sath wahan se ojhal sa ho gaya

Zayed ki ammi zayed ke abba ki taraf dekh rahi thi

Udhar sanaa ki aankhen khuli aur saamne kharaa tha waheshi

Sanaa ek ajeeb se shakal ko apne saamne dekh darr gayi

Sanaa – kaun ho tum kya chahte ho mujhe yahaan kyu laaya

Waheshi oose apne wehshi aankho se ghurr raha tha

Sanaa ko ye jaanne mein deri naa lagi ki wo koi aur nahi waheshi hi hai

Sanaa – tum mujhe yahan kyu laaye ho ? waheshi

Waheshi – hahahaaha tum jaan gayi ki main kaun hoo tumhe pata hai ki maine is din ka kitne besavri se intezaar kiya aaj tum yahan ho mere paas mere haath mein

Sanaa – tumne tumne zayed ki zindagi mein uljhan daali hai kyu kar rahe ho aisa uske saath tum chhate kya ho

Waheshi – chhata kya hoo uski maut tumhe oosse china chhata hoo yahin mera maqsad hai jisme aaj main yakeenan safal ho hi jaunga

Sanaa – ye tumhari galat fehmi hai zayed aur main ek dusre ke liye hi bane hai tum kya is kaayenat mein koi kuch nahi alag humhe nahi kar sakta


Chahakar bhi nahin naa hi tum jaise shaitan

Waheshi – accha dekhta hoo zayed tumhe kaise bachaa pata hai ek jin se pyaar karna koi asan khel nahi oosse darr nahi lagta tujhe par mere rehte huye tum dono kabhi ek nahi ho sakte kyunki main hone nahi dunga

Tabhi waheshi usko saari kahani sunane lagaa ki wo kais eek acche se biraadari se ban gaya ek shaitan aur aakhirkar oosne dikhaya apna wo roop jisse wo banta tha mr ravi

Sanaa chahuk padi tum mr ravi sir aap

Waheshi – hahahaha tumhara teacher tumhara guru haa lekin is baar tum mere haatho se nahi bachogi jaanta hoo ki us zayed ne tumhe mujhse kyu chipaake itne saalo tak rakhaa lekin ye bhul gayi ki aaj main yahan kharaa hoo apni fauj ke saath jisne tumhe khatam karna chaha lekin tum bach nikali shayad tumhari maut mere haatho likhi thi is kahani ko to khatam karna hi hogaa jaise maine kiya baakiyo kaa

Udhar zayed tezi ke saath wahan pahuchne waala tha

Sanaa ko zayed ki khushbu aane lagi jise wo har waqt ooske hone par mehsus karti thi

Sanaa – shayad tumhari galatfehmi hai kyunki mera zayed mujhe bachane aa chukaa hai

Waheshi – nahin nahin aisa nahi ho sakta haahahahaha ooske liye main tayaar hoo

Aur ek bhayanakar awaaj ke saath waheshi ne jagaya un bhediyo ki fauj ko

Tez ghuraahto ke saath gunj utha jungle aur sanaa charo taraf dekhne lagi bheriyo ko jinki aankho mein junoon tha badla tha shaitani roop tha unkaa

Sanaa unhhe dekh kar unki awaaazo ko sunkar darr si gayi

Waheshi – jao meri shaitani faujo khatam kar do us zayed ko kyunki aaj sanaa ko paakar main oosse apna badla lekar hi rahunga

Bheriya fauj daud se gaye jungle ki doosri or

Udhar tez rafter se aa raha tha zayed tabhi ekdum ke saath aa khadhe huye saare uske saamne

Zayed – aaj nahin aaj tum logo ko main khatam hi kar dungaa chahe uske liye mujhe khud hi kyu naa apne aapko waisa banana pade

                To be continued…………………………..






Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #11 on: August 29, 2011, 05:52:37 PM »
Aasif Sahaab Aadaab!

Waah janab gazab ki love story laaye hai aap:)
First part to thik se padh nahi paaye the par ise pura
padhne ki koshish kareNge.. Usual Smile

kafi dilchasp stories likhte hai aap.. Usual Smile
Hum aap ke is khubsurat kahani ke liye tah e dil se shukraguzaar hai Usual Smile

Likhate rahiye... aate rahiye.. Usual Smile
Khush O aabaad rahiye..
Khudaa Hafez Usual Smile         

Logged
asif biswas
Guest
«Reply #12 on: August 30, 2011, 07:20:54 AM »
Zayed wahan ekdum khadhaa sa tha zayed ko ghurr rahe they wo bhayanak bheriye maano unki aankho mein unka shikaar nazar aa raha ho

Zayed ne apni aankhen band kari

Itney mein oose wo awaaz aayi jise oose chaukne par mazbur kar diya

Wo koi aur nahi uski maa ki awaaz thi

Zayed ki ammi – zayed meri awaaz sun rahe ho tum suno tumhe apni taqat ko ikhatti karke inka muqabla karna hai aur yakeenan tum taqatwar ho ye baat tum mat bhulo ye shaitan tumhara kuch nahi bigaad sakte

Zayed – par ammi ye shaitan bheriye pehle se zyada taqatwar hai inke paas ajgayebi taqqate aa chuki hai ye pehle se bahut mazbut ek chattan jaise hai

Zayed ki ammi – mat bhulo ki tum in logo se taqatwar ho ab jao warna kahin bahut der naa ho jaaye

Zayed – jee ammi

Tabhi ek bheriya sidhe zayed ke upar jhapta zayed ne palak jhapakte hi oose apni baazuo mein pakadkar dur faikh diya

Uski dard bhari awaaze zayed ko sunaayi di

Udhar sanaa ko gayab kar chukaa tha waheshi bhi

Zayed – aao aao mujhe tum logo ko khatam karna hai

Zayed ne apne aapko ekdum se ek bhayanak vishal jeev mein tabdil kar liya bheriyo ki puri fauj oospe aa dhamki

Zayed tezi ke saath daudhte huye un bheriyo ke paas gaya zayed ne ek laat ke sath hi do bheriyo ko dur uchal faikhaa

Piche se zayed ke kandhe par aa jhapta bheirya aura age se oose maarne ki koshish kar rahe they par ek jin ko maarna koi baccho ka khel nahi

Zayed ne tezi ke saath sare bheriyo ko pakadkar zameen par faikh daala unhe khub patkaa zayed neo oon sabko adhmaraa sa kar diya wo ek kale libaas ke roop mein prakat huye

Zayed – batao batao kahan le gaya hai wo darinda meri sanaa ko batao

Ek kale shaks ne kaha oose wo pahadhistan ki taraf le gaya hai jahan aaj puranmaasi ki raat ko ooska khoon piyega jis tarah oosne baaki larkiyo ko maar daala


Zayed ne apne haath par ek tez talwar nikaali aur sidhe ghused diya us shaitan ke andar kala shaks chillane lagaa aur ant mein bijliyo ki gargharahat se wo shaitan jal gaya

Lekin zayed abhi khushnaseeb nahin tha kyunki piche ab bhi bheriye they

Zayed – aaj tumhe khatam karke main is duniya se kuch shaitano ko naa hataa diya to mera naam bhi zayed nahi

Zayed ne tezi ke saath apni talwaar ki dhaar se paancho ka gala kaat diya aur paancho ke shav jal gaye

Zayed – abhi mujhe sanaa ko dhudhna hai

Zayed tezi ke saath us jagah bhaaga

Udhar tez hawaye chal rahi thi mombattiyaa bhujne ke kagaar mein thi aur saamne baitha tha wohi shaks al-qureshi jo ek pakke maulvi saaheb they

Al-qureshi ki aankhen khuli aur unhone muskrahat lete huye kaha aaj ki raat kaafi bhayanak hogi aaj ki raat fhir ek baar kayamt laayegi shaitana aur acchai ke bich koi ek hi jeetega

Al-qureshi ke sevak baith kar unki baatein sun rahe they un mein se ek ne kaha aap kaa kya matlab baba

Al-qureshi – wo shaitan jin jisne us larki ko pakdaa hai wo oose aaj khatam karne waala hai lekin wo akeli nahi hai uska pyaar uske saath hai wo oose kuch hone nahi degaa

Aur ek muskurahat ki muskaan daud gayi al-qureshi ke chehre par

Udhar zayed daudhta huya pahucha us jagah par

Zayed ek bhaari cheekho se chillane lagaa – waaahheeesssssssshhhiiiiii wahessssssssshhhiiiiiiiiiiiiiiiiii sanaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa sanaaaaaaaaaaaaaa


Udhar waheshi ko sunne mein deri naa lagi uski awaazein
Waheshi – nahin sanaa ke paas aana chahta hai ye mat bhul ki sanaa ko tujhse cheene binaa main kahin nahi jaunga

Aaj tujhe mera saamna karna hai to aajaaa hahahahaha is raat ka maine barso se intezaar kiyaa hai aaj ye raat meri hai aaj tujhse main tera pyaar chinunga fhir ek baar shaitan jeetega chahe uske liye mujhe kuch karna bhi kyu naa pade

Waheshi sanaa ki taraf dekhne lagaa jo behosh thi waheshi turant bahar bhaaga

Waheshi – mujhe lagaa tha ki wo shaitani bheriye meri fauj tujhe ab tak maar chuki hogi par lagta hai tu aise haar nahi maanega wo log kaafi taqatwar they

Waheshi ekdum bhaari awaaz mein chillane lagaa

Waheshi – hahahaha aakhir tu aahi gaya

Upar se zayed utar rahat ha sidhe gufaa ki or saamne kahraa tha waheshi

Waheshi aur zayed fhir ek dusre ke saamne aa khadhe huye

Waheshi bhale hi aaj tu jeet jaaye par tera pyaar to tujhse khatam hogaa hi

Waheshi zayed ken aye roop ko dekhkar hairaan thaa

Waheshi teri koi taqat mujhe nahi rok sakti aaja

Waheshi kaa bhi roop badlane lagaa aur ek bahaynak chhere ke saath wo badal saa gaya

Waheshi aur zayed ek dusre se takraaye zayed ne waheshi ko patakne ki koshish ki par hawaa mein taiate huye waheshi ek paid ke paas aaya aur usne jhaddh se ukhaad daala wo paid aur faikh daala zayed par zayed ne paid ko apne dono haatho se pakad liya aaur sidhe paid ko ghumaate huye faikh daala waheshi par waheshi ne do tukre kar diye paid ke waheshi tezi ke saath zayed ko pakadke faik diya diwaar par diwaar todhte huye zayed andar andhere mein gumm ho gaya

Waheshi paas jaakar paid ko dekhne lagaa ki itney mein zayed piche se oospar ek tez vaar karke oose zameen mein gaadh saa diyaa

Zayed zameen par dekh raha tha ki itney mein hawaa ki tarah faikh diyaa waheshi ne zayed ko aasman mein zayed ne khud ko bahchate huye waheshi  par tezi ke saath aane ki koshish ki waheshi aur zayed hawaa mein ladne lage dono ki awaazo ke saath bijliya kadhakti kaafi hairatangez nazara tha who

Zyed ne waheshi ke tango ko pakadkar sidhe oose bhej daala zameen par jahan wo giraa junglo ke biche mein aur ek tez awaaz ke saath jungle mein aag si lag gayi

Zayed ne ek tez talwar nikaali aur sidhe kaat daala paidho ko jo sidhe waheshi ke upar girey zayed thodhe der ke liye wohi rhaa aur fhir gufaa ke paas wo udhkar aaya

Zayed andar gaya aur sanaa ko dhudne lagaa jo ek patthar par laith huyi beshud thi charo taraf andhere mein roshni dale huye thei mombattiyaa

Zayed ne sana ko awaaz di sanaa ki aankhen jaise khuli saamne ek bhayanak chhere ko dekhkar sana darr si gayi
Sanaa – nahin nahin pls chodh do mujhe jaane do

Zayed – sanaa ye main hoo tumhara apnaa zayed zayed

Sanaa – nahi tum mere koi nahi ho tum ek shaitan ho ek darinde ho

Zayed – sanaa ye main hi hoo maine tumhe bachane ke liye aisa banaa huyaa hoo tum meri baat maano sanaa pls sanaa ekdum se zayed ko dekhne lagi aur ooske gale lagke rone lagi

Sanaa – mujeh lagaa maine tumhe kho hi diyaa

Zayed ab kuch nahi hoga main aa gaya hoo sab theek ho jaayega

Tabhi piche se waheshi aa dhamka jiske chhere par khoon saa lagaa huya tha

Zayed piche mudhkar oose dekhne lagaa sanaa zayed ko pakde huye thi

Waheshi ekdum se chilaate huye dono ke paas aane lagaa zayed daudhte huye oosse jaa takraya lekin tab tak waheshi ne oose pachad kar faikh diyaa zayed gir gaya aur beshud aankho se waheshi ko sanaa ki taraf jaate huye dekhne lagaa


Waheshi chand raat ko dekhne lagaa aur sanaa ki taraf jaane lagaa itney mein waheshi par tilasmi talwar se piche se hamla kar daala jo sidhe uske peeth mein jaa ghusaa waheshi wohi thithak gaya aur wo piche jaise mudaa piche se zayed ne talwr nikaali aur sidhe pait mein gused daala

Zayed ki aaahh ke saath zayed ke aankho ko abhi vihswas sa nahi ho raha tha waheshi ko is baat par

Waheshi zayed ki taraf dekhne lagaa zayed ne kaha aapko aisa nahi karna chhaiye tha shaitano kaa saath nahi dena chahiye thaaa

Waheshi zayed ki taraf dekhkar muskuraane lagaa aur wo sidhe zameen par jaa giraa sanaa zayed ke gale lag kar rone lagi zayed oose thaamkar aaj kaafi khush tha aaj oose duniya ki saari cheezen mil chuki thi ooski izndagi mein andhero ke baad bhi ek ujala uske paas aa chukaa tha aur wo tha zayed

Waheshi dono ko dekhte dekhte uski saansein tham gayi

Tabhi kadhake bijli ke saath bijli ka ek surkh sidhe waheshi par jaa giraa waheshi ek dum se jal saa gaya aur uski sara sharer ekdum se gayab sa ho gayaa

Zayed – shaitan kaa aakhir ant ho hi gaya ab koi nahi bachaa

Sanaaa ko lekar zayed wahan se nikal gayaaaa

2 saal baad


Sanaa ki padhai puri ho chuki thi

Sanaa zayed ke wait kar rahi thi zayed ne kaah tum tayaar ho sanaa ne kaha haan

Sanaaa- par samajh mein nahi aa raha ki main kaise bataungi hamare rishte ke bare mein mere dad ko

Zayed – agar wo raazi naa huye to tab bhi hum ek hi honge

Sanaa muskura rahi thi

Zayed  ke maa baap wahan aa pahuche aur unhohne kaha chalo zayed sanaa ka waqt ho raha hai sanaa ke saath jao aur haan hum puri koshish karenge tumhari madad karne ki manta hoo ye rishta sunkar wo khush to nahin honge lekin tum dono ka pyaar naa manna ek bahut bari galti hogi

Zayed sanaa ka haath pakde ship mein le gaya wo ab is jagah ko miss karegi ooski padhai puri ho chuki thi ooski yaadon mein oosne bahut kuch dekhaa jaana par ek pyaar ke hone se oosme naa abb koi darr nahi tha


Kya sanaa ke dad is pyaar ko maannege ?
Kya wo ek dusre se shaadi kar paayenge ?
Kya jin ke sardaar ko ye baat ki bhanak lagte hi wo unhe alag karne ki sochega ?
Kya sanaa aur zayed ka ye pyaar ek ho paayega ?
Aur kya zayed ke maa baap is rishte khush honge ?

       Jaannne ke liye padhe dark love story ka part 3 jo ki main 2012 mein post karunga isl liye aap logo se ab widaa lene ka waqtt aa gaya hai parwaaz and skykitears ne meri stories mein jo comment kiye oosse main kaafi khush hoo aur aap ka tehdil se shukriyadaa bhi karta hoo aur is ummed ek saath aage bhi likhunga kahaniyaa jo aap pasand karee to bye bye alvida

 And wish you all happy eid mubarak ………..


                 The end …………………



Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #13 on: August 30, 2011, 08:00:56 PM »
Asif Sahaab Aadaab!

Janab behad gazab ki story rahi aapki aur... aapne aise
khubi se bayaaN kiya ke hume padhte huye pura manzar nazar
aa raha tha.. Usual Smile

Is khub kahaani ke part ka pura film dekhkar behad rochakta
paida ho gayi ... Usual Smile

Aik baar fir se aapka tahe dil se shukriyaa.. Usual Smile

bahut umdaa likhate haiN aap... Usual Smile
Aage bhi zarur likhiye... Hume intezaar raheNga aage ki
kahaani ka:)

Aate rahiye.. Khush O aabad rahiye.. Usual Smile
Khuda Hafez Usual Smile         

Logged
SkykiTears
Guest
«Reply #14 on: August 31, 2011, 01:44:45 PM »
Asif Biswas Ji. Bht Khoob.. Bht mast Kahani Hai.... Yeh Story Toe The End.. Hoe Gayi..
But I m Waiting For Part 3 So Plz QUICKKKKKKKKKK


-SKY-
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 05:50:38 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.226 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer