Dil ki Aashiqui

by asif biswas on August 03, 2012, 11:00:08 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 7388 times)
asif biswas
Guest


AUTHOR - Asif biswas..

this story belongs to me....i made this story this story is a fictional story and have no any relations with real life or any peoples...

jeene ki zindagi ho tum...
pyaar ka dard ho tum...
tumhare bagair main adhura hoo...
khambhakt dil ki dhadhakan ho tum....


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aashiqui by Tabrez khan in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Aa Aa Aashiqui Mein Teri by Sonu in Songs & Lyrics
AASHIQUI MAR JAYE by ANKIT RAO in Shayri for Khumar -e- Ishq
AASHIQUI by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
Meri aashiqui ab tum hi ho by prateekagarwal in Share:Miscellaneous Shayari
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: August 04, 2012, 03:34:15 AM »
 Applause Applause
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #2 on: August 04, 2012, 07:54:06 AM »
Applause Applause

thanks jald hi story shuru karungaa....
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #3 on: August 04, 2012, 04:02:20 PM »
main apne naye college ke liye kaafi excited tha...kyunki aaj college mein mera pehlaa din tha...aur is naye jagah mein aaye huye mujhe do mahine ho chuke they...main delhi se ooty rehne ke liye hi aaya tha...har mahine dad mere account mein money transfer kar dete they...main yahan kiraaye ke kamre mein rehta tha...yu toh pura ghar mera hi tha..kyunki landlord america mein rehte they..aur main 2nd floor par rehta tha...jahan ke sliding door se khusbusurat waadiyo ka diaar ho jaaya karta tha...main ghar mein akelaa...naa koi insaan naa hi koi pareshaani bheedh bhaadh aur car ki horn se dur sheher se thodhi dur par ye cottage tha...main bahut khush tha...

maine apni guitar li..aur college ke liye nikal para...ooty college kaafi shandhar hai..yahan par ek unchi building hai jiske charo taraf...haryaali hi haryaali hai...kyunki ye ek pahaad par bana huyaa hai..isliye ye jagah itni khusbusurat hai...main college ke main gate se enter huye saare college ke larke aur larki ko ek saath dekhaa...koi baat kar raha hai...koi pyaar ki...koi dosti ki...mahoul kaafi accha tha..main apne naye class ke liye aage badhaa..aur ek larke se class room ka pata puchaa...classroom 10rd floor par tha...

sidiyo se chadhte huye pair dukh gaye...aur main sidhe room no 12 mein enter kiyaa...room mein larke log masti kar rahe they...sabki nigaahen mujhpar thi..par main kisi ki taraf nahi dekh raha tha...mera dhyaan apne sit par gaya..main apne sit par baitha..aur apni kitaab ko bag se nikaala aur apni nayi class ka intezaar karne laga...tabhi ek teacher aaye..mera introduction huyaa aur padhai jaari huyi...

main bachpan se hi binaa dost ke raha hoo...naa hi koi friendship naa hi bhai ya koi behan...life bilkul akeli thi...main chupchaap apni padhai par dhyaan lagane lagaa....tabhi meri nigaah oos larki par parri jisne class mein enter hote hi meri taraf dekhaa ooski nazrein mujhse mili aur woh mujhe dekhne lagin..

main chupchaap nigaahen kitaab ki taraf kare...waapis apne notes likhne lagaa...par jab nigaah uthi toh baar baar ooski nazar mujhpe hi atak rahi thi...ooske do friends thi do saheli...kuch haste huye baatein karti fhir meri taraf dekhkar chup ho jaati...mujhe sabkuch normal lagaa...aise hi is aankho ki kashmakash mein meri class khatam ho uthi...

main class se nikalkar garden mein apni guitar liye ek kone par baith gaya..ye sports period hota hai...maine sport mein bhaag nahi liyaa tha isliye mere free time tha...main guitar ko apne god mein rakhaa...aur ooski string par apne ungliyo ko dabate huye fhiraane lagaa...wahan ki khuli waadi aur woh fhoolo ki khusbu..dopahar ki woh suhaani dhoop jo thand se maano dheemi ho chuki hai...

main bas apne guitar ko bajaye jaa raha tha...mera dhyaan sabse dur tha woh sunsaan jagah thi ek do students hi baithey..ek dusre se baatein kar rahe they...main bas kone par baitha...guitar bajaaye jaa raha tha...apne mein khoyaa...meri zindagi thi hi kahan acchi maa baap ki laraai dekhkar toh main baraa huyaa...dukh taqleef dekhkar ye aankhen khule aur band huye maa ki baaton ko samjhta...baap ki naainsaafi ko dekhkar chidhta...larta jhagadhta lekin main apni zindagi se haar maan chukaa tha...main bas akela rehna chahta tha...khud mein khoyaa rehna chahta tha...tabhi woh haath mere kandhe par aake rukaa..aur main apne sapno se uthta huya oos haath ko dekhne ke liye gardan ko tircha jhukaaya

main - aap....mere munh se sirf yahin lafz nikale...ye wohi larki thi jisse main kuch dair pehle class mein dekhaa tha....

ooske haatho mein purple nail polish gora jism...aankho mein kajal aankho ke colour brown se...ek half jeans pehni aur ek chota tops...woh mere bilkul bagal mein aakar baithi...meri nigaah oospar se hat nahi rahi thi...lekin maine apne dil ko dabocha aur apne chehre ko dusri taraf kiyaa..

oosne meri taraf dekhaa...aur dheemi awaaz mein kaha hello what's wrong? mujhse naraz ho..

maine ooski taraf dekha aur kaha nahi..nahi toh..woh main bas chup rehta hoo..
oosne kaha tumhara hi koi friend nahi hai....maine kaha nahi main akela bachpan se rehta aaya hoo dost banana meri fitrat mein nahi...oosne kaha waahh kya dialogue hai...maine kaha aapko mujhse koi kaam tha...oosne kaha bas tum guitar baja rahe they toh socha tumse baat karloo...maine kaha koi baat nahi ye toh meri hobby hai...oosne kaha oh accha

main kaafi hesitate ho raha tha...main utha aur ooski taraf dekhne laga...

main - ok mujhe jaana hai...so bye
woh - theek hai fhir kab miloge
main - miloge? college mein padhne aata hoo...kyu?
woh - bas aise hi puchaa
main - tum kahan se ho
woh - oh main manhattan america se..yahan dad ka departure ho gaya isliye yahin mom dad ke saath rehti hoo..aur tum?
main - sheher se dur cottage mein
woh - wow bahut sundar hogaa...oh naam toh pucha hi nahin tumhara?
main - ruksat ali..
woh - oh my name is cheryl...cheryl sharma...angrezi naam rakhaa hai..because mom american hai naa isliye...
main - oh it's ok...ok fhir bye...
cheryl - bye...

ruksat ki himmat nahi thi ki woh oosse baat karein kyunki ruksat..ek sharmila larka tha..and ye ooska pehla time tha ki woh ek larki se khul kar baat kar raha tha..woh bas akela hona chahata tha..isliye sharmaake woh college se nikal gaya...lekin cheryl ke dimaag par oosne ek jadu chodh diyaa tha...
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #4 on: August 05, 2012, 11:13:38 AM »
aaj ka din mere liye sabse azib palo mein se tha..nahi college ki padhai ka pressure no way...lekin main isliye depresss tha kyunki aaj maine pehli baar himmat karke ek larki se baat ki thi...ooska yu meri taraf paas aake baithnaa...mere saath meethi baatein karnaa...it was quite freak for me...because main kabhi aise kisi larki ko apne paas aake aise khulkar baat karte huye nahi dekhaa...

shayad ho bhi sakta hai...because soch se bhi badhkar kuch bhi ho sakta shayad khule mizaaz frankly personality se belong karti ho...huhh main bhi kya soch raha hoo...main kyu itna jhukaav oos larki par kar raha hoo..maybe woh meri dost banna chahti hogi khair chodho woh sab aur so jao beta kal college jaldi jaana hai...college test mein fail nahi honaa mujhe...

agle din meri nind khuli..ek angraayi li..bistar se uthkar apne liye ek chai banayi...do biscuit liye...aur fhir bread par butter lagakar apnaa nashta pura karne lagaa....aur fhir sidhe bathroom mein ghuss para...10 minute nahane mein lag gaye...jaldi se almari se ek check shirt with blue jeans liyaa...oose pehnaa..and now i am ready for going to college...

apnaa bag liyaa aur sidhe cycle se college jaane lagaa...college pahucha...cycle park ki..aur apne class ke liye jhat se pahuchaa...shukar hai i was not late...lecturer sir aaye...aaj history ka test tha...khair...main bas apne padhai mein concentrate kar raha tha...ki tabhi class mein enter huyi..woh larki jiske sapne main kal raat ko dekh raha tha aur college ke first day mein oosse mulaqat huyi thi...oos larki ki taraf har koi baahein khole apne aankho se oose padh rahe they...toh kuch larkiyaa jealouss...hmmm hahaha khair mujhe kya tha main bas apne padhai mein dhyaan lagake baitha tha...ki tabhi meri sit par halchai huyi and she sits next to me...

cheryl - hello.....ek meethi si smile paas karte huye kaha
main - hi...whatzup?.....mera as usual bolne ka dialogue...
cheryl - do you mind? if main yahan baith gayi toh..
main - no no...it's ok koi baat nahi...tum kahi bhi baith sakti ho..
cheryl - hahaha thank you...ooski smile mein bhi ek kashish thi...chehere par padhte woh dimpls uff kisi par bhi keher dhaal sakte they...

main ye fhir kya sochne lagaa...dil ko fhir dabochaa aur apne padhai par dhyaan dene laga...lekin ooska dhyaan toh mujhpar hi th.a..woh baar baar nazakat se apne baal ko gol gol ungliyo se ghumaana...woh shayad mera attention paana chahti thi...shayad aisa hi kuch...maine ooski taraf ek nazar daali muskuraya aur padhne lagaa...woh mujhse baat karne ka mauka khoj rahi thi lekin ek main tha jo kisi ke baaton ko samajhta nahi hoo...

khair fhir isi chup chup rehkar class ka the end ho gaya...main waapis college se nikalkar suhaani garden par baith gaya...woh mere aaspaas hi thi...bas hum dono ek dusre ko keh nahi sakte they ki tum mere paas aake baitho..yaa mere paas aao....main kuch kuch samajne lagaa tha ki woh mere kareeb aana chahti thi...ye americans larkiya khud hi pyaar ka izhaar kar deti hai aur khud hi pyaar se break up ki baat bhi keh deti hai..inki jaisi larkiyaa hindustan mein honaa baap re bahut badi baat hai...

khair main bas chiddh raha tha ki isey aakhir mujhse chahiye kya?...main osoki aankho ko padh raha tha itne mein utha...aur ooske kareeb aane lagaa woh ek pal ke liye sehem chuki thi...

main ooske saamne aake khara huyaa...

main - kya baat hai? tumhe kuch chahiye
cheryl - nahi nahi toh
main - nahi mujhe lagaa tum wahan se mujhe ghurr rahi ho toh..koi kaam tha mujhse?
cheryl - nahi ruksat..
main - toh phir dekho kuch kehna hai toh keh do don't worry main buraa nahi manunga...
cheryl - mujhe yahan ke larkiyo ke saath baatein karne ka mann nahi karta..you know they are not my kind off...you know?
main - ya i can understand that...thodha hard hai tum khud hindustani hokar bhi yahan ke mahoul mein ghull pa rahi..so it's ok main tumhe company dungaa
cheryl - thank you ruksat can i call you ali because ruksat kuch zyada hi long word hai...
main - alright you can call me ali...maine muskurake kaha
cheryl - alright

main aur cheryl baithkar kaafi baatein karte...main oosse apne guitar ke dhun sunata aur woh gale par haath rakhkar mere gaane ko dhyaan se sunti...main aur owh kuch hi dino mein acche dost ban chuke they..hum dono ek dusre ko samajhte they...lekin pyaar? what pyar? ye word mere dictionary mein nahi tha..main aise hi rehnaa zyada pasand karta hoo...aur oopar se cheryl ka yu mujhe propose kar dena no it's impossible

main aur cheryl dheere dheere ek dusre ko dost ki tarah maanne lage thy..gehre dost best friends...college se shaam tak main oosi ke saath waqt bitata dheere dheere mere andar ki hesitation kam hone lagin...main oosse apni saarein baatein kehta...ghar ke mahoul se dur meri ye nayi duniya mein main kaafi happy tha...kisi baat ki naa toh fikar ...bas ek enjoyful life thi...

lekin ye enjoy bhari zindagi love se bhari drama meri zindagi mein thi...woh kab aglaa modh lene lagin...mujhe samajh hi nahi aaya...jismein darr khauff  Shocked Even More aur mazburi dikhne lagin dard dikhne lagin...kyaa modh tha woh jisnein meri zindagi ko bilkul badal daala tha...kya thi woh baat ? ....jald hi pata chalegaa aap sabko......
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #5 on: August 06, 2012, 10:20:59 AM »
cheryl aur meri dosti ko 2 mahine ho chuke they...main cheryl ko kaafi dost ki tarah treat karta tha...aur woh bhi mujhe...aise hi din beetne lage...lekin main nahi jaanta tha...ki meri zindagi mein ek aur modh aane wala tha...jo meri zindagi ke itni gehre panno mein dhass jaayegaa...

baat oos shaam ki hai jab main apne kamre mein baitha...tv par ek horror movie dekh raha tha...aur haatho mein chai ki cup leke...picture ke sath sath chai ki chuskiyaa bhi le leta...shaam ke 5 baj chuke hai..aur mera dil kisi kaam mein nahi lag raha..college ke notes bhi prepared they..socha net pe thodhi surfing kar li jaaye...tabhi jaise hi main utha...ghar ki ghanti baji..main darwaaje ke taraf dekhaa...

main - is waqt raat gaye kaun ho sakta hai? maine apne astin ko fold kiya..aur darwaje ki taraf jaane laga...ting ting...dobara bell baj uthi...

main - arre aa raha hoo yaar...keep patience...maine keyhole se chaid se jhaanka...aur darwaje ke lock ko kholaa...toh hairaan ho utha..

main - cheryl tumm..m yahan?? is waqt??...maine ghari par nazar daudhaate huye kaha...
cheryl - haan wo.h..main tumse kuch kehna chahti thi...
main - arre pehle andar toh aao..baatein baad mein kar lenge...

maine oose chai ki ek cup di aur ooske saamne sofey par baith gaya...

main - ab kaho baat kya hai?
cheryl - woh..mere parents they are going back..
main - kya ? tum bhi..
cheryl - nahi main nahi jaaungi..mere college ki padhai...oopar se main yahan is heaven ko chodhke kahi nahi jaana chahti...
main - theek hai toh rahogi kahan??...i mean tumhare mom dad tumhe yahan akelaa nahi chodhenge..
chery; - nahi woh meri pasand jaante hai..oonhe mujhse kaafi pyaar hai..so they are agree ki main yahan koi bhi kiraaye ke room mein reh sakti hoo..but kamra nahi mil raha...toh can i live with you?

main toh jaise shocked ho chukaa tha...main aur woh larki..ek hi chat ki niche...thodha socha...fhir main bhi maan gaya...

main - theek hai cheryl you can live with me...ooske chehre par toh jaise khushi ki ambaar daudh gayi...she hugs me tight...woh mere gale lag gayi..
cheryl - i am so happy.... happy3

maine socha kyu naa dad ko call karke bataa doo...ki woh mere saath oose rehne ke permission de de...lekin baad mein dil ne manaa kiyaa...kahin agar..dad gussa ho gaye toh...main gaya kaam se...ab kya karu? jo ho raha oose hone de ali ...warnaa sabkuch galat hi ho jaayegaa...

cheryl ke saath main ooske kamre mein gaya...oosne apne bag packs kiye kuch saamaan liye...maine ooski madad ki saaman ko shift karne mein...main jab ooske saaman ko shift karne mein busy tha..tab oosne ek azibogarib kaam ki..oosne mere bistar par rehne ki baat ki...main oos waqt normal hi behave kar raha tha..isliye i was agree too...

khair cheryl ab mere saath rehne ke liye tayyar thi..shaam ko maine hakka noodles laaya...humne saath baithkar khaya..aur fhir dinner ke liye mera khaana mesh se aa chukaa tha...maine oose mere saath khaane ko kaha...she agrees..aur fhir hum dono ek saath khaane lage...mujhe thodha uncomfortable feel zarur ho raha tha...because main kabhi kisi larki ke saath akele nahi raha...dil mein das sawaal they...sawaal jald hi khatam huye toh raat ho chuki thi...

main - cheryl agar tum chaho toh main sofa par so sakta hoo....
cheryl - it's ok kya tumhe meri wajah se itni dikkat uthaani padh rahi hai..it's ok hum saath saath so sakte hai..
main - are you sure?
cheryl - baat toh aise kar rahe ho ki larki main nahi tum ho..aur main larka hoo...aur tumhare saath suhaagraat manane wala hoo...

iski itni azib baaton ne mujhe thodha chaukaa daala tha...lekin main chup raha..par woh hasse jaa rahi thi...shayad ooske liye ye baat ek joke thi..par mere liye ye baat thodhi azib thi khair..maine oos baat ko nazarandaaz kar diyaa...aur apne sone ki tayyari karne laga...

raat ho chuki thi...humne apna khaana khaa liyaa tha..main bistar se pehle munh haath dhone bathroom mein gaya...main shower ke niche apne jism par paani ujhal raha tha...thodhey der baad towel se munh ponchte huye bahar niklaa..toh cheryl bistar par laiti ek novel padh rahi thi..oosne ek half nikker jaisi dheeli pant pehni thi...aur ek top pehna huyaa tha...main dhyaan nahi diyaa aur sharmaate huye apne shirt ko waapis pehne laga...she said hey cutie tum cute lagte ho aise

main - accha toh t shirt pehnu..yaar tum american larkiya itni frankly kyu hoti ho?
cheryl - kyunki humhe azaadi pasand hai...
main - accha....meri nazar baton baaton mein ooske locket par pari...ek heart locket..jismein dil jaise design ka locket tha..
cheryl ne meri nazar ko padh liyaa tha..isliye woh chup thi..
main - cheryl tumhara ye locket ??
cheryl - haan...mom ne gift kiyaa tha...
main - oh..ok chalo kal subah college bhi jaana hai..
cheryl - ok

main apne bistar par aakar apni chaadar ko odh chukaa tha...woh mere bagal mein laiti aur kuch dair tak chup rahi...humne thodhi der tak baatein ki..lekin hamare beech mein ek diwaar thi jisne humhe control kar rakhaa tha...main oosse koi bhi aisi waisi baatein nahi ki aur aankho ko band kiye nind ki aagosh mein dub gaya...tabhi mere chehre par ek haath sehlaata huyaa feel huyaa...main chupchaap waise hi padhaa raha aur apne saamne lage shesshe se maine dekha...ki cheryl muskurate huye mere chehre baalon par apne haath phair rahi thi...

kuch der aise karne ke baad oosne halke se mere gaal par chumma...aur fhir muskurate huye waapis lait kar so gayi...ye bahut hi azib waaqaya tha...ki ek larki aapke saath rehne lage..ooske baad aapke gaal par kiss kare..jo ki sharmaaye nahi balki...kya tha yeh? main kuch samjh nahi paa raha tha...bas nind ki aagosh mein main sabkuch bhulakar so jaana chahta tha...mere andar uthkar oosse baat karne ki himmmat nahi thi isliye main sona hi munasib samjhaa...
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #6 on: August 07, 2012, 10:25:29 AM »


AUTHOR - Asif biswas..

this story belongs to me....i made this story this story is a fictional story and have no any relations with real life or any peoples...

jeene ki zindagi ho tum...
pyaar ka dard ho tum...
tumhare bagair main adhura hoo...
khambhakt dil ki dhadhakan ho tum....




gud
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #7 on: August 07, 2012, 10:49:42 AM »
agle din meri nind jald nahi khuli thi kyunki raat ke oos ghatna ne mere dimaag mein ek jagah si bana li thi...main oos waaqaya ko hargiz nahi bhulaa sakta tha...kyunki main jaanta tha jo kal raat huya...isse ye saabit ho jaata hai ki cheryl ko mere liye kaafi lagaav hai..kya woh mujhse pyar karne lagi hai? aisa nahi ho sakta..kyunki main kisi bhi larki se pyar nahi kar sakta...kyunki mere parents ki wajah ye pyaar hi thi..oonki laraai bhi inhi wajaho se hoti thi..jis wajah se mujhe pyaar se toh kyaa pyar karne wale se bhi nafrat thi..main apne baap ko do aankho se nahi dekh sakta tha..aur maa ki woh chubti baatein...mere aankho ka kaanta banne lagi thi..isliye main apne maa baap se dur yahan ooty mein reh raha hoo...lekin cheryl..oose is gumrah mein nahi rehna chahiye..ki main oosse pyaar karta hhoo...

agle subah kareeb 11 baje meri nind tuti...mere aankho ne jaise hi dhundhlahat ko kam ki...mere saamne cheryl muskurate huye baithi huyi thi...main dheere se utha..aur ooski taraf aise dekhne laga ki jaise kal raat kuch huyaa hi naa ho...

main - cheryl kal raat nind toh aayi naa
cheryl - bahut acchi nind aayi..dil toh karta hai isi bistar par hamesha soyu....
main - oh!chalo ready ho jao college jaana hai...
cheryl - ali suno i was saying ki kya hum aaj college naa jaa kar time ghar par spend kare toh kaisa lagega...?
main - but cheryl notes chutt jaayenge
cheryl - don't worry about that..main arrange kar lungi tumhare liye
main - theek hai..lekin hum karenge kyaa?
cheryl - movie dekhnge..aur main fhir tumhe apne haatho se ek chocalate yummy sa cake khilaaungi...
main - lekin mere paas oven nahi hai
cheryl - mere paas toh hai tum bas meri madad karna...
main - ok....aaj bhi woh stange feeling thi cheryl ke liye mere dil mein aaj oosne fhir ek baar mere dil mein ek sawaal chodh daala tha..woh mere kareeb aana chahti thi..ab main samajh chuka tha...lekin mujhe ye baat oosse abhi keh deni chahiye...shayad haan keh deni chahiye...

maine room ki safaai ki apne kapre washing mein daalein....oosne bhi apne kapre daalein...maine chat pe kapre diye tab talak jab niche aaya toh...cheryl shower mein jaa chuki thi...

main sofey par baitha tv dekhne lagaa....
cheryl - ali ali...help me out...i want my towel...main oose bistar par hi bhul gayi..
main - ok..

main towel lekar shower ki taraf gaya...ooosne jhat slide door kholaa aur mujhse towel le liyaa...main bahar jaane laga tabhi oosne ek bar aur awaaz di...

cheryl apne bheege baalon ko jhaadh rahi thi apne jism par paani daal rahi thi..main aankhen jhukaa li aur baathroom se bahar akar bistar par lait gaya....cheryl dusre room mein jaa chuki thi..oosne mujhe fhir awaaz lagayi..

haan cheryl kya huya - main
ali pls mera hook lagaa dogey....cheryl ne apne jism ko dhak rakhaa tha...maine thodha socha...aur fhir main aage bhadhkar ooske jism se haath ke takraate hi maine dono hook ko liyaa aur oose ek hi jhatke mein lagane ki koshish ki...ek baar nahi huyaa...main ye kaam jald se jald karna chahta tha...maine aakhir kaar hook laga liyaa aankhen jhukakar room se bahar nikal aaya...

main sabkuch normal lena chahta tha...ki tabhi cheryl apne kapre pehenkar bahar aayi...woh muskurate huye mujhe dekh rahi thi...main bas aankhen jhukaaye tv ke saamne baith gaya...

cheryl - kya huyaa you are depressed is anything wrong?
main - nahi sabkuch toh theek hai ...
cheryl - toh fhir..baat kya hai ??
main - cheryl wohh..
cheryl - shit movie ke liye late ho rahe hai...let's go..
main - ok ok....cheryl ne mere baazu ko pakra..aur jhat se mujhe jaane ke liye uthaane lagin...

main aur cheryl..movie theatre pahuch chuke they...maine tickets li..aur hum jhat se hall mein ghuss gaye...movie thriller type ki thi...jismein ek aurat ka khoon ho jaata hai aur then woh suddenly apne husband ko maarne ke liye ek ghost ban jaati hai...main aisi movies dekhna pasand toh karta hoo...par oos waqt mere zehan mein toh cheryl ke bartaav aur ooski baatein hi ghumm rahi thi...

kahir movie kaafi dair tak chali par oosmein romantic scenes kuch zyada they...jo kehne se bilkul bahar hai...main khud par bas control rakhna chahta tha...oopar se cheryl mere ekdum close baithi har scene muskurakar mere kaan mein kehti...kitna hot scene hai..isn't it?

aur main haan main jawaab detaa...movie khatam huyi cheryl ko aur maze karna tha...so hum restuarant gaye kuch khaaya piyaa...aur fhir shaam tak andhera hone laga...hum ghar ke liye nikal pare...

ghar aakr main bahut thak chukaa tha...aur cheryl mere liye cake banane lagin...cheryl ne bahut dair tak naa jaane kya kya kiyaa tha? mujhe kuch yaad nahi fhir ek garma garam chocalate cake mere saamne thi jiski khusbu se main pagal ho raha tha...maine cake khaaya...aur cheryl ne bhi...

cheryl - toh kaisa laga cake..
main - mhmm tasty hai...cheryl
cheryl - thank you so much..

main sabkuch bhul chukaa tha...bas itna yaad tha..ki sabkuch normal jaa raha hai...lekin mere liye ye sirf ek galatfehmi thi...main raat ko fhirse sone ke liye tayyar tha...aaj cheryl ka bartav bilkul alag tha..main nind ki aagosh mein dub gaya...agle din jab nind khuli toh...cheryl mere jism se lipati huyi thi,...aur woh gehri nind mein thi...maine dheere se ooska haath hataya...aur shower ke liye nikal gaya..kaafi dair ke baad main oose jagana nahi chahta tha..isliye college nikal gaya...

college aakar main maano bilkul gumsum tha..cheryl ko mujhse pyaar hone laga hai ye baat main samajh chukaa tha...bas ab bahut ho gaya...main oose apne se dur hone ke liye keh dungaa..mere zindagi mein koi pyaar nahi pyaar se insaan pighalata hai...kamzor padhta hai...aur yahin baatein mujhe oos waqt theek lagim...

main college mein baithaa notes likh raha tha ki tabhi deepika mere paas aayi meri class fellow

main - haan deepika kaho
deepika - ruksat mere notes likhne mein madad karoge
main - haan sure aao idhar baitho..

deepika mere saath baith chuki thi...main notes likhne mein ooski madad karne laga...aur aakhirk aar notes khatam ho hi gaya

deepika - thank you so much ruksat..
ruksat - my pleasure...aur hum toh class mates hai dost bhi hai...
deepika - thank you so much ab mera project submit ho jaayegaa..

deepika mere gale lag gayi thi fhir jab woh mujhse alag huyi toh...ooske jaane ke baad maine cheryl ko apne saamne kharaa dekha...cheryl ka toh chehra jaise hairaan tha..woh mujhe ghurre ja rahi thi..main ooske paas gaya tab talak..cheryl wahan se garden ki taraf bhaag chuki thi...

main - cheryl cheryl wait...
cheryl - mujhe kuch nahi sunna...

cheryl ka haath pakra...dekho cheryl aakhir huaa kya?

cheryl - tumne mujhe bistar se nahi uthaya..aur college aakar tum oos larki ke gale kyu lag gaye they?
main - cheryl jaisa tum soch rahi ho waisa kuch nahi we are just friends maine ooski madad ki toh khushi se woh mere gal lag gayi it's normal...aur tum kyu itna gussa feel kar rahi ho hum bhi toh acche dost hai...dekho cheryl main jaanta hoo ki tumhare dil mein mere liye kuch dino se lagav badh gaya hai...but serious kahu toh i hate love..mujhe pyaar se nafrat hai cheryl...plss meri baat suno
cheryl toh bas jaise ekdum kuch sunna hi nahi chahti thi...

main - cheryl hum acche dost hai...aur mujhe is baarein mein koi baat nahi karni...
cheryl ke aankhen laal ho chuki thi...main oose garden mein chodhey ghar ki or nikal chukaa tha...
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #8 on: August 08, 2012, 11:17:56 AM »
main gusse mein aakr ghar pahuchaa...main bahut gusse mein tha..maine apne sar par haath rakhkar bistar par baith gaya...meri kuch samajh nahi aa raha tha..ek baar toh khud par gussa aaya..fhir cheryl ki oon baaton par...kyu kyu? cheryl aaj fhir main tumse bhi dur ho jaunga ek dost aur kho dungaa...sirf iss pyaar ke khaatir...kya duniya mein kuch aisa nahi jo pyaar ke binaa ho...haan dosti jismein pyaar nahi..sirf dosti hoti hai..kyu log ek hi bhul kar ek dusre se pyaar karne lag jaate hai...shayad cheryl ab mujhe chodhke chali jaayegi...

cheryl gusse se kamre aayi...oosne ruskat ko bistar par laita paaya...ruskat ki nazar cheryl par gayi jiske aankho mein aasnu chalak rahe they..

main - cheryl i am sorry..but mera mann tumhare dil ko hurt nahi karna chahta tha..main bas pyar se dur rehna chahta hoo..
cheryl - lekin mujhe tummein woh sabkuch milaa...jo main kabhi kisi mein dhund nahi sakti..
main - aisa kya hai mujhmein? jo tum mujhse itna pyar karti ho...
cheryl - tum samajhte nahi ho...tumhare liye yakeenan ye ek time of waste hai par mere liye meri zindagi...
main - hum kabtak aise khush rahenge..pyaar kamzor karta hai dard deta hai...
cheryl - dard toh mera dil mujhe deta hai jab tum mere saath nahi hote ho..mere paas nahi hote ho iss seene mein ye dil sirf tumhare liye dhadhak raha hai ali...and i am sure ek baar is par apna dil lagake dekho sabkuch khushnuma ho gaa...

main - par cheryll...i want to think
cheryl - don't think too much..just love me..

cheryl mere bilkul kareeb ho chuki oosne mere gale par apne honth rakh diye..aur ek gehra chumban liyaa...main isse pehle hosh mein aakr oose dhakka de diya..woh piche ho gayi

main - cheryl what the hell are you doing?
cheryl - yahin toh pyaar hai..
main - nahi cheryl tum galat kar rahi ho...
cheryl - galat toh tumne kiyaa hai mujhe dhakka de kar...c'mon let's find love inside us..
main - no no cheryl plss it's wrong...

cheryl ne mere gaal ko pakra...aur apne taraf kiyaa main chahkar bhi oosse alag nahi ho paa raha tha...naa jaane woh kaisa ahesaas tha..jo mujhe oos waqt ooski taraf kheench raha tha...main apne aap ooske aagosh mein chala gaya...oosne mujhe apne seene se lagaya aur fhir apne honth sataa diye...main ooske hontho ko chumme jaa raha tha...aur woh meri hontho ko...hum dono ki pyaar badh chuki thi...ek dusre ki aagosh mein hum kho chukey they..

cheryl - baby is seene ki dhadhakan ko suno...just listen those heartbeats jo keh rahi hai..they are really love you...

main ooske jism par chummna shuru kiyaa..aur fhir ooske saath hum dono bistar par gir parey...cheryl ne jismo ko har jagah chumma...aur fhir hamare haath ek dusre se miley...ek dusre ke haatho ko kasske pakra...aur fhir hum kab apne pyaar mein kho gaye...kuch pataa hi nahi chala...

baarish ki gargrahat se paani tapak raha tha...thand badh gayi thi...aur cheryl mere baahon mein lipati mere seene par apni ungliyaa fhiraa rahi thi...hum dono ek dusre ke baahon mein laitey huye they...hum dono ne razaai dhak rakhaa tha...main bistar se utha...aur apne chehre par paani maarne laga....khud ko sheeshe mein dekhaa....

main - kya ye main hi hoo? jo kuch der pehle pyaar ko nafrat ki nigaaho se dekh raha tha...aur aaj...khud pyaar ke hathkadi mein band ho gaya..hahaha kismat bhi kaisa khel kehlti hai..jo pyaar dhudnhta hai oose milta nahi..aur jise pyaar ki zarurat nahi...oose pyaar hi pyaar milta hai...main muskurakar khud ke chehre ko poncha..aur jaise hi piche mudhaa...cheryl mere saamne khari thi...

main - kya huya cheryl soyi nahi?
cheryl - aaj tumne mujhe itni khushi di..nind aankho se dur chali gayi...lekin garmahat abhi tak kam nahi huyi hai...
main - lekin mujhe toh thand lag rahi hai...aaj ooty ka mausam kaafi suhana hai..
cheryl - kya tum ab bhi aisa sochte ho?
main - main tumhare pyaar mein dub jaana chahta hoo...tumne mujhpar kyaa jaadu kiya ki main behak sa gaya hoo....
cheryl - alright baby...let's have some fun again..

cheryl ne mere hontho par ungli rakhi...aur mujhe piche dhakelte huye bathroom mein le gayi...cheryl ne apne jism se oos patli si razaai ko azaad kar diya..aur meri taraf aane lagin...ooske chehra gulaabi ho chukaa...aur main bhi muskura baitha...

cheryl - aaj mujhe itna pyaar karo ki main tumse kabhi alag na ho paoo...marte dum tak bhi nahi...
main - ssshhh ye lafz kabhi mat kehnaa...i love you cheryll
cheryl - i love you too ali..

cheryl ne apne honth mere kareeb laaye..hum dono ke chehre aage badhe aur fhir haamre honth ek dusre ko chummne lage...cheryl aur maine shower chalaaya...aur fhir hum dono ek dusri ki baahon mein sama gaye...woh mujhse lipati rahi..aur main main toh bas oose pyaar karta raha ooske jism ke hartaraf chumma...aur oosne bhi mere gale par apni pyaar ki mohar laga di...naa jaane woh khadhakti raat kaise beeti...kyunki wahan se toh hamare pyaar ki ek nayi subah huyi thi... love4
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #9 on: August 09, 2012, 10:54:18 AM »
zindagi ne aisi karwat li maano main khud ko hi pyaar ke saagar mein dubta le gaya...main kuch nahi samajh paa raha tha ki zindagi ne kismat naam ki is cheez se insaan ko kaise baandhe rakhaa hai..asal mein is kahani ka asli kirdaar kismat hi tha..aapka mera hum sab ka kismat hi lekhak hota hai hum aur aap toh bas ooske story ke characters hote hai...zindagi mein kuch galat hona ya accha hona..matlab jis natak mein hai oos kahani ka modh likhaa jaa raha hai...aur agar koi mar jaaye toh oose samajh jaana chahiye ki kismat ne ooski kahani complete kar di hai...chahe oose manzur ho yaa na ho..hum zindagi ko paheliyo ki tarah chalate hai...isse hamara.zindagi ka raasta do pal ke shaant ho jaanta hai..jab hum hopelss ya zindagi se haar maan jaate hai toh koi hamare paas aakar ya kahein toh apna koi aakar aapko aapke lakshay se introduce karaye paheliyo se...thodha complicated zarur hai is zindagi ko samjhna...par ye sali zindagi aapko samajhne ke liye gehraaiyo mein dhakelti jaayengi aur jab aap jaannege is zindagi ko tab tak...kabar mein mitti ke andar dafan ho chuke hai yaa fhir oopar waale ke ghar pahuch chuke honge....

khair kismat ne mere saath bhi aisa hi khela..ek pal ke liye ek larki ka meri zindagi mein aana..aur fhir mujhe beintehaa pyaar karna...main isi soch mein dubaa tha...jab aankhe khuli toh thandi hawao ke saath ek gehri angraayi li...cheryl bhi ek chote bachche ki tarah mere god mein chupp kar so chuki thi...main oose uthane ki koshish ki...aur oosne jhat se apni aankhe khuli..humne ek dusre ke aankho mein aankhe daalke kaafi dair tak yuhin baatein ki..aur fhir jhat se apne hontho ko satakar ek chumma liya...hum dono uth chuke they nashta kiyaa college ke liye ready huye aur ek dusre ko haath ko pakadkar ooty ke sadko par nikal gaye...aane jaane waale log bahut hi kam they..thand ki chadhar odhey haryali charo taraf faili huyi thi..hum paidal chal rahe they...wahan par ek orphan bachcho ka schoool tha..jahan se dhairo pyaare chote chote bachche hum dono ko haath pakre huye dekh haste...naa jaane in chote badmaasho ke dimaag mein hamare liye kya baatein chal rahi thi...cheryl ne meri taraf dekhaa...aur kaha kitne pyaar bachche hai...maine kaha haan woh toh hai...cheryl ne kaha kaash haamre bhi acche aise ho...main ek pal ke liye ruk sa gaya...hosh ko sambhaala..aur muskurane lagaa

main - tumne itne dur ki kyu soch li..?
cheryl - kyu sochna koi galat baat hai kyaa??
main - aisa nahi hai cheryl sochna galat nahi hai..arre baba pehle main apne pairo par kharaa hokar tumhare parents se tumhara haath maangunga..toh oonhein bhi lagega ki oonka damaad koi aira gaira gareeb larka thodhi hai jo meri beti ko khast degaa..
cheryl - pata hai tum mujhe kaafi pasand ho mere parentss umm oonhe bhul jao..pls oonke baarein mein zikar nahi kiya karo...jab main sirf 12 saal ki thi oonhone mujhe kitna ignore kar diya...jaise dil se kaantkar hi faikh diya..

cheryl ke aankho mein aansu umadhne lage..maine oose chup karaya...aur meethi baaton se ooske chehre par muskurahat laayi..college aaye..sabki nazar humpar thi..hum apne class mein baithey..ek dusre ka haath pakre..padhai par dhyaan dene lage..padhai over huyi toh..canteen gaye..yahan se shuru huyi woh jung

main - cheryl coffe lo..
cheryl - thanks ali..
main - it's ok..lekin tum apne parents ke baarein mein aisa kyu sochti ho? woh tumhari zarur care karte honge..
cheryl - jitna tumhe pata nahi ootna kehna bhi nahi chahiye...ali they are disgusting..mujhe nahi chahiye maa baapp i hate them...
main - accha theek theek hai calm down coffee piyo nahi kahungaa....lekin cheryl ko dekhke aisa hi lag raha tha ki woh kisi barey sadmein thi..ooska gussa iss baat ka gawaah thi ki woh ek jhtke mein hi badal si gayi

woh ek gusse waali violent si larki lagi..oosne meri taraf dekhaa..main bhi oose dekhe jaa raha tha...tabhi ek siti ne mere soch ko todha..meri nazar daaye khare oon boys par pari..jinki nazar cheryl par thi...

pehla larka - bhai sss kya maal hai bhai? vilaayti hai bhai...
teesra larka - aye chup zyada bol mat dekh nahi raha uljhi huyi hai..

cheryl - oonhein dhyaan mat do ali plss....cheryl ne mera haath pakra...
main - but cheryll
cheryl - ali kutte log hai inke munh mat lago..chalo yahan se chalte hai..

chautha larka - ss oye makhan oosmein kya rakha hai hum jaise larko ko bhi dekh liyaa karo...
cheryl - shut up you son of a b****....CHALO ali yahan se...cheryl ne mere baazu ko pakra aur tezi se wahan se niaklne lagin

pehla larka - oye gaali kisko deti hai saali..

mere gusse ka tikhana nahi raha...maine apni mutthi ko kassa..aur cheryl ke hatth ko chodhkar oon larko ke kareeb jaane laga...larke bhi chaudhey hokar saamne kahre ho chuke they...cheryl kaafi chillaa rahi thi par laakh cheekh ke baad bhi meri nigaah ooski taraf nahi huyi...maine jaate kesaath pehle waale larke ke girebaan ko kaske pakra..aur khaich ke ek ghussa..ooske pait par utaar diya...woh wohi apne pait ko pakra..baith gaya.

main - haraamzaade teri himmat kaise huyi meri dost ko gaali dene ki
dusra larka - saale teri toh maaro saale ko

woh toh jaise mujhpar haavi ho gaye...cheryl chekh pari...lekin main kahan haar maanne waala tha...sidhe ek round kick piche waale larke ke main point pe lagin..aur sidhe dusra ghussa...mere bazu ko pakre larke par laga..main gusse mein pagal ho raha tha..maine zor se ek mukka sidhe chauthey larke ke chehre par utaar diya..aur fhir saamne waale larke ke taango se oose uthate huye sidhe zameen par patak daala..woh toh jaise hi dard se tadap utha..woh log bhi garaz kar barse they..kaafi haatha paayi huyi..laat ghusso ki barsaat huyi aur cheryl ke aankho mein aansu they..woh bas darr se wohin jammi huyi thi..main bhi buri tarah maar khaa chukaa tha...lekin oon kameeno ko bina chodhey main haar bhi nahi manne wala tha..ghutno se maar maar kar ek hi toh haalat hi bigaadh di ek ke sar par sidhe gamla de maara..ooske chehre se toh khoon ki baarish hone lagin...jis larke ne comment paas kiyaa tha woh langdhate huye bhaag raha tha...maine sidhe ek zor ki laat ooske peeth par jamaayi aur ek kasske mukka ooske reed ki haddi ko lagta huyaa dhass gaya..ooski saansein atak gayi

khair mere chehre ke kayi jagah kat chuke they...last mein college ke authorities aayi..humhe chudhwaya gaya...aur mujhe college se 2 hafte ke liye rusticate kar diya gaya ..because maine oon logo ki haalt bahut buri kar di thi..cheryl ne mere is junoon ko dekha..toh bas dekhti hi rahi mere haath chil chuka tha..wahan se khoon tapak raha tha jise dekh cheryl mujhe college se le gayi...sab uljhi huyi nazro se humhe dekh rahe they..kyunki maine aisa kabhi kisi par haath nahi uthaya tha..cheryl ne kamre mein aakar meri malham patti ki aur mujhe kamre mein bistar par laitaya...

chryl bas chup chaap khair mujhe dekh rahi thi...

cheryl - tumne oonhein itna kyu maara?
main - because they deserved that..galti meri nahi oonki thi..aise larkiyo ko chedhta hai toh mera khoon khaul uthta hai..oopar se oonhone tumhe gaalt kaha
cheryl - itna pyaar karte ho mujhse..
main - haan aahhh ss
cheryl - dard ho raha hai..
main - haan ssss lagta hai haath ki nass chadh gayi...
cheryl - oos kameene ko main chodunga nahi jisne tumhare haath par aisa waar kiyaa..
main - cheryl it's ok college authorities ne oonhein sazaa de di hai..woh college se rusticate kar diye gaye hai..
cheryl - par hum kab tak chup rahegne main tumhe is haalat mein dekh nahi paa rahi tum aaram karo...main dawaai laati hoo
main - thanks cheryll..
cheryl - sshhh

cheryl wahan se uthkar kamre se nikal aayi par ooske chehre par ek kaatilana gussa saaf jhalak raha tha..ali apne aankhe band kiye so chukaa tha..par cheryl ooske dimaag mein kuch chal raha tha yakeenan kuch khatarnak
..
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #10 on: August 10, 2012, 11:06:37 AM »
ali apni aankhen mundkar nind ki aagosh mein dub chukaa tha...badal ke gargarahat ke saath..suraj bhi ab chadhar odh kar dub jaana chahta tha..shaam ka andhera chaa saa raha tha..

ek shaks apne ghar mein baithaa beer ki chuskiyaa le raha tha..aur apne zakhm par barf se saikaayi kar raha tha..woh har baar dard se bilbilaa uthta...ye wohi shaks tha jisne college mein subah mein cheryl ko chedhne ki koshish ki..toh ali ne bhi oose accha sabak sikhaya tha..

deepak - saale ne aise maara hai aahhh...bastard dekh lungaa oose..aur oos chidhiya ko bhi..saali vilaayti ek baar mil jaaye toh saali ke par todhungaa acche se...aahhhh oye nahi yaar sun kal college nahi aa paungaa...abey bahut dard ho raha hai theek hai phone rakh...saale ki wajah mere dost hospitalised ho gaye...saale ko aisa sabak sikhaaungaa ki saath janam tak mere naam se kaanpenga...

deepak apni soch ki kashmakash mein duba huya tha ki itney mein ghar ki ghanti baj uthi...deepak sidhe darwaaje ko kholne uthaa..aur jaise oosne darwaja khola..ooski aankh maano phat si gayi lekin fhir gusse ki leher bhi daud si gayi...

deepak - tum yahan...
cheryl - kyu ? ab bhi naraz ho...cheryl ne apne gale par se apne haath ko ghumaate huye kaha
deepak kuch samajh nahi paa raha tha..woh cheryl ko bas hakka bakka dekh raha tha...

cheryl - sorry baby zyada zor se toh nahi lagi naa tumhein
deepak - tum yahan?Huh?
cheryl - uff my god tum indians kitne cute hote ho..c'mon let's get in..
deepak bas oose dekhe jaa raha tha..ki itney mein cheryl ne ooske bazu ko pakra..aur darwaje ko laat se lagate huye oose kamre mein dhakel diyaa

deepak bas hairaan tha..ooski kuch samajh nahi aa raha tha..

cheryl - jaanti hoo tumhein maine jo kuch bhi kaha i am really sorry about that..waise bhi tumhari wajah se ali ko bhi toh kitna hurt huyaa...
deepak bas chupchaap gusse se idhar udhar dekh raha tha..

cheryl - par tumne jitne hot ho sexy ho utna toh ali bhi nahi hai..kya tum mujhse friendship karoge...

cheryl deepak ke saamne khari ho gayi...
cheryl - pls baby..cheryl ne apne top ko utaar dala...

deepak toh jaise khsuhi se pagal ho gaya..woh cheryl ke jism ko ek bhooke jaanwar ki tarah ghurr raha tha..cheryl ne apne pait par haath fhairte huye kaha kya tum mere boyfriend banoge??

depak - haan haan yes i will...tum toh waise hi hot ho..tum mujhe choose karti oos ali ko chunne ki kya zarurat thi aakhir ek dusre ki help karna chahiye..

cheryl - toh fhir mere kareeb aao udhar kyu khadhe ho...deepak cheryl ke kareeb aane laga...cheryl bhi ooske gale par apnaa haath fhiraane lagin...aur fhir ooske gaal par chummne lagin...deepak toh saari dushmani bhulaakr oose bas pyaar karna chahta tha...cheryl ne apne aankho ko ek dum se kholaa..aur cutter se ooske peeth par ragad diya..khacch..aaaaaaaaaah aaaaaaaaaaahhh

deepak cheryl se alag ho kar sidhe zameen par gir gaya ooske peeth kat gaya tha ooske peeth se khoon nikalne laga..cheryl niche huyi aur ooski taraf gusse bhari nazro se dekhne lagin...

cheryl - tumhari himmat kaise huyi ? mere ali ko gaali dene ki tum nahi jaante how much i love him Huh?..tum kutte mujhse pyaar karna chahte ho..toh dekho meri deewangi...cheryl ne apne heel sidhe ooske peeth par de maraa.ooske ghaav par lagte hi machli ki tarah deepak tadapne laga...

deepak - aahhhh aahhh s..sa..aali you bi***...
cheryl ne piche mudhkar dekhaa...
cheryl - kya kaha tumne mujhe you DirtB*G...Bastard...yaaaa

cherl ne cutter liyaa aur ooske hath par chalaa daala..ooske haath se khoon aane laga..cheryl ne tv ko off kiyaa...aur ooska cable kholkar..deepak ke paas leke aayi...oosne deepak ke gale mein taar ko kasske bhaand daala...depak chkeehne laga...cheryl ne kaske ooske gale mein taar ko daba dala...ooske aankho laal hokar aansuyo se bhar gayi aur munh se thook nikalne lagaa..cheryl ne kasske ooske sar ko diwaar pe maara...deepak ab behosh saa ho gaya tha...

cheryl - aaj ke baad ali ke taraf dikkhe bhi toh isse bhi bura hashr karungi..aur agar tumne fhir kabhi meri taraf aankh uthakar dekha..toh tezaab se tumhara munh jalaa dungi...deepak behosh ho chukaa tha..cheryk muskurate huye waapis tops ko pehenkar wahan se nikal gayi...

ali ab bhi so raha tha..oose aahat si lagin..toh oosne jaldi se batti on ki aur bistar se uthkar piche dekhne laga..

ali - cheryl tum kahan gayi thi?
cheryl - kuch nahi meri friend se milane..
ali - jahan tak mujhe pata hai you don't like your friends
cheryl - bas aise hi...cheryl apne baalon par haath fhairne lagin..

ali ki nazar ooske haath par laal nishaan par pari..ali ne uthkar ooske haath ko thaama..aur nishaan apne ungliyaa fhairne laga...

ali - ye sab kya hai cheryl ??
cheryl - ohhh jab tum ladh rahe they toh..tumne meri kalaayi ko chodhne ke liye kaske dabaayi thi...
ali - oh uff i am so bastard...ali ne apne haath par maara...toh cheryl ne ooske haath ko kaske pakad liyaa
cheryl - ali pls calm down yourself..you gonna bhi fine..itna stress mat lo itni fikar mat karo...
ali - ek tum hi toh ho jiski main fikar karta hoo..
cheryl - sach mein...
ali - toh aur nahi toh kyaa???

cheryl ali ke jism se lipatgayi ali bhi oosse lipatkar oosse aankho mein dekhne laga...cheryl jhat se ooske seene par sar rakhkar lait gayi..aur ali ooske baalon par haath fhirane laga...cheryl ki aankhen ek dum se bhar aayi..aur hontho par ek khatarnak muskurahat chaayi jo shayad oos deewangi ki shuruwaat thi..jo ali ko tufaan ke saaye mein kheenchne lagin thi...
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #11 on: August 11, 2012, 04:39:08 PM »
agli subah...deepak ke ghar ke charo taraf bheedh thi..jismein kuch log aas padhos ke they..kuch naukar..aur kuch deepak ke college ke friends...aur ooske parents bhi ek jagah khadhe apne bete deepak ko ambulance mein laitte huye dekh rahe they...

policewaalo ki ek bheedh umadh chuki thi..jahan constable puchtaach kar raha tha..aur dusri taraf inspector deepak ko behosh jism ko ghurr raaha tha..

constable - saheb ye larka paas hi ke ooty college mein padhta tha..saaheb dr ka kehna hai he is totally goes in the coma..
inspector - yaani aapsi dushmai huyi hogi itni buri tarah peetna...jaise maano koi pagalpan ho...koi sabut milaa...aise kaise huyaa??
constable - jahan tak in padosiyo ka kehna hai ki deepak ek badmash type ka larka tha saaheb aur dushmani honaa toh munasib hai...saaheb iske maa baap ghar par nahi they..even iske dost yaar bhi hospitalised hai..ya toh koi ghayal hai..
inspector - unhe kisne maara??
constable - saaheb woh kal college mein iska jaghdha huyaa tha oos larke ke sath..shaam ko kaun ispar hamla karke chala gaya pata hi nahi chala...
inspector - hmmm tab toh oos larke ke ghar jaana hogaa jeep nikaalo..deepak ke hosh ke aane mein chances behad kam hai...

udhar ali bhi tayyar ho chukaa tha aur apne dusre haath mein lagi patti se woh apne haath ko zyada ghumaa fhira bhi nahi raha tha...tabhi darwaaje par dastak huyi...ali ne dheere se utha..aur darwaaje ke paas aakar oosne keyhole se bahar jhaanka...oosne hairaani bhari nazro se socha aur darwaja kholaa...

saamne kharaa inspector aur ooske piche do hawaldaar they....inspector ki nazarein oose hi ghurr rahi thi..tabhi bathroom se nikalte hi cheryl ki nazar police par padi toh woh chaunk pari..aur apne aankho ko ali ki taraf modhkar dekhne lagin...

inspector - hmmm ruskat ali tumahra naam hai???
ali - ji sir..kahiye..
inspector - aapko ye chot kaise aayi??
ali - sir kal woh college mein kuch lafango se fight huyi thi...
inspector - aur isliye tumne oose itna maara...ki woh coma mein chala gaya...
ali - sir ye aap kya keh rahe hai??..meri kuch samajh mein nahi aa raha...sir meri aap haalat dekh sakte hai main kaise kisi ko maar sakta ho...
inspector - kal raat tumne deepak ko ooske ghar par jaake jaanse maarne ki koshish ki aur naakam huye toh oose comaa mein daal diya
ali - sir what nonsense i am innocent main kal raat uth kar kharaa hone ke kaabil bhi nahi tha..aur sir meri aisi haalat ke bawjud main oose kyu marunga...authorities ne mujhe college se rusticate kar diya hai...maanta hoo oosne meri gf ko bura bolaa isliye meri fight huyi par trust me maine oose nahi maara..chahe toh aap college waalo se puch sakte hai...

inspector - theek hai ruksat..tumpar wishwas karta hoo..par agar mujhe yakeen ho gaya ki woh tum they..toh anjaam ke liye tayyar rehnaa..
ali - maine jab kuch kiya nahi toh main oose kaise maar sakta hoo?...even main toh kal puri din apne friend ke saath tha...
cheryl - haan ali sahi keh raha hai..main kal iske saath pure din thi...even ye bechara kaise oose itni berehmi se maar sakta hai..believe us sir...

inspector - aapki taareef
ali - my roommate sir..
inspector - hmm......inspector ne dono ko ek baar ghurraa..aur fhir waapis apne jeep pe baithkar..wahan se nikal gaya....

cheryl maasum nazro se ali ko dekh rahi thi..aur ali khoyi huyi soch mein dubaa cheryl ko dekhta aur fhir kabhi idhar udhar dekhta...aakhir deepak ko maara kisne hogaa???

ali waapis apne bistar aakar lait chukaa tha...

ali - pata nahi kal raat aakhir huyaa kya tha??...kahin ye inspector mujhpar na shak kar baithey..
cheryl - kuch nahi hogaa believe me...jab tumne kuch kiya hi nahi toh fhir guilt hone ka sawaal hi nahi hota...
ali - cheryl main down sa feel kar raha hoo.. i need some fresh air..main ghumna chahta hoo...
cheryl - alright i will come with you ...

ali bas isi soch mein dubaa tha ki aakhir aisa huyaa kaise ???jabki cheryl ooske chehre ko padhke bas muskura si rahi thi...

ali cheryl ke haath ko thaamkar ....suhaane mausam ka jaayeza le raha tha...aur cheryl ki nazar oospar hi gadi huyi thi...

cheryl - kya soch rahe ho ??
ali - itna sabkuch ho gaya toh dimaag par tension toh haavi hoga hi naa
cheryl - don't worry ab toh tum theek bhi ho jaaoge..aur fhir hum dono ek hai toh fhir tum darte kyu ho??
ali - sach mein,...

cheryl - main soch rahi thi ki kyu na padhai over hone ke baad...main tumhe leke america jaoo..aur hum wahan hamesha hamesha ke liye rehne lage...
ali - but cheryl wahan main main kya karungaa??
cheryl - wahan hum azaadi se ghumenge...apna ghar hogaa...paisa hoga...aur hum dono ek saath honge..jahan koi humhe na rokega na tokega...
ali - cheryl tumhare liye aasan hogaa..par meri family itna paisa efford nahi kar paayegi...
cheryl - don't worry about that..paise ki fikar mat karo...aur waise bhi ootne saal ke baad tumhare paas job bhi hoga..aur educate bhi ho jaoge...aur main usa ki hoo..toh tumhein green card mil jaayega and then..tum fhir ek us citizen ban jaoge...
ali - waahhh kya soch rakhi hai..lekin kya hum in shaandar palo ko jeelein..kyunki udhar jaakar hum in haseen waadiyo ko miss zarur karenge..aur hamare shaandar lamho ko bhi...
cheryl - haan zarur meri jaan...

cheryl ali ke hontho par apne honth rakh chuki thi...dheere se ali ne cherl ke hontho ko chumma shuru kiya...cheryl bhi gehra chumban lene lagin...ali cheryl ka haath pakre...ghar aa chukaa tha...

ali ne apni shirt ko utaar faikha...cheryl apne jism se kapro ko ek hi jhatke mein alag kar chuki thi...ali bhi is ooski aankho mein jaise kho chukaa tha...cheryl ne apne haatho ko ali ke seene par fhiraya..aur fhir ooske haath par lagi patti par apne haath ko rok liya...ali cheryl se lipatchukaa tha..dono ek dusre ko chummne mein zindagi ko bhul chuke they..aur kab bistar par ki aagosh mein chale gaye..pata hi nahi chala...bas jo dikh sakta tha woh tha..cheryl aur ali ka jism jo ek dusre se lipatkar apne pyaar ko aur bhadhka raha tha...dono ke haath ke dusre se mil gaye..
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #12 on: August 13, 2012, 04:43:02 PM »
subah jab aankhen khuli toh hamesha ki tarah khud ko cheryl ke gore jism se lipta dekhaa...jabki mera jism thodha brown tha..ho bhi kyu naa woh ek us ki mallika aur main hindustan ka jawan larka..khair aaj bhi nayi subah  sunny naa jaane kitne aur haseen pal bikhregi yaa kuch dino ka andhera waapis odh legi...mere zehan se ye baat ab bhi nahi nikal paa rahi thi..ki deepak par attack aakhir kisne kiya...maano mere liye koi kisi jaan bhi le sakta hai...aisa toh mere sath kabhi nahi huyaa..

apni kashmakash mein main bas dubaa hi tha..ki cheryl ne apni aankhen meri taraf karte huye meri taraf karwat li...main oose apne seene se laga chukaa tha...hum dono ke jism pure nange they..bas chadhar dhak odhi thi hum dono ne...

cheryl - ali kyaa Huh? are you still deppressed??
ali - no..soch raha hoo boriyat kaise mitauu...college mein toh jaa nahi sakta..upar se ye haalat..uff..
cheryl - lao zara apnaa haath dikhaaoo...oh bas thodhi bandages ki zarurat hai..waise ab kaisa feel kar rahe ho..
ali - much better..cheryl chalo zara mujhe nahane do..
cheryl - woahh woaah wait..
ali - what?

maine ooski aankho mein jhaanka toh main samajh chukaa tha ki aaj cheryl kuch zyada pyaar mein dubi thi..main ooski aankhen padh chukaa tha..isliye binaa wait kiye oose apni goad mein utha liyaa..woh toh jaise chilla pari..oosne mere haath ko kaske pakra tha..haath mein dard hone ke bawajud bhi maine oose apne god mein lekar bathroom ki taraf le chukaa tha...aur oose dheere se farsh par khara kiyaa...oosne toh jaise mere jism ko daboch hi liyaa tha..maine ooske hontho ko apne hontho mein leke chumma shuru kiyaa..hum dono ka chumban behad gehra ho chukaa tha...main jhat se niche ki or khishkaa aur ooske kameez ko upar kiye..ooski naabhi ko ek baar chumaa..toh woh jaise sihar hi uthi..oosne mujhe upar ki or laaya aur mere hontho ko fhirr chummna shuru kiyaa lagbhag kayi waqt toh ham ek dusre ke hontho se khelte rahe...fhir tab jaakar nahana shur kiyaa...sheeshe ki dhudhlaahat mein..cheryl aur mera jism ek saath lipta huyaa tha..aur paani ki bunde hum dono ke upar gir rahi thi...cheryl kaa haath sheese par takraaya....aur khiskate huye niche hone laga..

main nahakar bahar nikla...cheryl ready ho chuki thi...tabhi meri nazar..cheryl ke piche maze par rakhi cutter par pari...mujhe kuch azeeb sa lagaa..lekin maine woh nazar andaaz karte huye...cheryl se baatein karne laga...

cheryl ka bartaav kaafi khushnuma tha..maano jaise kabhi oose kisi baat ka dukh hi na ho..aur ye tab hi hota tha jab woh mere kareeb hoyaa karti thi..lekin sach jaldi hi saamne nikal aaya...

cheryl kisi kaam se bahar gayi thi aur main apne kamre mein aaram kar raha tha..maine oos cutter ko uthaaya..aur jaise oose bahar kholaa..toh toh oospar kuch peele peele nishaan they..jise gaur se dekhne sa laga maano koi khoon ki bund ho..maine halke haatho se cutter ko chuyaa toh mere ungli kat gayi..aur oosse khoon behne laga..maine cutter ko faikhaa..aur ungli par dettol lagakar bandage kiya..maine waapis oos chaaku ko dekha...

ali - ye itni tez kyu hai??...ye khoon ki bund hai..matlab...mere zehan mein saari baatein ghumne lagin...maine khud ko jhanjhoda..aur cheryl ka intezaar karne laga...

cherl jab kamre mein aayi...toh mere haatho mein cutter dekhkar woh toh jaise gum si ho gayi...

ali - cheryl ye sab kya hai..?
cheryl - tumne apni ungli ko oh my god let me see this..
ali - nahi cheryl mujhe mera jawaab chahiye..what the hell is this..ye cutter itna tez kyu hai..even mere paas toh ye nahi tha..aur ye ispe lagaa dhabba..ye toh khoon jaisa hai...kya tumne hi?Huh?
cheyrl - ali kya tum mujhpar shak kar rahe ho???
ali - nahi cheryl main aisa oh my...tumne aisa kyu kiyaa?? tumne deepak ko maarne ki koshish ki jaan se maarne ki..

itna kehna tha mere liye ki cheryl zor zor se rone lagin...aur woh bistar par baith gayi..ooske kajal paani mein ghulkar chehre se behne lage...aur woh meri taraf dekhne lagi..
main bas oose sawaal bhari nazro se dekh raha tha..

ali - kyu cheryl? aakhir maine oose maar toh diya tha..
cheryl - ali he hurt you...oosne tumhare haath ko chot pahuchayaa..tumhara khoon bahaa..main dekh nahi saki..toh maine oosse badla liye and he deserved it..

main bas ooske is behave se ekdum hairaan tha..ooske chehre par woh pagalpan junoon deewangi...ooski aankhen kitni bhayanak thi..lekin main bahut dur pahuch chukaa tha...

maine oose relax kiya..aur police ko kuch naa shak hone ki hidaayat di..

ali - koi baat nahi cheryl tumne mere liye kiyaa i love you so much..but fhir kabhi aisa darwana kam mat karna..
cheryl - thank you ali

cheryl mere gale lag gayi..aur main bhi muskurakar oose lipat chukaa tha...lekin cheryl ki aankhen toh maano ekdum khaufnak si ho gayi thi...
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #13 on: August 16, 2012, 05:53:08 AM »
dil ki aashiqui mein ab tak aapne padhaa ki kaise ali ki nafrat ko mohabbat mein banne mein deri nahi lagin...naye jagah mein ek nayaa saathi oose mila...jiska naam cheryl tha..ek gori mem jo beinteha ali ko pyaar karti hai...par ooske dil ka pyaar pagalpan aur deewangi se bharaa huyaa hai...jiski wajah se ali ko musibat ke ghere mein aana padha...lekin ab tak toh ali ne sirf ooska pyaar dekhaa tha...kya woh ooske dil ke dusre taraf ke hisse ko samajh paaya...

kareeb do mahine beet chuke they...cheryl aur mera rishta..pyaar ke kaafi hadtak badh chukaa tha..zindagi ne waapis khushi ki chaadhar odh li...din bhar pyaar..shaam ko ghumna fhirna..pura waqt cheryl ke saath bitata..aur fhir raat ke thand mein cheryl mujhse lipat jaati..

papers bhi nazdeek aa chuke they..main toh padhai karne lagaa tha..lekin cheryl ooska dil toh bina pyaar aur maujmasti ke rehta hi nahi tha..oose apne aage ka dar nahi tha..bas darr tha toh sirf mujhe kho dene kaa..lekin main bhi kya kar sakta tha..pyaar ek taraf..aur kaam ek taraf...agar pyaar mein hi zyada dhyaan dungaa..toh shayad aage ki problems badh jaaye..aur agar padhai mein dhyaan deta..toh woh mujhse naraz hokar ruth jaati...

khair aise hi do mahine beetey...aur fhir shuru huyaa pyaar ka dard...

cheryl mujhse lipati thi..aur hum apne aage ke baarein mein soch rahe they..

cheryl - ali kya tum sachmuch mujhse pyar karte ho?
ali - bahut cheryl..
cheryl - toh fhir tum mujhse shaadi bhi karoge?
ali - obviously..main tumse shaadi bhi karunga..
cheryl - kab karoge? batao naa pls..

ali - dekho cheryl main zindagi ko gehraayi ke panno se padha hai..ismein jitna khushi hai ootni hi taqleef shaadi ek zimedaari hai cheryl..aur main toh abhi ek immatured baap ke paiso par palne wala bachcha ho..lekin mujhe kuch banna hai...cheryl main itna kamana chahta hoo..ki hum dono khushi se rahe...ab ye mat kehna tum meri help karogi..toh ye boyfriend kis kaam ka jo tumhe ek diamond ring tak nahi de sakta...

cheryl mere aankho mein jhank rahi thi aur mujhe kaafi dhyaan se dekh rahi thi - lekin ali mujhe tum pasand ho zindagi mein hero se zyada important tum ho mere liye..hum graduated hoke..us aaram se rahenge..aur fhir tum paisewaale bhi honge..

ali - nahi cheryl itna aasan nahi hai...kitne dhakke khaane padhte hai..main pehle kuch banna chahta hoo..ooske baad tum aur main hamesha saath rahenge..mera waada hai woh ek din aayega jab main tumhare paas aakar oon americans ke saamen tumhara haath mangunga..aur dekhna tab oonhe realise hogaa ki har indian ek jaisa nahi hota..main sirf ye kehna jatana chahta hoo ki videsh mein shaadi karke kisi ko fasana aur green card le lena..ye bahut galat hota hai..tum ek insaan ko hurt karte ho..aur ye kaise bhul sakte ho ki jis shaks ko tum hurt kar rahe ho woh tumhara pyaar hai sirf chand paiso ke liye citizenship ke liye..apne parivaar ke liye pyaar ko chodh dena..main aisa nahi kar sakta..lekin main tumhara saath nahi chodhunga

cheryl - kya tum sach mein mujhse itna pyaar karte ho?...
ali - apne aap se bhi zyada...
cheryl - oh my baby...cheryl mere gale lipat chuki thi.,.ooske aankho mein aansu ghul gaye....

cheryl ko wada toh kiya tha..lekin main kaise oose palunga..ek bara aadmi banaa mehnat ka kaam hai..is dil ki aashiqui ne mujhe ek pyaarwaala toh banaa diya..lekin asli zimmedari se main ghabra kyu raha hoo?...mujhe zindagi mein kuch banna hai..aur iske liye mujhe koi bhi raasta ikhtiyar karna hai...

cheryl ke bholepan ko main aise use nahi kar sakta..mere parents itne supportive nahi hai..woh toh bas aaye din ladhaai jhagdhe mein hote hai...fhir baad mein hum bachcho par apni zimmedari ka bhoj daalte hai..aise bahut kam maa baap hote hai jo apne bachcho ko samjhte hai agar maa samajhti hai toh baap nahi..

main aur cheryl 1st year pass kar chuke they...hum mujhe zindagi ko aage badhane ke liye job chahiye tha...cheryl is baat se shayad mujhse khush nahi thi..kyunki oose harpal ye darr satata tha ki kahin main oose chodhke chala naa jaoo...ek din ki baat hai

cheryl - ali...alii stop it..
ali - kya huya cheryl ??
cheryl - tum mujhe ignore kar rahe ho..
ali - kya bol rahi ho? main waqt toh tumhare saath guzaarta hi hoo...isse tumhe kya problem
cheryl - bahut hai tum kaam par zyada dhyaan dete ho hafte mein do baar hi hum bahar jaate hai kya tum apna waada bhul gaye
ali - cheryl kaisi baatein kar rahi ho? main apna waada bilkul nahi bhula aur ye sab toh main hum apne bhavisha ye liye toh karrahe hai...main ek accha independent job wala larka banna chahta hoo..jisse hamari zindagi sudhregi..
cheryl - tum pagal ho..
ali - fine tumhe problem hai toh main ye laptop ka kaam bahar jake karta hoo

cheryl ne koi jawab na diyaa toh main bahar nikal gaya..garden mein baitha main laptop par kaam karne laga...kitni badal chuki thi cheryl kyu? kya woh jaanti nahi ki zindagi ki raah itni aasan nahi hoti main koi amir insaan toh nahi hoo..sirf ek gareeb strugglist hoo jo khud ko bheedh mein dhund raha hai...lekin ye toh shuurwaat thi cheyrl aur mere beech ki duriya badhne lagin thi...
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #14 on: August 17, 2012, 01:58:12 PM »
Cheryl aur mere beech ki duria badhni shuru ho gayi thi…pehle mere kaam se oose chidh hona fhir exam ke liye padhai mein lag jaana..woh jhoot mooth ka mere kareeb hoti aur kitaabein padhti sochti ki main oospar dhyaan doo…par kitaab ki duniya toh mujhe jaise kho jaana hota tha..aur jab main oosse baat karta toh who mujhse chidhti yaa baat nahi karti..kuch raatein hamari..yuhin kantnein lagin..kabhi main ooski taraf karwat leta toh ooske maasum chehre ko dekhta..lekin do naav par pao rakhna koi aasan kaam nahi hai…jab koi insaan aage chalne lagta hai toh oose peeche sabkuch bhulaakar bas chalte rehna hota hai…lekin jab rukkar piche mudhke dekhta hai…toh who itne aage nikal chukaa hota hai ki naa toh oose koi dikhta hai..aur naa koi apnaa oose nazar aata hai…aata hai toh sirf ajnabi log…

Main Cheryl ke liye kaafi pareshaan tha…lekin ooski diwangi who to aag ki tarah bhadhakne lagin thi…ek shaam main jab waapis ghar pahucha…toh kamre mein bahut andhera tha..main idhar udhar dekhaa…darwaja khula huya hai..koi hai bhi nahin…kahin Cheryl mujhe chodhke chali toh nahi gayi…main kaafi bechain ho chukaa tha…tabhi maine kisi ki cheekhen suni…main bathroom ki taraf bhaaga awaaz wohi se aa rhai thi…jab darwaja kholaa toh wahan khoon se lage who blades padhe they aur ek kone par Cheryl ka jism jiske harjagah par tez ghaav tha..cheryl ki aankhen band thi…aur Cheryl ke jism ke har jagah kate huye jagaho se khoon tapak rahe they..oosne bedardi se apne charo taraf ye ghaav banaye they…main bas chup tha..main jhat se Cheryl ko god mein uthaya aur oose bed par laitaya…ooske ghaav par maine cotton lagaya kuch dettol lagaye…doctor ko call karna..bahut bhaari padh sakta tha..kuch bhi ho sakta tha…cheryl ne khushkismati se apne nas ko nahi kaanta tha…par agar main police case mein fass gaya..toh mera career barbaad ho jaayega…ye waqt mujhe kuch hi handle karna tha…


Khair maine Cheryl ko hosh mein laaya toh oosne saansein zor zor se lene lagin…aur jab ooski aankhen khuli toh who mujhe bas ektak dekhti rahi aur fhir meri baahon mein lipatkar rone lagin..

Ali – Cheryl tumne aisa kyu kiyaa? Agar tumhe kuch ho jaata toh..
Cheryl – mujhe apni parwah nahi thi…tum mujhe waqt kahan dete ho..main apne gusse ko bas nikaalna chhati thi..isliye maine ye sab kiyaa
Ali – agar tumhe zyada hurt ho jaata toh tum mar bhi sakti thi…tumhare chakkar mein main bhi fassta ek toh waise hi Deepak ke case se police ki nok mujhpar hai tumhare is bachpane ne mujhe todh daala hai…bas bahut ho gaya..cheryl bahut ho gaya.

Tumne saari hadein par kar di bas ab mujhe akela chodh do…tum mujhe pagal kar rahi ho…tum mujhe main bas yahin chahta hoo…ki tum mujhse ye rishta todh lo..main tum jaisi larki ke saath nahi reh sakta…maine tumhe kitna samjhaaya tumhari is pagalpan ne meri zindagi barbaad kar di..ab Cheryl bahut ho gaya…main tumhare saath nahi reh sakta

Cheryl – nahi nahi tum aisa kyu soch rahe ho..hum ek saath reh sakte hai…khushi bhari zindgai…main tumhein apne palko se jaate huye nahi dekh sakti…pls don’t leave me…
Ali – no Cheryl bahut ho gaya…main bahut khush tha tumhare saath..woh har yaadein…sabkuch bahut khush tha main…
Cheryl – lekin tumne mujhse promise kiya tha..
Ali – main tumse shaadi karke jee nahi paunga…tum ek sanki larki ho…sirf apne chhahat ke khaatir tum mujhe barbaad karti aayi ho…tum bahut acchi ho..lekin mujhe tumhare saath nahi rehnaa…mujhe chodh do isi waqt..
Cheryl – kya keh rahe ho tum?
Ali – maine naa tumhe dhokha diya ..na hi maine tumhara faayeda uthaaya…agar jawani khoyi toh maine… tum yahan reh sakti ho..par main is kamre mein tumhare saath nahi jee sakta I am sorry…

Main wahan se uthkar dusre kamre mein chala gaya…lekin Cheryl toh bas chupchaap gusse mein mujhe dekh rahi thi…cheryl ne kaafi dair tak mujhe pukara…lekin main dusre kamre mein bahar nahi nikla…ooski rone ki siskiyaa mujhe baar baar bahar jaane par mazbur karti..lekin main apne kaleje par patthar rakhkar…bistar par lait gaya…

Agli subah meri nind khuli subah ki taazgi thi…lekin kal raat ke waaqaye ko yaad karte hi dil dhadhakne laga…maine darwaja kholaa..aur bahar nikla…

Ali – Cheryl Cheryl….

Maine idhar udhar dhyaan diya…par naa hi Cheryl wahan thi aur naa hi ooske kapre…mez par ek kaagaz ko dekhkar meri saansein ruk gayi…main jhat se wahan gaya ..aur kaagaz ko uthaakar padhne lagaa….

Cheryl – main jaan gayi maine kya kiyaa? Tumhe hurt kiyaa…tumhare dil ko dard diya..meri wajah se tumhe kitni musibat uthaani padhi…ab maine faisla kar liyaa hai…main tumhe aur nahi chot pahuchaaungi..woh yaadein ab mere saath harpal rahengi…main tumahri zindagi se hamesha hamesha ke liye ja rahi hoo…tum apna khyaal rakhnaa…shayad dhoka toh meri kismat ne mujhe diya hai..main tumhe kabhi nahi bhulungi…bas mujhe yaad mat karna…tumhari cheryl…

Mere aankho mein aansu aa gaye..aur khudpar gussa aane laga..maine wahan rakhha lamp uthaakr patak daala..woh tut chukaa tha…cheryl meri zindagi se jaa chuki thi..kahan hongi who kis haal mein hongi? Kahin ooske saath kuch nahi nahi..mujhe oose dhudhna hogaa who ek deewani larki hai..kuch bhi kar sakti hai…

Main jhat se ghar se bahar niklaa..aur daudhta huyaa…college gaya…college mein aate hi idhar udhar class mein har jagah oose dhundhaa…larkiyo se bhi pucha..par wahan Cheryl nahi aayi thi….

Ali – oh Cheryl tum ho kahan? Pls aa jaao…Cheryl…c

Cheryl ko idhar udhar dhudnhaa…train station bhi gaya…wahan Cheryl naam ki larki ka koi naam nahi tha…agar who station nahi gayi toh gayi kahan? Who maa baap ke paas toh nahi jaa sakti…oose apne maa baap bahut taqleef thi meri ek bewakufi ne oose bechari ko ghar chodhne par mazbur kar diya…sach mein main bewafaah niklaa…..airport bhi gaya jahan Cheryl ko hartaraf dhudnhaa…who jaa chuki thi…meri zindagi se dur…

Main rota huyaa bebas ghar aaya…oosne mujhe akelapan mein waapis chodh dala tha..bebasi..dukh…bistar par ooski kami mehsus hoti…nahate waqt ooske who jism ko main tarasta tha…ooski who baatein…sab ek jhatke mein ooski deewangi ne khatam kar daali…aur aaj oosko bhi…

Meri zindagi bheekar chuki thi..oos din ke baad naa toh main Cheryl se kabhi milaa..aur naa hi oose college mein dekha…main tut chukaa tha…kya huya hogaa ooske saath ?? kahan gum ho gayi who?

Main college mein ek kone par guitar bajata rehta…padhai mein mann nahi lagta khud ko oos bebasi se alag kar padhai mein dhyaan lagane laga..kamre mein bhi ooski kami mehsus hoti..bas oos letter ko padhkar khud ko aur bebas mazbur banana lagta..ab shayad who meri zindagi mein kabhi nahi lautegi..kabhi nahi…

             To be continued…….

Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 09:44:53 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.175 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer