Unknown Target...........masoom

by Masoom Shahzada on August 13, 2012, 03:29:02 AM
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11 12 ... 19
Print
Author  (Read 35692 times)
masoom shahjada
Guest
«Reply #105 on: September 22, 2012, 04:05:11 AM »
masoom jim
 aapki yeh kahani bahut achhi lag rahi hai, na na , abhi maine padi nahin hai bas mera dil yeh gavahi de raha hai ki achhi hi hai isliye samay (more than 2hr)nikaal kar shuru se abhi tak ek saath padna chaahoonga,tab tak aap likhte rahiye,
shubh kaamnaon sahit
ghansham das ahuja
Aapka bahut bahut sukriya ghansham das ahuja ji.
Mujhe intizaar hai, jab aap es story ko read karke comment karege.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
My mind sails, through an unknown sea! by abdbundeli in English
Na Kamal-e-Fun Hi Mila Mujhe - Not Mine (Shayr Unknown to me) by fernsk in Shayri-E-Dard
A shared poetry-writer unknown by tamanna1 in Share:Love Poetry
apnay badlay huway lehjay ki wazahat karna- Unknown by ghayal_shayar in Urdu Poets « 1 2  All »
saathoN ki kasoor ho geya--Unknown by ghayal_shayar in Pain in Love : Punjabi poetry
masoom shahjada
Guest
«Reply #106 on: September 22, 2012, 07:27:39 AM »
Update 35

Karan aur Chirag Blue Cottage ki talashee lene lage. Pore Cottage me tota-fota saman idhar-udhar bikhra para tha. Shayad marne se pahle es shakhas ki killer se achchi khasee bhirant hui hogi. Aur isi bikhre huye saman ki wajah se karan gir pada tha. Warna wo aadme jo yahaaN se bhagkar jangal me gum ho gaya tha. Kabhi bhi es tarah bachke nahi bhag sakta tha. Karan use jaror pakar leta. Par kisee cheej me thokar lagne ki wajah se Karan gir pada aur us aadmee ko bhagne ki mohlat mil gayee.
.
Ab Karan ne apne sathiyoN ko jangal me use talash karne bhej to diya tha par use yakeen tha ki uske sathi nakam hi wapas aayege. Thori hi der me Chirag aur Karan ne pora Cottage chaan mara magar unke hath kuch bhi nahi laga.
.
Karan soch raha tha ki wo bhagne wala shakhas kuan ho sakta hai. Wo informer to bilkul nahee ho sakta kiyoNki informer itna pagal to ho hi nahee sakta ki unhe khabar karke yahee Cottage me unka intizaar karta rahe ki kab Police aaye aur wo yahaaN se bhage.
.
Jabki Karan ko pora pora shak tha ki Kamal ke murder me informer ka hath hai. Aese me informer itna bara risk le es baat pe bilkul yakeen nahi kiya ja sakta tha.
Agar wo informer nahee tha to kaun raha hoga. Karan soch raha tha.
.
Karan isi soch me gum tha ki uska mobile ring karne laga. Karan ne dekha Call Sikandar ki thi.

...................
(Jaaree.....)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #107 on: September 22, 2012, 08:34:33 AM »
Update 36

Karan ne dekha Call Sikandar ki thi
.
"HaaN btao Sikandar wo number kiska hai" Karan Call pick karte hi bola
.
"Sir, ye number Sumit Verma ka hai" Dosri taraf se Skandar ki aawaz aayi.
.
"Tum Sumit Verma ki photo mere number pe send karo" Karan ne order diya.
.
"O.K. Sir, maiN abhi uski photo aapke number pe send karta hooN"
.
"Theek hai, maiN phone rakta hooN"
.
"Sir...Sir...Sir ek baat to suniye" Isse pahle ki Karan Call disconnect karta dosri aur se Sikandar jaldee se bola
.
"kya"
.
"Sir hamne Sumit Verma waale number ki location trace ki thi. Wo hame Police Station ke piche jo field hai usme se mila hai" Dosri aur se Sikandar ne Karan ke sar pe bam foda
.
"K..ky..kya kah rahe ho tum" Karan lagbhag chillate huye bola
.
"Jee Sir, apne hi Police Station ke field se hame ye mobile mila hai"
.
"WahaaN aas-paas tumne kisee ko dekha tha" Karan ne Sikandar se pocha
.
"Sir wahaaN aas paas koi bhi nahi tha"
.
"Theek se yaad karo koi to idhar-udhar se aa ya ja raha hoga"
.
"Sir jab ham field ki aur ja rahe the to raste me field se ASP Dev Sir aate huye mile the. Warna pora field khali hi para tha" thori der chup rahne ke baad Sikandar ne jawaab diya
.
"O.K. Chalo tum Sumit ka photo send karo" Etna kahkar Karan ne Call disconnect kar di.

...................
(Jaaree.....)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #108 on: September 22, 2012, 09:18:53 AM »
Update 37

Etna kahkar Karan ne Call disconnect kar di. Ab Karan ko apni bewakufee pe afsos ho raha tha. Ye sochkar ki informer ne apne mobile ko switched kar liya hoga. Karan ne us number pe call karne ki koshish nahee ki thi. Aur shayad ye baat informer janta tha jiska fayda uthakar wo apna mobile Police Station ke field me hi fek gaya tha. Par usne aesaa kaise kiya hoga.. Karan esi soch me gum tha ki tab hi uske mobile pe message aane ki ton bajee. Karan ne dekha Sikandar ne use MMS bheja tha. Jisme usne  Sumit Verma ka photo bheja tha. Aur Sumit Verma wo hi shakhas tha jiska kata huaa sar Karan ke saamne kursee pe rakhkha tha.
.
Yani ki informer sach kah raha tha. Eska matlab usne ab tak sab kuch sach sach bataya hai. We charo Criminals Kamal ke sathi hai, aur ye Sumit Verma Urf Red 001 en sabka boss tha jiska sambandh 7 Stars Gang se hai. Agar aesa hai to iski kalai pe bhi 7 number bana huaa hona chahiye
.
Karan aage bara aur laash ka dahina hath uthakar dekha , uspe kuch bhi nahee guda huaa tha.  Fir Karan ne uska daya hath utakar dekha. Uske daye hath ki kalai pe 7 number guda huaa tha.
.
Ab Karan ko yakeen ho gaya tha ki ab tak jo bhi informer ne unhe sab sahi-sahi jankari di hai. We charo Criminals hi jhot bol rahe hai.
.
Karan ko kahi se Mobile bajne ki aawaaj aa rahi thi. Karan ne gaur kiya to wo aawaz laash ke paas se aa rahi thi. Karan laash ki aour bara. Aur laash ke upar se kapra hatakar ek taraf ko fenk diya.

...................
(Jaaree.....)
Logged
mkv
Guest
«Reply #109 on: September 22, 2012, 09:19:42 AM »
aage
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #110 on: September 22, 2012, 10:35:23 AM »
Update 38

Karan ne laash ke upar se kapra hatakar ek taraf ko fenk diya. Mobile ki aawaz laash ki pent ki jeb se aa rahi thi. Karan ne laash ki jeb se mobile nikala aur uski screen pe number dekha. Karan ko wo number jana-pahchana sa laga.
.
"Hello" Karan bola
.
"HaaN Hello, kaun bol raha hai" Dosri taraf se aawaz aayi Karan ko pahchanne me der na lagi ki ye kiski aawaz hai.
.
"Sikandar Tum..." Karan ne hairat se kaha
.
"Karan Sir aap, aapke pas ye number kaise aa gaya" Sikandar bhi hairat se kah raha tha.
.
"Sumit Verma ki laash ki jeb se mila.. Par tumhe ye number kahaaN se mila" Karan abhi tak hairat me tha.
.
"Sir aapne raat jo number diya tha. Mene socha use bhi try karke dekh loN sayad switched on aaye." Dosri taraf se Sikandar ki aawaz aayi
.
"Eska matlab ye number Kamal ka hai"
.
"Jee Sir"
.
"Sikandar tumne un charo Criminals se unki kalai pe gude huye 7 number ke baare me nahee pocha tha kya" Karan ne Sikandar se pocha
.
"Jee pocha tha sir"
.
"Kya bataya tha unhone"
.
"Sir ek ne bataya tha ki wo 7 saal se es Gang me kaam karta hai. 5 saal pahle uske boss ne uske paas ek aadmee bheja jo uski kalai pe 7 number god ke chala gaya. Par uske boss ne ye nahi bataya ki usne uske hath pe 7 number kiyoN gudwaya hai. Bakee teeno ne bhi lagbhag aese hi jawaab diye the"
.
"O.K." Etna kahkar Karan ne Call disconnect kar di.
.
Aur Chirag se bola.. "Es laash ki talashee lo.. Dekho eske paas se aur kuch bhi milta hai kya" Karan ke kahte hi Chirag ne uski talaashee leni suru kar di. Par laash se aur kuch nahi mila.
.
Sumit Verma urf Red 001 ki eb se Kamal ke mobile se milne se ek baat to bilkul saaf ho gayee thi ki iska murder bhi informer ne hi kiya hai. KyoNki jab un chaar Criminal ke baare me informer ne Karan ko Call ki thi to number Kamal ka tha. Aur es baar uski Call Sumit ke number se aayi thi. Jisse saaf pata chalta tha ki informer ne Sumit ko maarkar Kamal ka mobile Sumit ki jeb me rakhkha aur fir Sumit ke number se Karan ko Call karke Sumit ke murder ke baare me information di aur fir Sumit ka mobile Police Station ke field me fek ke gayab ho gaya. Informer ki himmat pe Karan ko hairat ho rahi thi.
.
Par ab ek baat aur bilkul saaf ho gayi thi ki Blue Cottage se bhag ke jaane wala informer nahi tha. KyoNki jis time Karan yahaaN aaya tha us time informer Police station ke aas paas hi hoga.
.
Par wo informer nahi tha to fir wo kaun tha. Karan ke dimaag me ye sawal ghom raha tha.

...................
(Jaaree.....)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #111 on: September 22, 2012, 11:05:06 AM »
Update 39

Chirag ne laash ki talashee lene me use sidha kar diya tha. Laash ke pet ka halat uski kamar se bhi buri thi. Jispe najar padte hi Karan ke oore sarir me khauf ki kapkapi se daur gayi.
.
Laash ke pet se 7-8 jagah se gosat  ke chote chote tukre kaate gaye the aur unhe fir se uske jism se wahi chipka diya gaya tha jahaaN se we kate gaye the. Jaise tarboj ki fank kaatke fir se usee jagah chipka di jaatee hai. Chirag ne laash ko sidha kiya tha esliye 4 ya 5 jagah se gost niche gir gaya tha. Karan se wo laash na dekhi gayi. Wo aage bara aur wo kapra laash pe fir se daal diya.
.
Pore Cottage ki talashee to we le chuke the par abhi un do cars ki talashee leni baaki thi jo Cottage kr saamne khari thi. Esliye Karan aur Chirag un cars ke paas aa gaye. Dono cars ke door lock nahee the. Ek car ki talashee Karan lene laga dosre ki Chirag le raha tha.
.
"Sir, es car se mujhe ye lifafa mila hai" Karan us car ke andar ko jhuka hua tha. Use theek apne piche se Chirag ki aawaaz aayi.
Karan piche ghoma aur Chirag ke hath se wo lifafa leke khola. Usme se 3 safed rang ke lifafe nikle.
.
Karan ne pahle lifafe ko khola usme usme se Kamal ki 3 photos nikle.
.
Karan ne dosra khola usme se un 4 Criminals ki ek-ek photo thi jinhe unhone raat arrest kiya tha.
.
Ab Karan ne teesre lifafe ko khola.. Usme jiski photo nikli use dekhkar Karan ki aankhe fati ki fati rah gayi. KyoNki usme ASP Dev ki do photo thi. Chirag bhi ASP Dev ki photo ko bare dhayan se dekh raha tha.
.
Tab hi Karan ko apne sathi aate dikhayee diye.. We abhi bahut dor the.
.
Karan ne un photos ko lifafe me dala aur Chirag ko lifafa thamate huye bola.." Tum en photo ko lekar yahaaN se jaao. Aur enka jikar Sikandar ke alawa kisee aur se mat karna" Karan ne apni gaadee ki key Chirag ko de di. Chirag ek dam wahaaN se chala gaya.

...................
(Jaaree.....)
Logged
ahujagd
Maqbool Shayar
****

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
6 days, 1 hours and 34 minutes.
Posts: 842
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #112 on: September 22, 2012, 01:20:07 PM »
masoom ji,
raha nahi jaa raha hai:---
pahla page padne mein aa gaya hai itnaa mazaa
malum nahin aage aapne kya kya rakha hai sajaa
yeh kahani CID ko bhi takkar dene ke hai kabil
bharpoor piroya gaya hai kabhi pyaar kabhi kaza.

ab yaar age kahani padne do na shesh fir....
ghansham das ahuja
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #113 on: September 23, 2012, 12:05:49 PM »
mujhe toh fight scene ka intezaar rahega jab karan aakhir mein main villain se fight karegaa...anways story going great ye jasoosi kahaniyo mein no.1 pe hongi yoindia mein...
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #114 on: September 23, 2012, 06:06:15 PM »
Update 40

Ab Rajesh aur uske dosre sathi Karan ke najdeek aa chuke the. We Karan ke paas aate hee bole....."Sir hamne pora jangal chaan mara. Par hame koi nahi mila"
.
"Koi baat nahi.. Tum sab es Cottage ki talashee es tarah lo ki ek sui ke baraabar cheej bhi tumhari najro se na bach paye" Karan ne kaha.
.
HalaNkeee Karan khud Chirag ke sath es Cottage ki talashi ek baar le chuka tha. Par fir bhi usne ek baar aur talashee karwana achcha samjha.
.
Karan ki team apne kaam me lag gayi aur Karan usi car se tek lagakar kuch sochne laga. Jisme se Chirag ko wo lifafa mila tha.
.
Agar ye photo es car me informer ne rakhkhe hai to iska matlab saf-saf ye hi hai ki ASP Dev 7 Stars Gang ka member hai. Aur informer hame apne agle shikar ke baare me clue de raha hai. Ya wo hame Challenge kar raha hai ki Dev ko bacha sakte ho to bacha lo.
.
Aur jis tarah pichle do dino se Dev bimari ka bahana bana banakar Police station naam matr ko aa raha hai. Aur wo es kes me jayada intrested nahi dikh raha to ye bhi ho sakta hai ki wo khud hi informer ho. Ab wo en dono me se kaun hai ye to uski kalai dekhkar hi malom hoga. Karan soch raha tha.
.
Kareeb 30 minute tak Karan ki team Blue Cottage kee talashee leti rahi par unke hath kuch nahi laga.
.
Ab Karan ne laash ko post martem ke liye bhej diya aur Rajesh ko gaadee Shahar le chalne ko kaha. Shahar pahoNchkar Karan ne gaadee ek Mall ke aage rukwayi aur gaadee se utarte huye bola..."Rajesh tum RTO office jaao aur un dono cars ki detail lekar aao" etna kahkar Karan Mall me dakhil ho gaya. WahaaN se usne ek pyari si Jents Golden wrist watch karidi. Aur Mall se bahar aakar ek Aotu se Police Station aa gaya.
.
JahaaN use Sikandar ne bataya ki ASP Dev abhi-abhi kaheeN gaye hai. Aur we 2 ya 3 hour me lautkar aayege. Karan Dev ke lautne ka besabri se intizar karne laga

.................
(Jaaree)
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #115 on: September 23, 2012, 06:12:10 PM »
Masoom Sahaab Aadaab!


janab kafi dinoN se aapki kahaani padh rahe haiN hum.. par
samjh meiN nahi aaya ke yeH aap likh rahe haiN ke koi aur ?

dear behad khoob kahaani hai itne saare parts add kar diye haiN
aapne ke kia kaheN .... jab bhi login karne ka mood nahi hota hai
toH hum stories padhte rahte haiN.. par aapke stories ke kuch
hi panne padhe haiN abhi... Insha Allaah zaroor puri padh leNge

umdaa khaaniyaaN pesh aa rahi hai YO par us meiN aap bhi aik
khoob writter bankar samne aa rahe haiN...

Aise hi likhate rahiye... aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile                   

Logged
mkv
Guest
«Reply #116 on: September 24, 2012, 03:13:28 AM »
keep it up.. Applause
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #117 on: September 24, 2012, 07:07:54 AM »
aage
Bhaai aage kuch update de diye hai aur aage abhi likhi nahi hai. Likh kar post kar donga.
By the way bahut bahut sukriya
Logged
ahujagd
Maqbool Shayar
****

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
6 days, 1 hours and 34 minutes.
Posts: 842
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #118 on: September 24, 2012, 08:22:33 AM »
MASOOM JI,
yakeenan yeh kahaani bahut hi achhee aur dilchasp ban padi hai,apko baar baar yeh poochhne ki avashyakta nahin hai ki kya vaakai?.ab yeh padne valon par hai ki ve beech beech mein comment dete hain ki nahin,main dekh sakta hoon ki kuchh hi members ne comment kiye hain visheshtaya mukesh ji ne.yeh bhi achha hai kam se kam apko yeh to lag raha hai ki aap jo likh rahe hai koi to unko pad raha hai, magar aap  hatotsahit na hon(mujhe yaad hai mukesh ji ne bhi ek baar aapko likha hai), jaroor kai log is kahani ko pad rahe honge. agar bhai, jo nahin pad rahe ho to is msg ko pad kar shuru keejiye padna,(kuchh panktiya ab tak na padne valon ke liye:-

      lambi kahaani ko dekh kar tum ghabrao mat
      nahi padi,koi baat nahin,ab to sharmao mat     
      yakeen karo isko padne mein aayega bada maja     
      ab samay kam hone ka bahaana tum banaao mat

maine ek page pada tha pahli sitting main baaki do sitting mein poore 8 page(40 updates) samaapt kar liye hain. besabri se itezaar hai apke agte update ka. bahut bahut shukriya yo india par hum sabko itna samay dene ka.
shubh kaamnaon sahit,
ghansham das ahuja

 
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #119 on: September 24, 2012, 09:21:12 AM »
masoom ji,
raha nahi jaa raha hai:---
pahla page padne mein aa gaya hai itnaa mazaa
malum nahin aage aapne kya kya rakha hai sajaa
yeh kahani CID ko bhi takkar dene ke hai kabil
bharpoor piroya gaya hai kabhi pyaar kabhi kaza.

ab yaar age kahani padne do na shesh fir....
ghansham das ahuja


Ghansham das ahuja jee
 Sabse pahle to aapka sukriya ada karna chahuNga ki aapne es story ke liye ye chaar lines likhi.
.
Aur etna bada comment diya.
.
Bas aap esi trah sath dete rahiye.
Meri koshish rahegi ki kahani ko rochak aur rochak bana sakuN.
Logged
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11 12 ... 19
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 18, 2024, 11:42:55 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.15 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer