A'adatan ham ney sanwaaraa hai unhain!

by abdbundeli on September 12, 2009, 06:46:24 AM
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 3596 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Binaa tumhaarey, hamain chain naheen!
Binaa nihaarey, hamain chain naheen!!

Ho bhi saktaa hai, na aawaaz aaye!
Binaa pukaarey, hamain chain naheen!!

Un ko, logoun ney sunaa hai kahtey:
'Binaa hamaarey, unhain chain naheen!'

'Un ko aanaa ho, yahaan aa jaayen:
Binaa hamaarey, jinhain chain naheen!'
 
Ham to kahtey hain, aap bhi kahiye:
'Binaa tumhaarey, hamain chain naheen!'

A'adatan ham ney sanwaaraa hai unhain!
Binaa dulaarey, hamain chain naheen!!

Unkee saansoun ko, jigar mein apney,
Binaa utaarey, hamain chain naheen!

Unkey pahloo mein, har lamhah apnaa
Binaa guzaarey, hamain chain naheen!

Bahar mein ham, 'abd', zameen par woh:
Binaa kinaarey, hamain chain naheen!

                         - abd bundeli


Logged
k.shael
Guest
«Reply #1 on: September 12, 2009, 06:55:18 AM »
Reply with quote
Wah Wah Aur Wah Bahut hi KHoob Abd Ji...kya hi pyaari ghazal likhi hai aapne.. Clapping Smiley  Clapping Smiley  Clapping Smiley

Wo pass hai, wo door hai,
Unse baat kiye bina hame chain naheen!!

Chand nikle, ya timtimaye taare,
Raat sone se pehle nihare na use to chain naheen!!

U hi khoobsurat hai bahut lekin,
Jab talak laga na de gazra unhe chain naheen!!

Har subah sharmayi, Har raat surmaayi si,
Phir bhi dekhen na hassi uski to aankhon chain naheen!!

Shally.

Logged
cara
Guest
«Reply #2 on: September 12, 2009, 07:47:32 AM »
Reply with quote
KYA BAAT HAI  ABD JI......

TUM NAHIN HAM NAHIN,
BIN TUMHARE KUCH NAHIN.

HAR PAL HAR LAMHA MERA, TERE BINA NAHIN,
DEKHTA HAI CHEHRA TERA,AUR KUCH NAHIN.

TUM NA NIHAARE MUJHKO,AISA KOI DIN NAHIN,
HAM NA YAAD KAREN TUJHKO,AISA KABHI HUA HI NAHIN.

MERE KHWAABON MEIN TUM HI HO,KOI DOOSRA NAHIN,
TERE KHAYAALON MEIN HAM HI HAIN, AUR KOI NAHIN.

TERI SAANSEN MUJH  BIN CHALTI HI NAHIN,
MERI SAANSEN TUJH BIN PIGALTI HI NAHIN.

AADATAN HAMNE SANWAARAA HAI TUMHEN,
BINA SANWAAREN, TUMHEN CHAIN BHI TOH NAHIN.

Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: September 13, 2009, 12:21:24 PM »
Reply with quote
Bohot Khoob Babu Ji, Shally and Cara Applause Applause Applause
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: September 20, 2009, 01:57:11 PM »
Reply with quote
Wah Wah Aur Wah Bahut hi KHoob Abd Ji...kya hi pyaari ghazal likhi hai aapne.. Clapping Smiley  Clapping Smiley  Clapping Smiley

Wo pass hai, wo door hai,
Unse baat kiye bina hame chain naheen!!

Chand nikle, ya timtimaye taare,
Raat sone se pehle nihare na use to chain naheen!!

U hi khoobsurat hai bahut lekin,
Jab talak laga na de gazra unhe chain naheen!!

Har subah sharmayi, Har raat surmaayi si,
Phir bhi dekhen na hassi uski to aankhon chain naheen!!

Shally.


Shukriyah Shally ji!
Khaasaa achchhaa andaaz-e-tasawwur hai! Bahut khoob!
                                - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #5 on: September 20, 2009, 02:10:06 PM »
Reply with quote
KYA BAAT HAI  ABD JI......

TUM NAHIN HAM NAHIN,
BIN TUMHARE KUCH NAHIN.

HAR PAL HAR LAMHA MERA, TERE BINA NAHIN,
DEKHTA HAI CHEHRA TERA,AUR KUCH NAHIN.

TUM NA NIHAARE MUJHKO,AISA KOI DIN NAHIN,
HAM NA YAAD KAREN TUJHKO,AISA KABHI HUA HI NAHIN.

MERE KHWAABON MEIN TUM HI HO,KOI DOOSRA NAHIN,
TERE KHAYAALON MEIN HAM HI HAIN, AUR KOI NAHIN.

TERI SAANSEN MUJH  BIN CHALTI HI NAHIN,
MERI SAANSEN TUJH BIN PIGALTI HI NAHIN.

AADATAN HAMNE SANWAARAA HAI TUMHEN,
BINA SANWAAREN, TUMHEN CHAIN BHI TOH NAHIN.



Thanks Cara ji!
Khoob likhtey hain! Clapping Smiley

Ham hon, wo hon, saath hon;
Hon qayaam ham-khwaab;
Koyee kuchh bhee kahey, kyaa?
Hai shabaab daryaab!

             - abd bundeli

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #6 on: September 20, 2009, 02:12:14 PM »
Reply with quote
Bohot Khoob Babu Ji, Shally and Cara Applause Applause Applause
Thanks Celmira!
        - abd bundeli
Logged
shayara
Guest
«Reply #7 on: September 22, 2009, 05:07:51 PM »
Reply with quote
Binaa tumhaarey, hamain chain naheen!
Binaa nihaarey, hamain chain naheen!!

Ho bhi saktaa hai, na aawaaz aaye!
Binaa pukaarey, hamain chain naheen!!

Un ko, logoun ney sunaa hai kahtey:
'Binaa hamaarey, unhain chain naheen!'

'Un ko aanaa ho, yahaan aa jaayen:
Binaa hamaarey, jinhain chain naheen!'
 
Ham to kahtey hain, aap bhi kahiye:
'Binaa tumhaarey, hamain chain naheen!'

A'adatan ham ney sanwaaraa hai unhain!
Binaa dulaarey, hamain chain naheen!!

Unkee saansoun ko, jigar mein apney,
Binaa utaarey, hamain chain naheen!

Unkey pahloo mein, har lamhah apnaa
Binaa guzaarey, hamain chain naheen!

Bahar mein ham, 'abd', zameen par woh:
Binaa kinaarey, hamain chain naheen!

                         - abd bundeli




Bohot Khoob Abd sahab
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: September 22, 2009, 05:59:36 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai Abd ji, Good work shally and cara ji
Logged
k.shael
Guest
«Reply #9 on: September 23, 2009, 11:47:11 AM »
Reply with quote
Bohot Khoob Babu Ji, Shally and Cara Applause Applause Applause

Shukriya Celmira Dear,

Shally.
Logged
soniaji
Guest
«Reply #10 on: September 24, 2009, 07:48:04 PM »
Reply with quote
Binaa tumhaarey, hamain chain naheen!
Binaa nihaarey, hamain chain naheen!!

Ho bhi saktaa hai, na aawaaz aaye!
Binaa pukaarey, hamain chain naheen!!

Un ko, logoun ney sunaa hai kahtey:
'Binaa hamaarey, unhain chain naheen!'

'Un ko aanaa ho, yahaan aa jaayen:
Binaa hamaarey, jinhain chain naheen!'
 
Ham to kahtey hain, aap bhi kahiye:
'Binaa tumhaarey, hamain chain naheen!'

A'adatan ham ney sanwaaraa hai unhain!
Binaa dulaarey, hamain chain naheen!!

Unkee saansoun ko, jigar mein apney,
Binaa utaarey, hamain chain naheen!

Unkey pahloo mein, har lamhah apnaa
Binaa guzaarey, hamain chain naheen!

Bahar mein ham, 'abd', zameen par woh:
Binaa kinaarey, hamain chain naheen!

                         - abd bundeli




bahut khub, thx 4 sharing
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #11 on: September 25, 2009, 06:31:30 AM »
Reply with quote
Bohot Khoob Abd sahab
wah kaya baat hai Abd ji, Good work shally and cara ji

bahut khub, thx 4 sharing

Aap ko shukriyah adaa kartaa huun! Mujhey khushee hai: aapko gazal pasand aayee!
                      - abd bundeli
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #12 on: September 25, 2009, 06:34:23 AM »
Reply with quote
Wah wah bahut khoob Abd ji,Shally ji ,Cara ji,very touching n mindblowing creation,excellent icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Roja
Guest
«Reply #13 on: September 27, 2009, 03:48:27 AM »
Reply with quote
bahut khoob Uncle ji, Shally dear, Caraji
Logged
Roja
Guest
«Reply #14 on: September 27, 2009, 03:59:42 AM »
Reply with quote
Binaa tumhaarey, hamain chain naheen!
Binaa nihaarey, hamain chain naheen!!

Ho bhi saktaa hai, na aawaaz aaye!
Binaa pukaarey, hamain chain naheen!!

Un ko, logoun ney sunaa hai kahtey:
'Binaa hamaarey, unhain chain naheen!'

'Un ko aanaa ho, yahaan aa jaayen:
Binaa hamaarey, jinhain chain naheen!'
 
Ham to kahtey hain, aap bhi kahiye:
'Binaa tumhaarey, hamain chain naheen!'

A'adatan ham ney sanwaaraa hai unhain!
Binaa dulaarey, hamain chain naheen!!

Unkee saansoun ko, jigar mein apney,
Binaa utaarey, hamain chain naheen!

Unkey pahloo mein, har lamhah apnaa
Binaa guzaarey, hamain chain naheen!

Bahar mein ham, 'abd', zameen par woh:
Binaa kinaarey, hamain chain naheen!

                         - abd bundeli


Daastan jinko sunayi hai, unhe fursat nahi
Raaj ki baatein kahu kisi aur se izazat nahi

Humne mana zindagi jaisi koyi nemat nahi
Maut behtar jab khila koyi gul-e-ishrat nahi

Yaar kah kar, yaar se karna daga, emaan nahi
Hai pare jo dil wafa se uski kuch keemat nahi

Dard ko hai pyar humse, vo bhala jayega kyu
Hum bhi hai, kabil wafa ke dard se nafrat nahi

Is jahan se us jahan taq faasla hai ek saans
Maut kehte hai jisse kya, vasal ki sa-ath nahi

Aa gaye hai tang hum ravish-e-zamana se "Roja"
Alvida keh de khushi se jeene ki hasrat nahi



Gul-e-ishrat = Aanandith phool

sa-ath = samaiy-avsar

Ravish-ezamana = dunia ke rang-dang se

Logged
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 28, 2024, 07:15:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.141 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer