Aaiinaa Aazmaa Ke Dekh Lo ... ! NARESH MEHRA

by Anshumali on January 14, 2011, 01:28:15 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2011 times)
Anshumali
Guest
Reply with quote
Dard-E-Dil Chhupaa Ke Dekh Lo
Har Aaiinaa Aazmaa Ke Dekh Lo ...

Gar Naaraaz Ho Zindagi Se
Kisi Din Muskuraa Ke Dekh Lo ...

Phir Bahut Yaad Aayenge Hum
Jis Tarah Bhi Bhuulaa Ke Dekh Lo ...

Jise Dekh Ke Phir Nahi Dekhaa
Khwaab Thaa Sulaa Ke Dekh Lo ...

Kaise Khule Intezaar Ke Darwaaze
Zaraa Hausle Hawaa Ke Dekh Lo ...

Jo Nahi Hai Kismat MeN "Naresh"
Chaahe Haath Dikhaa Ke Dekh Lo ...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kis HuQ Se ... ! NARESH MEHRA by Anshumali in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Yeh ! Nimantran ... !!! NARESH MEHRA by Anshumali in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Kavita : Saaraa DiN ... ! NARESH MEHRA by Anshumali in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Dil Ke Paas Ho Tum ... ! NARESH MEHRA by Anshumali in Ghazals « 1 2  All »
Happy Lohri ... ! NARESH MEHRA by Anshumali in Chit - Chat & General Discussion
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: January 14, 2011, 01:57:56 PM »
Reply with quote
Dard-E-Dil Chhupaa Ke Dekh Lo
Har Aaiinaa Aazmaa Ke Dekh Lo ...

Gar Naaraaz Ho Zindagi Se
Kisi Din Muskuraa Ke Dekh Lo ...

Phir Bahut Yaad Aayenge Hum
Jis Tarah Bhi Bhuulaa Ke Dekh Lo ...

Jise Dekh Ke Phir Nahi Dekhaa
Khwaab Thaa Sulaa Ke Dekh Lo ...

Kaise Khule Intezaar Ke Darwaaze
Zaraa Hausle Hawaa Ke Dekh Lo ...

Jo Nahi Hai Kismat MeN "Naresh"
Chaahe Haath Dikhaa Ke Dekh Lo ...

Waah Waah Waah!!!!

Bahut Bahut Khoob Nareshji Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
HumTum
Guest
«Reply #2 on: January 14, 2011, 02:33:30 PM »
Reply with quote
waah.. bahut khoob...

Hum Thukra Ke Sari Duniya Aayenge
Tum Ik Baar Hume Bula Ke Dekh Lo!!

Regards,

HT
Logged
Radhika_2
Guest
«Reply #3 on: January 14, 2011, 02:53:09 PM »
Reply with quote
Phir Bahut Yaad Aayenge Hum
Jis Tarah Bhi Bhuulaa Ke Dekh Lo ...


Ji ... Bahut Khoob ! Good Expression ..... !

dilee daad .......
Applause Applause Applause
Logged
sbechain
Guest
«Reply #4 on: January 14, 2011, 03:59:29 PM »
Reply with quote
Dard-E-Dil Chhupaa Ke Dekh Lo
Har Aaiinaa Aazmaa Ke Dekh Lo ...

Gar Naaraaz Ho Zindagi Se
Kisi Din Muskuraa Ke Dekh Lo ...

Phir Bahut Yaad Aayenge Hum
Jis Tarah Bhi Bhuulaa Ke Dekh Lo ...

Jise Dekh Ke Phir Nahi Dekhaa
Khwaab Thaa Sulaa Ke Dekh Lo ...

Kaise Khule Intezaar Ke Darwaaze
Zaraa Hausle Hawaa Ke Dekh Lo ...

Jo Nahi Hai Kismat MeN "Naresh"
Chaahe Haath Dikhaa Ke Dekh Lo ...

bahut khoob janab naresh ji
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #5 on: January 15, 2011, 01:37:15 AM »
Reply with quote
Waah Waah Waah!!!!

Bahut Bahut Khoob Nareshji Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Khwaish Ji ... aapka koshish ko saraahane aur dilee daad ka bahut bahut shukriyaa ! khush rahen ... !

duaaon ke saath ... !
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #6 on: January 15, 2011, 08:01:58 AM »
Reply with quote
waah.. bahut khoob...

Hum Thukra Ke Sari Duniya Aayenge
Tum Ik Baar Hume Bula Ke Dekh Lo!!

Regards,

HT

Bahut bahut shukriya ... aapka koshish ko saraahane aur dilee daad kaa ... khush rahen ... !

duaaon ke saath ... !
Logged
manjum
Guest
«Reply #7 on: January 15, 2011, 08:19:09 AM »
Reply with quote
wah nareshji badiya haiji...

 Applause Applause Applause
Logged
Matrix Guy
Guest
«Reply #8 on: January 15, 2011, 09:55:37 AM »
Reply with quote
bahot khub naresh ji.........very very touchy poetry.....
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #9 on: January 15, 2011, 01:05:30 PM »
Reply with quote
Phir Bahut Yaad Aayenge Hum
Jis Tarah Bhi Bhuulaa Ke Dekh Lo ...


Ji ... Bahut Khoob ! Good Expression ..... !

dilee daad .......
Applause Applause Applause

Shukriya ... Radhika JI  ! aapki hausla afzaai aur daad ka .. khush rahen ... duaaon ke saath ... !
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #10 on: January 15, 2011, 01:13:44 PM »
Reply with quote
behad umda Ansumaali ji.
kya khub alfaaz o ehsaas hain.
dard ke saath ek tanz kasta hua nagma. wakai dil ko sukoon dilati hai.
bahut khubb janab.
yun hi gulzaar kariye
aate rahiye
khush rahiye
sukriya
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #11 on: January 15, 2011, 03:26:56 PM »
Reply with quote
Bahut Khub Naresh JI Har Baar Ki Tarah Bahut Sunder Likha Hai Aapne
Applause Applause
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #12 on: January 15, 2011, 06:39:50 PM »
Reply with quote
Naresh Jee aadaab!

Kia khoob kalaam kahi hai aapne .. waah janab
Tajurbe ki baateN hai aur behad khoob andaaz meiN kahi
hai aapne apni yeH kalaam daad hazir hai janab... Usual Smile

Chaliye aapki kalaam par aate hai.. Usual Smile         



Dard-E-Dil Chhupaa Ke Dekh Lo
Har Aaiinaa Aazmaa Ke Dekh Lo ...

Kia baat hai janaab behad khoob...
Dard ki shikaane nazar aa hi jayeNgi... achcha khayaal hai daad.. Usual Smile         


Gar Naaraaz Ho Zindagi Se
Kisi Din Muskuraa Ke Dekh Lo ...

Hmm jhuti muskurahat kahaaN se layeN janab..
phir bhi behad khoob khayaal hai aapka..

Zindagi tujhko bhi Aazmaa ke dekh leNge kisi diN..
Waqt se bhi daud lagaa ke dekh leNge kisi diN....

         


Phir Bahut Yaad Aayenge Hum
Jis Tarah Bhi Bhuulaa Ke Dekh Lo ...

Kia baat hai janab waqai behad khoob daad hazir hai daad daad daad.. Usual Smile         

Jise Dekh Ke Phir Nahi Dekhaa
Khwaab Thaa Sulaa Ke Dekh Lo ...

Waah janab kia umdaa aur nayaa khayaal hai daad ... behad naya khayaal hai janab daad daad daad..
Aur sekdoN daad hazir hai is khayaal par.. Waqai sher kaha hai aapne.. Usual Smile         


Kaise Khule Intezaar Ke Darwaaze
Zaraa Hausle Hawaa Ke Dekh Lo ...

Hmm sher achcha hai Naresh jee par .. aik baat humare zahen meiN aayi hai shayad .. sahiN hai ke nahi hume bhi pata nahi par kahiN padhe the hum ke.. Jab aap kiryaatmak kafiyaa use kar rahe haiN to "naamatmak" kafiyaa wahaaN jayaz nahi hai... Jaise aapke dusre kafiye hai sulaa laga dikha bhulaa yeh sab kriyaa ko pradarshit kar rahe hai.. aur Hawaa yeH jo hai yeH kisi vastu ka naam hai.. Usual Smile

Wel shayad hum galat bhi ho sakte hai par hume nahi lagta ke hum galat hai.... Usual Smile         


Jo Nahi Hai Kismat MeN "Naresh"
Chaahe Haath Dikhaa Ke Dekh Lo ...

Masha Allah Janab yeH khayaal humare dil meiN khud ba khub ban gaya tha aapki kalaam padhte padhte.. aur aapne maqte meiN use bhi kia kia baat hai daad hazir hai ... Usual Smile         


Naresh Jee behad umdaa aur khoob kalaam kahi hai aapne..

Janab... aise hi likhate rahiye..
Bazm meiN aate rahiye...
Khush O aabaad rahiye...
Khuda Hafez...... Usual Smile         

Logged
Anshumali
Guest
«Reply #13 on: January 16, 2011, 09:20:41 AM »
Reply with quote
bahut khoob janab naresh ji

Bahut bahut shukriya ... Sheba Ji ! aapke saraahane ka ... khush rahen ...

duaaon ke saath ... !
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #14 on: January 16, 2011, 12:48:58 PM »
Reply with quote
wah nareshji badiya haiji...

 Applause Applause Applause

bahut bahut shukriya .. Manjum Ji ! aapki dilee daad kaa ! khush rahen ...

duaaon ke saath ... !
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 12:23:33 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.143 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer