AASHIYA.N

by F.H.SIDDIQUI on April 10, 2011, 02:53:24 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 974 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
Reply with quote
Tinke-Tinke jor kar Humne banaya Aashiya.n
Burq ko ab kya kahei.n jis ne jalaya Aashiya.n
   Aashiya.n to Ashiya.n thha kaat daali shaakh bhi
   Kab Hai Saiyaado.n ko phooti Aankh bhaaya Aashiya.n
Aandhiyo.n se har tarah mahfooz hai,samjhe thhe Hum
Aaya Jhonka ek Hawa ka aur giraya Aashiya.n
   Hai jo naaza.n chaar Tinko.n par ye teri bhool hai
   Le ke jaayega na koi saath laaya Aashiya.n
Sub'ha ko Wo Taair-e- Kamzarf uss ko khha gaya
Raat jis Jugnoo ne uss ka jagmagaya Aashiya.n
   Kuchh Dino.n ka Khel hai ye Zindagaani ai 'Hasan'
   Waqt-e-Rukhsat kab kisi ke kaam aaya Aashiya.n  
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
chal dost chalte hai waha jaha apna aashiya hoga... by theyash in Share: Poetry of Pain
Aashiya.n dhoondh lenge by Gyan Prakash in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Sapno ka aashiya - shikha by Shikha sanghvi in Shayri for Khumar -e- Ishq
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #1 on: May 12, 2011, 10:03:05 AM »
Reply with quote
Tinke-Tinke jor kar Humne banaya Aashiya.n
Burq ko ab kya kahei.n jis ne jalaya Aashiya.n
   Aashiya.n to Ashiya.n thha kaat daali shaakh bhi
   Kab Hai Saiyaado.n ko phooti Aankh bhaaya Aashiya.n
Aandhiyo.n se har tarah mahfooz hai,samjhe thhe Hum
Aaya Jhonka ek Hawa ka aur giraya Aashiya.n
   Hai jo naaza.n chaar Tinko.n par ye teri bhool hai
   Le ke jaayega na koi saath laaya Aashiya.n
Sub'ha ko Wo Taair-e- Kamzarf uss ko khha gaya
Raat jis Jugnoo ne uss ka jagmagaya Aashiya.n
   Kuchh Dino.n ka Khel hai ye Zindagaani ai 'Hasan'
   Waqt-e-Rukhsat kab kisi ke kaam aaya Aashiya.n 

bahut khoob janab siddiqui sb
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #2 on: May 12, 2011, 10:29:55 AM »
Reply with quote
Shukria,Khamosh Aawaz Saheb,Hausla afzai ke liye aur iss Ghazal per ek nazar daalne ke liye.Kaash iss bhooli-bisri Ghazal ko kuchh qaari'een aur mil jaayei.n...FHSiddiqui
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 12 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #3 on: May 17, 2011, 09:31:26 AM »
Reply with quote
siddiqui sahab maqte ne to ghazal loot liya Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #4 on: May 17, 2011, 02:13:17 PM »
Reply with quote
 Adil Bechain saheb, Hausla Afzai ke liye bahut bahut Shukriya.FHSiddiqui



Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 28, 2024, 09:55:32 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.299 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer