Irshad Sahab Aadaab O tasleemat:)
Aapki kalaam behad umdaa lagi hume... waqai khayaaloN ke purzor motiyoN se piroye hai aapne is kalaam ke ashaar:)
Behad klhoob daad janab 
Chaliye aapki kalaam per aate hai.... barso puraana woh ek manzar nahi jaata
kyu uski yaado.n ka samundar nahi jaata
Janab Aapke khayaal ko dil se daad .. 
Par janab samandar kahiN nahi jata... ? Is hisab se sher ka dusre misre meiN aapko tabdili karni padeNgi..
Aik surat humare zahen se ...
Barso purana aik woh manzar nahi jata
Rahaa jiske dil meiN uske ghar nahi jata dil ki duniya jaati rahi raftaa raftaa
hai jo seene me dard-e-jigar nahi jaata
Masha Allah Kia baat hai janab behad khoob Daad hazir hai
Dil ki dunia jati rahi rafta rafta waah
yun to hum bhi rahte hain ek hi shaher me
jaane kyu us tak mere mukaddar nahi jaata
Oye hoye janab kia kahne waah jee waah kia baat kahi hai janab bahot umdaa behad khoob sekado daad hazir hai is per
mar jaate hai.n har roz parvaane shamma par
kabhi chandni ko chhod kar qamar nahi jaata
Hmmm janab khayaal achcha hai daad per chandi bhi kai baar aasmaa per akeli nazar aati hai.. Yani Qamar chandni ke saath humesha nahi rahta... sabke apne apne usool hote hai hai.n "irshad"
woh jaata bhi hai to meri rah gujar nahi jaata
Waah janab kia kahne waah... Takhallus bhi behad umdaa tarikhe se istemaal hua hai aur sher bhi behad khoob raha daad hazir hai dil se kabool kijiye .....
Aise hi likhate rahiye......
Khush O aabad rahiye...
Khuda Hafez......
||irshad ahmed siddiqui||