Bohat dhuaa hoga.....( Ghayel )

by Sajid_Ghayel on October 17, 2010, 04:22:27 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1173 times)
Sajid_Ghayel
Guest
Reply with quote
Mera nahi to kisi ka nahi hua hoga
Woh aag hai ho jaha bhi bohat dhuaa hoga


Khayaal uska nahi koi bhoolne jaisa
Jo janta hai usey woh yeh keh raha hoga


Dua kare hai na koi kare hai zidd rabb se
Yaha nahi jo mila woh waha ataa hoga


Mere khayaal mere sher yeh meri batein
Bhala kare na kisi ka to sab bura hoga


Aaj hasti hui dekhi jo muflisi humne
Yaad aaya koi imaa.N kahi beeka hoga


Nahi mumkin nazar aaye koi amal behtar
Kaam achchca to kitabo me bas padha hoga


Beadab belihazz hai zakhm Ghayel ke
Path_tharo se yeh zamane me suna hoga


Sajid Ghayel
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
BOHAT KUCH HOTA.........(GHAYEL) by sajid_ghayel in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
Bohat Gussa Hain..........(Ghayel) by sajid_ghayel in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
Khushiyaa Bohat Manayee....(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri-E-Dard
Aakho ka Pani bohat hain.......( Ghayel ) by sajid_ghayel in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
Khuda bohat hai......( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
ParwaaZ
Guest
«Reply #1 on: October 17, 2010, 12:11:49 PM »
Reply with quote
Janab Ghayal Sahab Aadaab!

Bade dino bad aapki koi nayi kalaam nazar nawaaz huyi.. Usual Smile
Aap behad achcha likhate hai is baat meiN bhi koi shak nahi
Usual Smile

Chaliye aapki kalaam par aate hai... Usual Smile

Mera nahi to kisi ka nahi hua hoga
Woh aag hai ho jaha bhi bohat dhuaa hoga

Janab mazzart chaheNge aapka yeH umdaa khayaal humare zaheN meiN jagaa hi nahi bana paya shayad hamari kam akhali hai...
Is par aapki Wazahat chaheNge


Khayaal uska nahi koi bhoolne jaisa
Jo janta hai usey woh yeh keh raha hoga

Achcha sher hai janab daad....

Dua kare hai na koi kare hai zidd rabb se
Yaha nahi jo mila woh waha ataa hoga

Beshak.... InshaAllah dene wali zaat uski hai woh zarur deNga... Achcha sher hai janab daad... Hamare khayaal se aur bhi behtar ho skata tha.. Khair..  Is it SO!

Mere khayaal mere sher yeh meri batein
Bhala kare na kisi ka to sab bura hoga

Hmmm janab yeh waqai khayaali pulaav hai tongue3
KauN Jaane kia hoNga...... Wohi hoNga jo manzure khuda hoNga


Aaj hasti hui dekhi jo muflisi humne
Yaad aaya koi imaa.N kahi beeka hoga

Masha Allah Janab aapke aise khayaaloN ke to hum kayal hai ...... Bahot umdaa... Bahut khoob Daad daad daad

Nahi mumkin nazar aaye koi amal behtar
Kaam achchca to kitabo me bas padha hoga

Hmmm Shayad kuch logoN per yeH baat pad sakti hai...
Sher achcha hai daad .. Usual Smile


Beadab belihazz hai zakhm Ghayel ke
Path_tharo se yeh zamane me suna hoga

Maqte ke dusre misre se kuch sher samjh ke bahar hua humare..
Shayad aap zamane "ne" likhana chah rahe the spelling mistake hua ho... Usual Smile
Agar aisa hai to sher kafi achcha hai daad.. Usual Smile


Sajid Ghayel

Aik achchi koshish per dil se daad kabool kijiye janab..
Likhate rahiye..
Aate rahiye........
Khush O aabaad rahiye....
Khuda Hafez..... Usual Smile
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #2 on: October 18, 2010, 07:40:56 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Ghayel Ji
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #3 on: October 18, 2010, 08:27:13 AM »
Reply with quote
sajid bhaiii..dil se dheeeer saaari daad hazir e mehfil hain apke liyeeeee..

kubool farmaiye...

bade khubsurat sher kahe hain apne .....

likhte rahiye~
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #4 on: October 18, 2010, 10:56:02 AM »
Reply with quote
Janab Ghayal Sahab Aadaab!

Bade dino bad aapki koi nayi kalaam nazar nawaaz huyi.. Usual Smile
Aap behad achcha likhate hai is baat meiN bhi koi shak nahi
Usual Smile

Chaliye aapki kalaam par aate hai... Usual Smile

Aik achchi koshish per dil se daad kabool kijiye janab..
Likhate rahiye..
Aate rahiye........
Khush O aabaad rahiye....
Khuda Hafez..... Usual Smile


Parwaaz saheb aap jaldbazi na kare aur dobara padhe....sher ki wazahat sher ko kamzor kar deti hai. Sher likhne se kaiee zydaa zaroori hai sher ko samajhna. Aap ek baar dobara koshish kare mujhe ummeed hai mujhe samjhana nahi padega.....
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #5 on: October 18, 2010, 01:35:09 PM »
Reply with quote
Sajid jee ek behtareen gazal pesh karne ke liye dil se daad .....khas tour par...

aaj haNsti hui dekhi jo muflisi humne
yaad aayaa koi imaaN bikaa hogaa

kyaa baat hai ! badi hee gahari or maarke kee baat kah gaye aap.haqeeqat me kadwa sach shairi ka chola pahan saamne aa khada huaa ho jaise.... Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #6 on: January 28, 2011, 08:11:14 PM »
Reply with quote
Mera nahi to kisi ka nahi hua hoga
Woh aag hai ho jaha bhi bohat dhuaa hoga


Khayaal uska nahi koi bhoolne jaisa
Jo janta hai usey woh yeh keh raha hoga


Dua kare hai na koi kare hai zidd rabb se
Yaha nahi jo mila woh waha ataa hoga


Mere khayaal mere sher yeh meri batein
Bhala kare na kisi ka to sab bura hoga


Aaj hasti hui dekhi jo muflisi humne
Yaad aaya koi imaa.N kahi beeka hoga


Nahi mumkin nazar aaye koi amal behtar
Kaam achchca to kitabo me bas padha hoga


Beadab belihazz hai zakhm Ghayel ke
Path_tharo se yeh zamane me suna hoga


Sajid Ghayel

bahut khoob sajid sahab
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 28, 2024, 07:23:02 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.144 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer