Chalo, tumhain sunaauun eik gazal khalwat mein!

by abdbundeli on March 20, 2009, 09:28:17 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1077 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Chalo, tumhain sunaauun eik gazal khalwat# mein!
Chalo, tumhain dikhaauun dil key mahal, khalwat mein!
 
Yun to mein ney kahaa hai tum sey na jaaney kyaa-kyaa?
Chalo, tumhain bataauun haal-e-asal## khalwat mein!

Haarnaa-jeetnaa ulfat mein sunaa hai yuun to;
Chalo, tumhain jitaauun, tark khalal*, khalwat mein!

Samajh mein Galib-o-Momin agar naheen aatey;
Chalo, tumhain sujhaauun adab-e-sahal** khalwat mein!

Roothh jaatey ho roz; ‘naa-nukar’ kaa huun maaraa:
Chalo, tumhain manaauun kar key pahal khalwat mein!

Daaltey roz khalal neend mein sawaal kayee;
Chalo, tumhain sulaauun, dey key wahal@, khalwat mein!

Justjoo@@ mein mileen tanhaaiyaan, futoor rawaan$;
Chalo, tumhain milaauun dil sey tahal khalwat mein!

Dour-e-qismat sey pareyshaan ho: mujhey maalum hai!
Chalo, tumhain sikhaauun ilm-e-ramal$$ khalwat mein!

Sataa chukey ho bahut: bhar gayaa ho jii, to, ab,
Chalo, tumhain sataauun khol key dil khalwat mein!

Uljhaneyn laakh jagaatiin hain, ‘abd’, khwaaboun sey;
Chalo, tumhain jagaauun, wasl hai hal+, khalwat mein!

#  A situation when the beloveds are all alone.
## The reality of a condition.
*  Setting aside all the obstructions.
** The easily understandable literature.
@  Come on, let me divert your thoughts to sleep you.
@@ Discovery.
$  Mobile affectations.
$$ Knowledge/skill of RAMAL (An apparatus or way for making forecasts).
+  Conjugal meeting is the solution.   

                                     - abd bundeli
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #1 on: March 20, 2009, 09:43:46 AM »
Reply with quote
Very NICe ABD ji

Urdu thodi weak hai .. kuch sabdo ka matlab samaj nahi aaya.. end mea word ka matlab ad kar doge tho thoda samajne mea asani hogi..

Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #2 on: March 20, 2009, 10:15:34 AM »
Reply with quote
Aa kare kaamil mohabbat ko "ABD" milkar
Kaar-o-baar yeh tera bhi hain mera bhi
Naachar q samjhe hain tu khud ko yaha par
Naadir-e-rozgaar sanam tera bhi hain mera bhi

-SG-
Logged
salma786
Guest
«Reply #3 on: March 20, 2009, 10:47:16 AM »
Reply with quote
Chalo, tumhain sunaauun eik gazal khalwat mein!
Chalo, tumhain dikhaauun dil key mahal, khalwat mein!
 
Yun to mein ney kahaa hai tum sey na jaaney kyaa-kyaa?
Chalo, tumhain bataauun haal-e-asal khalwat mein!

Haarnaa-jeetnaa ulfat mein sunaa hai yuun to;
Chalo, tumhain jitaauun, tark khalal, khalwat mein!

Samajh mein Galib-o-Momin agar naheen aatey;
Chalo, tumhain sujhaauun adab-e-sahal khalwat mein!

Roothh jaatey ho roz; ‘naa-nukar’ kaa huun maaraa:
Chalo, tumhain manaauun kar key pahal khalwat mein!

Daaltey roz khalal neend mein sawaal kayee;
Chalo, tumhain sulaauun, dey key wahal, khalwat mein!

Justjoo mein mileen tanhaaiyaan, futoor rawaan;
Chalo, tumhain milaauun dil sey tahal khalwat mein!

Dour-e-qismat sey pareyshaan ho: mujhey maalum hai!
Chalo, tumhain sikhaauun ilm-e-ramal khalwat mein!

Sataa chukey ho bahut: bhar gayaa ho jii, to, ab,
Chalo, tumhain sataauun khol key dil khalwat mein!

Uljhaneyn laakh jagaatiin hain, ‘abd’, khwaaboun sey;
Chalo, tumhain jagaauun, wasl hai hal, khalwat mein!

                                     - abd bundeli


Sir ji agar aap thoda translate karde to samajhne me asani hogi apko to pata hai na meri urdu Thumbs UP
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: March 20, 2009, 11:58:09 AM »
Reply with quote
Very NICe ABD ji

Urdu thodi weak hai .. kuch sabdo ka matlab samaj nahi aaya.. end mea word ka matlab ad kar doge tho thoda samajne mea asani hogi..
Sir ji agar aap thoda translate karde to samajhne me asani hogi apko to pata hai na meri urdu Thumbs UP
Thanks! I've given the meanings (near translations).
              - abd bundeli
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #5 on: March 20, 2009, 12:01:16 PM »
Reply with quote
O thanks .. now the Creation of ur so clear to understand..

Realy beautiful !
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #6 on: March 20, 2009, 12:09:55 PM »
Reply with quote
Aa kare kaamil mohabbat ko "ABD" milkar
Kaar-o-baar yeh tera bhi hain mera bhi
Naachar q samjhe hain tu khud ko yaha par
Naadir-e-rozgaar sanam tera bhi hain mera bhi

-SG-
Khalwat:   privacy, retirement. Solitude

Mahal:   palace, location, seraglio, harem

Haal-e-asal:   Ground reality

Khalal:       gap, ruptures, fault, disorder, hinderance
 
Adab:       etiquette, repect, courtesy, literature    

Futoor:     weakness, infirmity, quarelling    
   
Tark:   to give up, omission



Tum ney samjhaa bhi hai: samjhayaa bhi: bahut achchhey!
Tarjumaa karney mein maahir ho: shak naheen koyee!!
Chalo, saajhey mein karobaar kareyn, mouj kareyn;
Aaj kaa faisalaa zaahir ho; shak na ho koyee!!
          - abd bundeli


Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #7 on: March 20, 2009, 12:31:46 PM »
Reply with quote
O thanks .. now the Creation of ur so clear to understand..

Realy beautiful !
Thanks for taking a lot of trouble! I'm happy you found it worth reading!
                      - abd bundeli
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #8 on: March 20, 2009, 01:33:29 PM »
Reply with quote
Not a problem Abd ji. kam se kam issi bahane hum urdu k kuch aur alfaaz seek lenge. so thanks to u.
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #9 on: March 20, 2009, 02:50:52 PM »
Reply with quote
Not a problem Abd ji. kam se kam issi bahane hum urdu k kuch aur alfaaz seek lenge. so thanks to u.
You're welcome, Sophi ji!
         - abd bundeli
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 16, 2024, 06:48:03 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer