| muneeb 
								Guest
 | 
                                                                    |   |   | 
 Jab se dekha hai maine yeh chehra teraChehra aur koi bhaya nahin
 Jab se dil mein basi hai tu jaaneman
 Khayalon mein bhi koi aaya nahin
 Aankhon aankhon mein raten gujar jathi hai
 Yaad ka kya hai yeh har pehar aathi hai
 Bhool gaye khud ko hum toh tumhare liye
 Ek pal bhi tumhe par bhulaya nahin
 Jab se dekha hai maine yeh chehra tera
 Chehra aur koi bhaya nahin
 Jab se dil mein basi hai tu janeman
 Khayalon mein bhi koi aaya nahin...
 
 Mera ek sapna hai
 Ki main ek sapna dekhun
 Sapne mein tu mere saath ho
 Mere hathon mein tera haath ho
 Samandar kinare sookhi ret par baithe
 Doobte suraj ko niharte hue
 Jab tumhari julfon ko
 Shokh havayen yun hi chhed de
 Toh tumhari bikhri huyi laton ko
 Main chupke se sanvaar dun
 Mera ek sapna hai
 Ki main ek sapna dekhun.
 
 Hum ne unko chaha
 Par chah kar bhi na
 Bata sake apne dil ka haal
 Hum bayaan to kar dete
 Par unhein yeh yekin kaise dilaye
 
 Mere jeene ke liye tera armaan hi kafi hai.
 Dil ke kalam se likhi yeh dastaan hi kafi hai.
 Tir-e-talwaar ki tujhe kya zaroorat aye nazneen,
 qatl karne ke liye teri muskaan hi kafi hai.
 
 Yeh baadal aur kuch nahi, teri aankhon ki kaajal hain
 Yeh bijli aur kuch nahi, teri aaneki aahat hain
 Yeh mausam aur kuch nahi, teri aanchal ki khushboo hain
 Is dil mein aur kuch nahi, tujhe paane ki chaahat hain.
 
 Aakhen kholu toh chehra tumhara ho
 Band karu toh sapna tumhara ho
 Maar bhi jau toh koi gam nahi
 Agar kafan na mila toh aanchal tumhara ho ..
 
 Mann ke jharokon se jab bhi dekhta hoon main usey
 Dil yeh kehta hai pyaar hai us se mujhe
 Usne mere dil par na jane kya jadoo kar dala
 Mere zindagi  ko ek pal main hi badal dala
 Ab to bus ek hi tammana hai usse pane ki
 Usey apani zindagi ka hissa banane ki.
 
 Ek ahsaas sa jagta hai
 Halka sa nasha cha jaata hai
 Meetha meetha sa gam leke
 Jeene ka mazaa aa jata hai
 Saamne ho jab woh (Sneha)
 Deedar bas hota hai
 Kuch suna jaata hai
 Naa kuch kaha jaata hai
 Yaadein aati hain
 Madhosh kar jaati hain
 Aansuon ke saath phir
 Hosh aa jaata hai.
 
 Main jis se karta hoon pyaar
 Woh karti nahin apane pyaar ka izhaar
 Sochta hoon kah daalon us se apane dil ki baat
 Par darta hoon shayad naa samajhe woh mere dil ke jasbat
 Shayad uske dil main bhi pyaar hai
 Shayad woh bhi utni hi bekerar hai
 Mujhe us din ka intzaar hai
 Jis din woh keh de ki 'mujhe tumse aur sirf tumse pyaar hai'.
 
 Tujhse pyar kiya toh kya gunnah kiya,
 Tujhe dil diya toh kya galat kiya,
 Woh kaun si kammi reh gayi mujhme
 Jis se mein tujhe apna na baana saka,
 Woh kaun sa gunaah meine kiya,
 Tu mujhe bas mera gunaah batade,
 Toh phir maut ko bhi khushi khushi kabool karlenge,
 Yaha tak ki apni rooh bhi tere havale kardenge.
 
 mujhse hui bas yeh khata
 maine tujhe chaha sanam
 chup chup ke rootha raha
 tune diye kaise yeh ghum
 o bekhabar be raham
 karle chaahe jitne sitam
 na chaahat kabhi hogi kam
 mujhe in aasoon ki kasam
 maine kiya hai tujhse sachcha pyaar
 maine kiya hai tujhse sachcha pyaar..
 |