Dhoop aur ChaoN ............... PWFS

by pankajwfs on February 21, 2012, 08:09:52 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1854 times)
pankajwfs
Guest
Reply with quote


Dhup aur Chaon ka jaisa rista hai.

Gam aur Khushee  ka Waisa rista hai.


Beshqeemtee jahaN me Chaon aur Khushee

Dhoop aur Gam se yahaN kya sasta hai.  


Nahi Mayassar kisi ko har pal ka sukoon.

Har insaaN Duniya me rota hasta hai.


Mat dhoondh use Ibadatgaah me Aehmaq.

Har zarey zarey me khuda basta hai.


Kadam khud bakhud aage bhadhte hain,

ManzileN nai hain par purana rasta hai.


Mat puch ki kya halaat hai Sahar ke,

Bastiyon ko dekhlo halat khasta hai.

  
Udaate hain daawat wazir sahab dekhlo.

Unke ehtmaam me koi khane ko tarasta hai.


Kai rang hain sukhan ke is mehfil me bhi.

har qism ke phool hain ye aisa gul dasta hai.


Koi kuch kahe koi kuch sab ki marzi hai.

In hi khayalon se ye Gulsan Vabasta hai.


Hai siyasat kya cheenz kyu sir khapau.N mai.

Duniya ki rawayat me 'pankaj' kyun fasta hai.  (PWFS 21/02/2012)







Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
pipli ki tandiyan chaon mein by anjani_si in Shayri for Khumar -e- Ishq
GunaahoN ka devta........(PWFS) by pankajwfs in Shayri-E-Dard
Aaj Kal ka Isq........ PWFS by pankajwfs in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
<Humsafar > PWFS by pankajwfs in Shairi - E - Zindagi
MAA KE AANCHAL KI CHAON......soudagar by soudagar in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4  All »
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: February 21, 2012, 09:24:05 AM »
Reply with quote
Pankaj ji bahut khoob kahaa aapne kaheen kaheen par words ko cheq karen main kuchh ko likh rahaa hoon.siyasat, cheenz,main,fanstaa,gulshan,qism,phool,dhoondh,mayassar,sukoon,dhoop,beshqeemtee,khushee
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 46 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: February 21, 2012, 09:32:57 AM »
Reply with quote


Dhup aur Chaon ka jaisa rista hai.

Gam aur Khusi  ka Waisa rista hai.


Beskimati jahaN me Chaon aur Khusi

Dhup aur Gam se yahaN kya sasta hai. 


Nahi Myasarr kisi ko har pal ka skoon.

Har insaaN Duniya me rota hasta hai.


Mat dundh use Ibadatgaah me Aehmaq.

Har zarey zarey me khuda basta hai.


Kadam khud bakhud aage bhadhte hain,

Manzile nai hain par purana rasta hai.


Mat puch ki kya halaat hai sehar ke,

Bastiyon ko dekhlo halat khasta hai.

   
Udaate hain dawat wazir shab dekhlo.

Unke ehtmaam me koi khane ko tarasta hai.


Kai rang hain sukhan ke is mehfil me bhi.

har kism ke phul hain ye aisa gul dasta hai.


Koi kuch kahe koi kuch sab ki marzi hai.

In hi khyalon se ye Gulsan Vabasta hai.


Hai siyashat kya cheez kyu sir khpau mai.

Duniya ki rawayat me 'pankaj' kyun fasta hai.  (PWFS 21/02/2012)










Bahut Bahut Aur Bahut Khooob Pankaj Ji..

Bahut Hi khoobsurat Khayalaat..

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Saini Saheb Ne Jo Baatein Kaheen Hai Unn Par Zaroor Gaur Farmayiega
Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #3 on: February 21, 2012, 09:38:13 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut sukriya Saini sir for sugestion and appriciation I have corrected needful changes Sir Thanks Again  icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut Usual Smile Usual Smile
Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #4 on: February 21, 2012, 09:39:31 AM »
Reply with quote
Thanks Khwais ji Isi tarah hausla afzai karte rahen aur Margdarshan bhi   icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #5 on: February 21, 2012, 01:06:47 PM »
Reply with quote
Bahoot Khoob.

Khaastaur pe-

"Mat dhundh usse ibadatgaah mein ahmeq
Zarrey zarrey mein Khuda basta hai"

bahut pasand aaya.

 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
sarfira
Guest
«Reply #6 on: February 21, 2012, 04:56:52 PM »
Reply with quote
bahot khoob Pankaj sahab
ek baht hi kaamyaab ghazal ki kosis par dili daad kubul karen--

bht se aashar behd umda hain
Usual Smile

likhte rahen
aate rahen
muskurate rahen
Usual Smile
Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #7 on: February 22, 2012, 04:23:57 AM »
Reply with quote
Thanks Iftkhar ji aur Sarfira ji   Thankyou !
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 28, 2024, 06:12:50 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer