Duniyaa waale dil waalon ko.....!

by sharmaarunkumar on December 19, 2004, 07:56:24 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1863 times)
sharmaarunkumar
Guest
Reply with quote
Dil Ki Baat Labon Pe La Kar Ab Tak Hum Dukh Sahtey Hain!
Hum Ney Suna Tha, Is Basti Mein Dil Waley Bhi Rahtey Hain!

Beet Gaya Saawan Ka Maheena Mausam Ne Nazarein Badlien,
Lekin In Pyaasi Aankhon Se Ab Tak Aanso Bahtey Hain!

Ek Humein Aawaara Kehna Koi Bada Ilzaam Nahien,
Duniya Waaley Dil Waalon Ko Aur Bahut Kuchh Kahtey Hain!

Jin Ki Khaatir Shahar Bhi Chorha, Jin Ki Khaatir Bad-Naam Huye,
Aaj Wohi Hum Se Begaaney Begaaney Se Rahtey Hain!

Woh Jo Abhi Is Rahguzar Se Chaak-e-Girebaan Guzraa Tha,
Us Aawaara Deewaney Ko Jalib Jalib Kahtey Hain!



                                     ( Habib Jalib)
Logged
nishita
Guest
«Reply #1 on: December 21, 2004, 12:08:48 PM »
Reply with quote
again a nice one Usual Smile
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #2 on: December 21, 2004, 05:14:53 PM »
Reply with quote
Thanks a Lot!!! Nishita ji!!!
Logged
Meena
Guest
«Reply #3 on: December 22, 2004, 07:15:00 PM »
Reply with quote
"Beet Gaya Saawan Ka Maheena Mausam Ne Nazarein Badlien,
Lekin In Pyaasi Aankhon Se Ab Tak Aanso Bahtey Hain! "

very gud lines!!!!
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #4 on: December 22, 2004, 07:25:46 PM »
Reply with quote
Thanks Meena ji!!! Usual Smile
Logged
Meena
Guest
«Reply #5 on: December 22, 2004, 07:33:01 PM »
Reply with quote
anytime mundeya!

 :D
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #6 on: December 22, 2004, 07:41:11 PM »
Reply with quote
:D  Usual Smile
Logged
khirbar
Guest
«Reply #7 on: December 24, 2004, 07:25:42 AM »
Reply with quote
hi friends Usual Smile


I like this Ghazal and i hope u also like it

"Ab kay tajdiday-e-wafa ka nahi imkaan jana
Yaad kiya dilaian tujh ko teyra peemaan jana
Yun moosam ki adda deykh kay yaad aaya hay
Kisqadder badal jaatay hain insaan jana
Zindagi teyri atta thee soo teyray naam ki hay
Hum nay jaysay bhi basser ki teyra ehssan jana
Dill yeh kheta hay kay shayied ho afsooda tu bhi
Dill ki kiya baat karian dill to hay nadaan jana
Awal awal ki muhabat kay nashay yaad tu ker
Bay peeyah bhi teyrah chayrah tha gullistan jana
Akhir akhir to yeh allam hay kay aab hoshe nahi
Ragay meena sulag uthee kay ragay janay-e-jana
Mudatoon say yehi allam na tuwaqoo na umeed
Dill pukaray hi challay jata hay jana jana
Hum bhi kiya sada thay,hum nay bhi samajh rakha tha
Gham-e-doraan say juda hay gham-jana jana!!

bye
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #8 on: December 24, 2004, 07:11:10 PM »
Reply with quote
Nice One!!!
Logged
khirbar
Guest
«Reply #9 on: December 25, 2004, 12:30:58 PM »
Reply with quote
hi Usual Smile
thanks sharma jee


Duniya ko is ka chehra dekhana para mujhe
Parda jo darmiyan tha hatahna parah mujhe

Ruswayion ke khuaf se ajj phir
Mehfil mein teri aana parah mujhe

Usool-e-mehfil reh gaye is liye,
Is bewafa se haath mila na para mujhe

Gum ho na jaye log kahin is liye
Apne Laho ka deep jala na para mujhe

Tum kis pe azzmao ge apni jafa
ke teri mehfil bas ye sooch ke aana para mujhe

Dil ko yakeen tha aap ke aane ka is liye
Ankhon ko raaste pe bichana para mujhe

Nayaab mujh ko ghum se mohabbat thi is liye
Dil ek bewafa se laga na para mujhe.

bye take care
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #10 on: December 25, 2004, 02:40:24 PM »
Reply with quote
Great !!! Nice Poem!!
Logged
khirbar
Guest
«Reply #11 on: December 28, 2004, 09:56:13 AM »
Reply with quote
hi friends  Usual Smile

thanks sharma jee




Muskaratay Raho

Dard kaisa bhi ho ankh nam na karo
Raat kaali sahi koi gham na karo
Ik sitara bano jagmagatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho
Baant'ni hai agar baant lo har khushi
Gham na zahir karo tum kisi per kabhi
Dil ki gehraai mein ghum chupatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho
Ashk anmool hain kho na dena kahin
In ki har boond hai motiyoon se haseen
In ko har ankh se tum churatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho
Faaslay kam karo dil milatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho


bye takecare
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #12 on: December 28, 2004, 03:08:53 PM »
Reply with quote
Waah! Ji Waah!!! Nice!!!
Logged
khirbar
Guest
«Reply #13 on: December 29, 2004, 09:36:03 AM »
Reply with quote
hi friends Usual Smile

thanks sharma jee

KHABOON KO BATAIN KERNAY DO


"Ankhoon main jo khaab hain unn ko batain kernay do
Hontoon say woh lafez kaho jo kajal kehta hay
Moosam jo sandaysa layah uss ko perh to lo
Sunn to lo woh raz jo piyasa sahill kehta hay


Atti jaati lehroon say kiya pooch rahi hay reyat
Badal ki dhehleez pay taray kunker bathay hain !
Jhernoon nay uss geet ka muoonkhra kesay yaad kiya!
Jiss kay her eik boal main hum tum batain kertay thay


Rah guzer ka,moosam ka,naah barish ka mohtajj
Woh deriyah jo her eik dill kay under behta hay
Kha jaata hay her eik soola-e-waqat ka tasihdaan
Bus eik naqshay-e-muhabat hay jo baqi rehta hay

bye take care
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #14 on: December 29, 2004, 05:17:07 PM »
Reply with quote
excellent Khirbar ji!!!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 05:52:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.095 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer