EK HASEEN KA HASEEN KHWAAB HOON MAIN .........HASAN

by F.H.SIDDIQUI on October 22, 2011, 05:21:31 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 4205 times)
ParwaaZ
Guest
«Reply #15 on: October 24, 2011, 07:13:49 PM »
Reply with quote
Parwaaz saheb ,Bahut mashkoor hoon aap ki hausla afzai ke liye.
  Aap ne jis sher ke baare mein kaha hai uss mein yeh kahne ki koshish ki hai ki maa-baap ki duaaon ke siva kuch nahiin hasil kar saka lekin yeh bhi badi kaamyabi hai. Mazeed behtar tareh se izhaar ke liye aapki rahnumaai chahoonga.Duago,Hasan

Siddiqui Sahaab Aadaab!

Badi masarrat huyi janab ke aapne humare ishaare tawajoH ke kabil samjha... Jee hum aapke sher ko samjhe hai jo behad sidha sa hai
bus iqtelaaf kuch lafzoN se hua... aur khususan isliye hua ke
aapki puri kalaam hi tanziyaa aur tikhe ahsaas ko bayaaN kar rahi
hai... Usual Smile

Aur isliye bhi ke aapne MaaN baap ke pahele " SIRF" lafz ka istemaal
kiya... waqai kuch beadab sa laga hume.. Huh?

Jee hum koi surat to bayaaN zarur kareNge par bher se kharij
raheNgi, humare khayaal se gar aap mutasir hoN to use bher meiN
baNd dijiyeNga... Usual Smile

Waise is khayaal ko humne aik arsa pahele kalam baNd kiya tha... jo is tarha kiya tha...


Mayssar Nahi mere alfaz uski tarif ke liye
MaaN baap ki Neki ka bada sawaab huaa woH


Kafiyaa to wohi hai aur khayaal bhi woHi hai.... bus andaaz juda
hai yahaaN aap khud ke bare meiN kah raheN hai aur humne kisi aur ke bare meiN kaha hai...

shayad aap ab kuch ittefak kareN ke aapko humari baat sahiN lage.. ... Waise aapko agar humara khayaal sahiN nahi laga toH Insha Allaah hum aapko dusre khayaal ke saath zarur mileNga..

Likhate rahiye... Khush O aabaad rahiye.. Khuda Hazfez... Usual Smile

   



Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Haseen Khwaab... by Aryaan in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 »
**~** Haseen Khwaab **~** by _Vicky_ in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
ek haseen khwaab by maghroob alam in Occassion Specific Poetry
!!.haseen khwaab.!! by Just_Hate_Love in Shayri-E-Dard
TU HASEEN AUR HASEEN HO JAAYE ............................... HASAN by F.H.SIDDIQUI in Shayari -e- Husn « 1 2 3 4  All »
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #16 on: October 25, 2011, 05:13:48 AM »
Reply with quote
Kamal...Lazwaab...Samajh hi nahi aa raha kya kahoon...bahut Khoob..!!


Khas kar in pantiyo.n ne to dil chhoo liya..!!


Gyan Prakash ji, shukrguzaar hoon ki aap ne ghazal aur uss ke kuchh ashaar khas kar se pasand farmaye.Hausla afzai ke liye behad mamnoon hoon.Hasan
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #17 on: October 25, 2011, 09:52:22 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Sureshji,Bahut bahut shukriya aur Diwali ki dheron shubhkamnayen.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #18 on: October 25, 2011, 11:15:25 AM »
Reply with quote
wah
Manoj ji,Bahut Shukriya.Khush rahiye.Diwali ki dheron mubarakbad qubool kijiye..
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #19 on: October 25, 2011, 06:04:15 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause shaandaar peshkash hasan bhai
Saini saheb,tahedil se shukriya aur khushiyon ke hazaron deep aapki khidmat mein....Hasan
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #20 on: October 26, 2011, 03:51:01 PM »
Reply with quote
Siddiqui Sahaab Aadaab!

Badi masarrat huyi janab ke aapne humare ishaare tawajoH ke kabil samjha... Jee hum aapke sher ko samjhe hai jo behad sidha sa hai
bus iqtelaaf kuch lafzoN se hua... aur khususan isliye hua ke
aapki puri kalaam hi tanziyaa aur tikhe ahsaas ko bayaaN kar rahi
hai... Usual Smile

Aur isliye bhi ke aapne MaaN baap ke pahele " SIRF" lafz ka istemaal
kiya... waqai kuch beadab sa laga hume.. Huh?

Jee hum koi surat to bayaaN zarur kareNge par bher se kharij
raheNgi, humare khayaal se gar aap mutasir hoN to use bher meiN
baNd dijiyeNga... Usual Smile

Waise is khayaal ko humne aik arsa pahele kalam baNd kiya tha... jo is tarha kiya tha...


Mayssar Nahi mere alfaz uski tarif ke liye
MaaN baap ki Neki ka bada sawaab huaa woH


Kafiyaa to wohi hai aur khayaal bhi woHi hai.... bus andaaz juda
hai yahaaN aap khud ke bare meiN kah raheN hai aur humne kisi aur ke bare meiN kaha hai...

shayad aap ab kuch ittefak kareN ke aapko humari baat sahiN lage.. ... Waise aapko agar humara khayaal sahiN nahi laga toH Insha Allaah hum aapko dusre khayaal ke saath zarur mileNga..

Likhate rahiye... Khush O aabaad rahiye.. Khuda Hazfez... Usual Smile

    




  Parwaaz saheb,bahut shukriya jawaab dene aur wazahat farmaane ke liye.Aap ke tabsiron mein hamesha behad khuloos hota hai aur unnpar ghaur na karoon ye to mumkin hi nahiin hai.Main samajhta  hoon ki sher aur behtar tareeqe se kaha jaa sakta thha lekin aapki iss baat se ittefaq nahin hai ki 'sirf' ke istemal me be adabi hai.Istemal bhi tanzia hai  aur 'sirf' se ye izhaar karne ki koshish ki hai ki is material world ke paimaanon se, jahaan dhan daulat aur rutba kamyabi ke meyaar samjhe jaate hain, aur  walidain ki duaayen kuchh nahi samjhi jaati hain , inhein kuchh log meri kaamyabi zaroor maante hain.Misal ke liye Munawwar Rana saheb ke eik sher ka hawaala bhi dena chaahunga ,jiska pehla misra to nahi yaad hai lekin doosra is tarah hai:"Main ghar mein sab se chhota thha , mere hisse mein Maa aayi".Iss mein bhi maa ka darja kam nahi kiya gaya hai, aur koi beadabi nahiin ki gayi hai, bulki duniya ki khudgharzi per tanz aur maa ki ahmiyat ki taraf ishaara kiya gaya hai.Bahar haal main aap ke purkhuloos tabsire ki poori qadr karta hoon .Shayed main doosre misre ko tabdeel kar ke yuun kahuun ki:'Main samajhta hoon kaamyab hoon main' to aapko ziyada qabil e qubool ho ,halanki iss tarah bhi 'sirf' ka istemaal badastoor qaim rahega.Kam ilmi ke baa'as kuchh ghalat daleel di ho,ya iss zameen mein aapki nazar main behtar izhaar mumkin ho to zaroor rahnumai chaahunga.Behad shukriye ke saath,Hasan.
Logged
shiba
Guest
«Reply #21 on: October 05, 2012, 06:11:09 PM »
Reply with quote

Kya   kahooN , achha   hooN , Kharaab   hooN   maiN ,
Jo   bhi   hooN   tera   intikhaab   hooN   maiN

Bach   na   paayegi   tuu   tapish   se   meri ,
Tuu   zameeN   hai   to   aftaab   hooN   maiN

Maana   ta'beer    kuchh   naheeN     lekin ,
Ek  HaseeN  ka   haseen   khwaab   hooN   maiN

'Ishq'   ko    uss   ne   aise   samjhaaya :
'Aap  Bhounra  haiN  aur  Gulaab  hoon   maiN'

Sirf   MaaN - Baap   kee   duaaye'N   mileeN ,
Log   kahte   haiN   kaamyaab   hooN   maiN

Uss ne  bus   eik   Sawaal   poochha   thha ,
Aye  'Hasan' , abb   bhi  lajawaab  hooN   maiN




wow Bohat Khoob Hasan Ji Applause
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #22 on: October 09, 2012, 05:00:21 PM »
Reply with quote

wow Bohat Khoob Hasan Ji Applause
BAHUT  SHUKRGUZAR HOON , SHIBAJI .
Logged
shara63
Guest
«Reply #23 on: January 02, 2013, 06:43:45 AM »
Reply with quote
hasan sb, bahut khoob..kya kahne hain aapke!
Logged
livingbytheday
Guest
«Reply #24 on: January 02, 2013, 03:31:31 PM »
Reply with quote

waah waah, bahut khoob, bahut khoob
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #25 on: January 13, 2013, 04:33:32 AM »
Reply with quote
BAHUT SHUKRGUZAAR HOON , MOHTARMA. KHUSH  RAHYE . HASAN
hasan sb, bahut khoob..kya kahne hain aapke!
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #26 on: January 14, 2013, 12:44:06 PM »
Reply with quote
waah waah, bahut khoob, bahut khoob
Deepak ji , bahut shukrguzar hoon . khush rahye .
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 07:03:23 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.159 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer