Ek husn fana. hai

by drpandey on February 10, 2010, 05:03:01 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 902 times)
drpandey
Guest
Reply with quote
===========================
Khamosh parindoN ka ye talkh bayan hai!
Sahme se chanaroN pe ab berk nihan hai!

Duniya-e-adab de koi nayaab sa tohfaa,
Duniya-e-siyasat ki tareek-e-rawan hai!

Toofan-e-hawadis mein firse bahaar aaye,
Kashmir mein aai hui kuchh garm hawa hai!

Sayyad ki nisbat hai ye daagh-e-mahroomi,
Kis saaj-ae-mutrib pe nagma ye jawan hai!

Afsoos agar hai to es baat pe mujhko,
Ek gard ki chadar mein ek husn fana. hai!
===========================
Dr HP Pandey
Allahabad
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
fana by tushar_4u_im in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 5 6 »
fANA by tushar_4u_im in Shayri for Khumar -e- Ishq
Sab kuch fana hai......................................................IFTAKHAR by Iftakhar Ahmad in Ghazals « 1 2  All »
Fana kar diya.................................................................IFTAKHAR by Iftakhar Ahmad in Ghazals « 1 2  All »
Fana kahete hain kisko kya baqa hai ( Qadeertoopchi ) by qadeer_junaid in Ghazals
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: February 11, 2010, 12:16:55 AM »
Reply with quote
Wah Pandey ji,very beautiful gazal.bahut khoob.lovely creation.excellent
Logged
drpandey
Guest
«Reply #2 on: February 11, 2010, 08:03:36 AM »
Reply with quote
Wah Pandey ji,very beautiful gazal.bahut khoob.lovely creation.excellent
Shukriya Madhu Ji, aapko meri creation achchhi lagi mera prayas safal hua.
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #3 on: February 11, 2010, 06:18:55 PM »
Reply with quote
KYAA KAHNEY HAIN DR SAHAB BAHUT GAHRA LIKHA HAI...!!!!!!!!!!!!!ARZ HAI....

     

      BAHUT DOOB KAR JAANA HAI ...
      AGAR RAAZ KO SAMAJHNA HAI....
      WARNA ALFAAZ TO UN HI FANAA HOTEY HAIN FIZAA MAIN...............!!
Logged
drpandey
Guest
«Reply #4 on: February 11, 2010, 07:08:31 PM »
Reply with quote
Pandey Ji Aadab.

Maafi Chahta Hun Mujh Na Samajh Ko Yeh Sher Ka
Matlab Bilkul Samajh Nahi Aaya...! icon_scratch
Plz Badi Meharbani Hogi Gar Aap Bata Den Ki
Is Sher Men Aap Kya Kehna Chahte Hain?
I Mean Kis Taraf Aapne Ishara Kiya Hai?
Plz Ho Sake To Bataiyega Take Men Apni Commente De Sakun
Kyun Ki Bina Samjhe Bhi Apni Raay Dena Achha Nahi Na So..Plz icon_silent

Toofan e Hawadish Mein Phir Se Bahaar Aaye
Kashmir Mein Aai Hui Kuchh Gharm Hawaa Hai.!


Khush Rahiye...

~Shihab~

Shihab Ji adaab Arz hai,
Are sahab aap to sharminda kar rahe hain, maafi kis baat ki, ye to meri nasamjhi ki daleel ho saki hai ki main apni baat ke isare ko bakhubi aap tak nahin pahuncha paaya..khair fir koshish karta hun. sabko maloom hai ki Kashmir ka mahoul dahshatgardi se kis tarah se aaluda ho chuka hai, ise Hindostan ke chehre per ek badnuma daag sa samajhna chahiye. wahan insaniyat, jaat, majhab sab bemani ho chuka hai kya yeh HAADSON ke toofan se kam hai? har hindostani yahi sochta hai ki is mahoul mein firse bahaar aa jaye. Jahan tak garm hawa ka talluk hai dahshatgardi se iska matlab maine liya hai. Jo sher aapne quote kia hai uske explanation ke liye pahle aur baad wale sher per gaur farmayen. Aapki khidmat mein ek sher aur arz karta hun..

Chehra jhulas gaya hai Hindostan ka,
Kya haal puchhte ho jalti zubaan Ka?

Bahut bahut Shukriya Shihab Sahab
Logged
drpandey
Guest
«Reply #5 on: February 11, 2010, 07:16:33 PM »
Reply with quote
KYAA KAHNEY HAIN DR SAHAB BAHUT GAHRA LIKHA HAI...!!!!!!!!!!!!!ARZ HAI....

     

      BAHUT DOOB KAR JAANA HAI ...
      AGAR RAAZ KO SAMAJHNA HAI....


      WARNA ALFAAZ TO UN HI FANAA HOTEY HAIN FIZAA MAIN...............!!
Khamosh Ji azhad shukriya ki aapne alfaazon ko samjha aur behad umda sher kaha..aapki shaan mein aapko nazar karta hun...

Ye ehsaas ki darz-e-hararat hai,
Ye dard hai naa ki shararat hai!
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #6 on: February 12, 2010, 07:09:04 AM »
Reply with quote
Bahut Khubsurat Likha Hai Pandey Ji Aapne ApplauseApplauseApplause
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #7 on: February 12, 2010, 01:53:05 PM »
Reply with quote
Pandey sahab aapki ye creation ek bahut achhi creation hai. Desh ke ek bade mas-ale ka bahut achhi tarah poetry ke roop mein numaya kiya hai aur nek khwahishaat ka izhaar kiya hai.Very nice creation Pandey ji.  
Logged
drpandey
Guest
«Reply #8 on: February 15, 2010, 12:09:03 PM »
Reply with quote
Pandey sahab aapki ye creation ek bahut achhi creation hai. Desh ke ek bade mas-ale ka bahut achhi tarah poetry ke roop mein numaya kiya hai aur nek khwahishaat ka izhaar kiya hai.Very nice creation Pandey ji.  
Shukriya Riyaz Sahab, jab kisi mudde par sochta hun to apne alfazon ko original form me rakh deta hun jisme wo kabhi-kabhi meter se bahar bhi ho jatey hain, lekin meri soch aap tak pahuch jaati hai...thanks a lot.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 08:06:26 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer