Gar tum nahin bulaaougey, aauungaa bhalaa kyon?

by abdbundeli on February 23, 2011, 11:15:17 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 930 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote


Roothogey nahin, yaar! Manaauungaa bhalaa kyon?
Ab tum sunaa rahey ho, to, gaauungaa bhalaa kyon?

Maanaa, ki, main raqeeb naheen hun, habeeb huun;
Gar tum nahin bulaaougey, aauungaa bhalaa kyon?

Tumko kiyaa hai yaad azal sey, au' shab-o-roz;
Ab hashra muntazir hai: bhulaauungaa bhalaa kyon?

Tum ney kahaa thaa, 'Sharbat-e-kousar pilaaungaa!'
Fir, sharbat-e-aatish mein nahaauungaa bhalaa kyon?

Peeney key liye pyaar hai, aankhon kaa nashah hai:
Ab maykadey jaaungaa, to, jaauungaa bhalaa kyon?

Maalum hai, nahin kheyl kaatnaa shab-e-firaaq;
Pahunchoongaa sarey shaam, sataauungaa bhalaa kyon?

Yuun to gul-e-gulbun ko suhaatey hain khaar bhi;
Hanstey gulaab ko main rulaauungaa bhalaa kyon?

Maykash huun, 'abd', meyree zindagee hai maykadaa;
Saaqee ho tumhin, doosaraa laauungaa bhalaa kyon?


                       - abd bundeli

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Meri Neend Lauta Kyon Nahin Dete.... by HumTum in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Yaadon Ko Apne Dil Se Mita Kyon Nahin Dete, by fakharenaveed in Shayri for Khumar -e- Ishq
Yaadon Ko Apne Dil Se Mita Kyon Nahin Deti by FAREE in Shayeri for Dard -e- Bewafai
RAAT BEETI NEEND KYON AAYEE NAHIN - SARVESH RASTOGI by SARVESH RASTOGI in Ghazals « 1 2 3  All »
hosh mein aate kyon nahin...... by SURESH SANGWAN in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Anshumali
Guest
«Reply #1 on: February 23, 2011, 01:28:12 PM »
Reply with quote

Roothogey nahin, yaar! Manaauungaa bhalaa kyon?
Ab tum sunaa rahey ho, to, gaauungaa bhalaa kyon?

Maanaa, ki, main raqeeb naheen hun, habeeb huun;
Gar tum nahin bulaaougey, aauungaa bhalaa kyon?

Tumko kiyaa hai yaad azal sey, au' shab-o-roz;
Ab hashra muntazir hai: bhulaauungaa bhalaa kyon?

Tum ney kahaa thaa, 'Sharbat-e-kousar pilaaungaa!'
Fir, sharbat-e-aatish mein nahaauungaa bhalaa kyon?

Peeney key liye pyaar hai, aankhon kaa nashah hai:
Ab maykadey jaaungaa, to, jaauungaa bhalaa kyon?

Maalum hai, nahin kheyl kaatnaa shab-e-firaaq;
Pahunchoongaa sarey shaam, sataauungaa bhalaa kyon?

Yuun to gul-e-gulbun ko suhaatey hain khaar bhi;
Hanstey gulaab ko main rulaauungaa bhalaa kyon?

Maykash huun, 'abd', meyree zindagee hai maykadaa;
Saaqee ho tumhin, doosaraa laauungaa bhalaa kyon?


                       - abd bundeli



Bahut khoobsurat aur badhiyaa ghazal likhi hai aapne ... Bundeli Sahab ! padhkar sabhi ashaar khoob luft aayaa ... sabhi khayaal acche lage ... tahe dil se daad hazir hai ...aise hi umdaa kalaamoN se ru-ba-ru karaateN rahen aage bhi .... khush rahen ... !

duaaoN ke saath ... !
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #2 on: February 23, 2011, 01:38:53 PM »
Reply with quote
Bahut khoobsurat aur badhiyaa ghazal likhi hai aapne ... Bundeli Sahab ! padhkar sabhi ashaar khoob luft aayaa ... sabhi khayaal acche lage ... tahe dil se daad hazir hai ...aise hi umdaa kalaamoN se ru-ba-ru karaateN rahen aage bhi .... khush rahen ... !

duaaoN ke saath ... !

Bahut-bahut shukriyah Anshumali ji!
Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #3 on: February 23, 2011, 02:08:06 PM »
Reply with quote
bht khoob abd ji.....
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: February 23, 2011, 02:29:58 PM »
Reply with quote
bht khoob abd ji.....

Bahut-bahut shukriyah 'manzil' ji!

              - abd bundeli
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #5 on: February 23, 2011, 03:15:28 PM »
Reply with quote
Bahut hi umda abd ji...
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #6 on: February 23, 2011, 03:24:00 PM »
Reply with quote
Bahut hi umda abd ji...
Bahut-bahut shukriyah 'brokenbyluv' ji!

              - abd bundeli
Logged
nirala
Guest
«Reply #7 on: February 23, 2011, 05:40:58 PM »
Reply with quote
aapke iss Ghazal ko jaise jaise parhta gaya wese wese mai khus hota chala gaya Sirji.
aapke Nagmo ka ab mujhe intezaar rahta hai Bundeli sahab.
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #8 on: February 23, 2011, 07:53:23 PM »
Reply with quote
Bahut Khub Abd Ji Applause Applause
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #9 on: February 24, 2011, 04:14:06 AM »
Reply with quote
aapke iss Ghazal ko jaise jaise parhta gaya wese wese mai khus hota chala gaya Sirji.
aapke Nagmo ka ab mujhe intezaar rahta hai Bundeli sahab.


Shukriyah Nirala ji!

        - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #10 on: February 24, 2011, 04:16:15 AM »
Reply with quote
Bahut Khub Abd Ji Applause Applause

Dhanyawaad Rishi ji!

        - abd bundeli
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #11 on: February 24, 2011, 05:34:55 AM »
Reply with quote

Roothogey nahin, yaar! Manaauungaa bhalaa kyon?
Ab tum sunaa rahey ho, to, gaauungaa bhalaa kyon?

Maanaa, ki, main raqeeb naheen hun, habeeb huun;
Gar tum nahin bulaaougey, aauungaa bhalaa kyon?

Tumko kiyaa hai yaad azal sey, au' shab-o-roz;
Ab hashra muntazir hai: bhulaauungaa bhalaa kyon?

Tum ney kahaa thaa, 'Sharbat-e-kousar pilaaungaa!'
Fir, sharbat-e-aatish mein nahaauungaa bhalaa kyon?

Peeney key liye pyaar hai, aankhon kaa nashah hai:
Ab maykadey jaaungaa, to, jaauungaa bhalaa kyon?

Maalum hai, nahin kheyl kaatnaa shab-e-firaaq;
Pahunchoongaa sarey shaam, sataauungaa bhalaa kyon?

Yuun to gul-e-gulbun ko suhaatey hain khaar bhi;
Hanstey gulaab ko main rulaauungaa bhalaa kyon?

Maykash huun, 'abd', meyree zindagee hai maykadaa;
Saaqee ho tumhin, doosaraa laauungaa bhalaa kyon?


                       - abd bundeli



umda khyaal bundeli ji
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #12 on: February 24, 2011, 11:01:36 AM »
Reply with quote
umda khyaal bundeli ji

Shukriyah 'marhoom bahayaat' ji!

                - abd bundeli
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 27, 2024, 01:27:35 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer