ghazals.........close to my heart

by aaina on May 09, 2009, 07:19:30 AM
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10
ReplyPrint
Author  (Read 9886 times)
Talat
Guest
«Reply #105 on: July 09, 2009, 01:49:35 PM »
Reply with quote
kya baat hai talat thnxxx for sharing such a beautifull ghazal

Thanks Aslam Ji
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Song lyRiCs cLoSe 2 our heaRT.... by sanju in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
CLOSE UP by shreya in SMS , mobile & JOKES « 1 2  All »
Songs close to my heart.. by brokenbyluv in Songs & Lyrics « 1 2 ... 57 58 »
poetry on current scenerio:close to my heart by rahul sengar in Shairi - E - Zindagi
FEELING CONNECTED TO CLOSE ONE by Nahid Ayaz in Urdu Poets
Talat
Guest
«Reply #106 on: July 09, 2009, 01:50:32 PM »
Reply with quote
Dua karo ke koi piyaas nazr e jam na ho
Wo zindagi hi nhi hai jo natamaam na ho

Jo mujhme  tujhme  chal rha hai sadiyon se
Kahin hayaat usi faasle ka naam na ho

Koi charaagh, na aansu, na aarzu e saher
Khuda kare ke ghr mai aisi sham na ho

Ajeeb shart lagaai hai ehetiyaato.n ne
Ke tera zikr karun aur tera naam na ho

Saba mijaaz ki tezi bhi ek naemat hai
Agr charagh bujhana hi sirf kaam na ho

Waseem kitni hi subho.n lahu lahu guzri.n
Ek aisi subho bhi aaye ke jiski shaam na ho



Beautiful ghazal Aslam Ji...Thanks for sharing with us.
Logged
HumTum
Guest
«Reply #107 on: July 10, 2009, 09:06:06 AM »
Reply with quote

Mujh Se Khafa Ho Ke Chup Chaap Sa Beth Jata Hai
Khud Bhi Jalta Hai Mujhey Bhi Saath Jalata Hai

Us Ko Manatey Hoye Mein Khud Hi Rooth Jayun To
Phir Merey Paas Aa Ke Raat Bhar Mujhey Manata Hai

Khud Hi Sawal Kar Ke Khud Hi Jawab Deta Hai
Phir Merey Seeney Se Lag Ke Khud Hi Gungunata Hai

Us Ek Pal Ke Sadqey Mein Meri To Her Khushi Qurbaan
Jab Wo Sher Kehtey Hoye Dheerey Se Muskurata Hai

Subh Ka Sitara Lagta hai Zindagi Se Piyara Lagta Hai
Meri Bahon Mein Aatey Hoye Jab Wo Bohut Sharmata Hai

Meri Yaad Ke Mausam Ko Palkon Pe Sajaye Rakhta Hai
Beetey Hoye Her Pal Ki Khabar Mil Kar Mujhey Batata Hai

Merey Bagher Kesey Guzri Us Ki Kal Ki Raat
Us Ki Aankh Ka Phela Kajal Saari Kahani Sunata Hai

Is Shehar Ke Sawan Mein Barish Ki Raat Jab Aati Hai
Be Ikhtiyaar Hi Ek Shakhs Yaad Bohut Aa Jata Hai

Mein Us Ke Naam Ki Nisbat Se Mooatbar Hun Apni Zaat Mein
Merey Kahayl Ka Her Ek Saaz Geet Usi Ke Gata Hai !!



Ghazal
by A Muhammad Noman Qureshi
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #108 on: July 10, 2009, 09:09:27 AM »
Reply with quote
Nice one Hum Tum Ji
Logged
HumTum
Guest
«Reply #109 on: July 10, 2009, 09:13:14 AM »
Reply with quote
This one is Close to my heart-:


apanii aa.Nkho.n ke samu.ndar me.n utar jaane de
teraa mujarim huu.N mujhe Duub ke mar jaane de


ai naye dost mai.n samajhuu.Ngaa tujhe bhii apanaa
pahale maazii kaa koii zaKhm to bhar jaane de


aag duniyaa kii lagaii huii bhuj jaayegii
koii aa.Nsuu mere daaman pe bikhar jaane de


zaKhm kitane terii chaahat se mile hai.n mujhako
sochataa huu.N ki kahuu.N tujhase magar jaane de!!



Ghazal

by "Nazeer Baqri"


Logged
HumTum
Guest
«Reply #110 on: July 10, 2009, 09:18:35 AM »
Reply with quote
Close to My heart-:



Apane haatho.n kii lakiiro.n me.n basaale mujhako
Mai.n huu.N teraa nasiib apanaa banaa le mujhako

Mujhase tuu puuchhane aayaa hai vafaa ke maanii
Ye terii sadaadilii maar na Daale mujhako

Mai.n sama.ndar bhii huu.N motii bhii huu.N Gotaazan bhii
Koii bhii naam meraa leke bulaale mujhako

Tuune dekhaa nahii.n aaiine se aage kuchh bhii
Khudaparastii me.n kahii.n tuu na ga.Nvaale mujhako

Kal kii baat aur hai mai.n ab saa rahuu.N yaa na rahuu.N
Jitanaa jii chaahe teraa aaj sataale mujhako

Khud ko mai.n baa.NT na Daaluu.N kahii.n daaman-daaman
Kar diyaa tuune agar mere havaale mujhako

Mai.n jo kaa.NTaa huu.N to chal mujh se bachaakar daaman
Mai.n huu.N gar phuul to juu.De me.n sajaale mujhako

Mai.n khule dar ke kisii ghar kaa huu.N saamaa.N pyaare
Tuu dabe paa.Nv kabhii aake churaale mujhako

Tark-e-ulfat kii qasam bhii ko_ii hotii hai qasam
Tuu kabhii yaad to kar bhuulanevaale mujhako

Baadaa phir baadaa hai mai.n zahar bhii pii jaauu.N "Qateel"
Shart ye hai koii baaho.n mei.n sambhale mujhako!!



Ghazal

by "Qateel Shifai"
Logged
HumTum
Guest
«Reply #111 on: July 10, 2009, 09:23:46 AM »
Reply with quote



Apane hoTho.n par sajaanaa chaahataa huu.N
Aa tujhe mai.n gunagunaanaa chaahataa huu.N


Koii aa.Nsuu tere daaman par giraakar
Buu.Nd ko motii banaanaa chaahataa huu.N


Thak gayaa mai.n karate-karate yaad tujhako
Ab tujhe mai.n yaad aanaa chaahataa huu.N


Chhaa rahaa hai saarii bastii me.n a.Ndheraa
Raushanii ho ghar jalaanaa chaahataa huu.N

AaKharii hichakii tere zaano.n pe aaye
Maut bhi mai.n shaayaraanaa chaahataa huu.N



Ghazal

by "Qateel Shifai"
Logged
Talat
Guest
«Reply #112 on: July 10, 2009, 12:11:20 PM »
Reply with quote

Mujh Se Khafa Ho Ke Chup Chaap Sa Beth Jata Hai
Khud Bhi Jalta Hai Mujhey Bhi Saath Jalata Hai

Us Ko Manatey Hoye Mein Khud Hi Rooth Jayun To
Phir Merey Paas Aa Ke Raat Bhar Mujhey Manata Hai

Khud Hi Sawal Kar Ke Khud Hi Jawab Deta Hai
Phir Merey Seeney Se Lag Ke Khud Hi Gungunata Hai

Us Ek Pal Ke Sadqey Mein Meri To Her Khushi Qurbaan
Jab Wo Sher Kehtey Hoye Dheerey Se Muskurata Hai

Subh Ka Sitara Lagta hai Zindagi Se Piyara Lagta Hai
Meri Bahon Mein Aatey Hoye Jab Wo Bohut Sharmata Hai

Meri Yaad Ke Mausam Ko Palkon Pe Sajaye Rakhta Hai
Beetey Hoye Her Pal Ki Khabar Mil Kar Mujhey Batata Hai

Merey Bagher Kesey Guzri Us Ki Kal Ki Raat
Us Ki Aankh Ka Phela Kajal Saari Kahani Sunata Hai

Is Shehar Ke Sawan Mein Barish Ki Raat Jab Aati Hai
Be Ikhtiyaar Hi Ek Shakhs Yaad Bohut Aa Jata Hai

Mein Us Ke Naam Ki Nisbat Se Mooatbar Hun Apni Zaat Mein
Merey Kahayl Ka Her Ek Saaz Geet Usi Ke Gata Hai !!



Ghazal
by A Muhammad Noman Qureshi

Such a beautiful ghazal HumTum Thanks so much for sharing this lovely ghazal.
Logged
Talat
Guest
«Reply #113 on: July 10, 2009, 12:20:13 PM »
Reply with quote

Zindagi, Tune Lahu Le Ke Diya, Kuch Bhi Nahin
Tere Daaman Main Mere Waaste Kya Kuch Bhi Nahin

Mere In Haathon Ki Chaaho To Talashi Le Lo
Mere Haathon Main Lakeeron Ke Siwa Kuch Bhi Nahin

Humne Dekha Hai Kai Aisi Khudaao.n Ko Yahan
Saamne Jin Ke Wo Sach Much Ka Khuda Kuch Bhi Nahin

Ya Khuda Ab Ke Ye Kis Rang Main Aayi Hai Bahaar
Zard Hi Zard Hai, Pedon Pe Hara Kuch Bhi Nahin

Dil Bhi Ek Zid Pe Ada Hai Kisi Bachche Ki Tarah
Ya To Sab Kuch Hi Ise Chahiye Ya Kuch Bhi Nahin


Don't know the poet's name; Sung by Jagjist Singh

Logged
HumTum
Guest
«Reply #114 on: July 10, 2009, 12:24:56 PM »
Reply with quote
Talat Ji - This is written by  "Rajesh Reddy". Here is one more of his-:



ye jo zindagii kii kitaab hai ye kitaab bhii kyaa kitaab hai
kahii.n ik hasiin saa Khvaab hai kahii.n jaan-levaa azaab hai

[azaab=torment/anguish]

kahii.n chha.Nv hai kahii.n dhuup hai kahii.n aur hii ko_ii ruup hai
ka_ii chehare is me.n chhupe hu_e ik ajiib sii ye naqaab hai

kahii.n kho diyaa kahii.n paa liyaa kahii.n ro liyaa kahii.n gaa liyaa
kahii.n chhiin letii hai har Khushii kahii.n meharabaan behisaab hai

kahii.n aa.Nsuo.n kii hai daastaa.N kahii.n muskuraahaTo.n kaa bayaa.N
kahii.n barqato.n kii hai baarishe.n kahii.n tishnagii behisaab hai

[bayaa.N=tale; barqat=prosperity/good fortune; tishnagii=thirst]


Logged
sweet sona
Guest
«Reply #115 on: July 10, 2009, 01:44:55 PM »
Reply with quote
very nice sharing u people are amazing i love viewing n reading your posts. thanx everyone.
Logged
Talat
Guest
«Reply #116 on: July 10, 2009, 01:55:00 PM »
Reply with quote
Talat Ji - This is written by  "Rajesh Reddy". Here is one more of his-:



ye jo zindagii kii kitaab hai ye kitaab bhii kyaa kitaab hai
kahii.n ik hasiin saa Khvaab hai kahii.n jaan-levaa azaab hai

[azaab=torment/anguish]

kahii.n chha.Nv hai kahii.n dhuup hai kahii.n aur hii ko_ii ruup hai
ka_ii chehare is me.n chhupe hu_e ik ajiib sii ye naqaab hai

kahii.n kho diyaa kahii.n paa liyaa kahii.n ro liyaa kahii.n gaa liyaa
kahii.n chhiin letii hai har Khushii kahii.n meharabaan behisaab hai

kahii.n aa.Nsuo.n kii hai daastaa.N kahii.n muskuraahaTo.n kaa bayaa.N
kahii.n barqato.n kii hai baarishe.n kahii.n tishnagii behisaab hai

[bayaa.N=tale; barqat=prosperity/good fortune; tishnagii=thirst]




Thanks for the info...and another nice one from him..Thanks HumTum Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #117 on: July 10, 2009, 01:56:00 PM »
Reply with quote
very nice sharing u people are amazing i love viewing n reading your posts. thanx everyone.

Hello Sweet Sona,

Thanks so much for reading our posts. Usual Smile

Won't you be joining us here ?

Celmira
Logged
Talat
Guest
«Reply #118 on: July 15, 2009, 03:32:06 PM »
Reply with quote


Hai Ikhtiyaar Main Tere TO Mojaza Kar De
Wo Shakhs Mera Nahin Hai Use Mera Kar De

Ye Retzaar Kahin Khatm Hi Nahin Hota
Zara Si Door To Rasta Hara Bhara Kar De

Main Us Ke Zor Ko Dekhun, Wo Mera Sabr-o-Sukoon Dekhe
Mujhe Chiragh Bana De, Use Hawa Kar De

Akeli Shaam Bohot Ji Udaas Karti Hai
Kisi Ko Bhej Koi Mera Humnawa Kar De


Rana Sahri
Logged
Roja
Guest
«Reply #119 on: July 15, 2009, 04:46:19 PM »
Reply with quote
All are too good to read... Nice collections dear Talat..and Humtum
Logged
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 01, 2024, 05:20:03 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer