Songs close to my heart..

by brokenbyluv on August 14, 2009, 06:36:29 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 58
Print
Author  (Read 41784 times)
brokenbyluv
Guest
Tu Hi Tou Jannat Merri, Tu Hi Merra Junnon
Tu Hi Tou Mannat Merri, Tu Hi Rooh Ka Sukun
Tu Hi Ankhiyon Ki Thandak, Tu Hi Dil Ki Hai Dastak
Aur Kuch Na Janu Mein, Bas Itna Hi Jaanu..
Tujhe Mein Rab Dikhta Hai, Yaara Mein Kya Karu,
Sajde Sae Jhukta Hai, Yaara Mein Kya Karu,
Tujhe Mein Rab Dikhta Hai, Yaara Mein Kya Karu..

Kaise Hai Yeh Doori, Kaise Majboori
Mene Nazaron Se Tujhe Choo Liya
Kabhi Terri Khusboo, Kabhi Terri Baatein
Bin Maange Yeh Jahan Pa Liya
Tu Hi Dil Ki Ha Rounak, Tu Hi Janmon Ki Daulat
Aur Kuch Na Janu, Bas Itna Hi Janu..
Tujhe Mein Rab Dikhta Hai, Yaara Mein Kya Karu..

Cham Cham Aaye, Mujhe Tarshaye
Tera Shaya Ched Ke Chumta..
Tu Jo Muskaye, Tu Jo Sharmaye
Jaise Mera Hai Khuda Jhomta..
Tu Hi Merri Barkart, Tu Hi Merri Ibaadat
Aur Kuch Na Janu, Bas Itna Hi Janu..
Tujhe Mein Rab Dikhta Hai, Yaara Mein Kya Karu
Sajde Sae Jhukta Hai, Yaara Mein Kya Karu
Tujhe Mein Rab Dikhta Hai, Yaara Mein Kya Karu......  tearyeyed

from: Rab ne bana di jodi...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Song lyRiCs cLoSe 2 our heaRT.... by sanju in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
My fav lyrics N songs which touches my heart ! by Delicate_Doll in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
ghazals.........close to my heart by aaina in Ghazals « 1 2 ... 9 10 »
Touching heart all Songs..............Rishi by Rishi Agarwal in Songs & Lyrics « 1 2 ... 9 10 »
poetry on current scenerio:close to my heart by rahul sengar in Shairi - E - Zindagi
brokenbyluv
Guest
«Reply #1 on: August 14, 2009, 06:41:08 PM »
Dil paagal deewaana hain ye pyar karega
ye kab dara hain duniya se jo ab darega
ye pyar mein dhadaka hain ye pyar se dhadakega
ye kab dara hain duniya se jo ab darega
dil paagal deewaana hain ye pyar karega
ye kab dara hain duniya se jo ab darega

dil takht-o-taaj ki parvaah nahi karta
rasm-o-riwaaz ki parvaah nahi karta
daulat se kharidoge to inkaar karega
ye kab dara hain duniya se jo ab darega
dil paagal deewaana hain ye pyar karega
ye kab dara hain duniya se jo ab darega

falak roke zameen roke magar hum ruk na paayenge
deewaare tod ke saari hum tumse milne aayenge
mohabbat jhuk nahi sakti zamaane ke jhukaane se
mohabbat mit nahi sakti jamaane ke mitaane se
kehata nahi hain dil karke dikhayega
toofaan mein chaahat ki shamma jalaayega
ye jurm-e-vafa dil to sau baar karega
ye kab dara hain duniya se jo ab darega
dil paagal deewaana hain ye pyar karega
ye kab dara hain duniya se jo ab darega
ye pyar mein dhadaka hain ye pyar se dhadakega
ye kab dara hain duniya se jo ab darega

dil paagal deewaana hain ye pyar karega...... tearyeyed

from: Barsaat...
 
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #2 on: August 14, 2009, 06:46:10 PM »
Ishq mein ek pal ki bhi judaai lagti hain ek saal
terri kasam terre pyar mein saajan merra hua bura haal...

chaahat mein do jahaan hum bhula baithe bhula baithe
palkon pe apane hum saja baithe saja baithe
duur ja ke dilruba dil nahi lagta nahi lagta
jism jaan se ab juda ho nahi sakta nahi sakta
raat din tadpenge jaan se jaayenge
bichhadke dilbar se nahi reh paayenge...

aathon pehar ab jaane tamanna rehta hain terra khayaal
terri kasam terre pyar mein saajan merra hua bura haal

gujrenge terre bin ab ghadi gin gin ghadi gin gin
ab jeena terre bin hain nahi mumkin nahi mumkin
tu basa hain meri jaan merri nas nas mein nas nas mein
tod dunga pyar mein main sabhi rasmen sabhi rasmen
merri tou duniya hai terri do baahon mein
merri bhi manzil hain wafa ki raahon mein
ek duje ki yaad bhulaake ab rehana hai muhaal...

terri kasam terre pyar mein saajan merra hua bura haal
merra hua bura haal...
ishq mein ek pal ki bhi judaayi lagati hain ek saal
teri kasam tere pyar mein saajan merra hua bura haal
merra hua bura haal......   sad7

From: Barsaat
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #3 on: August 14, 2009, 06:46:44 PM »

 my favourite song :



Honton se chhoo lo tum
Mera geet amar kar do
Ban jaao meet mere
Meri preet amar kar do
Honton se chhoo lo tum
Mera geet amar kar do

Na umr ki seema ho
Na janm ka ho bandhan
Jab pyaar kare koi
To dekhe keval mann
Nayi reet chalaakar tum
Yeh reet amar kar do

Aakaash ka soonapan
Mere tanha mann mein
Paayal chhankaati tum
Aa jaao jeevan mein
Saansein dekar apni
Sangeet amar kar do
Sangeet amar kar do
Mera geet amar kar do

Jag ne chheena mujhse
Mujhe jo bhi laga pyaara
Sab jeeta kiye mujhse
Main har dam hi haara

Tum haarke dil apna
Meri jeet amar kar do
Honton se chhoo lo tum
Mera geet amar kar do




Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #4 on: August 14, 2009, 06:48:20 PM »
bahut badhiya song hai j.s ji... Applause Applause
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #5 on: August 14, 2009, 06:52:12 PM »
Sajde Mein Yuhin Jhukta Hoon Tum Pe Aake Hi Rukhta Hoon
Kya Yeh Sabko Hota Hai Humko Kya Lena Hai Sab Se
Tum Se Hi Sab Baathe Ab Se Ban Gaye Ho Tum Merri Dua..

Khuda Jaane Ke.. Mein Fidaa Hoon
Khuda Jaane Ke.. Mein Mit Gaya..
Khuda Jaane Yeh Kyun Hua Hai Ke Ban Gaye Ho Tum Merre Khuda..


Tu Kahe To Terre Hi Ek Dhum Ke Mein Nishano Pe
Chaloon Rukoon Ishaare Pe..
Tu Kahe To Khwab Ka Bana Ke Mein Bahana Sa
Mila Karoon Sulaane Pe..
Hoo…Tumse Dil Ki Baathe Seekhi
Tumse Hi Yeh Raahe Seekhi
Tum Pe Mar Ke Mein To Jee Gaya..

Dil Kahe Ke Aaj tou Chupa Lo Tum Panaahon Mein
Ke Dar Hai Tumko Kho Dunga
Dil Kahe Sambhal Zara Khushi Ko Na Nazar Laga
Ke Dar Hai Mein Tou Ro Dunga..
Hooo Karthi Hoon Saugaate Tumse
Baande Dil Ke Waade Tumse, Yeh Tumhe Na Jaane Kyan Hua......

From: Bachna ae haseeno...
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #6 on: August 14, 2009, 06:55:41 PM »
thanks BBL ji aur meri pyari ghazloh meh sey , yeh ek ghazal ...




sadma hai muJhe bhi ke tuJhse juda hooN maiN
lekin ye soNchtaa hooN ke ab tera kyaa hooN maiN

biKhraa paDa hai tere hi ghar meiN tera wajood
bekaar meHfiloN meiN tuJhe dhoonDtaa hooN maiN

naa jaane kis adaa se liya toone mera naam
duniya samaJh rahee hai ke sab kuCh tera hooN maiN

le mere tajurboN se sabaK ae mere raqeeB
do chaar saal umR meiN tuJhse baDa hooN maiN



Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #7 on: August 14, 2009, 06:58:55 PM »
Milne se darta hai dil ikraar ho na jaaye
Na milo na milo
Na milo humse zyada kahin pyaar ho na jaaye

Betaabi kya hoti jaane na dil kya bole
Kehna bhi maane na dil
Dekho na yoon humko chaaho sanam
Chaahat ki raahon mein hain dardon gam
Kitne paas hain phir bhi door hain
Donon ishq mein kyon majboor hain
nazron ka teer kahin dil ke paar ho na jaaye
Na milo humse zyada kahin pyaar ho na jaaye

Deewana karde na deewanapan kehti hai
Ishq mein na zor sanam
Jaaneman jaanejaan ye dillagi
Dekho na ban jaaye dil ki lagi
Kaisa dard hai kaisa haal hai
Ab na hosh hai ab na khayaal hai
kahin jeena marna bhi dushwaar ho na jaaye
Na milo humse zyada kahin pyaar ho na jaaye......

From: Badal...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #8 on: August 14, 2009, 07:04:27 PM »
thanks BBL ji aur meri pyari ghazloh meh sey , yeh ek ghazal ...




sadma hai muJhe bhi ke tuJhse juda hooN maiN
lekin ye soNchtaa hooN ke ab tera kyaa hooN maiN

biKhraa paDa hai tere hi ghar meiN tera wajood
bekaar meHfiloN meiN tuJhe dhoonDtaa hooN maiN

naa jaane kis adaa se liya toone mera naam
duniya samaJh rahee hai ke sab kuCh tera hooN maiN

le mere tajurboN se sabaK ae mere raqeeB
do chaar saal umR meiN tuJhse baDa hooN maiN





bahut badhiya j.s ji ye ghazal mujhe bhi bahut pasand hai...
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #9 on: August 14, 2009, 07:05:04 PM »


Suniye
Kahiye
Kahiye
Suniye
Suniye
Kahiye
Kahiye na
Suniye
Kehte, Sunte, Baaton Baaton Mein Pyar Ho Jaayega

Suniye
Kahiye
Kahiye
Suniye
Suniye
Kahiye
Kahiye na
Suniye
Kehte, Sunte, Baaton, Baaton Mein Pyar Ho Jaayega
Pyar Ho Jaayega

Yeh Pehli Nazar Ka Uff Kya Asar Hai
Tumhari Kasam Dagmagaaye Se Hum Hai
La La La La La
Nahin Jispe Qaabu Yeh Hai Kaisa Jaadu
Mere Liye To Sach Bhi Bharam Hai
Suniye
Kahiye
Kahiye
Suniye
Kahiye
Kahiye na
Suniye
Kehte, Sunte, Baaton, Baaton Mein Pyar Ho Jaayega
Pyar Ho Jaayega

Ghata Chand Bijli Barkha Pawan Mein
Shaamil Ho Tum Meri Har Kalpana Mein
Taareef Meri Itni Karo Na
Udne Lagun Main Kahin Aasman Mein
Suniye
Kahiye
Kahiye
Suniye
Suniye
Kahiye
Kahiye aha
Suniye
Kehte, Sunte, Baaton, Baaton Mein Pyar Ho Jaayega
Pyar Ho Jaayega

Tumhari Ada Hai Woh Sabse Judaa Hai
Chaaha Hai Tumko Isi Vaaste
Hum Bekhabar Hain Tum Besabar Ho
Us Pe Hain Dekho Naye Raaste
Suniye
Kahiye
Kahiye
Suniye
Suniye
Kahiye
Kahiye
Suniye
Kehte, Sunte, Baaton, Baaton Mein Pyar Ho Jaayega
Pyar Ho Jaayega

Suniye
Kahiye
Kahiye
Suniye
Suniye
Kahiye
Kahiye
Suniye
Kehte, Sunte, Baaton, Baaton Mein Pyar Ho Jaayega
Pyar Ho Jaayega



Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #10 on: August 14, 2009, 07:05:57 PM »
wah kya kehney aap key BBL ji .. bahut hi badiya songs hai joh aap key dil key kareeb hai.. i m sure, these songs are fav or all ...

Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #11 on: August 14, 2009, 07:07:57 PM »
Nice songs BBL and Jasbir Ji
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #12 on: August 14, 2009, 07:09:42 PM »
Tum merre ho
Bas merre hi merre ho
Tum merre ho
Pooch lo hawaon se
Surmaye ghataon se
Barisho ke pani se  
Poocho nadiya deewani se
Tum merre ho
Bas merre hi merre ho

Ankhon ki galiyo se ake
Ruh mein tum baas jao
Ankhon ki galiyon se ake  
Ruh mein tum bas jao
Saath chale aur saath rooke
Saason  mein yu tum mil  jao tum
Pooch lo khayalo se
Badalo ke shalo se
Khwasisho se sapno se
Pooch gairo ya apno se
Tum merre ho
Bas merre hi merre ho

Main tumko mahsos karoon
Ban jao tum ahsaas
Ek duje ko dekh na paon
Ajao itne pass
Pooch lo baharoon se
Champaye nazaro se
Khusboo ki wadi se
Pocho is rut shahzadi se
Tum merre ho
Bas merre hi merre ho......


From: Betaabi...
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #13 on: August 14, 2009, 07:10:58 PM »


humko dushman kee nigahoN se na dekha keeJe
pyaar hi pyaar haiN hum humpe bharOsa keeJe

chand yaadoN ke siwa haath na kuch aayega
is tarah uMr-e-gureza ka na peecha keeJe

roshni auroN ke aaNgaN meiN gawara na sahee
kam se kam apne ghar meiN to uJaala keeJe

kya khabr kab wo chale aayenge milne ke liye
roz palkoN pe nayee shamme jalaya keeJe



Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #14 on: August 14, 2009, 07:11:24 PM »
chale aaj tum jahaa.N se, huii zi.ndagii paraayii
tumhe.n mil gayaa Thikaanaa, hame.n maut bhii na aayii

o duur ke musaafir ham ko bhii saath le le re
ham ko bhii saath le le
ham rah gaye akele

tuune vo de diyaa Gam, bemaut mar gaye ham
dil uTh gayaa jahaa.N se, le chal hame.n yahaa.N se
le chal hame.n yahaa.N se
kis kaam kii ye duniyaa jo zi.ndagii se khele re
ham ko bhii saath le le, ham rah gaye akele

suunii hai.n dil kii raahe.n, khaamosh hai.n nigaahe.n
naakaam hasarato.n kaa uThane ko hai janaazaa
uThane ko hai janaazaa
chaaro.n taraf lage hai.n barabaadiyo.n ke mele re
ham ko bhii saath le le, ham rah gaye akele

o duur ke musaafir ham ko bhii saath le le re
ham ko bhii saath le le
ham rah gaye akele
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 58
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 01, 2024, 09:26:59 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer