Songs close to my heart..

by brokenbyluv on August 14, 2009, 06:36:29 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 58
Print
Author  (Read 41797 times)
madhuwesh
Guest
«Reply #45 on: August 14, 2009, 08:09:51 PM »
Wah wah lovely songs.beautiful choice BBL ji,Jasbir ji,Rajesh ji. Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Song lyRiCs cLoSe 2 our heaRT.... by sanju in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
My fav lyrics N songs which touches my heart ! by Delicate_Doll in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
ghazals.........close to my heart by aaina in Ghazals « 1 2 ... 9 10 »
Touching heart all Songs..............Rishi by Rishi Agarwal in Songs & Lyrics « 1 2 ... 9 10 »
poetry on current scenerio:close to my heart by rahul sengar in Shairi - E - Zindagi
brokenbyluv
Guest
«Reply #46 on: August 14, 2009, 08:10:37 PM »
thnx madhuji...aap bhi tou kuch share karo...
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #47 on: August 14, 2009, 08:12:13 PM »
Teri nigaah se aisi sharab pi maine ki phir na hosh ka daava kiya kabhi maine
woh aur honge jinhe maut aa gayi hogi nigaahen yaar se paayi hai zindagi maine

(ai gam-e-zindagi - 2 kuchh to de mashwara)
(ai gam-e-zindagi - 2 kuchh to de mashwara)

ek taraf usaka ghar ek taraf maikada
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada
main kaha jaaun hota nahi faisala
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada

ek taraf baam par koi gulpham hai ek taraf mehfilen bada-o-jaam hai
ek taraf baam par koi gulpham hai ek taraf mehfilen bada-o-jaam hai

dil ka donose hai kuchh na kuchh hai vaasta
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada

usake dar se utha to kidhar jaaunga maikada chhod dunga to main marr jaaunga
usake dar se utha to kidhar jaaunga maikada chhod dunga to main marr jaaunga
usake dar se utha to kidhar jaaunga maikada chhod dunga to main marr jaaunga

sakht mushkil mein hoon kya karu ai khuda
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada
zindagi ek hai aur talabgar do jaan akeli magar jaan ke haqdaar do
zindagi ek hai aur talabgar do jaan akeli magar jaan ke haqdaar do

dil bata pehele kiska karu hak ada
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada

is taaluk ko main kaise todu jafar kisko apanaau main kisako chodu zafar
chodu zafar
chodu zafar

mera donose rishta hai nazdik ka
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada

(ai gam-e-zindagi - 2 kuchh to de mashwara)
(ai gam-e-zindagi - 2 kuchh to de mashwara)
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada

main kaha jaaun hota nahi faisala
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada



<a href="http://www.youtube.com/v/kPebGVADm2c&rel=1" target="_blank">http://www.youtube.com/v/kPebGVADm2c&rel=1</a>
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #48 on: August 14, 2009, 08:13:13 PM »

Sa Re Ga Ma Tum Bhi Gaao
Sa Re Ga Ma
Ye To Huye Sur Ab In Pe Bithaayein Bol Tere Naina
Tere Naina
Tum Aisa Karo Ye Gaao Mere Naina
Mere Naina
Haan Tere Naina Mere Nainon Se Mithi Mithi Baatein Karate Hain
Jab Naina Baatein Karate Tab Dil Mulaakaatein Karate Hain
Mere Naina
O Tere Naina Mere Naina
Mere Naina
Mithi Mithi Baatein Karate Hain
Mere Naina
Tere Naina Mere Nainon Se
Mithi Mithi Baatein

In Baaton Se Mulaakaaton Se Koyi Na Koyi Banegi Kahaani
Phuulon Ke Sang Sang Dil Bhi Khilenge
Aayegi Aisi Rut Mastaani Dekhate Rahana
Tere Naina Mere Nainon Se

Dekho To Zara Tum Aisa Lagata Hai Mere Maathe Se Gir Gayi Bindiya
Tujhe Bindiya Ki Padi Huyi Hai
Mere Nainon Se Ud Gayi Nindiya Ud Gaya Chain
Tere Naina Mere Nainon Se

Kahaan Se Aaye Dar Lagata Hai Gir Jaayuungi Thokar Lagegi
Aisa Nahin Hoga
Mere Nainon Se Ab Sab Kuchh Tu Dekha Karegi
Haan Dekha Karegi Din Ho Ke Raina
Tere Naina Mere Nainon Se




Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #49 on: August 14, 2009, 08:14:16 PM »
wao reaper ... bahut hi khoob dost ... kya khoob ghazal hai yeh... par yeh BBL ji ney limit kar dia ki ghazal nahi sunani yaha peh .........

but its chow beautiful ghazal yaar .. cheers
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #50 on: August 14, 2009, 08:17:15 PM »
Do baate ho sakti hain
Sanam terre inkaar ki
Ya duniya se tu darti hai
Ya kadar nahi merre pyaar ki,

Kabse khada main raahon main
Apna dil bichhaye
Lekin merri mohabbat pe
tujko yakeen na aaye..
Do baate ho sakti hain
ab tou jeet ya haar ki
Kahde mujhse main mar jaun
Ya thaam le baahein yaar ki......

Darr hai kahiin iss jivan ja sapna toot naa jaye
main ban jau pagal aur duniya hasi udaye..
do baate ho sakti hai sanam terre takraar ki
yaa dil hai terra pathar ka ya chahat nhi dildar ki......  sad11


From: Imtihaan...
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #51 on: August 14, 2009, 08:18:21 PM »
<a href="http://www.youtube.com/v/cXQKChGSxRk&rel=1" target="_blank">http://www.youtube.com/v/cXQKChGSxRk&rel=1</a>

this video is not available but has been uploaded me becuase it aired on NDTV serial Meera and i did a little editing of audio and then uploaded it

one of the rare songs and good ones

if anyone wants to download it use youtube downloaders or i cpould mail the audio on their emails
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #52 on: August 14, 2009, 08:19:01 PM »
wao reaper ... bahut hi khoob dost ... kya khoob ghazal hai yeh... par yeh BBL ji ney limit kar dia ki ghazal nahi sunani yaha peh .........

but its chow beautiful ghazal yaar .. cheers

i will remeber that for sure
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #53 on: August 14, 2009, 08:19:23 PM »
wao reaper ... bahut hi khoob dost ... kya khoob ghazal hai yeh... par yeh BBL ji ney limit kar dia ki ghazal nahi sunani yaha peh .........

but its chow beautiful ghazal yaar .. cheers

j.s ji maine shayri k liye mana kiya tha ghazal k liye nhi..ghazals likh sakte ho...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #54 on: August 14, 2009, 08:20:52 PM »
i will remeber that for sure

verry gud grim ji keep posting...aap ghazals likh sakte ho..maine shayari k  liye mana kiya tha..j.s ji ko...
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #55 on: August 14, 2009, 08:24:07 PM »
j.s ji maine shayri k liye mana kiya tha ghazal k liye nhi..ghazals likh sakte ho...

oh aisa kya ? fir tohhhhh hum bahut kuch dil ki baat keh jayengey... batoh batoh meh hum sab keh jayengey... par iss waqt ....



Tu Jo Hai To Sab Kuch Hai Na Koi Kami Hai
Hume Tum Se Pyaar Kitna Yeh Hum Nahi Jaante
Magar Jee Nahin Sakte Tumhare Bina

Hume Tum Se Pyaar Kitna Yeh Hum Nahi Jaante
Magar Jee Nahin Sakte Tumhare Bina
Hume Tum Se Pyaar Kitna Yeh Hum Nahi Jaante
Magar Jee Nahin Sakte Tumhare Bina
Tu Hi Dil Hai Tu Hi Jaan Bhi Hai
Tu Khushi Hai Aasra Bhi Hai
Teri Chaahat Zindagi Hai
Tu Mohabbat Tu Aashiqui Hai Tu Aashiqui Hai

Tumhe Koi Aur Dekhe To Jalta Hai Dil
Badi Mushkilo Se Phir Sambhalta Hai Dil
Kya Kya Jatan Karte Hai Tumhe Kya Pata
Yeh Dil Bekaraar Kitna Yeh Hum Nahi Jaante
Magar Jee Nahi Sakte Tumhare Bina
Hume Tum Se Pyaar Kitna

Suna Gum Judai Ka Uthate Hai Log
Jaane Zindagi Kaise Bitate Hai Log
Din Bhi Yaha To Lage Baras Ke Sama
Hume Intezar Kitna Yeh Hum Nahi Jaante
Magar Jee Nahi Sakte Tumhare Bina
Hume Tum Se Pyaar Kitna Yeh Hum Nahi Jaante
Magar Jee Nahi Sakte Tumhare Bina




Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #56 on: August 14, 2009, 08:26:02 PM »
Is tarah aashiqi kaa asar chhod jaunga
tere chehre pe apani nazar chhod jaunga
is tarah ashqi ka...

main diwana ban gaya hu kaisi ye mohabbat hai
zindagi se badhkar ab terri zarurat hai
mujhko tu chahiye terra pyar chahiye
ek baar nahi sau baar chahiye
har saans main apanii tujhpe lutaunga
dil ke lahu se terri mang sajaunga
terre chehre pe apni..

pyar kya hai dard kya hai diwane samjhate hain
ishq mein jalane kaa matlab aashiq hii samajhate hain
main tadpata hu tujhse kuchh na kahu
bin kahe bhi magar main toe reh na saku
is bekhudi mein akhir kahan chain paunga
mar ke bhi main tujhse juda ho na paunga
terre chehre pe apni nazar chhod jaunga......  tearyeyed

From: Imtihan...
 
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #57 on: August 14, 2009, 08:28:18 PM »

aaNkh se aaNkh milaa, baat banaata kyooN hai
     tu agar muJhse khafa hai to chupaata kyooN hai

     gair lagta hai hai na apnO ki taraH miltaa hai
     tu zamaane kee taraH muJhko sataata kyooN hai

     waqt ke saath haalaat badal jaate haiN
     ye haqeeqat hai magar muJhko sunaata kyooN hai

     ek muddat se jahaN kaafile gujre hi nahiN
     aisi raahoN pe charaagoN ko jalaata kyooN hai




Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #58 on: August 14, 2009, 08:30:33 PM »
Jab nahi aaye the tum
Tab bhi merre saath the tum
Dil main dhadkan ki tarah
Tan main jeevan ki tarah
Merre dharti merre mausam
Merre dil raat the tum
Jab nahi aaye the tum
Tab bhi merre saath the tum...

Phool khilte the tou aati thi tumhari khushbu
Aur haseen sham jagati thi tumhara jadu
Aine main merre har din ki mulaqat the tum
Dil main dhadkan ki tarah
Tan main jeevan ki tarah
Merre dharti mere mausam
Merre dil raat the tum..

Adh mudhi aankh main sajta hua ek khwaab the tum
Pehli barsaat main bheega hua mehkaab the tum
Akhen merri thi magar inki har ek baat the tum
Dil main dhadkan ki tarah
Tan main jeevan ki tarah
Merre dharti mere mausam
Merre dil raat the tum
Jab nahi aaye the tum
Tab bhi merre saath the tum......  tearyeyed

LUVLY SONG..

From: Dev...
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #59 on: August 14, 2009, 08:35:37 PM »


hai ikhtiyaar mein tere to mauJ sa kar de
wo shakhs mera nahiN hai usse mera kar de

mere kHizaN kahiN kahtM hi nahiN hota
zara see door ro rasta hara bhara kar de

maiN uske shor ko dekhooN wo mera sab ....
muJhe charag bana de usse haWa kar de

aKeli shaam bahut hi udaaS karti hai
kisiko bHeJ, koi mera hum-nawa kar de


Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 58
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 04, 2024, 03:47:32 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8500 Real Poets and poetry admirer