Songs close to my heart..

by brokenbyluv on August 14, 2009, 06:36:29 PM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 58
Print
Author  (Read 41958 times)
jasbirsingh
Guest
«Reply #90 on: August 14, 2009, 11:18:09 PM »


Pal Pal Dil Ke Paas Tum Rehti Ho
Jeevan Meethi Pyaas Yeh Kehti Ho
Pal Pal Dil Ke Paas Tum Rehti Ho

Har Shyam Aankhon Par
Tera Aanchal Lehraye
Har Raat Yaadon Ki
Baarat Le Aaye
Maein Saans Leta Hoon
Teri Khushboo Aati Hai
Ek Mehka Mehka Sa
Paigham Laati Hai
Meri Dil Ki Dhadkan Bhi
Tere Geet Gaati Hai
Pal Pal ...

Tum Sochogi Kyon Itna
Maein Tumse Pyaar Karoon
Tum Samjhogi Deewana
Maein Bhi Iqraar Karoon
Dewaanon Ki Yeh Baatein
Deewane Jaante Hain
Jalne Mei Kya Mazaa Hai
Parwanr Jaante Hain
Tum Yunhi Jalate Rehna
Aa Aakar Khwabon Mein
Pa L Pal ...

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Song lyRiCs cLoSe 2 our heaRT.... by sanju in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
My fav lyrics N songs which touches my heart ! by Delicate_Doll in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
ghazals.........close to my heart by aaina in Ghazals « 1 2 ... 9 10 »
Touching heart all Songs..............Rishi by Rishi Agarwal in Songs & Lyrics « 1 2 ... 9 10 »
poetry on current scenerio:close to my heart by rahul sengar in Shairi - E - Zindagi
brokenbyluv
Guest
«Reply #91 on: August 14, 2009, 11:26:17 PM »
waaow j.s ji bahut khoob..but dil de dia hai aur phir hath mein sharab hai songs repeat ho gye...
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #92 on: August 14, 2009, 11:32:25 PM »
waaow j.s ji bahut khoob..but dil de dia hai aur phir hath mein sharab hai songs repeat ho gye...

MOOD MOOD KI BAAT HAI BBL JI..... hum hazaar baar i love you kehtey hai unsey par bhi hamey har baar acchaa lagta hai... yeh toh dil ki baat hai... 100 baar kehna bhi acchaa lagta hai





Yaad aa rahi hai


Yaad aa rahi hai


Teri yaad aa rahi hai, teri yaad aa rahi hai
Yaad aane se, tere jaane se
Jaan jaa rahi hai
Yaad aa rahi hai, teri yaad aa rahi hai

Pehle yeh naa jaana
Tere baad yeh jaana pyaar mein
Jeena mushkil kardega
Yeh dil deewana pyaar mein
Jaane kaise saans yeh aise
Aa jaa rahi hai
Yaad aa rahi hai, teri yaad aa rahi hai


Bante bante dulhan
Preet hamaari uljhan ban gayi
Mere dil ki dhadkan
Meri jaan ki dushman ban gayi
Kuch keh kehke, mujhe reh rehke
Tadpaa rahi hai
Yaad aa rahi hai, teri yaad aa rahi hai


Yeh rut ki rangaraliyaan
Yeh phoolon ki galiyaan ro padi


Mera haal suna to
Mere saath yeh kaliyaan ro padi


Ek nahin tu, duniya aansu
Barasaa rahi hai
Yaad aa rahi hai


Teri yaad aa rahi hai


Yaad aane se, tere jaane se
Jaan jaa rahi hai


Yaad aa rahi hai, teri yaad aa rahi hai

Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #93 on: August 14, 2009, 11:43:23 PM »
Terre Bina Terre Bina Lagta Nahi Merra Jiya
Ab Terre Siwa Chale Merri Saanse Na Re Na
Merre Hamsafar Phiru Darbadar Shaam-o-Seher Dhunde Tujhko Nazar,

Ek Pal Ki Bhi Judai Ab Sahi Jati Nahi
Marna Jo Chahu Agar Tou Maut Bhi Aati Nahi
Har Dua Merri Lagati Besar Shaam-o-Seher Dhunde Tujhko Nazar,

Na Tamanna Mujhko Terri,Na Terre Sansar Ki
Ae Khuda Dikhlade Mujhko Ek Jhalak Merre Yaar Ki
Iss zameen Par Asman Par Shaam-o-Seher Dhundhe Tujhko Nazar......  tearyeyed

From: Kal kisne dekha...
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #94 on: August 14, 2009, 11:45:48 PM »
wah wah ...



dil jaan jigar tujhape nisaar kiya hai
kyon
pyaar kiya hai re tujhe pyaar kiya hai

toone bhi mujhe kitana bekaraar kiya hai
kyon
pyaar kiya hai re bahut pyaar kiya hai
dil jaan jigar tujhape ...

main to hoon teri adaaon ka maara
tu hi kyon samajhe na mera ishaara
jhoom ke tu aaja baahon mein sama ja
ab tak bada hi intazaar kiya hai
kyon
pyaar kiya hai ...

meri taraf dekh zara nazaren utha ke
palakon mein rakha hai tujhako chhupa ke
apana banaayenge tujhako rijhaayenge
tere liye to ye singaar kiya hai
kyon
pyaar kiya hai ...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #95 on: August 15, 2009, 12:00:18 AM »
Humne dekhi hai un aankhon ki mahakti khusboo
Haath Se chhu ke ise rishton ka ilzaam na do
Sirf ehsaas hai ye rooh se mehsoos karo
Pyar ko pyar hi rehne do koi naam na do

Pyar koi bol nahi, pyar aawaz nahi
Ek khamoshi hai sunti hai kaha karti hai
Na ye bujhtee hai, na rukti hai, na thahri hai kahin
Noor ki boond hai sadiyon se baha karti hai
Sirf ehsaas hai ye rooh se mehsoos karo
Pyar ko pyar hi rehne do koi naam na do

Muskarahat si khili rehti aankhon mein kahin
Aur palkon pe ujaale se jhuke rehte hain
Honth kuch kehte nahi kaanpte hothon pe magar
Kitne khaamsoh se afsaane ruke rehte hain
Sirf ehsaas hai ye rooh se mehsoos karo
Pyar ko pyar hi rehne do koi naam na do......

From: Khamoshi (1969)...
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #96 on: August 15, 2009, 12:03:50 AM »

do labjon kee hai, dil kee kahaanee
yaa hain mohabbat  yaa hain jawaanee

dil kee baato kaa, matalab naa poochho
kuchh aaur hum se, bas ab naa poochho
jis ke liye hain duniyaan diwaanee,
yaa hain mohabbat  yaa hain jawaanee

ye kashtiwaalaa, kyaa gaa rahaa thaa
koee ise bhee, yaad aa rahaa thaa
kisse puraane, yaade puraanee
yaa hain mohabbat  yaa hain jawaanee

is jindagee ke, din kitane kam hai
kitanee hain khushiyaa, aaur kitane gam hai
lag jaa gale se, rut hain suhaanee
yaa hain mohabbat  yaa hain jawaanee


Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #97 on: August 15, 2009, 12:10:05 AM »
Jo khuabo khayalo mein socha nahin tha
Tu ne mujhe itna pyaar diya
Mein jab bhi jahan bhi kadi dhoop mein tha
Terri zulf ne mujh pe saya kiya,
Haan tu hai haan tu hai
Merri bato mein tu hai
Merre khuabo mein tu yado mein tu
Irado mein tu hai,

Koi bhi aaisa lamha nahin hai
Jisme merre tu hota nahin hai
Mein so bhi jaao raato mein lekin
Tu hai ki mujh mein sota nahin hai,

Hai terri innayat tujhse mili hai
Hoonto pe merre hasi jo khili hai
Usse merra chehra chupa bhi na paye
Tujhe pake hasil hui jo khushi hai,

Haan tu hai haan tu hai
Merri baaton mein tu hai
Merre khuabo mein tu yado mein tu
Irado mein tu hai......  tearyeyed

From: Jannat...
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #98 on: August 15, 2009, 12:12:40 AM »


Haan Hai Koi To Wajah, To Jeene Ka Maza Yuun Aane Laga
Yeh Hawaaon Mein Hai Kya, Thoda Sa Jo Naasha Yuun Chhaane Laga
Puchho Na Pucha Mujhe Kya Hua Hai, Teri Raahon Mein Aakar
Puchho Na Pucha Mujhe Kya Milega, Teri Baahon Mein Aakar
Yeh Ishq Haaye Baithe Bithaaye, Jannat Dikhaaye Haan
O Raama, Yeh Ishq Haaye Baithe Bithaaye, Jannat Dikhaaye Haan



Tode Maine Saare Hi Bandhan Zamaane Tere, Todungi Na Main Waada
Aadha Hissa Mere To Dil Ki Kahani Ka Tu Piya Mein Baaki Aadha
Dekho Na Dekho Mujhe Hua Hai, Teri Yaadhon Mein Kho Kar
Puchho Na Puchho Mujhe Kya, Milega Teri Baaton Mein Jeekar
Yeh Ishq Haaye Baithe Bithaaye, Jannat Dikhaaye Haan
O Raama, Yeh Ishq Haaye Baithe Bithaaye, Jannat Dikhaaye Haan

Mere Jaise Laakho Mile Honge Tujhko Piya, Mujhe To Mila Tu Hi
Tu Hi Mere Hoton Ki Khilti Huyi Si Hasi, Gila Bhi Piya Tu Hi
Dekho Na Dekho Mujhe Kya Hua Hai, Tujhe Sapno Mein Laakar
Puchho Na Puchho Mujhe Kya, Hua Hai Teri Baaton Mein Aakar
Yeh Ishq Haaye Baithe Bithaaye, Jannat Dikhaaye Haan
O Raama, Yeh Ishq Haaye Baithe Bithaaye, Jannat Dikhaaye Haan
Haan Hai Koi To Wajah, To Jeene Ka Maza Yuun Aane Laga
Yeh Hawaaon Mein Hai Kya, Thoda Sa Jo Naasha Yuun Chhaane Laga
Puchho Na Pucha Mujhe Kya Hua Hai, Teri Raahon Mein Aakar
Puchho Na Pucha Mujhe Kya Milega, Teri Baahon Mein Aakar

Yeh Ishq Haaye Baithe Bithaaye, Jannat Dikhaaye Haan
O Raama, Yeh Ishq Haaye Baithe Bithaaye, Jannat Dikhaaye Haan


Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #99 on: August 15, 2009, 05:35:34 PM »
gud song j.s ji... Applause

Rooth ke humse kahin jab chale jaoge tum
Rooth ke humse kahin jab chale jaoge tum
Ye na socha tha kabhi itna yaad aaoge tum

Main tou na chala tha do kad bhi tum bin
Phir bhi mera bachpan yehi samjhe har din
Chhod ke mujhe bhala ab kahan jaoge tum
Ye na socha tha kabhi itna yaad aaoge tum
Rooth ke humse kahin..

Baato kabhi haatho se bhi maara hai tumhe
Sada yehi kehki hi pukaara hai tumhe
Kya kar loge merra jo bigad jaoge tum
Ye na socha tha kabhi itna yaad aaoge tum
Rooth ke humse kahin..

Dekho merre aansu yhi karte hain pukaar
Aao chale aao merre bhai mere yaar
Pochhne aansu merre kya nahin aaoge tum
Ye na socha tha kabhi itna yaad aaoge tum
Rooth ke humse kahin jab chale jaoge tum...... tearyeyed

From: Jo jeeta wahi sikander...
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #100 on: August 15, 2009, 05:40:28 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause



yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi
     ik roshni andheroN mein bikhra gaya koi

     wo haadsa wo pehli mulaakat kyaa kahoon
     itni ajab thi soorat haalat kya kahoon
     wo kehar wo gazab  wo jafa muJko yaad hai
     wo uski berukhi ki adaa muJhko yaad hai
     mittha nahin hai zehan pe yoon chaa gaya koi
     yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi

     pehle muJhe wo dekhke barham si ho gayee
     fir apne hi haseeN khayaloN meiN kho gayee
     bechargi pe meri usse reham aa gaya
     shaayad mere taDapne ka andaaz bhaa gaya
     saansoN se bhi kareeb mere aa gaya koi
     yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi

     yoon usne pyaar se meri baahOn ko choo liya
     manzil ne jaise shaakh ke raahon ko choo liya
     ik pal meiN dil pe kaise qayamt guzar gayi
     rag rag mein uske husn ki khusboo bikhar gayi
     zulfon ko mere shaan pe lehraa gaya koi
     yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi

     ab is dil-e-tabaah ki haalat na poochiye
     benaam aarzoo ki lazzat na poochiye
     ik ajnabi tha rooh ka armaan ban gaya
     ik haadsa tha pyaar ka unwaan ban gaya
     manzil ka raasta muJhe dikhla gaya koi
     yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi



sung by : mehandi hasan



Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #101 on: August 15, 2009, 06:21:33 PM »
Rozana jiye rozana mare
terri yado mein hum
rozana...

ungali terri thame hue har lamha chalta hoon mein
tujhko liye ghar lautu, aur ghar se nikalta hoon mein
ek pal ko bhi jata nahi terre bin kahin
yun raat din
bas tujhme hi
lipta rehta hoon mein
rozana..


har din terri ankho se iss duniya ko takta hoon mein
tu jiss tarah rakhti thi ghar, vaise hi rakhta hoon mein
terri tarah sang sang chale yade terri
yun har ghadi bato mein bas, baato mein terri
gumsa rehta hoon mein
rozaana..

kuchh gau tou yad aaate ho...
gungunao tou yad aate ho...
kuchh pehnu tou yad aate ho...
kahin jaanu tou yad aate ho...
kuchh khone pe yad aate ho...
kuchh paoon tou yad aate ho...

rozana chale yado mein terri, zindagi ka safar
tujhse hai roshan, tujse hai zinda,yeh dil ka sheher
rozana......  tearyeyed

From: Nishabd...
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #102 on: August 15, 2009, 06:27:41 PM »


ranjish hi sahi dil hi dukhaane ke liye aa
     aa fir se muJhe choD ke jaane ke liye aa

     pehle se maraasim na sahee fir bhi kabhi to
     rasmo rahe duniya hi nibhaane ke liye aa

     kis kis ko bataayenge judaai ka sabab hum
     tu muJh se khafa hai to zamaane ke liye aa

     ab tak dil-e-khush seham ko tujh se hain ummeedeN
     ye aakhri shamme bhi buJhaane ke liye aa




Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #103 on: August 15, 2009, 06:34:50 PM »
Merre wajood mein tu kaash yoon utar jaaye
main dekhu aina aur tu mujhe nazar aaye
mere wajood mein tu kaash yu utar jaaye
main dekhu aina aur tu mujhe nazar aaye

tujhko hi sochu jab bhi main sochu
tujhko ko hi poojoon tujhko hi chahu
tujhko hi sochoon jab bhi main sochu
tujhko ko hi pooju tujhko hi chahu
honto pe chaaye tu naghma banke
jab bhi kabhi kuch bhi gungunaun
terri hi baaho mein
bas zindagi guzar jaaye

najaane tujh mein kaisi kashish hai
tujhse kabhi dil bartha nahi hai
chhod ke tujhko pal bhar kabhi bhi
jaane ko mann kahiin karta nahi hai
yeh kaash waqt abhi bas yehi thehr jaaye
main dekhu aina aur tu mujhe nazar aaye
merre wajood mein tu kaash yoon utar jaaye...... tearyeyed

From: Page3

Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #104 on: August 15, 2009, 06:37:52 PM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley



ab ke hum bichDe to shaayad kabhi khwaaboN meiN mile
     jis tarah sookhe huye phool kitaaboN meiN mile

     dhoonD uJde huye logon meiN wafa ke moti
     ye khazane tuJhe mumkin hai kharaboN meiN mile

     tu khuda hai na mera ishq faristoN jaisa
     dono insaaN haiN to inum itne hijaaboN mein mile

     gham-e-duniya bhi gham-e-yaar meiN shaamil kar lo
     nasha behta hai sharaaboN meiN to sharaboN meiN mile

     ab laboN meiN hooN na tu hai na wo maaji hai faraaq
     jaise do saaye tamaana ke saraabOn meiN mile





Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 58
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 18, 2024, 07:40:53 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.151 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer