Songs close to my heart..

by brokenbyluv on August 14, 2009, 06:36:29 PM
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11 12 ... 58
Print
Author  (Read 41959 times)
brokenbyluv
Guest
«Reply #105 on: August 15, 2009, 06:55:35 PM »
Terre dar par sanam chale aaye
Tu na aaya tou hum chale aaye
Terre dar par sanam chale aaye,

Bin terre koi aas bhi na rahi
Itne tarse ke pyaas bhi na rahi
Ladkhadaye kadam chale aaye

Dil ko dhadka laga tha pal pal tou
Shor sun le na koi paayal ka
Phir bhi terri kasam chale aaye......  tearyeyed

From: Phir terri kahani yad aayi...

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Song lyRiCs cLoSe 2 our heaRT.... by sanju in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
My fav lyrics N songs which touches my heart ! by Delicate_Doll in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
ghazals.........close to my heart by aaina in Ghazals « 1 2 ... 9 10 »
Touching heart all Songs..............Rishi by Rishi Agarwal in Songs & Lyrics « 1 2 ... 9 10 »
poetry on current scenerio:close to my heart by rahul sengar in Shairi - E - Zindagi
brokenbyluv
Guest
«Reply #106 on: August 15, 2009, 07:00:19 PM »
waah j.sji... Applause  Applause

Kismat se tum humko mile ho
Kaise chhodenge, yeh haath hum na chhodenge
Phir se banti taqdeeron ko
Armaanon ki zanjeeron ko
Jaanam ab na todenge

Kya kahoon kaise lagte hai dil pe zulfon ke saaye
Koi bhoola raahi jaise manzil paa jaaye
Ya koi dil toofaan ka maara
Dard ki laheron mein aawaara
Koi pyaara pyaar ke saaye paa jaaye

Tukde dil ke hum tum milke
Phir se jodenge, yeh sheesha phir se jodenge

Yun sharmaati yun ghabraati aise simti simtaayi
O merre baalam yunhi nahin main jaate jaate laut aayi hoon
Preet merri pehchaani tune
Merri kadr tou jaani tune
Ab dil jaaga hosh mein chaahat ab aayi
Kismat se tum humko mile ho...... tearyeyed

From: Pukar...

Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #107 on: August 15, 2009, 07:05:10 PM »
Merri Wafayein Yaad Karoge
Roge Fariyaad Karoge
Mujhko To Barbad Kiya Hai
Mujhko To Barbad Kiya Hai
Aur Kise Aye Heeyy Barbaadd Karoge
Roge Fariyaad Karoge
Merri Wafayein..

Kaise Bhoologe Tum Mujhko
Yaad Mujhe Merre Baad Karoge
Roge Fariyaad Karoge..

Apno Ko To Bhool Chuke Ho
Aur Kise Tum Yaaad Karoge
Roge Fariyaad Karoge
Merri Mohabbat..

Loot Ke Merri Duniya Dilbar
Kaise Khud Ko Abad Karoge
Roge Fariyaad Karoge
Merri Mohabbat Yaad Karoge
Merri Wafayein Yaad Karoge
Merri Wafayein...... tearyeyed

From: Sainik...
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #108 on: August 15, 2009, 07:07:20 PM »
wah wah bahut ki pyara song aap ney chuna hai BBL ji.. wah


Woh mera rounake mehfil kahaan hai meri bijali mera haasil kahaan hai
Mukaam uska hai dil ki khalbaton mein khuda jaane mukaame dil kahaan hai

Jis din se juda woh hamse huye is dil ne dhadakna chhod diya
Hai chaand ka mooh utaraa utaraa taaron ne chamakna chhod diya

Woh paas hamaare rehte the berut bhi bahaar aa jaati thi
Ab lakh bahaare aaye to kya phoolon ne mehakana chhod diya
Hai chaand ka mooh utara utara taaron ne chamakana chhod diya
Is dil ne dhadakna chhod diya

Humarah koi saathi bhi nahi ab yaad koi baaki bhi nahi
Ab phool khile jakhamo ke kya aankhon ne barasana chhod diya
Hai chaand ka mooh utara utara taaron ne chamakana chhod diya
Is dil ne dhadakna chhod diya

Humane ye duva jab thi maangi takdir badal de ye maalik
Aawaaz aayi ki ab hamane takdir badalana chhod diya
Hai chaand ka mooh utara utara taaron ne chamakana chhod diya
Jis din se juda woh hamase huye is dil ne dhadakana chhod diya


Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #109 on: August 15, 2009, 07:12:43 PM »

Jo puchhata hai koi surkh kyon hai aaj aankhen
To aankh malke main kehta hoon raat so na saka
Hazaar chaahu magar ye na keh sakunga kabhi
Ke raat rone ki khwahish thi magar ro na saka

Hum jaise tanha logon ka ab rona kya muskaana kya
Jab chaahanewala koi nahi phir jeena kya mar jaana kya
Hum jaise tanha logon ka ab rona kya muskaana kya

Sau rang mein jisko socha tha, sau roop mein jisko chaaha tha
Sau roop mein jisko chaaha tha
Wo jaane ghazal to rooth gayi ab uska haal sunaana kya
Jab chaahanewala koi nahi  phir jeena kya mar jaana kya
Hum jaise tanha logon ka ab rona kya muskaana kya

Aawaaz kisiko de lekin ek naam tumhara honton par
Ek naam tumhara honton par
Har shakal se ubharo tum hi tum yu khud ko magar behalaana kya
Jab chaahanewala koi nahi  phir jeena kya marr jaana kya
Hum jaise tanha logon ka ab rona kya muskaana kya

Raaaton ka safar hai din ke liye aur dil mein tamanna raaton ki
Aur dil mein tamanna raaton ki
Jab paon mein raaste kho jaaye phir rukna kya ghar jaana kya
Jab chaahanewala koi nahi  phir jeena kya mar jaana kya
Hum jaise tanha logon ka ab rona kya muskaana kya


pankaj udhas
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #110 on: August 15, 2009, 07:35:54 PM »
bahut bhadhiya j.s ji..maza agya..starting mein sher bhi bahut badhiya hai... icon_thumleft

Ae kaash ke hum  hosh mein ab aane naa paaye
bas nagme terre pyaar ke gaate hi jaaye

khilati mehekati ye julfo ki shaam
hasate khanakte ye hotho kejaam
aa jhoom ke saaz uthaye bas nagme terre pyaar k..

ho bas agar tum humare sanam
hum tou sitaro pe rakh de kadam
sara jahan bhool jaaye bas nagme terre pyaar ke...... tearyeyed

From: Kabhi haan kabhi naa...



Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #111 on: August 15, 2009, 07:40:04 PM »
Bheegi bheegi raaton mein phir tum aao na
Aisi barsato mein aao na..

Dhadkanon mein aa gaya hai
Ek nagma terre pyaar ka
Jaise koi sur mila ho
Dil ke taar se dil ke taar ka
Pal ki hansi mein
Yunhi dillagi mein yeh dil gaya
Hamein kya mila hai
Tumhe to merra dil bhi mil gaya
Leke pyaar aanhkon mein aao na,

Aa rahri hai terri yaade
Dil mera phir beqaraar hai
Tum milogi haan milogi
Dil ko merre aitbaar hai
Khuli hai yeh baahe
Dekhe yeh nigahe rasta terra
Zara muskurake phir se dikha de vhi ada
Ya tou merri yaado mein aao na
Bheegi bheegi raato mein phir tum aao na...... tearyeyed


By:Adnan saami...
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #112 on: August 15, 2009, 07:42:32 PM »

Tumko dekhaa to ye kayaal aayaa
zindagii dhuup tum ghanaa saayaa
tumako...

aaj phir dilane ek tamannaa kii
aaj phir dilako hamane samajhaayaa
zindagii dhuup tum ghanaa saayaa...

tum chale jaaoge to soche nge
hamane kyaa khoyaa- hamane kyaa paayaa
zindagii dhuup tum ghanaa saayaa...

ham jise gunagunaa nahii n sakate
vaqt ne aisaa giit kyuu n gaayaa
zindagii dhuup tum ghanaa saayaa...



Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #113 on: August 15, 2009, 07:47:02 PM »
Khoya khoya chand rehta hai aasma ke paas
Khoye khoye hum bhi rehte hain is jahaan ke paas
Khoya khoya kyoon rehta hai aaj kal yeh dil
Tum to merri jaan samajhti ho kya meri mushkil
Saari saari raat jaagoon main chandni ke saath
Bas mein nahin hai aaj kal yeh merre jazbaat
Keh do naa keh do naa pyaar hai,

Dekhta hoon sirrf tumko tum nigaahon mein basi ho
Chaahta hoon sirrf tumko tum to merri aashiqui ho
Saari saari raat jaagu main chandni ke saath
Bas mein nahin hai aaj kal yeh mere jazbaat
keh do naa pyaar hai,

Mar gaya pehli hi nazar mein main tumhaari is saadgi pe
Dekho aise shaq karo naa tum merri deewaangi pe
Saari saari raat jaagoon main chandni ke saath
Bas mein nahin hai aaj kal yeh merre jazbaat
keh do naa pyaar hai......


By: Alka yagnik & babul supriyo...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #114 on: August 15, 2009, 07:52:48 PM »
Zara Si dil mein de jagah tu
zara sa apna le bana
Zara sa khawbo mein saja tu
Zara sa yaado mein basa
Main chahun tujhko
Merri jaan bepanah
Fida hoon tujhpe
Merri jaan bepanah,

Kyun itna hai mujhse hai khafa tu
Ki maine aise kya khata
Kyun itna hai mujhse hai juda tu
Kya terre dil mein hai bata,


Ab Merri manzil kiya mene darmiyan
Bas zara sa bacha hai fasla
Aise mein daman chora ke tu na jana
Bin Terre har khushi hai bewajah,

Mein chahu tujhko
Merri jaan bepanah
Fida hoon tujhpe
Merri jaan bepanaha

Zara Si dil mein de jagah tu
zara sa apna le bana
Zara sa khawbo mein saja tu
Zara sa yaado mein basa......

I MISS U SWEETU...  tearyeyed

From: Jannat...
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #115 on: August 15, 2009, 08:01:24 PM »


Mere jaise ban jaoge
Tab ishq tumhe ho jayega
Deewaron se takarooge
Jab ishq tumhe ho jayega

Haar baat gaura kar loge
Mannat bhi utara kar loge
Taabeeze bhi bhandaoge
Jab ishq tumhe ho jayega

Tanhaiye ke jhulle khoolenge
Haar baat purani bhoolonge
Aaine se tum ghabaraoge
Jab ishq tumhe ho jayega

Jab suraj bhi kho jayega
Aur chand kahin soo jayega
Tum bhi ghar dher se aooge
Jab ishq tumhe ho jayega

Bechaini bad jayege
Aur yaad kiski ayegi
Tumhari ghazale gaaoge
Tab ishq tumhe ho jayega

Mere jaise ban jaoge
Tab ishq tumhe ho jayega
Deewaron se takarooge
Jab ishq tumhe ho jayega
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #116 on: August 15, 2009, 08:07:52 PM »


ye daulat bhii le lo, ye shoharat bhii le lo
bhale chhiin lo mujhase merii javaanii
magar mujhako lautaa do bachapan kaa saavan
vo kaagaz kii kashtii, vo baarish kaa paanii

muhalle kii sabase nishaanii puraanii
vo budhiyaa jise bachche kahate the naanii
vo naanii kii baaton mein pariyon kaa deraa
vo chahare kii jhuriryon mein sadiyon kaa pheraa
bhulaae nahiin bhuul sakataa hai koi
vo chhotii sii raaten vo lambii kahaanii


kadii dhuup mein apane ghar se nikalanaa
vo chidiyaa vo bulabul vo titalii pakadanaa
vo gudiyaa kii shaadii mein ladanaa jhagadanaa
vo jhuulon se giranaa vo gir ke sambhalanaa
vo piital ke chhallon ke pyaare se tohafe
vo tuutii hui chuudiyon kii nishaanii


kabhii ret ke unche tiilon pe jaanaa
gharaunde banaanaa banaake mitaanaa
vo maasuum chahat kii tasviir apanii
vo kvaabon khilaunon kii jaagiir apanii
na duniyaa kaa gam thaa na rishton ke bandhan
badii khuubasuurat thii vo zindagaanii



Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #117 on: August 15, 2009, 08:14:21 PM »
Meri kahani mera kissa ho tum
tumhe kaise bhula sakta hoon,
kaise dil se mita sakta hoon
meri saanson ka hissa ho tum
meri kahani mera kissa ho tum
tumhe kaise bhula sakta hoon,
kaise dil se mita sakta hoon
meri saanson ka hissa ho tum....meri kahani

Hum pyaar ki daur se, bandhe bhi hue hain, toote bhi hue hain
Aur haath se haath yeh, mile bhi hue hain, choote bhi hue hain
Hum saath hain par humsafar nahi,
mere pass nahi toh door sahi,
par meri toh manzil ho tum
meri kahani mera kissa ho tum
tumhe kaise bhula sakta hoon,
kaise dil se mita sakta hoon
meri saanson ka hissa ho tum..meri kahani

Har khushi saath thi, mere tum the magar
ek pal mein tumhe kho diya
dooriyaan chaa gayi, jaise baadal koi aasmaan main phir ro diya
Hum door hue the jaane kyun
ab pass hai toh lagta hai yun, ki ek pal ka, sapna ho tum
meri kahani mera kissa ho tum
tumhe kaise bhula sakta hoon,
kaise dil se mita sakta hoon
meri saanson ka hissa ho tum
meri kahani...meri kahani......

From: Stop...
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #118 on: August 15, 2009, 08:16:19 PM »


Chaand bhi dekha
Phool bhi dekha
Baadal bijli titli jugnu
Koi nahin hai aisa
Tera husn hai jaisa
Tera husn hai jaisa

Meri nigaah ne ye kaisa khwaab dekha hai
Zameen pe chalta hua mahathab dekha hai

Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar
Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar
Kiska chehra
Kiska chehra ab main dekhoon
Tera chehra dekhkar
Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar

Neend bhi dekhi
Khwaab bhi dekha
Neend bhi dekhi
Khwaab bhi dekha
Choodi bindiya darpan khushboo
Koi nahin hai aisa
Tera pyaar hai jaisa
Tera pyaar hai jaisa

Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar
Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar
Kiska chehra
Kiska chehra ab main dekhoon
Tera chehra dekhkar
Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar

Rang bhi dekha
Roop bhi dekha
Rang bhi dekha
Roop bhi dekha
Rasta manzil saahil mehfil
Koi nahin hai aisa
Tera saath hai jaisa
Tera saath hai jaisa

Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar
Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar
Kiska chehra
Kiska chehra ab main dekhoon
Tera chehra dekhkar
Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar

Bahut khoobsuat hai aankhein tumhaari
Bana dijiye inko kismat hamari
Usay aur kya chaahiye zindagi mein
Jise mil gayi mohabbat tumhari

Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #119 on: August 16, 2009, 08:03:29 PM »

Dil mera churaya kyun jab yeh dil todna hee tha
hamse dil lagaya kyun hamse munh modna hee tha
why did you break my heart, why did we fall in love
why did you go away..

dil ko dhadakna tune sikhaya, dil ko tadapna tune sikhaya
ankho me ansu chhupe the kahee inko chhalakna tune sikhaya
sine me basaya kyun dil se jab khelna hee tha
hamse dil lagaya kyun hamse munh modna hee tha,

milti thi nazre jab bhi nazar se, uthte the shole jaise jigar se
sanso se nikla jaise dhuan sa banta tha mujhse jite naa marte
aag kyun lagayi jab bujhaye dil chhodna hee tha
hamse dil lagaya kyun hamse munh modna hee tha
dil mera churaya kyun jab yeh dil todna hee tha
hamse dil lagaya kyun hamse mu modna hee tha......

From: Akele hum akele tum...
Logged
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11 12 ... 58
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 18, 2024, 07:58:19 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 21 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer