Hadd se guzarna chahte hain................................Aqsh..

by aqsh on September 16, 2013, 12:51:22 PM
Pages: 1 2 [3] 4
ReplyPrint
Author  (Read 1960 times)
laaiba
Guest
«Reply #30 on: September 17, 2013, 01:13:41 AM »
Reply with quote
Betaabi meri aur na badhaao, yun auron se baatein karke
Ke tadap jaata hai dil mera, tumhe khone ke ehsaas se


Tumhare pyaar meiN, hadd se guzarna chahte hain
Tumhe chhoo kar jism se, rooh meiN utarna chahte hain

Rukh na phero ki, ek haseen si tasveer banakar
Us meiN apni chahat ka rang, bharna chahte hain

Gar hum na hote toh, tumhare kareeb koi aur hota
Aise khayaloN se ab hum, ubharna chahte hain

Lutakar tumpar apne husn-e-ada ka jadoo ab
Rom rom tumhe apne bas meiN, karna chahte hain

Khol kar baaheiN apni, aagosh meiN le lo “Aqsh” ko
Ke bewajah ab chalna nahiN, bas theharna chahte hain


bohat khoob kia andaz hai pani main aag lagaa deti ho aap aqsh ji ,  Usual Smile bohat c daad,..lekin phir bhee kahen gen oye control yaar laughing4
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Chahte hain itna......... by Tamanna4u in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
Bhulana Chahte Hain by Devdas_online in Shayri-E-Dard
Chahte hain tumhe.... by honeyrose in Shayri for Khumar -e- Ishq
CHAHTE HAIN.. by Farah Aziz in Shayri for Khumar -e- Ishq
CHAHTE HAIN KITNA by saahill in Miscellaneous Shayri
nashwani
Guest
«Reply #31 on: September 17, 2013, 02:25:32 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

waah waah waah aqsh jee kya baat hai..maza aa gaya padh ke..
n da romance queen rocked again..Usual Smile Usual Smile

Rukh na phero ki, ek haseen si tasveer banakar
Us meiN apni chahat ka rang, bharna chahte hain

Gar hum na hote toh, tumhare kareeb koi aur hota
Aise khayaloN se ab hum, ubharna chahte hain

Khol kar baaheiN apni, aagosh meiN le lo “Aqsh” ko
Ke bewajah ab chalna nahiN, bas theharna chahte hain

Dhero dhero daad..happy9
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #32 on: September 17, 2013, 03:08:52 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

waah Aqsh ji waah, kyaa khoobsoorat jawaab likhaa hai aapne, mazaa aa gayaa padh ke, behtareen, lajawaab, bahut pyaayaa... aur main aapkaa tahe dil se shukriyaa ada kartaa hoon meri koshish ko pasand karne ke liye...!!!


tumse hat ke kahaan meri yeh nazar jaaye
mud mud ke ab to yeh bas tumhi par jaaye

jis par nashaa chadhaa ho mohabbat kaa
woh deewaanaa ab kaise apne ghar jaaye

hai shabnami hothon ki laali bhi zaalim
ek baar chhoone ko har koi thahar jaaye

sharbati aankhon kaa jaadu kyaa bataaun
koi chor bhi dekhe to woh sudhar jaaye

dard hotaa hai ishq mein yeh jaante hain
do zakham tum aisaa, deewaanaa mar jaaye

tum ko hi paa ke, sab kuch paa liaa hai
tumse judaa ho ke 'Hriday' kidhar jaaye


*****HRIDAY*****
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #33 on: September 17, 2013, 03:09:29 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriyaaa Shihab ji....!!!

Bahut Khub Aqsh Sis. Aur Hriday Ji



Shad o Aabaad Rahiye


Shihab
Logged
aqsh
Guest
«Reply #34 on: September 17, 2013, 03:00:34 PM »
Reply with quote
waah waah Aqsh jee bahut hi umda.
thnxxxxx a lott iftakhar ji...
Logged
aqsh
Guest
«Reply #35 on: September 17, 2013, 03:01:19 PM »
Reply with quote

Waah Waah Waah Waah Waah

Kya Kehne Aqsh ji..bahuttttttttttttttttttttt Hi Khoobsurat..Mann Ko Lubha Jaane Wali Ghazal Pesh Ki Hai Aapne...Bahut Hi khoobsurat Ehsaas...Waah Waah


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

thank you sooooooooooo much khwaish ji...
Logged
aqsh
Guest
«Reply #36 on: September 17, 2013, 03:02:44 PM »
Reply with quote
bohat khoob kia andaz hai pani main aag lagaa deti ho aap aqsh ji ,  Usual Smile bohat c daad,..lekin phir bhee kahen gen oye control yaar laughing4
thank you soooooooo much laaiba ji...
Logged
aqsh
Guest
«Reply #37 on: September 17, 2013, 03:03:52 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

waah waah waah aqsh jee kya baat hai..maza aa gaya padh ke..
n da romance queen rocked again..Usual Smile Usual Smile

Rukh na phero ki, ek haseen si tasveer banakar
Us meiN apni chahat ka rang, bharna chahte hain

Gar hum na hote toh, tumhare kareeb koi aur hota
Aise khayaloN se ab hum, ubharna chahte hain

Khol kar baaheiN apni, aagosh meiN le lo “Aqsh” ko
Ke bewajah ab chalna nahiN, bas theharna chahte hain

Dhero dhero daad..happy9
Hmmmmmm achcha naam hai romance queen.. pasand aaya.. par life mein romance nahi kiya toh phir kya kiya... Giggle Giggle.. btw thnx a lotttttttttttttt...
Logged
aqsh
Guest
«Reply #38 on: September 17, 2013, 03:05:14 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

waah Aqsh ji waah, kyaa khoobsoorat jawaab likhaa hai aapne, mazaa aa gayaa padh ke, behtareen, lajawaab, bahut pyaayaa... aur main aapkaa tahe dil se shukriyaa ada kartaa hoon meri koshish ko pasand karne ke liye...!!!


tumse hat ke kahaan meri yeh nazar jaaye
mud mud ke ab to yeh bas tumhi par jaaye

jis par nashaa chadhaa ho mohabbat kaa
woh deewaanaa ab kaise apne ghar jaaye

hai shabnami hothon ki laali bhi zaalim
ek baar chhoone ko har koi thahar jaaye

sharbati aankhon kaa jaadu kyaa bataaun
koi chor bhi dekhe to woh sudhar jaaye

dard hotaa hai ishq mein yeh jaante hain
do zakham tum aisaa, deewaanaa mar jaaye

tum ko hi paa ke, sab kuch paa liaa hai
tumse judaa ho ke 'Hriday' kidhar jaaye


*****HRIDAY*****
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Haaaaaye rabba phir ek dhamaka hriday ji aapka.. behad khooooooooooob.. ek aur koshish meri bhi...

Aise na dekho qatil nigahon se ke hum mar jaaye
Madhoshi ke is aalam mein kahin kuch kar jaaye

Nasha tumhari muhabbat ka kuch aise chada ham par
Machal rahe armaan ke aaj toh hadd se guzar jaaye

Aise andaaz se choolo mere labon ke laali ko tum
Ke khud ko na samet sake tumhi mein bikhar jaaye

Ek khushboo ki tarah mehek jaaye mera tan badan
Sama jaao aise ki  mujmein tumhari saansein bhar jaaye

Kabhi socha na tha, is tarah se badal do yeh saara manzar
Chiraagon ki tarah muhabbat ka har lamha sanwar jaaye

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #39 on: September 18, 2013, 02:14:14 AM »
Reply with quote


uuuuufffffff kyaa aur kaise karun taarif, shabd hi nahi mil rahe, ek dum jaanlewaa, mohabbat mein doobi hui aapki yeh peshkash bahut bahut haseen rahi...!!!

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause


khol   dijiye   zulfen   thodi   barsaat   kijiye
mohabbat  se  haseen  meri  har  raat kijiye

naa rahiye chup chup ab yun mere saamne
khol  sharm  kaa   pardaa  thodi baat kijiye

labon ko apne  mere labon par rakh sanam
aake  karib  saanson  se  mulaaquaat  kijiye

bas  itnaa  karo to khush ho jaayenge hum
ishq  aap   hafte   mein  din  bas saat kijiye

naa  koi  bandishein  naa  koi  rok ho kahin
aazaad  ab   to   aap, dil   ke  jasbaat  kijiye

chiraag   ek   jalaa   dijiye   roshani   ke  liye
roshan  mohabbat se shahar -e- zaat  kijiye


*****HRIDAY*****


'shahar-e-zaat' is used for 'city of my existence'
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #40 on: September 18, 2013, 08:56:52 AM »
Reply with quote
waah waah kyaa qashish hai bahut khoob
Logged
aqsh
Guest
«Reply #41 on: September 19, 2013, 01:43:01 PM »
Reply with quote
waah waah kyaa qashish hai bahut khoob
thnxxxxxxx a lotttttt saini sir..
Logged
aqsh
Guest
«Reply #42 on: September 19, 2013, 01:44:07 PM »
Reply with quote


uuuuufffffff kyaa aur kaise karun taarif, shabd hi nahi mil rahe, ek dum jaanlewaa, mohabbat mein doobi hui aapki yeh peshkash bahut bahut haseen rahi...!!!

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause


khol   dijiye   zulfen   thodi   barsaat   kijiye
mohabbat  se  haseen  meri  har  raat kijiye

naa rahiye chup chup ab yun mere saamne
khol  sharm  kaa   pardaa  thodi baat kijiye

labon ko apne  mere labon par rakh sanam
aake  karib  saanson  se  mulaaquaat  kijiye

bas  itnaa  karo to khush ho jaayenge hum
ishq  aap   hafte   mein  din  bas saat kijiye

naa  koi  bandishein  naa  koi  rok ho kahin
aazaad  ab   to   aap, dil   ke  jasbaat  kijiye

chiraag   ek   jalaa   dijiye   roshani   ke  liye
roshan  mohabbat se shahar -e- zaat  kijiye


*****HRIDAY*****


'shahar-e-zaat' is used for 'city of my existence'
thnxxxxxxxxxx a lottttttt hriday ji.. awesomeeeeeeee reply.. mai bhool gayi hoon phir se likhna seekha do yaar..
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #43 on: September 20, 2013, 01:22:46 AM »
Reply with quote
thank u soo much Aqsh ji, aur kyun sharmindaa kar rahe hain, aap khud bahut achchaa likhti hain, aapkaa likhaa padh ke jawaab apne aap ban jaataa hai...!!!

thnxxxxxxxxxx a lottttttt hriday ji.. awesomeeeeeeee reply.. mai bhool gayi hoon phir se likhna seekha do yaar..
Logged
aqsh
Guest
«Reply #44 on: September 22, 2013, 11:50:28 AM »
Reply with quote
thank u soo much Aqsh ji, aur kyun sharmindaa kar rahe hain, aap khud bahut achchaa likhti hain, aapkaa likhaa padh ke jawaab apne aap ban jaataa hai...!!!

Par bhi bhi hriday ji.. aapki tarah nahi likh paati hoon.. aapki tarah likhna seekha dijiyega...
Logged
Pages: 1 2 [3] 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 05:39:07 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.304 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer