Hamare waste kab waqt wo barbad kertay haiN

by A K Khan on October 13, 2004, 01:52:31 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1555 times)
A K Khan
Guest
Reply with quote
Mohtram dosto

Aadab,  
 
Aapki khidmat maiN apni eik Ghazal lekar Hazir houa hooN. Aapki qeemati aara khayalaat tanqeed aur tabseron ka intizar rahega. Shukriyah.  
 
Nacheez  
AZHAR  


Yunhi do pal sahi ghamgeen dil ko shad kertay haiN  
Ameer-e-shehar ke aagay koi faryad kertay haiN  
 
thikana dhundte haiN ab kisi ujRe hue dil main  
chalo aao koi veeran ghar aabad kertay haiN  
 
Tumhare ye jahan wale hamiN pagal samajhte haiN  
bhula detay haiN khud ko ham tumhaiN jab yad kertay haiN  
 
unhaiN fursat kahaN betab dil ka haal sunne ki  
Hamare waste kab waqt wo barbad kertay haiN  
 
Purani baat he tufan ke rukh ko palat dena  
jo dil ko pher de aesa hunar eejad kertay haiN  
 
Ye khamoshi se barsooN in ki bunyadoon main paltay haiN  
gharooN ko nafretoon ke zalzale barbad kertay haiN  
 
tumhari god maiN ser rakh ke sona chahte to haiN  
Magar kab rizq ke zindaan hamiN aazad kertay haiN  
 
 
 
AZHAR.  
 
 
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1 on: October 13, 2004, 05:08:24 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Azhar...
Logged
A K Khan
Guest
«Reply #2 on: October 14, 2004, 03:19:16 PM »
Reply with quote
Pooja ji
Aap ne ghazal ko pasand farmaya he is ke liye aap ka mamnoon hoon

Duago
Azhar
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: October 29, 2004, 04:22:23 PM »
Reply with quote
Usual Smile
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 12 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #4 on: June 19, 2011, 11:56:32 AM »
Reply with quote
Mohtram dosto

Aadab, 
 
Aapki khidmat maiN apni eik Ghazal lekar Hazir houa hooN. Aapki qeemati aara khayalaat tanqeed aur tabseron ka intizar rahega. Shukriyah. 
 
Nacheez 
AZHAR 


Yunhi do pal sahi ghamgeen dil ko shad kertay haiN 
Ameer-e-shehar ke aagay koi faryad kertay haiN 
 
thikana dhundte haiN ab kisi ujRe hue dil main 
chalo aao koi veeran ghar aabad kertay haiN 
 
Tumhare ye jahan wale hamiN pagal samajhte haiN 
bhula detay haiN khud ko ham tumhaiN jab yad kertay haiN 
 
unhaiN fursat kahaN betab dil ka haal sunne ki 
Hamare waste kab waqt wo barbad kertay haiN 
 
Purani baat he tufan ke rukh ko palat dena 
jo dil ko pher de aesa hunar eejad kertay haiN 
 
Ye khamoshi se barsooN in ki bunyadoon main paltay haiN 
gharooN ko nafretoon ke zalzale barbad kertay haiN 
 
tumhari god maiN ser rakh ke sona chahte to haiN 
Magar kab rizq ke zindaan hamiN aazad kertay haiN 
 
 
 
AZHAR. 
 
 




waaaaaaaaaaaaaaaah waaaaaaaaaaaah waaaaaaaaaaah
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #5 on: November 05, 2012, 06:22:13 AM »
Reply with quote
Wah wah bahot shandar ghazal kahi hai aapne. Hazaron daad pesh karta hun.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 06, 2024, 05:26:13 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer