Dear readers,
This ghazal is quite long and i consider it better to break it in small parts, Actually I haven't yet finished it , I will be posting it later on part by part , keep visting & sending comments.
F.M.KHAKI
-------------------------------------------------------------------------------------
Chaha sarey zamaney ko chour ker hum nain jis ko
Wo yaar-e-dildaar ab hemara nahin hay.
Kerain tou kerain dil-e-beytaab kou kaisay kaboo
ies pay ekhteyar jo ab hemara nahin hay.
Met pouchou naam un ka, baar baar ab hum say
Suna hay naam betanay ka haq bhee ab hemara nahee hay.
Jezbaat say hemaray khail gaye wo ies zamanay key terha
Kash semejh patey key dil lagee khail hemara nahee hay.
Aey dil-e-sadaa kyun hay khush in nizaroun say aaseman kay
Chand tou kia,ies ka ek tara bhee hemara nahee hay.
Doobay rehtay hain ose key yadoun kay samunder main hum
Dil pay tha keb, ab souch pay bhee ekteyar hemara nahee hay.
Bay gher honay ka tou tanah met day aey setemger
Mana key koucha tera hay yeh, hemara nahee hay.
Pehlee nezar main hum chah gaye tum ko jana
Pesay pusht kisee mensoobay kay hath hemara nahee hay.
Dil-e-nachaar ko pash pash keyay yeh keh chel deyay
Legaya tha tumhee nain, ies main kasoor hemara nahee hay.
Kabhi mauqa mila tou dikhla dain gay un ko KHAKI
Rewaan nes nes main hain yadain tumharee,Khoun hemara nahee hay.
nice