HUM TO HINDI SE PYAAR KARTE HAIN

by waquif ansari on September 14, 2010, 02:55:45 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 3875 times)
Anshumali
Guest
«Reply #15 on: September 15, 2010, 01:49:18 AM »
Reply with quote
Poore Hindustan ke Sarkaari daftaroN meiN aik se lekar 14 Sitember talak HINDI SAPTAAH manaaya jata hai aur aaj 14 Sitember hai, isi hawaale se aik HINDI NAZM peshe-khidmat hai, mulaahizah farmaaiye. Ye nazm main Ghazal Section meiN post kar raha hoon aur Admn se darkhwaast hai k agar unko lage k ye kisi aur Section meiN hona chaahiye to woh is nazm ko shift kar den:

HUM TO HINDI SE PYAAR KARTE HAIN

Jaan-o-Dil sab nisaar karte haiN
Hum to Hindi se pyaar karte haiN

Jo bhi karta hai baat Hindi meiN
Us pe hum aitebaar karte haiN

Hum to English wichaardhaara ko
Dard-o-ghum meiN shumaar karte haiN

Disco ki jagha Hindi ke naghme
Waaqayee beqaraar karte haiN

Hindi Deewas kab aayega apna
Saal bhar intezaar karte haiN

Ik Sintamber se le ke chaudah talak
Hindi pe hum wichaar karte haiN

YahaaN abto ninaanwe feesad
Kaam Hindi meiN yaar karte haiN

HIND se pyaar aur HINDI se
Ishq hum aar paar karte haiN

(Waquif Ansari)


Hindi Diwas Par ... kahe aapke sabhi ashaar behad pasand aaye ... Waquif Ansari Sahab !.. aapke hindi prem ne mujhe bahut prabhawit kiya .... aise hi likhte rahe aage bhi ... khush rahen...

duaaon ke saath... 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~~~PYAAR SABHI KARTE HAIN~~~ by vitasta in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
SHAYRI SE PYAAR KARTE HAIN....(GHAYEL) by sajid_ghayel in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Pyaar aapse beshumaar karte hain by Ruhaani in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Tuze Pyaar Be-Shumar Karte Hain by Advo.RavinderaRavi in Ghazals
KAISAA PYAAR KARTE HAIN.............................SAINI by sksaini4 in Ghazals « 1 2 3 4  All »
Anshumali
Guest
«Reply #16 on: September 15, 2010, 01:50:32 AM »
Reply with quote
Hindi Diwas Par ... kahe aapke sabhi ashaar behad pasand aaye ...

Waquif Ansari Sahab !.. aapke hindi prem ne mujhe bahut prabhawit kiya ....

aise hi likhte rahe aage bhi ... khush rahen...

duaaon ke saath... 
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #17 on: September 15, 2010, 03:01:36 AM »
Reply with quote
Waqif Sahab Aadaab!

Kia kaheN janab..... behad khoob khayaal hai aapke aur us per aapne itne khubsurti se in khayaaloN ko Gazal meiN dhala hai ke bus waah kar rahe hai dil se...... Usual Smile

Sabhi ashaar kabil e daad hai..... Hindi humare hindustaaN ki matrabhasha hai aur behad umdaa bhashaa hai...... Iske liye aapne jo Gazal kahi hai uspar bus waah waah karne ke saath amal bhi karne karne wali bhi kayiN nasihateN ki hai aapne Daad janab.... Usual Smile

Hum aap ki kalaam meiN nukta cheeni kareN aisa humara kuch ilm nahi hai bus aik baat hume lagi ke aapne " English " word use kiya hai uska wazan hume pata nahi par uski jgaaH shaayd aap "aNgreez" lafz ustemaal karte to aur bhi achcha lagta... Usual Smile aisa humara khayaal hai..... Baki suraj ke aage humari to chirag si bhi bisat nahi hai isliye mazarrat cahte hai...

Aik achchi kalaam per dil se daad kabool kijiye......
Khush O aabaad rahiye.....
Khuda Hafez..... Usual Smile

         

Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #18 on: September 15, 2010, 06:58:26 AM »
Reply with quote
Janab Shihab Saheb! Walaikum-Assalam!

Bhai Jaan aapke nudrat-aamez alfaazoN ne aur aapki chaahat ne mujhko ashkbaar kar diya...ye khushi ke aaNsoo haiN. Koi kisi ko itna bhi chaahta hai, ye dekhkar roohaani sukun mila. Wo aik kisi ka sher hai k: Tan kar khaRa raha to jaR se ukhaR gaya...Waquif na tha jo peR hawa ke dabaao se: Mera aik mission hai aur wo hai ghazal ki tableeqh. Mujh khaaksaar se kisi ko koi faaedah pahunch jaaye to ye meri khushnaseebi hai aur hogi. Naujawaan aur ba-salaahiyat shaayroN ki himmat-afzaayee karna shaayaron ki zimmedaari hai aur saath saath unko ilmi madad, agar woh chaahen to, zaroor pahunchaana chaahiye, jis se ki naujawaan shaayir apne apne halqe mein zaban-o-bayan ki tarweej mein lag jaayen. Shihab Bhai aapne apne ko taalib-e-ilm kaha to main bhi aik taalib-e-ilm hi hooN aur zindagi bhar rahoonga. Mera apna khayaal yeh hai k main sirf aik sher k liye shaayari kar raha hooN, woh sher jis se ki meri pahchaan ho jaaye. Bahut se shaayir aise haiN jin ki pahchaan unke sirf aik sher se hoti hai, iski darjanon micaalen hain, jaise ki ye micre: LamhoN ne khata ki thi sadiyoN ne saza paayee : Haaye kya cheez ghareebul-watani hoti hai: waghairah waghairah. Aapki muhabbatoN ko main qadr ki nigaah se dekhta hooN aur aapka phir se shukriya ada karta hooN.

(Waquif Ansari)   

As Salaamu Alaikum Mohtaram Janaab Waquif Saheb
Umeed Karta Hun Aap Khairiyat Se Honge...!
Aur Ji Sahi Farmaaya Aapne Bahut Din Ho Gaye
Aapse Baat Kiye Hue. Aur Ramzaan Mein. Main Bhi
Net Pe Nahi Aata Par Yeh Pahla Ramzaan Aisa Guzra
Ki Mujhe Ek Dost Ki Wajah Se Net Pe Aana Parha Tha
Aur Phir Ek Do Baar Yo Par Bhi Chala Aaya Tha Ek
Humd Likhi Thi Uss Silsile Mein...Khair
Janaab Badi Hi Khushi Hui Yeh Dekhkar Ki
Khuda Ne Aapko Itna Sara Ilm Diya Hai Phir Bhi
Aapko Zara Sa Bhi Takabbur Nahi Hai
Warna Bahut Se Log Aise Dekhe Hain Ki Zara Sa
Ilm Kya Aa Jaata Hai Zameen Par Per Hi Nahi Rakhte.
Khair.
Yeh To Meri Khushnasibi Aur Aapki Saaf Dili Hai Janaab
Jo Aap Mujhe Jaise Talib e Ilm Aur Na Samajh Ko Bhi
Is Qadar Izzat Baksh Rahe Hain.Aur Is Qadar Pyaar O Muhabbat Se Baat Kar Rahe Hain....Bahut Bahut Shukariya Janaab
Aapka Tahe Dilse Mashkur Hoon Main...
Aur Janaab Yun Hi Saath Banaye Rakhiyega Mujh Jaise
Talib e Ilm Aur Na Samajh Ko Aap Jaise Saf Dil Ustad Ki
Bahut Hi Jarurat Hai....

ALLAH Pak Aapko, Chust, Mast, Aur Wyast Rakhe.

Khush Rakhiye...


~Shihab~

Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #19 on: September 15, 2010, 07:23:54 AM »
Reply with quote
Janab Anshumali Saheb! Adab !

HameiN Hindi se utna hi prem hai jitna Urdu se hai. Aapko jaisa k ilm hai k Hindi aur Urdu ki grammer aik hai. Donon bhaashaaon mein farq sirf lipi ka hai. Main Hindi aur Urdu mein farq nahin samajhta. Kisi ke jumle haiN k "Urdu-Hindi meiN hai farq sirf itna... Woh dekhte haiN khwaab hum dekhte haiN sapna". Aapke taareefi kalmaat ka bahut bahut shukriya janab.

(Waquif Ansari)

Hindi Diwas Par ... kahe aapke sabhi ashaar behad pasand aaye ... Waquif Ansari Sahab !.. aapke hindi prem ne mujhe bahut prabhawit kiya .... aise hi likhte rahe aage bhi ... khush rahen...

duaaon ke saath... 
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #20 on: September 15, 2010, 07:28:54 AM »
Reply with quote
Janaab Abhi Saheb Main Khud Bhi Zameen Par Hi Hun
Aur Jo Meri Asaliyat Hai Main Wahi Likh Raha Hun Janaab
Na Aapko Barha Na Khudko Chhta Khair...Janaab Abhi Saheb
Har Insan Ki Apni Ik Soch Hoti Hai So Jo Aap Jo Sahi Laga
Woh Aapne Keh Diya Aur Mujhe Laga Woh Maine Keh Diya
Ab Hum Is Baat Ko Yahi Khatam Kar Dete Hain Janaab
Aue Main Ek Baar Phirse Maafi Chahta Hun Gar Meri Koi Bhi
Baat Aapke Dil Ko Lagi Ho To...Khush Rahiye
Apna Aur Apno Ka Khayal Rakhiye...


~Shihab~


bat samjhne ka shukriya shihab sahab...apko hurt hua ho to maaf kijiyega~
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #21 on: September 15, 2010, 09:14:51 AM »
Reply with quote
Janab ParwaaZ Saheb! Aadaab !

Aapki muhabbatoN ka bahut bahut shukriya janab. Aap ne baRi baareek-bini se meri kaawish ko dekha aur sahi nishaandehi farmaayee, iske liye bhi main aapka mashkoor-o-mamnoon hooN. Is mein maazrat ki koi baat nahin hai balki main aapka shukrguzaar hooN ke aapne ghalati ko point out kiya. “English” word bahr mein nahiN hai. Mujh se yeh chook hui hai. Yeh sher “Enlish” pe bandh gaya hai aur aapne sahi kaha hai k “angrez” ya angreziyat laana chaahta tha main lekin “felun” ke wazn pe ghalati se English baandh diya. Ab is sher ko modify karoonga jis mein kuchh is tarah se ye sher hoga:

Hum to baaTil wichaardhaara ko
Dard-o-ghum mein shumaar karte haiN

Aapki nishaandehi ka aikbaar phir se shukriya ada karta hooN.

(Waquif Ansari)

Waqif Sahab Aadaab!

Kia kaheN janab..... behad khoob khayaal hai aapke aur us per aapne itne khubsurti se in khayaaloN ko Gazal meiN dhala hai ke bus waah kar rahe hai dil se...... Usual Smile

Sabhi ashaar kabil e daad hai..... Hindi humare hindustaaN ki matrabhasha hai aur behad umdaa bhashaa hai...... Iske liye aapne jo Gazal kahi hai uspar bus waah waah karne ke saath amal bhi karne karne wali bhi kayiN nasihateN ki hai aapne Daad janab.... Usual Smile

Hum aap ki kalaam meiN nukta cheeni kareN aisa humara kuch ilm nahi hai bus aik baat hume lagi ke aapne " English " word use kiya hai uska wazan hume pata nahi par uski jgaaH shaayd aap "aNgreez" lafz ustemaal karte to aur bhi achcha lagta... Usual Smile aisa humara khayaal hai..... Baki suraj ke aage humari to chirag si bhi bisat nahi hai isliye mazarrat cahte hai...

Aik achchi kalaam per dil se daad kabool kijiye......
Khush O aabaad rahiye.....
Khuda Hafez..... Usual Smile

         


Logged
UditVeer
Guest
«Reply #22 on: April 30, 2011, 09:13:13 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob Janaab Kya baat Kahi Hai Mulq Aur Hindi Ki Taraqki K liye!!

JAi Hind    Jai HinDI
Logged
vipul kumar
Guest
«Reply #23 on: April 30, 2011, 07:58:33 PM »
Reply with quote
waah Waqif sahab.... kamal hai. kya unvan chuna hai... aise unvan par kaam karna apne aap me bahut achhi aur badi baat hai.... bahut khoob
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #24 on: May 05, 2011, 06:58:31 AM »
Reply with quote
Shukriya Janab vipul kumar Saheb. Aapki daad ne mujhe aur hausla diya aur aage kuchh aur kahte rahne ki bhi jila bakhshi, is liye main aapka azhud mamnoon wa mashkoor hooN.

(waquif ansari)

waah Waqif sahab.... kamal hai. kya unvan chuna hai... aise unvan par kaam karna apne aap me bahut achhi aur badi baat hai.... bahut khoob
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #25 on: June 21, 2011, 10:30:25 AM »
Reply with quote
Poore Hindustan ke Sarkaari daftaroN meiN aik se lekar 14 Sitember talak HINDI SAPTAAH manaaya jata hai aur aaj 14 Sitember hai, isi hawaale se aik HINDI NAZM peshe-khidmat hai, mulaahizah farmaaiye. Ye nazm main Ghazal Section meiN post kar raha hoon aur Admn se darkhwaast hai k agar unko lage k ye kisi aur Section meiN hona chaahiye to woh is nazm ko shift kar den:

HUM TO HINDI SE PYAAR KARTE HAIN

Jaan-o-Dil sab nisaar karte haiN
Hum to Hindi se pyaar karte haiN

Jo bhi karta hai baat Hindi meiN
Us pe hum aitebaar karte haiN

Hum to English wichaardhaara ko
Dard-o-ghum meiN shumaar karte haiN

Disco ki jagha Hindi ke naghme
Waaqayee beqaraar karte haiN

Hindi Deewas kab aayega apna
Saal bhar intezaar karte haiN

Ik Sintamber se le ke chaudah talak
Hindi pe hum wichaar karte haiN

YahaaN abto ninaanwe feesad
Kaam Hindi meiN yaar karte haiN

HIND se pyaar aur HINDI se
Ishq hum aar paar karte haiN

(Waquif Ansari)



BAHUT BAHUT BAHUT KHOOB WA.

 icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 07:36:19 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer