HUM TO HINDI SE PYAAR KARTE HAIN

by waquif ansari on September 14, 2010, 02:55:45 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3867 times)
waquif ansari
Guest
Reply with quote
Poore Hindustan ke Sarkaari daftaroN meiN aik se lekar 14 Sitember talak HINDI SAPTAAH manaaya jata hai aur aaj 14 Sitember hai, isi hawaale se aik HINDI NAZM peshe-khidmat hai, mulaahizah farmaaiye. Ye nazm main Ghazal Section meiN post kar raha hoon aur Admn se darkhwaast hai k agar unko lage k ye kisi aur Section meiN hona chaahiye to woh is nazm ko shift kar den:

HUM TO HINDI SE PYAAR KARTE HAIN

Jaan-o-Dil sab nisaar karte haiN
Hum to Hindi se pyaar karte haiN

Jo bhi karta hai baat Hindi meiN
Us pe hum aitebaar karte haiN

Hum to English wichaardhaara ko
Dard-o-ghum meiN shumaar karte haiN

Disco ki jagha Hindi ke naghme
Waaqayee beqaraar karte haiN

Hindi Deewas kab aayega apna
Saal bhar intezaar karte haiN

Ik Sintamber se le ke chaudah talak
Hindi pe hum wichaar karte haiN

YahaaN abto ninaanwe feesad
Kaam Hindi meiN yaar karte haiN

HIND se pyaar aur HINDI se
Ishq hum aar paar karte haiN

(Waquif Ansari)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~~~PYAAR SABHI KARTE HAIN~~~ by vitasta in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
SHAYRI SE PYAAR KARTE HAIN....(GHAYEL) by sajid_ghayel in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Pyaar aapse beshumaar karte hain by Ruhaani in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Tuze Pyaar Be-Shumar Karte Hain by Advo.RavinderaRavi in Ghazals
KAISAA PYAAR KARTE HAIN.............................SAINI by sksaini4 in Ghazals « 1 2 3 4  All »
cara
Guest
«Reply #1 on: September 14, 2010, 03:10:40 AM »
Reply with quote
WAH KYA BAAT HAI    WAQUIF ANSARI JI......

APNE DESH HINDUSTAN PAR APNI JAAN NISAR KARTE HAIN
APNI RASHTRA BASHA HINDI SE HUM PYAAR KARTE HAIN...

           .... JAI HIND   JAI HINDI.....
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #2 on: September 14, 2010, 05:59:40 AM »
Reply with quote
Cara Ji! Adab!

Aapki daad-o-tehseen ne bahut hausla baRhaya, iske liye aapka bahut bahut shukriya aur aapne jis tehreer se nawaaza hai woh apne aap mein dil se lagaane waali tehreer hai. Aaj Hindi Deewas ke shubh aucer par yahi dua hai ke mulk ke saath saath Hindi zabaan bhi taraqqi kare. Is liye sab log kaheN:

Jai Hind......Jai Hindi

(Waquif Ansari)

WAH KYA BAAT HAI    WAQUIF ANSARI JI......

APNE DESH HINDUSTAN PAR APNI JAAN NISAR KARTE HAIN
APNI RASHTRA BASHA HINDI SE HUM PYAAR KARTE HAIN...

           .... JAI HIND   JAI HINDI.....
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #3 on: September 14, 2010, 06:29:08 AM »
Reply with quote
Waaah Waqif sahab aapki is ghazal ne to kamaal kar diya. Aapka Hindi prem dekhkar bahot khushi hui. Vastav mein hindi bahot shandar bhasha hai. Hum sabko chahiye ke hindi ka adhik se adhik proyog karein.
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #4 on: September 14, 2010, 07:04:34 AM »
Reply with quote
apne andaz me kahu to...


bhasha kya he dil ki tehreer he
jo chaha jubaan se likh diya karte he
yun to kehene ko hazaron tareeke he
jisme dil laga usi jubaan me keh liya karte he
english bolna to majboori ban gayi he
warna dil se hindustaani he dosto
hindi ko "maa" ki upaadhi dete he
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #5 on: September 14, 2010, 07:30:10 AM »
Reply with quote
Mohtaram Riyaz Saheb!

Ye aapki aalazarfi hai k bande ki is kaawish ko aapne saraha aur apne qeemti daad-o-tehseen se nawaaza jiske liye khaaksaar aapka shukriya ada karta hai. Hum hamesha aapke daad ke muntazar rahte hain. Hindi ke tayeeN aapke nigaarishaat paRhkar kaafi achchha laga. Isi tarah apni nawaazisoN se nawaazte rahiye.

(Waquif Ansari)

Waaah Waqif sahab aapki is ghazal ne to kamaal kar diya. Aapka Hindi prem dekhkar bahot khushi hui. Vastav mein hindi bahot shandar bhasha hai. Hum sabko chahiye ke hindi ka adhik se adhik proyog karein.
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #6 on: September 14, 2010, 07:40:37 AM »
Reply with quote
Bahut Khub Janaab Waquif Saheb

Dad Hi Dad...

Par Mujhey Nahi Lagta Ki Aajke Hindustani
Hindi Se Pyaar Ya Uska Upyog Karte Hain.Khair

Khush Rahiye...


~Shihab~

shihab sahab yahan rokuga...koi galti ho to kshmaa prarthi hu.....ho sakta he hamse kahin  koi bhool huyi hooo par aaj ke hindustaani hindi se pyaar bhi karte he or uska upyog bhi ....haan ye juroor he ki jamane me jydatar upyog english ka hota he...par wo globalization ke daur me khud ko khade rakhne ki majboori matra he...
hamri jadon me aaj bhi hindi sar utha kar baithi huyi heee....aji "maa" he hamari bhoolkar jayega kahan~

Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #7 on: September 14, 2010, 07:57:25 AM »
Reply with quote
Ji Sahi Farmaaya Aapne Maafi Chahta Hun Main
Par Aisi Bhi Kya Majburi Janaab Jo Hume Apni
Matrabhoomi Bolne Se Roke.Humara Farz Banta Hi
Ki Hum Isko Aage Badhaye Taake English Ki Jagah
Har Kahin Hindi Boli Jaaye Khair Aap Mujhse Jyada
Samajhdaar Aur Jahan Dida Bhi Hai So Aap Sahi Honge
Main Maafi Chahta Hun Janaab Gar Meri Kisi Bhi Baat Ne
Aapka Dil Dukhaya Ho To...Khush Rahiye.


~Shihab~


mujhe khud se upar rakhkar mujhe chhota na kijiye shihab sahab...me to zameen par hi achha hun...apne eisa kaha lagta he mujhse koi bhool ho gayi ....
me bas dil ki keheta hun ji kyunki or kuchh hota hi nhai kehene ko mere pas..
me to bas adhhoore sach ko poora kar rah tha ...
aji bas kuchh muththi bhar logo ke kehene se na bharat chhota hoga na uski bhashaye...
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #8 on: September 14, 2010, 08:17:56 AM »
Reply with quote
Janab AbhiTamrakar Saheb!

Aapne meri is kaawish ko saraha, iske liye aapka shukrguzaar hooN saath hi aapne apne behtareen lafzon se apne dili khayalaat ka izhaar kiya, achchha laga. Mulk ki taraqqi ke saath saath Bhartiya bhaasaaon ki taraqqi bhi laazmi hai aur Hindi to mukut hai is liye iski taraqqi to aur bhi laazmi hai. Aapka aikbaar phir shukriya ada karta hooN.

(Waquif Ansari) 

apne andaz me kahu to...


bhasha kya he dil ki tehreer he
jo chaha jubaan se likh diya karte he
yun to kehene ko hazaron tareeke he
jisme dil laga usi jubaan me keh liya karte he
english bolna to majboori ban gayi he
warna dil se hindustaani he dosto
hindi ko "maa" ki upaadhi dete he

Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #9 on: September 14, 2010, 08:20:00 AM »
Reply with quote
pasand karne ke liye bahut bahut shukriya jiii...bas koshish ki apne pasaand ki achha laga~
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #10 on: September 14, 2010, 08:37:38 AM »
Reply with quote
Janab AbhiTamrakar Saheb!

Lagta hai aapne Janab Shihab Saheb ki baatoN ko deegar tareeque se le liya. Mujhe Shihab Saheb ki baatoN mein aisa laga ki unhoNne zameeni haqaaeq bayaan karne ki koshish ki aur aapke bura maanne par maafi ke talabgaar ho gaye. Ye aik shaayir (Shihab) ki aalazarfi hai k unhoNne jo confusion paida hua uske liye darguzar ke talabgaar ho gaye, main unki is ada ko qaabil-e-tehseen samajhta hooN. Mera khayaal hai ab aapko itminaan ho gaya hoga.

(Waquif Ansari)

shihab sahab yahan rokuga...koi galti ho to kshmaa prarthi hu.....ho sakta he hamse kahin  koi bhool huyi hooo par aaj ke hindustaani hindi se pyaar bhi karte he or uska upyog bhi ....haan ye juroor he ki jamane me jydatar upyog english ka hota he...par wo globalization ke daur me khud ko khade rakhne ki majboori matra he...
hamri jadon me aaj bhi hindi sar utha kar baithi huyi heee....aji "maa" he hamari bhoolkar jayega kahan~


Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #11 on: September 14, 2010, 08:41:36 AM »
Reply with quote
Janab Shihab Saheb! AOA!

Bahut dinoN baad aap se mulaaqaat ho rahi hai. Ramzaan-ul-Mubaarak ke wajh se ziyaadah aana jaana nahin raha. Ab jaa ke kuchh muhlat mili hai to ye post aaj ke din main ne kar di. Aap ne apne andaaz mein taareefi kalmaat ada kiye uske liye main aapka mamnoon hooN aur “khair” kah kar jo zameeni sach ko bayan kiya hai usse kisi ko inkaar bhi nahin hai. Mulk ki taraqqi ke saath saath Bhartiya Bhaasaaon ki taraqqi bhi honi chaahiye yahi taRap hum sab ke diloN meiN hai bilkhusoos Hindi ki taraqqi aur bhi zururi hai. Aapka main phir se shukriya ada karta hooN.

(Waquif Ansari)

Bahut Khub Janaab Waquif Saheb

Dad Hi Dad...

Par Mujhey Nahi Lagta Ki Aajke Hindustani
Hindi Se Pyaar Ya Uska Upyog Karte Hain.Khair

Khush Rahiye...


~Shihab~

Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #12 on: September 14, 2010, 08:57:36 AM »
Reply with quote
waquif ji .....mene bura nahi mana bas adhoore ek sach ko poora kiya.....ham na itne bade he na itne bure ki kisi bhi insaan ka dil dukhane ki jurrat kar sake...

haan apki jankari ke liye bata dun ki mene unke sirf ek line ko poora karne ki koshish ki....or sahab me koshish ko galti nahi manta~~`aji ek bat apne bahut khoob kahi thi usi ke sath zara is par bhi gaur kijiyega " mulk ki taraqqee me insaan apne Maa-baap ko nhai bhul jata " to aap hi kahiye sahab hindi bolna ya uska upyog karna kaise bhoolega~


taraqqeee ke nigehbaan ham bhi he
ashaaon ki udan me ham bhi he
gar hindustan hindustaniyon se hai
to ek hindustan ham bhi he~


ummeed he galatfehmi door hogi~

ek bar fir kahuga yadi meri wajah se jane anjane kisi ko bhi takleef huyi he to maafi chahta hun ..

 


Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #13 on: September 14, 2010, 09:17:30 AM »
Reply with quote
Janab AbhiTamrakar Ji!

Ghalatfahmi agar ho bhi gayee to woh door ho gayee. Shanka ka samadhaan ho jaana hi behtar hai. Aapki is tehreer ne zaban ki ahmiyat aur aafaaqiyat par raushni daali, in ehsaasaat ko aapne apne lafzon mein bayaan kiya, achchha laga. Aapke alfaaz Hindi Prem se labrez lage, aur bhi achchha laga. Prem hi jeevan hai. Mulk se prem, zabaan se prem, qaum se prem aur Bharat mein basne waale sabhi insaanoN se prem hi woh asli kunji hai jise apnakar hum apne mulk ko taraqqi pe gaamzan hote hue dekhna chaahte haiN. Aapka aikbaar phir shukriya ada karta hooN.

waquif ji .....mene bura nahi mana bas adhoore ek sach ko poora kiya.....ham na itne bade he na itne bure ki kisi bhi insaan ka dil dukhane ki jurrat kar sake...

haan apki jankari ke liye bata dun ki mene unke sirf ek line ko poora karne ki koshish ki....or sahab me koshish ko galti nahi manta~~`aji ek bat apne bahut khoob kahi thi usi ke sath zara is par bhi gaur kijiyega " mulk ki taraqqee me insaan apne Maa-baap ko nhai bhul jata " to aap hi kahiye sahab hindi bolna ya uska upyog karna kaise bhoolega~


taraqqeee ke nigehbaan ham bhi he
ashaaon ki udan me ham bhi he
gar hindustan hindustaniyon se hai
to ek hindustan ham bhi he~


ummeed he galatfehmi door hogi~

ek bar fir kahuga yadi meri wajah se jane anjane kisi ko bhi takleef huyi he to maafi chahta hun ..

 



Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #14 on: September 14, 2010, 09:43:26 AM »
Reply with quote
bat ko samajhne ka shukriya~
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 10:27:39 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.127 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer