Is qafas se huN pareshaaN...............MKV

by mkv on May 16, 2013, 02:09:07 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2886 times)
mkv
Guest
Reply with quote
Khudnumayee, badgumaani aur ik ghar khaak hai
Talkh-kaami yak-bayak seenah  hua ye chaak hai

Voh raqeeboN kee balaayeN le raha hai aajkal
Raat din bas aashnaai ab bachaani naak hai

Raaz dil me zabt uske lab hai jaise sil liye
Dil me uske sab dafan hai voh bahut chalaak hai

Haq-parasti aur riyazat hai mera imaan ab
Is qafas se huN pareshaN bas yahee idraak hai

hasratoN se tauba kar lee badla-badla hai ‘Chiragh’
raaz-e-aalam haiN numaya, ab  ibaadat paak hai
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #1 on: May 16, 2013, 02:34:21 PM »
Reply with quote
Marhaba, Marhaba !! waah Mukesh ji,Kya khubsurat ghazal likhi hai. Sanjeeda , gahre khayalaat , sanjeeda aur ba-maani alfaaz se murassa ye ghazal har sher par thaher kar sochne par majboor karti hai.Aala sukhanwari ki taraf ye sirf agla qadam nahi , eik zabardast chhalaang hai . Khuda ye rang qaaim o daaim rakhhe . 4th sher aur maqta par khusoosi mubarakbaad . bahut bahut khoob !!!
Logged
Shireen Hakani
Guest
«Reply #2 on: May 16, 2013, 02:51:19 PM »
Reply with quote
Bohat Khub Mukesh Jee!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 3 hours and 51 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #3 on: May 16, 2013, 03:20:00 PM »
Reply with quote
hasratoN se tauba kar lee badla-badla hai ‘Chiragh’
raaz-e-aalam haiN numaya, ab  ibaadat paak hai

WAAH WAAH MUKESH JI LAJWAAB
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #4 on: May 16, 2013, 03:27:26 PM »
Reply with quote
Khudnumayee, badgumaani aur ik ghar khaak hai
Talkh-kaami yak-bayak seenah  hua ye chaak hai

Voh raqeeboN kee balaayeN le raha hai aajkal
Raat din bas aashnaai ab bachaani naak hai

Raaz dil me zabt uske lab hai jaise sil liye
Dil me uske sab dafan hai voh bahut chalaak hai

Haq-parasti aur riyazat hai mera imaan ab
Is qafas se huN pareshaN bas yahee idraak hai

hasratoN se tauba kar lee badla-badla hai ‘Chiragh’
raaz-e-aalam haiN numaya, ab  ibaadat paak hai



gr888888888888 ghazal,sir you have selected few tough arabic words
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #5 on: May 16, 2013, 06:03:54 PM »
Reply with quote
Bahut khoob...  Applause Applause Applause Applause
Logged
aqsh
Guest
«Reply #6 on: May 16, 2013, 07:34:59 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Awesome mukesh ji. ek alag hi andaaz dekhne ko mila aapka. badi achchi ghazal hui is baar. tareef ke liye alfaaz nahi. dil se mubarakbad qubool kijiyega.
Logged
Sanjeev kash
Guest
«Reply #7 on: May 16, 2013, 07:37:15 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
BAhut BAhut Khub Mukesh Ji
Logged
laaiba
Guest
«Reply #8 on: May 16, 2013, 07:58:19 PM »
Reply with quote
Khudnumayee, badgumaani aur ik ghar khaak hai
Talkh-kaami yak-bayak seenah  hua ye chaak hai

Voh raqeeboN kee balaayeN le raha hai aajkal
Raat din bas aashnaai ab bachaani naak hai

Raaz dil me zabt uske lab hai jaise sil liye
Dil me uske sab dafan hai voh bahut chalaak hai

Haq-parasti aur riyazat hai mera imaan ab
Is qafas se huN pareshaN bas yahee idraak hai

hasratoN se tauba kar lee badla-badla hai ‘Chiragh’
raaz-e-aalam haiN numaya, ab  ibaadat paak hai

laajawab ,...........bohat c daad,..........
Logged
mkv
Guest
«Reply #9 on: May 16, 2013, 08:43:39 PM »
Reply with quote
Marhaba, Marhaba !! waah Mukesh ji,Kya khubsurat ghazal likhi hai. Sanjeeda , gahre khayalaat , sanjeeda aur ba-maani alfaaz se murassa ye ghazal har sher par thaher kar sochne par majboor karti hai.Aala sukhanwari ki taraf ye sirf agla qadam nahi , eik zabardast chhalaang hai . Khuda ye rang qaaim o daaim rakhhe . 4th sher aur maqta par khusoosi mubarakbaad . bahut bahut khoob !!!
Aadaab Sir
ye sab aapki rahnumaaai ka asar hai.
aaj yahan tak mai aapki vajh se pahunch paaya hun.
aapki hausla afzai se mujhe har baar aage ke liye ek nayee raah mil jaati hai.
Sab vaqt ke haathoN me hai..par meri koshish badastoor jaari rahegi.
Bahut bahut shukriya aapka

 
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #10 on: May 16, 2013, 09:09:53 PM »
Reply with quote
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut

Marhaba Marhaba, Subhan Allah, Mukesh bhai, aaj sach bol raha huN taa'reef ke liye alfaaz nahiN haiN. MaiN to bilkul awaak rah gaya ye ghazal padh ke, ek se badh kar ek she'r jinka koi jawaab nahiN. Kya ghazab ke neyk aur aa'la khayaalaat nikaale haiN aapne, aur sath meiN itna khumaar bhara hai, khaastaur pe 4th aur maqte ka she'r, lekin baaqi ash'aar ko bhi kisi soorat kamtar nahiN kaha jaa sakta. Ye mere liye ek yaadgaar ghazal kahi hai jo mujhe hamesha yaad rahegi.

Iss pe jitni daad-o-mubarakbaad di jaae kam hai, khayr kuch to dena padega aur kam se kam in 5 ash'aar pe 5 Rau to bante hi haiN jo ki ek baar meiN nahiN diye jaa sakte, lekin phir bhi maiN inheN poora karuNga 3-4 din meiN.

 Applause
 Applause Applause
 Applause Applause Applause
 Applause Applause Applause Applause
 Applause Applause Applause Applause Applause
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Logged
mkv
Guest
«Reply #11 on: May 17, 2013, 12:10:48 AM »
Reply with quote
Bohat Khub Mukesh Jee!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Bahut shukriya aapka
bas yun hi saath dete rahiyega
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 12 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #12 on: May 17, 2013, 12:16:57 AM »
Reply with quote
Khudnumayee, badgumaani aur ik ghar khaak hai
Talkh-kaami yak-bayak seenah  hua ye chaak hai

Voh raqeeboN kee balaayeN le raha hai aajkal
Raat din bas aashnaai ab bachaani naak hai

Raaz dil me zabt uske lab hai jaise sil liye
Dil me uske sab dafan hai voh bahut chalaak hai

Haq-parasti aur riyazat hai mera imaan ab
Is qafas se huN pareshaN bas yahee idraak hai

hasratoN se tauba kar lee badla-badla hai ‘Chiragh’
raaz-e-aalam haiN numaya, ab  ibaadat paak hai


waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah mkv ji, 3rd aur 4rth sher khususi rahe
Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Sudhir Ashq
Khususi Shayar
*****

Rau: 108
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
16 days, 19 hours and 24 minutes.

Posts: 1813
Member Since: Feb 2013


View Profile WWW
«Reply #13 on: May 17, 2013, 12:44:01 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Wah,Wah,Wah very nice composition.
Logged
mkv
Guest
«Reply #14 on: May 17, 2013, 11:05:46 AM »
Reply with quote
hasratoN se tauba kar lee badla-badla hai ‘Chiragh’
raaz-e-aalam haiN numaya, ab  ibaadat paak hai

WAAH WAAH MUKESH JI LAJWAAB
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
Shukriya mere bhai
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 03:38:22 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.158 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer