vipul kumar
Guest
|
|
|
Ham Aashiq Nada.n, Ahl-e-safaa, Kis But se Preet Laga Baithe...... Hame kis se ummiid-e-wafaa Thahrii, Kis aas Me Jaan Ganva Baithe....... [Ahl-e-safaa=Pure(innocent) people; But=idol/lover]
Ae Qaasid-e-Yaara.n Kahna Use, Paao.n Me wo Mehdi Lagvaa Le, Mayyat pe Meri Na aaye sanam, Doli Me wo Sajke Jaa baithe...... [Qaasid=Postman]
Yu.n Diin ke naam pe qatl kiye, Har Kufr Nibaah Kiya Hamne, Mandir ko Tabaah kiya Hamne, Masjid ko aag Lagaa Baithe........ [Diin=Religion; Kufr=Infidelity]
Hame Dard-o-ghum hi Rafiiq mile, Mile Hamko Chiraag Tariiq Mile, Ab Ghum Sahne Ki Taufiiq mile, Koi Yu.n Tasliim-e-Dua Baithe...... [Rafiiq=Friends; Tariiq=Dark; Taufiiq=courage; Tasliim=Acceptance]
Berang kafan ko chhodo ab, Rangiin libaas-e-junu.n Lao, Kuchh lahu ki boonde.n bikhrao, Kuchh Rang to Sarf-e-qabaa Baithe..... [Libaas-e-junu.n=Clothes of passion; Sarf-e-qabaa=On clothes]
Ab zikr tera Kis se kiije, Sab Yaar tere aashiq thahre, Kuchh baat kare.n Teri us se, Kahi.n paas jo Mouj-e-Havaa Baithe....
Jab Tujhko wafaa ka paas nahi, Mere dil me bhi Ehsaas nahi, Dil Tera Zikr_Shanaas Nahi, Ja tujhko Yaar Bhula Baithe......
Mere khwaab adhuure khwaab rahe, Meri Jaan Jigar Betaab Rahe, Tera Husn Magar Shaadab rahe, Tu Dhokha na Koi kha Baithe......
Ik Baat Use Kahna YaaRa, Kar Ishq ka farz Adaa jaaye, Mujhe maange, Meri wafaa Maange, jab bhi vo Mahv-e-Dua Baithe.....!! [Mahv-e-Dua=In Prayers]
|