JUDA HAI JAB SE MERA NAAM TERE NAAM KE SAATH...........HASAN

by F.H.SIDDIQUI on September 03, 2011, 05:12:36 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 6940 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #15 on: September 07, 2011, 04:27:59 PM »
Reply with quote
Parwaaz saheb,Aap ke makhsoos,munfarad,andaaz mein tabsira hamesha hi man moh leta hai aur hausla bakhshta hai.Aapka bahut shukriya.HASAN
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #16 on: September 07, 2011, 05:29:55 PM »
Reply with quote
mkv ji,zaraanawazi ke liye bahut bahut shukriya.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #17 on: September 08, 2011, 06:27:36 AM »
Reply with quote
Khamosh awaaz ji,Hausla afzai ke liye tahedil se mashkoor hoon.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #18 on: September 09, 2011, 04:11:44 AM »
Reply with quote
Satish ji,Ghazalpadhne aur hausla afza tabsireke liye bahut bahut shukriya.
Logged
annu_genis
Guest
«Reply #19 on: October 17, 2011, 10:21:59 AM »
Reply with quote
Hasan sa'ab ...kamaal hai, bemisaal hai
...Bas yun hi likhte rahiye, apne chaahane waalo ke liye
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #20 on: October 17, 2011, 10:34:20 AM »
Reply with quote
annu_genis ji,bahut shukriya,mehrbaani,aap ne ghazal padhi aur hausla afzai ki.Khush rahiye.Hasan
Logged
usha rajesh
Guest
«Reply #21 on: October 20, 2011, 02:32:49 AM »
Reply with quote
JuDa   hai  jab se  mera  naam  tere  naam  ke  saath ,
Mere  raqeeb  bhi  milte  haiN   ehtiraam   ke  saath

Nazar  ke  teer  haiN , Khanjar  bhi  haiN  adaaoN  ke,
Iraada  qatl  ka  hai   poore  intezaam   ke   saath

Jale gi  shamma , sajaayeiN  ge  bazm-e-jaam-o-suboo ,
Muaa'heda  ye  puraana  hai  mera   shaam  ke  saath

Hamaara  pyaar  hai , pathhar  ko  moam  kar  de  gaa,
Hayaat  saari  katee  iss  Khayaal-e-Khaam  ke  saath

'Hasan'  wo  khul  ke  raqeeboN  se  milte  rahte  haiN,
Takallufaat  haiN  saare  issi  ghulaam  ke  saath




Hasan Saheb,

Wah! Wah! Wah!.........Wah! Bahut hi behtereen kalam hai. Ek ek sher pe dil Wah bol utha.
Bahut Khoob!
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #22 on: October 20, 2011, 09:51:05 AM »
Reply with quote
Wah wah wah Janab Hasan Saheb. Bahut hi khoobsurat ghazal, is ki jitni bhi taareef ki jaaye kam hai. Ghazal ka har aik sher apne aap mein aik duniya aabaad kiye hue hai. Khudu se dua-go hooN k zore-qalam aur ziyaadah..... Meri jaanib se is murassa ghazal pe mubarakbaad ke saath saath hazaroN daad qubul kijiye sirf aur sirf aapke liye is aik matle ke saath:

Arooz-o-fun meiN Ghazal kah di intezaam k saath
Qubul kijiye nazraana ek salaam k saath

(waquif ansari)

JuDa   hai  jab se  mera  naam  tere  naam  ke  saath ,
Mere  raqeeb  bhi  milte  haiN   ehtiraam   ke  saath

Nazar  ke  teer  haiN , Khanjar  bhi  haiN  adaaoN  ke,
Iraada  qatl  ka  hai   poore  intezaam   ke   saath

Jale gi  shamma , sajaayeiN  ge  bazm-e-jaam-o-suboo ,
Muaa'heda  ye  puraana  hai  mera   shaam  ke  saath

Hamaara  pyaar  hai , pathhar  ko  moam  kar  de  gaa,
Hayaat  saari  katee  iss  Khayaal-e-Khaam  ke  saath

'Hasan'  wo  khul  ke  raqeeboN  se  milte  rahte  haiN,
Takallufaat  haiN  saare  issi  ghulaam  ke  saath



Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #23 on: October 20, 2011, 11:35:19 AM »
Reply with quote
Waquif saheb,Assalamo Alaikum.Bayaan nahin kar sakta  ki kitni khushi ho rahi hai aap ki tahreer padhkar.Sirf isliye nahiin ki aap ne hamesha ki tarah apne purkhuloos  tabsire se hausla afzai ki.Bulki issliye ki aap ki kami YO per bahut shiddat se mahsoos kar raha hoon aur isska izhar bhi kisi dost se kar chuka hoon.Abhi bhi kuchh aisa hi khwahish ka izhaar kiya thha .Shayed kuch aur khwahish karta to woh bhi poori hio jaati.Bahar haal ,aap ka shukriya ada karne ke takallufaat bartaraf rakhte hue aap ke sher ko nihayat ajz o inkisar kr sath qubool karte hue jawaaban,auur bataur guzarish bhi 4 misre haazir e khidmat hain:

        Mera salaam bhi haazir hai ehtiraam ke saath,
        Hai yaad  aapki  aati  har eik jaam ke saath ,
        Shareek e bazm bhi ho jaayein ab kalaam ke saath,
        Khushaamdeed kareinge sab ehtimaam ke saath
                                           -HASAN
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #24 on: October 20, 2011, 06:11:10 PM »
Reply with quote
Hasan Saheb,

Wah! Wah! Wah!.........Wah! Bahut hi behtereen kalam hai. Ek ek sher pe dil Wah bol utha.
Bahut Khoob!
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Mohtarma Usha rajeshji,Bahut shukrguzaar hoon,aapne ghzal padhi aur nacheez ki hausla afzai ki.Aap ke pur khuloos tabsiron ka aayenda bhi khwastgar hoon.Hasan
Logged
sbechain
Guest
«Reply #25 on: January 22, 2012, 01:00:15 PM »
Reply with quote
JuDa   hai  jab se  mera  naam  tere  naam  ke  saath ,
Mere  raqeeb  bhi  milte  haiN   ehtiraam   ke  saath
waah Applause Applause Applause

Nazar  ke  teer  haiN , Khanjar  bhi  haiN  adaaoN  ke,
Iraada  qatl  ka  hai   poore  intezaam   ke   saath
 Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hardkya khoob

Jale gi  shamma , sajaayeiN  ge  bazm-e-jaam-o-suboo ,
Muaa'heda  ye  puraana  hai  mera   shaam  ke  saath
bahut khoob............!

Hamaara  pyaar  hai , pathhar  ko  moam  kar  de  gaa,
Hayaat  saari  katee  iss  Khayaal-e-Khaam  ke  saath

khaya khoob kahaa wah waah


'Hasan'  wo  khul  ke  raqeeboN  se  milte  rahte  haiN,
Takallufaat  haiN  saare  issi  ghulaam  ke  saath

bahut gahri baat kah di hasan sahab Thumbs UP




  ab tarif mein kuch kahoon ya na kahoon...............!


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #26 on: January 23, 2012, 08:24:42 AM »
Reply with quote

  ab tarif mein kuch kahoon ya na kahoon...............!


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Shebaji , Khuloos bhare alfaaz ke liye tah e dil se shukriya. Khush rahiye, Hasan
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
September 08, 2024, 08:23:30 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[September 06, 2024, 07:19:37 PM]

[September 05, 2024, 02:50:37 AM]

[August 23, 2024, 06:35:34 AM]

[August 22, 2024, 06:28:13 AM]

[August 22, 2024, 06:27:09 AM]

[August 20, 2024, 06:14:40 PM]

[August 20, 2024, 06:06:24 PM]

[August 20, 2024, 05:55:44 PM]

[August 20, 2024, 05:50:31 PM]

[August 20, 2024, 05:36:24 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer