...Khumaar Aane Laga Hai ( GHAZAL )

by F.H.SIDDIQUI on May 28, 2011, 05:03:27 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 992 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
Reply with quote
Nigaho.n  mei.n Khumaar Aane  Laga Hai ,
Yaqeenann  Hum pe  Pyaar Aane Laga Hai

Hamee.n Thhe Bewafa Unn ki Nazar mei.n ,
Hamee.n per  Ait'baar  Aane  Laga  Hai

Wo Aaya Karta Thha Khwaabo.n  mei.n Yoo.n to,
Magar  ab  Baar-baar  Aane  Laga  Hai

Tumhari  Beqaraari  Dekh kar  Kyuu.n ,
Mere  Dil ko  Qaraar  Aane  Laga  Hai

Haseeno.n  per, go Aksar aa Gaya  Dil,
Per  ab  Be-akhtiyaar Aane  Laga  Hai

Bahaaro Gulsitaa.n  mei.n  aa bhi Jaao ,
Ki  wo  Jaan-e-Bahaar Aane  Laga  Hai

Wo Ghar ki Khidkiyaa.n Bund kar ke Bole,
Bahut Gard-o-Ghubaar  Aane  Laga  Hai

'Hasan',Yaad aa Ga'ee phir  Umr-e-Rafta,
Khayaal-e-Koo-e-Yaar  aane  Laga  Hai
Logged
manjum
Guest
«Reply #1 on: May 28, 2011, 05:23:15 AM »
Reply with quote
bahut bahut khub siddiquiji.... khub

 Applause Applause Applause
Logged
Imdad
Guest
«Reply #2 on: May 28, 2011, 07:56:44 AM »
Reply with quote
wah.
Bahut khub likha hai
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #3 on: May 28, 2011, 01:38:23 PM »
Reply with quote
Bahut bahut shukria manjumji.FHSiddiqui
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #4 on: May 28, 2011, 01:40:55 PM »
Reply with quote
Imdad saheb,Bahut bahut Shukria.FHSiddiqui
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #5 on: May 30, 2011, 08:39:27 AM »
Reply with quote
Nigaho.n  mei.n Khumaar Aane  Laga Hai ,
Yaqeenann  Hum pe  Pyaar Aane Laga Hai

Hamee.n Thhe Bewafa Unn ki Nazar mei.n ,
Hamee.n per  Ait'baar  Aane  Laga  Hai

Wo Aaya Karta Thha Khwaabo.n  mei.n Yoo.n to,
Magar  ab  Baar-baar  Aane  Laga  Hai

Tumhari  Beqaraari  Dekh kar  Kyuu.n ,
Mere  Dil ko  Qaraar  Aane  Laga  Hai

Haseeno.n  per, go Aksar aa Gaya  Dil,
Per  ab  Be-akhtiyaar Aane  Laga  Hai

Bahaaro Gulsitaa.n  mei.n  aa bhi Jaao ,
Ki  wo  Jaan-e-Bahaar Aane  Laga  Hai

Wo Ghar ki Khidkiyaa.n Bund kar ke Bole,
Bahut Gard-o-Ghubaar  Aane  Laga  Hai

'Hasan',Yaad aa Ga'ee phir  Umr-e-Rafta,
Khayaal-e-Koo-e-Yaar  aane  Laga  Hai

bahut khoob janaab siddiqui sb. wo ghar ki khidkiyaan.... Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #6 on: May 30, 2011, 02:24:38 PM »
Reply with quote
khamosh aawaaz saheb , shukria..FHSidiqui
Logged
mkv
Guest
«Reply #7 on: July 08, 2012, 07:44:19 AM »
Reply with quote
Aadaab Hasan Sir

Aaj kuch purana padhne ko man kiya to..

Aapki yo ki pahli ghajal..

Bahut umda..Applause Applause
Logged
livingbytheday
Guest
«Reply #8 on: July 08, 2012, 01:53:02 PM »
Reply with quote


lajawaab bahut khoob
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #9 on: July 09, 2012, 05:22:07 AM »
Reply with quote
Aadaab Hasan Sir

Aaj kuch purana padhne ko man kiya to..

Aapki yo ki pahli ghajal..

Bahut umda..Applause Applause
Mukesh ji . Aapki  mohabbat  ka  bahut shukriya . Purani ghazal  phir  yaad  dila  dee. Duago,HASAN
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #10 on: September 10, 2012, 04:55:48 PM »
Reply with quote
DEEPAK JI , BAHUT  SHUKRIYA ,DUAAEIN.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 12:10:18 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer