Kismat Bhi Kahaani Hai...!

by Sifarr on August 07, 2010, 08:04:04 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1387 times)
Sifarr
Guest
Reply with quote
एक नयी ग़ज़ल बज़्म के नज़र कर रहा हूँ , बहर-ए-हजाज मुसम्मन अखरब मे उम्मीद है आप अपनी आरा से ज़रूर नवाजेंगे... इसी बहर मैं एक मशहूर गीत है,.. साथ गुनगुना के देखिएगा शायद अच्छा लगे...

टूटे हुए ख्वाबों ने, हमको ये सिखाया है...
दिल ने जिसे पाया था, आँखों ने गंवाया है ...

बहर गिनती मे :- 221 1222 221 1222

==========================

क्या इश्क की हस्ती है, क्यूँ आँखें बरसती है ...
ये शाम भी तुमसे ही, मिलने को तरसती है...

अब टूट चुके मेरे, अरमां वो मोहब्बत के,..
उम्मीद न महफ़िल से, तन्हाई भी डसती है ,...

टकरा के निकल जाते, हम दर्द की राहों से ...
पर बीच मे आती क्यूँ, यादों की वो बस्ती है ...

वो बात ही करते है, बस चाँद सितारों की..
इस इश्क के सौदे मे, ये जान भी सस्ती है,..

हासिल थे 'सिफ़र' हमको, अपनों से मिले रिश्ते,...
साहिल पे जो अब डूबी, वो प्यार की कश्ती है ...

वादे तो किये थे हम, अब साथ सदा होंगे..
किस्मत भी कहानी है, हर मोड़ पे फंसती है...

==========================
कुनाल (सिफ़र) :- 07-08-2010
==========================


In Roman:-


Aadaab….

Ek nayi ghazal bazm ke nazar kar raha huN, behar-e-hajaz musamman akhrab mai.. umeed hai aap apni aara se zaroor nawazeNge… isi behr mai ek mashoor geet hai .. sath gunguna ke dekhiyega shayad aaccha lage...

Toote hue khwaboN ne, humko ye sikhaya hai..
dil ne jise paaya tha, aaNkhoN ne gaNwaaya hai...

Behr in Digit:- 221 1222 221 1222

============================


Kya ishq ki hasti hai, kyuN aaNkheN barasti hai…
Ye shaam bhi tumse hi, milne ko tarasti hai…

Ab toot chuke mere, armaaN wo mohabbat ke..
Ummeed na mehfil se, tanhaai bhi dasti hai..

Takra ke nikal jaate, hum dard ki raahoN se..
Par beech mai aati kyuN, yaadoN ki wo basti hai…

Wo baat hi karte hai, bas chaand sitraaroN ki…
Is ishq ke saude mai, ye jaan bhi sasti hai..

Haasil the ‘sifar’ humko, apno se mile rishte..
Saahil pe jo ab doobi, wo pyaar ki kashti hai..

Waade to kiye the, hum saath sada hoNge..
Kismet bhi kahaani hai, har maud pe faNsti hai…


============================
Kunaal (Sifar):- 07-08-2010
============================
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khud Ko Khush-kismat Kahun Ya Bat-kismat? by Devdas_online in Shayri-E-Dard
Ek Prem Kahaani................(AD) by anjaan dharkan in Shayri for Khumar -e- Ishq
kahaani by saahill in Share:Love Poetry
Kahaani Gulaab Ki,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Ishq Ki Kahaani.. by redwhitegang in Shayri-E-Dard
nazar ghouri
Guest
«Reply #1 on: August 07, 2010, 09:46:42 AM »
Reply with quote
=========================


In Roman:-


Aadaab….

Ek nayi ghazal bazm ke nazar kar raha huN, behar-e-hajaz musamman akhrab mai.. umeed hai aap apni aara se zaroor nawazeNge… isi behr mai ek mashoor geet hai .. sath gunguna ke dekhiyega shayad aaccha lage...

Toote hue khwaboN ne, humko ye sikhaya hai..
dil ne jise paaya tha, aaNkhoN ne gaNwaaya hai...

Behr in Digit:- 221 1222 221 1222

============================


Kya ishq ki hasti hai, kyuN aaNkheN barasti hai…
Ye shaam bhi tumse hi, milne ko tarasti hai…

Ab toot chuke mere, armaaN wo mohabbat ke..
Ummeed na mehfil se, tanhaai bhi dasti hai..

Takra ke nikal jaate, hum dard ki raahoN se..
Par beech mai aati kyuN, yaadoN ki wo basti hai…

Wo baat hi karte hai, bas chaand sitraaroN ki…
Is ishq ke saude mai, ye jaan bhi sasti hai..

Haasil the ‘sifar’ humko, apno se mile rishte..
Saahil pe jo ab doobi, wo pyaar ki kashti hai..

Waade to kiye the, hum saath sada hoNge..
Kismet bhi kahaani hai, har maud pe faNsti hai…


============================
Kunaal (Sifar):- 07-08-2010
============================
[/quote]janaab sifarr saheb ek behatreen aur purkashish ,purlutf kalaam bazm ko ata kiya hai aap ne..har shair umda hai hazaaro'n daad har sher par..bahot khoob ke aap ne jis baher main iss ghazal ko likha uska naam aur taqti^i  bhi saath hi saath likh kar ham jaise sikhne waalaon pe ek ehsaan se kar diya .,aage bhi aap ke kalaam iss mehfil ki zeenat bante rahein..ek umda kaavish par phir se dili daad qubool karein..
Logged
Muzammil,
Guest
«Reply #2 on: August 07, 2010, 09:55:58 AM »
Reply with quote
outstanding,nice,excellent.speechless  poetry.keep it up,
bohot khoob yakeen karo mera bohot acchi hai.safar.
Logged
Sifarr
Guest
«Reply #3 on: August 08, 2010, 11:01:42 AM »
Reply with quote
=========================


In Roman:-


Aadaab….

Ek nayi ghazal bazm ke nazar kar raha huN, behar-e-hajaz musamman akhrab mai.. umeed hai aap apni aara se zaroor nawazeNge… isi behr mai ek mashoor geet hai .. sath gunguna ke dekhiyega shayad aaccha lage...

Toote hue khwaboN ne, humko ye sikhaya hai..
dil ne jise paaya tha, aaNkhoN ne gaNwaaya hai...

Behr in Digit:- 221 1222 221 1222

============================


Kya ishq ki hasti hai, kyuN aaNkheN barasti hai…
Ye shaam bhi tumse hi, milne ko tarasti hai…

Ab toot chuke mere, armaaN wo mohabbat ke..
Ummeed na mehfil se, tanhaai bhi dasti hai..

Takra ke nikal jaate, hum dard ki raahoN se..
Par beech mai aati kyuN, yaadoN ki wo basti hai…

Wo baat hi karte hai, bas chaand sitraaroN ki…
Is ishq ke saude mai, ye jaan bhi sasti hai..

Haasil the ‘sifar’ humko, apno se mile rishte..
Saahil pe jo ab doobi, wo pyaar ki kashti hai..

Waade to kiye the, hum saath sada hoNge..
Kismet bhi kahaani hai, har maud pe faNsti hai…


============================
Kunaal (Sifar):- 07-08-2010
============================
janaab sifarr saheb ek behatreen aur purkashish ,purlutf kalaam bazm ko ata kiya hai aap ne..har shair umda hai hazaaro'n daad har sher par..bahot khoob ke aap ne jis baher main iss ghazal ko likha uska naam aur taqti^i  bhi saath hi saath likh kar ham jaise sikhne waalaon pe ek ehsaan se kar diya .,aage bhi aap ke kalaam iss mehfil ki zeenat bante rahein..ek umda kaavish par phir se dili daad qubool karein..

Ghaouri saahab .. aapka shukraguzaar huN ki aapne khaak bande ko padha aur tareef main itna kuch keh daala ... main behad shikhar pe mehsoos kar raha hun khud ko .. umeed hai aapka satha aise bhi aage milta hi rahega ... shukriya ...

Kunaal
Logged
Sifarr
Guest
«Reply #4 on: August 08, 2010, 11:02:34 AM »
Reply with quote
outstanding,nice,excellent.speechless  poetry.keep it up,
bohot khoob yakeen karo mera bohot acchi hai.safar.


Aapke kahe hue ek ek lafz ka swagat karta huN maiN... shukriya ...

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: August 08, 2010, 11:36:12 AM »
Reply with quote
Bahut bahut Khoob Sifarrji.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Matrix Guy
Guest
«Reply #6 on: August 08, 2010, 11:42:27 AM »
Reply with quote
no words for this sifar ji.........

i m blank after reading this........its just awsome....

like to see more stuff from ur pen......
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #7 on: August 09, 2010, 06:46:25 AM »
Reply with quote
Kamaal ki ghazal kahi hai Sifar sahab aapne. Ek murassa, purlutf aur taghazzul se bharpoor is ghazal ko padhkar mazaa aa gaya. Ek behtreen takhleeq ke liye hazaron daad hazir hain. Aapki deegar ghazlon ka intizaar rahega.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 03:57:41 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.236 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer