Kitaabe Zeest Ke Varkon Me Fhugaa.n Lekar

by @kaash on July 09, 2010, 10:58:27 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1009 times)
@kaash
Guest
Reply with quote
kitaabe zeest ke varkon me fhugaa.n lekar
vo muskurata raha aakhon me dhuaa.n lekar

zeest- zindagi,life
varak-page
fhugaa- pain

jal jaye agar to bhi dil to dil hi rahega
raaste mit.te nahi raaston ke nishaa.n lekar


dhadkan ko faasle se zara dil ke rakhiyega
kah jaye na chehra kahin kuch,rang-e-zubaa.n lekar


behtar yahi tha mere tabeeb mere gham ke vaaste
do chaar kadam hi chalte,chalte darmiyaa.n lekar

tabeeb- vaidhya,doctor
darmiyaan-paas

mujhko meri daleelen sabhi raas aati gayin
naraaz raha mujhse vo,mujhiko pareshaa.n lekar

us jahan me sabhi ke saath saath rahta hai surosh
khilta hai gulshan-e-akeedat gule aasmaa.n lekar

surosh: an angel.farishta
akeedat: ibadat or ibadat ka vishwaas
gule aasmaa.n:aasmaan ka phool or phoolon jaisa aasmaan

nibhayen vafa ki rasmen vo zamane bhar se jee bhar
khushi milti hai humko taghaful ki daastaa.n lekar

Talab khumaariyun ki tab talak rahti hai kayam
jab tak rahe jazba jazbaatiyat ka kaarvaa.n lekar

jazbaatiyat-bhawna,emmotions

barsaat ka mausam nahi gaya to kya hua
khush hai bahut,aahon me bahare bekhazaa.n lekar

bahaare bekhazaa.n: aisi bahaar jisme patjhad na ho

kirane chandni ki is tarah dil me utar gayin
rista hai chasm jis tarah aabe rawaa.n lekar

aabe rawaa.n - bahta hua pani

udaasiyaan shaam ki saari samet lete hain 'kaash'
tasavvur me ek bheega hua kahkashaa.n lekar


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
aur yeh zeest khwab jaisi hai by faiiz_76 in Shayri-E-Dard
Har lamhah zeest kaa ain ma’aqool hai! by abdbundeli in Shairi - E - Zindagi
Hayaat-e-zeest ki qitaab ke harf utha leta hun by @kaash in Ghazals
Nahin hai ab bhi meyree zeest, hawaaley meyrey? by abdbundeli in Ghazals
Saath thaa, ham they lab-e-zeest, 'abd'! by abdbundeli in Ghazals « 1 2  All »
Anshumali
Guest
«Reply #1 on: July 09, 2010, 12:23:48 PM »
Reply with quote
kitaabe zeest ke varkon me fhugaa.n lekar
vo muskurata raha aakhon me dhuaa.n lekar

jal jaye agar to bhi dil to dil hi rahega
raaste mit.te nahi raaston ke nishaa.n lekar


dhadkan ko faasle se zara dil ke rakhiyega
kah jaye na chehra kahin kuch,rang-e-zubaa.n lekar


behtar yahi tha mere tabeeb mere gham ke vaaste
do chaar kadam hi chalte,chalte darmiyaa.n lekar

tabeeb: vaidhya,doctor

mujhko meri daleelen sabhi raas aati gayin
naraaz raha mujhse vo,mujhiko pareshaa.n lekar

us jahan me sabhi ke saath saath rahta hai surosh
khilta hai gulshan-e-akeedat gule aasmaa.n lekar

surosh: an angel.farishta
akeedat: ibadat or ibadat ka vishwaas
gule aasmaa.n:aasmaan ka phool or phoolon jaisa aasmaan

nibhayen vafa ki rasmen vo zamane bhar se jee bhar
khushi milti hai humko taghaful ki daastaa.n lekar

Talab khumaariyun ki tab talak rahti hai kayam
jab tak rahe jazba jazbaatiyat ka kaarvaa.n lekar

barsaat ka mausam nahi gaya to kya hua
khush hai bahut,aahon me bahare bekhazaa.n lekar

bahaare bekhazaa.n: aisi bahaar jisme patjhad na ho

kirane chandni ki is tarah dil me utar gayin
rista hai chasm jis tarah aabe rawaa.n lekar

udaasiyaan shaam ki saari samet lete hain hum 'kaash'
tasavvur me ek bheega hua kahkashaa.n lekar

Good One......very nice creation....dil se daad ...khush rahen...

apna khayal rakhen...
duaaon ke saath....
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 09:39:32 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.161 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer