Kuch door hamaare saat chalo.............

by Pooja on June 04, 2007, 05:02:21 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2134 times)
Pooja
Guest
Reply with quote
Kuch door hamaare saat chalo
Ham dil kee kahaanee keh deNge
Samjhe na jise tum aaNkhoN se
Vo baat zabaanee keh deNge

PhooloN ki tarah jab hoToN pe
Ik shoKH tabassum bikhrega
Dheere se tumhaare kaanoN meiN
Ik baat puraanee keh deNge

Izhaar-e-vafa tum kya jaano
Ikraar-e-vafa tum kya jaano
Ham zikr karenge GHairoN ka
Aur apnee kahaanee keh deNge

Mausam to baDa hee zaalim hai
Toofaan uTHaata rehta hai
Kuch log magar is halchal ko
Bad-mast javaanee keh deNge (nm)


Glossary
shoKH tabassum = dazzling smile
izhaar-e-vafa = proclamation of love/fidelity
ikraar-e-vafa = confession of love/fidelity
zikr = mention
GHairon = strangers/others
zaalim = cruel
toofaan = tempest
halchal = unrest
bad-mast javaanee = intoxicated state of youth
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
khatan hai rahguzer thory door sath chalo by muneeb in Shayri-E-Dard
Kuch door hamaare sath chalo by kalpit1234 in Shayri-E-Dard
Kuch der saath chalo by saleem khan in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kuch Door To Mere Saath Chalo......masoom by Masoom Shahzada in Shayri for Khumar -e- Ishq
kuchh door hamaray saath chalo (by vb) by vb in Miscellaneous Shayri
Pooja
Guest
«Reply #1 on: June 04, 2007, 05:14:51 PM »
Reply with quote
khaatin hai rah-guzr, thori dooR sath chalo
bohut karra hai safr thori dooR sath chalo

tamaam umr kahaan koi sath dai-ta hai
yeh jan ta hooN magar thori dooR sath chalo

Nashe mein choor hooN mai bhi tumhein bhi hosh nahin
baRRa maza ho agar thori dooR sath chalo

yeh aik shub ki mulaqaat bhi ghaNimat hai
kise hai kal ki khabr thori dooR sath chalo

abhi to jaag rahae hein chiragh rahooN ke
abhi hai dooR sahr thori dooR sath chalo

tawaf-e-manzil-janah hamein bhi karna hai
Faraz tum bhi agar thori dooR sath chalo (nm)

khaatin = difficult, hard
ghaNimat = blessing
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: June 04, 2007, 05:16:08 PM »
Reply with quote
tum bhi khafa ho loog bhi burhum hein dosto
ab ho chala yaqin keh bouray hum hein dosto

kis ko hamare hal se nisbut hai kya karein
aankhein to dushmanooN ki bhi purnum hein dosto

apne siwa humaray na hoonay ka ghum kise
apni talaash mein to humein hum hein dosto

kuch aaj shaam hi se hai dil bhi bujha bujha
kuch shahr ke chiragh bhi mudhum hein dosto

iss shahr-e aarjo se bhi baahar nikal chalo
ab dil ki raunaqein bhi koi dum hein dosto

sub kuch sahi Faraz per itna zaroor hai
dunya mein aise loog bauhut kum hein dosto (nm)
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: June 04, 2007, 05:17:51 PM »
Reply with quote
teri bataain hi sunanay aa'e
dost bhi dil hi dokhanay aa'e

phool khilte hein tu hum sochtae hein
teray aanay ke zamaanay aa'e

aisi kuch chup si lagi hai jaise
hum tujhe haal sunanay aa'e

ishq tunha hai sir-e munzil-e ghum
kaun yeh boojH uthanay aa'e

ajnabi dost humein dekh keh hum
kuch tujhe yaad dilaanay aa'e

dil dharakta hai safr ke hungaam
kaash phir koi bulanay aa'e

ab tu rounay se bhi dil dukhta hai
shaid ab hosh thikanay aa'e

kya kahein phir koi busti ujri
laug kyooN jashun mananay aa'e

so raho maut ke pahloo mein Faraz
nind kis waqt na janay aa'e (nm)
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: June 04, 2007, 05:19:48 PM »
Reply with quote
qurbatooN mein bhi juda'ee ke zamaanay maaNge
dil wo be-mehr keh roonay ke bahaanay maaNge

hum na hotay to kisi aur ke churchay hotay
khuqat-e shehr tau kehnay ko fusaanay maaNge

yeh-hi dil tha keh turusta tha maraasim ke lya
ab yeh-hi turk-e talug ke bahaanay maaNge

zindagi hum tere daghooN se rahe sharminda
aur tu hai keh sada aina khaanay maaNge

dil kisi haal per qaanay hi nahin jaan-e faraz
mil gaye tum bhi tau kya aur na jaane maaNge (nm)
Logged
VIPAL
Guest
«Reply #5 on: June 11, 2007, 09:28:46 AM »
Reply with quote
ek ek ghazal chun chun kar likhi hai app ne...beautiful ji
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: June 11, 2007, 05:42:27 PM »
Reply with quote
shukaria Vipal ji app bhi apne pasand ki gazals yaha add kar sakte hai
Logged
ajnabii
Guest
«Reply #7 on: June 14, 2007, 11:14:08 AM »
Reply with quote
WooW You Have Great Collection... Thanks for sharing with us....
Logged
ajnabii
Guest
«Reply #8 on: June 14, 2007, 11:15:17 AM »
Reply with quote
Teri AAnkhon ke AAnsoo ki kyA keemAt wAsool kAroon mAin,
Tujhe rulAnAy wAlAy sAy kyA sulook kAroon mAin.

HAin tere ApnAy hi tere dushmAn,
WArnA terA nAAm bhi lene wAlAy ko mitA diyA kAroon mAin.

Kyon tere AAnsoo dekh nAhi pAtA mAin,
Tu jo ro de to duniya ko ruAa diyA kAroon mAin.

Tere zAkhAm kyA mere nAhi hAin,
Dil kAre tere hAr zAkhAm ko bhAr diyA kAroon mAin

Dil chAhe tujhe hAr khushi diyA kAroon mAin,
DunyA ki sAri nAfrAto ko mohAbAt mein bAdAl diyA kAroon mAin.

HAr giz nA kar payengay mujhe tuhj se door zamaane walay,
Tere ek pukaar par sari doorian mita diya karoon main.

Tere aankhon ke aansoo ki kya keemat wasool karoon main,
Tujhe rulanay walay say kya sulook karoon main.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: June 18, 2007, 02:32:32 PM »
Reply with quote
Bahoot Acchi Gazlien Post Ki aapne,..
Pooja Didi,..
Hume Pasand Aai,..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: February 12, 2008, 06:44:01 PM »
Reply with quote
Nice ajnabii aand thanks Lil bro
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: February 13, 2008, 09:31:40 AM »
Reply with quote
U Are WElcome Sis,.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: July 09, 2009, 06:33:25 AM »
Reply with quote
Teri AAnkhon ke AAnsoo ki kyA keemAt wAsool kAroon mAin,
Tujhe rulAnAy wAlAy sAy kyA sulook kAroon mAin.

HAin tere ApnAy hi tere dushmAn,
WArnA terA nAAm bhi lene wAlAy ko mitA diyA kAroon mAin.

Kyon tere AAnsoo dekh nAhi pAtA mAin,
Tu jo ro de to duniya ko ruAa diyA kAroon mAin.

Tere zAkhAm kyA mere nAhi hAin,
Dil kAre tere hAr zAkhAm ko bhAr diyA kAroon mAin

Dil chAhe tujhe hAr khushi diyA kAroon mAin,
DunyA ki sAri nAfrAto ko mohAbAt mein bAdAl diyA kAroon mAin.

HAr giz nA kar payengay mujhe tuhj se door zamaane walay,
Tere ek pukaar par sari doorian mita diya karoon main.

Tere aankhon ke aansoo ki kya keemat wasool karoon main,
Tujhe rulanay walay say kya sulook karoon main.

good one Ajnabi ji
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #13 on: July 09, 2009, 06:50:17 AM »
Reply with quote
Kuch door hamaare saath chalo
Ham dil kee kahaanee keh deNge
Samjhe na jise tum aaNkhoN se
Vo baat zabaanee keh deNge

PhooloN ki tarah jab hoToN pe
Ik shoKH tabassum bikhrega
Dheere se tumhaare kaanoN meiN
Ik baat puraanee keh deNge

Izhaar-e-vafa tum kya jaano
Ikraar-e-vafa tum kya jaano
Ham zikr karenge GHairoN ka
Aur apnee kahaanee keh deNge

Mausam to baDa hee zaalim hai
Toofaan uTHaata rehta hai
Kuch log magar is halchal ko
Bad-mast javaanee keh deNge (nm)


Glossary
shoKH tabassum = dazzling smile
izhaar-e-vafa = proclamation of love/fidelity
ikraar-e-vafa = confession of love/fidelity
zikr = mention
GHairon = strangers/others
zaalim = cruel
toofaan = tempest
halchal = unrest
bad-mast javaanee = intoxicated state of youth
Thanks a lot Pooja ji, for sharing such a lovely nazm with us all!
 
Kahney ko bahut kuchh baaqee hai, har aanee-jaanee kah deyngey!
Tum us ko kahaanee samjhogey: ham apnee kahaanee kah deyngey!!

                 - abd bundeli
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: July 19, 2009, 06:58:51 PM »
Reply with quote
bahoot bahoot shukaria Abd ji... apke comments ka hamesha intzaar raha hai...
tahe dil se shukaria!!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 27, 2024, 08:28:55 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.148 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer