Log phir bhi

by zama on February 13, 2009, 05:17:32 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1766 times)
zama
Guest
Reply with quote
Log phir bhi meri huzn ko ilzaam dete hai
wafa k paimane ko bewafai ka jaam dete hai

yeh gunaah hai meri kii main sochtii nahi
iss muhabbath kii badle badnaam dete hai

mash-hur hogai iss kader saajna kii maikhade
mein bhi mere naam kii jaam dete hai

main shouk bani rahi deewaangi ke
kii muft mein mujhe dard inaam dete hai

meri ehsaas ek khwaab thi jo mehsus na kiya
k sabhi daga mujhe saar-e-aam dete hai

fizool na gayi meri jazbaat zamane mein
kii sabhi azmaish-e-ishq kii kaam dete hai

thak chuki hunn main ab iss zindagi se Zama
k...chalo ab maut ko akhri shaam dete hai


Regards,
Zama

 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
phir se dil by mnfardeen in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ajj Phir..... by Pooja in Miscellaneous Shayri
Aaj Phir Dil ... by priya_akela in Shayri-E-Dard
phir shaam dhali phir raat hui by HumTum in Shayri-E-Dard
phir se... by Talat in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 ... 12 13 »
1234jamil
Guest
«Reply #1 on: February 13, 2009, 05:27:34 AM »
Reply with quote
“ Mohabbat ko jab log KHUDA mante hai,fir pyar karne walo ko kyun bura mante hai.Jab jamana hi pathar dil hai.Fir pathar se log kyun dua mangte hai ? ”
Logged
zama
Guest
«Reply #2 on: February 17, 2009, 03:50:20 AM »
Reply with quote
Khuda kyu na maane isse
yeh pak-e-majaaz sa hai
akhir duniya bhi sajda karen usse
jo pak-e-poshiidah sa hai

pak-e-majaaz-worldly pious
pak-e-poshiidah-invisibly pious

Zama
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: February 17, 2009, 12:48:17 PM »
Reply with quote
Bohot Khoob Zama

Welcome to Yoindia
Logged
rawattanha
Guest
«Reply #4 on: February 17, 2009, 01:30:09 PM »
Reply with quote
wah bahut khub zama ji

welcome to yoindia....
Logged
salma786
Guest
«Reply #5 on: February 17, 2009, 01:42:33 PM »
Reply with quote
Bahoot hi khoob Zama ji.....

"Jab Agaaz aisa hua hai,
To anjaam kaisa hoga" very nice Thumbs UP

Logged
1234jamil
Guest
«Reply #6 on: February 17, 2009, 02:30:16 PM »
Reply with quote
Pyaar Gazal hai gungunane ke liye,
Pyaar nagma hai sunane ke liye,
ye woh jazba hai jo sabko milta naahi,
kyunki hosla chaahiye pyaar nibhane ke liye..

Not mine


this is jamil friom kuwait,Hiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii
Logged
zama
Guest
«Reply #7 on: February 18, 2009, 04:35:13 AM »
Reply with quote
Ji....bahot bahot shukriya aap sabhi ka @ Celmira ji,Rawat tanha ji,Salma ji & Jamil ji
Logged
pandit
Guest
«Reply #8 on: February 18, 2009, 05:01:31 AM »
Reply with quote
Log phir bhi meri huzn ko ilzaam dete hai
wafa k paimane ko bewafai ka jaam dete hai

yeh gunaah hai meri kii main sochtii nahi
iss muhabbath kii badle badnaam dete hai

mash-hur hogai iss kader saajna kii maikhade
mein bhi mere naam kii jaam dete hai

main shouk bani rahi deewaangi ke
kii muft mein mujhe dard inaam dete hai

meri ehsaas ek khwaab thi jo mehsus na kiya
k sabhi daga mujhe saar-e-aam dete hai

fizool na gayi meri jazbaat zamane mein
kii sabhi azmaish-e-ishq kii kaam dete hai

thak chuki hunn main ab iss zindagi se Zama
k...chalo ab maut ko akhri shaam dete hai


Regards,
Zama

 


wow zama jee..
kya baat hai...touching lines......
Logged
zama
Guest
«Reply #9 on: February 18, 2009, 07:44:43 AM »
Reply with quote
Ji...shukriya Pandit ji.....kisi ko toh hamari ghazal acchi lagi ....tah-e-dil se shukriya....


Regards,
Zama
Logged
zama
Guest
«Reply #10 on: February 18, 2009, 07:50:20 AM »
Reply with quote
Reply @Jamil saheb,

Raasta agar ho aur manzil na ho toh,
koi nayi ghazal ho aur mehfil na ho toh ,
kiss kaam k hai hausla jab jazbaat na ho toh
iss pak muhabbath k jab ehsaas na ho toh !!!!!!!

Regards,
Zama
Logged
zama
Guest
«Reply #11 on: February 19, 2009, 10:51:27 AM »
Reply with quote
Jahaan- e- hazil-e-daulat kidhar le jaana hai
yahan par jo bhi mila idher hi chod jaana hai

seedhe raastho.n pe chalke akhri mod pe juda hona hai
zindagi jeete jeete maut se guzar jaana hai

khuda k bani basti mein sabhi jaane pehchane hai
tum sab se juda ho...yeh tumhara zang-e-aauluud-e-ana hai

jab lutt chuke iss qaed-e-ishq mein Aye dost
hai jana kii muhabbath ka bhi yahan khaarkhana hai

kaun kehta hai kii janaza utt gaya hai ...Zama
yeh ada-e-marhalah-e-maut toh mera sukoon pana hai

Zang-e-aauluud-e-ana  -  the rust ridden ego
ada-e-marhalah-e-maut  -  the dignified style of death

Zama
Logged
1234jamil
Guest
«Reply #12 on: February 19, 2009, 03:37:57 PM »
Reply with quote
ZAMA @ ke liye

Gul ne gulshan se gulfam bheja hai, sitaro ne aasma se salam
bheja hai, mubarak ho apko naya saal, hum ne advance me ye piagam bheja hai.
Logged
zama
Guest
«Reply #13 on: February 20, 2009, 06:27:54 AM »
Reply with quote
Ji...Shukriya Jamil saheb ....waise nayi saal aap ko bhi mubarak ho ...ya yun kahu k belated happy new year .....
Logged
Talat
Guest
«Reply #14 on: February 20, 2009, 10:01:18 AM »
Reply with quote
Jahaan- e- hazil-e-daulat kidhar le jaana hai
yahan par jo bhi mila idher hi chod jaana hai

seedhe raastho.n pe chalke akhri mod pe juda hona hai
zindagi jeete jeete maut se guzar jaana hai

khuda k bani basti mein sabhi jaane pehchane hai
tum sab se juda ho...yeh tumhara zang-e-aauluud-e-ana hai

jab lutt chuke iss qaed-e-ishq mein Aye dost
hai jana kii muhabbath ka bhi yahan khaarkhana hai

kaun kehta hai kii janaza utt gaya hai ...Zama
yeh ada-e-marhalah-e-maut toh mera sukoon pana hai

Zang-e-aauluud-e-ana  -  the rust ridden ego
ada-e-marhalah-e-maut  -  the dignified style of death

Zama

Bohot Khoob....bohot achcha likha hai apne Zama Ji
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 01:22:18 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.093 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer